Friday, 12 June 2020

Huzoor Kabse Nabi Hai ?

Huzoor Kabse Nabi Hai ?

 بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم

Huzoor Nabi E Karim 
  Kabse Nabi Hai ? 
When The Prophethood Is Granted To Rasool 
Huzoor  
 Kab Nabi Banaye gaye ?

Aksar Kuch badmazhab Munafikeen Jinhe Shan E Mustafa hazam ho nahi sakti wo Awaam kay saamne ek baat kahte milte hai Sunni Kahte Hai Huzoor  Ko Nabuwat Dunya me Aane Se pahle de di gayi hai Ye Ahmad Raza Khan Barelvi ne Biddat izaad ki huwi hai Jabki Huzoor   40 Saal Ki Umr Me Nabi Bane aur yehi baat inke aaj kay naam nihad google Karne waale Ladke Karte hai aur Ahle Sunnat Ko Pareshan karte Hai
So Here Is The Answer of Your Doubts..
Hadees 01:
“Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Riwayat Farmaate Hain Ki Sahaba E Kiram Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Ajmaeen Ne Arz Kiya Ya RasoolAllah 
 !
Aap Ke Lie Nubuwwat Kab Waajib Huee ?
Huzoor Nabi E Akram 
 Ne Farmaya : (Mein Us Waqt Bhi Nabi Tha) Jab Ki Hazrat Aadam Alaihissalam Ki Takhleeq Abhi Rooh Aur Jism Ke Darmiyaani Marhale Me Thi (Yaani Rooh Aur Jism Ka Baahami Taa’lluq Bhi Abhi Qaayam Naa Huaa Tha).”(Jamai Tirmizi, Kitabul Manakib, Baab : Maa Jaa Fi Fazail E Nabi Sal Allahu Alaihwasalam, Pg : 821, Hadees : 3609)
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 02, pg : 665/66, Hadees  : 4210)
Scan page Tirmizi

Hadees 02 : “Hazrat Maisarah Fazr RadiyAllahu Ta’ala Anhu Farmaate Hai Ki Huzoor Nabi E Akram  Se Poochha :(Ya RasoolAllah !)
Aap Kab Nubuwwat Se Satfaraaz Kie Gae ?
Aap 
 Ne Farmaya : (Mein Us Waqt Bhi Nabi Tha) Jab Hazrat Aadam Alaihissalam Ki Takhleeq Rooh Aur Mittee Ke Marhale Me Thi.”References :
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 02, pg : 665/66, Hadees  : 4209)
Imam Hakim Farmate hai Ye Hadees Sahi Hai
Scan Page Hakim Hadees : 4209 & 4210


Aur Phir Isi Tarah Ki Rivayat Deegar Sahaba E Kiram Hazrat Ameerul Momineen Umar Farooque E Aazam, Hazrat Abdullah Ibn Abbas, Hazrat Abdullah ibn Shaqeek, Hazrat Aamir Rizwanullahi Azmayeen se marvi hai

No comments:

Post a Comment