Friday, 12 June 2020

Kabro Mazarat Par Phool Dalna Kaisa

Kabro Mazarat Par Phool Dalna Kaisa



Kabro Par Phool Chadar Daalna Kaisa ? Kabro Par Shake’ein Phool Daalna Kaisa ?
Mazarat Pe Phool Dalna Kaisa ?
Ye bhi kaum e wahabiya ka ek aitraaz hai aur is sadi ka sabse bada jhoot kaha ye kahte hai k ye tamam amal Shah Ahmad Raza Khan Barelvi Rahimullah ne gade hai. Jhooto Pe ALLAH ki Laanat Hai (Al Imran :81)
Is unwaan ko bhi awaam k saamne biddat biddat shirk shirk bolte hai lihaja ye ek muktasar par ilmi guftgu pesh e khidmat hai jo In Sha Allah Taala Subahat ka jawab motebar dalil se denge ye internet pe roman me mauzood sabse ilmi post hai jarur padhe..
Part 01 Kabro Pe Shake’en Phool Daalna Kaisa ? Part I) Kabr Mazarat Pe Phool Dalna Kaisa ?
Ek Bhai ne ek jaahil nagawar wahabi speaker ki video bheji jisme us jaahil ne Kabr pe Phool daalne ka raddh kiya mai uska naam nahi likhta par uska jo aitraaz tha aur jo jahilana baat se wo apni galat baat ko sahi saabit karne ki jo koshish usne ki uska jawab aur motebar dalil yaha pesh e khidmat hai.
Us wahabi ne jo jahilana aitraaz kiya wo ye tha
(i) Kabr Pe Phool Daalna Biddat Hai
(ii) Kabr pe phool dalna goya ye gumaan karna hai k Murdo Ko Azaab  horaha hai aur ye badgumani hai jo jaiz nahi hai.
(iii) Aur Tum Log Buzurgo ko bhi Gunahgaar samajhte ho jo phool daalte ho.
Aage janab e wahabiya kahte hai ye wo log hai namaz nahi padte namaz k masle nahi maloom bas ye sab biddat karte hai.

Ye bayan wo khabis wahabi bimari ne Ahle Sunnah k masail k khilaf bola
Aur isme aap andaza lagaye koi ek bhi dalil ka raddh ilm se hai ? bas saare sawal akal k ghode hai aur ilm se jawab nahi hai to ahle sunnah pe tanz k namaz k masail nahi maloom ye aise bewakuf hai wahabi jab sawal ka jawab nahi to topic badal do sawal namaz k masail ka hai ?
Khair uske pure aitraaz ka ilmi jawab explaination padhe. Ahle Sunnat Wa Jamaah ka Maukoof : Kabr Pe Phool daalna Shakein Lagana Ulma Ahle Sunnat Ka Iske muttalik farmaan hai k Phool Har Musalman Ki Kabr Par Daalna Jaiz Hai Khwaah Ulma Ho, awaam me se ho ya AULIA FUKAHA me se ho.
Maslak Ahle Sunnat Ye hai k ye amal koi Farz Waajib Nahi hai par jis haisiyat me hai uski dalil hamare pass mauzood hai.
Aala Hazrat As Shah Ahmad Raza Khan Rahimulluh Apne Fatawa Razviya me farmate hai
“Kabro Par Gulaab Aur Phoolo Ka Rakhna Accha hai”
(Fatawa Razviya ‘Mutarzim’ Vol : 01, pg : 105 aur 136)

Aur Iski Asl Hadees E Paak Se Sabit Hai chunache Bukhari Sharif Me 03 Makam aur Sunan Nasai me 03 makam aur bhi deegar kutoob e hadees me ye hadees mauzood hai mulahiza kare.
Hadees :
ابْنِ عَبَّاسٍ ـ رضى الله عنهما ـ عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم أَنَّهُ مَرَّ بِقَبْرَيْنِ يُعَذَّبَانِ فَقَالَ ‏"‏ إِنَّهُمَا لَيُعَذَّبَانِ وَمَا يُعَذَّبَانِ فِي كَبِيرٍ أَمَّا أَحَدُهُمَا فَكَانَ لاَ يَسْتَتِرُ مِنَ الْبَوْلِ، وَأَمَّا الآخَرُ فَكَانَ يَمْشِي بِالنَّمِيمَةِ ‏"‏‏.‏ ثُمَّ أَخَذَ جَرِيدَةً رَطْبَةً فَشَقَّهَا بِنِصْفَيْنِ، ثُمَّ غَرَزَ فِي كُلِّ قَبْرٍ وَاحِدَةً‏.‏ فَقَالُوا يَا رَسُولَ اللَّهِ، لِمَ صَنَعْتَ هَذَا فَقَالَ ‏"‏ لَعَلَّهُ أَنْ يُخَفَّفَ عَنْهُمَا مَا لَمْ يَيْبَسَا ‏
Translation :
Hazrat Abdullah ibn Abbas Radi Allaho Anho Se rivayat Hai Huzoor Sayadul Mursaleen صلى الله عليه و آله وسلم Ka Guzar 02 Kabro k paas Se Huwa To Aap صلى الله عليه و آله وسلم ne farmaya inko Kisi badi Galti ki Wajah Se Aazab Nahi Horaha hai, balki inme se ek peshab ki Cheent(boond) se nahi bachta Tha Aur Dusra Chugal Khori Kiya Karta Tha.
Huzoor صلى الله عليه و آله وسلم ne jab un dono kabro me aazab dekha to Aapne Khazoor Ki Ek Sabz Shaak Lekar Uske 02 Tukde Farmaye Aur Dono Kabro par eke k Gaad Diya.
Sahaba E Kiram Rizwanallahu azmain ne jab Aap k is amal ko dekha to arz kiya YA RASOOL ALLAH صلى الله عليه و آله وسلم Aapne Aisa Kyu Kiya ?
Is Par Sarkar E Do Aalam صلى الله عليه و آله وسلم ne farmaya
لَعَلَّهُ أَنْ يُخَفَّفَ عَنْهُمَا مَا لَمْ يَيْبَسَا
Jab Tak Ye Shake Khusk Na Hogi Un Par aazab me Takhfeef Rahegi.
References :
(Sahi Bukhari, Vol : 02,Pg :255, Kitab No 23 Kitabuz Janaiz, Baab : Kabr Par Shakein Lagana, Hadees : 1361)
(Sahi Bukhari, Vol 01, Pg : 172, Kitab No 05 Kitabul Waju, Hadees : 216)
(sahi Bukhari, Vol : 08, Pg : 54, Kitabl Adab, Hadees : 6055)
(Sunan Nasai, Vol : 03, Pg :, Kitab No 21, Kitabuz Janaiz, Baab : Waz’al Jaridha Alal Kabre, Hadees : 2070/2071)
(Sunan Nasai, Vol : 01, Pg : 28, Kitabut Tahara, Hadees : 31)
(Mishkat Al Masabih, vol :01, Baab : Adabil Khala,Pg : 43)
Is Hadees e Paak se bahot se masle ka jawab mila hai log padhke guzar jaate hai par gaur o fikr nahi karte hai ye ek hadees e paak me Aqaid e Ilme Gaib bhi shamil hai Isaal e Sawab aur Aqaid E Sahaba bhi mauzood hai par jarurat hai gaur o fikr ki. Pehle is Hadees E Paak Ki Shara Dekhe Sahi Bukhari ki Sabse Motebar Maane Jaani Waali Shara wahabi Bahot Dawa karte hai maan ne ka Lekin Maante kuch nahi Imam Ibn Hajar Asqalani Futoohul Baari Shara E Sahi Bukhari kya likhte hai. إن المعنى فيه أن يسبح ما دام رطباً فيحصل التخفيف ببركة التسبيح، وعلى هذا فيطرد في كل ما فيه رطوبة من الأشجار وغيرها. وكذلك فيما فيه بركة كالذكر وتلاوة القرآن من باب الأولى
Translation:
Iska Maana Ye Hai k Jab Tak Shake’in Taaza Rahengi Ye Tasbeeh Karengi Aur USKI BARKAT se Azaab Me Takfeef Rahegi.
Is Se Ye Bhi Maloom Huwa k wo har chiz jo taaza rahe jisme Taazgi ho Ped Paudo (Trees/Plant) Me Daala Jaaye To Azaab ki kami ka baaes hoga.
Isi Tarah ‘Har Wo Cheez Jis Se Barkat e Zikr Aur Quran Ka padhna is se Afzal Hai.”
References :
(Imam Ibn Hajar Asqalani Fatuhool Baari Shara E Sahi Bukhari Vol : 01. Pg : 426)
Ab Aaye Aur Explaination of Above Hadees point wise :

1)Kabr Me Faut Shuda Ko Azaab : Kabr Me Murdo par Ajaab Hona ye gaib ki baat hai jo Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم ka Kabr me Murdo k halaat se bhi wakif hai unki awaaj bhi sunte hai.
2)Nigahe Nabuwat صلى الله عليه و آله وسلم  Ka Aalam Kya Hai (Power of Seeing of Beloved Prophet صلى الله عليه و آله وسلم : Huzoor Rehmat E Aalam صلى الله عليه و آله وسلم Ki Nigaah Dekho Kabr Hai Kya Andar Kya Horha hai Ye bhi Dekh Rahe hai aur tum kahte ho hamari tarah hai.
3)Azaab Ki Wajah Bhi Batadi : Gaur Kare K sirf Azaab hona Hi nahi balki Huzoor Rehmat E Aalam صلى الله عليه و آله وسلم ne bhi bayan kar diya k Azaab ho kyu raha hai wajah kya hai wo bhi bata diya.
Jaahir si baat geebat karna peshab k karte se naa bachna ye insaan ka apna amal hai jo wo khud jaanta hai lekin Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم ne ye tak bata diya k inpe azaab kis badamli k sabab horha hai pata chala k ummati amal kya karta hai uske tamam amal bhi Mustafa Jaane E Rehmat  صلى الله عليه و آله وسلم se chupe nahi hai Aap صلى الله عليه و آله وسلم hamare chupake kiye amal se bhi amal waakif hai kon kya amal kar raha hai Huzoor صلى الله عليه و آله وسلم ye bhi jaante hai.
4)Deewar k Piche Ki Bhi Khabar Hai : To kis bina par ye wahabi ye akeeda rakhte hai k Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم ko Deewar k piche ki khabar nahi thi deewar to dur ki baat Ek deewar dekho is paar aap ho us paar koi hai uska faasla kitna hoga ek deewar zyada se zyada 1 feet moti hogi par kabr ka fasla kitna hai us deewar se bhi bahot zyada Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم ne us akeede ka bhi raddh kar diya jo ye kahe deewar k piche ki khabar nhi hai aur Sahaba ne bhi isko tasleem kar liya warna wo kah sakte hai ye to gaib ki  baat hai YA RASOOL ALLAH aapne Kaise bayan kardi ?
JO BE ISHQ E MUHAMMAD صلى الله عليه و آله وسلم PADHTE HAI BUKHARI
        AATA HAI BUKHAR UNHE BUKHARI NAHI AATI
5)Geebat Aur Peshab K Katre Se Bachna bahot Jaruri Hai : Pata chala k insaan pe in chizo k wajah se bhi azaab hoga kabr me lihaja hume chahye k Geebat (backbitting) aur Peshab K karto se khud ko bachana chahye.
Note : Kuch jaahilo ne raddh e badmazhabiat munafikat ko GEEBAT ka naam diya hai ye jahalat hai 72 Gumraah sects ka raddh karna backbitting nahi balki ALLAH AUR RASOOL  صلى الله عليه و آله وسلم Ki Sunnat hai in khabiso ka raddh QURAN AUR Hadees me mauzood hai.
6) Is hadees se ye bhi wajeh huwa k Sabz Shak jab tak sukhti (Khushk) nahi hoti wo ALLAH Taala Ki Hamd O Sana Karti Hai lihaja Uski Tasbeeh karne k wajah se Kabr me Madfoon Mayyat k ajaab me narmi hoti hai to pata chala sirf rahaat dua se hi nahi balki in amal se bhi hoti hai aur yehi hadees se Aimma Fukaha ne Farmaya hai k Kabr Me SHAK aur Phool Daalna MUSTAHAB AUR BARKAT WAALA Amal hai.

Ab ye hadees dikhado to wo munkireen ki bolti band hojaygi lekin chunke awaam ko hamesha amal se khair o barkat se dur rakhna inka maksad hai lihaja aitraaz laynge k yaha to SHAAK ka hukm hai tum phool daalte ho biddat hai shirk hai.
Halanki ye to wajah huwa hai k biddat aur shirk to hargiz nahi hai chunki Phool daalna agarche hadees me nahi likha hai lekin ye amal ki asl Sunnat se saabit hai.

Is Hadees E Paak Se Fakaha Ne istedlaal kiya hai k Kabr Par Phool Daalna Accha amal hai chunki wo jab tak taaza hota hai Zikrullah karta hai.

Fukaha E Kiram Rahimullah azmain Ka Farmaan
”Chaub Aur Hari Ghaas Ka Makbare Se Kaatna Makrooh Hai Aur Agar Khushk Ho To Muzaika Nahi Wo Jab Tak Rehti Hai, Allah Ki tasbeeh Karti Hai, Aur Us Se Mayyat Ka Jee Bahelta Hai”
References :
(Imam Hasan Bin Mansoor Qazi Khan Al Mutwaffa 592 Hizri ne Fatawa Qazi Khan Vol : 01, Pg : 195, Baab : Ahkaamil Janaiz)
(Fatawa Hindiya Vol : 02, Pg : 471, Al Baabusani Ashar Firubabaat)
(Imam Shami Raddul Mohtar Vol : 01, Pg : 606, Baab : Salatul Janaiz, Matbua : Idaratutaba’til Misriya, Cairo Egypt)
(Fatawa E Razviya ’Mutarzim’ Vol : 09, Pg : 443 & 757)
Pata chala Jab tak ye cheez taazi hoti hai to kabr pe rahat ka sabab banti hai dusra Jikr e Islahi kari hai
Deegar Fatawa aur kutoob Me Bhi ye mauzood Hai.
Imam Qazi Khan Hizri 592 Apne Fatawa Khaniya
Imam Muhammad Ibn Shihaab ibn Bajjaj Ne “Fatawa E Bajjajiya”
Imam Sharanbalali Hizri 1069 Apni Tasneef “Nurool Izaah” , “Marakiyul Falaah” Aur “Imdadul Fatah”
Allama Abu Saood “Hashiya e Murraqi”
Fazil e Jalil Allama Tahtavi “Hashiya Marikuyul Falaah”
Imam ibn Abideen Shami “Raddhul Mukhtar Hashiya Durre Mukhtar” Aur “Khazanatur Rivayaat me Fatawa E Kubra K Hawale Se Likha”
Shaykul Islam ne Apni Kitab “Kashfool Gheta” me likha hai

Shaikh Abdul Haqq Muhaddis Dahelvi Rahmatullah Alaih ne Ashiatul’amaat Shara E Mishkat me Is hadees k tahet likhte hai k
“IS HADEES SE EK JAAMAT DALIL PAKADTI HAI K KABRO PE SABZI PHOOL AUR KHUSHBOO DALNA JAYAZ HAI”

Wakt Ka Mujadid Muhadis Jaiz Likh Raha Hai aur ye aajke Nau umr jaahil Dawa hai ek haath me Quran ek haath Me Hadees ka lekin mablage ilm siwaye logo k gumraah karne k kuch nahi hai.

“Gulab wagairah k phool kabro par daalna accha hai jab tak taaza rahenge tasbeeh e ilahi karenge aur unki tasbeeh se mayyat ko uns (rahat - fayda) haasil hoga”
(Fatawa E Aalamgiri, Vol : 05, Kitabul Karahiyaat, Baab : Baabusaadis Ashra Ziyaratil Kaboor, Pg :351)
(Raddul Mohtaar Vol :01, Pg :307)
(Fatawa Razvia ‘Mutarzim’ Vol : 09, Pg : 760)

“Jamaiul Barkaat” Me Kitab “Matalibul Mumineen” K hawale Se Aur “Kanjul Ubbad” Aur “Fatawa e Garaib” kitab me bhi hai ye masla aur ye dono kitab “Matalibul Mumineen” Aur “Jamaiul Barkaat” Firqa e wahabiya k nazdeek Mutebar Authentic Mustanad Maani jaati Hai.
Gair Mukallid Maulvi Ishaaq Dahelvi Ne Apni Kitab “Mi’aata Masail” Aur Maulvi Muttakallim Kannauji Ne Apne Kitabo me inse masle istedlaal kiya hai. Imam Mullah Ali Qari Al Hanfi Rahmatullah Alaih
Mirqat Shara E Mishqat me is hadees k shara me likhte hai
“Maloom Huwa K Mazaro Pe Phool Daalna Sunnat Hai”


Aitraaz K Ilmi Jawabat :
1) Hadees me aaya hai k unlogo ki kabr me aazab horaha tha unke gunah k sabab Kya tum Walio ko bhi aisa samajhte ho jo unki kabr me phool daate ho ?
Subhahat : Devbandi Mujadid Ashraf Ali Thanvi Sahab ne apni kitab ISLAAH’OORUSOOM yaani rasmo ki islaah me ye likha hai Phool wagaira fasik fazir ki kabro pe daalna chahye naaki AULIA ki kabro pe unke mazarat pe to azaab hi nahi hai jiski phool wagaira se kami ki jaaye.
Thanvi sahab ne isko likha lihaja ab har 40 din k chille se aane waala 40 days english course karne waala yehi kahtah hai aur awaam ko shak o subahat me daalta hai aur aapne khud suna dekha hoga wo puri jamaat yehi kahti hai.
Al Jawab : Musalmaano k apne amal k lihaaj se darje hote hai baaj Swaleeheen aur baaz fasik o fazir hote hai Jo amal Fasik o fazir k gunaah maaf karne me kaam aata hai wohi amal Swaleeheen k darje badhata hai.
Example : Ek Gunaahgaar Fasik Masjid ki taraf Namaz o Zikr e Ilahi k liye jaata hai to uska chalna gunaho ko dhota hai lekin jab koi Nek Swaleheen banda chale to wo gunaah nahi dhota balki us bande k darjaat ALLAH k Nazdik uski Qurbiyat ko badhata hai.
Ek Fasik O Fazir zirk o Istegfaar karta hai uska gunaah mit ta hai par jab salaheen banda karta hai wo aur darje me bulani paata hai amal to ek hai dono ka par shaksiyat k darje badle uska natiza badal gaya.
Agar tumhare kanoon ko maana jaaye to phir to Saleeheen bande Tauba Istegfaar hi naa kare kyu ? wo to gunaah hi nahi karte to tauba ka kya matlab ? Tumhare Formula se to phir Salaheen ka Istegfaar karna hi durust nahi hoga.
2)Azaab E Kabr me Kami Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم  Ki Dua se dur huwi naaki Shakho k wajah se ?
Al Jawab  :
i) Awaal to ye mahez awaam ko dhoka dena hai k mahez dua se azaab dur huwa agar sirf Dua ka maamla hota to bina shaak tehni lagaye dua kar dete azaab kayamat tak dur hojata magar Tehni kyu lagayi ?
ii)Aur phir Yaha ye hadees me qaid kyu lagayi gayi k jab tak wo Tehni taaza hogi azaab me kami karegi ? Ye kyu farma balki ye kahdete k bas tehni lagi hai par dua hi asal hai tehni ka koi faida nahi, Maloom huwa k tum makkari farebkaari me dube huwe ho. 3) Kya Tum Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم  Ki Dua Ko Kamzor Samajhte Ho Jo Tehni aur phool daalte ho ?
Al Jawab :  Sudharna Islaah karna maksaad hota nahi lihaja bina haaath pair ki dalil laana yaha waaha k akli ghode hai bas yehi hai mukhalifeen k pass khair Iska bhi ilmi aur tehkeeki jawab de rhe hai hum
Beshak Nabi E KARIM ki dua kaynaat me sabse buland makam rakhti hai  
jisko ALLAH TAALA Raddh nahi karta.
Agar Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم ye dua karte k AYE ALLAH KAYAMAT TAK AANE WAALI UMMAT SE AZAAB E KABR KI NIZAAD DEDE aur kabool hoti to natiza ye nikalta logo ko Kabr k azaab ka khauf hi naa hota k abto bas kuch bhi karo kabr me koi azaab hi nahi hai us wakt waha un do kabr waalo k liye Dua kar dete azaab dur hojata par baad k jamane waalo ka kya ? bahot se aise Musalmaan bhi huwa aur aage bhi honge jo is haal me kabr me jaaynge ham aap dua kare kabool ho naa ho guarantee nahi hai hum bas dua kar sakte hai par Nabi E KARIM RAUF O RAHEEM hai apni ummat pe to ummat ko kabr se nizaad k liye ek aisa amal bata diya jisko amal karo tumhari dua ki guarantee nahi hai lekin wo tehni taaza phool jab tak sukh naa jaaye unki guarantee hai k wo ZIKR E ILAHI karnge to jab tak kabr k azaab se rahaat milegi wajah ye hai par afsoos hai tumhari soch pe har chiz ko ulta hi samajhte ho tumhari khopdi me baat kaha aati hai.
4)Fukaha E Ahnaaf Ne Bhi Isko Nazaiz o Haraam Likha Hai ?
Al Jawab : ye bhi bas hawai firing aur ek jhoot hai Fukaah E Ahnaaf ne ya dusre mazhab k fukah ne bhi isko Nazaiz Nahi kaha Hai agar sacche to saabit karo Quran Me Rab Taala Farmata hai
هاتوا بُرهانَكُم إِن كُنتُم صادِقينَ
”Lao Apni Dalil Agar Sacche Ho”
(Surah Al Baqraah Ayat 111)
Balki kuch Fuqaha ne Is Amal ko Sunnat Kaha hai isliye baaj fuqaha ne SUNNAT hone ka raddh kiya hai naaki is Amal ko Nazaiz o Haram likha Hai.
Chunache is Subahat ka jawab Imam Tahtavi Rahimullah ne diya hai mulahiza farmaye.
“Hamare Kuch Muttakhireen Ashaab Ne Is Hadees ki wajah Se Fatwa ) Diya ki khushboo Aur Phool Chadane Ki Jo Aadat hai Wo Sunnat Hai.
In Ibarato Me jo farmaya K Kuch Ne Fatwa Diya Iska Matlab ye Nahi kuch Ulma Isko Nazaiz Bhi kahte hai balki matlab ye hai k Kuch Ne Isko SUNNAT maana Hai, JAIZ TO SAB HEE KAHTE HAIN SUNNAT HONE ME EKTELAF HAI”
(Imam Tahtavi Ala Muraki’ul Fala Pg : 364)
To Pata Chala Ektelaf Fukaha E Kiram me is baat ko leke hai k Phool Aur Deegar Chiz Daalna Sunnat hai yaa Nahi balki Jaiz to Sabne kaha hai aaj tum jaahil 1400 saal baad aaye sab biddat biddat karne.
  Ab aaye Jara Inke Ghar k Logo ki Kabr Ki Jhalak Dekhle Kya Haal Hai
Israr Ahmad Ki Kabr Ka Photo Uske Marne pe

Ye Gair Mukallideen k Nawab Sahab Siddik Hasan Bhopali Phool Pe Jhagda karte ho Puri kabr me Full Jhaad Hi Ugaa Diya kyu ? Janab Kab Lagega Fatwa ? 
Aur Yehi haal Devband Ka Hai In Sha ALLAH Taala Bahot jald uski bhi pic post hojaygi. Ab Next Post "Mazarat Pe Chadar Chadana Kaisa ? " is topic k liye yaha Click Kare http://786sho.blogspot.in/2015/10/mazarat-pe-chadar-chadana-kaisa.html Note : Plz Do Not Copy The Content of This Blogs for your self Web, blogs etc You Can Use it only for FB, Watsapp. Jajakallah

No comments:

Post a Comment