Friday, 12 June 2020

SAB SE PAHLE NABI KA NOOR

SAB SE PAHLE  NABI KA NOOR


Sabse pehle Allah ne Apne Noor se .. Hamare Nabi (Sallal Lahu Alaihi Wasallam) k Noor ko paida kiya ..

Hadees Shareef:  Hazrate Jabir (RaziAllahu Anhu) ne Huzoor se jab poocha K Allah Ta’ala ne sabse pehle kis cheez ko paida farmaya .. Ispar RasoolAllah (Sallalahu Alaihi Wasallam) ne Irshad farmaya “Ae jabir! Beshak Allah ne sabse pehle Apne Noor se ,, Tere nabi ke Noor ko paida farmaya … !! (Mawahibul Laduniyah Sharif V1 Pg9 ,, Zurqaani Shareef V1 Pg.46 ,, Seerat-e-Halbia V1 Pg37 ,, Anwaarul Muhammadiya Pg9)
Hadees Shareef: Huzur Sallal Lahu Alaihi Wasllam ne Hazrat Jibrail (AlaihiSalaam) se Farmaya AE Jibrail! tumahri Umr Kya hai … Jibrail (AlaihiSalam) ne Arz kiya Huzuur ! Muje Kuchh Khabar Nai ,, Itna Jaanta Hun Ki Chauthe Hijaab me Ek Noorani Taara ,, 70 Hazaar Baras k Baad Chamakta tha … Mene uss Taareko 72 Hazaar Martaba Chamakte dekha hai … Huzoor (Sallal Lahu Alaihi Wassalam) ne yeh sunkar rarmaya Mere Rab ki Izzat ki Kasam ,, Me hi woh Noorani Taara hun … !! (Ruhul Bayaan, V1, Pg974)
Hadees Shareef: Me Allah k Noor se hun .. Or Tamam Makhlook mere Noor se h .. Or sabse pehle Allah ne Mere Noor ko Paida kiya … !! (Tirzimi page 201)
Hadees Shareef: Ek Sahabi ne Arz kiya Apko Nubuwat kab mili … Huzur ne farmaya Me uss Waqt b Nabi tha ,, Jab Adam Mitti or Rooh k Darmiyan the .. !! (Sahiul Isnaad) Or Allah ne hamare Nabi ko Noorul Bashar banakar bheja ,, Jo unhe Bashar na Maane uska b Iman kharab … Or jo apni Tarha Bashar Maane uska to Iman hi Khatm … Haddeso se Sabit karta hu ki Hamare Nabi Noor the . Quran Beshak tumhari taraf Allah ki tarf se Noor (Sallal Lahu Alaihi Wasallam) aaya h ,, Or Roshan Kitab …  (surh Maida Para 6 Ayat 15) (Tafseer ibn Abbas Pg.72
Quran Chahte hain ki Allah k Noor ko apni ,, Muh ki Phoonko se Bujha den ,, Lekin Allah apne Noor ko ,, Pura Farma k Rahega .. chahe ye Kafiro ko bura lage … !! (Surh Toaba ayat 32)
Hadees Shareef: Huzur ne Farmaya Me Adam k paida hone se pehle ,, Rab k Huzur me Noor tha … !! (Ahkam Ibnal Quhtan ,, (Tafseer Durre Mansoor) Ibne Sabah Farmate hain Huzur Pur Noor k Khais me tha ,, K Aap ka Saya ,, Zameen par na padta tha … !! (Zurqani ,, Khasais ul Bubra)
Hadees Shareef: Hazrat Ali (RaziAllahu Anho) farmate hain Jab Huzoor (Sallal Lahu Alaihi Wasallam) kuch Irshaad farmate ,, To unke Mubarak Daanton k beech me se Noor ki kirne Phut ti dikhai deti thi … !! (Mawahibul Laduniyah V1 page 270 ,, Anwaarul Muhammadiya Page132 ,, Zurqaani Shareef)
Hadees Shareef: {Huzoor (Sallal Lahu Alaihi Wasallam)  farmaya} me Aulade Aadam me ,, Sabse zyada Mukkarran .. Or Sabse Zyada Muazzam hun … !! (Tirzimi ,, Abwabul Manaqib)
Hadees Shareef: Hazrat Aisha (RaziAllahu Anha) farmati hain Main Andheri raat me ik sui (Needle) me dhaage puro leti thi ,, Huzoor k Noor ki Roshni se … !! (Shara Shifa Hashia Naseemur Riyaz V1 Page 328)
Hadees Shareef: Hazrat Umar RaziAllahu Anhu farmate hain RasoolAllah (Sallalahu Alaihi Wasallam) ne farmaya Main tum me se kisi ki tarha nahi hun … !! (Jaam’e Tirmizi V1 page 97 ,, Sahih Bukhari Vol1 page246)
Hadees Shareef: Hazrat Ali (RaziAllahu Anhu) farmate hain Mene Huzoor (Sallal Lahu Alaihi Wasallam) k jesa ,, Kisi ko na paaya .. Na unke pehle ,, Na unke baad … !! (Taareekh-e-Kab eer V1 Page8 ,, Khasaais ul Kubra V1 page181 ,, Tirmizi Shareef V2 page.204)
Hadees Shareef: Huzur ne Sahabio ko Raat din k Roze Rakhne se mana Farmaya … Sahabi ne Arz kiya Ya RasoolAllah aap to Wisal k Roze Rakhte hain … Huzur ne farmaya Me tumhari tarha (Aam Insan) nahi hun ,, Muje Rizk diya jata h … !! (Muslim V2 page 774 ,, Bukhari V2 Page 693 ,, Nisai Vol2 page 241)
Quran Ae Imanwalo apni Awazein Unchi na karo,, Uss Gaib batane wale (Nabi) ki Awaz se .. Or unke Huzur baat Chillakar na kaho ,, Jese Aapas me ek dusre ko Chillate ho .. kahi tumhare Amaal  Akaarat na ho jaye ,, Or tumhe Khabar na ho … !! (Para 26 Ruku 13 Ayat 2)
Quran me Nabi ko Rehmat kaha gaya .. Quran Humne bheja jo Rahmat (Muhammad) h ,, Zamane k liye … !! (Surh Ambiya Ayat 107)
Hadees Shareef: Huzur Sallal Lahu Alaihi Wasallam Irshad karte h jese meri Zindgi tumhare liye Rehmat ) h ,, wese hi mera Parda farmana bhi tumhare liye Rehmat hai,, (musnad Vol 1 page 397 ,, Manaahil Al-Safa Pg 31 Hadees 8 ,, Al ksasis sl Kubra Vol 2 pg 281 ,, Majma al Zawwad )
To isko thoda Tafseel se Samajne ki zarurat hain .
»»»► (Kafir) Irada karte hain key “ALLAH Key NOOR”ko apni phunkon sey bujha den, lekin ALLAH apne”NOOR”ko pura farma k rahega agr che kafiron ko yeh bura lage”. (Surah Tauba, Ayat# 32 Para# 10)
Is Ayat main NOOR sey murad HUZOOR-E-AKRAM, NOOR-E-MUJASSAM (Salallaho Alehe Waslam) ki ZAAT-E-GERAMI hai. Dekhye…. -Tafser Dur’r E Mansor, Jild# 3,Page# 231, -Naseem Ul Riyaz, Jild# 2, Page# 396, -Al Mawahib, Jild# 3,Page# 149
QURAN se Sabit Hua Ki Huzur {ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм} ki zaat Noor bhi hai. Aap {ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм} ki zaat Ko Noor Naa Manna Khuli Gumrahi hai.

No comments:

Post a Comment