Friday 12 June 2020

DUROOD SHAREEF HADEES

FAZAIL E DUROOD O SALAM
VIRTUES OF SENDING BLESSING ON PROPHET 


FAZAIL E DUROOD O SALAM - VIRTUES OF SENDING BLESSING ON PROPHET  


Allah عزوجل Quran e Karim me Farmata hai


إِنَّ اللَّهَ وَمَلَائِكَتَهُ يُصَلُّونَ عَلَى النَّبِيِّ ۚ يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا صَلُّوا عَلَيْهِ وَسَلِّمُو اتَسْلِيمًا
"Beshak Allah Aur Uske Farishte Darood Bhejte Hai Us Gaib Batane Waale Nabi Par, Aye Imaan Waalo Unpar Durood Aur Khoob Salam Bhejo"
(Al Quran Surah Al Ahzaab Ayat : 56)
Aayat e Mubaraka k Nuzool ka pasmanzar ye hai k kuffar aur Munafikeen ki toli Huzoor Nabi E Karim ki Dil aazari karte the jiske baad Allah  عزوجل ne ye aayaat e Mubaraka Nuzool karke Mehmool e Rabbil Aalimeen ko wo makam o martaba ata kiya aur kaha k agarche ye chand log hai jo Aap ki dil aazari karte hai jo dardnaak aazab k mustahik hai par Huzoor e Akram ki shan o azmat to khud unka Paak Parwardigar bayan farma raha hai uske farishto ko mukkarrar kar rakha hai jo Huzoor  ki Shan e Akdas me Durood o salam padhte hai kayamat tak aane waale Musalmano par bhi laazim kar diya k uske Mehmboob par Durood o salam bheja karo.
Chunanche Allama Ismail Hakki Al Hanfi
رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه ne apni tafseer Ruhool Bayan me likha hai Is aayat e karima k nuzool k baad Huzoor k chehra e Mubarak Noor ki kirane lootane laga aur farmaya
“Mujhe Mubarakbaad Pesh Karo Kyuki Mujhe Wo aayat e Mubaraka ata Ki gayi hai jo Mujhe Dunya Wa Maafiha (yaani jo kuch dunya aur isme hai) sabse zyada Mehboob hai”
(Tafseer E Roohul Bayan, Vol : 07, Pg : 223, para 22 Surah Ahzab Ayat 56)
Is aayat e Karima me Allah  عزوجل ka Durood Bhejna bhi hai aur Farishto k saath saath Hum Musalmano ko bhi durood bhejna hai Agarche Lafz Allah  عزوجل Farishto Aur Imaan waalo k liye ek hi istemal kiya gaya hai par iske maane Mukhtalif honge ye yaad rahe.
Imam Baghawi Ash Shafai
رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه iske maane ko bayan farmate hai
“Allah  عزوجل k durood bhejna hai REHMAT naazil farmana Jabki Farishto aur Hamara Durood Dua E Rehmat Karna Hai”
(As Shara Us Sunnah, Vol : 02, Kitabus Salat, Baab : As Salat Alan Nabi , Pg : 280)
Shaikul Islam Allama Ibn Hajar Al Asqalani رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه Allah عزوجل k Durood bhejne k maane ko bayan farmate hai “Allah  عزوجل Buzurg Wa Bartar Aap  ki Tarif Aur Azmat bayan Farmata Hai" (Futuhool Bari Shara E Sahi Bukhari,Kitabu Dawaatt, Baab : As Salat Alan Nabi  , Pg : 131/132, Hadees : 6358)
Durood Sharif padhne ka Sharai Hukm
Allama Mufti Muhammad Amzad Ali Khan Sadrusharia رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه likhte hai
"Umr Me Ek baar Durood Sharif padhna farz hai aur har jalsa e zikr me ek baar durood sharif padhna wajib hai"
(Bahar e Shariat Vol : 01, Pg : 533)


DUROOD SHARIF PADHNE K FAZAIL
Hadees 01 :
Asim bin Ubaidullah رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  bayan famate hai hai Unhone Abdullah ibn Amir رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se suna k unhone unke walid se suna k Rasool Allah Ne Farmaya -
"Jo Mujh Par Darood Bhejta Hai To Jab Tak Wo Mujhe Pe Durood Bhejte Rehta Hai Farishte Uske Liye Duaye Rehmat Karte Hai Ab Bande Ki Marzi Hai Kam Padhe ya Zyada"
Reference :
(Sunan ibn Majah, Vol : 01, Pg : 490, Kitab No 05 - Kitab Ikamat Al Salat Wa Sunnat, Hadees : 907)

Hadees 02:  
Hazrat Abu Hurraira
رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  se rivayat hai k Rasool E Karim ne Irshad farmaya
"Jis Ne Mujhe Par Ek Baar Durood Bheja Allah Uspar 10 Rehmatein Bhejta Hai"
Reference :
(Sahi Muslim Vol : 01, Kitab No 04 - Kitabus Salat,Baab No 17, Pg : 216, Hadees : 408)
Hadees 03:
Hazrat Abu Hurraira رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  se rivayat hai k Rasool E Karim ne Irshad farmaya
"Jis Ne Mujhe Par Ek Baar Durood e Paak Padha Allah Uspar 10 Rehmatein Bhejta Hai Uske Namaye Aamal Me 10 Nekiya Likhta Hai"
References :
(Jamai Tirmizi Vol 02, Pg:28,Kitab No 03 - Kitabul Witr, Hadees : 485)

Hadees 04:
Hazrat Abdullah ibn Masood رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  se rivayat hai k Rasool E Karim ne Irshad farmaya
"Baroze Kayamat Logo Me Se Mere Karib Tar Wo Hoga Jo Mujhpe Sabse Zyada Durood Padhe Honge "
References :
(Jamai Tirmizi Vol 02, Pg:28,Kitab No 03 - Kitabul Witr, Hadees : 484)
(Sahi Ibn Hibban Vol : 03. Pg : 192, Hadees : 911)
(Imam Bayhaqi Shoebul Imaan Vol : 02. Pg : 212, Hadees : 1563)
(Imam Daylami Al Musnadul Firduas Vol : 01, Pg : 81, Hadees : 250) (Imam Bukhari ne Tareekh Ul Kabeer, Vol : 05, Pg : 177, Hadees : 559) (Khateeb Tabrezi ne Mishkatul Masabeeh Vol : 01, Pg : 278, Kitab us Salat, Baab No : 16, Hadees : 293)
Hadees 05:
Hazrat Anas Bin Malik رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Se rivayat hai Nabi E Akram   ne Irshad farmaya
"Jis Ne Mujhe Par Ek Baar Durood e Paak Padha Allah Uspar 10 Rehmatein Nazil Farmata, 10 Gunaah Mitata Hai aur 10 Darjaat Buland Farmata Hai"
References :
(Sunan Nasai Vol 03,Pg :222, Kitab No 13 - Kitabus Sauh,  Baab No 55 Huzoor Nabi E Karim
Par Salat O Salam Bhejne K Fazail, Hadis :1297)
( Imam Bukhari ne Al Adabul Mufrad Vol : 01, Pg : 225, Hadees : 643)
(Imam Bayhaqi Shoebul Imaan Vol : 02, Pg : 210, Hadees : 1554)


DUROOD SHARIF KITAB ME LIKHNE KI BARKAT KA BAYAN
Hadees 06:
Rasool E Karim ne Irshad farmaya
"Jisne Kitab par Mujhpe Duro
od E Paak Likha To Jab Tak Mera Naam Uspar Hoga Farishte Uske Liye Istagfaar Karte Rahenge"
Reference :
(Imam Tabrani ne Al Muajamul Ausaat Vol : 01, Pg : 497, Hadees : 1830) Is baare me ek chiz ka khayal rakhe k Kitab ko kisi acchi jagah rakhe aur hifazat se rakhe taaki be adbi na ho.
MAJLIS ME DUROOD E PAAK  PADHNE KI BARKAT
Hadees 10:
Rasool E Karim
ne Farmane Aalishan hai
"Mujh Par Durood Sharif Padh Kar Apni Majalis Aaraasta Karo K Tumhara Durood E Paak Padhna Baroze Kayamat Tumhare Liye Noor Hoga"
Reference :
(Firdosul Akhbar Vol : 01, Pg : 422, Hadees : 3149)

Hadees 11 :
Ummool Momineen Ayesha Siddika Tahira Radi Allaho Anha Farmati Hai
"Apni Majlis Ko Nabi E Karim Par Durood E Paak Padhke Aarasta Karo"  
References :
(Khatib Bagdadi ne Tarikh E Baghdad Vol : 07, Pg :216)
Isliye hum ahle sunnat ka ye riwaz hai k hum durood e mubaraka ki majalis sazate hai aur Allah عزوجل ki hamd ko sana aur Rasool E karim  Par Durood e Mubaraka padhte hai. Alhamdullilah ab kuch logo k yaha to Durood ki mazalis munnakid karna hi haram o shirk o biddat hai khair aise badnasimo ka ilaaz bhi nahi hai.
HUZOOR NABI E KARIM DUROOD E MUBARAKA PADHNA WAALE KA NAAM BHI JAANTE HAI - SUBHAN ALLAH
Hadees  12:
Huzoor E Akram
ne Irshad farmaya
“Beshak Allah عزوجل ne ek Farishta meri Kabr pe Mukkarar Farmaya Hai Jisko Tamam Makhlook Ki Awaazein Sun ne ki Takat Di Hai pas Kayamat tak jo Koi Mujhpe Durood e Paak Padhta hai To Wo Mujhe Uska Aur Uske Baap Ka Naam Pesh Karta Hai Aur Kehta Hai "Fula Bin Fula Ne Aap Par Is Wakt Durood E Paak Padha Hai"
Reference :  
(Musnad E Bajjar Vol : 06, Pg : 200, Hadees : 1320)

Hadees 13:
Huzoor E Akram ne Irshad farmaya
Beshak Tumhara Naam Ba E Shanakth Mujh Par Pesh Kiye Jaate Hai Lihaja Mujh Par Ahsaan (Yaani Khubsoorat) Alfaaz me Durood E Paak Padha"
Reference :  
(Musannif Ibn Abdul Razzak, Vol : 02, Pg :140, Baab As Salato Alan Nabi  Hadees : 3116)





SHAB E JUMA DUROOD PADHNE KI FAZILAT
Hadees 14 :
Huzoor E Akram ne Irshad farmaya
“Shabe Juma Aur Roz E Juma Mujh Par Kasrat Se Durood Padho Kyuki Tumhara Durood E Paak Mujh Par Pesh Kiya Jaata Hai”
Reference :
(Imam  Tabrani Al Majmaul Ausat Vol : 01, Pg 86, Hadees : 231)

Hadees 15 :
“Hazart Aws Bin Aws رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram Ne Farmaya :
Beshak Tumhare Dino Me Afzal Tarin Din Jum’a Ka Din Hai.Isi Din Hazrat Aadam Alaihissalam Paida Hue Aur Isi Din Unhone Wafaat Paaee Aur Isi Din Soor Foonka Jaaega Aur Isi Din Sakht Aawaaz Zaahir Hogi.
Pas Is Din Mujh Par Kasrat Se Durood Bheja Karo Kyun Ki Tumhara Durood Mujh Par Pesh Kiya Jaata Hai
References :
(Sunan Abu Dawood Vol : 01,Kitabus Salat,Baab Fazle Youme Jumaat, Pg : 443, Hadees : 1047)
(Sunan Nasai,  Book : As Salah Jild : 2 Pg : 101 Hadis: 1374)
(Imam Tabrani, Ma'jam Al Kabeer Vol:1 Pg: 216-217 Hadis: 589)
(Al Musannif Ibn e Abi Shaibah Vol 06, Book : As Salah Chapter : 795 Pg : 40,Hadis: 8789)
(Imam Darimi, Sunan Darmi,  Book : As Salah Chapter : Fee Fadl Yaum Al Jumu'ah Jild : 1 pg : 445 Hadis: 1572, Darmi As-Sunan, Jild-01, Pg-445, Hadith-1572)
(Imam Majah, Sunan Ibn Majah,  Book : As Salah wa Sunnah feeha Baab : Fadl yaum Al Jumu'ah Jild : 1 Pg : 345 Hadis: 1085)
(Musnad e Imam Ahmad Bin Hambal, Vol:26 Pg:84 Hadis: 16162)
(Imam Bayhaqi,  Sunan Al Kubra,  Book : Al Juma'ah Chapter : 105 Jild : 3 Pg : 353 Hadis: 5993)

Hadees 16 :
“Hazrat Abu Darda رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram Ne Farmaya :
Jum’a Ke Din Mujh Par Nihaayat Kasrat Se Durood Bheja Karo, Yah Youm-E-Mas’hood (Yaani Meri Bargah Me Farishton Ki Khusoosi Haaziri Ka Din) Hai.
Is Din Farishte (Khusoosi Taur Par Kasrat Se Meri Bargah Me) Haazir Hote Hain, Jab Koii Shakhs Mujh Par Durood Bhejta Hai To Us Ke Faarig Hone Tak Us Ka Durood Mere Saamne Pesh Kar Diya Jaata Hai.
Hazrat Aboo Darda RadiyAllahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hain Ki Meine Arz Kiya (Ya RasoolAllah Sal Allahu Alaihi Wassalam!)
Aur Aap Ke Wisaal Ke Baad (Kya Hoga)?
Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Haa (Meri Zaahiri) Wafaat Ke Baad Bhi (Mere Saamne Isi Tarah Pesh Kiya Jaaega Kyun Ki) Allah Ta’ala Ne Zameen Ke Lie Ambiya-E-Kiram Alaihimussalam Ke Jismon Ka Khaana Haraam Kar Diya Hai.
Phir Allah Ta’ala Ka Nabi Zinda Hota Hai  Aur Use Rizq Bhi Ata Kiya Jaata Hai.”
References :
(Sunan Ibn Maajah, Vol -01 , Pg-524, Kitab No 06 - Kitab Al Janaiz,Hadith-1637)
(Mundhiri Tahdhib-ul-Kamal, Vol -10, Pg-23, Hadith-2090)

Hadees 17:
“Hazrat Abu Hurairah  رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram Ne Farmaya :
“Jo Shakhs Bhi Mujh Par Salam Bhejta Hai To Beshak Allah Ta’ala Ne Mujh Par Meri Rooh Lauta Dee Huee Hai.
(Aur Meri Tawajjoh Us Ki Taraf Mabzool Farmata Hai) Yahaan Tak Ki Us Ke Salam Ka Jawab Deta Hoon”
References :
(Sunan Abu Dawood, Jild-02, Pg-218, Kitab No 11 - Kitab Al Manasik Wa Al Hajj, Baab - Ziyarate Kaboor,Hadith-2041)
Albani ne bhi is Hadees ko Hasan likha hai.
(Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, Jild-02, Pg-527, Hadith-10767)
(Imam Tabarani Al-Muajam-ul-Awsat, Jild-03, Pg-262, Hadith-3092, 9329)
(Bayhaqi As-Sunan-ul-Kubra, Jild-05, Pg-245, Hadith-10050, &
Shuab-ul-Iman, Jild-02, Pg-217, Hadith-5181, 4161)
(Ibn Rahawayh, Al-Musnad, Jild-01, Pg-453, Hadith-526)
(Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib,  Jild-02, Pg-326, Hadith-2573) (Haythami Majma-uz-Zawa'id, Jild-10, Pg-162) Aksar Ahle Sunnah Wa Jamaat Sunni Hazrat Shab e Juma ko Mehfil e Durood Munakkid karte hai ye is wajah se hai k aam dino k mukable Juma k din Hadees e paak me Durood e paak ki fazilat sabse zyada hai ab koi shask aise nek majlis munakkid karna haram o biddat kahe to aiso ka koi ilaaz nahi bugz e Nabi se Sina bhara hai inka ALLAH  عزوجل nek hidayat de aiso ko.


FARISHTO KA AAKA KAREEM RAUF O RAHIM PAR DUROOD E MUBARAKA PADHNA
Farishta ka Aaka Par Durood E Paak bhejna to khud Quran e Mukaddas ki ayat Surah Ahzab Ayat 56 se saabit hai yaha hum Farishto ka zikr kar rahe hai Jo Darbar E Risalaat  me Aake Durood o Salam pesh karte hai.
Hadees 18 :
“Hazrat Nabeeh Bin Wahab رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se marvi hai ki Hazrat Kaaab Abhaar Radiallaha anho Ummul Momineen Hazrat Ayesha Siddika Radi Allaho Anha ki khidmat me haazir hue aur unhone Huzur e Akram   ka zikr kiya.
Hazrat Kaaab Abhaar رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  ne kaha
“Jab bhi din nikalta hai 70000 hazar farishte utarte hai aur wo Huzur e Akram ki kabr e Akdas ko gher lete hai aur Kabr e Akdas pe apna par maarte hai (yaani paro se jhaado dete hai) aur Huzur k Roze e akdas me sham hote hee wapas aasmano par chale jaate hai aur itne hi mazid utarte hai wo bhi wo amal dohrate hai jo pehle k faristo ne kiya hatta k jab qabr e Mubarak shak hogi to Huzur 70000 farishto k jhurmut me (maidan e hashr me) tashreef laaynge.
References:
(Imam Darmi ne Sunan Darmi jild 01 , pg : 57 , Hadis : 94)
(Abu Nuayam ne Hilyatul Aulia jild : 5 , pg : 390)
(Imam Bahyaki ne Shuabul Imaan jild 03,  pg : 1018, Hadis :537)
(Ibn kathir ne Tafseer ul Quran al azeem Tafseer ibn kathir me Jild 05 pg : 518)
(Jala al Afham Fi Fadhl Salati Ala Khayral Anam Pg : 60, Musannif Ibn Kayyim Jauziya)
DUA KI MAKBOOLIYAT BA WAASTE DUROOD E PAAK HI HAI (Waseela E Durood)
Hadees 19 :
Ameerul Momineen Farooque E Aazam رَضِیَ اللهُ عَنْهُ hai
“Dua Aasman Aur Zameen k Darmiyan Muallak (Ruki) Rehti Hai Jab Tak Tu Apne Nabi Par Durood Na Bheje”
Reference :
(Sunan Tirmizi, Vol : 02, Kitab No 03 - Kitabul Witr, Baab 21: Maa Ja'aa Fi Salatun Alan Nabi  Pg : 29, Hadees : 486)

Hadees 20 :
Maula Ali Karmallahu Wajjuhal Karim
رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Farmate hai
"Har Shaks Ki Dua Parde Me Hoti Hai Yaha Tak Ki Muhammad aur Aale Muhammad Par Durood E Paak Padhe"
Reference :  
(Imam Tabrani - Al Majmaul Ausat Vol :01, Pg : 211 Hadees : 271)

Hadees 21 :
“Hazrat Fadalah Bin Ubayd رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Se Marwi Hai Ek Martaba Nabi-E-Akram Hamare Darmiyan Tashrif Farma They Ki Achanak Ek Shakhs Aaya Aur Us Ne Namaz Ada Kee Aur Ye Dua Maangi :
“Aye Allah !
Mujhe Bakhs De Aur Mujh Par Raham Farma.”
To Huzoor Nabi-E-Akram Ne Farmaya :
Aye Namazi !
Tune Jaldi Kee, Jab Namaz Padh Chuke To Phir Sukoon Se Baith Jaao, Phir Allah Ta’ala Kee Shayan-E-Shan Us Kee Hamdo Sana Karo, Aur Phir Mujh Par Durood-o-Salam Bhejo Aur Phir Duaa Maango.
Raawi Bayan Karte Hain Ki Phir Ek Aur Shakhs Ne Namaz Ada Kee, To Us Ne Allah Ta’ala Kee Hamd-o-Sana Bayan Kee, Aur Huzoor Nabi-E-Akram Par Durood-o-Salam Bheja To Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Aye Namazi !
(Apne Rab) Se Maango Tumhein Ata Kiya Jaayega.”
References :
(Sunan Nasai,  Vol : 03, Pg : 44, Kitab No 13 - Kitab As Sauh, Baab No 47 Nabi Pe Durood Bhejne K Fazail Ka Bayan, Hadees : 1284)
Imam Nasai ne Is Hadees ko Sahi kaha Hai.
(Imam Nasai Al Sunan Al Kubra, Vol : 01, Pg : 380, Hadees : 1207)
(Jamai Tirmizi, Vol : 05, Pg : 516, Kitab No 48 - Kitab ud Dua, Baab  No 64, Hadees : 3476) (Sahi ibn Khuzaima Vol : 01, Pg : 351, Hadees : 709)
Kuch Log aise mardood bhi milenge jo kehte hai k namaz me Durood padh liya hai ab alag se Durood padhne kya hajaat ye hadees un na ahel aur kam jarf ilm logo k liye khuli nishani hai k tumhara sirf namaz padhlena bhi kaafi nahi hai jab tak Habeeb e Rabbil Aalameen pe Durood na padho tumhari dua Rab Tak Nahi jaati aaj ye jaahil na ahel log Waseela e Mustafa ko Nauzuibillah Shirk ka naam dete hai phir bataye wo kam zarf log k dua me is durood ka kya matlab bana ?

DUROOD E PAAK NA PADHNE K YA BAKHILI KARNE K NUKSAANAT
Aaj kuch aise log bhi hai k unhe Durood e paak padhne kahdo to unka hazmaa bigad jaata hai wo jarur dhyan de yaha
Hadees 22 :
Hazrat Jaabir bin Abdullah رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  se rivayat hai k Rasool E Karim Ne Farmaya
"Jisne Maahe Ramzan ko Paaya aur Iske Roze Na Rakhe wo Shaks Shaki (Yaani Badbakt) Hai, Jisne Apne Walidain Ya Unme Se Kisi Ek Ko Paaya aur Unke Saath Accha Sulook Na Kiya  wo Shaks Shaki (Yaani Badbakt) Hai, Jiske Pass Mera Zikr Hua Aur Usne Mujh Par Durood Na Padha wo Shaks Shaki (Yaani Badbakt) Hai,"
References :
(Majma Ul Zawaid - Vol 03, Pg : 340, Kitab-us-Saum,Hadees : 4773)

Hazrat Abu Hurraira رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  se rivayat hai k Rasool E Karim Ne Farmaya
"Halaak Ho Wo Shaks Jiske Pass Mera Zikr Hua Aur Usne Mujh Par Durood Na Padha, Halaak Ho Wo Shaks Jisne Maahe Ramzan ko Paaya Aur Apni Magfirat Na Karwali, Halaak Ho Wo Shaks isne Apne Walidain Ya Unme Se Kisi Ek Ko Paaya Aur Unki Khidmaat kar Jannat Na Paa Li”
References :
(Jamai Tirmizi, Vol : 05, Pg : 551, Kitab No 48 - Kitab-ut-Duwaat, Hadees : 3545)

Hadees 23 :
"Jo Log Apni Majlis Me Allah Ka Zikr Kare Aur Nabi E Paak Par Bina Durood Padhe Uth Gaye To Wo Badbudar Murdaad Se Uthe"
References :
(Imam Bayhaqi - Vol 02 Pg : 210 Hadees : 1070)

Hadees 24 :
Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Se rivayat hai k Rasool Allah ne Irshad farmaya
“Jo Mujhpe Durood Padha Bhool Gaya Usne Jannat Ka Rasta Chod Diya"
References :
(Sunan Ibn Majah, Vol : 01, Pg : 294, Kitab  Iqamat-Us-Salat Was-Sunnah Fiha Hadees : 908)

Hadees 25 :
"Jiske Pass Mera Zikr Hua Aur Usne Mujhpe Durood Na Padha Usne Jannat Ka Rasta Chod Diya"
References :
(Imam Tabrani Al Majmual Kabeer, Vol : 03, Pg : 128, Hadees : 2887)
Hadees 26 :

Hazrat Ali ibn Abu Talib رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  se rivayat hai k Rasool E Karim Ne Farmaya
”Bakhil Hai Wo Shaks Jiske Saamne Mera Zikr Hua Aur Usne Mujhpe Durood Na Padha”
Reference :
(Jamai Tirmizi, Vol : 05, Pg : 551, Kitab No 48 - Kitab-ut-Duwaat, Hadees : 3546)

Alhamdullilah Hum ahle Sunnat ki har majalis me durood e paak ki kasrat hoti hai isliye hamare ulema apni takreero me bhi Durood e paak padhate hai aur wo jinke yaha puri takreer bas shirk biddat pe khatm hojati hai unke dil itne adawat me gande hogaye hai k unhe durood padhna bhi ab galat lagne laga hai is post me humne Durood se hi ALHAMDULLILAH Akaid e Ahle sunnat ko bhi saabit kiya hai. ALLAH SE DUA HAI K HUME APNI HABEEB K MUHIBEEN ME SHAMIL KARLE AUR DUROOD E PAAK KI KASRAT KARNE WAALO ME SHAMIL KARE. AAMIN









No comments:

Post a Comment