Friday 12 June 2020

(roman urdu) Allah ka Deedar


ALLAH KA DEEDAR 


Rou'yat e Baari Ta'ala
@1

Royat e Bari Ta'ala k muta'liq Hadees Chand Ahadees paish e khidmat hain

1;
Bukhari may Hzrat Anas sy Marwi "Hatta k Huzur Sidratul Muntaha pr aaey aur Jabbar Rabbul Izzet Ap k Qareeb huwa. Phir aur Ziyada Qareeb huwa. Hatta k wo Ap sy 2 Kamanon ki Miqdar reh gaya Ya is sy B ziyada nazdeek"
2; Muslim may Hzrat Abuzar kehtay hain k may ny Huzur sy is (Raoyat e Bari) k muta'aliq sawal kia to Ap ny farmaya "wo Noor he Noor tha"

Rou'yat e Baari Ta'ala
@2

3; Muslim me Ibn e Abbas ny Aayat ki Tafseer me;
"Aankh ny jo dekha Dil ny iski Takzeeb nhi ki. Aur Huzur ny Us (Rab) ko Dusri bar daikha"

4; Tirmizi may Akrama kehte hen;
"ibn e Abbas ny farmaya Huzur ny Apnay Rab ko Daikha hy. May ny kaha, kia Allah ny ye nhi farmaya, k Aankhen uska idrak nhi kr sakteen aur wo Aankhon ka idrak karta hy, to ibn e Abbas ny farmaya, tum pr Afsos hy, ye us weqt hy jb Apnay gair Mutanahi Noor k sath Tajalli farmaey, Bey shak Sayedna Muhmmad ny 2 martaba apnay Rab ko daikha hy"

5; Tirmizi may Ibn e Abbas ne kaha;
"Huzur ny Apnay Rab ko daikha hy"

Rou'yat e Baari Ta'ala
@3

6; Tibri ny apni Asaneed k sath,
Hafiz Hesmi ny ibne Habban ki sanad sy,
Hakim ny Mustadrak may  Bukhari k shart k mutabiq sahi riwayat naqal ki k Ibne Abbas;
"kia Tum ko is pr Ta'ajub hy k Ibrahim k liye Khalil hona, Moosa k liye Kalam aur Sayedna Muhammad k liye Deedar ho"

7; Imam Ahmed ny Musnad may sahee sanad k sath, Hesmi ny Majmual Zawaid maz zikar kia k Ibn e Abbas ne kaha k Huzur ny farmaya "Me ny apnay Rab ko Dekha"

Rou'yat e Baari Ta'ala
@4

8; Tibrani ny Aosat, Nisai, Hatim, Hesmi ny naqal kia k Ibne Abbas;
"Allah ny Moosa k liye Kalam, Ibrahim k liye Khalil hone aur Huzur k liye Dekhnay ki khususiyat rakhi"

9; Imam Ishaq sy riwayet k
"ibne Umer ny Ibne Abbas k pas 1 shakhs ko bhaija aur ye poocha k kia Huzur ny Apnay Rab ko daikha hy? Hazrat ibne Abbas ny farmaya HAN"

10; Ibn e Ata ny ALAM NASHRAH ki tafseer me;
"Allah ny Roiyet k liye Huzur ka seena khol dya"

Rou'yat e Baari Ta'ala
@5

11; Imam abdur Razzaq sy marwi k Hasan Basri Qasam kha k farmatay k Beshak Huzur ny apne Rab ko dekha

11; Tirmizi me hy k hzrat Ka'ab ki ibne Abbas sy mulaqat hui.Unho ny kaha hm Banu Hashim ye kehtay hen k Huzur ny Apnay Rab ko 2 Martaba dekha, ye sun kr Ka'ab ny Buland Awaz sy Allahu Akbar kaha hatta k Pahar goonj uthey

12; ibne ishaq sy marwi k Marwan ny Abu Huraira sy pucha k kya Huzur ny apnay Rab ko daikha?
Farmaya Haan

Rou'yat e Baari Ta'ala
@6

13; Roohul Mua'ani me
Imam Ahmed farmaty hen;
huzur ny apnay Rab ko apni Aankhon sy dekha.
Ap ye kalimat itni bar duhratey k Apka sans munqatey ho jata

14; Sharik ny NAJAM ki TafsIr me Abu Zar sy ye naqal kya k Huzur ny Apnay Rab ko dekha

15; Malik bin Yakhamir ny Hazrat Muaaz sy;
Huzur ny Apnay Rab ko daikha hy

16; Abul Hasan Ash'ari aur un k ashab ki jamat ny kaha k Huzur ny Allah ko apni Basar aur Sir ki Aankhon sy Dekha

Rou'yat e Baari Ta'ala
@7

Dusra
Hzrat Ayesha ki Riwayet Bayan Krke Royate Bari ka inkar kya jata hy
Ye Durust hy k Hzrat Aisha sy 2 riwayaten milti hen,
1st may farmaya k Meraj may Huzur ka Jisam Ghaib na hua,
2nd me ye k Ap ny Qur'an sy istidlal kr k farmaya k Huzur ny Rab ko nhi daikha

Jawab;
1; Hzrat Ayesha k inkar sy is mas'ale pr koi faraq nhi parega Q K Unho ny ye nhi kaha k me ny Huzur sy suna k me ny apne Rab ko nhi dekha.
Ye inka zati Qoul he

Rou'yat e Baari Ta'ala
@8

2; Jab sahee riwayat k sath ibne Abbas w deegar sahaba sy sabit k Mearaj may Huzur ny Allah ko dekha to in riwayat ko qabul karna Wajib hy.

3; jab 1 sahabi farman e Rasul sy koi mas'ala bayan karay aur dusra sahabi apnay Qoal sy iski mukhalifat kary to Qoal Hujjat nhi hota

4; Allam Muamar;
"jb masbat or manfi riwayat may ta'aruz ho to Masbat ko manfi pr tarjeeh D jati hy
aur wese B hazrat Aysha, Ibne Abbas sy zyada Aalim nhi"

Rou'yat e Baari Ta'ala
@9

5; rou'yet e bari ka waqia in masail sy nhi jinko aqal sy mustanbit ya zan sy bayan kya jaye
Ye sirf isi surat pr mahmul hy k kisi ny Huzur sy suna ho.
Jin sahba ne asbat kya unho ne zann sy nhi bulke Huzur sy sun kr bayan kia.
Jb k inkar k lye kahin koi Qoul e Rasul mazkur nhi

Rou'yat e Baari Ta'ala
@10

6; Hzrat Ayesha ka istidlal Qur'an k is mazmun sy hy
"Aankhen iska idrak nhi kr saktin"
idrak sy murad ihata hy
Allah ka ihata nhi kia ja skta. Qur'an me ihatey ki nafi ki gayi to is sy bagair ihatay k rouyat ki nafi lazim nhe aati.

Ibne hajar asqalani;
"yahan jis roiyet ki nafi ki gaee hy wo roiyet ala wajhul ihata hy.
Agar Deedar mutlaqan mumkin nhi to kia Hazrat Moosa is bat sy Aagah na they k wo bar bar iltija karte the?"

Rou'yat e Baari Ta'ala
@11

7; Allama Qurtubi;
"AL ABSAR jama muarraf bil laam hy. Aur ye takhsis ko Qabul krti hy. Is liye yahan ma'ana ye hon gay k
Kuffar ki Aankhen Allah ko nhi deakh sakteen"

8; Qur'an ki roo sy is pr sb ka ittifaq hy k aakhirat may rab ki rou'yat jaiz.
Qazi Ayaz aur Qurtubi farmatey hen k aqlan dunya may B rou'yet jaiz. Q k jb Aakhirat me rou'yet jaiz hy to dunya may B jaiz he hy.
Q k donu weqton may ba hesiyet imkan koi faraq nhi.

Rou'yat e Baari Ta'ala
@12

9; Agar che Aqlan Dunya me rou'yat jaiz magar shar'an mumtaney,
magar Huzur k liye rou'yet k subut ki ye daleel hy k mutakallim apne kalam k umum me dakhil nhi hota.
Ya ye Qaida Aam makhsus anhul Baz hy

10; Huzur ki meraj Hijrat sy Qabl
jbke Hazrt Ayesha us waqt kamsin Bachi thin,
in ki Shadi Hijrat k bad 9 sal ki umar me hui.
Phr inka ye farmana k Huzur ka Jisam Meraj ki raat gaaib nhi dekha,
Q kar mutasawwir ho sakta hy?

Rou'yat e Baari Ta'ala
@13

12; Hzrat Ayesha wali riwayat itni zaeef k muhaddiseen is Qoul ki nisbat inki taraf karne ko hi mashkuk samajhtey hen.
Agar tafseel deakhna chahen to
Behrul Muheet me
ibnul Hayan k Bayan ko mulahiza farma len.
Ishaq ny ise majhul aur sanad k aetbar sy nihayat kamzor bayan kya

Rou'yat e Baari Ta'ala
@14

13; Baheeqi ny muttasal sanad k sath hzrat Ayesha ka jo bayan naqal kia hy is ki kia tojeeh hogi k
"mearaj ki subah Huzur logon ko raat ki sirguzisht suna rahey they. K is pr muta'addid loag jo Eaman la chukey they murtad ho gaey. Phir Abu jehal ka Taoz w Abubakar ka tasdeeq karna wagaira.

14; sb sy qabal to ye bataye k Hzrat Ayesha ki Riwayat ko tarjeeh dekar Ap ka meraj pr mutlaqan inkar lazim nhi aaye ga? Soch kr Jawab den

Rou'yat e Baari Ta'ala
@15

15- Agar Ap k baqol ye khuab ka waqea hy to Jawaban Allama Qurtabi Jameul Ehkam may farmatay hain
ALLAH paak
"Bi Rooh e Abdihee" farmata
"Bi Abdihee" na farmata
Neez Surae Najm
Ayet 17 may Lafz e BASARA k sath yoon mazkur hay
"Nazar 1 taraf maail huwi na Had sy Barhi"
Aur khuab may dekhnay ko BASAR nahi kehtay.
Neez agar ye Khuab ka Waqia hota to is may ALLAH ki koi Nishani aur Mojiza na hota

16- ASRA k ma'ana he
"kisi shakhs ko Bedari me Raat ko lay jana"
Agar khuab hota to ASRA na kaha jata, aur na he koi iski Takzeeb krta

Rou'yat e Baari Ta'ala
@16

17- Ibn e Khuzaima ny Sande Qawi k sath Riwayet kia k
"Anas farmatay hen,
Huzur ny apni Aankhon sy apne Rab ko dekha"

18- Khalal ny Kitabus Sunna may Maruzi sy Riwayet kya
"May ny Imam Ahmed bin Hanbal sy kaha k Hzrat Aaisha k is inkar
(k Huzur ny Allah ko deakha) ka Ap kis Daleel sy Rad karen ge?
Farmaya
Huzur k is irshad sy k
(may ny Allah ko apni Aankhon sy Deakha)
Aur Nabi ka Farman Hzrat Ayesha k Qoul sy Akber w Rajeh hy

Rou'yat e Baari Ta'ala
@17

19- Hzrat Aysha ki riwayat me
"Ma Faqadat aur Ma Fuqida"
Aur Muhaddiseen k Nazdeek ye Riwayet bila shuba gair sabit aur mabni bar khata hy. Donu Riwayat az roo e Darayet w Riwayet Sahee nahi. Is liye is sy Muariza karna Batil hy. Aur agar Bar Taqdeer Tasleem is Hadees k ye Ma'ana liye jayen k Hazrat Aaisha MEARAJ ki sur'at aur is k Qaleel tareen weqt me honay ko bayan farma rahi hen k Huzur ka aana jana is tezi k sath waqe huwa k jisam Gum na hua to ye Ma'ana deegar riwayaat k mutabiq ho kar sahee Qarar paen ge.

Rou'yat e Baari Ta'ala
@18

20- Almukhtasar bayan krda Aetraz Kotah beeni w Kam fehmi hy
Mearaj ki Tafseelat Hazarha kutub e Hadees may Bikhri pari hen
Kam o Baish 34 Sahaba (Tafseer Ibne Kaseer may sb Naam mojud)
ny isay Riwayet kia hy Hazaron Sahaba ny Huzur ki Zubani Sama'at farmaya Siha e Sitta may kaee kaee maqam par mojud aur Tibrani aur Baheeqi ny Tafseel sy bayan kia hy
Zurqani, Fathul Bari aur Aeni may is par Mufassal Abwab mojud,
Tamam mustanad Tafaseer me tafseel k sath bayan hy
Poori Wahabi Zurriyet ko chelange hy agar kisi ko apnay Ilm o Muta'laey par Naz hy to is par MUNAZRA kar ley

No comments:

Post a Comment