Friday 12 June 2020

FATIHA




Fatiha Ka Faidah

Farmane Mustafa Peace Be Upon Him:
 Meri Ummat Gunan samit Qabr me Dakhil Hogi aur Jab nikle gi to be Gunaah hogi Kyunki Woh Momin ki Duaaaon se Bakhsh di Jati hai. 
(Ref. Fatihar aur Esal e Swaab ka Tariqa Page No. 6)
Jo koi Tamam Momin Mardon aur Auraton ke liye Dua e Maghfirat karta hai. Allah Ta'aala Uske Har Mard aur Aurat ke Ewaz (Badle) aek Neki Likh deta hai.
 Ay Hamare Rab! Meri aur Har Momin aur Momina ke Maghfirat Farmaa. Ameeen.
(Ref. Fatihar aur Esal e Swaab ka Tariqa Page No. 8)
Jo Ba niyat e Sawaab apne Waliden dono ya Aek Ki Qabr ki Ziyarat kare Hajje Maqbool ke Barabar Sawaab Paye aur jo Ba kasrat Unki qabr ki Ziyarat karta ho. Farishte uski Qabr ki (yani Jab yeh Faut hoga) Ziyarat ko Aayen.
(Ref. Fatihar aur Esal e Swaab ka Tariqa Page No. 3)

Fatiha Ka Tariqa

Wazu karne ke bad Qibla roo (Kaba Shari ke Traf Munh karke)  baith Jayen Jis cheez par fatiha dena ho usko samne rakh le. Samane rakhna sirf Mubaah aur jaaiz hai. Agar Woh cheez dhaki (Pack) hai to khol (Open kar) le aur looban agarbatti  sulgaye (Agar Maujood ho to) fir 11 bar Darood Sharif padhkar Panj (Panch) Qurani Aayat sharif ki tilawat kare Ya Jitna Zyadah ho sake Tilawat Kre.

11 Bar Durood Sharif
Allahumma Sal li alaa sayyidina muhmmadeew w alaa aa-li sayyidina muhammdeew w ashabihi w barik w sallim Ya Sallallahu Alai hi w sallam.

 Aayat sharif
Laqad jaakum rasoolun min anfusikum AAazeezun AAalayhi mAAanittumhareesun AAalaykum bialmu/mineenaraoofun raheemun Fa-in tawallaw faqul hasbiya Allahu la ilahailla huwa AAalayhi tawakkaltu wahuwa rabbu alAAarshi alAAatheemi (Para 11)

Surah Al-Kafiroon
Bismi Allahi alrrahmanialrraheemi
1. Qul ya ayyuha alkafiroona
2. La aAAbudu ma taAAbudoona
3. Wala antum AAabidoona ma aAAbudu
4. Wala ana AAabidun ma AAabadtum
5. Wala antum AAabidoona ma aAAbudu
6. Lakum deenukum waliya deeni

Surah Al-Ikhlas
Bismi Allahi alrrahmanialrraheemi
1. Qul huwa Allahu ahadun
2. Allahu alssamadu
3. Lam yalid walam yooladu
4. Walam yakun lahu kufuwan ahadun

Surah Al-Falaq
Bismi Allahi alrrahmanialrraheemi
1. Qul aAAoothu birabbi alfalaqi
2. Min sharri ma khalaqa
3. Wamin sharri ghasiqin itha waqaba
4. Wamin sharri alnnaffathatifee alAAuqadi
5. Wamin sharri hasidin itha hasada

Surah Al- Naas
1. Qul Aauzu Bi rabbinnasi
2. Maliki alnnasi
3. Ilahi alnnasi
4. Min sharri alwaswasi alkhannasi
5. Allathee yuwaswisu fee sudoori alnnasi
6. Mina aljinnati waalnnasi

Surah Fatiha
1. Bismi Allahi alrrahmanialrraheemi
2. Alhamdu lillahi rabbi alAAalameena
3. Alrrahmani alrraheemi
4. Maliki yawmi alddeeni
5. Iyyaka naAAbudu wa-iyyaka nastaAAeenu
6. Ihdina alssirataalmustaqeema
7. Sirata allatheena anAAamta AAalayhim ghayri almaghdoobiAAalayhim wala alddalleena

Surah Baqarah
Bismi Allahi alrrahmanialrraheemi
1. Alif-lam-meem
2. Thalika alkitabu la rayba feehi hudan lilmuttaqeena
3. Allatheena yu/minoona bialghaybiwayuqeemoona alssalatawamimma razaqnahum yunfiqoona
4. Waallatheena yu/minoonabima onzila ilayka wama onzila min qablika wabial-akhirati hum yooqinoona
5. Ola-ika AAala hudan min rabbihim waola-ika humualmuflihoona

Aayaate-E- Khamsah
1.       Wa-ilahukum ilahun wahidun la ilahailla huwa alrrahmanualrraheemu
2.      inna rahmatallahi Qareebum Minal Musineena
3.      wamaa Aesalnaka illaa Rahmatal lil Aalameen
4.     Ma kana muhammadun aba ahadin min rijalikumwalakin rasoola Allahi wakhatama alnnabiyyeena wakana Allahu bikullishay-in AAaleeman
5.      Inna Allaha wamala-ikatahu yusalloona AAalaalnnabiyyi ya ayyuha allatheenaamanoo salloo AAalayhi wasallimoo tasleeman

Jazallah Anna Syyedina Muhammadam Maa Huwa Ahluh
Sallallahu Alaihi Wa sallam

Subhaa na rabbi krabbil izzati  Ammaa yasifoon wa salaamun alal mursleen wal hamdullilaahi rabbil Aalamin
Ab Fatihaa Padhne wala Hath Uthakar Buland Aawaz se " Al- Fatiha" kahe. Sab log Ahista se Yani itni Aawaz se ki Sirf Khud Sune Surah Al- Fatiha Padhen. Ab Fatiha Padhane Wala is tarah Elaan kre Mere Islami Bhaiyo! Aap ne Jo Kuch bhi Padha Hai Uskaa swab mujhe de dejiye. Tamam Hazireen Kah Den  "Aap ko De Diyaa" Ab Fatiha Padhana Wala Esal e Swaab kar de.

Eisal e Swaab ke Liye
Duaaa Ka Tariqa
Ya Allah ! Jo Kuch Padha Gayaa ( Agar Khana wagirah hai to is tarah se bhi kahiye) aur jo kuch khana wagairah pesh kiya gya hai uska Swaab hamare Naaqis Amal ke Laiq nahi Bilki apne karam ke Shayaane Shaan Mar-Hamat farma au rise hamari Janib se Huzoor Rahmatul lil Aalameen sallallahu Alaihi Wasallam ki Bargaah me Nazr Pahuncha. Sarkar – e – Madina sallallahu Alaihi Wa sallam ke Tawassut (waseele) se Tamam Inbiyaa – E- Karaam Alaihimus Salaam, Tamam Sahaaba – E- Karaam Alaihimur Rizwaan, Tamam Auliyaa e Ezaam Rahimullahussalaam ki Janab me Nazr Pahuncha. . Sarkar – e – Madina sallallahu Alaihi Wa sallam ke Tawassut (waseele) se Syyedunaa Aadam Safiyullah Alaa Nabiyina wa Alaihissalatu wassalaam se le kar ab tak jitney Insaan wa Jinnat Musalmaan huwa aur Qiyamat tak honge Sab ko Pahucha. Es Dauraan Bahter yah ki Jin Jin Buzugon ko Khusoosan Esaal se Swaaab karna hai Unka bhi Naaam le te Jayiye. Apne Maaa Baaap aur Apne Peer o Murshid ko bhi Naam ba Naam Eisaaal e Swaab kijiye.
Note: Faut Shudgaan me se jin jin ka Naam lete hain unko khushi hasil hoti hai agar kisi ka bhi naaam na len sirf itna hi kah len ki Ya Allah! Eska sawaab Aaj tak jitney Ahle Imaan huwe un sab ko Pahunchaa tab bhi har aek ko Pahunch Jayegaa. In sha Allah
Ab Hasb e Mamool duaaa Khatm kar dijiye. (agar thoda thoda khana aur pani nikala tha to who dosre khano aur Pani me daal dijiye).

No comments:

Post a Comment