Friday 12 June 2020

QAWWALI



~@ Conditions For Listening Qawali @~
Qawali sunana jaiz hai, laikin bohat see conditions k sath jo k yeh hain: -Qawali sunany wala aur perhny wala dono basharah hon. -Qawali perhny wala koi amrad(jawan khoobsurat lerka na ho).
-Musical Instruments ka isteimal na ho.
-Ghalba-e-haal ki keifiyat k illawa koi bhi shaks khara na ho, ghalba-e-haal ki keifiyat ko ulma-e-karaam ney yon define kia hai k k es keifiyat waly bandy ko pahar per ager choor dia jai tou lurak ker mer jai, es ko ager talwar sey waar karain tou es ko pata he na lagy k es k sath kuch ho raha hai, es keifiyat main insan jub aajata hai tou SHARIAT k dairey sey bahir ho jata hai, es per SHARIAT ka hukm nahi lagta, lehaza es halat main ager khara ho ker raqs bhi kerna shuru ker dey tou es k liay jaiz hai.
-Jo Kalam perha ja raha hai wo bhi SHARIAT k mutabiq ho, na k kisi aurat ya SHARAB ki tareek ki ja rahi ho, KHUDA aur Rasool ka zikr buland kia ja raha ho.
-Qawali ka asl maqsad jo hai wo yeh hai k sher-o-shairi k zariyay loogo k ander ishq-e-haqeeqi peida kia jai, lehaza aisa he hona chahiyay na k ishq-e-majazi ki taraf qawali mansoob ker rahi ho.
Lehaza in tamaam conditions ka khayal rukhty huay qawali perhhi aur sunni jai tou jaiz hai.

No comments:

Post a Comment