Friday 12 June 2020

ZINA


*ZINAA KAA AZAAB*

Zina ek mard ek aisi aurat se sohbat/ humbistari kare jiska uske saath nikah na huwa ho.

Aaqa sallallaho alayhi wasallam ne farmaya : 

shirk k baad Allah ke najdik is gunah(zina) se bada koi gunah nahi 
ke ek shaks kisi aurat se sohbat kare jo uski biwi nahi aur jab koi mard aur aurat zina karta hai to Imaan unke sine se nikal kar sar par saye ki tarah
thahar jata hai.
~(Mukashefatul kuloob :page-168)


Hazrat Ikrema ne Hazrat Abdullah ibne Abbas radiallahu anhu se pucha imaan kis tarah nikal jata hai ?
Hazrat Abdullah ibne Abbas ne farmaya is tarah..! aur apne haath ki ungliya
dusre haath ki ungliyo me dali phir nikal li aur farmaya dekho is tarah.
~(Bukhari sharif : jild-3, page-614,hadees -1713)


Hazrat Abu Huraira wa Ibne Abbas
radiallahu anhu se rivayat hai ki
Sakar-e-Do Aalam sallallahu alayhi
wasallam ne farmaya mo'meen
hote huve toh,koi zina kar hi nahi
sakta.
~(Bukhari Sharif : jild-3,page-614
,hadees-1714)


zina ki saaza aur azaab : Hazrat
Musa alayhis salam ne Rabb ta'ala
ki bargah me jab zina ki saaza
puchi to Allah ne farmaya :"Usey
aag ki jarrah(lohe ka libas jo aag
se bana hoga) pehnaya jayega.
woh aisa wajani hai ki agar bahut
bade pahad par rakh diya jaye toh
wo bhi reja reja ho jaye.
~(Mukashefatul Kuloob :
page-168)


Allah ta'ala farmata hai jo shaks
zina karta hai use asaam me dala
jayega.
asaam k bare mein ulma-e-deen
ne
kaha hai ki wo jahannam ka 1
gaar hai jab uska munh khola
jayega to uski badbu se tamam
jahannami chikh uthenge.
~(Mukashefatul Kuloob :
page-167)


7 aasman aur 7 zamino aur pahad
zinakar par lanat bhejte hai aur
qayamat k din zinakar mard wa
aurat ki sharmgah se is qadar
badbu aati hogi ke jahannam
mein
jalne wale ko bhi is badbu se taklif
hogi.
~(Bahare Shariat : page-43)

zina karnewale shadi shuda ho
toh
khule maidan me pattharo se mar
dala jaye aur gair shadi shuda
(kuwara) ho toh 100 kode maare
jaye.
~(Bukhari Sharif : page-615,
hadees-1715)

No comments:

Post a Comment