Friday, 12 June 2020

WAHABI KA SAWAL ?


WAHABI KA SAWAL

Sawal :
Kis Sahabi Kay Urs Par Sab Say Zyada Log Jama Hotay Hai?

Answer :
Hazrat Tamim Ansari (Radiallahanhu) Kay Urs Sharif Jinki Mazar Kolam Sharif Samundar Kay Kinaray Madras Chennai Main Hai
Aur Usi Tarah Hazrat Bilal Habsi(Radiallahanhu) Jinki Mazar Damascus Mulkay Sham Main Hai,
Hazrat Salman Farsi (Radiallahanhu) Iraq,
Hazrat Ali (Radiallahanhu) Najaf,
In Sahabi Kay Urs Par Sab Say Zyada Log Jama Hotay Hai.

Sawal :
Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Kay Daur Kay Mashoor Qawaal Ka Naam Batao ?

Answer :
Qawaal Kay Manay Buzrgo Kay Qaul Gane Wala Haqqani Chezian Ganay Wala...Dekhye Urdu Ki Mashoor Lugat Ki Qitab
" Firazul Lugat" Page 949 Writer Molvi Firozudin Deobandi. Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Ki Bargah Kay Mashoor Naat Khwaan Aur Shayar Hazrat Hassan Bin Thabit, Hazrat Abdullah Ibn Rawah, Hazrat Qaab Ibn Zuhair (Radiallahanha Ajmain) Hai. Hazrat Qaab Ibn Zuhair (Radiallahanhu) Nay Sab Say Pehla Burda Sharif Likha "Banat Suad" Is Ka Naam Hai English Main Isay "The Poem Of The Scarf" Bhi Kehtay Hai Jisay Aap Nay Aqa (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Ko Sunaya Is Par Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Bohat Kush Huye Aur Aap (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Nay Inko Apni Kamli (Scarf) Mubarak Tohfay Kay Taur Par Diya, Ye Kamli Mubarak Sahaba E Karam (Radiallahanha Ajmain) Jab Jang May Jatay To Apnay Sath Lejatay Aur ALLAH In Sahabiyo Ko Fatah Dila Deta Aaj Bhi Ye Kamli(Scarf) Turkey Main Topkapi Palace Main Rakhi Hai, Is Tarah Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Ki Shaan Mai Ye Sahaba (Radiallahanha Ajmain) Aksar Kalaam Padtay Aur Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Khud In Kay Liye Ethmam Farmatay Balki Inaam Bhi Ata Farmatay
{Ref : Mishkat Sharif Page 410, Bukhari Sharif Volume 1 Page 100, Bukhari Sharif Volume 2 Page 773, Shara Muslim Volume 1 Page 49}

Sawal :
Sahaba Karam Nay Sab Say Pehlay Jis Mazar Par Chadar Chadaye Wo Kaunsi Rang Ki Thi ?

Answer :
Sahaba Karam Nay Sab Say Pehlay Jis Mazar Par Chadar Chadaye Wo Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Ka Mazar Pur Anwar Hai Jis Par Surkh(Red) Rang Ki Chadar Chadai Gaye {Muslim Saharf Volume 1, Kitab-Ul-Janaiz Hadees 2136}

Sawal :
Sab Say Pehlay Jis Sahabi Nay Eid Milad Un Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Manaya Unka Naam Kya Hai? Isi Sawal Ko Kaye Log Is Tarah Bhi Puchtay Hai Ki Kis Sahabi Nay Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Ka Urs Manaya
To In Dono Sawal Ka Jawab Ek Hi Hai Kyun Ki Milad 12 Rabi Ul Awwal Ko Manaya Jata Hai Jo Ki Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Ki Paidaish Aur Parday Ki Tariq Hai Is Din Hi Sahaba Karam (Radiallahanha Ajmain Khas Mehfil E Milad Rakhtay Madina Sharif Main.

Answer : Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Ka Milad Sab Say Pehlay Khud ALLAH Subhanwatala Nay Manaya Wo Bhi Ambiya Ki Jamat May Alam-E-Arwah Main Jahan ALLAH Nay Tamam Ambiya Alaih Salam Say Gawahi Li Aur Apnay Mehboob Mohammed (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Par Iman Lanay Ki Baat Kahi { Ref : Quran Sharif Para 3, Surah Ale Imran Ayat 81 And 64, Surat Tauba Ayat 128.} Iskay Baad Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Nay Khud Apna Milad Bayan Farmaya { Ref Mishkat Sharif Page 513, Muslim Sharif Volume 1 Page 138 & 282, Tirmadi Volume 2 Page 203} Aur Sahab Karam Main Koi Aisa Sahabi Nahi Hai Jis Nay Milad Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Na Manaya Ho, Sahaba Karam Ka To Khas Kaam Raha Hai Ki Aap Jaha Bhi Jatay Milad Padtay Apnay Nabi Ki Tarif Aur Tausif Bayan Kartay Yahi To Milad Hai Pura Quran Sharif Hai Kya Siwaye Milad E Mustafa(Sal Lal Laho Tala Alaihi Wasalm) Aur Deegar Ambiya Karamy Ki Tarif Hi To Hai Yahi Milad Hai. Sahaba Karam (Radiallahanha Ajmain) Main Say Khas Taur Par Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Ka Milad Padhnay Walay Hazrat Amir Ansari (Radiallahanhu) Hai { Ref : Islak Moaazam Page 79} Aur Hazrat Jaffar Tayyar (Radiallahanhu) Hai Jin Hone Najashi Badsha Jo Ki Abyssinia (Ethiopia) Ka Raja Tha Aur Christan Tha Us Kay Darbar Main Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Ki Milad Padhi Aur Bataya Ki Hamaray Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Kya Hai Unka Martaba Kya Hai Aur Unkay Farman Kya Hai { Ref : Bukhari Sharif, Muslim Sharif, Ibn Maja, Baab-E-Hadees "Al Hijrat"}. Hazrat Abu Bakar Siddiq (Radiallahanhu) Nay Bohat Sa Khana Banwaya Aur Fatiha Padha Us Khanay Par Aur Puray Madina Sharif Main Taksim Kiya Jab Logo Nay Pucha Ki Aaj Kya Hai To Digar Janay Walo Logo Nay Farmaya Ki Aaj Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Ka Urs Hai (Fathul Ma'ani)

Sawal :
Jo Sahaba Karam Ya Rasool ALLAH Al Madad Ya Ali Al Madad Ka Nara Lagatay Unkay Naam Bataye?

Answer :
Ya Mohammed Ya Rasool Allah (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Ka Nara Lagana Pukarana Sahaba Karam (Radiallahanha Ajmain) Ki Sunnat Hai {Ref : Muslim Sharif Vol2 Bab-E-Hadis "Al Hijrat", Ibn Maja Volume1 Page 419, Tirmadhi Volume 2 Page 197, Bukhari Sharif Page 193,} Hazrat Qaab-Ibn-Hamza Sahabi (Radiallahanhu) Nay Yahi Nara Lagaya (Fatwa As Sham Page 298) Aur Mashoor Sahabi Hazrat Abdullah Ibn Umar (Radiallahanhu) Kay Jab Pair Sun Hogaya To Aap Nay Ya Mohammed Keh Kar Pukara {Shifa Sharif Vol2 Page 20, Bukhari Sharif Adab Al-Mufrad Page No 404 Hadith No. 964} Ya Ali Al Madad Kehna Bhi Jayaz Hai (Tirmidhi Sharif Abwabul Anaqib 3713) Huzoor Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Nay Khud Farmaya Main Jiska Madadgar Hu Ali Uska Madad Gaar Hai.

Sawal :
Sahaba Karam (Radiallahanha Ajmain) 12 Rabiul Awaal Sharfi Ko Kis Rang Ka Jhanda Lehratay Thay?

Answer :
Sahaba Karam Nay Amad-E- Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Par Mukhtalif Kism Kay Jhanday Lehra Kar Apni Kushi Ka Izhar Kiya Hai { Madarajatul Nabuwat Vol 2 Page 62} Balki Mashoor Sahabi Hazrat Barida Aslami Nay To Apnay Amama Sharif Ko Jhnada Banakar Apnay Nezay Par Lehraya Tha { Madrajajatul Nabuwat Vol2 Page 62}

Note :
Aap Kay Mutalbay Par Quran Aur Hadees Sharif Ki Roshni Main Aap Kay Sawalat Kay Jawab Dekhar Humnay To Sahi Aqida Musalaman Honay Ka Sabut Pesh Kardiya Magar Inhi Batao Ko Shirk Aur Biddat Bata Kar Bhole Bhale Musalamano Ko Gumrah Karnay Wale Kya Sahi Aqida Musalamn Ho Saktay Hai? Kya Quran Aur Hadees Kay Farman Ko Shirk Aur Biddat Kehnay Wala Kya Musalman Ho Sakta Hai?
Kya Har Wo Cheez Jo Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Kay Zamanay Main Na Thi Ya Isko Kisi Sahabi Nay Na Kiya Ho To Kya Wo Har Chiz Shirk Aur Biddat Hai Insaf Kijye.

1) Kya Kayda Baghdadi Jo Hum Bachpan Main Padtay Hai Say Lekar Bukhari Sharif Tak, Dars-E-Nizami Ki Tamam Kitabay Alawa Quran Sharif Kay Na Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Kay Zamany May Thi Na Sahaba Karam Wa Tabaey Nay Isko Padha Aur Na Padhaya.

2) Baad Namaz Fajar Bila Naga Quran Sharif Ki Tilawat Karna Na Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Say Sabit Hai Na Kisi Sahabi Say Na Kisi Tabaen Say.

3) Baad Namaz E Isha 1000 Martaba Pabandi Say Darood Sharif Padhna Na Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Say Sabit Hai Na Kisi Sahabi Na Kisi Tabaen Say.

4) Masjido Ko Pokhta Banana, Minar Banana, Ghumbad Aur Mehrab Lagana, Masjido Main Shandar Kalin Bichana, AC Lagana, Paint Lagwana, Har Waqt Ki Namaz Ka Ghadi Kay Time Say Waqt Fix Karna, Madarso Kay Liye Zamin Wakaf Karna, Mustakil Madarsay Banwana, Madarso Main Talba Kay Rehnay Ya Khanay Ka Intezam Karwana, Madarso Main Chanda Dena, Alim, Fazil, Mufti Waghyra Ki Dastar Bandi Karwana, Madaris Ka Salana Jalsa Karwana, Deen-E-Kitabay Chapwana Aur Takseem Karna, Quran Majeed Par Zeer, Zabar, Pesh Lagana, Azan Wa Namaz Main Mike, Loud Speaker Waghyra Ka Istemal Karna Is Main Say Koi Bhi Cheez Na Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam), Wa Sahaba Ya Tabaen Kay Zamanay Main Na Thi Magar Aaj In Chezo Kay Bagair Hum Apni Mazhabi Umoor(Kaamo) Ko Ada Nahi Kar Saktay. Aaj Ye Sari Chezain Hamrai Mazhabi Shinaqt Hai Inkay Bagair Hum Apni Mazhabi Zindagi Sahi Tarikay Par Nahi Guzar Saktay. Insaf Say Bataye Kya Ye Sari
Chezain Bhi Shirk Wa Bidat Hai ?

No comments:

Post a Comment