Tuesday, 1 March 2022

Mere Nabi ﷺ Jaisa Koi Nahi















Huzoor  Jaisa Koi Nahi
 
 
 Hadees No.1 
 
 
Hazrate Abu Hurairah رضي الله عنه Se Marvi hai ki Rasoolullah  ne baghair kuch khaye piye Roze Se Roze Milakar Rakhne se mana farmaya to ek Sahab ne Arz ki Yaa Rasoolullah  Aap to Is tarah Roze Rakhte hai to Huzoor   ne irshad farmaya Tum Me Mere Jaisa Koun Hai ??   Main to Is haal me Guzarta hu ki Mera Rab Mujhe khilata hai , Pilata hai
 
 
 
Bukhari Jild 1 Safa 263
 
Muslim Jild 1 Safa 351
 
Mishkaat  Safa 175
 
 
 
 Ye Hadees Kuch Alfaaz Ki Tabdeeli ke Sath Bukhari Aur Muslim Me Hazrate Ayesha Siddiqua , Hazrate Abdullah Ibne Umar , Hazrate Anas Bin Malik Aur Hazrate Abu Hurairah رضي الله عنهم In saare Hazraat se marvi hai
 
Hazrate Anas رضي الله عنه Ka bayan hai ki  Huzoor   ne Farmaya ki main tum me se kisi ki tarah nahi hu.
 
Hazrate Ayesha رضي الله عنها  Se marvi hadees me hai Huzoor   ne Irshad Farmaya meri shaan tumhari jaisi nahi hai.
 
Hazrate Abdullah Ibne Umar رضي الله عنه  ki riwayat me hai Huzoor   ne farmaya Main Tumhare Jaisa nahi hu.
 
Aur Mere Peero Murshid Huzoor Tajush Shariah ne Farmaya Yaa Rasoolullah 
 
Aap Jaisa Koi Ho Sakta Nahi
Apni Har Khoobi Me Tanha Aap hai
 
 Hadees No.2
 
Hazrate Ali رضي الله عنه  se marvi hai ki maine Rasoolullah  ke jaisa na pahle dekha na Aap ke Baad
 
Tirmizi jild 2 safa 205
Mishkaat safa 517
 
 Hadees No. 3
 
Hazrate Jaabir رضي الله عنه se marvi hai ki Masjide Nabawi ki chhat jab Khuzoor ki shaakho se daali hui thi to Khutba Dete waqt Huzoor  khuzoor ke Ek Sutoon se tek lagaya karte the Jab Aap  ke liye Mimbar banaya gaya to Aap  us Par Jalwa Afroz hue to Maine suna  ke is khuzoor ke sutoon se ( Huzoor  ki judaai me) Oontni  ke bilbilane ki Jaisi Aawaz aa rahi  hai Yahan Tak ke Huzoor  ne uske kareeb Jakar us par apna Daste mubarak fera to wo khamosh ho gaya.
 
 Bukhari Jild 1 Safa 504
 
Hadees No. 4
 
Hazrate Ayesha رضي الله عنها  Farmati hai Maine Arz Kiya Yaa Rasoolullah  Aap witr ki Namaz Bagair padhe so jate hai to Huzoor  ne Irshad Farmaya Aye Ayesha Meri Aankh soti hai Mera Dil Nahi Sota.
 
 Bukhari Jild 1 Safa 504
 
Mustafa E Zaate Yakta Aap Hai
Yak ne Jisko Yak Banaya Aap Hai
 
 Hadees No. 5
 
Hazrate Ka'ab Jung me Shirkat se Apne rah jaane ka kissa bayaan karte huye farmate hai ki Jab Maine Huzoor  ko Salaam kiya aur Aap Ka chehra khushi se damak Raha tha Aur Rasoolullah  khush hote to Aap    ka chehra damakne lagta jaise ke wo chaand ka tukda hai aur isse Hum Aap   ki khushi ko jaaan jate.
 
Bukhari Jild 1 safa 502
 
 Hadees No. 6
 
Hazrate Bara Ibne Aajib se Pucha gaya kya Rasoolullah   ka chehra Talwaar ki maanind chamakta tha unhone Farmaya Nahi Balqi chand ki tarah
 
 Bukhari  Jild 1 Safa 502
 
 Aur Sahaba E Kiraam ka ye chaand se tashbeeh dena bhi  sirf isliye tha ke Insaano ki nazar me chaand sabse zyada chamakdar hai warna Rasoolullah  to chaand se kahi zyada khoobsurat aur Haseen hai is baare me bhi Hadees me Hai. Aur ye bhi kaha ja sakta chaand ki Khoobsurati Huzoor  ka hi Sadqa Hai .
 
Qadmo Me Jabee (n) ko Rahne Do Chehre Ka Tasawwur Mushkil Hai
Jab Chaand Se Roshan Edi Hai to Ruqsaar Ka Aalam Kya Hoga
 
 Hadees No.7
 
Hazrate Bara Ibne Aajib Farmate hai Maine Rasoolullah  se zyada khoobsurat kisi Cheez Ko naa dekha
 
Bukhari Jild 1 safa 502
 
Hadees No. 8
 
Hazrate Abu Hurairah farmate hai Maine Koi Cheez Rasoolullah  se zyada Khoobsurat Haseen Wa jameel na dekhi. Aisa Lagta tha jaise Aap ke chehre me suraj Gardish kar raha hai
 
Tirmiji Jild 1 Safa 205
 
Jab Husn Tha Unka Jalwa Nooma Anwaar Ka Aalam Kya hoga
Har Koi Fidaa Hai Bin Dekhe To Deedar Ka Aalam Kya Hoga
 
 Hadees No. 9
 
Hazrate Abu Hurairah  رضي الله عنه farmate hai Logo ne Pucha Yaa Rasoolullah  Aap Kab se Nabi Hai ?  Rasoolullah  Farmaya Aadam علیہ السلام ke Rooh Aur Jism Abhi Dono Alag Alag the  Yani Inke Jisme Me Rooh abhi Aayi bhi na thi .
 
Tirmiji Jild 2 Safa 201
Mishkaat Safa 513
 
Mere Peero Murshid Huzoor Tajush Shariah Farmate hai ..
 
Aabo Gil Mein Noor Ki Pehli Kiran
Jaane Aadam Jaane Hawwa Aap Hain
 
 Hadees No. 10
 
Hazrate Umme Sulaim رضي الله عنها Se Marvi Hai ki Nabi E Kareem  unke yahan Tashreef laate the aur Unke ghar Qailula farmate the ( Dophar me Aaram Farmate ) Huzoor  ko Paseena Bahot Aata tha to wo Huzoor  ka paseena Jamaa kar leti thi to Huzoor  ne farmaya Aye Umme Sulaim Ye kya karti ho ? to Unhone Arz Kiya Yaa Rasoolullah  Aap Ka paseena jise hum khushboo me daal dete hai aur Ye har Khushboo se umda khushboo hai aur ek Riwayat me hai ki Umme Sulaim رضي الله عنها ne Arz Kiya Yaa Rasoolullah  Hum Apne Bacho ke liye isse Barkat ki Ummeed Rakhte hai . Huzoor  ne Irshad Farmaya Tum thik karti ho .
 
 Mishkaat Safa 517
 
  Har Insaan ka Paseena Badbudaar hota hai lekin Allah Ta'ala Ke Mahboob Mustafa  ki Anokhi Shaan hai ki Aap  ka Paseena bhi Har khushboo se badhkar khushudaar hai waqai Aap  Be-misaal hai Aap ka koi jawab nahi
 
Wallah Jo Mil Jaaye Mere Gul Ka Paseena
Maage na Kabhi Itr Na Phir Chahe Dulhan Phool 
 
 Hadees No. 11
 
Hazrate Anas رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah  Chamakdar Rang wale the..Aap ka Paseena Motiyo(n) ki  tarah tha...chalte to Aisa lagta jaise Utar Rahe hai aur Aap ki Mubarak Hatheliya(n) mote aur Barik Resham se bhi zyada narm thi Mushq aur Amber mein bhi maine Huzoor  ki tarah mahak aur khushboo na paayi.
 
Muslim Jild 2 Safa 257
Mishkat Safa 516
 
Hadees No. 12
 
Hazrate Ammar Bin Yaasir ke pote Hazrate Abu Ubaida se marvi hai ki Maine Rubay'ia binte muabwah Bin Afra'a se guzarish ki ke Huzoor  ki shaan Bayan kijiye. to Unhone farmaya agar tum Rasoolullah  ko dekhte to aisa lagta hai jaise tum suraj ko nikalte huye dekh rahe ho .
 
Mishkat Safa 517
 
 Hadees No. 13
 
Hazrate Jaabir Bin Samurah  رضي الله عنه se Marvi Hai ki Rasoolullah  ne Irshad Farmaya ki  beshaq main Makkah Muazzama me us patthar ko khoob pahchanta hu jo ailane Nubuwwat se Qabl mujh ko salaam karta tha
 
Muslim Jild 2 Safa 245
 
Wo Kamaal E Husne Huzoor Hai ke Gumaa(n) Ne Naqs Jahan Nahin
Yahi Phool Khaar Se Door Hai Yahi Shamma Hai ke Dhuwaan Nahin
 
 Hadees No. 14
 
Hazrate Abuzar Gifaari  رضي الله عنه se marvi hai ki unhone Rasoolullah  se arz kiya ki Yaa Rasoolullah    aapne kaise jaana ke Aap Nabi hai Yahan tak ki Aap ko Yaqeen ho gaya to Huzoor   ne Farmaya ki ek baar Jab main Makkah Muazzama ke ek pathrile Ilaaqe me tha to do farishte aaye ek zameen ki taraf chala gaya aur dusra zameen wa aasmaan ke darmiyan raha to unme se ek ne dusre sathi se kaha kya ye wahi hai usne kaha Haan . inko ek aadmi se tolo main taula gaya pas main hi bhaari tha fir kaha 10 se tolo main 10 se taula gaya tab bhi main bhari tha fir kaha 100 se tolo main taula gaya ab bhi main bhari tha fir kaha 1000 se tolo to main taula gaya ab bhi main hi bhari tha aur main dekh raha hu ki Palla Halka Hone ki wajah se goya wo mere upar gire aa rahe hai to inme se ek farishte ne dusre se kaha agar tum inko inki puri Ummat se tolo tab bhi ye bhari honge.
 
Mishkat Safa 515
 
 Is Hadees se Malum Hua ki Rasoolullah   ki Zaahiri bashariyat aur hai Aur Aap ki haqeeqat kuch aur Ba-zahir dekhne me to Aap   Insano ki tarah qado kaamat aur wazan rakhte hai . aur Aap  ki Haqeeqat sari ummat par wazan ke aitebaar se bhi bhaari hai aur Aap  ki ummat kitni badi hai is baare me khud Khuda E Ta'ala ka irshad hai
 
 Humne Aap ko saare insano ki taraf Nabi wa Rasool bana kar bheja hai to jo dekhne me Insan wa Bashar mahsoos hota hai lekin uska wazan saare insano se kahi zyada ho iski haqeeqat ko Allah Ta'ala Ke alawa koun jaan sakta hai
 
Allah Ka Mahboob Ba-Zaahir To Bashar Hai
Jo Uski Haqeeqat Hai Khuda Hi ko Khabar Hai 
 
 Hadees No.15
 
Sahabi e Rasool Hazrate Abu Saeed  رضي الله عنه Farmate hai ki Main Masjid e nabawi me Namaz Padh raha tha to Rasoolullah   ne mujhe pukara maine Namaz ki wajah se jawab nahi diya jab baad me Haazire khidmat hua to Huzoor   ne Sabab arz kiya main Namaz Padh raha tha Huzoor   ne farmaya kya Allah Ta'ala ne Quran Shareef me ye nahi farmaya hai Jab Allah wa Rasool bulaye to Jawab do
 
Bukhari Jild 2 Safa 642 & 669
 
 Sahi Bukhari ki is hadees se waazeh ho gaya ki Namaz padhte waqt kisi baat ka jawab nahi diya ja Sakta aur na kisi ke bulane par Aaya jayega aur aisa karega to Namaz batil ho jayegi lekin Huzoor   ke bulane par Aana Zaruri hai aur Huzoor   ki shaan auro ke jaisi nahi hai aur Aapke misl koi Nahi.
 
 Aur Quraan shareef ki wo Aayat Jo Hazrat Abu Saeed رضي الله عنه ko nasihat farmate Huye Yaad dilayi jiska matlab hai Allah Wa Rasool Bulaye to Fauran Hazir ho jao .
 
Surah Anfaal Para 9 Ruku 17 Isme Allah Ta'ala ne Apne Naam ke sath Huzoor   ka Naam Milaya hai
 
Saabit  Hua Ke Jumla Faraaiz Furu'a Hai
Aslal Usool Bandagi Us Taajwar Ki Hai
 
 


No comments:

Post a Comment