Friday, 12 June 2020

Pant Fold Karke Namaz Padhna Kaisa

Pant Fold Karke Namaz Padhna Kaisa


Pant fold karkay namaz padhna kaisa OR Kapde Samet k Namaz Padhna Kaisa ?
Mauzooda Daur me ye bhi ek bahes o mubahisa ka unwaan ban gaya hai aur ye masle masjid me dekhne milte hai k log PANT AASTIN ko fold karlete hai aur Namaz padhna shuru karte hai par jab unko kaha jaaye k Pant ka Sameta Huwa Hissa kholdo Aastin Na Chadao,
Namaz Makrooh e Tehrimi Hai Dohrani padegi to wo maante nahi behas karte hai aur apni kam ilmi ko Ilm saabit karne lagte hai ye maamlaat hamesha awaam me bahes ka mauzu hota hai kyuki pant shirt wohi pehnte hai Ulema Muballigeen k Libas to ALHAMDULLILAH Sunnat k mutabik hote hai aur is jahilo k firqo ko badi galat fehmi ye hogyi hai k Ahle Sunnat bas kisse kahani sunate hai dalil aur hawale nhi dete apne har aqaid me phir wo Hazrat Farooque Khan Razvi Sahab k bayanat ho ya hamare written post ho humne koi baat bina dalil pesh hi nahi ki har ek k saboot me dalilo k ambaar laga diye hai aur usme bhi zyada tar hawala Siha Sitta se hi quote hote hai ALHAMDULLILAH to ye galat fehmi dil se nikal do to accha hai.
Khair Jo Dalil bataur Apni baat ko sahi saabit karne k wo badmazhab pesh karte hai is masle k talluk se wo ek hadees hai Bukhari Sharif Ki mulahiza kare.
Hadees 01:

حَدَّثَنَا آدَمُ، حَدَّثَنَا شُعْبَةُ، حَدَّثَنَا سَعِيدُ بْنُ أَبِي سَعِيدٍ الْمَقْبُرِيُّ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ـ رضى الله عنه ـ عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏ "‏ مَا أَسْفَلَ مِنَ الْكَعْبَيْنِ مِنَ الإِزَارِ فَفِي النَّارِ ‏"‏‏.‏
Hazrat Abu Hurraira رضي الله عنه se rivayat hai
NABI e karim صلى الله عليه و آله وسلم ne farmaya  Jiska libas Niche Latke Woh Jahannam Me.
(Sahi Bukhari, Vol 03, Kitab No 77, Kitab Al Libas, Baab : Kapde Ka Wo Hissa Jo Takhne Se Niche Ho Wo Jahannam Me , Hadees : 5787 Arabic)
(Sahi Bukhari, Vol : 07, Book 72 , Hadith : 678 English)

Ye hadees wo batate hai kehte hai Takhna Dikhna Sunnat hai lihaja Namaz me dikhna jaruri hai ye log khud to uljhe hai aur awaam ko bhi uljha dete hai par ek hadees ko padhke saare masail nhi nikale jaate uske liye mazid mutalle ki jarurat hoti hai Halanki ye hadees se murad wo nahi hai jo direct maane inlogo ne liye hai pehle iska thoda pasmanjar bata de taaki sab aasani se samajh aajaye iska talluk Takkabur se hai iski tafseel mulahiza ho phr hadees bhi bayan ki jaygi is talluk se.
Aur iski tafseel yeh hai ,

Iska pasmanzar padhe ki jab shuru me log islam me dakhil hue us waqt unme bahut saare log gareeb the ,gurba pehle islam me aaye,toh unke paas libas tha nahi thik se ,baaz musalmaan ka yeh haal tha ki tehband pehna hai toh pait khula hai pait dhakne jaaye toh sharam gaah khul jaye aur woh b itne chote libas hote the ki takno se upar ghutno tak hote the woh ,gurbat ka yeh aalam tha, tab abu jahal ne yeh kiya ek bahut bada jhubba tayar kiya ,jisko 3-4 log uska jhubba pakad kar chalte the saath me , Abu jahal wa deegar kuffaro musalmano ko taana diya krte aye musalmaano dekha tum jis rab ka qalma padhte ho us rab ne tumhe kya diya siwaye muflisi k gurbat k ?? aur dekho mere hubal ne mujhe kitna nawaza hai tab ALLAH k Nabi صلى الله عليه و آله وسلم  ne farmaya jo libas taqabbur ki niyat se takno niche hai woh jahannami hai
Aur hum apni taraf se nahi kehrahe hai balki puri hadees badmazhab sunate nahi,inko jo accha lagta hai woh tukda uthate hai kisi kam ilm ya lailm ko sunadete hai aur apni taraf ma’eel karte hai. Is hadees ka talluk takabur ghamand se hai jiska saboot hum pesh kar rhe hai hadees e sahi se mulahiza ho.
Ab aaye kuch hadees aur dekhte hai jis se saabit hoga is hadees ka khulasa k yaha taqabbur ki wajah se woh libas jahannam me hai naaki saare libas.

Hadees 02 :
”"‏ لاَ يَنْظُرُ اللَّهُ يَوْمَ الْقِيَامَةِ إِلَى مَنْ جَرَّ إِزَارَهُ بَطَرًا ‏"‏‏
Hazrat Abu Hurraira رضي الله عنه Se rivayat Hai
Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم Farmaya Jo Takkabur Ki Wajah se APNA tehband Latkayega  ALLAH uski Taraf Baroze Kayamat Nigah e Rehmat Na Farmayga
(Sahi Bukhari, Vol : Pg : Kitab No 77 Kitab Al Libas, Baab : Takkabur Aur Ghamand Me Kapde Latkane Waale Ka Bayan,  Hadees : 5788)
(Sahi Bukhari, Vol : 07, Book 72 , Hadith : 679 English)

Hadees 03 :
Hazrat Abu Juraye Jabir Bin Salim Al Huzaimi se Rivayat Hai Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم  ne Farmaya
Takhne se niche libas latkane se khabardar hona, kyuki ye Ghamand hai aur Allah ghamand ko pasand nahi karta
(Sunan Abu Dawood, Kitab No : 34, Kitab Al Libas, Hadees : 4084)
Hadees e paak se wajeh huwa k wo libas k baare me kaha gaya hai jo libas takabur k niyat se latkaya jaaye aur jisko takkabur na ho unke liye kya ye bhi ek hadees me mulahiza kare.

Hadees 04 :
عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏"‏ مَنْ جَرَّ ثَوْبَهُ خُيَلاَءَ لَمْ يَنْظُرِ اللَّهُ إِلَيْهِ يَوْمَ الْقِيَامَةِ ‏"‏‏.‏ قَالَ أَبُو بَكْرٍ يَا رَسُولَ اللَّهِ إِنَّ أَحَدَ شِقَّىْ إِزَارِي يَسْتَرْخِي، إِلاَّ أَنْ أَتَعَاهَدَ ذَلِكَ مِنْهُ‏.‏ فَقَالَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم ‏"‏ لَسْتَ مِمَّنْ يَصْنَعُهُ خُيَلاَءَ ‏"‏‏.‏
Tarjuma :
Hazrat Abdullah ibn Umar رضي الله عنه se rivayat hai  NABI صلى الله عليه و آله وسلم ne farmaya jo libas taqabbur ki wajah se latkaye khuda uski taraf dekhega bhi nahi,Is par Hazrat Abu Bakr رضي الله عنه  ne kaha ki mera libas niche latakta hai,NABI صلى الله عليه و آله وسلم  ne farmaya ki yeh tumhare liye nahi k tumhe taqabbur nahi.
(Sahi Bukhari, Vol 03, Kitab No 77, Kitab Al Libas, Baab : باب مَنْ جَرَّ إِزَارَهُ مِنْ غَيْرِ خُيَلاَءَ Hadees : 5784)
(Sahi Bukhari, Vol : 07, Book 72 , Hadith : 675 English)
(Sahi Bukhari, Vol 03, Kitab No 78,  Kitab AL Adab, Hadees : 6062)
(Sunan Nasai, Kitab No 48 Kitabul Zeenat, Baab : Isbaal e Izar, Hadees : 5355)

Sayyidna Siddiq e Akbar ka sawal karna Ummat k liye rahat ka intezam hogya Sayyidna e Siddiq e Akbar Abu Bakr رضي الله عنه ka libas bhi niche latakta tha chunki Aap رضي الله عنه me takkabur na tha to ye wahid unpar nahi lagti jis se maloom huwa is maamle me Musalmaan ki niyat sabse ahem chiz hai.  Niyat pe ek Hadees mulahiza kare
Hadees 05 :
“Hazrat Umar Bin Khattab رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram صلى الله عليه و آله وسلم  Ne Farmaya
Aamaal Ka Daaromadaar Niyyat Par Hai Aur Har Shakhs Ke Liye Wahi Hai Jis Kee Us Ne Niyyat Kee.
(Sahi Al Bukhari, Vol : 01,Kitab Ul Imaan, Hadees : 54)
In motebar hadees e sahi se kuch baata ka khulasa huwa jo yaha likh rhe hai hum
1) Wo Libas Jahannam me Jayga jo Takabur k Bina Jameen me ragadte jaaye Takno se niche ho unke liye ye hukm hai.
2) Agar Niyat Takabur ki naa ho phir bhi niche jaaye to wo libaas par ye hukm nahi lagta.
3) Musalmaan ki Niyat Sabse Ahem hai ALLAH behtar Hamare Dilo k halaat ko janta hai.
4) Sabse Ahem ye hukm k kapde upar ho takno se ye sirf aur sirf namaz k liye nhi hai balki hamesha k liye chahe namaz ho yaa gair e namaz me par ye aisa jahil tola group hai Namaz k bahar to pura izar/pant etc jameen me ragadte jaate hai par Namaz me fold kar lete hai ye azib dimaag hai inka balki wo hukm hmesa k liye hai to chahye k Namaz k bahar bhi amal kare.

Ab jo log Libas samet te hai Pant fold karna aastin chadana unki namaz ka SHARIAT me hukm kya ?

Hadees 06 :
Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Se rivayat Hai  Nabi e Rehmat  صلى الله عليه و آله وسلم ne farmaya “Hume Hukm Huwa k 07 haddiyo Pe Sazda Karu aur Kapdo Ko Na Sametu aur Baalo Se Na kehlu”
References :
(Sahi Bukhari, Vol : 01, Kitab no 10 Kitabul Azaan, Baab : 7 Haddiyo Pe Sazde Ka Bayan, Hadees : 810 ‘English No : 774’)
(Sahi Bukhari, Vol : 01, Kitab no 10 Kitabul Azaan,  Hadees : 815 & 816, ‘English No : 779 & 780 )
(Sahi Muslim, Vol : 01, Kitab No 04, Kitab US’salat, Hadees : 490, ‘English No : 993)
(Sunan Nasai, Kitab No : 12 Kitab At Tatbik, Hadees : 1093,1113 & 1115)
(Sunan Abu Dawood, Kitab No : 02 Kitabus Salat, Hadees : 889, ‘English No : 888)
(Jamai Tirmiz, Vol : 01, Kitab No : 02 Kitabus Salat, Hadees : 273)
(Sunan Ibn Majah, Vol : 01, Kitab No :05, Kitabus Ikamat e Salat wa Sunnat, Hadees : 933 & 934)

Hadees 07 :
Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Se rivayat Hai Nabi e Rehmat  صلى الله عليه و آله وسلم ne farmaya “Hume Hukm Huwa k 07 haddiyo Pe Sazda Karu aur Kapdo Ko Na Sametu aur Baalo Se Na kehlu Dauran e Namaz Me, Wo Hissa Hai 02 Haath, 02 Pair, 2 Ghutne, 1 Naak aur Peshani”
(Sahi Bukhari, Vol : 01, Kitabul Azaan, Baab : 7 Haddiyo Pe Sazde Ka Bayan, Hadees : 809 ‘English No : 773’)
(Sahi Muslim, Vol : 01, Kitab No 04, Kitab US’salat, Hadees : 490, ‘English No : 995)
(Sunan Nasai, Kitab No : 12 Kitab At Tatbik, Hadees : 1096,1097,)

ALLAH Taala ne Apne Mehboob صلى الله عليه و آله وسلم  ko 03 chizo ka hukum diya aur taqeed ki baar baar k aap in 3 chizon per sakhti per amal kare wo ye hai.
1. Namaz ki Halaat Me Apne Baalo Se Naa Khelo
2. Jab Sazda Karo To 07 Chizon (parts) Par Sazda karo.
  1. 2  haath
  2. 2 pair
  3. 2 ghutne
  4. 1 naak aur peshani (indono ko ek hi me shumar kiya gaya)
3. Namaz Padhne Me KAPDO KO NAA SAMETO.

Toh jab aap kapde fold karte ho yaani aap kapde samatte ho toh aapki namaz na hui balke aapko namaz dauhraani hai Namaz Makrooh e Tehrimi hai Namaz Dohrana Padega.
Ibn Al Mundhir riwayat karte hai ki jo aisa karta hai to use apni namaz dohrani chahye aur unhone ye raae Imam Hasan Al Basri se riwayat ki hai.
(Imam Ibn Hajar Al Haythami Tuhfat al-Minhaaj, Vol : 02 ,Pg :161-162)

Agar Ba Niyat e Sunnat Libas Takno se upar pahne to Sawab ka mustahik hai.
Walla hu Aalam summa Rasulo Aalam صلى الله عليه و آله وسلم

Ek Aur Ahem Topic mai isme add kardu libas takno se upar pehan na ka matlab kuch akal parast wahabiyo ne ye banaya liya k Takno se wo apna Pyjama Izaar itna upar pahnte hai k lagta hai pyjama nhi ye ¾ ya Bermuda pahna huwa hai aur itne me wo bada fakr karte hai k sunnat pe amal hogaya halanki ye khud ka mazak banana hai jo khawarijeen ki nishaniya hai k wo itna uncha pyjama pahente the Sunnat ka maana ye hai k Takno se thoda upar ho jaise 1 inch wo durast hai par inme aksar 5 6 inch upar pahente hai.
KHAWARIJEEN KI EK SABSE AHEM NISHANI WO PAYJAMA UNHCA PAHNTE HAI BAHOT
Hadees :
Hazrat Abu Saeed Khudari رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Farmaatey Hain Ke Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hahul Kareem رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Ney Yaman Sey Rasoolullah صلى الله عليه و آله وسلم Ki Khidmat Mey Chamrey Key Thailey Mey Bhar Kar Kuchh Sona Bheja, Jis Sey Abhi Tak Mitti Bhi Saaf Nahin Kee Gayi Thi.
Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه و آله وسلم Ne Woh Sona Chaar Aadmiyon Uyaina Bin Badar, Aqra’a Bin Haabis Aur Zaid Bin Khail Aur Chauthe Alaqma Ya Aamir Bin Tufail Key Darmiyan Taqseem Farma Diya.
Is Par Aap صلى الله عليه و آله وسلم Key As’hab Mey Sey Kisee Ney Kaha :
Un Logon Sey To Hum Zyada Haquedar They.
Jab Yeh Baat Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه و آله وسلم Tak Pahunchi To Aap صلى الله عليه و آله وسلم  Ne Farmaya :
Kya Tum Mujhey Amanatdar Shumaar Nahin Kartey ?
Haalaanki Aasmaan Waalon Key Nazdeek To Mein Aameen Hoo’n.
Is Ki Khabarein To Merey Paas Subah Wa Shaam Aatee Rahti Hain.
Raawi Ka Bayan Hey Ke Phir Ek Aadami Khara Ho Gaya Jis Ki Aankhey Andar Ko Dhansee Huwi, Rukhsaaron Ki Haddiyan Ubhari Huwi, Oonchee Peshaani, Ghani Daarhi, Sar Munda Huwa Tha Aur WOH OONCHA TEHBAND BANDHEY HUWEY THA  Woh Kahney Laga :
Aye Muhammad صلى الله عليه و آله وسلم !
Khuda Sey Darey, Aap صلى الله عليه و آله وسلم Ney Farmaya :
Too Halaak Ho, Kya Mein Tamam Ahley Zameen Sey Zyada Khuda Sey Darney Ka Mustahique Nahin Hoo’n ?
Phir Jab Woh Aadami Jaaney Key Liye Mura To Hazrat Khalid Bin Walid RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ney Arz Kiya, Ya RasoolAllah صلى الله عليه و آله وسلم !
Mein Us Kee Gardan Na Ura Doo’n?
Aap صلى الله عليه و آله وسلم Ney Farmaya :
Aisa Na Karo, Shayad Yeh Namazi Ho,  Hazrat Khalid RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ney Arz Kiya :
Bahut Sey Aisey Namazi Bhi To Hain Ke Jo Kuchh Un Ki Zubaan Par Hey Woh Dil Mey Nahin Hota.
Rasoolullah SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ney Farmaya :
Mujhey Yeh Hukm Nahin Diya Gaya Ke Logon Key Dilon Mey Naqab (Sendh) Lagaoo’n Aur Un Key Pait Chaak Karoo’n.
Raawi Ka Bayan Hey Ke Woh Palta To Aap صلى الله عليه و آله وسلم Ney Phir Us Ki Jaanib Dekha To Farmaya :
Us Ki Pusht Sey Aisey Log Paida Hongey Jo Allah Ta’ala Ki Kitab Ki Tilawat Sey Zubaan Tar Rakheingey, Lekin Qur’an Un Key Halak Sey Neechey Nahin Utarega.
Deen Sey Is Tarah Nikal Jaeingey Jaisey Teer Shikaar Sey Paar Nikal Jaata Hai.
Mera Khyaal Hain Ke Aapصلى الله عليه و آله وسلم Ney Yeh Bhi Farmaya Ke Agar Mein Un Logon Ko Paoo’n To Qaumey Samood Ki Tarah Unhey Qatl Kar Doo’n.”
Reference :
(Sahi Bukhari, Vol : 03, Kitab No 64 Kitabul Magazi, Hadees : 4351)
(Sahi Muslim, Vol : 02, Kitab No 12 Kitabuz Zakat, Baab : Khawarij aur Unki Sifaat Ka Bayan, Hadees : 1064)
(Sahi Ibn Hibban Vol : 01 , Pg :205, Hadees : 25)

Is hadees e paak ne Khawarijeen ki sifat bhi batayi SAR MUNDA, PYJAMA BAHOT UNHCA, NAMAZ QURAN TO KHOOB PADHNGE PAR IMAN HALAK SE NICHE NAHI UTREGA Inki pusht se kaum niklegi ye saari baatein wohi bata sakta hai jisko ALLAH ne GAIB KA ilm diya ho jinka akeeda ye hai k kal ki khabar nhi de sakte deewar k piche ki khabar nhi NAUZUBILLAH wo ye hadees kaise bayan karnge ? ye kal ki deewar ki baatein le bethe arre kayamat tak aane waali saari baatein to bata di phir bhi akal nhi aayi tumko is hadees ye bhi wajah huwa k sirf QURAN accha padhna bahot zyada Namaze padhlena hi kaafi nhi hai aaj jo ibadat k naam le leke dhoka diya jaa raha hai kaum ko samajhna chahye.  
ALLAH SE DUA HAI K IN MUNAFIKEEN K MUNAFIKAT SE AHLE SUNNAT KO BACHA Aamin

No comments:

Post a Comment