Tuesday, 1 March 2022

Huzoor ﷺ Zinda Hai




Huzoor  Wisaal Ke Baad Bhi Zinda Hai

 Hadees No.1

Hazrate Abu Darda رضي الله عنه Kahte hai ki Rasoolullah  ne irshad farmaya ke Jumma ke din mere upar Durood Shareef padha karo...ye haazri ka din hai is din Farishte Haazir hote hai aur jab koi mere upar Durood padhta hai to uska Durood mere upar pesh hote rehta hai jab tak wo padhta rehta hai . Hazrate Abu Darda رضي الله عنه ne Arz kiya  Aap ke duniya se rukhsat hone ke baad bhi to Rasoolullah   ne irshad farmaya beshak Allah Ta'ala ne zameen ke liye Haraam kar diya hai ki wo Ambiya Ke Jism ko khaye...Allah Ke Nabi Zinda Rehte hai aur unhe Rizq Diya jata hai .

Ibne Majah Safa 119
Mishkat Safa 121

 Ye Hadeese Pak Is aqeede ke liye Bilkul Sahih wa saaf hai ki Rasoolullah  ki hayate zaahiri aur baad wisaal ke kisi kism ka koi farq nahi hai

Momino Padhte Raho Tum Apne Aaqa par Durood
Hai Farishto (n) Ka Wazeefa Assalato Wassalam

Hadees No.2

Hazrate Ayesha Siddiqua رضي الله عنها Se marvi hai ki main is hujre jis me Rasoolullah ki Qabre Anwar hai yun hi nange sar aati jati thi ki ek qabr mere Shauhar ki hai Yani Rasoolullah   aur dusri qabr mere walid  ki hai Yaani Hazrate Abu Bakr Siddiqueرضي الله عنه  ki aur jab se isme Hazrate Umar رضي الله عنه  dafn kiye gaye  hai to main jab kabhi bhi main aati hu to sharm wa haya ki wajah se chadar khoob lapet kar aati hu.

Mishkat Safa 154

 Is Hadees Shareef se khoob wazeh ho gaya ki Hazrte Ayesha Siddiqua رضي الله عنها  ka Aqeeda yahi tha ki Khuda e Ta'ala ke Makhsus bande baad wisal apni qabro se aise dekh rahe hai jaise zindagi me mulahiza farmate the warna Rasoolullah   aur Hazrate Abu Bakr رضي الله عنها  ki Qabre  Anwar par Shohar aur walid hone ki bina par be pardah aana aur Hazrate Umar رضي الله عنه ke wahan dafn hone ke baad parde ke sath aane ka aur kya matlab hai ??

Tu Zinda Hai Wallah,Tu Zinda Hai Wallah
Meri Chashme Aalam Se Chhup Jaane Wale

 Hadees No.3

 Hazrate Abdullah Bin Umar رضی اللہ عنہ  se marvi hai ki Rasoolullah  ne irshad farmaya jisne Hajj kiya Aur Meri Qabr ki ziyarat ki to Wo aisa Hi hai jaise Usne Mujhko Duniyawi zindagi me dekha

Mishkat Safa 241

Hogi Shafa'at Uski Jisne Madeena Aa kar
Haan Ek Nazar Bhi Dekha Mere Nabi Ka Rouza

 Hadees No.4
Hazrate Abuzar Gifari  رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah  ne Meraaj ki shab aasmano me Hazrate Aadam , Hazrate Idrees , Hazrate Ibrahim , Hazrate Moosa , Hazrate Isaa علیہ السلام se Mulakat farmayi aur ye bhi Zikr kiya ke Unhone Hazrate Aadamعلیہ السلام se pahle Aasman Par aur Ibraheem علیہ السلام ko chhate(6th) Aasman par paya to Huzoor  jab Jibraeel علیہ السلام ke sath Hazrate Idrees علیہ السلام ke paas guzre to Unhone Huzoor  se farmaya ki mubarak ho safare Meraaj inko jo swaaleh Nabi hai Aur Swaaleh Bhai Hai  Fir Huzoor  Hazrate Moosa علیہ السلام ke paas se guzre to Hazrate Moosa علیہ السلام ne bhi isi tarah mubarak baad di Huzoor  ne pucha ye koun hai ? to Hazrate Jibraeel علیہ السلا  ne arz kiya Huzoor  ye Moosa علیہ السلام  Hai . Rasoolullah  ne farmaya fir main Hazrate Isaa علیہ السلام ke  paas se guzra to unhone bhi isi tarah mubarak baad di Maine kaha ye koun hai ? Bataya gaya ye Isaa علیہ السلام Hai Bete Mariyam ke , Fir main Hazrate Ibraheem علیہ السلام ke paas se guzra to unhone kaha mubarak baadi hai inke liye jo swaaleh Nabi aur Swaaleh Farzand hai maine kaha koun hai bataya gaya Ye Hazrate Ibraheem علیہ السلام hai

Muslim Jild 1 Safa 93
Mishkat Safa 529
Bukhari Jild 1 Safa 471

 Is Hadees Shareef ke ye alfaaz  Muslim Shareef se naql kiye gaye hai iske alawa is mafhoom ki Hadees yani shabe meraaj Huzoor   ka Ambiya e kiraam se mulakat dua wa salaam aur baatcheet aur mubarakbaadiya Bukhari aur Muslim Shareef Balqi takreeban sabhi ahadees ki kitabo me mukhtalif muqamaat par mukhtalif alfaz se marvi hai jisse khoob achi tarah sabit hota hai ki Ambiya e Kiraam baade wisaal bhi Apne jismo ke sath Zindah hai aur Zameeno Aasmano me jahan chahte hai rahte hai aate aur jaate hai Balqi is Hadees ke Aakhiri kalamat jo ikhtiyar ke peshe nazar Naql Nahi kiye inme Ye bhi hai ke  Hazrate Moosa علیہ السلام ke kehne par Baar Baar Huzoor   ne Rab Ta'ala se Namaz me aasani chahi aur wo 50 se 5 waqt ki hui . In Ahadees ko padhkar ye kehna ki Ambiya wa Awliya Maaz'Allah mar kar fanah ho gaye ya Bilkul Mit gaye ye Imaan walo Ki Boli Hargiz Nahi hai

Mile The Raah Me Nau Baar Kis LIye Moosa
Ye Deed e Haq Ka Bahana Huzoor Jante Hai

 Hadees No.5

Hazrate Abdullah Bin Abbas رضی اللہ عنہ se marvi hai ki Huzoor   ke sahaba me se ek sahabi ne ek jagah qabr par khaima laga liya aur unhe khabar na thi ki yahan qabr hai to unhe malum hua ki ye kisi ki qabr hai aur sahibe qabr Surah Mulq ki tilawat kar rahe hai yahan tak ki Unhone puri Surah Tilawat ki ye sahabi Huzoor  ki Khidat me haazir huye aur Arz ki Yaa Rasoolullah   maine bhool se ek qabr par khaima lagaya to Maine dekha ki qabr me jo sahab hai wo surah Mulq  tilawat kar rahe hai yahan tak unhone puri surah padhi

Tirmiji Jild 2 Safa 112
Mishkat safa 187

 Is Hadees Shareef Se malum hua ki Allah Ke Makhsus Bande apni Qabro me Hayaat hai aur wo Apni Qabro me Khuda E Ta'ala ki Ibadat aur Quraane Azeem ki tilawat bhi kar lete hai Yani Inki zindagi Duniya ki tarah hai

Zamee(n) Maili Nahi Hoti Zaman Maila Nahi Hota
Muhammed Ke Gulamo Ka Kafan Maila Nahi Hota

Hadees No.6

 Hazrate Abdullah Bin Abbas رضی اللہ عنہ  se marvi hai ki Rasoolullah   arzak ghaati se guzare Farmaya ye kounsi ghaati hai arz kiya gaya Arzak Farmaya goya ke Main Hazrate Moosa عليه السلام   ko dekh raha hu jo pahadi se niche utar rahe hai aur buland Awaaz se Izzo Inkesari ke sath Allah Ta'ala ke liye Hajj ki talbiyah padh rahe hai Fir Huzoor   Harsha pahadi par tashreef laye farmaya ye kounsa pahadi ka raasta hai arz kiya gaya iska Naam Harsha hai to Huzoor   ne farmaya ke main Mataa ke bete Hazrate Younus عليه لسلام ko ek purgosht surkh Oontni par dekh raha hu wo unka Jubbah pehne hue hai unki oontni ki muhaar khuzoor ki chhaal se bani hui hai aur wo Hajj ke liye talbiyah padh rahe hai

Muslim Jild 1 safa 94

 Yaani Jin Ambiya e kiraam ke wisaal ko kayi-kayi Hazaar Saal guzar chuke the inko Huzoor   ne Hajj ke liye Talbiyah padhte hue yani Hajj karte hue Mulahija Farmaya (Aankh Se dekha

Ambiya Ko Bhi Ajal Aani hai
Magar aisi ki Faqat Aani Hai

Phir Usi Aan Ke Baad Unki Hayaat
Misle Sabiq Wahi Jismani Hai

Ye Hai Hayye Abdi Inko Raza
Sidqe Wada Ki Qaza Mani hai

  Hadees No.7

Hazrate Jaabir رضي الله عنه se marvi hai ke jab Uhad ka maarka darpesh aaya to mere walid ne raat ko mujhe bulaya aur farmaya ki lagta hai ki subah ko jung me shaheed hone wale as'haab  me pehla main hunga aur Huzoor  ko chod kar baaqi logo me mere nazdeek sabse zyada mehboob tum ho Mere upar kuch karz hai isko adaa karna aur apni Behno ke sath nek sulooq karna Hazrate Jaabir رضی اللہ عنہ kehte hai ki jab subah jung hui to sabse pehle mere waalid shaheed hue maine unhe ek dusre ke sath qabr me dafn kar diya fir mujhko naa gawar maloom hua ki mere waalid kisi aur ke sath qabr me dafn ho to maine 6 maah ke baad qabr khod kar unhe nikala to wo aise nikle jaise aaj aur abhi-abhi dafn kiye gaye ho bas zara kaan mut'assir tha

Bukhari Jild 1 Safa 180

Is Hadees se ba-khoob  maloom hua ke Hazrate Jaabir رضی اللہ عنہ  ke waalid Abdullah 6 Maah guzarne ke baad bhi qabr me sahi wa saalim taro taza the. Lihaza ye kehna durust hai ki Khuda ke khaas bande Mout ke baad bhi zindah hai

Bukhari Jild 1 safa 178

Aashiqe Nabi Hu Main Waarise Ali Hu Main
Maila Hona Payega Hashr Tak Kafan Mera

Ke Main Gulame Khwaja hu Hind  Hai Watan Mera 🌴

 Hadees No.8

Hazrate Anas رضی اللہ عنہ riwayat karte hai ki Rasoolullah  ne irshad farmaya Insaan jab qabr me dafn kar diya jata hai aur log moodne lagte hai to wo in logo ke jooto ki aahat sunta hai

 Bukhari Jild 1 safa 178

 Hadees No. 9

Hazrate Abu Saeed Khudri رضی اللہ عنہ se marvi hai ki Rasoolullah  ne irshad farmaya ki jab janaza taiyaar ho jata hai aur log use kaandhe par uthate hai agar wo acha hai to kehta hai mujhe jald le chalo agar bura hai to ghar walo se kehta hai mujhko tum kaha liye ja rahe ho. Iski aawaz ko siwa insano ke sab sunte hai agar insaan sun le to behosh ho jaye

Bukhari Jild 1 Safa 176

Main Qabr Andheri Me Ghabraunga Jab Tanha
Imdad Meri Karne Aa Jana Mere Aaqa
Roshan Meri Turbat Ko Aye Noore Khuda Karna
Jab Waqte Naza'a Aaye Deedar Ataa Karna

Hadees No.10

Ibne Shahab ne kaha ki ye hai Rasoolullah   ke Gazwaat (ladaiyya) aur fir Gazwa e Badar ka zikr karte hue bataya ko Badar mein maare gaye kaafiro ki laasho se khitaab karte hue Rasoolullah  ne irshad farmaya kya tumne wo paa liya jiska tumhare Rab ne tumse saccha waada farmaya tha . Logo ne kaha Yaa Rasoolullah  kya Aap murdo se kalaam kar rahe hai ? Rasoolullah  ne irshad farmaya jo kuch main keh raha hu ye tumse zyada meri baat sun rahe hai

Bukhari Jild 2 safa 573

Hadees No. 11

Hazrate Ayesha Siddiqua رضي الله عنها   se riwayat hai ki unhone Rasoolullah   se pucha ke jab hum Qabro ki ziyarat kare to kya padhe ? Huzoor  ne irshad farmaya padho aye Momino aur Musalamano ke ghar walo tum par salaam ho Allah Ta'ala hamare pichle aur pehle walo par Rahem farmaye hum bhi ان شاء الله  tumse aakar milne wale hai

Mishkat Jild 1 safa 314

Qabr me Lahrayenge Jis Waqt Jalwe Noor Ke
Hum Padhenge Roohe Poor Anwaar Par Lakhon Salaam

Hadees No. 12

Hazrate Bureeda se marvi hai ki jab log qabro ki ziyarat ko jaate to Rasoolullah  unhe ye alfaz sikha dete

 Aye momino aur musalamano ke ghar walo tum par salamati ho In sha Allah hum bhi tum se zaroor milne wale hai Hum Allah Ta'ala se apne aur tumhare liye Aakhirat me azaab se salamati mangte hai

 In Ahadees Ko padh kar aap ko lagega ki Huzoor   ne qabro ki ziyarat ke waqt jo dua taleem farmayi hai uska tareeqa aisa hai jaise zindo se baat chit aur dua wa salaam karte hai aur manna padega ke marne ke baad insaan ek khaas qism ki zindagi ke sath zinda hai

Kaash Mehshar Mein Jab Unki Aamad Ho Aur
Bheje Sab Unko Shaukat Pe Lakhon Salaam

 Hadees No. 13

Hazrate Saeed Bin Abdul Azeez se marvi hai ki ayyame harrah me 3 din Masjide Nabawi shareef mein na Azaan hui aur na takbeer Hazrat Saeed masjid mein hi rahe aur unhe Namaz ke waqt ka pata ek gungunahat ki aawaz se chalta tha jo Rasoolullah  ki qabre Anwar se har Namaz ke waqt aati thi

Mishkat Babul karamat safa 545

 Ye Waqiya harrah 63 hijri ka wo bhayanak haadisah hai ki jab Yazeed paleet ne Muslim Bin Aqba ko ek lashkar dekar Madeene shareef par chadhai karayi aur shahare Rasool ko barbaad kiya beshumar mard wa aurat qatl kiye gaye aabru rezi bhi ki gai masjide Nabawi Shareef mein musalsal 3 din tak Azaan wa Jamaat na hui Mash'hoor tabayi Hazrate Saeed deewano ki tarah Masjid Shareef ke ek kone me rehte the Yazeedi fouz ne unhe pagal samajh kar chhor diya tha ye Azaan wa Namaz ke Waqt Rasoolullah ki qabre Anwar se gungunahat ki aawaz sunte aur usi par Namaz ada Karte

 Hadees No.14

Hazrate Ka'ab se riwayat hai ki Har din 70 hazaar farishte utarte hai aur wo Rasoolullah ki qabre Anwar ko gher lete hai...apne par biccha dete hai aur Rasoolullah par Durood shareef padhte rehte hai yahan tak ke jab shaam ho jati hai to wo chadh jaate hai aur inki tarah itne hi farishte aur utarte hai wo bhi isi tarah karte hai yahan tak ke Huzoor  jab Qabre Anwar se bahar tashreef layenge to 70 Hazaar farishto ke Zurmooth me jalwa farmayenge aur wo Farishte Aap  ko pahochayenge

Mishkat Babul Karamat safa 546

 Is Hadees ke peshe nazar Yaqeenan Rasoolullah  Qabre Anwar me Ba-kayeda baa hayaat hai isiliye to ye sab ehtamam farmaya jata hai warna jahan mitti ka dher ho waha farishte kyun aayenge

 Hadees No.15

Jab  Aap  ke shahzade Hazrate Ibraheem Ka wisaal hua to Huzoor  ne farmaya unke liye jannat mein ek doodh pilane wali muqarrar kar di gayi hai

Mishkat Safa 568

 Bachpan me intiqal karne ki wajah se jinhe Jannat me Doodh pilaya jata hai Unhe murdah kehna musalman ka kaam nahi hai

 Tabhi to Mere Aala Hazrat Azeeemaul Barkat Ash Shah Imam Ahmed Raza Farmate hai

Tu Zindah Hai Wallah Tu Zindah Hai Wallah
Meri Chasme Aalam Se Chhup Jane Wale

No comments:

Post a Comment