Friday 12 June 2020

QURAN KI EK AAYAT SE TAMAM AQAID SAABIT



QURAN KI EK AAYAT SE TAMAM AQAID SAABIT

من آية واحدة أثبت إعادة جميع المعتقدات



ALLAH TAALA BADA KARAM HAI USNE MUJHE YEH TAUFIK ATAA KI KAY QURAN KI EK AAYAT SE TAMAM AQAID SAABIT KARU AUR INSHA ALLAH TAALA ISME AHLE ILM SE DALIL MAUJUD HOGI JISE PADHNE PER EK AAM ADMI BHI APNA AQEEDAH MAZBUT KARLEGA.ALLAH TAALA SE DUA HAI WOH HUMARI IS MEHNAT KO QABUL KARE AUR ISI TARAH HUMSE KAAM LE.


QURAN KI KAUN SI EK AAYAT HAI JISE SAARE AQEEDA SAABIT HOTA HAI.
MERE NAZDEEK WOH AAYAT HAI SURAH AMBIYA KI AAYAT NO. 107


وَمَا أَرْسَلْنَاكَ إِلَّا رَحْمَةً لِلْعَالَمِينَ (21:107)

TARJUMA :

اور ہم نے تمہیں نہ بھیجا مگر رحمت سارے جہان کے لئے (ف۱۸۹)

“AUR HUMNE TUMHE NA BHEJA MAGAR REHMAT SAARE JAHAN KAY LIYE”


ISKI AAYAT KI TAFSIR KAY HUM SCAN PAGE NICHE PADHEGE.

TAFSIR IBN KASIR
















TAFSIR E QURTBAI



TAFSIR E JALALYN

TAFSIR E BAIDAWI


TAFSIR E MAZHARI


TAFSIR E SANAI : SANAULLAH AMRITSAR


TAFSIR DURRE MANSOOR




TAFSIR E USMANI : TAQI USMANI


EHSAN UL BAYAN : TARJUMA JOONAGHADI : TAFSEER HAFIZ SALAUDDIN YOUSUF




TAFSIR E KAMALYN





TOTAL 10 TAFSIR HAI:

1)      TAFSIR IBN KASIR
2)      TAFSIR E QURTABI
3)      TAFSIR E JALALYN
4)      TAFSIR E BAIDAWI
5)      TAFSIR E MAZHARI
6)      TAFSIR E SANAI
7)      TAFSIR DURRE MANSOOR
8)      TAFSIR E USMANI
9)      EHSAN UL BAYAN
10)  TAFISR E KAMALYN


YAHA QUL 10 TAFSIR HAI SURAH AMBIYA KI AAYAT NO. 107 KAY TAHET AUR YEH TAMAM TAFSIREIN YAHI KEHTI HAI YAHA REHMATALILAALAMEEN SE MURAD NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM KI ZAAT E PAAK HAI.


REHMATALILAALAMEEN KA MAANA :

TAFSIR KAY MUTABIK : SAARE JAHAN KAY LIYE REHMAT.
REHMAT KA MAANA BLESSING.



AB HUME YEH SAMAJ AAGAYA HAI KI ALLAH TAALA KI REHMAT HAI NABI SALLALLAHUALAIWASALLAM AUR ALLAH TAALA KI REHMAT SAARE JAHAN KAY LIYE HAI “REHMATULILAALAMEEN” .

AB HUM EK EK AQAID KI TARAF BADHTE HAI AUR INSHA ALLAH IS AAYAT SE TAMAM AQAID SAMAJHNE KI KOSHISH KARTE HAI.












HAZIR O NAZIR

HAZIR O NAZIR KA MAANA HAI : HAZIR KA LUGHVI MAANA HAI JO SAAMNE MAUJUD HO YAANI GAYAB NA HO, NAAZIR KAY CHAND MAANI HAI : DEKHNE WALA,AAKHN KA TEEL,NAZAR,NAAK KI RAGG,AAKHN KA PAANI
MUKHTARUSSEHAH ME IBN ABI BAKR RAZI KEHTE HAI :
JAHA TAK HUMARI NAZAR KAAM KARE WAHA TAK HUM NAAZIR HAI AUR JIS JAGAH TAK HUMARI DASTARAS HO KI TASARRUF KAR LE WAHA HUM HAAZIR HAI.AASAMAN TAK NAZAR KAAM KARTI HAI WAHA TAK HUM NAAZIR YAANI DEKHNE WAALE HAI MAGAR WAHA HAAZIR NAHI,KYUKAY WAHA DASTARAS NAHI AUR JIS HUJRE YA GHAR ME HUM MAUJUD HAI WAHA HAAZIR HAI KI US JAGAH HUMARI PAHUCH HAI,AALAM ME HAAZIR WA NAAZIR KAY SHARAI MAANA YEH HAI KUWWATE QUDSIYA WALA EK HI JAGAH REHKAR TAMAM AALAM KO APNE HAATH KI HATHELI KI TARAH DEKHE AUR DOOR WA QAREEB KI AAWAZ SUNE YA EK AAN ME TAMAM AALAM KI SAIR KARE AUR SEKDO’N KOS PER HAAJAT MANDO KI HAAJAT RAWAI KARE YEH RAFTAR KHWAH SIR RUHANI HO YA JISMANI MISALI KAY SAATH HO YA ISI JISME SE HO JO QABR ME MADFUN YA KISI JAGAH MAUJUD HAI,IS SAB MAANI KA SUBUT BUZURGAANI DEEN KAY LIYE QURAN WA AHADEES WA AQWAAL ULLEMA SE HAI. ( JA AL HAQ )

IMAM SUYOOTI OR AMBIYA KAY WAFAT KAY BAAD TAQAT OR TASARRUFAT:
RISALA TANWEER UL HAALIK LIKH KAR AKHIR MN KHTE HN
HAWI LIL FATAWA JUZ 2 PAGE 319

فَحَصَلَ مِنْ مَجْمُوعِ هَذِهِ النُّقُولِ وَالْأَحَادِيثِ أَنَّ النَّبِيَّ - صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَحَيٌّ بِجَسَدِهِ وَرُوحِهِ، وَأَنَّهُ يَتَصَرَّفُ وَيَسِيرُ حَيْثُ شَاءَ فِي أَقْطَارِ الْأَرْضِ وَفِي الْمَلَكُوتِ وَهُوَ بِهَيْئَتِهِ الَّتِي كَانَ عَلَيْهَا قَبْلَ وَفَاتِهِ لَمْ يَتَبَدَّلْ مِنْهُ شَيْءٌ، وَأَنَّهُ مُغَيَّبٌ عَنِ الْأَبْصَارِ كَمَا غُيِّبَتِ الْمَلَائِكَةُ مَعَ كَوْنِهِمْ أَحْيَاءً بِأَجْسَادِهِمْ، فَإِذَا أَرَادَ اللَّهُ رَفْعَ الْحِجَابِ عَمَّنْ أَرَادَ إِكْرَامَهُ بِرُؤْيَتِهِ رَآهُ عَلَى هَيْئَتِهِ الَّتِي هُوَ عَلَيْهَا، لَا مَانِعَ مِنْ ذَلِكَ، وَلَا دَاعِيَ إِلَى التَّخْصِيصِ بِرُؤْيَةِ الْمِثَالِ.


فَحَصَلَ مِنْ مَجْمُوعِ هَذِهِ النُّقُولِ وَالْأَحَادِيثِ IN SAARI HADEES O NQOL SE YE HAASIL HUWA K أَنَّ النَّبِيَّ - صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَحَيٌّ بِجَسَدِهِ وَرُوحِهِ، وَأَنَّهُ يَتَصَرَّفُ وَيَسِيرُ حَيْثُ شَاءَ فِي أَقْطَارِ الْأَرْضِ وَفِي الْمَلَكُوتِ HUZOOR APNI ROOH O JISAM K SATH ZINDA HN OR WO AQTAR E ZAMEEN OR MALAKOOT MN TASARRUF FRMATE HN OR JAHAN CHAAHE SAYR KRTE PHIRTE HN وَهُوَ بِهَيْئَتِهِ الَّتِي كَانَ عَلَيْهَا قَبْلَ وَفَاتِهِ لَمْ يَتَبَدَّلْ مِنْهُ شَيْءٌ OR WO AJ B USI TRH HN JESE WAFAT SE PHLE THE , KISI CHEEZ MN TBDEELI NHI AI وَأَنَّهُ مُغَيَّبٌ عَنِ الْأَبْصَارِ كَمَا غُيِّبَتِ الْمَلَائِكَةُ مَعَ كَوْنِهِمْ أَحْيَاءً بِأَجْسَادِهِمْ MAGAR YE K WO HMARI ANKHON SE ESE GHAYIB HN JESE FARISHTE JISM K SATH ZINDA HONE K BAWUJOOD NAZAR NHI AATE ، فَإِذَا أَرَادَ اللَّهُ رَفْعَ الْحِجَابِ عَمَّنْ أَرَادَ إِكْرَامَهُ بِرُؤْيَتِهِ رَآهُ عَلَى هَيْئَتِهِ الَّتِي هُوَ عَلَيْهَا MAGAR JB ALLAH CHAHTA HA TO WO HIJABAT UTHA DETA HA TA K IN HASTIYON KI HAYYAT E ASLIYA PR DEEDAR K ZRYE KIRAMAT ATA KRE لَا مَانِعَ مِنْ ذَلِكَ R KOI CHEEZ IS KO MAMNOO SABIT NHI KRTI وَلَا دَاعِيَ إِلَى التَّخْصِيصِ بِرُؤْيَةِ الْمِثَالِ OR NHN KOI ISKI DA'WAT DETA HA SIWAY UNKI IS TRH ZIYARAT KI TKHSEES K





EK HAWALA KA SCAN PAGE MULAHIZA KARE :


AB AGAR KOI KAHE HUM NAHI MAANTE YEH QURAN O HADEES KAY KHILAF HAI TOH UNSE SAWAAL HAI KI QURAN O HADEES SE SAABIT KARE KI JAHAN ME KAUN SI AISI JAGAH HAI JAHAN PER ALLAH KI REHMAT NAHI? QAYAMAT TAK KA CHALLENGE HAI .

KOI SAABIT NAHI KAR SAKTA YEH MERA CHALLENGE HAI, ALHAMDULILLAH ISSE SAABIT HUA KI NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM HAZIR O NAZIR HAI AUR PURI QAYNAT KO IS TARAH DEKHTE HAI JAISE HATHELI KO DEKHTE HAI AUR AISI KOI JAGAH NAHI JAHAN ALLAH KI REHMAT NA HO.










HAYAT UN NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM


NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM HAYAT HAI YA NAHI JABKI QURAN ME AAYA HAI TARJUMA “HAR JAAN KO MAUT CHAKNI HAI” SURAH AL IMRAN AAYAT NO.185 TOH IS AAYAT SE SAAF WAZEH HUA KI QUL QAYANAT ME SABKO MAUT AANI HAI AUR HUMARA AQEEDAH HAI NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM ZINDA KYUKAY HUM MAUT KAY BAAD KI ZINDAGI PER BHI AMAL KARTE HAI.

ULLEMA E IKRAM IS AAYAT KAY TAHET LIKHTE HAI “ NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM NE MAUT KA MAZA CHAKA AUR FIR DOBARA SE ZINDAGI ATAA KARDI GAI JAISE IS DUNIYA ME THE WAISE HI ZINDAGI ATAA KI GAI.



AALA HAZRAT NE FARMAYA

“ANBIYA KO BHI AANI HAI AZAL
MAGAR ITNI KI FAKAT AANI HAI”

AMBIYA ALAIHI SALAM KI HAKIKI DUNYAWI ZINDAGI K SAATH ZINDA HAI. UNKO ROZI DI JAATI HAI TAMAM LAJJAT WAALI CHEEZO KA MAZA PAATA HAI LEKIN JO LOG UNCHE DARJE MAKAM TAK NHI PAHUCHTE WO UNKI AANKHO SE CHEEPE HAI. (REF : TAHTAVI PG : 447)

MUHADDIS IMAM BAYHAKI REHMATULLAH ALAIHI NE IS MASLE KO SAABIT KARNE K LIYE EK KITAB HI LIKH DI “HAYAT AL AMBIYA FI KUBURIHIM”
FIKAH E SHAFAI K BADE IMAM JALALUDDIN SUYUTI REHMATULLAH ALAIHI NE BHI EK KITAB LIKHI “HAYAT E AMBIYA E KIRAM”.

YEH THI ULLEMA E KRAM KI DALIL KAY HAR JAAN KO MAUT AANI HAI AUR NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM KO BHI MAUT I AUR FIR DOBARA ZINDAGI LUTA DI GAI JAISE ZAHIRI ZINDAGI ME THI.

AUR JIS AAYAT KAY MENE ZIKR KIYA HAI UPAR SURAH AMBIYA AAYAT NO. 107 SE NASS SE SAABIT HOJATI HAI KI NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM ZINDA HAI.

HUMARA EK SAWAAL HAI JISKA JAWAAB SABSE LENA CHAHEGE

SAWAAL :

1) KYA ALLAH TAALA KI REHMAT KABHI MAR SAKTI HAI , FAUT HOSAKTI HAI , KHATAM HOSAKTI HAI????

AL JAWAAB : ALLAH TAALA KI REHMAT KABHI KHATAM NAHI HOSAKTI,NA FAUT NA MAR SAKTI HAI ( YEH MERA AQEEDAH HAI AUR MUJHE YAQEEN HAI AAP SABKA KA BHI YEHI AQEEDAH HOGA)

2) AB ALLAH TAALA NE QURAN SHAREEF ME KISE REHMAT KAHA HAI ??

AL JAWAAB : NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM KO ALLAH TAALA NE QURAN ME REHMATALILAALAMEEN KAHA HAI.

3) JAB ALLAH TAALA KI REHMAT KABHI KHATAM NAHI HOSAKTI MAR NAHI SAKTI FAUT NAHI HOSAKTI AUR QURAN NE GAWAHI DI HAI KI NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM REHMATALILAALAMEEN HAI,TOH KYA NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM KO FAUT,MARA HUA,KHATAM HOGAYE YEH KEHNA KAISA ?

AL JAWAAB : JAAHALAT , GUMRAH , KAFIR KYUKAY SIDHA SIDHA QURAN KI AAYAT KA INKAR KARDIYA GAYA.


TOH PATA CHALA KI ALLAH KI REHMAT KABHI KHATAM NAHI HOSAKI AUR QURAN ME AAYA HAI KI NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM ALLAH KI KHAS REHMAT HAI JO SAARE JAHAN KAY LIYE HAI TOH BILASHUBA NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM ZINDA HAI.
AALA HAZRAT NE FARMAYA :

TU ZINDA HAI WALLAH TU ZINDA HAI
MERE CHASME AALAM SE CHUP JAANE WALE.














AL WASEELA


HUM AHLE SUNNAT WAL JAMAAT KAY NAZDEEK WASEELA LENA JAYAZ HAI ,WASEELA ME HAYAT O WAFAT KA KOI PAIMAANA NAHI BALKI QURBIYAT DEKHI JAATI HAI KI ALLAH TAALA NE QURBIYAT JISE ATAA KI HO WOH HI WASEELA BAN SAKTA HAI AUR JISE ALLAH TAALA NE IJAZAT NA DI WOH KISI CHIZ KAY QABIL NAHI.

QURAN KI AAYAT PADHTE HAI :

SURAH BAQRAH: AAYAT NO. 255:
TARJUMA: “AUR KAUN HAI JO ISKI IJAZAT KAY BAGAIR ISSE (KISI KI) SIFARISH KARSAKE”.

PARA 16, SURAH TAHA AAYAT NO. : 109
TARJUMA: “US ROZ (HASHR KAY DIN KISI KI) SHAFA’AT KISI KO NAFA NA DEGI SIWAYE USKE JISKO REHMAN NE IJAZAT DI”.

PATA CHALA KI ALLAH TAALA KI IJAZAT CHAHIYE KAY KISE WASEEL BANAYE,KISSE SHAFAT TALAB KARE.

AUR MUSHRIKEEN KO ALLAH TAALA NE IJAZAT NAHI DI THI IS PER AAYAT PADHE.

SURAH ZUMUR AAYAT NO. : 3
“ALLAH FERMATA HAI MUSHRIKEEN APNE BATIL MABUDO’N KO PUJTE THE AUR KEHTE THE HUM INHE NAHI PUJTE MAGAR ISLIYE PUJTE HAI TAAKI YEH ALLAH TAK HUMKO PAHUCHA DE”.

SURAH SHURA AAYAT NO.97 - 98:
AUR QAYAMAT KAY DIN WOH MUSHRIKEEN KAHEGE “KHUDA KI QASAM HUM TOH BAHUT BADI GUMRAHI ME THE KAY HUMNE IN BUTO’N KO RABUL AALAMIN KAY BARABAR TEHRAYA DIYA THA”


TOH PATA CHALA KI IN KAFIRO MUSHRIKO KO ALLAH TAALA NE IJAZAT HI NAHI DI THI LEKIN HUM MUSALMAN IMAAN WALO KO ALLAH TAALA NE IJAZAT DI HAI KI WASEELA TALAB KARE SHAFAT TALAB KARE NABI ALAIHISSALAM,WALI , AULIYA,SIDDIQEEN ,SHOHDA , SALEHEEN SE.
IS PER AAYAT PADHE

SURAH MAIDA AAYAT NO. : 35.
TARJUMA: “AYE EIMAN WALO, ALLAH SE DARO AUR USKI TARAF WASEELA TALASH KARO AUR USKI RAAH ME JIHAD KARO, IS UMID PAR KI TUM FALAAH PAAO.”

AB YAHA PER IMAAN WALO SE MUKHATIB KIYA GAYA HAI KI ALLAH KI TARAF WASEELA DHUNDO

YAHA IN AAYATO’N SE BAAT WAZEH HOGAI KAY WASEELA LENA CHAHIYE YA NAHI AUR YAHUDIO KO HAAL BHI PATA CHAL GAYA.


WASEELA KA MAANA

IMAM RAAGIB ASFAHANI: WASEELA KAY MANE KISI CHIZ KI TARAF RAGBAT KAY SAATH PAHUCHNE (YAANI TAWASSUL)KAY HAI AUR WASEELA ME RAGBAT KA PEHLU SHAMIL HONE KU WAJAH SE YEH “WASEELA” SE KHAS HAI (MUFRDAAT ALFAAZ UL QURAN 871)

IBN MANZOOR LAFZ “WASEELA” KI TEHQEEQ KARTE HUE LIKHTE HAI: DARHAQEEQT WASEELA WAH CHIZ HAI JISKAY ZARIYA KISI TAK PAHUCHA JAAYE AUR US KA QURB HAASIL KIYA JAAYE. (LISAN UL ARAB 11:725)

IMAM ZAMAKHSHARI KEHTE HAI: HAR WAH CHIZ JISSE KAY ZARIYA ALLAH TAK PAHUCHA JAAYE YAANI QURB HAASIL KIYA JAYE ISE HI WASEELA KEHTE HAI. (TAFSEER UL KASFH 1:488)


AB KOI YEH KAHE KI ALLAH TAALA KI REHMAT ME QURBIYAT NAHI HUM USKA WASEELA NAHI LEGE TOH BATAO YEH JAHALAT HAI KI NAHI ???

BILKUL JAHALAT HI HAI.

ISLIYE IS SURAH AMBIYA KI AAYAT 107 KAY TAHET NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM REHMATALILAALAMEEN HAI AUR NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM KA WASEELA LENA BILSHUBA JAYAZ HAI.

ISILIYE SHAHZADA-E-ALAHAZRAT HUZOOR MUFTI-E-AZAM-E-HIND(RADIALLAHO TA’ALA ANHO) FARMATE HAIN:

WASLE MAULA CHAHTE HO, TO WASILA DHUNDLO..
BEWASILA NAJDIYON HARGIZ KHUDA MILTA NAHI…!












NOORUL BASHAR


HUM AHLE SUNNAT WAL JAMAAT KA AQEEDA HAI KI NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM NOORUL BASHAR HAI.
AAPKI ZAAT E PAAK NOOR HAI AUR AAPKO BASHARI LIBAS ME IS DUNIYA ME BHEJA GAYA REHMATALILAALAMEEN BANAKAR.

KUCH DOUBTS CLEAR KAR DETA HU KI KYA NOOR AUR BASHAR EK HI JISME ME HOSAKTE HAI.

JAWAAB : BILKUL HOSAKTE HAI JISKI DALEEL HUM QURAN SE PADHTE HAI.

KYA FARISHTY NOORI MAKHLOOQ HAIN YA NAHI??
BESHAK NOORIE
فَأَرْسَلْنَا إِلَيْهَا رُوحَنَا فَتَمَثَّلَ لَهَا بَشَرًا سَوِيًّا

تو ہم نے ان کی طرف اپنی روح (یعنی فرشتہ جبرائیل) کو بھیجا سو (جبرائیل) ان کے سامنے مکمل بشری صورت میں ظاہر ہوا

SURAH MARYAM

AB HUM DEKHE TOH  JIBRAEEL US WAQT NOOR O BASHAR DONO THE YA NAHI?

BESHAK THE...

 TO QURAN SAY SABIT HO GAYA K NOOR O BASHAR AKATHY HO SAKTE HAI

AUR INKA APAS MAIN TAZAAD HAY HI NAHI

AB DUSRA SAWAAL UTHTA HAI :

KYA ALLAH TAALA KI REHMAT BHI NOOR HAI ?

ISKA JAWAAB BHI HUM HADEES SE LETE HAI

MUSLIM SHAREEF JILD 1 BOOK 1, NUMBER 0342:
TARJUMA: “HAZRAT ABDULLAH IBN SHAQIQ SE RIWAYAT HAI UNHONE APNE WALID HAZRAT ABU ZARR SE PUCHA KI NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM NE APNE RAB KA DEEDAR KIYA KYA ISKE MUTALIQ AAPNE RASUL ALLAH SALLALLAHUALAIHIWASALLAM SE KABHI PUCHA,AGAR ME HOTA TOH PUCHTA,KEHTE HAI MERE BÊTE MAINE IS KAY BARE ME PEHLE HI PUCH LIYA THA,NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM NE FARMAYA MENE APNE RAB KO DEKHA KAY IS AALAM ME KI NOOR HI NOOR THA”.

IS HADEES SE 2 CHIZEN SAAMNE AATI HAI.

1) ALLAH TAALA KI EK SIFAT NOOR HAI.
2) BESHAK NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM NE ALLAH KO DEKHA HAI.(YEH EK ALAG BAHES HAI ISE DUSRE ARTICLE ME BATAYA GAYA HAI).

ALHAMDULILLAH SAABIT HUA KI ALLAH TAALA KI EK SIFAT NOOR HAI TOH BILSHUBA USKI REHMAT BHI KYA HUI ??
JAWAAB: USKI REHMAT BHI NOOR HUI.

TOH SOORAJ KI KIRAN SE BHI ZYADA SAAF HOGAYA KI REHMATALILAALAMEEN BHI NOOR HI HAI AUR DUNIYA ME BASHARI LIBAS ME MAABUS KIYE GAYE.

AB YA TOH ALLAH AUR USKI REHMAT KO QURAN O HADEES KHILAF JAATE HUE NOOR NA MAANO YA FIR HAQ KI TARAF AAO QURAN O HADEES KI ROSHNI ME ALLAH TAALA AUR USKI REHMAT KO NOOR MAANO AUR YEH BHI MAANLO KI ALLAH TAALA NE QURAN ME JISE REHMATALILAALAMEEN KAHA HAI WOH BHI BILASHUBA NOOR HI HAI.(SALLALLAHUALAIHIWASALLAM).


















ILM E GHAIB


AHLE SUNNAT WAL JAMAAT KA AQEEDA HAI KI NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM KO ILM E GHAIB HAI AUR YEH ILM E GHAIB ALLAH KI ATAA SE HAI NAAKI AAP KA ZAATI ILM E GHAIB HAI.ALLAH TAALA NE NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM KO MAKHLOOQ ME SABSE ZYADA ILM ATAA KIYA HAI MAAKAN WA MAYAKOON KA ILM ATAA KIYA HAI.

IS PER BAHUT SI DALEEL MAUJUD HAI QURAN O HADEES ME AUR YEH SURAH AMBIYA AAYAT NO. 107 BHI ISE SUPPORT KARTI HAI.

AUR IS AAYAT ME ALLAH TAALA NE NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM KO REHMATALILAALAMEEN KAHA HAI TOH BATAYE KI ALLAH KI REHMAT KIS GHAIB SE POSHIDA HAI??

AUR JO KAHE KI FALA JAGAH KI KHABAR YA FALA CHIZ NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM SE POSHIDA HAI TOH BILA SHUBA WAHA ALLAH KI REHMAT HI NAHI.TOH AB KOI BATA SAKTE HAI AISI KAUN SI JAGAH HAI JAHA ALLAH TAALA KI REHMAT NA HO YA ALLAH KI REHMAT SE WOH JAGAH GAFIL HAI ?? MAZ ALLAH AISI KOI JAGAH NAHI.

SHAYKH AL-ISLAM, HAFIZ IBN HAJAR AL-'ASQALANI LIKHTE HAI :
NABI KI EK KHUBI YEH HAI KAY WOH JANTE HY JO HO CHUKA HAI PAST (MAZI)ME, AUR KIYA HOGA FUTURE (MUSTAQBIL) ME"[FATH AL-BARI, CHAPTER ON 'THE ANBIYA']

TOH PATA CHALA KI NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM KO ALLAH TAALA NE ILM E GHAIB ATAA KIYA AUR YEHI AQEEDAH SAHABA E KRAM,SALAFUS SALEHEEN KA BHI HAI.













EID E MILAD UN NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM

AHLE SUNNAT WAL JAMAAT KA AQEEDAH HAI KI EID E MILAD MANANA SUNNAT E RASOOL HAI JO AHADEES SE SAABIT HAI AUR KUCH TABKA JO HUMARE BICH HAI UNKA MANNA HAI BIDDAT HAI LEKIN JISKI ASAL SAABIT HO JAYE WOH BIDDAT NAHI HOTI AUR AHADEES SE SAABIT HAI KI MILAD SUNNAT HAI JAYAZ HAI.

E,G : AAJ KAY DAUR ME MASJID PER MINAR BANE HAI LEKIN YEH NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM SE SAABIT NAHI KAY MASJID PER MINAR BANAYE JAAYE LEKIN MASJID BANANA SAABIT HAI TOH ASAL KYA SAABIT HAI “MASJID” AUR MINAR KYA HAI ? : MASJID KI SAJAWAT USKO KHUBSURAT BANANE KAY LIYE TOH ISME KOI HARJ NAHI BILKUL ISI TARAH MILAD KYA HAI ? WILADAT KI KHUSHI KA ZIKR KARNA JO NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM SE SAABIT HAI,SAHABA E KRAM NE BHI ZIKR KIYA HAI TOH YEH BIDDAT KAISE ?

FIR WOH TABKA KEHTA HAI KI ZIKR NAHI BALKI JULOOS,NAYAZ,FATIHA WAGAIRA BIDDAT HAI TOH HUM KEHTE HAI YEH BIDDAT NAHI BALKI MILAD KO MANANE KI SAJAWAT HAI ,ISKO KHUBSURAT TARIKE SE MANAYA JAAYE.

HUM AHLE SUNNAT WAL JAMAAT PEHLE BHI EID E MILAD MANANE THE, MANATE HAI AUR INSHA ALLAH QAYAMAT TAK MANATE RAHEGE.

AUR SURAH AMBIYA KI AAYAT 107 SE AUR ZYADA SAAF ZAAHIR HAI KI ALLAH KI REHMAT KA MILAD MANANA KISE GAWARA NA HOGA ? KAUN HAI JO ALLAH KI REHMAT KA INKAR KARE AUR USKA MILAD NA MANAYE.

HUMARE YAHA THODI SI HI BHI KHUSHI HOTI HAI HUM ALHAMDULILLAH KEHTE HAI AUR ALLAH TAALA KI REHMAT KI KHUSIYA MANATE HAI TOH SOCHE KI JISE ALLAH TAALA NE REHMATALILAALAMEEN BANAKAR BHEJA USKI KHUSHIYA NAHI MANAOGE ?

BADA HI BADBAKHT BADNASEEB INSAAN HOGA JO ALLAH KI REHMAT KA INKAR KAREGA AUR USKI KHUSHIYA NA MANAYEGA.

AUR HUM AHLE SUNNAT WAL JAMAAT PEHLE BHI MANATE THE , MANATE HAI AUR QAYAMAT TAK MANATE RAHEGE.








JO KAHE NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM HUMARI TARAH HAI


JO KAHE NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM HUMARI TARAH HAI USE CHAHIYE KI YEH SAABIT KARE KAY WOH BHI ALLAH KI REHMAT HAI WARNA WOH SHAKS APNA THIKANA JAHANNAM ME DHUNDLE.


MUKHTAR E QUL

AHLE SUNNAT WAL JAMAAT KA AQEEDAH HAI KI NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM MUKHTAR E QUL HAI,ALLAH TAALA NE AAPKO HAR CHIZ PER IKHTIYAR ATAA KIYA HAI.

AUR YEH CHIZ SURAH AMBIYA KI AAYAT 107 SE BHI SAAF ZAAHIR HOJAATI HAI KI ALLAH TAALA KI REHMAT HAR CHIZ PER MUKHTAR HAI,MUKHTAR E QUL HAI.




No comments:

Post a Comment