Abu Talib Aur Quran part 1
Iman Abu Talib Aur Mufassarin e Quran
1
Hazrat imam Jalaluddin Siyuti Sureh Tauba Ki Aayat
مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ ﴿۱۱۳﴾
Tarjam.Nabi Aur iman Walon Ko Layaq Nahi Ke Mushrikon ki Bakshish Chahen Agarche Wo Rishtedar Hun Jabke Uneh Khol Chuka Ke Wo Dozakhi Hain
Ks Shane Nozul Farmate Howe Likhte Hain Ke “is Aayat Ke Nuzool Ka Taluk Huzoor ﷺKa Apne Cha cha Abu Talib Ke Liye Astagfaar Aur Baaz Sahaba Ka Apne Walidain Mushrikain Ke Liye Astagafar Karne Se Hai
Tafsir Jalalain vol 1 page 205
2
imam Qurtaba Sureh Tauba Ki Aayat
مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ ﴿۱۱۳﴾
KI Tafsir Mein Likhte Hain” Maut ke Waqat Aadmi Ki Zahiri Halat Ke Mutabiq Usper Hukam Lagaya Jaye ga Pas Agar Koi Halate iman Per faut Howa Tu Uske Liye is {iman} Ka Hukam Lagaya Jaye Ga Aur Agar Halate Kufar Per Faut Howa Tu Uske Mutabiq Hukam lagay Jaye Ga Aur Uske Batin Ki Halat Tera Rab Behtar Janta Hai Magar Ye Ke Huzoor ﷺ Ko Ko Hazrat Abbas ؓ Ne Kaha Ya Rasool Allah Kiya aap Ne Apne Cha Cha Ko Kisi Shaye Ka Nafa Diya Hai? Tu Huzoor ﷺ Ne irshad Farmaya Haan Aur wo Azaab Ki Takhfif Ke Baare Shafa,at Aur Sifarish Hai Na Ke Jahanam Se Nikalne Ke Baare Mein Jaisa Ke Hum Ne ise Kitab “Al Tazkira” Mein Bayan Kiya hai …Tafsire Qurtabi vol 4 page 757
3
Hazrat imam Jalaluddin Siyuti Sureh Tauba Ki Aayat
مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ ﴿۱۱۳﴾
Tafseer Mein Likhte Hain “Jab Abu Talib Qareeb ul Maut Howe Tu Huzoor ﷺ Unke Paas Tashrif Legaye Us Waqat Unke Paas Abujahal Aur Abdullah Bin Abi Umaiya Maujod Thy Tu Huzoor Nabi Karim ﷺ Ne Farmaya Aye Chacha Kaho لا الہ الا اللہ Main iske Mutaliq Allah Ki Bargah Mein Tumhare Liye Shahadat Dun Ga Ye Sunkar Abu jahal Aur Abdullah Bin Abi Umaiya Dono Ne Kaha Aye Abu Talib Kya Tum AbdulMutalib Ke Deen Se Eraaz Karo Ge? Huzoor ﷺ USper Kalma Shahadat Pesh Farmate Rahe Aur Abu Jahal Aur Abdullah Bin Umaiya Donno is Guftagu ke Bare Mein AbuTalib Ki Muawinat Karte Rahe Aakhiar kaar Abu Talib Ne unse Guftagu Karte Howe Kaha Ke Wo Abdul Mutalib Ke Deen Per Hain Aur لا الہ الا اللہ Kehne Se inkar Kar Diya Tu Huzoor ﷺ Ne Farmaya Mein Zaror Ba Zaror Tumhare Liye Astagfar Karon Ga Jab Tak Ke Mujhe Tere Liye isse Se Rook Na Diya jaye Pas Ye Ayat Nazil Howi
مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ ﴿۱۱۳﴾
Tafser Durres Mansoor Vol 3 Page 853
4
Tafsir Ibne Abbas Sureh Tauba Ki Aayat 113 ki Tafsir Mein likha Hai
“Jab Abu Talib ki Maut Ka Waqat Qareeb Tu Huzoor ﷺ Unke Paas Tashrif Legaye Us Abu Talib Ke Paas Abujahal Aur Abdullah Bin Abi Umaiya Baitha Tha Huzoor ﷺ Ne Farmaya Aye Chacha لا الہ الا اللہ padh lo Taaky Allah Ke Saamne Tumhari Sifarish Karsakub Ye Sunkar Abu jahal Aur Abdullah Bin Abi Umaiya Kehne Lage Aye Abu Talib Kya AbdulMutalib Ke Mazhab Se Eraaz Karte Ho? Ye Dono Musalsal Abu Talib Se Guftagu Karte Rahe Bil Aakhir Unka Aakhri Kalam Yahi Tha Ke Millate Abdul Mutalib Per Marta Hun isper
Huzoor ﷺ Ne Farmaya Mein Tumhare Liye Barabar Astagfar Kaaron Ga Jab Tak Ke Mujhe isse Rook Na Diya Jaaye Tab Ye Aayat Utri
مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ ﴿۱۱۳﴾
Tafser ibnne Abbas Vol 2 Page 15
5
Tafsir Ibne Kasir Mein Sureh Tauba Ki Aayat 113 ki Tafsir Mein likha Hai
“Hazrat Musaiyab Se marwi Hai Ky Jab Abu Talib ki Maut Ka Waqat Qareeb Aaya Tu Huzoor ﷺ Unke Paas Tashrif Legaye Us Waqat Abu Talib Ke Paas Abujahal Aur Abdullah Bin Abi Umaiya Baithe Howe Thy Huzoor ﷺ Ne Farmaya Aye Chacha لا الہ الا اللہ keh Dein is Kalme Ki Badaulat Main Allah Ke Haan Aapki {Magfirat Ke Liye} Hujjat Pesh Karun Ga Abu jahal Aur Abdullah Bin Abi Umaiya Kehne Lage Aye Abu Talib Kya Tum Abdul Muttalib Ke Mazhab Se Eraaz Karo ge ? Abu Talib Ne Jawab Diya Ke Main Millate Abdul Mutalib Per Qayam Hun Tu Huzoor ﷺ Ne Farmaya Mein Aapke Liye Us Waqat Tak Astagfar Karta Rahun Ga Jab Tak Mujhe isse Mana Na Kardiya Jaaye Tu Us Waqat Ye Aayat Karima Nazil Howi
مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَa وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ ﴿۱۱۳﴾
Tafser ibne Kaseer Vol 2 Page 668
6
Tafsir E Rool Ul Bayan Mein Hazrat ismail Haqqi Riwayat Likhte Hain ky” Huzoor ﷺNe abu Talib Se Farmaya Cha cha Aap Kalma E Shahadat Qaboul Farma Len Main Bargaah Rabbul e izzat Mein Aapke iman Ki Gawahi Dun Ga ..Abu Talib Ne Jawab Diya Agar Mujhe Nang wa Aar Ka Khayal Na Hota Tu Kalma Zaror Padh Leta Lekin Mujhe Apni Biradari Se Dar Lagta Hai Ke Wo Mere Baad Kehte Phiren Ge Ke Abu Talib Ne Maut Ke Khatre Se Kalma Padh Liya ..Jab Abu Talib Ne Kalma E islam Se Moon Moda Tu Usi Halat Mein Unki Maut Hogai Huzoor ﷺ Ne Farmaya Main Apne Cha Cha Abu Talib Ke Liye Dua e Magfirat Karta Rahun Ga Yahan Tak Ke Mera Allah Mujhe isse Mana Na Farmaye …

Tafsire Rooh hul Bayan para 9,10,11 page 789
7
٘Mufassir Quran Wa Sufi Hazrat Qazi Sana Ullah Pani pati Sureh Tauba Ki Aayat 113 ki Tafsir Mein likha Hain
Abu Talib Ke Marne Ke Waqat Rasool Allah ﷺUnke Paas Tashrif Laye Abu Jahal Aur Abdullah Bin Umaiya Bin Mufaira Ko Wahan Maujod Paya Huzoor ﷺNe Abu Talib Se Farmaya Cha Cha Ek Baar لا الہ الا اللہ Keh Dijiye Taake Alah Ke Samne Main Aapki Taaf Se isko Dalil Ke Taur Per Pesh Kar Sakun Abu Jahal Aur Abdullah Bole Abu Talib Kya Tum Abdul Muttalib Ke Deen Se Phir Jawo Ge Rasool Allah ﷺKalma Tauheed Pesh karte Rahe Aur Abu Jahal Aur Abdullah Apni Baat Barabar Kehte Rahe Aakhar Abu Talib Ne Kaha Abdul Mutallib Ke Mazhab Per {Hun} Ek Riwayat Mein itna Aur Bhi Aaya Hai Ke Abu Talib Ne لا الہ الا اللہ Kehne inkar Kar Diya Tu Rasool Allah Ne Farmaya Wallah Jab Tak Mujhe Mumaniat Nahi Kar Di Jaye Gi Main Aapki Magfirat Ke Liye Dua Karta Rahun Ga is Per Ye Aayat Nazil Howi
“مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ ﴿۱۱۳﴾
Tafser Mazhari Vol 5 Page 276
8
Syed Muhammad Ahmed Qadri Sureh Tauba Ki Aayat
Syed Muhammad Ahmed Qadri Sureh Tauba Ki Aayat
مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ ﴿۱۱۳﴾
ki Tasfir Mein Likhte Hain likhte Hain “ Pehla Qaul Tu Ye Hai Ke Jab Abu Talib Per Maut Ka Waqat Aaya Huzoor ﷺ Unke Paas Tashrif Le gaye Aur Abu Jahal Aur Abdullah Bin Umaiya Wahan Maujod Thy Huzoor ﷺ Ne Abu Talib Ko Farmaya Aye Chacha Aap Keh Len Taki Main Allah Ke Huzoor Aapki Bakshish Ke Liye Dalil Pesh Kar sakun Tu Abu Jahal Aur Abdullah Bin Umaiya Bole Abu Talib Kya Abdul Muttallib Ke Deen Ko Na Pasand Karte Ho Aur Bararbar Kalma Pesh Farma rahe Thy Abu Jahal Aur Umaiya Barabar Bakwas Kar Rahe Rahe Thy Abu Talib Ka Aakhri Kalma Jo Tha Wo Ye Tha Ke Main Abdul Muttalib Ke Deen Per Hun Aur Kalma Padhne Se inkar kiya Tu Huzoor ﷺNe Farmaya Jab tak Mera Rab Mana Na Farmaye Ga Main Tumhari Bakshish Ke Liye Dua Karta Rahun Ga Tab Ye Aayat Nazil Howi Ke Nabi Aur iman Walon Ko layaq
Nahi Ke Mushriqon Ki Bakshish Chahen Agar Chey Wo rishtedar Hun Jabke Uneh Khul Chuka Ke Wo Dozakhi Hain..Tafsir Al Hasnat Vol 3 Page 27
9
Tafsir Raufi Mein Hazrat Ahah Rauf Mujaddadi Likhte Hain “ Huzoor Abu Talib Se Marze Wafat Mein Abu Talib Ke iman Na Laane Per Ye Farmaya Tha Ke Jab Tak Mujhe Rook Na Diya Jaaye Tab Tak Tumhari Magfirat Ki Dua Karta Rahun Ga Tu Nabi Karim Baad Wafat Abu Talib Ke Unki Magfirat Ki Dua Farmaya Karte Tab Ye Aaayt Nazil Howi { Mafhoom }
“مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ ﴿۱۱۳﴾
Tafser Raufi Tafsir vol 2 page 5
10
Mufassire Quran Gulam Rasool Saidi Sureh Tauba Ayat
مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ ﴿۱۱۳﴾
Ki Tafsir Mein Ek Hadees Ke Aitraz Ke Jawab Mein Likhte Hain Ke”is Hadees Per Aitrza Kiya Gaya Hai Ke abu Talib ki Maut Hijrat Se 3 Saal Pehle Howi Hai Aur Sureh Tauba Un Suraton Mein Se Hai Jo Madina Mein Aakhar Mein Nazil Howin imam Waahidi Ne iska Ye Jawab Diya Hai Ke Hosakta Hai Ke Nabi Karimﷺ us Waqat Se Astagfar Karte Rahe Hun Hat,ta Ke Madina Mein is Surat ke Nazil Hone Tak Astagfar Karte Rahe Hun Aur jab Ye Aayat Nazil Howi Tu Aap ﷺNe Astagfar Tark Kar Diya is Jawab Ko Aksar Ajilla Ulama Ne Pasand Kiya Hai imam Raazi Aur Allama Aalosi Aur Alama Abu Hafas Damishqi Wagerhum inmen Shamil Hain Allama Aalosi Ne Ek Aur Jawab Ye Zikr kiya Hai Ke Sureh Tauba Ke Madni Hone Ka Maana Ye Hai ke iski Aksar Aur Galib Aayat Madni Hain is Liye Agar Ye Aayat Makka Mein Nazil Howi Ho Tu Wo Sureh Tauba Ke Madni Hone Ke Munafi Nahi Hai., is Hadees Mein Tasreeh Hai Ke Abu Talib Ne Taa Dame Marg Kalma Nahi Padha Aur islam Ko Qubol Nahi Kiya….
Tafsir e Tibyan Ul Quran Vol 5 Page 271
11
Mufassire Quran Mazhar Ullah Dehlvi Sureh Tauba Ayat
مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ ﴿۱۱۳﴾
Farmate Hain Shane Nozul Hasil Matlab Ye Hai Ke Kai Sabbaun Ka Majmua Mil Kar is Aayat Ki Shane Nozul HaiSahih Ye hai Ke Awal Sabab Abu Talib Ki Wafat hai Aan Hazrat ﷺAbu Talib Ke Paas Gaye Aur kaha Ke Aye Chacha is Waqat Bhi Tum lKalma Moon Se Kaho Ge Tu Mujh Ko Allah Ki Bargah Mein Tumhari Shafa,,at Ka Mauqa Mile Ga Lekin Us Waqat Abu Jahal ibne Umaiya Bhi Wahan Maujod Tha Usne Abu Talib Ko Bahqaya Aur Kaha Kiya Aakhri Waqat Aye Abu Talib Tum Abdul Muttalib Ke Tariqe Se Phirte Ho ? Is Liye Aakhir Waqat Per Abu Talib Ne Yahih kaha Ke Main Abdulmuttalib Ke Tariqe Per Duniya Ko Chhurta Hun is Per Aan Hazratﷺ Ne Farmaya Kahir Jab tak Allah Mujhko Manaa Na Farmaye ga Main Apne Cha Cha Abu Talib Ke Liye Magfirat Karta Rahun Ga is Per Allah Ne Ye Aayat nazil Farmai
Tafseer Mazhar Ul Quran Vol 1 Page 586
12
Mufasire Quran Mulla Moin Alkashifi Tafsire Hussaini Mein SUREH Tauba ki Aayat
مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ ﴿۱۱۳﴾
is Ayat Ki Tafsir Mein Likhte Hain
“Is Ayat Ka Sabab E Nuzul Ye Bhi Likha Hai ke Janab RahmatullilAlameen Jab Apne Cha Cha Abu Talib ke Marzul Maut Mein abu Talib ke iman Laane se mayus Howe Tu Huzor ﷺ Abu Talib se Waada Farmaya tha Ke Main Tumhare Waste Duaye Magfirat Karun Ga Jab Tak Allah Mujhe Mana Na Kar de Abu Talib Ki Wafat Ke Baad Huzor Ne Abu Talib Ke Liye Duaye Magfirat Talab Ki Shaba Ko Jab Ye Baat Maloom Howi Ke Huzor ﷺ Apne Chacha Abu Talib Ke Waste Duaye Magfirat Karte Hain Tu wo (Sahaba) Bole ke Ham bhi Apne Aaba Aur Aqarba ke Waste Duaye Magfirat Kyun Na Karen Halanki Hazrat ibrahi Ne Apne Baap(Chacha) ke Waste Duaye Magfirat ki Hai Aur Ab Hamare Huzor ﷺ Apne Chacha ke liye Duaye Magfirat Ki Hai Tab Ye Aayat Nazil Howi
Tafsir e Hussaini Vol 1 page 415’416
13
Tafsire Kabir Mein Sureh Tauba Ki Aayat “مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ
Tafsire Kabir Mein Sureh Tauba Ki Aayat “مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ
Ki Ke Shane Nuzul ke Taluk Se Hazrat imam Raazi Farmate Hain
رُوِيَ عَنْ سَعِيدِ بْنِ الْمُسَيَّبِ عَنْ أَبِيهِ قَالَ: لَمَّا حَضَرَتْ أَبَا طَالِبٍ الْوَفَاةُ قَالَ لَهُ الرَّسُولُ عَلَيْهِ الصَّلَاةُ وَالسَّلَامُ: «يَا عَمِّ قُلْ لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ أُحَاجُّ لَكَ بِهَا عِنْدَ اللَّهِ» فَقَالَ أَبُو جَهْلٍ وَعَبْدُ اللَّهِ بْنُ أَبِي أُمَيَّةَ أَتَرْغَبُ عَنْ مِلَّةِ عَبْدِ الْمُطَّلِبِ. فَقَالَ: أَنَا عَلَى مِلَّةِ عَبْدِ الْمُطَّلِبِ فَقَالَ عَلَيْهِ الصَّلَاةُ وَالسَّلَامُ: «لَأَسْتَغْفِرَنَّ لَكَ مَا لَمْ أُنْهَ عَنْكَ» فَنَزَلَتْ هَذِهِ الْآيَةُ
قَوْلُهُ: إِنَّكَ لَا تَهْدِي مَنْ أَحْبَبْتَ قَالَ الْوَاحِدِيُّ: وَقَدِ اسْتَبْعَدَهُ الْحُسَيْنُ بْنُ الْفَضْلِ لِأَنَّ هَذِهِ السُّورَةَ مِنْ آخِرِ الْقُرْآنِ نُزُولًا، وَوَفَاةُ أَبِي طَالِبٍ كَانْتْ بِمَكَّةَ فِي أَوَّلِ الْإِسْلَامِ، وَأَقُولُ هَذَا الِاسْتِبْعَادُ عِنْدِي مُسْتَبْعَدٌ، فَأَيُّ بَأْسٍ أَنْ يُقَالَ إِنَّ النَّبِيَّ عَلَيْهِ الصَّلَاةُ وَالسَّلَامُ بَقِيَ يَسْتَغْفِرُ لِأَبِي طَالِبٍ مِنْ ذَلِكَ الْوَقْتِ إِلَى وَقْتِ نُزُولِ هَذِهِ الْآيَةِ، فَإِنَّ/ التَّشْدِيدَ مَعَ الْكُفَّارِ إِنَّمَا ظَهَرَ فِي هَذِهِ السُّورَةِ فَلَعَلَّ الْمُؤْمِنِينَ كَانَ يَجُوزُ لَهُمْ أَنْ يَسْتَغْفِرُوا لِأَبَوَيْهِمْ مِنَ الْكَافِرِينَ، وَكَانَ النَّبِيُّ عَلَيْهِ الصَّلَاةُ وَالسَّلَامُ أَيْضًا يَفْعَلُ ذَلِكَ، ثُمَّ عِنْدَ نُزُولِ هَذِهِ السُّورَةِ مَنَعَهُمُ اللَّهُ مِنْهُ، فَهَذَا غَيْرُ مُسْتَبْعَدٍ فِي الْجُمْلَةِ.
“Main Kehta Hun Ke is Ko Bai,ed Samjhna Bhi Aqal Se Ba,ed Hai kyun Ke Koi Harj Nahi Agar Ye Kaha Jaye Ke Nabi Karimﷺ Wafate Abu Talib Ke Waqat se Nuzul E Aayat tak Astagfaar karte Rahe Be Shak Kuffar Ke sath Tashaddud is Surat Se Tu Biqul Zahir Hai Lekin Momkin Hai imandaron Ke Liye Apne Kuffar Walidain Ke Astagfar Ki ijazat Rahi Ho Aur Nabi Karim ﷺ Bhi is Mein Dakhil {Yani Abu Talib Kii Duaye Mafirat Karne Mein }Hun Phir is Aayat Ke Nuzul Ke Waqat Allah Ne Nabi Karimﷺ ko Mana Kar Diya So Hargiz Ye Ba,ed Baat Nahi Hai

{ Yaan Ye Aayat Abu Talib Ke Taluk Se Nazil Howi hai}
Tafsire Kabeer Imam Raazi Vol 16 page 208,209
14
Muffasire Quran Abu Saud Hanafi Sureh Tauba Ki Aayat “مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ
Apni Tafsir Mein Likhte Hain
روي أنه صلى الله عليه وسلم قال لعمه أبي طالب لما حضرتْه الوفاةُ يا عمّ قل كلمةً أحُاجُّ لك بها عند الله فأبى فقال صلى الله عليه وسلم لا أزال أستغفرُ لك ما لم أُنُهَ عنه فنزلت
” Riwayat Hai Ke Huzoor ﷺ Ne Apne Chacha Abu Talib Ko Uski Wafat Ke Waqat Farmaya Aye Chacha Kalma Padh Lo Ta Ke Main Allah Ke Huzoor Tumhare Haq Mein Hujjat Pakdon Pas Abu Talib Ne inkar Kar Diya Huzoor ﷺ Ne Farmaya Main Us Waqat Tak Tumhare Liye Astagfaar Karta Rahun Ga Jab Tak Mana Na Kiya Jaye
Tafseer Abi Saud Vol 2 Page 611
15
Muffasire Quran Hazrat imam Khazin Sureh Tauba Ki Aayat “مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ
Tafsir Mein Likhte Hain
الآية واختلف أهل التفسير في سبب نزول هذه الآية فقال قوم : نزلت في شأن أبي طالب عم النبي ( صلى الله عليه وسلم ) والد علي وذلك أن النبي ( صلى الله عليه وسلم ) أراد أن يستغفر له بعد موته فنهاه الله عن ذلك ويدل على ذلك ما روي عن سعيد بن المسيب عن أبيه المسيب بن حزن ( قال لما حضرت أبا طالب الوفاة جاء رسول الله ( صلى الله عليه وسلم ) فوجد عنده أبا جهل وعبد الله بن أبي أمية بن المغيرة فقال أي عم قل لا إله إلا الله كلمة أحاجُّ لك بها عند الله ) فقال أبو جهل وعبد الله بن أمية بن المغيرة : أترغب عن ملة عبد المطلب فلم يزل رسول الله ( صلى الله عليه وسلم ) يعرضها عليه ويعودان لتلك المقالة حتى قالوا : أبو طالب آخر ما كلمهم أنا على ملة عبد المطلب وأبى أن يقول لا إله إلا الله فقال رسول الله ( صلى الله عليه وسلم ) والله لأستغفرن لك ما لم أنه عنك فأنزل الله تعالى ما كان للنبي والذين آمنوا أن يستغفروا للمشركين ولو كانوا أولي قربى وأنزل الله في أبي طالب
“Ahle Tafsir Ne is Aayat Ke Mukhtalif Shane Nuzul Bayan Kiye Hain Ek Jama,at Kehti Hai Ke Ye Aayat Nabi Karim ﷺKe Cha cha Hazrat Ali ؓ Ke Walid Abu Talib Ke Haq Mein Nazil Howi Hai Aur Sabab Hai Ke Nabi Karim Ne Abu Talib Ke Liye Abu Talib Ki Maut Ke Baad Astagfar Karne Ka irada Farmaya Pas Allah Ne Mana Farmaya is Ki Dali Sai.ed bin Musaiyab Waali Hadees Hai
Tafsir E Khazin Vol 3 Page 195
16
Hazrat imam Neshapuri Apni Tafsir Mein Surah Tauba ki Tafsir Mein Hadees Naqal Farmate Hain
Hazrat imam Neshapuri Apni Tafsir Mein Surah Tauba ki Tafsir Mein Hadees Naqal Farmate Hain
روى الواحدي بإسناده عن سعيد بن المسيب عن أبيه قال: لما حضر أبا طالب الوفاة دخل عليه رسول الله صلى الله عليه وسلم- وعنده أبو جهل وعبد الله بن أبي أمية- فقال: أي عم قل لا إله إلا الله كلمة أحاج لك بها عند الله. فقال أبو جهل وابن أبي أمية: يا أبا طالب أترغب عن ملة عبد المطلب؟ فلم يزالا يكلمانه حتى قال آخر شيء كلمهم به أنا على ملة عبد المطلب. فقال النبي صلى الله عليه وسلم:
لأستغفرن لك ما لم أنه عنه فاستغفر له بعد ما مات فقال المسلمون: ما يمنعنا أن نستغفر لآبائنا ولذوي قراباتنا قد استغفر إبراهيم لأبيه، وهذا محمد يستغفر لعمه فاستغفروا للمشركين فنزلت ما كانَ لِلنَّبِيِّ الآيتان.
Tafseer Mein Likhte Hain “Jab Abu Talib Qareeb ul Maut Howe Tu Huzoor ﷺ Unke Paas Tashrif Legaye Us Waqat Unke Paas Abujahal Aur Abdullah Bin Abi Umaiya Maujod Thy Tu Huzoor Nabi Karim ﷺ Ne Farmaya Aye Chacha Kaho لا الہ الا اللہ Main iske Mutaliq Allah Ki Bargah Mein Tumhare Liye Shahadat Dun Ga Ye Sunkar Abu jahal Aur Abdullah Bin Abi Umaiya Dono Ne Kaha Aye Abu Talib Kya Tum AbdulMutalib Ke Deen Se Eraaz Karo Ge? Huzoor ﷺ USper Kalma Shahadat Pesh Farmate Rahe Aur Abu Jahal Aur Abdullah Bin Umaiya Donno is Guftagu ke Bare Mein AbuTalib Ki Muawinat Karte Rahe Aakhiar kaar Abu Talib Ne unse Guftagu Karte Howe Kaha Ke Wo Abdul Mutalib Ke Deen Per Hain Aur لا الہ الا اللہ Kehne Se inkar Kar Diya Tu Huzoor ﷺ Ne Farmaya Mein Zaror Ba Zaror Tumhare Liye Astagfar Karon Ga Jab Tak Ke Mujhe Tere Liye isse Se Rook Na Diya jaye Pas Ye Ayat Nazil Howi
Tafseer Mein Likhte Hain “Jab Abu Talib Qareeb ul Maut Howe Tu Huzoor ﷺ Unke Paas Tashrif Legaye Us Waqat Unke Paas Abujahal Aur Abdullah Bin Abi Umaiya Maujod Thy Tu Huzoor Nabi Karim ﷺ Ne Farmaya Aye Chacha Kaho لا الہ الا اللہ Main iske Mutaliq Allah Ki Bargah Mein Tumhare Liye Shahadat Dun Ga Ye Sunkar Abu jahal Aur Abdullah Bin Abi Umaiya Dono Ne Kaha Aye Abu Talib Kya Tum AbdulMutalib Ke Deen Se Eraaz Karo Ge? Huzoor ﷺ USper Kalma Shahadat Pesh Farmate Rahe Aur Abu Jahal Aur Abdullah Bin Umaiya Donno is Guftagu ke Bare Mein AbuTalib Ki Muawinat Karte Rahe Aakhiar kaar Abu Talib Ne unse Guftagu Karte Howe Kaha Ke Wo Abdul Mutalib Ke Deen Per Hain Aur لا الہ الا اللہ Kehne Se inkar Kar Diya Tu Huzoor ﷺ Ne Farmaya Mein Zaror Ba Zaror Tumhare Liye Astagfar Karon Ga Jab Tak Ke Mujhe Tere Liye isse Se Rook Na Diya jaye Pas Ye Ayat Nazil Howi
مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ ﴿۱۱۳﴾
TKar Diya Tafsire Gharaib ul Quran Maroof Tafsire Neshapuri vol 3 page 538
17
Hazrat imam Bayezawi Sureh Tauba Ki Aayat 113
مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ ﴿۱۱۳﴾
روي: أنه صلّى الله عليه وسلّم قال لأبي طالب لما حضرته الوفاة:
«قل كلمة أحاج لك بها عند الله» فأبى فقال عليه الصلاة والسلام: «لا أزال استغفر لك ما لم أنه عنه» فنزلت
Ka Shane Nuzul Likhte Hain “ Riwayat Ki Gai Hai Ke Huzoor Ne Abu Talib Se Us ki Wafat Ke Waqat Farmaya Kalma Padh Lijiye Taaki Main Allah Kie Huzoor Tumhare Liye Hujjat Pakadun Bas Abu Talib Ne inkaar Kar Diya Ta Huzoor Ne Farmaya Main Tumhare Liye Us Waqat Tak Astagfar Karta Rahun Ga Jab Tak Mana Na Kar Diya Jaun
Tafsire Bayezawi vol 2 page 456
18
Hakim ul Ummat Mufti Ahmed Yaar Khan Naimi Sureh Tauba Ki Aayat
Hakim ul Ummat Mufti Ahmed Yaar Khan Naimi Sureh Tauba Ki Aayat
مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ ﴿۱۱۳﴾
ka Shane Nuzul Bayan Karte Howe
Likhte Hain ‘Huzoor ﷺ Ne Abu Talib Ki Wafat Ke Waqat Jab {Abu Talib} Uneeh Kalima Taiyaba Zuban Se Ada Na Kiya Tu Farmaya Cha Cha Main Tumhare Liye Duaye Magfirat Karun Ga Jab Tak Ke Mujhe Mana Na Kar Diya Jaye Tab Ye Aayat Utri
Tafsir Noor Ul Irfan 326
.19
Tafsire Bahar ul Moheet Mein Hazrat Muhammad Bin Yusuf Undlosi Sureh Tauba Ki Aayat
مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ ﴿۱۱۳﴾
Ka Shane Nuzul Bayan Karte Howe Likhte Hain
قَالَ الْجُمْهُورُ: وَمَدَارُهُ عَلَى ابْنِ الْمُسَيِّبِ، وَالزُّهْرِيِّ، وَعَمْرِو بْنِ دِينَارٍ، نَزَلَتْ فِي شَأْنِ أَبِي طَالِبٍ
“ Jamhoor Ulamae Ahle Sunnat Ka Qaul Hai Aur is Qaul Ka Madar Hazrat Sai,ed Bin Musaiyab ؓAur Hazrat Umer Bin Dinaar ؓ Per Hai Ke Ye Aayat Abu Talib Ke Mutaliq Nazil Howi Hai
Tafsir Bahar ul Moheet Vol 5 Page 107
20
Hazrat imam Sharbeni Sureh Tauba Ki Aayat
مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ ﴿۱۱۳﴾
ka Shane Nuzul Bayan Karte Howe
{ما كان للنبيّ والذين آمنوا أن يستغفروا للمشركين ولو كانوا أولي قربى} فقال سعيد بن المسيب عن أبيه إنه نزل في شأن أبي طالب
Hazrat Sai,ed Bin Musaiyab Apne Walid Se Riwayat Karte Hain Ke Ye Aayat Abu Talib Ke Mutalliq Nazil Howi Hai
21
Hazrat imam Jalalluddin Siyuti Quran E Sharif Ki Aayat انک لاتھدی Ki Tafsir Mein Farmate Hain “Hazrat Abu Huraira Se Rieayat Hai Ke Abu Talib Ki Wafat Ka Waqat Qarib Howa Nabi Karim Aapke Paas Aaye Aur Kaha Aye Chacha لا الہ الا اللہ Kaho Main Qayamat Ke Roz Tere Haq Mei Gawahi Dun Ga Tu Abu Talib Ne Kaha Agar Qurs=esh Mujhe Aar Na Dilate Tu Wo Kehte Hain Maut Ke Khauf Ne ise is Baat per Aamaada Kiya Hai Tu Main Teri Ankh Ko thandi Karta Tu Allah Ne Ye Aayat Aap Per Nazil Ki ,,Phir Likhte Hain Hazrat Ibne Abbas Se Riwayat hai Ke Ye Aayat Abu Talib ke Haq Mein Nazil Howi
Tafsir Durre Mansor Vol 5 Page 386
Tafsir Durre Mansor Vol 5 Page 386
22
Hazrat imam Abu Haiyan Undlusi Quran E Sharif Ki Aayat انک لاتھدی Ki Tafsir Mein Farmate Hain
وَقَدْ أَجْمَعَ الْمُسْلِمُونَ عَلَى أَنَّهَا نَزَلَتْ فِي أَبِي طَالِبٍ، وَحَدِيثُهُ مَعَ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، حَالَةَ أَنْ مَاتَ، مَشْهُورٌ
“ Tahqiq Musalmano Ka ijma Hai Ke Ye Aayat انک لاتھدی Abu Talib Ke Haq Mein Nazil Howi Aur Abu Talib Ke Marte Waqat Ki Huzoor Ke Sath Guftagu tu Biqul Mash,hoor Hai
Tafsir Bahar Ul Moheet Vol 7 Page 126
23
Mufassire Quran Allama Hasan Neshapuri Ayat Ki Tafsir Mein Likhte Hain
قال الزجاج أجمع المسلمون على أنها نزلت في أبي طالب
“ Hazrat Zujaj Kehte Hain ke Musalmano Ka ijam Hai Ke Ye Aayat Abu Talib Ke Haq Mein Nazil Howi
“ Hazrat Zujaj Kehte Hain ke Musalmano Ka ijam Hai Ke Ye Aayat Abu Talib Ke Haq Mein Nazil Howi
Tafsir E Nishapuri Vol 5 Page 353
Not.Jab Abu Talib Ne islam Laane Se Inkar Kiya Tab is Aayat Ka Nuzul Howa
24
Mufassire Quran Allama Zamashkhari Ayat Ki Tafsir Mein Likhte Hain “ Hazrat Zujaj Kehte Hain ke Musalmano Ka ijam Hai Ke Ye Aayat Abu Talib Ke Haq Mein Nazil Howi
Tafsir E Kashaf Vol 1 Page 806
Not.Jab Abu Talib Ne islam Laane Se Inkar Kiya Tab is Aayat Ka Nuzul Howa
No comments:
Post a Comment