Friday, 12 June 2020

11VEE Gyarvi Manana Kaisa

Gyarvi Manana Kaisa

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم
Is Celebrating Gyarvi Is Permissible ? Gyarvi Manana Kaisa ? Kya Gyarvi Manana Biddat Hai ? Is Gyarvi A Biddah ? Introduction :
Ahle Sunnat Wa Jamaat Puri Dunya Me Buzurgan E Deen k Khas yaad Me Din Manate Hai khwah Sayyidna Gaus Us Saqlain Shaikh Abdul Qadir Jilani Al Baghdadi Alaih Rehma ki 11 vi Manate Hai, Sultanul Hind Khwaja Moinudin Hasan Sanjari Chisti Alaihrehma Ki Chatti, Aala Hazrat Imam Ahle Sunnat Ahmad Raza Khan ki 25vi Manate Hai aur isi tarah aur bhi Buzurgan E Deen k Uroos Sharif manate Hai In Tamam Ka Talluk Isaal E Sawab Se Hai aur unka Zikr Kar unhe Yaad karna hai unki talimat ko aam karna hai.
Jisme Khiraj E Aqeedat Buzurgan E Deen Ki Bargaah Me Hadiya Tohfa E Sawab Pesh Karte Hai Khwah Quran Khwani, Takseem E Langar, Tazkira E Auliya Buzurgan E Deen ki Halat Bayan Kar Ijtemat Munakkid kiye jaate hai.
Ye Bhi Badmazhab Wahabiyo ko Hazam Nahi Hota Aur Isko Bhi Biddat Kahte Hai Shirk Kahte Hai Aur Aam Musalmano se Dalil Maangte Hai k iska Saboot Pesh karo Quran Aur Hadees Se 11Vi Sabit Karo etc.
Aam Musalman Direct Dalil k chakkar me ulajh jaata hai Islam Me Kuch Bunyadi Usool Hai jinka Jaan Na Har ek Musalman ko jaruri hai warna hoga ye k har Bunyaad foundation hi Kori khokhli ho to phir aisa banda aata hai aur ummat par Fatwa E Biddat Shirk lagata hai.
Note : Ahle Sunnat Wa Jamaat k Maan ne waale yaani Sunnio ko bhi chahye wo jo amal karte hai uski us amal k mutabik Haisiyat Shariat me us amal ka kya mansab darja hai us tak kare aur uski dalil rakhe us mutabik amal kare aisa naa ho k bas kar rahe hai aur khud ko naa pata k is amal ka darja Shariat me kya hai aur Jo amal Mustahab hai usko Mustahab tak rakhe farziat wajibat tak naa le jaaye.

Sayyidna Shaykh Abdul Qadir Jilani Al Baghdadi Rahmatullah Alaih Ka Muktasar Tarruf
Ye Wo Azeem Shaksiyat hai Jo kisi k Muhtaaz E tarruf nahi siwaye Allah Tabarakwatala Aur uske Rasool صلى الله عليه وسلم k inka tazkira karna khud hamare gunaaho ka Kaffara hai Chunki Zikr E Auliya Karna Dar Asal Quran Se Saabit hai Aur Alhamdullilah Hum Ahle Sunnat Wa Jamaat k hisse ye sadaat aayi hai.
Yehi Wo Azeem jaatein hai jinke baare me Allah Quran Me Farmata Hai
أَلا إِنَّ أَولِياءَ اللَّهِ لا خَوفٌ عَلَيهِم وَلا هُم يَحزَنونَ
“Sun Lo Beshak Allah K Waliyo Par Naa Kuch Khauf hai Na Kuch Gam”
(Surah Yunus Ayat 62)
Sayyidna Shaykh Abdul Qadir Jilani Alaihrehma ki Tarikh E Wiladat 1 Ramzan Sharif  470.
Hasab Wa Nasab :  Aap Rahmatullah Alaih Walid ki Janib Se Hasani Sayyad hai Aur Walida Ki Janib Se Hussaini Sayyad Hai.
Walid ki Janib Se Hasani Sazra E Mubarak :
Sayyidna Shaykh Mohiyudin Abdul Qadir Jilani →  Sayyad Abu Saaleh Moosa Jungi Dost → Sayyad Abdullah → Sayyad Yahya → Sayyad Daud →  Sayyad Moosa Saani →  Sayyad Abdullah Sayyad Musanna Joon → Sayyad Abdullah Mahaz → Sayyad Imam Hasan Musanna → Sayyidna Sardar E Jannat Imam Hasan E Mujtaba → Sayyidna Khalifatul Muslimeen Maula Ali Karmallahu Wajuhal Karim Rizwanullahi Azmayeen Walida ki Janib Se Hussani Sazra E Mubarak :
Sayyad Muhiyudin Abu Muhammad Abdul Qadir → Ummatool Jabbar Ummatul Khair Sayyida Fatima Bint E Sayyad Abdullah Sumai → Sayyad Abu Jamaludin Muhammad → Sayyad Jawwad → Imam Sayyad Ali Raza → Imam Sayyad Moosa Kaazim → Imam Sayyidna Zafar Sadiq → Imam Sayyidna Baqar → Imam Sayyidna Ali Zainul Aabeedin → Sayyidna Sardar E Jannat Imam Hussain Shaheed E Azam → Sayyidna Khalifatul Muslimeen Maula Ali Karmallahu Wajuhal Karim Rizwanullahi Azmayeen
Lakab : Aap Rahmatullah Alaih k Ilmi, Akhlaki Aur Roohani Ausaaf Aur Khasail Par Ulma E Izaam Ne Bade bade Alkabat Se Yaad Kiya hai, Chand Ek Darj hai.
“Zul Bayanin, Karimul Jaydai’n Wat’tarfain, Sahibul Burhaneen, Wa’sultaneen, Imamul Fariqain Watariqain, Ju’sirajeen Wal Minhajeen, Gaus Us Saqlain, Gaus E Aazam Wagairah”
References :
(Imam Muhammad Yahya Tazafi Al Qalaidul Jawahir Fi Manakib E Shaykh Abdul Qadir Jilani Pg : 05)
(Imam Mullah Ali Qari Hanfi Al Mutwaffa 1014 Hizri “Nuzhatul Khatir Al Fatir Fi Manakib E Shayk Abdul Qadir Jilani Pg : 30”)
Aap Radi Allaho Anha Ka Mazhab Aur Aqeeda : Chunki Gaus E Aazam Radi Allaho Anho Kay muttalik Na Kamyaab Koshish ki Jaa rhi hai Lihaja Fitna Failaya jaa raha hai k Gaus E Aazam Ahle Hadees The Aur ahle Hadees se In Wahabi gair Mukallideen ki murad hoti hai k Sayidna Gaus E Aazam Rahmatullah Alaih ka Aqeeda Aur In Maloon Khabiso ka Aqeeda ek hai lihaja bahot jald tehreeran iski bhi poll kholenge aur bataynge k Sarkar Ka Manhaj Aur Aqeeda wo hai nahi jo Wahabio ka hai balki iske khilaf wahabio k aqaid fatwo k mutallik to Sayyidna Gaus E Aazam to Musalman hi nahi bachte Nauzubillah Min Jaleek
Mazhab : Hazrat Sayyidna Shaykh Abdul Qadir Jilani Al Baghdadi Rahmatullahu Alaih, Imam Ahmad Ibn Hambal Rahimullah k Mukallid The Aur Unke Mazhab Ki Taqleed karte The Lihaja Aap Mukallid The Aimma E Arba me Se Ek Ki Taqleed karte the wo Gair Mukallid Nhi the.
Aqeeda : Aap Rahmatullah Alaih Aqaid me Ahle Sunnat Wa Jaamat k Azeem Muballig The Aur Badmazhabiyat ka khoob raddh karte the wo koi Ahle Hadees Nahi the jaisa k Aaj k Ahle Yazeedo ka Aqeeda hai Gaus E Aazam Rahmutallah Alaih ka Dur Dur Tak wo aqeeda naa the Aap AHLE SUNNAT WA JAMAAT k Azeem Fard the.
11 Vi Sharif Kya Hai
11 vi Sharif Dar hakikat Hazrat Sarkar Mehboob Subhani Kutbe Rabbani Gaus E Aazam Rahmatullah Alaih Ki Rooh E Aqdas par Isaal E Sawab Karna Hai Jo Quran Sahi Hadees Se Saabit hai.
Is Link Me Isaal E Sawab Ka tazkira Mauzood hai lihaja yaha padhlein
http://786sho.blogspot.in/2015/05/isaal-e-sawab-ki-sharai-haisiyat.html
http://786sho.blogspot.in/2015/07/isaal-e-sawab-ki-sharai-haisiyat-post-02.html

11 Gyarvi Tareekh Kyu Munakkid Ki Gayi ?
Lafz 11 Gyara  : English Me Eleven, Urdu me Gyara, Arabi me Idaa Ash, Farsi Me Yazdaham Kaha Jaata Hai.  
11 tarikh K Muttalik Ulema k Alag Alag aqwal hai baaj ka Kahna hai Sayyidna Gaus E Aazam 11 Tarikh ko Huzoor Nabi E Akram k janib Khiraj E Akeedat me khoob Khoob Isaal E Sawab Nazr karte the lihaja Aap k baad Az Wisal bhi ye tarika Aapke Khulfam Shagirdeen Murideen Se Jaari raha aur Aaj Tak Jaari hai, baaj Rivayato Me Milta Hai k Huzoor Gaus E Aazam Alaihrehma Huzoor Nabi E karim Sal Allahu Alaihiwasalam ki 12vi me khoob khiraz E Aqeedat pesh karte the lihaja Huzoor Rehmat E Aalam Sal Allahu Alaihiwasalam ne Aap Radi Allaho Anho ko ye Basaharat Di k Aapko 11vi Se yaad kiya Jayga ya Charach Hoga.
Wallahu Taala Aalam
Lekin Jo Bunyaad hai wo hai Is Din Ka Isaal E Sawab Mustahab Amal ye bunyaad hai hamesha yaad rakhe kabhi wahabi aapko gumraah nahi kar sakte. In Sha Allah Taala
Ab Yaha Jab Iski Asl Isaal E Sawab ki dalil wajeh hogayi to mumkin hai wahabi gumraah firka ye kahe k ye sab to thik hai lekin ye jo aap Sunni log Din Days Mukarir karte ho ye biddat hai lihaja din mukarir karna k muttalik dalil padhe.
Islam Me  Kisi Nek Kaam K Liye Wakt Ya Din Mukarar Karna Kaisa ?
Bayanat Waaj K Liye Din Mukarar Karna
Hadees :
“Hazrat Abu Wa’il Shakik bin Salma Se Rivayat Hai Hazrat Abdullah ibn Masood Radi Allaho Anho har Jumerat k din Waaj Farmaya karte the To Ek Aadmi Ne Unse Kaha Aye Abdul Rahman !
Meri Tammana Hai k Aap Rozana Hume Waaj Sunaya Kare To Aap Radi Allaho Anho Ne Farmaya Rozana Waaj Farmane Se Jo Chiz Mujhe Rokti Hai Wo Ye Hai k Tum Logo ko Tangi Me Nahi Daalna Chahta Aur Mai Tumhari Fursat Ka Khayal Rakhta Hoon Jaise K Nabi E Akram Waaj Sunane Me hamari Fursat Ka khayal Rakhte The Is Khauf Se k Hum Ukta Naa Jaye”
References :
(Sahi Muslim Vol : 07, Pg : 222- 23 , Kitab Sifaat Al Qiyamah Wa Jannati Wa Naar,باب الاِقْتِصَادِ فِي الْمَوْعِظَةِ Hadees :7127, 7128,7129)
(Sahi Bukhari Vol : 08, Pg : 232, Kitabul Duwat, باب الْمَوْعِظَةِ سَاعَةً بَعْدَ سَاعَةٍ Hadees : 6411)
(Sahi Bukhari Vol : 01, Pg :97, Kitabul Ilm, Hadees : 68)
(Jamai Tirmizi Vol :05, Pg :197, Kitabul Adab, Hadees : 2855)
Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Ka Mamoor Har Sanichar Masjid E Quba Jaana
Hadees :
“Abdullah ibn Dinar Radi Allaho Anho Se Marvi Hai Hazrat Abdullah Ibn Umar Ne Farmaya Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Har Sanichar ‘Saturday’ ko Masjid E Quba Jaate The Kabhi sawari se to kabhi paidal,
Hazrat Abdullah ibn Umar Radi Allaho Anho Ka Maamoor bhi Yehi Raha”
References :
(Sahi Bukhari, Vol 02, Pg : 193, Kitab Fazail E Salat Fi Masjid E Makkah Wa Madina, Baab : Har Sanichar Masjid E Quba Jaane Ka Bayan, Hadees : 1193)
(Sahi Muslim Vol : 03, Pg : 543 - 44, Kitabul Hajj, Baab : Masjid E Quba Ki Fazilat Aur Waha Namaz Padhne Ki Fazilat, Hadees : 3389 to 3397)
(Imam Nawawi Riyadus Salaheen Hadees : 374)
Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Ki Aadat E Mubaraka Jumerat K Din Safar Karna
Hadees :
“Hazrat Kaab bin Malik Radi Allaho Anho Se Marvi Hai k Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Jumeraat k Din Ghazwa E Tabook k liye nikle Aur Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Jumeraat k roz hi Safar Karne ko Pasand Farmate the”
Reference :
(Sahi Bukhari Vol : 03, pg : 98, Kitabuz Jihad, Hadees : 2950)
In Hadees E Sahi Se Saabit Hota hai k Mehfil E Milad Sharif Mehfil E Gausiya 11vi Sharif Razzab Sharif wagirah k liye Din Mukarar karna Jaiz O Mustahab Amal Hai Jo hargiz biddat Aur Gunaah nahi balki Waaj K liye to Din Mukarar Karna  Jalilul Qadr Sahabi Ibn Masood Radi Allaho Anho ki Sunnat Aur Tarika Hai lihaja Din Mukarar Karna Urs wagairah yaa Deegar nek kaam k liye ye Is hadees Se uska jawaz saabit hai aur Iski Asl Sunnat Se bhi mili hai.
Yaha Humne 03 Hadees E Sahi bataur E Istedlaal Pesh ki hai aur iske bahot se example diye jaa sakte hai jo log In Aamal ko biddat kahte hai wo khud Wakt Mukarar karte hai jaise Devband me tableegi Jamaat 03 Din 10 Din 40 Din ka wakt Mukarar karte hai,
Gair Mukallid k yahan bhi yehi haal hai  40 Days English Course aur Salana jalse k liye Stage Date fix karke lagana etc. Shadi Waleema Ya deegar Phir Buzurgan E Deen k liye ye tamam Amal Haram Biddat kyu kar hogaya ?
Ahle Sunnat Wa Jamaat Ka Manhaj
Ek ahem Baat Ahle Sunnat Ka Mazhab bilkul Clear karle k 11vi Manana bas Isaal E Sawab hai Jab Aapka Dil Chahe tab kare koi aisa masla nahi hai k 11 Rabi Ul Aakhir Ko Jo naa kare ya naa kar sake wo sunni hi nahi Ye Ek Mustahab Amal hai Naa To Farz naa Wajib ye Ahle Sunnat Ka Maslak hai is talluk se yaa phir koi aur bhi Buzurgan E Din K naam se mansoob karda din ho.
Bahot Se Aise aqeedat mand hai jo Is amal ko Mustahab Jaiz Maante hai par kuch wajah se 11vi k din Isaal E Sawab nahi kar paate mehfil e Khatme Qadriya Mehfil E Gausiya Wagairah nahi kar paate to kya Ahle Sunnat Nahi hai ?
Kafi jagah hota tarikh to koi aur hoti hai wo bhi Mehfil e Gausiya k naam se hoti hai Jalse hote hai wo bhi alag din me bhi hote hai.
Ye baat saabit kar deti hai k ye Amal Mustahab k darja rakhta hai lekin problem tab aati hai jab badmazhab wahabi firqa in amal ko Shirk Haraam biddat kahte hai jo Ahkaam E Deen k bunyaad se bhi khali hai bas fatwa baaj mullah aur unke awara kide makode Google  mukallid.
Jo Amal Musalamano k Nazdeek Accha Hai lihaja wo Allah ki bargaah me bhi makbool hai chunache Hadees E Paak Mulahiza Kare.  
Hadees :
“Hazrat Abdullah bin Mas’ood Radi Allaho Anho Se Riwayat Hai Ki Unhone Farmaya :
Jis (Amal) Ko Koi (Aik) Momin Achchha Jaane Woh (Amal) Allah Ta’ala Ke Nazdeek Bhi Achchha Hai Aur Jis Amal Ko Momineen Bura Jaane Woh Khuda Ke Nazdeek Bhi Bura Hai.”
References :
(Musnad Ahmad Ibn Hambal Vol : 02, Pg : 513, Musnad Abdullah Ibn Abbas, Hadees : 3600) 
Gair Mukallideen K yaha bhi English me jo 03 Volume me Musnad Aati hai uska reference
(Musnad Ahmad ibn Hambal Vol : 03, Pg : 284, Hadees : 3600 Print Darusalam English Translation)
Hadees Classified As Hasan. Scan page Niche Hai

(Imam Hakim Al Mustadraq Vol :03, Pg  83, Hadees  : 4465)(Imam Tabrani Al Mujam Ul Kabir Vol : 09, Pg : 112, Hadees : 8583)
(Imam Bazzar Al Musnad Vol : 05, Pg : 212, Hadees : 1816)
Is hadees E paak se wajeh huwa k Musalman is amal ko accha jaan karte hai lihaja jo isko biddat kahe wo kaisa nira jaahil bunyaadi ahkamat e shariat se khali hai.
Magar kuch log nahi manege aur kahenge k biddat hai haraam hai lihaja iski bhi Dalil padhle
Hadees :
“Hazrat Jareer Bin Abdullah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya :
Jis Ne Koi Achchha Tareeqa Jaari Kiya Phir Us Par Amal Kiya Gaya To Us Ke Liye Apana Sawaab Bhi Hai Aur Use Amal Karne Waalon Ke Baraabar Sawaab Bhi Milega.
Jab Ki Un Ke Sawaab Me Koi Kamee (Bhi) Na Hogi Aur Jis Ne Koi Bura Tareeka Jaari Kiya.
Phir Woh Tareeqa Apnaaya Gaya To Us Ke Liye Apana Gunaah Bhi Hai Aur Logon Ke Gunaah Ke Baraabar Bhi Jo Us Par Amal Paira Huwe. Baghair Us Ke Ki Un Ke Gunahon Me Kuchh Kamee Ho.” References :
(Jamai Tirmizi Vol : 05, Pg : 71, Kitabul Ilm, Baab : Hadees : 2675)
قَالَ أَبُو عِيسَى هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ ‏.‏
Imam Abu Isaa Tirmizi Farmate Hai Ye Hadees Hasan Sahi Hai
Scan page Niche Kitab ko Takreejh Kiya Hai Wahabiyo K Muhadis E Aazam Pakistan Hafiz Zuber Ali Zai Sahab ne Aur Uska Translation khud Abu Khallyl ne Kiya hai Jo Print Huwi Darus Salam Se Farmaya YE Hadees Sahi Hai. Isi hadees ko
(Sunan Ibn Majah  Vol :01, Pg :210, Kitab Al Sunnah, Baab : Wo Shaks Jo Acchi ya Bura Amal Izaad kare, Hadees : 203 )
Wahabi Darusalam Ye Hadees Sahi Hai Takreej Zuber Ali Zai (Sunan Nasai Vol : 03,Pg :275, Kitabul Zakat, Hadees :2555)
(Hafiz Ibn Hajar Asqalani Fath Ul Baari Vol : 05, Pg : 43, Hadees : 2675)
Is hadees se wajeh huwa jo koi kisi nek acche amal ko jaari kare to uske liye bhi sawab hai aur jab tak amal hoga to sabke barabar bhi sawab hai aur hadees k dusre alfaz me hai k jo bura kaam izaad kare wo gunaah hai aur uska gunaah izaad karne waale k sar bhi hoga aur jisne izaad kiya uske bhi.
To yaha kabil E gaur baat ye hai k kya Mehfil E Gausiya Munakkid karna Auliya Allah Ka tazkira karna kya gunaah hai bura amal hai agar koi wahabi apni maa ka halali ho to saabit karke dikhade.
11vi Sharif Me Kya Amal Hota Hai ?
Hazrat Sayyidna Shaykh Abdul Qadir Jilani Al Baghdadi Rahmatullah Alaih k Halaat E Zindagi Unki Seerat ka tazkira hota hai, Quran E Mukaddas ki tilawat hoti hai, Naat E Mustafa Padhi jaati hai, Mankabat padhi jaati hai, Durood o Salam padha jata hai, Logo ko Khana Khilaya Jaata hai jisse Langar Sharif Kahte hai wagairah wagairah Kya Ye Amal Bura hai ?
Koi Wahabi Iska Jawab Dede hume ?
01) Tazkira E Auliya Karna Quran Se Saabit Hai  
Quran E Karim Me Rab Taala Ne Bahot Se Makamat pe Auliya Allah Ka Tazkira Farmaya Hai Chunache yaha hum Kuch ka Bayan karte hai
أَلا إِنَّ أَولِياءَ اللَّهِ لا خَوفٌ عَلَيهِم وَلا هُم يَحزَنونَ
“Sun Lo Beshak Allah K Waliyo Par Naa Kuch Khauf hai Na Kuch Gam”
(Surah Yunus Ayat 62)

فَاذكُروني أَذكُركُم وَاشكُروا لي وَلا تَكفُرونِ
“To Meri Yaad Karo Mai Tumhara Charcha karunga”
(Surah Baqraah Ayat 152)
Allah Taala Charcha Kis Tarah Karega ?
Hadees :
Hazrat Abu Hurairah رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Riwayat Karte Hain Ke Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه و آله وسلم Ney Farmaya :
Jab Allah Ta’ala Kisi Bandey Sey Muhabbat Karta Hai To Hazrat Jibra’il  عليه السلام Ko Aawaaz Deyta Hey Ke Allah Ta’ala Fula’n Bandey Se Muhabbat Rakhta Hey, Lihaaza Tum Bhi Us Sey Muhabbat Karo Phir Hazrat Jibra’il عليه السلام Us Sey Muhabbat Karta Hain.
Phir Hazrat Jibra’il عليه السلام Aasmaani Makhlooq Mey Nida (Aawaaz) Detey Hain Ke Allah Ta’ala Fula’n Bandey Sey Muhabbat Karta Hey.
Lihaaza Tum Bhi Us Sey Muhabbat Karo.
Pas Aasmaan Waaley Bhi Us Sey Muhabbat Karney Lagtey Hey.
Phir Zameen Waalon (Key Dilon) Mey Us Ki Maqbooliyat Rakh Dee Jaati Hey.”
References :
(Al Muwatta Imam Malik, Vol : 02, Pg : 953, Kitab No 51, Saher (Hair), Hadees : 1747 “English : Book 51, Hadees : 15”)
(Sahi Bukhari, Vol : 08, Pg : 78, Kitab No :78  Kitabul Adab, Baab : Al Mikati Minalihi Taala, Hadees : 6040 )
(Sahi Bukhari,Vol :09, Pg : 351, Kitab No 97 Kitabut Tawheed, Hadees : 7485)
(Sahi Bukhari,Vol : 04, Pg : 276 Kitab No 59 Kitab Baadil Khalk, Hadees : 3209)
(Sahi Muslim, Vol :06, Pg : 496, Kitab No 45 Kitabul Birr Walsala Wal Adab, Baab : Hadees : 2637 , “English : Book 45,Hadees : 201”)
(Musnad E Ahmad Vol : 02, Pg : 509, Hadees : 10623)
(Imam Abu Noem Hilyatul Aulia Vol : 07, Pg :141)
(Imam Bayhaqi Shoebul Imaan Kitabuz Zuhad, Vol :02 pg:301 Hadees :805)
(Jamai Tirmiz,  Kitabul Tafseer, baab Surah Mariam Hadees :3161 )
(Imam Nawawi - Riyadusalaheen Vol : 01, Pg : 525, Kitab No : 01, Kitab Al Mukadama, Hadees : 387)
(40 Hadees E Qudsi, Pg : 65, Hadees No : 24)
Allah Tabarkwatala Aise bando k liye Jibril E Ameen ko Mukhatib Karke Unse Farmata hai Mai Is Se Muhabbat Karta hoon Tum Bhi karo Farsihto Me bhi Ailan Karo k inse Muhabbat Kare Aur Sirf Farishte hi nahi balki Jameen Me Musalmano k Dilo me bhi inki muhabbat ko daal dete hai pata chala jinke dilo me wo azmat e Auliya Muhabbat E Auliya Daal di gayi hai wo hi Musalman hai aur jo sina Us Layak hi nahi hai wo mehroom reh gaya.
Mubarak ho sunni tujhe k ALLAH Taala Ne Apne Mehboob bando ki Muhabbat Tere Dil Me Daal Di isliye hum jinse muhabbat karte hai unka tazkira karte hai aur khush hote hai.
02) Auliya Allah ki Karamat Bayan Karne Ka Saboot
Hazrat Asaf bin Barkhiya Jo Hazrat Suleman Alaihsalam k ummat kay Kitab k aalim they unki Karamat ko Quran bayan karta Hai
قالَ الَّذي عِندَهُ عِلمٌ مِنَ الكِتابِ أَنا آتيكَ بِهِ قَبلَ أَن يَرتَدَّ إِلَيكَ طَرفُكَ ۚ فَلَمّا رَآهُ مُستَقِرًّا عِندَهُ قالَ هٰذا مِن فَضلِ رَبّي لِيَبلُوَني أَأَشكُرُ أَم أَكفُرُ ۖ وَمَن شَكَرَ فَإِنَّما يَشكُرُ لِنَفسِهِ ۖ وَمَن كَفَرَ فَإِنَّ رَبّي غَنِيٌّ كَريمٌ
“Usne Arz Ki kay Jiske Pass Kitab Ka Ilm Tha Ki Mai Usse Huzoor Me Hazir Kar Dunga Ek Pal Maarne Se Pahle Phir Jab Suleman Ne Takht Ko Apne pass Rakha Dekha Kaha Ye Mere Rab k Fazl Se Hai Taaki Mujhe Aazmaye Mai Shukri Karta Hoon Ya Nashukri Aur Jo Shukr Kare Wo Apne bhale ko shukr karta hai aur jo naa shukri kare to mera Rab Be Parwaah Hai Sab Khoobiyo Waala”
(Surah Naml Ayat 40)
Yaha Karamat E Auliya nass e Quran Se Saabit hogayi jo Hazrat Suleman Alaihsalam ki ummat k wali hai jo kitab k aalim the unka aalam ye hai k palak jhapakne se pahle takht e Bilkis jo hazaro Mills duri pe hai apne makam me rehte huwe wo takht hazir kar diye aaj Koi Ahle Sunnat K Ulema Haqiki Ummat E Muhammadiya k Auliya ki Karamat aisi bayan karde to wahabi Shaykh Chilli isko Kissa kahani bolte nazar Aate hai yakinan in badmazhab ne Quran ko padha hi nahi hai aur padha to khawarij k Dastarkwhan se padha hai.
03) Auliya Allah Ki Shaan Me Manqabat padhne Ka Saboot
Mankabat Auliya Allah Ki Shaan me padha Jaata Hai Ab Dekhe Quran E Karim Me Kitni Shan E Auliya Khud Rab Taala Ne Bayan Ki Hai
Puri ki puri Surah Kahaf utar di un Hazrat Isaa Alaihsalam Ki Ummat k Auliya k shaan Me Yaha tak k unke Kutte ka bhi Tazkira Kiya wo sote kaise the karwat kaise lete the Aur Wo ALLAH ki Nishaniya the.
Surah Mariam Sayyida Mariam Radi Allaho Anho k Naam Se Jo Auliya E Kamila thi.
Hazrat Khizr Alaihsalam ka Tazkira, Sayyida Asiya tazkira ka Surah Tehrim Ayat 11 me
Ye Kya hai Un Auliya Allah ki Shan Fazail Manakib Hi to hai ab Auliya Allah Ka tazkira biddat kaise huwa ?  
04) Logo Ko Khana Khilane Ka Saboot
Musalman Khiraj E Aqeedat Me Logo ko Khana Khilate hai aur us khilane ka Sawab Un Auliya Allah ki bargaah e Aqdas me Hadiya tan pesh karte hai wahabi Shaykh Chilli isko bhi biddat kahte hai.
Hadees :
Hazrat Abdullah Ibn Amr  رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  ne farmaya Nabi E Rehmat صلى الله عليه و آله وسلم se Poocha Gaya Konsa Islam Behtar Hai ?
Nabi E Rehmat صلى الله عليه و آله وسلم  ne farmaya Logon Ko KHANA KHILAO Aur Jisse Jaante Ho Jise Na Jaante Ho Sabko Salaam Karo”
References :
(Sahi Bukhari, Vol : 01, Kitab No 02 Kitab Al Imaan, Hadees : 27)
(Sahi Bukhari Hadees : 6236)
(Imam Bukhari Al Adabul Mufrad Vol : 01, Kitab No 42 Kitabus Salam, Hadees : 1013) Albani ne bhi is hadees ko sahi likha hai.
(Jamae Tirmizi,  Vol 02, Baab : Khana Khilane Ki Fazilat Ka Bayan, Hadees : 1855)
To Pata chala Logo ko Khana Khilane Ki Asl bhi Hadees E Sahi Se paayi gayi to ab ek saath hazaro Musalmano ko Khana Khila Diya jaaye aur aqeeda ye ho k khana khilane ka sawab Buzurgan E Deen ki Arwaah E Mukaddasa Ko pahuchega jisko Langar kaha jaata hai kya ye haraam hogaya ?
Allah Taala Aql de.

11vi Sharif Fukaha Ulema Muhadiseen Ki Nazar Me
Hazrat Shaykh Abdul Muhadis Dahelvi Bukhari Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 1052 Hizri) Inko Teeno Maktab E Fiqr maante hai Chahe Ahle Hadees Ho Devbandi Ho Yaa Ahle Sunnat ho Wo kya Kahte hai is baare me
“”Beshak hamare Mulk Me Aaj Kal (Urs Paak Gaus E Aazam yaani Gyarvi Sharif ki) Gyarvi Tareekh Mashoor Hai Aur ye Tarikh aapki Hindi Aulad Wa Mashaikh Me Mutarif hai isi tarah Hamare Shaykh Abul Mahani Sayyad Shaikh Moosa Al Hussaini Ne Karke Likha Hai Shaikh Abdul Haq  Kay Ustad Aur Peer Imam Abdul Wahab Muttaki Makki Alaihrehma bhi Isi Tareekh Ko Gyarvi Sharif Ka Khatm Dilaya karte The Aur Unke Mashaikh Bhi”
(Maa Sabata Min As Sunnah Pg : 124)

Shah Waliullah Muhadis Dahelvi (Al Mutwaffa ) Jinhe Ahle hadees kahte hai wo hamare the Aur bahot maante hai unko
Unke Maktoobat Ka Mazmua usme unhone ek lamba waqya Gyarvi Sharif K Jawaz Pe Likha Hai  jiska mafoom yaha hum bayan kar rahe hai
“Maktoobat Hazrat Mirza Mazhar Jaane Alaihrehma k ek maktoobat me hai unhone khwab dekha Bahot Se Auliya Halka Bandh k murakbe me hai Aur Ussi Mehfil Me Maula Ali Karmallahu Wajhual Karim tashreef farma huwe Aur Saath Me Owais Al Qarni bhi the Sab Ek Huzre Sharif me Daakhil huwe jaha noor ki barish horahi thi Jab Wajah Daryaft ki to ek shaks ne kaha Aaj Gaus Us Saqlain Ka urs gyarvi hai urs paak ki takrib par tashreef le gaye hai”
(Kalimat E Tayyabat Farsi Pg : 78, Matbooa Delhi)

Aur Bhi bahot Se Fuqaha Ulema ne Iske jawaz likhe hai
Hazrat Aurangzeb Alaihrehma k Ustad Mulla Ali Jeevan Alaihrehma k Sahabzaade Wa Jijuseerat Me Allama Gulam Sarwar Lahori Alaihrehma ne Khazinatul Asfiya Vol : 01 pg 99
Hazrat Daaro Shiko Ne Safinatul Auliya Pg : 72
Shaykh Abdul Haq Muhadis Dahelvi ne Akbarul Akhyar pg : 24
Shah Abul Mauli Alaihrehma Tohfa E Qadriya pg : 90 me
Aap Alaihrehma K 11vi Sharif K Inakad k jawaz K Mutallik Likha Hai.

11vi Sharif Manane Ka Jawaz Mukalifeen Ki Kutoob Se
Shah Ismail Dahelvi Sahab Jinko Wahabi Devbandi Dono Maante hai jinhe baani e Wahabiyat Al Hind bhi kaha jaata hai wo Fatiha Isaal E Sawab K Mutallik Farmate hai
Pehla Ifada
“Taalib ko chahye k pehle baa waju 02 jaanu bethke is tarah k buzurgo me jaise Moinudin Sanjari, Khwaja Bakhtiyar Kaki wagairah hazrat kay naam ka Fatiha padhke bargaah e khudawandi me In buzurgo se tawasut aur  waseele se ilteza kare niya aur niyaz aur beandaz aur jaari beshumari k saath apne kaam ka fateh k liye dua kare”
(Seerat E Mustakim Pg : 215)
Khud Ulema E Devband K Peer O Murshid Haji Imdadullah Muhazir Makki Sahab Apni Kitab Me Likhte Hai
“Yeh  Hayyate Murwazza Isaal E Sawab Kisi Kaum K Saath Makhsoos Nahi Aur Gyarvi Sharif Hazrat Gaus E Paak Rehmatullah Alaih Ki Aur Duswa, Beeswa, Chehloom, Shashmahi, Salana (urs) Wagairah Aur Tosha Hazrat Shaykh Ahmad Abdul Haq Rudaulvi Rahmatullah Alaih Aur Sah Mani Hazrat Shah Boo Ali Kalandar Rahmatullah Alaih Wa Halwa E Shabe Baraat Wa Deegar Tarika Isaal E Sawab k Isi Kayde par Mabni Hai”
(Faisla Hafte Masla Pg : 08)
Jamiat E Ahle Hadees K bahot Bade Aalim maane jaane wale Shyakh Sanaullah Amritsari Sahab jinko ye log Sher E Punjab, Munazir E Aazam kahte Hai Wo unke rasail ko jama kiya gaya usme wo farmate hai unse sawal huwa
Sawal Gyarvi Barwi Karna Kaisa  ?
Jawab :
“Dar Asal Isme Do Giroh Hai Jo Gyarwi Manane Waale hai Kayleen hai Aur Jo Inkaar Karne waale hai Manay’en Hai (mana Karne Waale) hai.
Jo Manayeen hai Wo Isko usme Shamil karte hai aur kahte hai nazr o niyaz sirf ALLAH k liye tumne Gairullah ko Khuda Bana Diya
Aur jo Kayleen Hai wo kahte hai humne Khuda Nahi Banaya unko sawab pahuchane k liye banaya hai.
Agar Baat Sirf itni ho K Sawab Buzurgo ko pahuche Khana Naa Pahuche Khana Hum Khai to ittefak hosakta hai Lekin Ye Gyarvi Aur Barwi Naam Quran Aur Sunnat Me Nahi Likha”
(Fatawa Sanaya  Vol :02, Pg :  71 )
Ab yaha Sanaullah Sahab ne bhi iska jawaz likha yaha tak hum muttafik hai lekin unhone fitrat k mutabik ek teer choda k naam Quran Aur Sunnat me nahi aaya lihaja 11vi Kahna Jaiz Nahi ?
Hamara Ek Chota Sa Sawal hai khud in logo se Kya Bukhari Muslim Ye hadees ki kitab Jo padte ho Naam QURAN AUR SUNNAT me aaya hai ?
Fatawa Sanaiya Ye Naam Khud Quran Sunnat me aaya hai ?
Apni jamaat ka naam Ahle Hadees rakhna ye naam Quran Sunnat me aaya hai ?
To Jawab denge ye to tarruf hai to janab e Wahabiya 11vi Gaus E Aaazam Ka Tarruf hai Chatti Sharif Khwaja Moinudin Chisti ka tarruf hai.
Kya 11vi Sharif Sirf Hindustan Aur Pakistan Me Manayi Jaati Hai ?
Shah Abdul Aziz Muhadis Dahelvi Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 1239 Hizri) jo Hazrat Shah Waliullah K bete Bhi Hai Aur Wahabiyo k Aaka Aur Maula Shah Ismail Dahelvi k Chacha bhi
Wo khud Apne wakt ki baat Farmate Hai k 11 vi Sharif Sarkari taur pe Manayi jaati thi
“Farmate Hai ki Hazrat Gaus Aazam Radi Allaho Anho k Rauz E Mubarak Par Gyarvi Tareekh Ko Badhshah Wagaira Shaher k Aqabeerin Jama Hote Namaz  E Asr K Baad Magrib Tak Kalamullah k baad Sazzada Nasheen Darmiyan Me Tashrif Farma Hote Aur Unke Ird Gird Mureedin Aur Halka bagosh Baith Kar Jikr Jehar Karte Isi Halaat me baaj Par Wazdani Kaifiyat Taari Hojati Uske Tamam Shirni Jo Niyaz tayyar Ki Hoti Taksim Ki jaati Aur Namaz E Isha padhke Log Rukhsat Hote”
(Malfoozat E Azizya pg : 62 Farsi)
Ye Us wakt k muhadiseen ka kahna hai jab Aala Hazrat Alaihrehma ki wiladat bhi nhi huwi thi to ye amal ko Bareli Me Aala Hazrat ne izaad nahi kiya balki Muhadeesin ka Manhaj bhi yehi tha.
Kuch Ahmakana Aitraaz Ka Jawab
1. Aapne Dalil Pesh ki k jo amal musalman Accha samjhe wo Allah k nazdeek accha hai aur aage likha hai jo Musalman bura samjhe wo bura hai to hum is amal ko bura samajhte hai lihaja ye bura hai ?
Al Jawab : Awwal to ye k aapke samajhne se wo bura nahi hota k jo aapka dil chahe aap samjhe aur bura kahde.  
Bura hone ki dalil deni padti hai dusra ye k ye amal accha hai ye aqwal Jamhoor muhadiseen ka hai aur unke tarike pe hum hai.
Lihaja ye kahna k Hum bura samajhte hai to bura hogaya aisa nahi hota balki is amal ko Muhadiseen ne Fukaha Auliya ne Accha Samjha hai.
2. Bahot se jagah khurrafat hoti hai Lihaja Us Bina Pe Gyarvi Jaiz Nahi Hai ?
Al Jawab : Jo Koi Aise nek amal me khurrafat kare to iska jimma khud uske sar hai naaki Ahle Sunnat Wa Jamaat iske liye jimmedar hai.
Jo Amal Koi galat kare to us amal ki mazzamat ki jaati hai naaki uski asl ko khatm kiya jaata hai.
Aapki kaum e wahabiya ka haal ye hai bimari khatm nahi karti wo mariz ko hi khatm kar rahi hai.
Aaj Musalman kahlane waale aqsar logo k yaha Shadi me kya hota hai gair sharai Rasmaat gar kar chuki hai DJ gaana Bajana Be pardgi Khilaf E Sunnat kaam bilkul aam hai Is baat ka inkaar koi Wahabi ka Shaykh nahi kar sakta kya koi Wahabi Shaykh Chilli kahega k chunki ab Khurrafat horhai hai lihaja Shadi karna band kardo ?
Yaa ye kahega k Shadi Nikaah to nahi band hoga lekin Khurrafat ki mazzamat kar us amal se kaum ko roka jayga naaki Asl ko hi band karne ka kaam kiya jayga Aur Koi Wahabi yaha ye nahi kah sakta k ye Dunyawi maamlaat hai balki shadi ka talluk deen se hai jo Sawab ki niyat se hoti hai warna wahabio ki badi purani chor raste se nikalne ki aadat hai wo ye kahte hai isko Deen Samajh k nahi karte ?
Matlab ye hai kya ? k Koi Musalman Kisi amal ko Deen Samajh k kare to ALLAH Gunaah Dega Saza Dega aur agar Dunya Samajh kar kare to nahi dega ?
Galat kaam goya Deen Samajh k karo to bhi Saza Hai Dunya Samajh kar karo to bhi.
Allah Taala Hume Auliya Ki Muhabbat Me Zinda Rakhe Aur Ussi Me Maut Ata Farmaye Ahle Sunnat K Sacche Maslak Pe Kayam Rakhe Pray for All Sunni Around The World By Sher Ali Hanfi

No comments:

Post a Comment