Huzoor ﷺ Jaisa Koi Nahi ✔ Hadees No.1 Hazrate Abu Hurairah رضي الله عنه Se Marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne baghair kuch khaye piye Roze Se Roze
Milakar Rakhne se mana farmaya to ek Sahab ne Arz ki Yaa Rasoolullah ﷺ Aap to Is tarah Roze Rakhte hai to
Huzoor ﷺ ne irshad farmaya Tum Me
Mere Jaisa Koun Hai ?? Main to Is haal me Guzarta hu ki Mera
Rab Mujhe khilata hai , Pilata hai Bukhari Jild 1 Safa 263 Muslim Jild 1 Safa 351 Mishkaat Safa 175 ➡ Ye
Hadees Kuch Alfaaz Ki Tabdeeli ke Sath Bukhari Aur Muslim Me Hazrate Ayesha
Siddiqua , Hazrate Abdullah Ibne Umar , Hazrate Anas Bin Malik Aur Hazrate Abu
Hurairah رضي الله
عنهم In saare Hazraat se marvi hai Hazrate Anas رضي الله عنه Ka
bayan hai ki Huzoor ﷺ ne Farmaya ki main
tum me se kisi ki tarah nahi hu. Hazrate Ayesha رضي الله عنها Se
marvi hadees me hai Huzoor ﷺ ne Irshad Farmaya
meri shaan tumhari jaisi nahi hai. Hazrate Abdullah Ibne Umar رضي الله عنه ki riwayat me hai Huzoor ﷺ ne
farmaya Main Tumhare Jaisa nahi hu. Aur Mere Peero Murshid Huzoor Tajush Shariah ne
Farmaya Yaa Rasoolullah ﷺ Aap Jaisa Koi Ho Sakta Nahi Apni Har Khoobi Me Tanha Aap hai ✔ Hadees No.2 Hazrate Ali رضي الله عنه se marvi hai ki maine Rasoolullah ﷺ ke jaisa na pahle dekha na Aap ke Baad Tirmizi jild 2 safa 205 Mishkaat safa 517 ✔ Hadees No. 3 Hazrate Jaabir رضي الله عنه se marvi hai ki Masjide Nabawi ki chhat jab
Khuzoor ki shaakho se daali hui thi to Khutba Dete waqt Huzoor ﷺ khuzoor ke Ek Sutoon se tek lagaya karte the
Jab Aap ﷺ ke liye Mimbar banaya gaya to
Aap ﷺ us Par Jalwa Afroz hue to Maine
suna ke is khuzoor ke sutoon se ( Huzoor ﷺ ki judaai me) Oontni ke bilbilane
ki Jaisi Aawaz aa rahi hai Yahan Tak ke Huzoor ﷺ ne uske kareeb Jakar us par apna Daste
mubarak fera to wo khamosh ho gaya. Bukhari Jild 1 Safa 504 ✔Hadees No. 4 Hazrate Ayesha رضي الله عنها Farmati hai Maine Arz Kiya Yaa Rasoolullah ﷺ Aap witr ki Namaz Bagair padhe so jate hai to
Huzoor ﷺ ne Irshad Farmaya Aye Ayesha
Meri Aankh soti hai Mera Dil Nahi Sota. Bukhari Jild 1 Safa 504 Mustafa E Zaate Yakta Aap Hai Yak ne Jisko Yak Banaya Aap Hai ✔ Hadees No. 5 Hazrate Ka'ab Jung me Shirkat se Apne
rah jaane ka kissa bayaan karte huye farmate hai ki Jab Maine Huzoor ﷺ ko Salaam kiya aur Aap Ka chehra khushi se
damak Raha tha Aur Rasoolullah ﷺ khush
hote to Aap ﷺ ka chehra damakne
lagta jaise ke wo chaand ka tukda hai aur isse Hum Aap ﷺ ki khushi ko jaaan jate. Bukhari Jild 1 safa 502 ✔ Hadees No. 6 Hazrate Bara Ibne Aajib se Pucha gaya
kya Rasoolullah ﷺ ka
chehra Talwaar ki maanind chamakta tha unhone Farmaya Nahi Balqi chand ki tarah Bukhari Jild 1 Safa 502 ➡ Aur
Sahaba E Kiraam ka ye chaand se tashbeeh dena bhi sirf isliye tha ke
Insaano ki nazar me chaand sabse zyada chamakdar hai warna Rasoolullah ﷺ to
chaand se kahi zyada khoobsurat aur Haseen hai is baare me bhi Hadees me Hai.
Aur ye bhi kaha ja sakta chaand ki Khoobsurati Huzoor ﷺ ka hi
Sadqa Hai . Qadmo Me Jabee (n) ko Rahne Do Chehre Ka Tasawwur
Mushkil Hai Jab Chaand Se Roshan Edi Hai to Ruqsaar Ka Aalam
Kya Hoga ✔ Hadees No.7 Hazrate Bara Ibne Aajib Farmate hai
Maine Rasoolullah ﷺ se zyada khoobsurat kisi Cheez
Ko naa dekha Bukhari Jild 1 safa 502 ✔Hadees No. 8 Hazrate Abu Hurairah farmate hai
Maine Koi Cheez Rasoolullah ﷺ se
zyada Khoobsurat Haseen Wa jameel na dekhi. Aisa Lagta tha jaise Aap ke chehre
me suraj Gardish kar raha hai Tirmiji Jild 1 Safa 205 Jab Husn Tha Unka Jalwa Nooma Anwaar Ka Aalam Kya
hoga Har Koi Fidaa Hai Bin Dekhe To Deedar Ka Aalam Kya
Hoga ✔ Hadees No. 9 Hazrate Abu Hurairah رضي الله عنه farmate hai Logo ne Pucha Yaa
Rasoolullah ﷺ Aap Kab se Nabi Hai
? Rasoolullah ﷺ Farmaya
Aadam علیہ السلام ke Rooh Aur Jism Abhi Dono Alag
Alag the Yani Inke Jisme Me Rooh abhi Aayi bhi na thi . Tirmiji Jild 2 Safa 201 Mishkaat Safa 513 ▶Mere Peero
Murshid Huzoor Tajush Shariah Farmate hai .. Aabo Gil Mein Noor Ki Pehli Kiran Jaane Aadam Jaane Hawwa Aap Hain ✔ Hadees No. 10 Hazrate Umme Sulaim رضي الله عنها Se Marvi Hai ki Nabi E Kareem ﷺ unke yahan Tashreef laate the aur Unke ghar
Qailula farmate the ( Dophar me Aaram Farmate ) Huzoor ﷺ ko Paseena Bahot Aata tha to wo Huzoor ﷺ ka paseena Jamaa kar leti thi to Huzoor ﷺ ne farmaya Aye Umme Sulaim Ye kya karti ho ?
to Unhone Arz Kiya Yaa Rasoolullah ﷺ Aap
Ka paseena jise hum khushboo me daal dete hai aur Ye har Khushboo se umda
khushboo hai aur ek Riwayat me hai ki Umme Sulaim رضي الله عنها ne Arz Kiya Yaa Rasoolullah ﷺ Hum Apne Bacho ke liye isse Barkat ki Ummeed
Rakhte hai . Huzoor ﷺ ne Irshad Farmaya Tum thik
karti ho . Mishkaat Safa 517 ➡ Har
Insaan ka Paseena Badbudaar hota hai lekin Allah Ta'ala Ke Mahboob
Mustafa ﷺ ki Anokhi Shaan hai ki Aap ﷺ ka
Paseena bhi Har khushboo se badhkar khushudaar hai waqai Aap ﷺ Be-misaal
hai Aap ka koi jawab nahi Wallah Jo Mil Jaaye Mere Gul Ka Paseena Maage na Kabhi Itr Na Phir Chahe Dulhan Phool ✔ Hadees No. 11 Hazrate Anas رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ Chamakdar Rang wale the..Aap ka Paseena
Motiyo(n) ki tarah tha...chalte to Aisa lagta jaise Utar Rahe hai
aur Aap ki Mubarak Hatheliya(n) mote aur Barik Resham se bhi zyada narm thi
Mushq aur Amber mein bhi maine Huzoor ﷺ ki
tarah mahak aur khushboo na paayi. Muslim Jild 2 Safa 257 Mishkat Safa 516 ✔Hadees No. 12 Hazrate Ammar Bin Yaasir ke pote
Hazrate Abu Ubaida se marvi hai ki Maine Rubay'ia binte muabwah Bin Afra'a se
guzarish ki ke Huzoor ﷺ ki
shaan Bayan kijiye. to Unhone farmaya agar tum Rasoolullah ﷺ ko dekhte to aisa lagta hai jaise tum suraj
ko nikalte huye dekh rahe ho . Mishkat Safa 517 ✔ Hadees No. 13 Hazrate Jaabir Bin
Samurah رضي الله عنه se Marvi Hai ki
Rasoolullah ﷺ ne Irshad Farmaya
ki beshaq main Makkah Muazzama me us patthar ko khoob pahchanta hu
jo ailane Nubuwwat se Qabl mujh ko salaam karta tha Muslim Jild 2 Safa 245 Wo Kamaal E Husne Huzoor Hai ke Gumaa(n) Ne Naqs
Jahan Nahin Yahi Phool Khaar Se Door Hai Yahi Shamma Hai ke
Dhuwaan Nahin ✔ Hadees No. 14 Hazrate Abuzar Gifaari رضي الله عنه se marvi hai ki unhone Rasoolullah ﷺ se arz kiya ki Yaa Rasoolullah ﷺ aapne kaise jaana ke Aap Nabi hai Yahan
tak ki Aap ko Yaqeen ho gaya to Huzoor ﷺ ne
Farmaya ki ek baar Jab main Makkah Muazzama ke ek pathrile Ilaaqe me tha to do
farishte aaye ek zameen ki taraf chala gaya aur dusra zameen wa aasmaan ke
darmiyan raha to unme se ek ne dusre sathi se kaha kya ye wahi hai usne kaha
Haan . inko ek aadmi se tolo main taula gaya pas main hi bhaari tha fir kaha 10
se tolo main 10 se taula gaya tab bhi main bhari tha fir kaha 100 se tolo main
taula gaya ab bhi main bhari tha fir kaha 1000 se tolo to main taula gaya ab
bhi main hi bhari tha aur main dekh raha hu ki Palla Halka Hone ki wajah se
goya wo mere upar gire aa rahe hai to inme se ek farishte ne dusre se kaha agar
tum inko inki puri Ummat se tolo tab bhi ye bhari honge. Mishkat Safa 515 ➡ Is
Hadees se Malum Hua ki Rasoolullah ﷺ ki Zaahiri bashariyat
aur hai Aur Aap ki haqeeqat kuch aur Ba-zahir dekhne me to Aap ﷺ Insano
ki tarah qado kaamat aur wazan rakhte hai . aur Aap ﷺ ki
Haqeeqat sari ummat par wazan ke aitebaar se bhi bhaari hai aur Aap ﷺ ki
ummat kitni badi hai is baare me khud Khuda E Ta'ala ka irshad hai ➡ Humne
Aap ko saare insano ki taraf Nabi wa Rasool bana kar bheja hai to jo dekhne me
Insan wa Bashar mahsoos hota hai lekin uska wazan saare insano se kahi zyada ho
iski haqeeqat ko Allah Ta'ala Ke alawa koun jaan sakta hai Allah Ka Mahboob Ba-Zaahir To Bashar Hai Jo Uski Haqeeqat Hai Khuda Hi ko Khabar Hai ✔ Hadees No.15 Sahabi e Rasool Hazrate Abu
Saeed رضي الله عنه Farmate hai ki Main Masjid e
nabawi me Namaz Padh raha tha to Rasoolullah ﷺ ne mujhe pukara maine Namaz ki wajah se
jawab nahi diya jab baad me Haazire khidmat hua to Huzoor ﷺ ne Sabab arz kiya main Namaz Padh raha
tha Huzoor ﷺ ne farmaya kya Allah
Ta'ala ne Quran Shareef me ye nahi farmaya hai Jab Allah wa Rasool bulaye to
Jawab do Bukhari Jild 2 Safa 642 & 669 ➡ Sahi
Bukhari ki is hadees se waazeh ho gaya ki Namaz padhte waqt kisi baat ka jawab
nahi diya ja Sakta aur na kisi ke bulane par Aaya jayega aur aisa karega to
Namaz batil ho jayegi lekin Huzoor ﷺ ke bulane par Aana
Zaruri hai aur Huzoor ﷺ ki shaan auro ke
jaisi nahi hai aur Aapke misl koi Nahi. ➡ Aur
Quraan shareef ki wo Aayat Jo Hazrat Abu Saeed رضي الله عنه ko nasihat farmate Huye Yaad dilayi jiska matlab hai Allah Wa
Rasool Bulaye to Fauran Hazir ho jao . Surah Anfaal Para 9 Ruku 17 Isme Allah Ta'ala ne
Apne Naam ke sath Huzoor ﷺ ka Naam Milaya hai Saabit Hua Ke Jumla Faraaiz Furu'a Hai Aslal Usool Bandagi Us Taajwar Ki Hai
No comments:
Post a Comment