Friday, 12 June 2020

11vee Shareef




KYA 11VI HARAM YA BIDDAT HAI ?


AWWAL TOH YEH SAMJHA JAYE KI HUKUM E SHARIA KYA HAI

DO’S (KARNA HAI)
1)      FARZ
2)      WAJIB
3)      SUNNAT E MUAKIDAH
4)      SUNNAT E GAIR MUAKIDAH
5)      MUSTAHAB

DON’TS (NAHI KARNA HAI)

6)      HARAM
7)      MAKRUH E TEHRIMI
8)      ISAAH
9)      MAKRUH E TANZIH
10)   KHILAF AULA
11)   MUBAAH

FARZ KYA HAI?

FARZ MAANE OBLIGATORY, ZARURI HAI, JO ALLAH TAALA KA BAHUKUM HAI QURAN ME NAZIL HUA JO CRYSTAL SE BHI ZYADA CLEAR HAI JAISE “AKIMUS SALAT” NAMAZ QAYAM KARO, ISTARAH KAY JO BHI ALLAH TAALA KA HUKUM HAI WOH FARZ HAI YAANI WOH JO NASS E QATAI SE SAABIT HAI.FARZ PER AMAL NA KARNE WALA GUNAHGAAR HAI AUR USE USKI SAZA MILEGI.

AB KOI FARZ KA INKAR KARDE TOH WOH SHAKS KAAFIR HAI.

WAJIB KYA HAI?

WAJIB MAANE ZARURI, IMPERATIVE HAI , KHABAR UL AHAD ,AHADEES ME NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM JO HUKUM DIYA USE KARNA WAJIB HAI,IS PER AMAL KARNA ZARURI HAI AUR AMAL NA KARNA GUNAHGAAR HAI,WAJIB BHI ZARURI HAI FARZ KI TARAH LEKIN FARZ SE ZARA NICHE WAJIB HAI.

AB KOI WAJIB KA INKAR KARE WOH GUMRAH HAI LEKIN KAFIR NAHI. E.G ISHA KI NAMAZ ME 3 WITR WAJIB HAI, JUMA KA KHUTBA WAJIB HAI.

SUNNAT E MUAKIDAH KYA HAI?

SUNNAT E MUAKIDAH WOH HAI JO NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM NE APNI ZAHIRI ZINDAGI ME AMAL KIYA,NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM KI ADAIGI KO ADAA KARNE KA NAAM SUNNAT HAI.ISKA KARNA ZARURI HAI AUR SAWAAB HAI AUR JISNE ISE CHODA USNE ISAAH KIYA.ISE CHODNE WALA GUNAHGAAR NAHI LEKIN MUSALSAL YA ADAAT BANALENA KI SUNNAT E MUAKIDAH KO CHODDENA GUNAH HAI AUR ISKI SAZA MILEGI.


E.G: FAJR KI 2 RAKAAT AND ZOHAR KI SHURU 4 RAKAT SUNNAT, SUNNAT E MUAKIDAH HAI

SUNNAT E GHAIR MUAKIDAH KYA HAI?

SUNNAT E GHAIR MUAKIDAH WOH HAI JO NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM NE AMAL KIYA LEKIN MUSALSAL AMAL NAHI KIYA AUR NAAHI YEH BATAYA KI YEH ZARURI HAI YAANI JO AMAL NABI SALLALLAHUALAIHWASALLAM NE KIYA AUR YEH NA BATAYA KI YEH ZARURI HAI TOH YEH SUNNAT E GHAIR MUAKIDAH, ISPER AMAL KARNE WALE KO SAWAAB HAI AUR IS PER NA AMAL KARNE WALA MAKRUH E TANZIH YAANI DISLIKED NA PASANDIDA AMAL KAHA JAYEGA. AUR ISE CHODNE KI AADAT BANALENA YA KABHI AMAL NA KARNA USE KOI GUNAH NAHI LEKIN WOH SHARAIT ME NAPASANDIDA AMAL KAHA JAYEGA.

E.G: ASAR KI 4 RAKAAT SUNNAT, SUNNAT E GHAIR MUAKIDAH

MUSTAHAB KYA HAI?

MUSTAHAB WOH HAI JISE KARNE PER SAWAAB HAI AUR NA KARNE PER KOI GUNAH NAHI AUR NAAHI YEH NA PASANDIDA AMAL KAHA JAYEGA.AGAR KOI MUSTAHAB AMAL KO CHODDE TOH US PER KOI HUKUM NA HOGA HATTA KI MAKRUH E TANZIH YAANI NAPASANDID AMAL KA BHI HUKUM NAHI LAGEGA.

MUSTAHAB KIS TARAH HAI YEH PATA KAISE CHALE?
JAWAB: JO KAAM NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM NE NA KIYA LEKIN SHARIAT KI ROSHNI ME ULLEMA KAY NAZDEEK JAYAZ HAI YA ULLEMA NE US AMAL KO ACCHA SAMAJ KAR KIYA WOH MUSTAHAB HAI.

ISKI DALEEL HADEES SE MILTI HAI.

“HAZRAT ABDULLAH BIN MAS’OOD RADIYALLAHU TA’ALA ANHU SE RIWAYAT HAI KI UNHONE FARMAYA :
JIS (AMAL) KO KOI (AIK) MOMIN ACHCHHA JAANE WOH (AMAL) ALLAH TA’ALA K NAZDEEK BHI ACHCHHA HAI AUR JIS AMAL KO MOMINEEN BURA JAANE WOH KHUDA K NAZDEEK BHI BURA HAI.”

[BAZZAR AL-MUSNAD, 05/212, RAQAM-1816,
TABARANI AL-MU'JAM-UL-KABIR, 09/112, RAQAM-8583,
AHMAD BIN HANBAL AL-MUSNAD, 01/379, RAQAM-3600,
HAKIM AL-MUSTADRAK, 03/83, RAQAM-4465,
ABOO NU'AYM HILYAT-UL-AWLIYA',01/375,
BAYHAQI AL-MUDKHAL ILA AS-SUNAN-UL-KUBRA, 01/114, & AL-I'TIQAD, 01/322,
TAYALISI AL-MUSNAD, 01/33, RAQAM-246,
IBN RAJAB JAMI'-UL-ULOOM WAL-HIKAM, 01/254.]

JAISA KI HUM JULOOS NIKALTE HAI EID E MILAD YA 11VI ME TOH YEH AMAL MUSTAHAB HAI.






HARAM KYA HAI?

JO ISLAM ME QATAN JAYAZ NAHI,FORBIDDEN JIS KAAM KO ALLAH TAALA NE QURAN ME MANA FARMADIYA WOH HARAM HAI , HARAM KAAM KARNE WALA SAKHT GUNAHGAAR HAI.FARZ O HARAM EK DUSRE SE CONNECTED HAI JAISE KI JO SHAKS FARZ ADAA NA KARE USNE HARAM KAAM KIYA AUR JO HARAM KARNE SE RUKE USNE FARZ PER AMAL KIYA.


MAKRUH E TEHRIMI KYA HAI?

JISKAAM KO NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM NE MANA FARMADIYA AHADEES, KHABAR UL AHAD WOH MAKRUH E TEHRIMI HAI. MAKRUH E TEHRIMI AUR WAJIB BHI EK DUSRE SE CONNECTED HAI, WAJIB KO NEGLECT, CHODDENA MAKRUH E TEHRIMI HAI AUR JO MAKRUH E TEHRIMI HAI USE CHODDENA WAJIB HAI.

ISAAH KYA HAI?

AGAR KOI SHAKS SUNNAT E MUAKIDAH CHODDETA HAI TOH USNE ISAAH KIYA,AGAR EK SE DO DAFA HUA TOH GUNAH NAHI LEKIN ISKI AADAT BANALI TOH GUNAHGAAR HOGA AUR USKI SAZA MILEGI.

MAKRUH E TANZIH KYA HAI?

MAKRUH E TANZIH EK NAPASANDIDA AMAL HAI.

KHILAF AULA KYA HAI?

JISNE MUSTAHAB PER AMAL NA KIYA USNE KHILAF AULA PER AMAL KIYA, YAANI ULLEMA KAY KHILAF AMAL KIYA.


MUBAH KYA HAI?

JO AMAL KARO US PER KOI SAWAB NAHI AUR NA KARO TOH KOI GUNAH NAHI AUR NAAHI KOI SAZA MILEGI.

E.G: ME COMPUTER USED KARRAHA HU; LEKIN ISE USED KARNE SE NA KOI SAWAB NA KOI GUNAH HAI.

HAR MUSALMAN KO ZARURI HAI KI INKA MAANA ZARUR MAALUM HO.


TOH ALHAMDULILLAH HUMNE HUKUM E SHARIA PADHA AUR YEH JAANA KI HALAL KYA HAI HARAM KYA HAI,AB AAYE QURAN SHAREEF ME PADHTE HAI KI KOI AGAR KAHE KI FULA KI DALEEL NAHI TOH WOH HARAM HAI,KYA WOH WAQAI HARAM HAI YA MUBAH ??







SURAH ANAM, AAYAT # 150

TARJUMA: “
تم فرماؤ لاؤ اپنے وہ گواہ جو گواہی دیں کہ اللّٰہ نے اسے حرام کیا (ف۳۱۰) پھر اگر وہ گواہی دے بیٹھیں (ف۳۱۱) تو تُو اے سننے والے ان کے ساتھ گواہی نہ دینا اور ان کی خواہشوںکے پیچھے نہ چلنا جو ہماری آیتیں جھٹلاتے ہیں اور جو آخرت پر ایمان نہیں لاتے اور اپنے رب کا برابر والا ٹھہراتے ہیں (ف۳۱۲)

ROMAN: “TUM FARMAO LAO APNE GAWAH JO GAWAHI DE K ALLAH NE ISE HARAM KIYA”

IS AAYAT SE MAALUM HUA KI AGAR KOI KAHE EID E MILAD HARAM, TOH JO HARAM KEH RAHA HAI US PER ZIMMEDARI HAI KI DALEEL DIKHAYE KI ALLAH TAALA NE HARAM FARMA DIYA, JO KAHE 11VI YAANI HAZRAT GAUS E PAAK KI NIYAZ FATIHA EESAAL E SAWAB HARAM TOH KEHNE WALO KO CHAHIYE KI EESAL E SAWAB HARAM HAI IS PER KOI DALEEL DIKHAYE


TOH PATA CHALA KI JO HARAM SHIRK O BIDDAT KI RATT LAGATE HAI UN K ZIMME DALIL HAI,HUMARE NAHI,KYU K HUM KARTE HAI 11VI MUSTAHAB SAMAJKAR AUR KUCH CHIZEN AISI KARTE HAI JO MUBAH HAI,ISLIYE JO AITRAAZ KARE UNSE DALEEL MANGE.

TOH SAABIT HUA KI 11VI JO EESAAL E SAWAB HUM KARTE HAI WOH JAYAZ HAI, HARAM NAHI

SURAH ANAM, AAYAT # 145

TARJUMA:

تم فرماؤ (ف۲۹۶) میں نہیں پاتا اس میں جو میری طرف وحی ہوئی کسی کھانے والے پر کوئی کھانا حرام (ف۲۹۷) مگر یہ کہ مرُدار ہو یا رگوں کا بہتا خون (ف۲۹۸) یا بد جانور کا گوشت کہ وہ نجاست ہے یا وہ بے حکمی کا جانور جس کے ذبح میں غیر خدا کا نام پکارا گیا تو جو ناچار ہوا (ف۲۹۹) نہ یوں کہ آپ خواہش کرے اور نہ یوں کہ ضرورت سے بڑھے تو بے شک اللّٰہ بخشنے والا مہربان ہے


ROMAN: “TUM FARMAO, ME NAHI PAATA ISME JO MERI TARAF WAHI HUI KISI KHANEWALE PER KOI KHATA HARAM, MAGAR YEH K MURDAAR HO YA RAGO (NAFS) KA BEHTA KHOON,YA BADD JANWAR KA GHOSHT K WOH NAJASAT HAI YA WOH BE HUKME YA JANWAR JISKE ZABAH ME GAIR KHUDA KA NAAM PUKARA GAYA TOH JO NAACHAR HUA,NA YUN K  AAP KHWAISH KARE AUR NA YUN K ZARURAT SE BADHE TOH BESHAK ALLAH BAKASHNE WALA MAHERBAAN HAI.”

YAANI JAHIL MUSHRIK JO HALAL CHIZO KO APNI TARAF SE HARAM KARLETE HAI.






DEOBANDI WAHBI KA AITRAAZ BHI IS AAYAT SE RADD HOJAATA HAI KI HUM SUNNI HAZRAT GAUS E PAK K NAAM SE JANWAR ZABAH KARTE HAI ISLIYE WOH HARAM HAI,
TOH MERA SAWAL HAI KAUN SA SUNNI HAI JO ZABAH KARTE WAQT YEH DUA PADHTA “BISMI ABDUL QADIR” ???? BESHAK KOI NAHI PADHTA BALKE PADHTE HAI “BISMILLAH ALLAH HU AKBAR” TOH NIYAZ O FATIHA KA JANWAR KAISE HARAM HOGAYA???

AUR AAYAT ME SAAF LIKHA HAI JO GAIR E KHUDA KAY NAAM PER JANWAR ZABAH HOTA HAI,LEKIN HUM MESE KOI GAIRULLAH KAY NAAM PER ZABAH NAHI KARTA.

TOH SAABIT HUA KI 11VI JO EESAAL E SAWAB HUM KARTE HAI WOH JAYAZ HAI,HARAM NAHI AUR NAAHI ISKE HARAM HONE KI DALIL MAUJUD HAI.


**NOTE: AB AGAR HUMSE KOI PUCHE KI 11VI HARAM HAI TOH USE KAHE KI AGAR HARAM HAI TOH DALEEL DIKHAYE,FIR WOH KAHEGA AGAR HALAL YA JAIZ HAI TOH DALEEL DIKHAYE,TOH AAP KEHNA HUM DALEEL DIKHA SAKTE HAI LEKIN AAPKA DAWAH HARAM O NAJAIZ KA GALAT HAI ISLIYE AAPNE DALIL DENI HAI AUR WOH NA MANE TOH USE YEH 2 AAYAT DIKHANA AUR KEHNA QURAN KAY MUTABIK TUMHE DALEEL DENI HAI KI ALLAH TAALA NE 11VI KAB HARAM KAHA HAI ?? AUR AGAR WOH DALEEL NA DE PAAYE TOH KEHNA FIR TUJHE HAQ NAHI KAY KISI CHIZ KO HARAM KAHE.


SAWAL:

11VI KYA HAI ?

JAWAAB:

11VI ENGLISH ME ELEVEN
11VI ARBI ME IDAA ASH
11VI FARSI ME YAZDAHAM

HAZRAT GAUS E PAAK RADIALLATAALA ANHU KI WAFAT KA DIN HAI 11VI RABIUS SAANI, ISLIYE IS DIN HAZRAT GAUS E PAAK RADIALLATAALA ANHU KI YAAD ME EESAAL E SAWAB KIYA JAATA HAI.HAZRAT GAUS E PAAK ALLAH TAALA K WALI HAI PEERO K SARDAR HAI AUR DUNIYA ME IS PER SABKA ITTEFAK HAI.HAZRAT GAUS E PAAK KI FATIHA KHWANI 11VI K NAAM SE MASHUR HAI ISLIYE ZYADATAR LOG 11VI KEHKAR BULATE HAI.












SAWAL :

KYA 11VI YA FIR KISI WALI KA ZIKR KARNA KAHI SE SAABIT HAI ?

JAWAB :

BESHAK ALLAH TAALA K WALIYOKA PAIGAMBARO KA ZIKR KARNA CHAHIYE AUR ISKA SUBOOT HUM QURAN SE MILTA HAI JAHA PER QURAN NE KHUD ZIKR KIYA HAI AUR WOH SURAH AND AAYAT HAI SURAH MARYAM AAYAT NO.41 ,51,54,56 AUR PADHIYE SURAH KAHF JAHA PER WALIYO KA ZIKR KIYA GAYA HAI.

SAWAL :

KYA EESAAL E SAWAB KAHI SE SAABIT YA JAYAZ HAI ?

JAWAB :

BILKUL SAABIT HAI PADHO QURAN

SURAH AL HASHR AAYAT # 10

TARJUMA : اور وہ جو ان کے بعد آئے (ف۳۸) عرض کرتے ہیں اے ہمارے رب ہمیں بخش دے اور ہمارے بھائیوں کو جو ہم سے پہلے ایمان لائے اور ہمارے دل میں ایمان والوں کی طرف سے کینہ نہ رکھ (ف۳۹) اے رب ہمارے بیشک تو ہی نہایت مہربان رحم والا ہے


ROMAN : “AUR JO UNKAY BAAD AAYE,ARZ KARTE HAI A HUMARE RAB HUME BAKSHDE AUR HUMARE BHAIYO KO JO HUM SE PEHLE IMAAN LAAYE AUR HUMARE DIL ME IMAAN WALO KI TARAF SE KINA NA RAKH,A RAB HUMARE BESHAK TU HI NIHAYAT MAHERBAAN RAHEM WALA HAI.”

IS AAYAT ME ALLAH TAALA MUSALMANO K IS DUWA KO BATAUR E TAREEF BAYAN FARMA RAHA HAI,JO MUSALMAN APNE GUZRE HUWAY MUSALMAN BHAIYO K LIYE DUWAY BAKSHISH O MAGFIRAT MANG RAHE HAI AUR DUWA IBADAT HAI JAISA KI ABU DAWUD WAGAIRA  AHADEES ME HAI,AGAR MURDO KO USKA SAWAB NA PAHUNCHTA TOH QURAN HARGIZ USKO BATAUR TAREEF O ISTEHSAN BAYAN NA KARTA.







HADEES

HAZRAT ABU HURAIRAH RADIALLATAALA ANHU SE MARVI HAI KI JAB ALLAH TAALA JANNAT ME APNE NEK BANDO KA MARTABA BULAND KAREGA,TOH BANDA ARZ KAREGA A MERE RAB MERE DARJAT KYUNKAR BULAND HUA ? IRSHAD HUA KI TERA BETA JO TERE LIYE DUWAYEIN BAKSHISH O MAGFIRAT MANGTA THA,USI K SABAB SE HAI.

MISHKAT SAFA 356.

IS HADEES SE SAABIT HUA KI KISI NEK BANDAY YA KISI BUZURG K LIYE EESAAL E SAWAAB AUR DUWAYEIN BAKSHISH O MAGFIRAT KI JAYE TOH USKE DARJE BULAND HOTE HAI AUR AGAR GUNAHGAAR K LIYE HO TOH USE SAKHTI AUR AZAB DOOR HOTA HAI.

ALHAMDULILLAH 1 AAYAT AUR 1 HADEES KAAFI HAI HAQ WALO KO SAMAJNE K LIYE KI EESSAL E SAWAB JAYAZ HAI,AUR KOI CHAHE TOH IMAM JALALUDDIN SUYUTI RAHIMAHULLAH KI KITAAB SHARAH US SUDOOR ZARUR PADHE ISME TAFSEEL SE ILM HAASIL HOGA AUR YEH AQEEDAH IMAM SUYUTI RAHIMAHULLAH  KA BHI THA.

TOH SAABIT HUA EESAAL E SAWAAB JAYAZ HAI AUR 11VI KISLIYE HAI?

JAWAB: 11VI EESAAL E SAWAB HI HAI JO HUMNE SAABIT KIYA K WOH JAYAZ HAI .

SAWAAL:

EESSAL SAWAB JAYAZ TOH HAI HI ,LEKIN FATIHA KAY WAQT JO KHANA AUR PAANI RAKHTE HAI USKA KYA ? WOH TOH JAYAZ NAHI AUR NAAHI ABTAK SAABIT HAI.

JAWAAB :

PAANI RAKHNE KI DALIL


















SCAN PAGE :



حدثنا محمد بن كثير أخبرنا إسرائيل عن أبي إسحق عن رجل عن سعد بن عبادة أنه قال يا رسول الله إن أم سعد ماتت فأي الصدقة أفضل قال الماء قال فحفر بئرا وقال هذه لأم سعد

TARJUMA :

HAZRAT SA’AD IBN UBADAH SE RIWAYAT HAI, HAZRAT SA’AD NE NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM SE ARZ KIYA HAI MERI WALIDA INTEQAL KARGAI HAI,BEHTER SADKA KYA HAI ,FARMAYA PAANI ,FIR HAZRAT SA’AD NE QUWA KHUDWAYA AUR KAHA “YEH UMME SA’AD KI TARAF SE HAI”


TOH PATA CHALA PAANI PILANE SE MURDO KO SAWAAB PAHUCHTA HAI ISLIYE HUM FATIHA KAY WAQT PAANI KO SAAMNE RAKHTE HAI







KHAANA KAY DALIL




TARJUMA : “HAZRAT AISHA RADIALLATAALA ANHA BAYAN KARTI HAI KAY RASUL ALLAH SALLALLAHUALAIHIWASALLAM NE EK SINGH WALA MENDA LAANE KA HUKUM DIYA,JISKE HAATH PAIR AUR ANKHEN SIYA HO,SO QURBANI KARNE K LIYE AISA MENDA LAYA GAYA, AAPNE FARMAYA,A AYESHA ,CHURI LAO,PHIR FARMAYA ,IS KO PHATTAR SE TEZ KARO , MENE IS KO LITAYA AUR ZABAH KARNE LAGE,PHIR FARMAYA ,ALLAH KAY NAAM SE,A ALLAH ,MOHAMMAD  AAL E MOHAMMAD AUR UMMAT E MOHAMMAD KI TARAF SE IS KO QABUL FARMA,FIR USKI QURBANI KI.”

ALHAMDULILLAH HADEES SE SAABIT HUA KI NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM APNI AUR APNI AAL AUR UMMAT  K LIYE MENDA ZABAH KARTE THE ,AUR AAL E MOHAMMAD PER GAUR KIYA JAYE TOH HAZRAT GAUS E AAZAM RADIALLATAALA ANHU KAUN HAI ?? HASANI HUSSAINI HAI YAANI AAL E MOHAMMAD HI HAI AUR HUM MURGA YA MENDA YA BAIL YA GAI BUZURGO KI TARAF SE KAATE TOH NA YEH HARAM HUA NA SHIRK HUA BALKI YEH SUNNAT HUI JIS PER HUMNE AMAL KIYA AUR INKO ZABAH KARKE FATIHA KARNA JAYAZ SAABIT HUA.


SAWAL

KYA 11VI KI FATIHA KHUSUSAN 11VI RABI US SAANI KO HI KARNI HAI ,KYA YEH FARZ SUNNAT WAJIB ME SE HAI KI USI DIN KIYA JAYE ??

JAWAB:

11VI SHAREEF KI NIYAZ O FATIHA KHWANI ZIKR O AZKAR KARNE K LIYE KOI KHUSUSI DIN MUQARAR NAHI LEKIN ZYADATAR LOG ISI DIN KARTE HAI KYUKAY HAZRAT GAUR PAAK KI WAFAT ISI DIN HUI.






CONCLUSION:

ALHAMDULILAH IS RISALE ME HAR CHIZ K AITRAAZ KA JAWAB DIYA GAYA HAI AUR JO SHAKS ISE TAASUB KA CHASMA UTAR KAR PADHE TOH USE HUKUM E SHARIA,QURAN O HADEES DIKHAI DEGA AUR ALLAH TAALA NE CHAHA TOH HAZRAT GAUS E PAAK K SADKE TUFAIL USE HIDAYAT MILJAYE,HUMNE IS RISALE ME HUKUM E SHARIA SE SAABIT KIYA 11VI PER AMAL MUSTAHAB HAI AUR IS PER AMAL KARNE WALE KO SAWAB AUR NA AMAL KARNE WALE KO KOI GUNAH NAHI , EESAAL E SAWAB KI DALIL QURAN O HADEES SE DEDI , PAANI AUR KHAANE KI DALEEL HADEES SE DEDI,ALHAMDULILLAH AB JISE AITRAAZ HAI DIKHAYE HUME WOH DALIL JAHA ALLAH TAALA NE 11VI YAANI FATIHA KHWANI YA EESAAL E SAWAAB KO HARAM KAHA HAI AUR ALHAMDULILLAH JAB HUMNE HADEES DIKHADI TOH YEH BIDDAT BHI NA RAHI AUR MUSTAHAB AMAL SAABIT KIYA. AB QURAN SHAREEF K MUTABIK DALEEL AITRAAZ KARNE WALO’N K ZIMME AATI HAI HUMARE NAHI.

WALLAHU AALAM SUMMA RASULO AALAM.



1 comment:



  1. 🍢 Imaam Yaf'yi Rehmatullah alaih apni kitab " QARRATUL NAAZRAH " k safa no. 11 par tehrir farmate he..

    " Hazrat Mehboob e Sub'haani Qutub e Rabbani Shaikh Abdul Qadir Jilani رضی اللّه تعالیٰ عنہ ki Gyarwheen Sharif ka jikr tha, irshad hua ki Gyarwheen ki asal ye thi ki Hazrat Gaus e Samdani رضی اللّه تعالیٰ عنہ
    Huzur Sarapa Noor صلی اللّه تعالیٰ علیه وسلّم k 40 we ka khatam sharif hamesha Gyarwheen Rabiul aakhir ko kiya karte the..

    Wo niyaz itni maqbul o marghub huyi ki aap har maah Gyarwheen tarikh ko hi nabi e karim صلی اللّه تعالیٰ علیه وسلّم ka khatam sharif or niyaz dilane lage..

    Aakhir rafta rafta yehi niyaz Huzur Gaus e paak رضی اللّه تعالیٰ عنہ ki Gyarwheen Sharif mash'hoor ho gyi.. Aaj kal log aap رضی اللّه تعالیٰ عنہ ka urs e mubarak bhi Gyarah tarikh ko karte he halanki aap ki tarikh e wisal 17 rabi'ul aakhir he.. "


    🍡 MALUM HUA KI GYARWHEEN SHARIF ASAL ME HUZUR صلی اللّه تعالیٰ علیه وسلّم KA URS MUBARAK HE JO GAUS E AAZAM رضی اللّه تعالیٰ عنہ KI TARAF MANSOOB HO GYA HE..


    🍡 Hazrat Shaikh Abdul Haqq Muhaddis Dehlvi Rehmatullah Alaih ( ye wahi Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehlvi he jin ki Khud Huzur Sallallaho ta'ala Alaih Wasallam ne dastar bandi kar k Shaikhul Muhaddis bana kar bheja) aap Rehmatullah Alaih k faiz se aqleem Hind k aulamah kehlwane wale Bareilvi, Devbandi, Gair muqallidin, bahra war huye

    🍳 Ye wahi Shaikh he jin ko Huzur صلی اللّه تعالیٰ علیه وسلّم ki har waqt jiyarat ho jati thi is liye unhe Huzuri Wali kaha jata he khud Ashraf ali thanwi ne mana he ( Al Aafazatil Yomiya)

    🍲 Shaikh Apni kitab " Maa shbat Bil santa " me safa no. 68 par farmate he...

    " Hamare mulk me Gyarwheen Sharif ka din mash'hoor he or yehi hamare mashaikh jo pirane pir رضی اللّه تعالیٰ عنہ ki aulad se he ke najdik maataruf he.. "

    ReplyDelete