GAIR ALLAH SE MADAD MANGNA
KAISA
1 Allah Kareem ka
Naiki k kamon main aik dosray ki madad karnay k hukum dayna
AUR NAIKI AUR PARHAIZGARI PAR AIK DOSRAY KI MADAD KARO AUR GUNAH AUR ZIADTI PAR BAHAM MADAD NA DO. Sura e Maida-2, Para 2, Kanzul Imaan 2 Ghair Allah say madad mangnay ka hukum AUR SABAR AUR NAMAZ SAY MADAD CHAHO. Sura e Baqarah-45, Para 1, Kanzul Imaan
3 Nabi ka Ghair Allah ki madad k husool k liye Allah ki
bargah main arz karna.
AUR MERAY LIYE MERAY GHAR WALON MAIN SAY AIK WAZEER KARDAY, WOH KAUN MERA BHAI, HAROON, IS SAY MERI KAMAR MAZBOOT KAR. Sura e Ta Ha-29,30,31, Kanzul Imaan 4 Allah Taala ka khud Anbia e Kiram ko madad karnay ka hukum TO TUM ZAROOR USPAR IMAAN LANA AUR ZAROOR USKI MADAD KARNA Sura e Aal e Imran-81, Kanzul Imaan 5 Allah Taala ka Ghair Allah ko madadgaar farmana TO BESHAK ALLAH UNKA MADADGAAR HAY AUR JIBRAEL AUR NAIK IMAAN WALAY AUR USKAY BAAD FARISHTAY MADAD PAR HAIN 6 Nabi ka shifa ata farmana aur murdon ko zindah kardayna MAIN TUMHARAY LIYE MATTI SAY PARIND KI SI MOORAT BANATA HOON PHIR USMAIN PHOONK MARTA HOON TO WOH FORAN PARIND HOJATI HAY ALLAH K HUKUM SAY, AUR MAIN SHIFA DAYTA HOON MADARZAAD ANDHAY AUR SUFAID DAAGH WALAY KO, AUR MAIN MURDAYJILATA HOON ALLAH K HUKUM SAY Sura e Aal e Imran-49, Kanzul Imaan 7 Ahmad relates in his Musnad (4:217)
that at the time of the greatest fitna of the Dajjal, when the Muslims will be at their weakest point, and just before `Isa ibn Maryam descends at the time of salat al-fajr, people will hear a caller calling out three times:“O people, al-ghawth (the helper) has come to you!”
==================================================================
HADEES # 1
HAZRAT ABU ISHAQ ASH'ARI RADIALLA TAALA ANHU FARMATE HAIN, MADINA ME HAMARE SATH EK ADMI REHTA THA, JAB BHI WO KISI BURAI KO DEKHTA AUR USEY APNE HATH SE ROKNE KI QUWWAT NA RAKHTA, TAB WO HUZUR SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM KI QABR KE PAAS CHALA JATA AUR IS TARAH KEHTA KI
"AYE SAHIB-E-QABR, NABI SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM, AYE SAHABA, AYE HAMARE MADADGAR, HAMARE HALAAT KO DEKHIYE" [SHUA'B UL IMAN BY IMAM BAYHAQI, PUBLISH: MAQTABAH AR-RASHAD, RIYADH/SAUDIA HADITH NUMBER 3879] SCAN PAGE:
HADEES # 2
HAZRAT ABU HARB HILALI RADIALLA TAALA ANHU FARMATE HAIN, EK MARTABA EK ARABI HAJJ KARNE AAYA, FIR MASJID-E-NABWI ME HAZIR HUA, USNE APNA OONT BAHAR BANDH DIYA, FIR QABR KE PAIR KI JABI KHADA HUA AUR KAHA
"AYE NABI SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM, MAINE GUNAH KIYE HAIN, SO MAI APKI BARGAH ME HAZIR HUA HU TAKI APKO APNI DUAAO ME WASEELA BANA LU, KYUNKI ALLAH NE APNI KITAB ME FARMAYA HAI KI 'AUR JAB YE LOG APNI JAANO PER ZULM KAREN TO PEHLE TUMHARE HUZUR HAZIR HO, FIR ALLAH SE APNE LIYE MADAD CHAHEN, FIR JAB RASOOL BHI UNKE LIYE MAGHFIRAT KI DUA FARMA DEN, TAB YE APNE RABO BADA MAAF KARNE WALA PAYENGE' (QURAN: 4/64) [SHUAB UL IMAN VOLUME 006, PAGE NO. 60 HADITH NUMBER 3879-80]" ULAMA KI BAHOT BADI JAMAT IS HADEES SE AMBIYA KE WISAL KE BAAD BHI WASEELA KE LIYE ISTEDLAL KARTI HAI.
SCAN PAGE:
HADEES # 3
EK SHAKS KAI BAR HAZRAT USMAN BIN AFFAN RADIALLA TAALA ANHU KE PAAS APNI HAJAT RAWAI KE LIYE AATA, LEKIN HAZRAT USMAN RADIALLA TAALA ANHU NE USPAR TAWAJJOH NAHI DIYA,
TAB WO HAZRAT USMAN BIN HUNAIF RADIALLA TAALA ANHU KE PAAS GAYA AUR MAAMLE KI SHIKAYAT KI. TO HAZRAT USMAN BIN HUNAIF RADIALLA TAALA ANHU NE FARMAYA: JAAO, ACHHI TARAH WUZU KARO, AUR FIR MASJID ME AAKAR 2 RAKAT NAMAZ ADA KARO, AUR FIR IS TARAH KAHO, ''AYE ALLAH! MAI TUJHSE SAWAL KARTA HU, AUR TERI TARAF RUKH KARTA HU, AUR MUAHMMED ALLALLAHO ALAIHE WASALLAM NABI-E-REHMAT KE WASEELE SE TUJHSE DUA KARTA HU, AYE MOHAMMED SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM, MAINE APNI HAJAT KE LIYE APKE WASEELE SE ALLAH KI TARAF RUKH KIYA, AYE ALLAH! YE WASEELA QUBUL FARMA'' AUR FIR APNI HAAJAT PESH KARO, AUR FIR MAI TUMHARE SATH HAZRAT USMAN RADIALLA TAALA ANHU KE PAAS CHALTA HU. . TO US SHAKS NE WAISA HI KIYA, JAISA KI USE KARNE KE LIYE KAHA GAYA THA, FIR ISKE BAAD WO HAZRAT USMAN RADIALLA TAALA ANHU KI BARGAH ME HAZIR HUA, DARWAZE WALE NE IS SHAKS KA HATH PAKDA AUR HAZRAT USMAN RADIALLA TAALA ANHU KE PAAS LE JAAKAR BITHA DIYA, HAZRAT USMAN RADIALLA TAALA ANHU NE PUCHA, 'TUMHE KYA CHAHIYE?' TO US SHAKS NE APNI HAJAT PESH KIYA, JO KUCH USE ZARURAT THI, TAB HAZRAT USMAN RADIALLA TAALA ANHU NE USE ATA FARMA DIYA. . IS HADEES KO IMAM MUNZIRI RADIALLA TAALA ANHU NE SALAT-UL-HAJAT ME NAQAL FARMAYA HAI, AUR KAHA KI IMAM TABRANI NE IS HADEES KI SANAD KO SAHIH KAHA HAI.
SCAN PAGE :
[AT-TARGHEEB WA TARHEEB, PAGE NO. 129 IN THE CHAPTER OF SALAATAL HAAJAT]
ISNAAD: TABARANI RELATED THIS IN AL-MU‘JAM-UL-KABIR (9:31#8311) AND AL-MU‘JAM-US-SAGHIR (1:183-4). THERE WERE OTHER SCHOLARS AND TRADITIONISTS WOH NARRATED THIS HADITH SUCH AS AL-BAYHAQI, DALA’IL-UN-NUBUWWAH (6:167-8); MUNDHIRI, AT-TARGHIB WAT-TARHIB (1:474-6); SUBKI , SHIFA’-US-SIQAM FI ZIYARAT KHAYR-IL-ANAM (P.125); HAYTHAMI, MAJMA‘-UZ-ZAWA’ID (2:279); AND SUYUTI IN AL-KHASA’IS-UL-KUBRA (2:201-2). MUNDHIRI GRADED IT SAHIH (SOUND). SCAN PAGE:
ISI HADEES KO IMAM BAYHAQI NE APNI DALAILUN NABUWWA ME NAQAL KIYA.
[DALA’IL UN NUBUWWAH VOLUME 006, PAGE NO 167-8, FRONT COVER, DALA’IL UN NUBUWWAH, PUBLISHED BY DAR AL-KUTUB AL-ILMIYAH, BEIRUT, LEBANON] SCAN PAGES :
HADEES # 4
ABU-AL-JAWAZA AWS BIN ABDULLAH RADIALLA TAALA ANHU SE IMAM DARIMI RIWAYAT KARTE HAIN KI, MADINA KE LOG EK BAR SUKHA PADNE KI WAJA SE PARESHAN HO GAYE,
WOH HAZRAT AYESHA SIDDIQA RADIALLA TAALA ANHA KE PAS APNI SHIKAYAT LEKAR PAHUCHE, AAPNE FARMAYA KI RASOOLULLAH ALAIHE SALAM KI QABR KE PAAS JAAO, AUR UNKE RAUZE AUR ASMAN KE DARMIYAN UPAR EK KHIDKI KHOL DO, TAKI RAUZA-E-AQDAS AUR ASMAN KE DARMIYAN KOI PARDA NA REH JAYE, RAAWI FARMATE HAIN KI HUMNE AISA KIYA TO BAHOT ZOR SE BARISH SHURU HO GAYI, HARI BHARI GHAAS NIKAL AAYIN, AUR HAMARE OONT MOTE HO GAYE, KI LAGTA THA ZYADA KHANE KI WAJA SE PHOOT PADENGE. SO IS SAAL KA NAAM HARIYALI WALA SAAL RAKHA GAYA. (SUNAN DARIMI VOLUME 001, PAGE 227, HADITHNUMBER 093) SCAN PAGE:
ISNAAD: MUHAMMAD BIN ‘ALAWI AL-MALIKI FARMATE HAIN KI ISKE RAAWI ACHHE HAIN, SO ISKI SANAD SAHEEH HAI,AUR ISKE TAMAM ISTEDLAL BHAROSEMAND HAIN.
. [SHIFA’-UL-FU’A D BI-ZIYARAT KHAYR--IL-‘IBAD PAGE NO.153]
C. IBN-UL-JAWZĪ IN AL-WAFĀ’ BI-AHWĀL-IL-MUS TAFĀ (2:801)SCAN PAGE :
FRONT COVER:
D. SUBKĪ IN SHIFĀ’-US-SIQĀM FĪ ZIYĀRAT KHAYR-IL-ANĀM (P.128) E. QASTALLĀNĪ IN AL-MAWĀHIB-UL-L ADUNIYYAH (4:276); AND ZURQĀNĪ IN HIS COMMENTARY(11:1 50) . CHAIN: ABU NUMAN NE SAID BIN ZAYD SE, UNHONE AMR BIN MALIK AN NUKRI SE AUR UNHONE ABU AL JAWZA AWS BIN ABDULLAH SE SUNA, UNSE YE RIWAYAT KIYA GAYA.
HADEES # 5
DAWOOD BIN ABU SALIH SE RIWAYAT HAI, EK DIN MARWAN AAYA AUR USNE DEKHA KI EK SHAKS RAUZA-E-QADAS KE PAAS BAITHA HUA HAI AUR USNE APNE MUH KO QABR-E-ANWAR SE LAGA DIYA HAI. YE DEKHKAR MARWAN NE USSE KAHA
"TUMHE PATA HAI YE TUM KYA KAR RAHE HO??" YE SUNKAR JAB WO SHAKS PALTE TO DEKHA KI WO SAHABI-E-RASOL HAZRAT ABU AYYUB ANSARI RADIA TALLA ANHU THE, AUR UNHONE JAWAB DIYA "HAAN, MAI JANTA HU, AUR MAI YAHAN ALLAH KE RASOOL ALAIHE SALAM KE PAAS AAYA HU, KISI PATTHAR KE PAAS NAHI AAYA. MAINE RASOOL SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM KO KEHTE HUE SUNA KI MAZHAB PAR MAT RONA JABKI ISKE REHBAR QABIL HO, HAAN MAZHAB PAR AANSU BAHANA JABKI ISKE REHBAR QABIL NA HO." [AHMAD BIN HAMBAL WITH A SOUND CHAIN OF TRANSMISSIONIN HIS MUSNAD VOLUME 017, PAGE NO. 42-43,HADITH NUMBER 23476, FRONT COVER MUSNAD AHMAD BIN HAMBAL, PUBLISH: DAR AL-HADITH AL-QAHIRA MISR]
IS HADEES KO KHUD IMAM AHMED BIN HANBAL NE SAHI SANAD KE SATH BAYAN KIYA., AUR IMAM HAKIM NE KAHA KI BUKHARI AUR MUSLIM KI SHARTO KE MUTABIQ IS HADEES KI TAMAM ISNAAD SAHI HAIN.
AUR IMAM ZAHBI NE BHI ISKI SANAD SAHI BAYAN KIYA HAI. [AL-MUSTADRAK 4:520, HADITH # 8571] ISI HADEES KO DUSRI SANAD KAY SAATH IMAM TABRAI NE NAQAL KIYA HAI APNI KITAB: MA'JAM AL AUSATH, VOLUME : 1, PAGE : 94, HADITH NUMBER : 284 SCAN PAGE :
VOLUME : 1, PAGE : 94, HADITH NUMBER : 284
TAQI UD DIN SUBKI, BOOK : SHIFA AS SIQAM, CHAPTER : FASL ATH THANI ; FI TATABBA KALIMAATIHI, VOLUME : 1, PAGE : 342-343 SCAN PAGE :
FRONT COVER SHIFA AS SIQAM
VOLUME : 1, PAGE : 342
PAGE: 343
KUCH LOGO KA KEHNA HAI KI UPAR KI SANAD ME DAWUD BIN ABU SALIH MAJHOOL HAI LEKIN SHEIKUL ISLAM IMAM HAJAR ASQALANI RAHIMULLAH NE APNI KITAB TAQRIB UT TAHDHIB VOLUME 1, PAGE 306, NARRATOR NO: 1802 [ONLINE VERSION: 1792] ME MAQBOOL LIKHA HAI.SCAN PAGE :
FRONT COVER :
VOLUME 1, PAGE 306, NARRATOR NO: 1802
SUBHAN ALLAH,
1: IS HADEES SE SAHABA KA AQEEDA BHI PATA CHALTA HAI KI RASOOLULLAH ALAIHE SALAM KI QABR KE PAAS JANE KA MATLAB WO RASOOLULLAH KE QARIB JANA HI SAMAJHTE HAIN, 2: HAZRAT ABU AYYUB ANSARI RADIALLA TAALA ANHU NE APNE MUH KO RAUZA-E-AQDAS SE LAGA DIYA THA, YANI BOSA LIYA, 3: QABR-E-ANWAR KI MISAL KISI PATTHAR YA MURTI/BUTT SE NAHI DIYA JA SAKTA, YEHI SAHABA KA AQEEDA HAI.
HADEES # 6
MALIK AD-DAR SE RIWAYAT HAI, HAZRAT UMAR (RADIALLAHU TA€™ALA ANHU) KE AHADE KHILAFAT ME EK MARTABA KAHAT PAD GAYA TO HAZRAT BILAL BIN HAARIS MAZNI (RADIALLAHU TA€™ALA ANHU) ROZA-E-ANWAR PAR HAZIR HUWE AUR ARZ KIYE:
YA RASULALLAH! AAPKI UMMAT HALAAK HO RAHI HAI, BAARISH NAHI HOTI. HUZOOR (SAL-LAL-LAHU ALAI HI WA SALLAM) UNHE KHWAAB ME MILE AUR FARMAYA: AE BILAAL! UMAR KE PASS JAO. USE MERA SALAM KAHO AUR KAH DO KI BAARISH HO JAYENGI. UMAR SE YAH BHI KEHNA KI KUCH NARMI IKHTEYAAR KARE.(YAHA HUZOOR SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM NE ISLIYE FARMAYA KI HAZRAT UMAR FAARUQ (RADIALLAHU TA€™ALA ANHU) DEEN KE MAMLE ME BADE SAKHT THE). HAZRAT BILAL (RADIALLAHU TA€™ALA ANHU) UMAR (RADIALLAHU TA€™ALA ANHU) KI KHIDMAT ME HAAZIR HUWE AUR HUZOOR (SAL-LAL-LAHU ALAI HI WA SALLAM) KA SALAM WA PAIGAAM PAHUCHA DIYA. HAZRAT UMAR (RADIALLAHU TA€™ALA ANHU) YAH SALAM AUR PAIGAME MEHBOOB PAAKAR ROYE AUR KAHA ''AYE ALLAH, MAI APNI PURI KOSHISH KARTA HU, JAB TAK KI MAI THAK NA JAAUN'' AUR FIR BARISH KHUUB HUWI.
[AL-MUSANNAF IBN ABI SHAYBAH VOLUME 011,PAGE NO. 118, HADITH NUMBER 32538, PUBLISH BY MAQTABAH AR-RASHID, RIYADH, SAUDIA ARABIA]
SCAN PAGE :
HAWALE :
1:IBNE HAJR RH.A-FAT'HUL BARI 2/269, 2/495,496
2:IMAM BAIHQI RH.A- DALA'IL AL NUBUWWAH 6/141 3:IBNE KASIR RH.A- AL BADAYA WA AL NIHAYA 6/90-91, 5/167 4: HZ IBNE ABD AL BARR RH.A- ALIST'AB2/464 5: IBNE KASIR RH.A- JAMIAL MSANID 1/223 6: QASTLANI RH.A- AL MAWAHIB UL LADUNYA 4/276 7: HAZRAT MUNZIRI RH.A- AL TARGHIB 2/41-42 8: HAZRAT HAISHMI RH.A- MAJMAE ZAWAID 3/125 9: MUSANNIF IBNE ABI SHAIBA 12/31-32 # 31380 10: HAZRAT IBNE HAJAR RH.A - AL ISABA FE TAMYIZ AL SAHABA 3/484 11: IBNE TAIMYA IN FI IQTIDA AS SIRATIL MUSTAQIM 1/373 12: HAZRAT SUBKI RH.A- SHIFA AL SIQAM 1/130 . IS HADIS KO IBNE TAIMIYA NE BAGAIR KISI JARAH KE AUR BAGAIR KISI TARDEED KE APNI KITAB IQTIDAUSSIRAATIL MUSTAQEEM ME BHI NAQL KIYA HAI. . CHAND MOHADDISIN REHMUTULLAH ALAIH KAY NAAM JINHONE SANAD KO SAHIH KAHA HE 1: IMAM IBNE ABI SHAIBA RH.A MUSANNIF IBNE ABI SHAIBA 12/31-32 # 31380 2: IBNE TAIMYA IQTIDA AL SIRAT IL MUSTAQIM #373 3: IMAM IBNE KASIR RH.A AL BADAYA WA AL NIHAYA 5/167 4: IMAM IBNE HAJR RH.A FATHUL BARI 2/495, AL ISBAH FI TAMYIZ AL SAHABA 3/484 5: QASTLANI RH.A AL MAWAHIBUL LADUNIYA 4/276 6: IMAM ZURQANI RH.A COMMENTARY 11/150-151 7: IMAM JARAH O TADIL ZAHBI MIZANUL ITIDAL 2/224 ME HAZRAT IMAM AMASH RAHIMULLAH KAY BARE ME FARMATE HE,'' JAB WO APNE BADO MISL IBRAHEEM RAHIMULLAH, IBNE ABUWALI RAHIMULLAH, ABI SU'ALEH RAHIMULLAH, SAMMAN RAHIMULLAH SE RIWAYAT KARE TO HADIS MUTTASIL HE AUR WO SIQAH HE'' AUR UN TAMAM MUHADDISEEN PAR BHI KYA FATWA HE JINHONE IS HADIS KO SAHEEH QARAR DIYA HE..!
IMAM ZAHBI RAHIMULLAH APNI KITAB TAJRIDAL ASMAA ASSAHABAH JISME UNHONE SAHABA K NAAM JAMA KIYE HE USKI JILD:2 PG:51 PAR MALIK BIN AYAZ (AD DAAR) KA ZIKR KARKE FARMATE HE KE UNSE ABU SALIH SAMMAAN NE RIVAYAT KIYA HE. (ABU SALIH BUKHARI K RAVI HE)
AUR ISI TARAH IMAM TAQIYUDDEEN IBNE FAD AL MAKKI R.A NE BHI APNI KITAB MUKHTASAR ASMA AS-SAHABA PG:85 PAR SARAHAT KI HE K MALIK ADDAAR SE ABU SALIH SAMMAN NE RIVAYAT KI HE...!! ISI TARAH IBNE HAJAR RA.LIKHTE HE.. "MALIK BIN AYAAZ JISE MALIK ALDAAR BHI KAHA JAATA HE UNHONE NABI S.W KO DEKHA HE.....FIR AGE FARMATE HE....UNSE ABU SALIH SAMMAAN AUR UNKE (MALIK ALDAAR)K 2BETO NE RIVAYAT KIYA HE..!! DOSTO YE HADIS SAAF AUR MUHADDISEEN KI TASREEHAAT K MUTABIQ BILKUL SAHEEH HE...AB BILA WAJA ISPAR BEJA ETRAZAT KARNA JAHALAT NAHI TO AUR KYA HE..???? SABIT HUA KI WISAL KE BAAD BHI YA-RASOOL'ALLAH KEHNA SAHABA KA TARIQA HAI OR YEHI AHL-E-SUNNAT KA SHI'AAR HAI. MALUM HUWA KI WISAAL SHAREEF KE BAAD BHI SAHABAYE KIRAM MUSHKIL KE WAQT HUZOOR (SAL-LAL-LAHU ALAI HI WA SALLAM) KI KHIDMAT ME HAAZIR HOTE THE. HAR MUSHKIL YAHI SE HAAL HOTI THI. YAH BHI MALUM HUWA KI HAZRAT UMAR (RADIALLAHU TA€™ALA ANHU) KI BADI SHAAN THI. AAP KHALIFAYE BARHAQ THE.IS QADAR KHUSHKISMAT HAI KI WISAAL SHAREEF KE BAAD BHI HUZOOR (SAL-LAL-LAHU ALAI HI WA SALLAM) KE SALAM WA PAIGAAM MUSHARAF HOTE THE.PHIR JISE FARUQE AAZAM SE ADAWAT HONGI WAH HUZOOR (SAL-LAL-LAHU ALAI HI WA SALLAM) KO KYU NA BURI LAGEGA? |
Friday, 12 June 2020
GAIR ALLAH SE MADAD MANGNA KAISA
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment