Friday 12 June 2020

MURDE SUNTE, DEKHTE, BOLTE AUR MEHSUS KARTE HAIN:




MURDE SUNTE, DEKHTE, BOLTE

AUR MEHSUS KARTE HAIN:


HADEES KI ROSHNI ME:
,
HADEE#1: Azwah bdar sharif me
musalmano ne kuffar ki laashen jama karke
ek kuwen me paat di,
Huzur ki adat karima ti ki jab kisi muqam
ko fateh karte to wahan 3 din qeyam
farmate,
yahan se tashrif le jate waqt is kuwen par
tashrif laye, jisme kafiro ki lashen padi thi,
aurunhe naam banaam awaz dekar
farmaya,
,
'Humne to paa liya jo humse hamare Rab
ne saccha waada(Nusrat ka) farmaya tha,
kyun tumne bhi paya jo sacch wada(Naar
ka) tumse tumhare Rab ne kiya tha.'
,
Ameerul MomineenFaruq Azam r.a ne arz
ki, Ya RASOOLALLAH,
,
'Ajsadun La Arwaha Feeha'
tarjuma: Ya Rasoolallah Kya Huzur be-jaan
jismo se kalaam farmate hain?
,
Farmaya, 'Ma Antum be asma'a Minhum.'
tarjuma: Tum kuch unse zyada nahi sunte,
magar unhe taqat nahi ki mujhe laut kar
jawab dein.
(Bukhari, J2, S-566, Baab-Qatl Abi Jehel)
,
is Hadees se pata chala ki Kafir bhi marne
ke baad sunte hain,
to fir Momin kyu na sune?
Aur fir AULIYA Ki shan to raafe Aala hai.
Beshak wo bahut behtar sunte hain.
,
fir farmaya,
,
HADEES#2: Rooh ek parind hai, aur Jism
Pinjrah,
Parind jis waqt tak pinjrah me rehta hai,
iski parazi isi qadr hai, Jab Pinjrah se nikal
jaye, is waqt iski quwwat-e-parwaz
dekhiye.
(Sharahus Sudur, S-210,Baab-Al Arwahe
Mafhoomam)
,
is Hadees se pata chala ki Jism se Rooh
nikalne ke baad iski sunne aur dekhne aur
tamam ikhtiyarat ki quwwt aur zyada badh
jati hai.
,
SAMAA MOTI KA MASLA:
WAHABIYO KI MAKKARI,
,
Wahabi log Sunniyo ko Quran ki ye ayat
pesh karte hain,
'Beshak tumhare sunaye nahi sunte
Murde,'
(Sureh Naml 80)
ek aur ayat pesh karte hain,
'Aur tum nahi sunane wale unhe, jo Qabro
mepade hain,'
(Sureh Fatir 22)
,
JAWAB MIN HADEES: Moti kaun hai, Ijsam.
Qabro me kaun hai, wohi Ijsam,
to Fir sirf Ijsam hi ke sunne se inkar kiya
gaya hai,
na ki Arwaah ke,
(Bukhari,J2,S-5 67, Baab-Qatl Abi Jehel)
,
So Ye Ayat Ijsam per dalalat karti hai,
Arwaah par nahi, aur ALLAH ke tama nek
bande apni quwwate Arwah se sunte,
dekhte aur madad karte hain.
,
Khud H.Ayesha Siddiqa r.a ka tarz-e-amal
SamaMoti ko sabit kar raha hai, farmati
hain,
,
HADEES#4: jab Huzur Aqdas sallallaho
alaihe wasallam mere Hjre me dafn hue,
Mai Baghair Chadar odhe, be-Hijabana
Hazir hoti aur kehti,
'Innama Hua Zauji'
Mere Shauhar hi to hain.
,
fir H.Abu Bakr Siddiq r.a wahan Dafn hue,
jab bhi mai baghair Ehtiyat ke chali jati aur
kehti,
'Innama Hua zauji wa abi'
Mere Shauhar aur mere Baap hi to hain.
,
fir jab H.Umar Faruq r.a wahan Dafn hue to
mai nihayat ehtiyat ke sath chadar lipti hui
jati, is tarah ki koi uzu khula na rahe, kehti,
'Haya an Min Amara raziallahu ta'ala anhu'
Umar se sharm karti.
(Mishkaat, J1,S-154, Baab-Ziyarate Qubur)
,
to agar Arwah ka Sama Basar na manti to
fir 'Haya Min Umar' ke kya mayne hain?
,
HADEES#5: "Jab koi aisi Qabr se Guzre jisey
Duniya me jaanta tha aur uspar Salaam
karey to wo Murda isey Pehchaanta hai aur
iske Salaam ka Jawaab deta hai".
[ Taarikh Baghdaad , Jild : 6 , Page No :
135, Hadees No : 3175 ]
,
HADEES#6: Tafseer Ibn-e-Kaseer me hai k
Mayyat apni ziyart krne wale ko pehchanti
b hai or khushb hoti hai.
,
HADEES#7: Hazrt Anus (Radi Allah ho
Anhu) se mrvi hai
Huzoor (Sllallaho Aalaehi Wasllm) ne
frmaya
jb bnde ko us ki Qabr me rakha jata hai or
us k Dost dafan krne k bad waps lot'te hain
to wo un k juton ki Awaz sunta hai
(Mishkat page 24)
,
HADEES#8: H.A.bu Saeed Khaudri r.a se
riwayt hai ki Nabi alaihesalam farmate hain,
jab bande janaze ko lekar chalte hai to agar
wo nek hai to kehta hai, mujhe jaldi le
chalo, aur agr wo bura hai to kehta hai,
mujhe kahan liye jate ho?
(Bukhari, J-1, Kitabul Janaiz, Baab-Qaulil
Mayyit)
,
is Hadees se pata chala ki Murda Quwwat-
e-Arwah se bolta b hy,
,
BOOK#9: AhleHadeeso ke Imam Ibn-e-
qayyim likhta hai
Mayyat ki ziyart k liye koi shaks aata hai to
mayyat ko us ki aamd ka ilm hota hai or wo
khush b hoti hai
(Kitab-ur-Rooh Page 05)
,
BOOK#10: Isi tarah Anwar Shah Kashmiri
Deobandi b likhta hai k jb koi shaks mayyat
kosalam kehta hai to wo usse salam ka
jawab deta hai or agar dunya me wo us ko
pehchanta tha to us waqt b pehchan leta
hai
(Faiz-ul-Bari jild 2 page 467)
,
,
NEK BANDO KI QABRO KI BARKAT SE
GUNAHGARLOGO KO FAIDA:
,
HADEES#11: Nabi sallallaho alaihe
wasallam neFarmaya, tum apne Murdo ko,
Buzurgo ke pasdafn karo, ke unki Barkat se
in par azab nahi hota.
(Muslim, J2, S-344, Baab-Fazlul Majalisul
Zikr),
,
HADEES#12: Wo Log hain ki unke sabab
unka hamnasheen bhi bad bakht nahi hota,
wa lehaza Hadees me farmaya,
'Adfenu Mautaakum Wasta Qaumin
Saaleheen'
Apne murdo ko Neko ke paas dafn karo.
(Kamzul Ummal,20, S-121)
.
.
:
in tama Ahadeese Saheeha se ye khoob
achhi tarah wazeh ho gaya ki MURDE APNI
QUWWATE ARWAH SE, SUNTE, DEKHTE AUR
MADAD BHI KARTE HAIN, AUR UNKE
ZARIYE DUSRO KO FAIDA BHI MILTA HAI,
,
Ab jo Wahabi log Quran ki Sureh Naml80
aur Sureh Fatir22 Ayato se apni marzi se hi
matlabnikalte hain, aur Sunniyo ko Mushrik
kehte hain,
wo Batayen kya Itni sari Hadeesen, Jhoot
farmayi Gayi hain?

No comments:

Post a Comment