Friday 12 June 2020

(roman urdu) Saudi Imam Key Peeche Namaz



@Saudi Imam Key Peeche Namaz@

@1
Bad Aqida Ke Peechey Namaz Durust Nahi,
Imaamat Darasal Hamari Namaz Ka Imam Ko Sonpna He To
Jis Tarah Train Ka Engine Kharab Ho To Khali Dabbey Nahi Chal Saktey
Isi Tarah Agar Imam Ki Namaz Durust Na Ho, To Muqtadi Ki Namaz Bhi Durust Nahi Hosakti

@2
Imam Hamesha Khush Aqida Ko Banaya Jaye Ga K Ye ALLAH Ki Bargaah Me Hamara Waseela He
Example:
Agar Hum Ne Koi Jurm Kya Aur Sifarish Ki Garz Se Kisi Aisey Shaks Ko Baadshah Ke Darbar Me Laaye Jo Pehle Hi Baadshah Ki Bargaah Ka Mujrim Tha To Hamari Sazaa Me Kami Hone Ke Bajaye Yaqinan Mazid Izafa Hoga

@3
Bad Aqida Ke Peeche Namaz Goya Uski Bad Aqidgi Par Raazi Rehna He
Agar Usey Durust Samaj Lya To
IMAAN KA MAS'ALA
Chahey Kisi Muqadas Jaga Par Hi Kya Na Ho!!

@4
Wahabi Aqaid Har Sunni Musalman Par Wazeh Hen,
Zaruri Samajtey Hue Chund Baatein Likh Raha Hun
1.Hum Ahlesunnat wa Jama'at Aur Bad Mazhab Deyobandiyon Ke Darmyan Bunyadi Faraq Inki Gustakhana w Kufrya Ibaaraat Hen,
Jis Pr Aalahazrat Ne Unke Touba Na Karne Ke Baad Un Par Kufar Ka Fatwa Saadir Farmaya

@5
2.Jbke Apne Apko Ahl e Hadis Kehalwane Wale Wahabi (Gair Muqallid) Taqlid Ka Inkar Krte Hen, Na Kisi Imam Ko Maantey Hen
3.Khud In Donu Bad Aqida Mazahib Ke Aapas Me Bhi Jhagre Hen:
"Muhammad Bin Abdul Wahab Najdi Ke Perokaar Ko Wahabi Kehte Hen, Unke Aqaid Barey Gandey They, MuazALLAH Us Ne Likha K Meri Ye Laathi Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Se Behtar He K Me Is Se Kuttey Ko Bhaga Sakta Hu"
(Shihab e Saqib, By Hussain Tandwi Madni Deyobndi)

@6
Ye To Ek Baat Batayi He Jo Khud Deyobndion Ne Likhi,
Iske Elawa Bi Inke Ajib Aqaid Hen
Chund Misalen:
"Jiska Name Muhammad Ya Ali Wo Kisi Cheez Ka Maalik o Mukhtar Nahi"
"Muhammad Ke Chahney Se Kuch Nhe Hota"
"Har Shakhs Chahe Nabi Ya Wali Ho, ALLAH Ke Aage Chamaar Se Zyada Zalil He"
"Nabi Aisa He Jese Gaaun Ka Chaudhry"
"Muhammad Mar Kar Mitti Me Mil Gaye"
(Kitab Touheed, Taqwia tul Iman By Ismail Dehalwi)
Ye Shakhs Wahabi, Deyobandi Donu Ka Imaam He

@7
Ab Chund Haaliya Saudio Ki Gustakhyan:
*. Madine Sharif Me Istinja Ke Maqaam Par Aur Gutter Ke Dhakno Par Lafz e Madina Likha He
*. Inka Kehna He K Madina Paak Aane Ka Koi Faida Nahi,
*. Shah Khalid Ke Dour Me Akhbar Me Ye Mazmun Aaya K Gunbad e Khizra SANAM E AKBAR (Bara But) He, Isey Girana Wajib He

@8
Hamara Imaan He Aur Ahadis Se Sabit He K Sarkar Ke Rozey Ki Zyarat Krne Wale K Lye Shafa'at He
(Tirmizi)
Ek Namaz Ka Sawab 50,000 Gunaa Zyada He,
(Muslim)
Sab Se Bara Wasila Zaat e Mustafa He, Jisko Jo Milta He Unke Darr Se Milta He,
Dene Wala ALLAH Aur Taqsim Karne Wale Rasoolullah Hen,
(Bukhari)

@9
Qanoon He K Pyasa Darya Ki Taraf Rukh Karta He
Magar
Wahan Jab Hum Roza e Sarkar Ki Taraf Jab Mun Kartey Hen
To Takke Takke Ke Mulazim Aur Chaprasi Wahan Kharey Peeth Kye Hote Hen Aur Na Sirf Khud Kuch Hasil Krte Hen Bulke Dusro Ko Bhi Bey Adabi Par Majbur Kartey Hen,
Jooton Samet Masjid Me Aate Hen

@10
Ye Bi Dekha Gaya K:
*Quran Par Paun Rakhna
*Khana e Kaba Ki Taraf Pair Karna
*Quran Parhte Parhte Zamin Par Phenkna Aur Takya Bana Ke Let Jaana
*Quran Par Jootey Rakhna Ya Iska Ulat Karna
*Apne Aap Ko Quran Se Behtar Samajna
*Bacho Ka Quran Se Catch Catch Khelna
*Ya Rasoolallah Kehne Ko Shirk Kehna

@11
Karachi Me Aakar Inke Imamo Sudais Aur Ayub Ki BAKWASAAT:
*Mazaraat Par Jane Wala Mushrik He
*Sahib e Mazar Ne Kbi Jawab Dya He?

Hum To Subah o Shaam Ya RasooLALLAH Kehne Waley,
Hum Mazaarat Par Jane Waley
In Bewaqufon Se Koi Puchey K Jb ALLAH se Dua Karte Hen To Kya Jawab Ki Aawazen Ati Hen??

@12
Imam Shafayi Ko Koi Mas'ala Darpesh Hota To Wo Mazar e Imam e Azam Par Jakar Dua Kartey, Mas'ala Hal Hojata
Iske Elawa Ye Aqaid Deegar Ahadis Se B Sabit Hn

@13
#Thandey Dimag Se Sochiye#

Hum, Humare Baap Daada Sub Mazaraat Par Jaaney Waley,
YA NABI Kehne Waley.
Agar Hamare Baap Ko Koi Gaali Dey To Kya Hum Uske Pichey Namaz Ada Karenge?
Aur MUSHRIK Se Bari Kya Gaali Hogi?
Hum Jhagra Nhe Kartey
Bus Seedhi Si Baat Karte Hen
Jo Hame KAAFIR Kahe, Khud KAAFIR He

@14
Aaj Kal Ek Nayi Baat Riwaj Paa Rahi He K Agar Wo Galat Hen
To HARMAIN SHARIFAIN Ke Imam Kese Hen Aur Inki Hukumat Kese He?

A.
Kisi Ka Kahin Hukumat Karna Uski Haqqaniyat Ki Dalil Nhe
Warna
Kaaba Me 300 Saal Tak 360 But Na Rehtey,
Agar Koi Soche Ke Ye Dour e Risalat Se Pehle Hua To Uska Jawab:
(next)

@15
A.
Dour e Risalat Ke Baad Bhi Aisa Hua He K Baatil Hukumat Arab Sharif Par Qabiz Rahi
*Yazid Palid Ka Dour:
Jo Yazid Ko Amir ul Mominin Kahey Usey 100 Korey Maare Jayen
(Hzrat Umar Bin Abdul Aziz)
Ye Jab Madina Paak Par Haakim Hua To Makkah Mukarram Par Charhai Ki,
Kaabey Par Manjabiq Se Pathar Barsaye,
Jannati Dunbey Ka Seeng Jala Dya,
Sahabi e Rasul Abdullah Bin Zubair Ko Sooli Charhaya Aur
3 Din Tak Inki Laash Mubarak Bazaar Me Latki Rhi
(Tibrani)

@16
#Dour e Yazid Aur Madina#

*10,000 Sahaba o Taabiyen Ko Qatal Karwaya
*Paak Baaz Aurton Ke Sath Zina Ki Ijazat Di
*3 Din Tak Masjid e Nabwi Me Namaz Na Hui
*Masjid Ke Sutoono Se Gorhe Baandhe Gaye Jo Najasat Kartey
(Tibrani)
Kya Is Palid Ki Hukumat Iski Sachayi Ki Dalil He?
Baad Me Bi Batil Log Aaye.

@17
#Alwi Hukumat#

Ye Shia Khaandaan Tha
Ne Bi 100 Saal Makkah w Madina e Muqaddasa Par Hukumat Ki.
Wo Siddique o Farooq RadiyALLAHu anhuma Ke Jism e Aqdas Ko Nikalne Ki Naa Paak Jasaarat Karne Waley They.

Kya Shia Musalman Hen?
Kya Inka Hukumraan Rehna Bi Inke Durust Aqaid Ki Dalil He?
Hargiz Nahi !!!

@18
#Turkiyon Ki Hukumat#

Haan Ye Sachey Aashiq e Rasool Hen
Inki Aqidat o Muhabbat Ki Taareekh Gawah He
*Har Bacha Hafiz e Quran
*Ek Ek Pathar Torne K Lye Shehar Se Baahar Jatey
*Taamer e Harmain Me Har Har Pathar Par Quran Parh Kar Damm Kya Jaata
Etc
(Tareekh e Hijaz,
Khaak e Hijaz Ke Nigehbaan)

@19
#Majuda Hukumat Saudion Ka Haal#

Pehle Hi Inke Aqaid w Mushahidaat Se Aagaah Kya Gaya
Mazid Ye K:
*Rozey Ke Qarib Washroom Banaye Aur Inka Rukh Mazar Ki Taraf Rakha
*Mazarat e Baqee Par Buildozer Chalaya
*Mazar e Hamza Par Dua Karne Par Pabandi, Jbke Khud Nabi Paak Aur Inke Sahaba Ka Ye Amal Raha

@20
Jbke Khud Deyobandi Maslak Ka Molvi Zikarya Likhta He
K Roza e Rasool Ko Peeth Karna Be Adabi He, Wahan Nange Pair Phirna Ye Adab He
(Tabligi Nisaab)

Saudi Kehte Hen:
Dua Qible Ki Taraf Mun Karke Ki Jaye
Koi In Se Puche K Kya Har Dua K Lye Qibla Ki Taraf Mu Hona Zaruri He?
Dua Ka Qibla To Aasmaan He

@21
Lekin
Har Dua K Lye Qibla Ya Aasmaan Ki Taraf Mu Karna Zaruri Nahi
Iski Chund Misalen:
*Istinja Khane Jate Waqt Jb Hum Dua Parhte Hen?
*Khana Khate Waqt Dua
*Malikyo Ke Nazdik Khutbe Me Dua Karna Wajib He, Aur Khud Saudiyo Ka Imam Jb Khutbe Me Dua Karta He To Qible Ki Mukhalif Simt Rukh Hota He

@22
Q.Ye Kehte Hen Namaz Ki Halaat Me Jis Tarah Haath Baandh Kar Kharey Hote Hen Roza e Paak Par Is Tarah Na Khare Hona Chahye?

A.
Phir Koi Aisi Haalat Ye Bataden Jo Namaz K Rukn Se Mushabihat Na Rkhti Ho,
Agar Hath Chor Kr Khare Hon To Bi Namaz Ke Arkaan Me Se He K Ruku Ke Bad Hum Yu Hi Khare Hote Hen

@23
Dusra Jawab:
#500 Muqtadar Ulama Ka Fatwa#

Sarkar Alaihisalatuwassalaam Ki Baargaah Me Aise Khare Hojao Jesey Namaz Me Khare Hotey Ho
(Fatawa Alamgiri)

@24
Q.Ye Kehte Hen K Roza e Rasul Par Kya Khare Hote Ho?

A. Kyunke Yahan Barkat He
(Sura Bani Israel Ayat#1)
Ayat Me Likha He K Masjid e Aqsa Ke Ird Gird Barkat He
Imam Razi:
Islye Ke Ird Gird Anbyaa Ke Mazaraat Hen
(Tafsir e Kabir)
Jb Deegar Mazaaraat Ka Aalam Ye He To Roza E Sarkar Ka Aalam Kya Hoga.

@25
Q.Kya Zaruri He K Hum Wahan Jayen To Inke Peeche Hi Namaz Parhen?

A.
Na Hi Hum Ne Visa Is Shart Pr Lya K Gustakho Ke Peeche Namaz Parhen Na Hi Ye WAJIB He

@26
#Khud Inka Apne Imam Ke Sath Sulook#

Ek HUZAIFEE Naami Inka Imam Jis Ne Blue Arabic Urdu Style Quran Publish Karwaye,
Jb Is Ne Shiyo Ke Khilaaf Speech Ki To AMERICA Ke Kehne Par Usey Band Kardya Gaya, Aur Imaamat Se Maazul Kardya
Ab Imam Se Muhabbat Wala Qanoon Kahan Reh Gaya?
Ab Aqidat Wajib Nahi?

@27
Aqaid Ke Baad Ab Masail Ki Roshni Me

#Saudiyo Ki Namaz Ka Aalam#

Kapro Ko Baar Baar Cherna Namaz Ko Kharab Kardeta He
Jbke:
Inka Imam Har 1 Minute Ke Baad Apna Jubba Thik Karta He, Bulke Jaib Se Tissue Nikaal Kar Naak Saaf Bi Karta He,
Aap Kisi Video Me Ba Aasani Ye Ajeeb Manazir Dekh Sakte Hen
Nxt

@28
#Saudi Namaziyo Ka Haal#

*Namaz Ki Halaat Me Dukan Ki Chaabiyan Dhund Kar Dete Hen

*Mobile Baja To Recive Karke Keh Dya "Salli Salli (Me Namaz Me Hun)"
Phr Namaz Ko Continue Hi Rakhte Hen

*Koi Namaz Ke Aage Se Guzra To Namaz Me Hi Larne Beth Jayenge

*Paun Sajde Me Zamin Par Nhe Lagte

Wgera Wgera

@29

*Deegar Ikhtilafi Masail Ka To Jawab Hi Nahi

*Asar Ke Waqt Ka Mas'ala Bi Apni Jaga

*Masjid e Nabwi Me Kayi Log Imam Se Aage Khare Hote Hen Goya Niyyat Yun Karte Hen
"....Aagey Is Imaam Key"

Aqaid Me Gandey,
Anbya O Sahaba Ke Gustakh, Masail Ka Pata Nhe
To Kese Itni Pyari Namaz Inke Hawaley Krden?

@Last

Ye
Gaib, Shafa'at, Tawasul etc
Sabke Munkir Hen

LIHAZA
Namaz Parhna Inki Iqtida Me Durust Nhe
InKe Peeche Namaz Goya Inki Bad Aqidgi Par Raazi Rehna He

Agar Fitne Ke Khoff Ki Waja Se Khara Raha To Phr Naye Sirey Se Namaz Parhe Ga

Agar Usey Durust Samaj Kr Uski Iqtida Ki To
IMAAN KA MAS'ALA He

@31
Yaad Rahey!
Hajiyon K Lye Arafaat Me Masjid e Nimra Jana Laazim Nahi, Na Hi Hajj Ka Khutba Sunna Wajib.
Lihaza Zohar o Asar Bi Apne Khaime Me Hi Ada Karega

@Saudi Imam Key Peeche Namaz@

@Last
Q.Kya Bad Mazhab Ki Iqtida Me Namaz Durust He?

A.
Mafhum e Hadis:
"Gustakh Ko Imam Mat Banao"
(Abu Dawood J1 H479 P221)

ALLAH Kisi Bad Mazhab Ki Namaz, Roza, Zakaat Qubul Nahi Karta
(Behiqi)

Bad Mazhab Ke Peechey Namaz Parhna Jaiz Nahi
(Sharah Fiqh e Akbar P5; Mulla Ali Qari)






3 comments:

  1. MashaAllah Bhai Jaan
    Allah Apki Ilm me Umr me Amal me Aur Ezaafa farmaye aur Allah aap ko bahtreen jaza e Kher de Ameeeeeen.

    ReplyDelete
  2. Kya Saudi Arabia k ander jummy ki namaz whabi k pechy prah skty h k n.

    ReplyDelete
  3. Kya Saudi Arabia k ander hm jummy ki namaz whabi k peche prah skty h k n

    ReplyDelete