Wednesday, 13 November 2024

ALI MAULA

 



سم الله الرحمن الرحيم



♥ السلام عليك يا رسول الله ♥ ♥ السلام عليك يا حبيب الله ♥
Hazrat E HAZRAT ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ka Mukhtasar Tarruf Aur Aap ki Wiladat Ka Bayan
Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ki Wiladat Ailaan e Nabuwat k 10 Saal Kabl yaani Jab Huzoor Nabi E REHMAT صلى الله عليه وآله ki Umr Mubarak 30 Baras thi Tab Huwi.
13 Rajjabul Murajjab Baroz E Juma Ko Huwi.
Aap Ki Wiladat Khana E Kaaba Me Huwi.
Reference :
(Imam Hakim Al Mustadrak, Vol : 04, Pg : 611, Hadees : 6018)

Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه k Walidain Hazrat Abu Talib aur Walida Hazrat Fatima bint E Asad Radi Allaho Anha hai.
Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ka Naam “HAIDAR” unki walida ne Apne Walid Yaani Hazrat Ali k naam pe Haidar Rakha.
Hazrat Abu Talib ne aapka Naam “ALI” rakha.
Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه k Dusre Naam jaise
“ASADULLAH - ALLAH KA SHER” ,
“KARRAR - PALAT PALAT K HAMLA KARNE WAALA ”
“MURTAZA - CHUNA HUWA (SELECTED)”
“MAULA MUSHKIL KUSHA” ye aapke mashoor alkabat hai.
(Miratul Manajih Shara E Mishqat Al Masabih, Vol :8, Pg :412)
“ABU TURAB” aur “ABUL HASAN” ye aapki kunniyat hai.
Hazrat Usman Zunoorain رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه k Shahadat k baad Aap رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه khilafat k mansab pe kayam huwe aur 04 saal 09 mahina 08 din aap Masnad e Khilafat Par Rahe aur 17 ya 19 Ramzanul Mubarak ko Ibn Mulzim Kharji k haatho Aap رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه jakhmi huwe aur 21 Ramzan Sharif ko Aap رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ki sahadat Huwi.
References :
(Imam Ibn Aseer Asadul Gaba Fi Marifat E Sahaba, Vol : 04, Pg : 128,132)
(Imam Jalaludin Suyuti At Tarikhul Khulfa, Pg : 132)
(Shah Waliullah Muhadis Dahelvi , Al Izalatul Khafa’n Khilafatul Khulafa, Vol : 04, Pg : 405)
(Marifat E Sahaba, Vol : 01, Pg : 100)
HAZRAT ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ka Aankh Kholna Sabse Pahle Deedar E Mustafa صلى الله عليه وآله Karna Aur Maula E Kainat Ki PEHLI GIZA Hazrat Fatima bint E Asad Radi Allaho Anha farmati hai Jab Hazrat Ali Ki Paida Huwe To Huzoor ne Hazrat Ali ko Apni Jaban e Mubarak Chusne Ki Hazrat Ali ne Chusa Aur Neend Me Chale gaye phir Agla Din Aaya Humne Doodh Pilane K Liye ek Dai Ko Bulaya Aap Ne Dudh Na Piya Jab Ye Baat Nabi E Rehmat Ko Pata Chali Aap ne Dobara Aapne Waisa Hi Kiya Hazrat Ali Phir Neend me Chale Gaye Ye Maamla Chalta Raha Jab Tak ALLAH Taala Ne Chaha
(Seerat E Halbiya Vol : 01, Pg : 382)

HAZRAT ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ki Kunniyat Aur Alkabat Honourable Name
ABUL HASAN KUNNIYAT :
Nabi E KARIM صلى الله عليه وآله ki Sabse Chaheti Beti Hazrat Fatima Radi Allaho Anha, Hazrat Maula E Kainat Aliyul Murtaza
رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه k Saath Farmaya Aur Aapke Bade Bete Imam Hasan bin Ali ki Nisbat Se Aap Ko ‘ABUL HASAN’ Kaha Jaata Tha.
(Imam Jalaludin Suyuti Tareekul Khulfa, Pg :  132)
ABU TORAB KUNNIYAT :  
Hadees :
Hazrat Sahl Bin Saad رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه  Se Rivayat Hai
“Ek Din Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه  Hazrat Sayyada Kaynaat Radi Allaho Anha K Pass Gaye Aur Phir Masjid E Nabvi me Aake Let Gaye.
Jab Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه وآله Pahuche To Sayyada Kainat Se Pucha Ali Kaha Hai ?
Farmaya Masjid Gaye Hai. Nabi E Rehmat صلى الله عليه وآله Masjid E Nabvi Pahuche Aur Dekha To Hazrat Ali Wahi Lete The Aapki Chadar Hat Gayi Thi Jis Se Peet Mitthi Se Aaluda Hogayi.
Nabi E Karim Apne Hath Mubarak Se Unki Mitthi Jhadne Lage Aur 02 Baar Farmaya
قُمْ أَبَا تُرَابٍ، قُمْ أَبَا تُرَابٍ
‘AYE ABU TORAB utho ! AYE ABU TORAB Utho’
Reference :
(Sahi Bukhari, Vol : 01, Pg : 161, Kitab No 08, Kitabus Salat, Baab : Masjid Me Mard K Sone Ka Bayan, Hadees : 441 “English -Book No :08, Hadees : 90”)
Jab Nabi E Karim  صلى الله عليه وآله ne Maula E KAYNAAT ko ye Lakab se Pukara Uske baad se Hazrat Ali Ko Sabse Pasandida Naam Yehi hogaya.
Hazrat Aliyul Murtaza ko Sabse Pasand Naam ABU TORAB Hogaya
Hadees :
”Hazrat Sahl Bin Saad رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه  farmate Hai Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Ko Sabse Pasandida Naam ABU TORAB Tha Jab Bhi Hum Unhe ABU TORAB Kehke Bulate Wo Khush Hojate”
Reference :
(Sahi Bukhari, Vol : , Pg : , Kitab No 78, Kitabul Adab, Hadees : 6204 “English - Book No : 78, Hadees : 228”)
(Sahi Bukhari Hadees :6280, “English No : Book No 79, Hadees : 54”)
(Imam Bukhari Al Adabul Mufrad, Vol : 01 Pg : 440, Hadees : 852)
Isi trah se Aapka Ye Naam Abu Torab Mashoor huwa chunki Ye Naam Huzoor  صلى الله عليه وآله ne ata kiya tha isliye ab iske maane ko dekhe to iska matlab Hai "MITTHI WAALA" to yahan Maana MITTHI WAALA liya jayega Dusra ek maana hai “Mitthi k Baap - Father of Soil” to ab koi jaahil iska direct meaning le aur kahe k dekho dekho ALI Mithhi k baap hai Jabki ALLAH taala Ne to ASHRAFUL MAKHLOOKAT banaya hai to yakinan kaha jayga ye pagal insaan hai.
Ussi tarah bataur e Aazizi Ulma Fukaha Khud ko SAG kahte hai iska matlab ye nhi hota k wo hakikat k SAG hogye balki ye bataur e Aazizi aur inkesari hai k SAG ki wafadari AULIA se kitni azeem hai iska ek jhalak dekhna ho to bas yaha waha ki Kitab nhi warna kahenge k ye kisse kahani le aaye QURAN SURAH KAHAF 10 baar ek ek aayat gor se padhle samajh aajaye to kayamat tak kabhi SAG kehne pe aitraaz nahi karnge badmazhab. IN SHA ALAH TAA’LA HAZRAT ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Aur QURAN E KARIM
Hazrat Ali K Manakib o Fazail Me Allah Taala Ne Bahot Si Aayat E Quran e Karim me Nuzool ki hai aur sab yaha likh paana Mumkin hi nahi hai mai is talluk se kuch aayat e Karima Aur Hadees e Nabvi Alahimusalam bayan karunga.
Hadees :
Quran Ali K Saath Aur Ali Quran K Saath,
Is tarah ek aur hadees e paak me aaya
“Ali Aur Quran Hauz e Kausar Tak Ek Dusre Se Juda Nahi Honge Balki Saath Rahenge”
(Al Mustadrak lil Hakim, Vol : 04, Pg : 120, Hadees : 4604)
(Imam Tabrani ne ye hadees Hazrat Umme Salma Radi Allaho Anha Se nakl kiya)
(Imam Haythami As Sawaike Muharika, Pg : 421)
(Imam Suyuti Ne Jam Ul Jawame)

Quran :
01) Hazrat Abdullah Ibn Abbas Farmate Hai Quran E Karim Me Jis Jagah يا أَيُّهَا الَّذينَ آمَنوا
Hai Waha Samajh lena Chahye ki Hazrat Ali Unke Ameer Wa Sharif Hai. Allah Taala Ne Jaha bhi Ali Ka zikr farmaya Khair K Saath Farmaya Hai.
(Imam Suyuti Tarikhul Khulfa Pg : 258)  
02) لِنَجعَلَها لَكُم تَذكِرَةً وَتَعِيَها أُذُنٌ واعِيَةٌ
“Ki Usse Tumhare Liye Yaadgaar Kare Aur Usse Mehfooz Rakhe Woh Kaan Ki Sunkar Mehfooz Rakhta Ho”
(Surah No 69 Surah Haqqah Ayat 12)
Ye Aayat Jab Nazil Huwi To Nabi E Karim صلى الله عليه وآله ne farmaya “Maine Apne Rab Se Ali K Liye Sawal Kiya Ki Yaa Allah Ali Ko Naa Bhulne waali yaad dhast ata farma chunache Hazrat Ali Farmate k Dua K baad Maine Jo Kuch bhi Nabi E Karim صلى الله عليه وآله se Suna Wo yaad raha Phir kabhi naa bhula.
References :
(Imam Fakrudin Razi At Tafseer Ul Kabeer, Pg : 107 Is Aayat k tahet) (Tafseer E Hussaini Vol : 02, Pg : 566)
03) نَّما أَنتَ مُنذِرٌ ۖ وَلِكُلِّ قَومٍ هادٍ
“Tum To Dar Sunane Waale Ho Aur Har Kaum K Haadi”
(Surah No 13 Surah Radd Ayat 07)
Hazrat Abdullah ibn Abbas Farmate Hai jab Yeh Aayat e Karima Nazil Huwi To Nabi E Karim  صلى الله عليه وآله ne Apna Daste E Aqdas Apne Sine Mubarak me rakhkar farmaya Aye Ali Tu Haadi Hai Aur Mere Baad Raah Paane Waale Tujhse Raah Paynge Wilayat k Silsila Tujhse Jaari Honge Aur Ummat k Aulia Ulema Aur Gaus Aur Aftab Tujhse Faiz Paaynge”
(Tafseer E Kabeer Misri Al Zujuttase Ashar Pg : 14)
04)Is Tarah aur bhi Bahot si ayat hai Surah Baqrah Ayat 274,
الَّذينَ يُنفِقونَ أَموالَهُم بِاللَّيلِ وَالنَّهارِ سِرًّا وَعَلانِيَةً فَلَهُم أَجرُهُم عِندَ رَبِّهِم وَلا خَوفٌ عَلَيهِم وَلا هُم يَحزَنونَ
“Wo Jo Apne Maal Khairat Karte Hai Raat Me Aur Din Me Chupe Aur Jaahir Unke Liye Unka Inaam Hai Unko Naa Kuch Andesha Ho Na Kuch Gam”
(Surah Baqraah Ayat 274) Is aayat ki tashreeh Sakhawat E Ali k bayan me aaygi In Sha Allah Taala.

ILM O HIKMAT KA DARWAJA HAZRAT ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه
HAI
Hadees :
Hazrat Ali se rivayat hai Nabi E Karim صلى الله عليه وآله Ne Irshad Farmaya
أنا مدينة العلم وعلی بابها
“MAI ILM KA SHAHER HOON AUR ALI USKA DARWAJA ”
Reference :
(Imam Hakim AL Mustadrak, Vol : 04, Pg : 96, Hadees : 4613)
(Tabrani Aur Al Bazzaz ne Is Rivayat ko Hazrat Abdullah ibn Jaabir Radi Allaho Anho Se Rivayat ki)
Imam Jalaludin Suyuti AlaihiRehma Likhte Hai
YEH HADEES HASAN HAI jinhone Isko MAUZU kaha Unhone Galti Ki Hai.
(Tarikhul Khulfa Pg : 257)

Hadees :
Nabi E Karim صلى الله عليه وآله Ne Irshad Farmaya
‏ أَنَا دَارُ الْحِكْمَةِ وَعَلِيٌّ بَابُهَا ‏
“MAI HIKMAT KA GHAR HOON AUR ALI USKA DARWAJA”
Reference :
(Jamai Tirmizi, Vol : 05,Pg : 402, Kitab No : 49 Kitabul Manakib, Hadees : 4089, “English No : 3723)

Hadees :
Nabi E Karim صلى الله عليه وآله Ne Irshad Farmaya k MAI ILM KA SHAHER HOON Abu Baqr uski Bunyaad, Umar Uski Deewar, Usmaan Uski Chatth(Roof) Aur ALI USKA DARWAJA
(Imam Daylami Al Musnadul Firdaus, Vol : 01, Pg :43, Hadees: 108)

ILM E HAZRAT ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه QURAN K JAAHIR AUR BAATIN KA ILM
Aaj Aise Jaahil fitne mullah mauzood hai jo Wahabiat k thekedar bhi hai magar afsos dawa hai hum Ahle Hadees Hai magar aata kuch nahi wo Ilm E Baatin maante nahi kehte hai aisa koi ilm nahi hota ye tum Sufiyo ki gadi baatein hai Nauzubillah Ilm E Baatin us ilm ko kaha jaata hai jo aam awaam samajh nahi paati aur aksar galat maane leleti hai jaisa k aksar dekha jaata hai TAASAWUF ki kitabe wahabi dikhate hai samajhte nahi bas un kitabo ko shirk shirk chillate hai tumko samajh aata nahi to Shirk hogya. ALLAH Taala Akal de inko aaye dekhe
Ilm E Baatin Hadees E Bukhari
Hadees :
“Hazrat Abu Hurraira رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه  Farmate hai Maine Nabi E KARIM صلى الله عليه وآله se Ilm K 02 Katore ya pyale (Bowl) Haasil Kiye Ek Ilm Maine Tumko Bayan Kar Diya Aur Dusra Tumhe Batadu To Tum Usko Samajh Bhi Naa Pao Aur Meri Gardan (Neck) Talwar Se Maardo”
Reference : (Sahi Bukhari, Vol :01, Pg : 124, Kitab Ilm, Baab No 42 Hifzul Ilm,Hadees : 120)
Ye konsa ilm tha jo digar Sahaba Tabain ko to Abu Hurraira Radi Allaho Anho ne bayan kar diya aur dusra ilm jaahir naa kiya aur kaha samajh nahi paaoge meri gardan mardoge ye wohi ilm e baatin hai jo wahabdo ko samajhta nahi SHIRK ki Talwar chalate hai phir.
Hadees :
Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Tadees e Naemat k taur pe Farmate Hai “ALLAH ki Kasam Mai Quran Ki Har Aayat Har Aayat K Baare Me Jaanta Hoon Ki Wo Kab Aur Kaha Naazil Huwi Aur Beshak Mere Rab Ne Mujhe Samajhne Waala Dil Aur Suwal Karne waali Jaban Ata Farmayi”
Reference :
(Imam Abu Noem Al Hilyatul Aulia Vol :01 , Pg : 108)
Hadees :
Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه khud Farmate Hai “Agar Mai Chahu TO SURAH FATIHA ki Tafseer ko 70 Oont (Camel Se Bhar) Du”
References :
(Imam Muhammad Abu Talib Al Makki ‘386 Hizri Al Mutwaffa’ ne Apni Kitab Qut Al Quloob Vol : 01, Pg : 92)
Matlab k agar tafseer sirf aur sirf Surah Fatiha ki likhu to 70 Oont k pusht par kitab laadh du ye ilm hai MAULA E KAYNAAT ka.

“Hazrat Abdullah bin Masood رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Farmate Hai Beshak QURAN E MAZID 7 Huroof (yaani LUGATO) Par utra Hai aur Inme Se Har Hurf Ka Jahir Bhi Hai Aur Baatin Bhi Hai Aur
Hazrat Aliyul Murtaza Aise Aalim Hai JInhe ALLAH ne ILM E ZAJIH AUR BAATIN DONO ATA KIYA”
(Ibn Asakir Tarikh E Damishq Vol : 24, Pg :400)

SURAJ PALAT AAYA ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه KI KHATIR
Ye Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه وآله Ka Azeem Mozeza Hai Makam E  Khaybar k Karib Ek Jagah Hai “Manzile Sahbaa” waha ye mozeza wakay huwa
“Hazrat Bibi Asma bint E Umais Radi Allaho Anha Farmati Hai Khaybar k Karib Manzil E Sahbaa Me Huzoor Nabi E  Rehmat Namaz E Asr Padh Kar Hazrat Ali Ki Godh Me Jaake Sar Rakh Sogaye Aur Aap Par Nuzool E Wahi Hone lagi. Hazrat Ali Aaka k Sar E Aqdas ko Yuheen Liye Bethe Rahe.
Yaha Tak K Suraj Guroob Hogaya Aur Aap Nabi E Karim Ko ye baat Maloom Huwi k Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Ki Namaz E Asr Kaza Hogayi.
To Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه وآله Ne Ye Duwa Farmayi ‘Aye ALLAH Taa’la , Ali Tere Aur Tere Rasool صلى الله عليه وآله Ki Itaat Me Tha Lihaja Uske Liye Suraj Ko Palta De Taaki Ali Namaz E Asr Dobara Padh Le.
Hazrat Bibi Asma bint E Umais Radi Allaho Anha Farmati Maine Apni Aankho Se Dekha k Suraj Palat Aaya Yaha Tak k Pahado Ki Chotiyoo’n Par Aur Jameen k Har Taraf Dhoop Fael (spread) Gayi”
Reference
(Imam Abdul Bakir Zarkani, Vol : 04, Pg : 113)
(Shah Abdul Haq Muhadis Dahelvi, Al Madarijun Nabuwat, Vol : 02, Pg : 252)
(Huzzatullah Alal Alameen, Pg : 368)


Subahat : Ab Is Hadees K baare me Kuch hazrat jisme Imam Jauzi Hai unhone isko Mauzu kaha lekin ye hadees Sahi Hai aur baaj Muhadiseen ne isko SAHI Isnaad se Likha hai aur sabne Imam Jauzi Ka raddh kiya hai.
Ek Wo grp jo Tassubi jiska ilmi level 02 kitab tak ka nahi jaise aajke wahabi hai wo bina tehkeek lakeer k fakeer ye kehdenge k Ye hadees mauzu hai kyu awaal to tassub aur Shan E Nabi nahi hazam hoti dusra Imam Bukhari Ne Isko Bukhari me nahi likha isliye nahi manege.
Jawabat  : Ab yaha mai ispe zyada bahes nahi karta warna sirf is hadees pe ALHAMDULLILAH itna ilmi zakheera hai k ye fakir khud 50 se zyada page likh sakta hai.
Ek Ilmi Jawab - Imam Bukhari Ka kisi hadees ko bukhari sharif me naa likhna ye saabit nahi hota k wo hadees hi nahi Imam bukhari ko 4 lakh se zyada hadees yaad thi jinme EK Lakh to SAHI Isnaad yaad thi baaki 3 LAKH jo hai usme bhi sab jaef ya mauzu nahi balki hadees ki inke elawa bhi dusre darje hai jo acceptable hai wo bhi shamil hai.
Ab wo 1 LAKH me se jisme se sirf 7500 se thoda zyada Bukhari me jama ki usme agar Single karde to puri bukhari me sirf approximately 2300 hadees hai to baaki wo 97,500 hadees kaha hai ?
Kya sirf 2500 hadees padhke koi Muhadis hojayga ?
Un hadees ko dusre Muhadiseen ne apni kitabo me nakl kiya hai. Dusra ye kehna k Aisa mozeza mumkin nahi hosakta ye jahalat aur gumrahi hai ALLAH Taala ki shan e shan uske qudrat me hai k usne Ambiya Alaihumsalam ko wo mozeze diye hai jaise Hazrat Suleman Alaihi salam ko Hawa pe Pani pe hukumat di k unke isharo se Hawa chalti. Kya badmazhab ALLAH k diye Mozeze ko nahi maante hai ?
HAZRAT ALI NE SOKE DIKHLAYA RASOOL ALLAH صلى الله عليه و آله وسلم K BISTAR PAR
Ye Wakya Bahot Famous bhi hai aur bil ittefak izma hai jispe kisi ka inkaar nahi iske haq hone me chahe khwarijeen ho munafikeen ho Ahle Tasheeh Shia ho ya AHLE SUNNAT MASLAK E HAQ Ho Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم ko jab Hukm E Hizrat Huwa Aap صلى الله عليه و آله وسلم ne Apne Karabatdar ahle khaana aur deegar Sahaba ko Madeena E Munawara Bhej diya aur aakhir me Aap Ko SIDDIK E AKBAR k saath jaana tha Huzoor Nabi E KARIM صلى الله عليه و آله وسلم k pass kuffaro ki kuch amanat thi ye bhi kabil e gaur baat hai k wo Kuffar, Huzoor صلى الله عليه و آله وسلم par jab tak imaan nahi laaye par uske baad bhi apni amanat Huzoor Rehmat E AALAM صلى الله عليه و آله وسلم k pass rakh dete the.
Jab Kuffaro ko ye pata chala k Hizrat horhi hai aur Sab Musalmaan MADINA E MUNAWARA jaa pahuche waha MADINA E MUNAWARA K ANSAR se bhi samjhauta hogaya to Musalmano ko nayi riyasat aur power mil jayga lihaja unhone mansooba banaya k kisi tarah HUZOOR REHMAT E AALAM صلى الله عليه و آله وسلم ko Shaheed kiya jaaye jiske sazis kisne rachi kya masla tha ye sab padhe jarur padhe kyuki yaha kuch chehre bhi jaahir hojaynge.
KUFFARO BAATIL KI CONFERENCE :
“Kuffaro ki bahot badi conference DARUN NADWA me munakkid huwi aur ye aisa mansooba tha jisme kuffar e makkah k tamam danishmand aur ba asar (powerful) shaks mauzood the bilkhusus Abu Sufyan, Abu Jahel, Utba, Shaiba, Jabeer bin Mutain, Nazar bin Haaris, Abul Bukhtari,Juma bin Aswad,Hakim Bin Hizam, Ummaya bin Khalaf aur bhi deegar rasookdar kuffar e Makkah mauzood Sardaraane Kuraish Mauzood The.
Isi conference me SHAITAN E MALOON BHI KAMBHAL (Blanket) Oodhe EK BUZURG shaks ki SURAT Me Aaya jab logo ne pucha Kon ho ? To KAHA SHAIKH E NAZD HOON tumhare maamle me Apni Rai Pesh karne aaya Hoon taaki tumhare maamlaat me apni rai rakhne aaya hoon. Ye Sun Kuffaro ne usko bhi apni mazlis me shamil kiya aur guftgu planning shuru ki.
Kuffaro ne apne mashware shuru kiye lihaja Abul Bukhari ne kaha k Inko Kaid karlo kisi khotri me band kardo haath pair baandh do aur ek surakh se bas khana peena diya karo.
Is par Shaitan Mardood ne kaha nahi KHUDA KI KASAM agar aisa karoge to unke jaanisar kisi bhi tarah unhe dhund lenge aur unke liye apni jaan pe khel k unko qaid se nikal lenge.
Abul Aswad Rabi ibn Amr Aamiri ne mashwara diya k inko MAKKAH se nikal do is se hume Inki QURAN aur ISLAM Ki TABLEEG se rahat mil jaygi.
Is mashware se SHAITAN uspe baras padha aur bola agar tumne aisa kiya to HAZRAT MUHAMMAD صلى الله عليه و آله وسلم k kalam me itni mithas hai k wo pure arab ko suna suna k Musalman apna haami bana denge aur tum par phir ek aisa lashkar hamla karega jiske aage tum bach nahi paaoge tum Gulam banke reh jaoge isliye Watan se Nikalne ki baat hi naa karo.
Is tarah ek k baad ek mashware log dete gaye aur sabke mashware ko naa kabool kiya gaya bil aakhir Abu Jahel bola k mera ek mashwara hai log ab uske mashware ko sun ne lage.
Abu Jahel ne kaha HAR KABILE (Tribes) Se Ek Bahadur talwar leke uthe aur Sab Ek Saath Hamla Karde AUR HAZRAT MUHAMMAD KO KATL KARDE.  
IS SE HOGA YE K KISI EK KABILE PE ILZAAM NAHI AAYGA NAAM SABKA AAYGA AUR BANU HASHIM ME ITNI KUWWAT NAHI K AKELE TAMAM KABILE SE LADE.
ABU JAHEL ki ye tazweez sun SHAITAN khusi se Jhoom utha aur kaha is se accha mashwara koi ho hee nahi sakta.
Aur Is Tazweez pe unki Conference khatm hogayi aur ye Shaitani mansooba leke wo apne apne ghar chale gaye.
Reference :
(Seerat E Nabuwat Lil Ibn Hissham, Baab : Hizrat E RASOOL Vol : 01, Pg : 191 - 193)
aur bhi seerat k tamam kutoob me tarikh me ye wakya bil iktelaf mauzood hai.

Is Conference ka zikr ALLAH TAALA NE QURAN E KARIM ME BHI FARMAYA.
وَإِذ يَمكُرُ بِكَ الَّذينَ كَفَروا لِيُثبِتوكَ أَو يَقتُلوكَ أَو يُخرِجوكَ ۚ وَيَمكُرونَ وَيَمكُرُ اللَّهُ ۖ وَاللَّهُ خَيرُ الماكِرينَ
“Aur Aye MEHBOOB ! Yaad Kijiye Jis Wakt Kuffar Aapke Baare Me Khufiya Tadbeer Kar Rahe The ki Aapko Kaid Karde Ya Shaheed Karde Yaa Saher Badr karde Ye Log Khufiya Tadbeer Kar Rahe The Aur ALLAH khufiya Tadbeer Kar Raha Tha Aur ALLAH ki Poshida Tadbeer Sabse Behtar Hai”
(Surah 08 Surah Anfal Ayat 30)
ALLAH TAA’LA Ki KHUFIYA TADBEER KYA THI ?
Kuffar e Makkah Agarche Huzoor صلى الله عليه و آله وسلم K Bade Dushman the lekin uske baad bhi uhone apni amanat Huzoor Nabi E Karimصلى الله عليه و آله وسلم  k pass Rakhe the
“Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم Ne Hazrat Ali Se farmaya k Tum Meri Sabz Rang Ki Chadar Oodh k Mere Bistar Pe So Raho Aur Mere Chale Jaane K Baad Tum Ye Amanat Unke Maliko Ko Saunp ke Madina Chale Aana.
Hazrat Ali Jaante The k Kuffar Ne Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم k Katl ki sazis rachi hai aur apne Mansoobe pe wo amal karnge lekin chunki HUZOOR E AKRAM صلى الله عليه و آله وسلم ne ye farmaya k MERE JAANE K BAAD TUM MADINA AAJANA lihaja mujhe Yakeen tha k Mai Zinda Rahunga Aur Madina Jaunga.
Hazrat Ali ne aisi aaram ki neend aayi k wo sote rahe aur phir khud ek sher padha wo ye hai.
“MAINE APNI JAAN KO KHATRE ME DAAL KE US JAAT E GIRAMI KI HIFAZAT KI JO JAMEEN PAR CHALNE WAALE AUR KHANE E KAABA HATEEM E KAABA K TAWAAF KARNE WAALO ME SABSE BULAND MARTABA HAI”
ALLAH TAALA NE IN KHUFIYA TADBEER SE BACHA LIYA.
Reference :
(Imam Abdul Bakir Zarqani Shara E Al Muwahibul Laduniya Lil Zarqani Vol : 01, Pg : 322)
(Madarijun Nabuwat Vol : 02, Pg : 80)
(Seerat E Nabuwat Lil Hissham Vol :01 Pg :196 Baab : Hizrat E Rasool)
Aur bhi bahot si kutoob e seerat me ye rivayat hai yaha jo baat kabile gaur hai jo ye
Hazrat Ali Ko Huzoor صلى الله عليه و آله وسلم Ne Farmaya TUM MADINA CHALE AANA AUR HAZRAT ALI ka ye kahna Mujhe Yakeen tha mai jaunga ye kya hai ALLAH k Bande yehi to GAIB KA ILM HAI jo ALLAH k Nabi صلى الله عليه و آله وسلم ne HAZRAT ALI Ki ZINDAGI ki Jamanat leli warna aise bistar pe sona jaha Maut ka tasawur bilkul karib hai.
To Hazrat Ali ka bhi akeeda yehi tha k Huzoor صلى الله عليه و آله وسلم ko Gaib ka Ilm ALLAH Taala Ki Ata se Hai.

HAZRAT ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه  KO HUZOOR NABI E AKRAM صلى الله عليه و آله وسلم KA AZEEM TABARRUK
Ye Wakya Hai Jung E Khaibar k kabl ka Jab Jung Fateh nahi horhi thi us wakt Maula E Kaynaat k Aankho Me Bahot Takleef Thi
Hadees :
Hazrat Sahl Bin Saad Farmate Hai Rasool E Karim صلى الله عليه و آله وسلم  Ne Khaybar k Din Irshad Farmaya Kal Mai Ye Jhanda Aise Shaks Ko Dunga Jiske Haath ALLAH Taala Fateh Dega Woh ALLAH AUR USKE RASOOL صلى الله عليه و آله وسلم  se Muhabbat Rakhta Hai aur ALLAH AUR USKA RASOOL صلى الله عليه و آله وسلم  US Se Mohabbat Karte Hai
Agle Roz Subah Har Insaan Ye Ummid Rakhta Tha K Jhanda Us Se Diya Jayga.
Farmaya Ali ibn Abu Talib Kaha Hai ?
Logon Ne Arz Kiya Yaa Rasool ALLAH صلى الله عليه و آله وسلم  unki Aankhe Dukhti Hai.
Unhe Bulaya gaya HUZOOR NABI  E KARIM ne APNA LUAAB E MUBARAK Nikala Aur Hazrat Ali Ki aankho Me Lagaya wo aise theek hogaye Jaise pahle dard tha hi nahi aur Jhanda unhe de diya gaya.
Maula E Kaynaat ne Pucha YAA RASOOL ALLAH kya Mai unse us wakt tak ladu jab tak Musalmaan na hojaye ?
Farmaya Narmi Ekteyar Kar Jab Tak K Tum Unke Maidan Me Naa Utar Jaao Phir Unhe Islaam Ki Dawat Do Aur ALLAH k Jo Hukook Unpe Hai wo unhe Batao
Allah Ki Kasam Koi Ek Shaks Ko Bhi Tumhare Jariye Se Hidayat Mil Jaaye.
Ye Tumhare Liye Is baat se Accha Hai k Tumhare Paas Surkh Oont Ho”
References :
(Sahi Bukhari Vol : 05 Pg :170 , Kitab No 56 Kitabuz Jihad, Baab : باب فَضْلِ مَنْ أَسْلَمَ عَلَى يَدَيْهِ رَجُلٌ Hadees : 3009)
(Sahi Bukhari, Kitabul Magazi, Baab : Ghazwa E Khaibar, Hadees : 4210)
(Sahi Muslim Vol : 04, Pg : 210, Kitab No 44 Fazail E Sahaba RadiAllaho Taala Alaihim Azmain, Baab : Manakib E Ali ibn Abu Talib, Hadees : 2406, “English : Book 44 Hadees : 53)
Is Topic Jung E Khaybar ki tareekh k liye deegar kutoob e Seerat aur bhi bahot si kitab padhe to kaafi maloomat hogi
Ab Is Hadees E Paak Ko Padhe To Kaafi Cheez Isme Jaahir Hoti Hai
- Jung E Khaybar ek Azeem Marka tha Kaum e Yahud k khilaf jinhone gaddari ki aur baar baar muhaida toda In Sha ALLAH Taala wakt raha to Jung e Khaybar ka pura pasmanjar aur ispe Western Authors k objection ka mukammal jawab likhunga
Nabi e Karim Ne Sahaba k Lashkar ko bheja par jung fateh naa hoparhi hai thi lihaja aakhir me farmaya K Kal Uske Haath me Jhanda dunga jo jung Fateh kar dega ye gaib ki khabre thi isliye to bata diya k jo jhanda lega wo fateh kar dega koi ek sahabi ne ye nahi kaha k Ya Rasool ALLAH ye to aane waale future ki khabre hai Gaib ki baat hai AAP kaise bata rahe hai AAPKo to gaib ka ilm nahi hai balki Saare sahaba ka akeeda yehi tha jo ab Rehmat e AALAM ne kah diya to FATEH hona hai aur wohi shaks karega jiske haath Jhanda hoga ye gaib ki khabre thi jo Huzoor Nabi E Karim bayan kar rahe hai magar kuch aise badimag hai k unka ilaaz hi nahi hai wo kaum ko aaj ki khabar nahi kal ki khabar nahi me hi ladte rehte hai.

HAZRAT ALI KA KHAYBAAR FATEH KARNA Kuwwat E Haidari Ki Ek Jhalak
Hazrat Ali ka wo makam hai k Aap Ko ASADULLAH bhi kaha jaata hai yaani ALLAH KA SHER - LION OF ALLAH ab jahir si baat hai jo ALLAH ka SHER Hai uski kuwwat ka andaza koi laga hi nahi sakta
Akele PURA KHAYBAR UKHAD DAALA
“Ghazwa E khaybar me Ek Yahudi Ne Aap Pe Waar Kiya Aur Aapki Dhaal Gir Gayi. To Aap Aage Badhke Kile K Darwaje Tak Pahuch gaye Aur Apne Haatho Se Kile Ka Fatak Ukhad Diya Aur Darwaje Ko Dhal Bana Liya Wo Darwaja Aap K Haath Me Barabar Raha Aur Aap Ladte Rahe Yaha Tak K Allah Ne AAP Ke Haatho Khaybar Fateh kar diya .
Ye Darwaja Itna Wajan Tha k jung K baad 40 Aadmiyon ne Milke Uthana Chaha To Naa Utha Paaye”
(Imam Bayhaqi Dalailul Nabuwah, Vol :04, Pg : 212)
Aala Hazrat Farmate Hai
SHER E SHAMSHIR JAN SHAHE KHAYBAR SHIKAN
PAR TAWE DAST E QUDRAT PE LAAKHO SALAM

Luab (Thook Mubaraka) Aur Dua e Mustafa Ki Barkat
”Hazrat Ali Farmate Hai Nabi E Karim 
صلى الله عليه و آله وسلم Ka Luaab e Dahen Lagne K Baad Meri Aankhe Kabhi Naa Dukhi”
(Musnad E Ahmad Ibn Hambal, Vol : 01, Pg :151, Musnad E Ali ibn Abu Talib, Hadees :571)

“Hazrat Abdur Rehman Ibn Abi Laila Se rivayat hai k wo Hazrat Ali K Hamraah The To unhone Hazrat Ali Ko Dekha Wo Garmi Me garm kapde aur Sardi Me Sard Kapde pahente The Unhone Iska Sabab Pucha To Hazrat Ali Ne farmaya k jab Nabi E Karim ne APNA Luaab E Dahen Meri Aankho Me Lagaya To saath Me Ye Bhi Dua Farmayi AYE ALLAH ALI SE SARDI AUR GARMI KO DUR FARMADE. Us Din Se Mujhe Na garmi Lagti Aur Naa Hi Sardi”
(Sunan Ibn Majah Vol : 01, Pg : 83, Kitabal Mukaddama, Hadees : 121, English No Hadees : 117)

HAZRAT ALI KA KABR WAALO SE KALAM KARNA
Hazrat Ali Ki Shan ka Ek Azeem Pahlu Ye Bhi Hai k Aap ko ALLAH Taala Ne Wo Kuwwat Ata Ki Thi k Aap Jameen Me hote huwe kabr Waalo Se Kalam Karte The.
Mujadid Imam Abdul Rehman Jalaludin Suyuti AlaihiRehma nakl karte hai
“Hazrat Saeed Ibn Mussayab Farmate hai hum Ameerul Momineen Hazrat Ali k Hamraah The Hamara Guzar Kabristan k pass se huwa.
Hazrat Ali ne Kabr Waalo Ko Salam Kiya Farmaya AYE KABR WAALO TUM PAR SALAMTI HO AUR ALLAH KI REHMAT.
Aur Farmaya AYE KABR WAALO TUM APNI KHABAR Bataoge Ya Hum Tumhe Bataye.
Hazrat Saeed bin Mussayab Farmate Hai Humne Kabr Se Salam ka Jawab Suna aur Koi Kahne Waala Kah raha Tha K Aye Ameerul Momineen Aap Hi Bata Dijiye Hamare Marne K Baad Kya Huwa.
Hazrat Ali Ne Farmaya SUN LO tumhara MAAL Takseem hogya Tumhari biwiyo ne dusre Nikah Kar liye, tumhari aulaad yateemo me shamil hogayi,Jo ghar tumne bahot Mazboot Banaya Tha Usme Tumhare Dushman Aabad Hogaye.
Ab Tum Apna Haal Sunao !
Phir Kabr Se Awaaj aayi Aye Ameerul Momineen Hamare Kafan Fat K taar taar hogaye, hamari aankhe Bah kar rukhsaro pe aagayi, hamare baal jhad kar muntshir hogaye khal (skin) tukde tukde hogayi,
Hamari Naak Se Peep bah rahi hai aur hamne jo kuch kiya wo paaya aur jo piche choda usme nuksaan hai”
(Imam Ibn Asakir Al Tarikh E Damishq Vol :27, Pg :310)
(Imam Suyuti Ash Sharaus Sudoor, Pg : 201)
Isme Kuch chize pata chalti hai Hazrat Ali Ki Kuwwat e Samayi Sun Ne Ki Kuwwat aur Murdo k barzakhi halaat kaise hai aur hamare liye bhi bahot ibraat hai.
JAGA JEE LAGANE KI DUNYA NAHI HAI
YE IBRAT KI JAA HAI TAMASHA NAHI HAI

Huzoor E Akram صلى الله عليه وآله Ka FARMAAN ALI MERE BHAI HAI
Hadees :
”Hazrat Abdullah Ibn Umar رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه se rivyata Hai Jab Nabi E Karim صلى الله عليه وآله Ne Madina Munawara me Muhajireen Aur Ansar k darmiyan Bhai chara kayam farmaya.
To Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه is haal me Nabi E Karim صلى الله عليه وآله kay pass tashrif laaye k Aapke aankho se aansu jaari the Aapne Farmya YA RASOOL ALLAH aapne Sahaba k Kayam Bhaichara Farmaya Lekin Kisi ne Mujhe Bhai Naa Banaya.
Nabi E Karim صلى الله عليه وآله Ne Farmaya
أَنْتَ أَخِي فِي الدُّنْيَا وَالآخِرَةِ
Yaani Tum Dunya Aur Aakhirat Me Mere Bhai Ho”
References :
(Jamai Tirmizi Vol : 05, Pg : 401, Kitab No 49 kitabul Manakib, Hadees : 4086 “English Book No : 46, Hadees : 3720)

Is Hadees ki Shara Me Hakimul Ummat Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi Rahimullah Likhte Hai
“Yaani Tum Rishte Me Bhi Mere CHACHA JAAD BHAI ho Aur Ab is Akde Muaakhat Me Bhi Yani bhai chara Kayam karne me bhi Mere Bhai Ho.
Magar Khayal Rahe Kabhi Hazrat Ali Ne Huzoor Nabi E Karim Ko APNA BHAI KEH KAR NA PUKARA Jab Bhi Pukara Hai YA RASOOL ALLAH keh ke hi pukara Hai, To phir kisi Aire gaire Ko bhai kahke Pukarne Ka Haq Kaisa Hoga ? ”
References :
(Miratul Manajih Shara E Mishkat Ul Masabih, Vol : 08, Pg : 418)
HASAN HUSSAIN JANNATI NAWJAWANO K SARDAR HAI AUR ALI UNSE AFZAL HAI
Hadees :
  عَنِ ابْنِ عُمَرَ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ ـ صلى الله عليه وسلم ـ
‏ "‏ الْحَسَنُ وَالْحُسَيْنُ سَيِّدَا شَبَابِ أَهْلِ الْجَنَّةِ وَأَبُوهُمَا خَيْرٌ مِنْهُمَا ‏"‏ ‏.‏
Hazrat Abdullah Ibn Umar Se Rivayat Hai Rasool Allah Ne Farmaya “Hasan Aur Hussain Jannati Nawjawano k Sardar Hai Aur Unke walid Unse Afzal Hai”
(Sunan Ibn Majah Vol :01, Kitab No : 01, Kitab Al Mukadama Hadees : 123)

HAZRAT ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه  KO DEKHNA IBADAT HAI
Hadees :
“Hazrat Abdullah Ibn Masood رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه se rivyata Hai Nabi E Karim صلى الله عليه وآله Ne Irshad Farmaya ALI KO DEKHNA IBADAT HAI”
References :
(IMAM AL MUSTADRAK, Vol : 04, Pg : 118, Hadees : 4737)
HAZRAT ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Ba Misl Hazrat Haroon
Hazrat Saad رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Se Rivayat Hai k Rasool Allah صلى الله عليه وآله Ne Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Se Farmaya
Nabi E Karim صلى الله عليه وآله Jung E Tabook K Liye Jaane Lage to Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Bulaya Aur Madina Me Apna Khalifa Mukhatib Kiya, Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Ne Farmaya Kya Aap Mujhe Aurato Aur Baccho k Saath Chode Jaa Rahe Hai ?
Huzoor Nabi  E Karim صلى الله عليه وآله Ne Farmaya Kya Tum Is Baat Se Raazi Nahi Tum Mere Darbaar Me Wo Martaba Haasil Ho Jo Hazrat Haroon,Ko Darbaar E Hazrat Moosa k liye Me Tha Magar Ye K Mere Baad Koi Nabi Nahi”
References :
(Sahi Bukhari, Vol : Pg : Kitab No 64 Kitabul Magazi, Baab : Ghazwa E Tabook, Hadees : 4416)
(Sahi Muslim, Vol : Pg : Kitab No 44 Fazail E Sahaba, Baab : Min Fazail E Ali Ibn Abu Talib, Hadees : 2404)

Aur Bukhari Muslim ki Dusri rivayat Me
“Tum Mere Liye Aise Hi Ho Jaise Moosa K Nazdeek Haroon Ka Makam Tha Magar Ye K Mere Baad Koi Nabi Nahi”
Reference :
(Sahi Muslim, Vol : Pg : Kitab No 44 Fazail E Sahaba, Baab : Min Fazail E Ali Ibn Abu Talib, Hadees : 2404)
(Sahi Bukhari, Vol : Pg : Kitab No 62 Fazail E Ashabun Nabi, Baab : Manakib E Ali Ibn Abu Talib, Hadees : 3706)


Rasoolullah ﷺ Ki Maula ALI Radiallahu Anhu ko Quran Ki Tafseer Ki Khatir Jung Ki Basharat
Hadees 03:
"Hazrat Abu Saeed Khudri Radiallahu Anhu Se marvi hai wo farmate hai hum Nabi E Akram  kay intezar me bethe huwe they kay Aap Apni Ahliya Muhtarma (Hazrat Aisha
Siddiqua Radiallahu Anha) kay ghar se bahar tashreef laaye, To Aap Ka Jhoota (Shoes Mubarak) tut gaya aur Hazrat Ali Radiallahu Anhu uski marramat karne ki garz se piche reh gaye aur hum unke intezar me wahin thaher gaye, Nabi E Karim Ne Farmaya tum me se ek shaksh aisa bhi hai jo Quran E Karim ki tafseer kay liye qitaal karega (Jung karega) jaisa kay maine Quran E Muqaddas ki haqqaniyat ki khatir kaafiro se jung ki, Abu Saeed Khudri Radiallahu Anhu Farmate hai ye Sunke hum sab hasrat aur massarat se shauk me pad gaye kay wo khushnasib kaun hoga hamare saath Abu Baqr Siddique Aur Umar Ibn Khattab Rizwanullahim Azmayeen bhi they, Aap Ne Farmaya Nahi tum me se koi nahi balki is waqt wo shaksh mere Jhoota(Shoes) ka gaan't baand raha hai yaani Hazrat Ali Ibn Abu Talib Radiallahu Anhu, Abu Saeed Khudri Radiallahu anhu kahte hai ye sunke hum Maula Ali Radiallahu Anhu ko ye khushbari dene gaye aur unhe is baat ki khabar di, Sunne kay baad Hazrat Ali Radiallahu Anhu ne is tarah radde amal diya goya wo ye basharat pahle se hi jaante they"
(Imam Ahmad Ibn Hanbal Al Musnad Vol : 18, Pg : 296, Hadees : 11773) Shaykh Arnaut Ne Is hadees ki Sanad Ko Sahih qarar diya
(Imam Ahmad Musnad Ahmad ibn Hanbal. Vol. 17, Pg : 390, Hadees : 11289) Ye hadees bhi sahih hai iski sanad dusri hai
(Imam Ibn Abi Shayba Al-Musannaf Vol : 17, Pg : 105,Hadees : 32745)
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 03, Pg : 122-123)
Imam Bukhari Aur Imam Muslim Ki Shart par ye hadees Sahih hai Aur Imam Zahabi ne Talkhis me iski tashreeh ki hai isko sahih kaha hai. (Imam Abu Yaala Al Musnad Vol :02, Pg : 341 - 342, Hadees : 1086) Sanad Sahih (Imam ibn Hibban As Sahih Vol : 15, Pg:385, Hadees : 6937) Shaykh Arnaut Ne Imam Muslim ki shart par iski sanad ko sahih kaha (Imam Tahawi Sharh Mushkelul Athar Vol :10, Pg :237, Hadees :4058) Shaykh Arnaut ne iski rivayat bhi sahih qarar diya (Imam Bagawi Sharh Al-Sunnah Vol: 10, Pg : 232/233, Hadees : 2557)

Imam Dhahabi Rahmatullah Alaih Imam Ahmad ibn Hanbal Radiallahu Anhu Ki Rivayat naql karne kay baad likhte hai "Ali Ibn Abu Talib Radiallahu Anhu ne khawarij se jung ki ek wo giroh jinhone apni jahalat aur khud sakhta aql se Quran E Karim Ki tafseer ki"(Tarikh ul-Islam Wa Wafiyat Al-Mashahir Wa Al-A'lam Vol : 02, Pg : 366)

HAZRAT ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Hazrat Isaa Ki Munasabat 
Nabi E Karim صلى الله عليه وآله Ne Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Ko Mukhatib Karke Farmaya “Tum Me Hazrat Isaa Ki Misaal Hai Jinse Yahood Bugz Rakha Hatta K Unki Walida Mazida Ko Tohmat Lagayi Aur Unse Isayo Ne Muhabbat Ki To Unhe Us Darje Me” Pahaucha Diya Jo Unka Naa Tha.
Phir Hazrat Ali Ne Farmaya
“Meri Muhabbat Me 02 Kism K Log Halaak Honge Meri Muhabbat Me Ifraat Karne Waale Mujhe Un Sifaat Se Badhaynge Jo Mujh Me Nahi Aur Bugz Rakhne Waalo Ka Bugz Unhe Ispar Ubharenge Mujhe Bohtaan Lagaynge”
References :
(Musnad E Ahmad Ibn Hambal, Vol : 01, Pg : 336, Hadees : 1376)
(Musnad E Abu Yaala, Musnad E Ali bin Abu Talib, Vol : 01,Pg :247 Hadees : 530)
(Imam Ahmad Ibn Hanbal Fazail E Sahaba #952)
Hadees e Paak me Huzoor Nabi E Karim ne Gaib ki baatein bayan ki
Jisme Hazrat Ali ko Misl E Isaa Bayan huwa lihaja ye hona hi tha
Hazrat Isaa ko Maan ne waale kul 03 group hai
i) Yahudi - inlogo ne itni adawat ki k unki walida par bohtan bandh diya.
ii) Isai - Ye logone Hazrat Isaa se muhabbat aur unpe Imaan laane ka dawa kiya hai par muhabbat ko aisa follow kiya k Khuda Ka Beta hi maan liya.
iii) Musalmaan - Ummat E Muslima ne Hazrat Isaa ko unke makam aur maratib par maana yaani jo Sahi Maan ne ka haq hai.
Jis Tarah Hazrat Isaa k talluk se ye dono tabka halaak huwa usi tarah ab aaye Maula Ali ki taraf dekhe

Hazrat Ali k talluk se bhi So called Kalma Go Musalman me bhi giroh bane aur halak huwe  
i) SHIA RAFZI - inlogo ne bhi itna dawa e Muhabbat kiya k Hazrat Ali ko utna maana jo haq naa tha aur unki Muhabbat me dusre Sahaba par tabbara karte yaha tak aqaid rakhe k QURAN utarna Nauzubillah Ali pe tha utar gaya MaazALLAH Huzoor E Karim pe.
Astagfirullah.
ii) KHWARIJEEN - Munafik : ye adawat e ALI me itna gire k hosh tak naa raha k kisko Kafir bolte aaye Hazrat Ali ko mazboor kamzor samajhna unko Kaafir bolna goya unse adaawat me dub gaye ye dono tabka halaak huwa.
iii) YE MASLAK AHLE SUNNAH ka Tabka Haq hai jisne Maula E Kaynat ko unke mansab aur makam pe maana jo ALHAMDULLILAH Hum Ahle Sunnat Hai.
ye hai us hadees ka thoda sa khulasa ab ye hadees bhi wohi maanega jiska Aqeeda Imaan o K AAP HUZOOR ko ilme Gaib tha.
HAZRAT ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Ki Muhabbat Ka Takaza Baaj Aise bhi hai jo rafzi hai shia hai jinka daawa hai Hazrat Ali se muhabbat ka par unka haal kya kahe Hadees : "Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه farmate Hai Nabi E KARIM  k baad Sabse behtar Hazrat Abu Baqr Aur Hazrat Umar Radi Allaho Anhuma Azmain Hai Aur aage Farmaya MERI MUHABBAT AUR SHAIKHEN KARIMAIN (Abu Baqr Aur Umar) Ka Bugz Kisi Momin k Dil Me Jama Nahi Hosakta"
Reference : (Imam Tabrani Al Maj'mau Ausat Vol : 03, Pg : 79, Hadees : 3920) Goya Hazrat Ali Ne Khud Farma Diya k Mujhse Muhabbat Dawa jhuta hai jab tak Shaiken Ki Muhabbat Na Ho. In Sha ALLAH Taala Next Post Is se related hogi
Jisme Hazrat ALI KO MAULA KAHNA MUSHKIL KUSHA KAHNA Kaisa
aur is tarah k deegar aitraaz pe jawab
Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Ko “karam Allahu Wajhah Al karim” Kyu Kahte Hai ?
Aksar Aapne bhi dekha Hoga k Chand Jahil Wahabi Ispe Bhi bahes karte hai k tum Ahle Sunnah Sab Sahaba Radi Allaho Anha Azmain ko to Radi Allaho Anho Lagate Ho ParHazrat Aliyul Murtaza رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ko كرم الله وجهه kyu kahte Ho ? Halanki In badmazhabo k laundo ko pucho k Iska Matlab kya hota hai to saanp soong jaata hai lekin aitraaz to aisa karenge jaisa inse bada koi aalim hai ilm waala hai nahi. Alhamdullilah Imam E Ahle Sunnat Fazil e Barelvi Aala Hazrat Rahimullah ne iska jawab diya hai farmate hai
“Jab Quraish Mubtela E Qahet Huwe The To Huzoor Nabi E Rehmat  Hazrat Abu Talib k Takhfeef e Iyaal (Yaani Baal Baccho Ka Bhoj Kam Karne) k Liye Huzoor Maula E Kainaat Aliyul Murtaza Ko Apni Bargaah E Imaan Panah Me Le Aaye, Hazrat Ali Ne Sayyadur Rasool Nabi E Karim Ki Aagosh E Rehmat Me Parwarish Paayi, Aankh Khulte hi Huzoor Ki Jamal E Jahan Aara Dekha Huzoor Hi Ki Baatein Suni Aadat E Sikh’in To Jabse Is Janab E Irfaan Ko Hosh Aaya ALLAH KO EK JAANA EK MAANA Hargiz Hargiz BUTHO KI NAZASAT SE INKA DAMAAN NAAPAK NAA HUWA isliye Lakab E ‘KARIM’ Mila”
(AL Fatawa Razviya Vol : 28, Pg : 436)
MAI ALI SE HOON ALI MUJHSE HAI
Hadees 01:
عَنْ حُبْشِيِّ بْنِ جُنَادَةَ، قَالَ سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ ـ صلى الله عليه وسلم ـ يَقُول "‏ عَلِيٌّ مِنِّي وَأَنَا مِنْهُ ‏"‏ ‏.‏
“Hazrat Habshi Bin Jundaah رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Se Rivayat Hai k Unhone Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم ko Farmate Huwe Suna Ali Mujhse Hai Aur Mai Ali Se Hoon”
Reference :
(Sunan Ibn Majah, Vol : 01 , Kitabul Imaan, Hadees : 119)
Gair Mukallid k idara Darus Salam ne Is Hadees ko HASAN likha.

Hadees 02:
إِنَّ عَلِيًّا مِنِّي وَأَنَا مِنْهُ وَهُوَ وَلِيُّ كُلِّ مُؤْمِنٍ بَعْدِي
Hazrat Imran Bin Hussain رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Se Rivayat Hai k Huzoor Nabi E Karim ne Farmaya Beshak Ali Mujhse Hai Aur Mai Ali Se Hoon Mere Baad Har Momin Ka Wali Hai
Refernces :
(Jamai Tirmizi, Vol :05, Pg : 399, Kitab No 49 Kitabul Manakib, Hadees : 4077, English No - Vol : 01, Book No : 46, Hadees : 3712)
Hadees Hasan By Darusalam Idara E Wahabiya

Yaha Wali Se Kya Murad Hai
Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه Likhte Hai
“Yaaha Wali Baa Maana Khalifa Nahi Balki Baa Mana Dost Ya Baa Maana Madadgaar Hai.  Jaise Allah Taala Farmata Hai
إِنَّما وَلِيُّكُمُ اللَّهُ وَرَسولُهُ وَالَّذينَ آمَنُوا
Tumhare Dost Nahi Magar ALLAH aur Uska Rasool Aur Imaan Waale’
(Surah Maida Ayat 55)
Waha bhi WALI Baa Maana Madadgar Hai
Is Farman Se Do Masle Maloom Huwe Ek Yeh Musibat Me “Yaa Ali” Kahna Jaiz Hai Kyuki Sayyidna Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Har KAYAMAT TAK AANE WAALE HAR MOMIN K MADADGAAR HAI Dusra K AAPKO MAULA ALI KAHNA JAIZA HAI k Aap Har Musalmaan k MAULA AUR WALI HAI”
(Miratul Manajih Vol : 04, pg : 417)

Ab Yaha To Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ka Madadgaar Hona Saabit Huwa aur aage hum aur authentic dalil pesh karngge Ab Kuch Khwarji Munafik Kahte Hai k Tum Ahle Sunnah Wa Jamaat Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ko MUSHKIL KUSHA bolte ho Maula Bolte ho ye Sab Shirk hai Maula MUSHKIL KUSHA bas ALLAH hai.
Ye Wo jaahil khwarji hai jinka dawa hai k humne bahot kuch padha hai magar hote nire jaahil hai ab yaha wo dalail pesh kar raha hu jisme MAULA Kahna QURAN se saabit Hai.

QURAN Kya Kahta Hai Maula Kon ?
Ayat  01:
قُل لَن يُصيبَنا إِلّا ما كَتَبَ اللَّهُ لَنا هُوَ مَولانا ۚ وَعَلَى اللَّهِ فَليَتَوَكَّلِ المُؤمِنونَ
“Tum Farmao Hume Na Pahuchega Magar Jo Allah Ne Hamare Liye Likh Diya, Wo Hamara MAULA Hai, Aur Musalmano Ko Allah Hi Par Bharosa Chahye”
(Al Quran Surah 09 Tawbah Ayat : 51)
Ayat 02 :
بَلِ اللَّهُ مَولاكُم ۖ وَهُوَ خَيرُ النّاصِرينَ
“Beshak Allah Tumhara Maula Hai aur Sabse Badkar Madadgaar Hai”
(Surah Al Imraan Ayat 150)
In dono upar bayan karda ayat me padhe to pata chalega LAFZ MAULA Allah Taala ne apne liye farmaya k Mai MAULA hoon MAULA hona ALLAH Taala ki Sifaat Hai To wahabi yehi aayat pesh karte hai aur kehte milenge dekho MAULA ALLAH ki sifaat hai aapne bando ko MAULA maan Liya hai par laa ilmi muttala ki kami hai ab aaye dekhe aage Quran ki aayat bina dakar hazam kar jaate hai ab aage padhe Allah ne aur kisko MAULA banaya hai.
Ayat 03 :
ا عَلَيهِ فَإِنَّ اللَّهَ هُوَ مَولاهُ وَجِبريلُ وَصالِحُ المُؤمِنينَ ۖ وَالمَلائِكَةُ بَعدَ ذٰلِكَ ظَهيرٌ
“To Beshak ALLAH unka Madadgaar Hai Aur Jibril Aur Nek Imaan Waale Aur Iske Baad Farishte Madad Par Hai”
(Surah No 66 Surah Tahrim Ayat 04)
Is Aayat e Mubarika me ALLAH Taala ne Musalmano k liye Apne Bando Ko bhi Maula Kaha Hai Nek Imaan waale Zibril Alaihisalam bhi ab bataye kya NEK Imaan waalo me Hazrat Ali nahi hai ?
Kya Natiza niklega is aayat aur upar bayan karda 02 aayat ka Maane ye niklega k ALLAH Tabarakwatala Ka MAULA hona Uski apni SIFAAT jaati hai aur Bando Ka Maula Hona Allah Taala Ki Ata se hai.

Pata Chala Quran ki wo 03 aayat me MAULA ALLAH Hai aur Bando ko Bhi Maula bana diya Hai ALLAH Taala ne par Ab aaye Dekhe Quran me k ye badmazhab MAULA maante kyu nahi bando ko khud Ayat e Mubarika ne saaf saaf khol diya hai bas padhe aur aina dekh le hum tabseera nahi karnge yaha.
Ayat 04 :
ذٰلِكَ بِأَنَّ اللَّهَ مَولَى الَّذينَ آمَنوا وَأَنَّ الكافِرينَ لا مَولىٰ لَهُم
“Aur Isliye k Musalmano ka Maula Allah Hai Aur Kafiro ka Koi Maula Nahi”
(Al Quran Surah 47 Muhammad Ayat :11)
Samajh aagaya k MAULA unka nahi hai jo kaafir hai Imaan waalo k liye ALLAH bhi MAULA Hai Uske Salaheen bande Bhi Maula hai aur jinke pass imaan hi nahi hai unka koi Maula Nahi hai.
Likha to saaf hai bas padh k samajhne ki der hai.

Ab aaye dekhe LAFZ MAULA kaa maane Mufasireen ne kya likha hai
“Beshak Allah Unka Madadgaar Hai Aur Zibril Aur Nek Momineen Madadgaar Hai Aur Aur Iske Baad Farishte Madad Par Hai ”
(Al Quran Surah 66 At Tehrim Ayat : 04)
Is aayat ki Tafseer Me Imam Mahmood Aalusi Al Baghdadi Rahmatullah Alaih Likhte Hai
“Hazrat Asma bint E Umais Radi Allaho Anha Farmati Hai k Maine Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم Ko Ye kahte Huwe Suna SALIHOOL MOMINEEN se Murad Hazrat Ali Hai aur Is Tarah Rivayat Hazrat Abu Zafar se hai Jab Ye Aayat E Karima Nazil Huwi To Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم Ne Hazrat Ali Kaa Haath Pakad K Irshaad Farmaya AYE LOGO HAZRAT ALI SALIHOOL MOMINEEN HAI”
Reference :
(Tafseer E Ruhool Mu’aani Vol :28, Pg : 482 Under Surah Tehrim Ayat 04)

Mufasireen k Nazdik Lafz MAULA ka kya maana Huwa
muttatid tafseer k hawale diya jaa sakte hai jinhone MAULA kaa maane Madadgaar likhe hai yaha hum chand hawale dete hai  
“Is aayat e mubaraka me Warid Lafz MAULA k Maane me WALI aur NAASIR (yaani Madadgaar) Likhe Hai”
References :
(01 : Tafseer E Tabri Vol : 12, Pg : 154)
(02 : Tafseer E Qurtabi Vol :18 Pg : 143)
(03: Tafseer E Kabir Vol : 10, Pg : 570)
(04: Tafseer E Bhagwi Vol :04, Pg :337)
(05 :Tafseer E Khazin Vol : 04, Pg : 286)
(06 : Tafseer E Nasfi Pg : 1257)
Aur wo 04 Tafseer jinme Lafz Maula K Maane Madadgaar kiye hai.
(07: Tafseer E Jalalain Pg : 465 )
(08 : Tafseer E Ruhool Muani Vol :28,Pg:481)
(09 :Tafseer E Baizawi Vol :05, Pg :356)
(10 :Tafseer e Abi Sood Vol : 05 Pg : 738)

Ek SUBAHAT : Kaum e Badmazhab khwarijeen ki hamesha koshish hoti hai awaam ko shak o subahat me mubtela karne ki lihaja sawal pe sawal kar logo ko apni makkari farebkari me uljhate hai to ye bhi ek Sawal karte hai
TUM SIRF HAZRAT ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه  KO HI MAULA KYU KAHTE HO ? Hazrat Abu Baqr,Umar,Usmaan Radi Allaho Anhuma Azmain ko MAULA kyu Nahi kahte ?  
Ye Sawal Ka Jawab bhi ab Hadees e Nabvi  Se Farmaan e Nabi Se De Rahe hai

HAZRAT ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه KO MAULA KAHNA KAISA ?

JISKA MAI MAULA USKA ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه MAULA
Hadees  03:
Hazrat Shuaba Bin Kuhayl رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Se Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Abu Tufail رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Se Suna Ki Abu Sareeha رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه  Ya Zayd Bin Arqam رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Se Marwi Hai (Hazrat Shuaba Ko Raawi Ke Mut’alliq Shak Hai) Ki Huzoor Nabi E Akram Ne Farmaya :
مَنْ كُنْتُ مَوْلاَهُ فَعَلِيٌّ مَوْلاَهُ ‎
Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Ali Mawla Hai.”
References:
(Jamai Tirmizi ,Vol :05, Pg : 398, Kitab No 49 Kitabul Manakib, Hadees : 4078 “English No : 3713)
Is Hadees Ko Beshumar Muhadiseen ne Apni apni kutoob e hadees me alag alag isnaad thode alfazo k badlawa k saath likha magar ye sabne nakl kiya hai agar sirf hawale dene lag jaaye to 50 se zyada hawala diye jaa sakte hai yaha chand hawala mulahiza kare.
(Imam Nasai Al Khasais E Ali Ibn Abu Talib Pg :44, Hadees : 33)
(Imam Hakim Al Mustadrak ,Vol :03, Pg : 34, Hadees : 4652)
(Imam Tabrani Al Mujam Ul Kabir, Vol : 12, Pg : 470, Hadees : 12593)
(Imam Tabrani Al Mujam Ul Ausat, Vol : 01, Pg :229, Hadees : 348)
(Imam Tabrani Jamee Us Sageer Vol : 01, Pg :171)
(Imam Ahmad Ibn Hambal Al Musnad, Vol : 01, Pg : 570, Hadees : 959)
(Imam Abdul Razzaq Al Musannaf Vol : 11,Pg :225, Hadees :20238)
(Al Musannaf Ibn Abi Shayba Vol : 06, Pg : 602, Hadees : 32072)
(Imam Ibn Asim As Sunnah Vol :02, Pg :602, Hadees :1354)
(Imam Shashi Al Musnad Vol : 01, Pg :165, Hadees :106)
(Imam Hussamul Hindi Al Kanjul Ummal Vol : 11, Pg :602, Hadees :32904)
(Imam Ibn Aseer Usadul Ghabah Fi Marifat E Sahaba Vol : 04, Pg : 103)
(Allama Ibn Kathir Al Bidayah Wan Nihayah Vol : 04, Pg : 169)
(Imam Zahbi Siyar An Nabula Vol : 02, Pg : 623)
(Gair Mukallid k Sabse Bade Muhadis Shaykh Albani ne
Silsila Al Hadees As Sahih Vol : 04, Pg : 331, Hadees : 1750)
kul 16 hawale diye hai aur bhi bahot hai magar itna hi kafi hai.
Mufti Ahmad Yaar Khan Naemi Is Hadees K tahet farmate hai
“Maula K bahot maane hai Dost, Madadgaar, Aazad Shuda Gulam, (Gulam Ko Aazad Karne Waala).
Is Hadees Me Baa Maana Khalifa Ya Badshah nahi balki Baa Maana Dost Ya Madadgaar Aur Wakayi Hazrat Sayyidna Aliyul Murtaza Musalmano k Dost Bhi Hai aur Madadgaar Bhi isliye Aapko MAULA ALI Kahte hai.”
(Miratul Manazih Vol : 08 Pg :425 )

To pata chala Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ko MAULA humne nahi banaya balki khud Nabi E KARIM ne MAULA kaha hai to ye sawal hamse nahi khud Nabi E KARIM  se tumhara hai k kyu Hazrat ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه  ko hi MAULA kaha hai.
Tum to Kahte Ho K MAULA bas ALLAH Taala hai banda nahi hosakta kya Nabi Khud SHIRK ki taalim denge.
Yaha Nabi E Karim ne wajeh kaha Jiska MAI MAULA USKA ALI MAULA ab jo log Nabi ko Hee Maula Nahi maan rahe hai bhala wo ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه  ko kaisa maanege.
Pata Chala Maula wo maanega jo Nabi ko bhi maane ab tum khud soch lo k tum kaha ho kon ho ? Hum kya tafseera kare ab sab to mirror ki tarah saaf hai bas chahre dekhlo bura lage to chehra saaf karo Aine ko gaali deke koi matlab nai hai .
ALLAH hamari awaam ko inse bachaye aur inko imaan ki daulat de.

Subahat : Ab Yaha Jab ye pesh karo to Ek Subahat laate hai wahabi K MAULA US WAKT KAHA GAYA JAB ZINDA THE AB NAHI KAH SAKTE ?
Al Jawab : Awaal to ye k Maula Ali Shaheed Hai jo aakhir me mai Shahadat ka bayan likhunga  aur Shohda k baare me Khud QURAN ka Ailaan hai
“Aur Jo Log Allag Ki Raah Me Qatl Kiye Jaayen Unhe Hargiz Murda Guman Mat Karo, Balki Wo Zinda Hai Aur Rizk Diye Jaate Hai".
(Al Quran : Surah Al-Imran, ayat : 169)
To tumhare Murda Gumaan karne pe bhi pabandi hai.
Dusri Baat Kya Tum ZINDA Ko ALLAH SHARIK maante ho ? jo Zinda pe Tauheed hojata hai faut shuda pe SHIRK ?
Un Tamam Raavi muhadiseen ne Hadees likhi Imaam Nasai ne puri kitab hi MAULA ALI k fazail Manakib pe likhi hai KHASAIS E ALI IBN ABU TALIB kya sab wo sab ko nahi pata tha k ab FAUT SHUDA ko MAULA nahi keh sakte ? Kya Sab Mushrik Hogaye The MAULA maan k likh ke ?
Aaj 1400 saal baad tum Google k followers ko ye baat pata chali hai k ab Maula Nahi keh sakte ? Kitni Munafikat karoge ? Aur aage to tumhari munafikat khwarjiyat ka saboot bhi aayga.
HAZRAT ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه KO MUSHKIL KUSHA KAHNA KAISA ?
Aal e Rasool Sayyad Shah Muhammad Gaus Gwaliyari Rahimullah Al Mutwaffa 956 Hizri yaani aaj se bhi 500 saal purane buzurg hai us wakt AHMAD RAZA Khan Barelvi Rahimullah paida bhi nahi huwe the
Hazrat Sayyad Gaus Gwaliyari Rahimullah Ek jalilul Qadr Buzurg Sufiya e Kiram me Hai inki Kitab “JAWAHIR E KHAMSA” Jo zikr o Wazaif Me bahot motebar maani jaati hai bade bade Sufiya Auliya Se leke Muhadiseen tak inki kitab me Mauzood Wazaif ki izazat aur sanad dete the unki kitab “JAWAHIR E KHAMSA” is kitab me unhone EK Duwa likhi hai Jisko DUA E SAIFI bhi kahte hai Aur Naad E Ali bhi kya likhte hai. Dua E Saifi :
07 Baar Ya 03 Baar Ya 01 Baar Naad e Ali padhe aur wo ye hai Tarjuma : \“Hazrat ALI KO PUKAR JO Azaib K Mazhar Hain, Unhe Tamam Musibat Me Apna Madadgaar Payga, Har Ranz O Gam Dur Hojayga, Aap Karmallahu wajhohal karim Ki WILAYAT SE YAA ALI, YAA ALI, YAA ALI” (Jawahir E Khamsa ‘Mutarzim’ Pg : 282, 453) Ab Hosakta hai yaha ye shak o subahat wahabi awaam me daalte k ye to sufiya hai inki kitab ko nahi maante hum koi naa koi bahana har wakt ye karte hai bhagne ka. Mai Sufiya ka gulam hoke ab tumko Muhadiseen ki sanad dikhata hoon wo bhi koi aise waise nahi jinpe khud tumhara me’aar sabse zyada hai jinko tum AHLE HADEES apni jamaat ka banane me lage ho lekin tumhare aur unke aqaid me dur dur tak koi mel jol nahi hai wo Azeem Muhadiss Hai SHAH WALIYULLAH MUHADDIS E DAHELVI Rahmatullah Alaih wo khud is wazaif dua ko padte the yaha tak k iski sanad baa’nte bhi the. Rasail E Shah Waliullah Rahimullah 03 Risala Ek Saath Aata Hai 1. Al-Qaul al-Jamil (القول الجميل في بيان سواء السبيل) 2. Al-Intibah Fi Salasil-i Aulia Allah (الانتباه في سلاسل اولياء الله) 3. Al-Durr al-Thamin (الدر الثمين في مبشرات النبي الامين صل الله عليه وسلم) Isme Risala No 02 Al Intibaah Fi Salalsil E Auliya Allah Pg : 186

Scan page Niche Hai

Maulana Abu Tahir Madni ,Peer Maulana Ibrahim kurdi, Maulana Ahmad Khushashi, Maulana Ahmad Shanavi ye Shah Waliullah k ustaad unke shagird aur silsila phir sab kya MUSHRIK Hogye Maula Ali ko Mushkil Kusha Maanke ? agar Haa to ab fatwa release karo Mushrik Hone Ka Shah Sahab pe ? Mazhar E Zaat E Habib e Kibriya Ban Gaye
Tang Dasti Me Dast E Khuda Ban Gaye
Umr Mushkil Me Rehke Guzari Magr
Saari Dunya K Mushkil Kusha Ban Gaye.

Jaise k Hum Ahle Sunnat Pe Ek Aitraaz karte hai ye Munafik Khabees k Tum Ali ka itna tazkeera kyu karte ho aur yaha tak k Wahabi Gair mukkalid k allama Dhaher tauseef kehte hai k ALI MUSHKIL KUSHA hai pata nahi Konsi Bala Hai Astagfirullah
Ab Sawal ye hai k inko itna bugz E Ali Hai Kyu ? tabseera baad me
Pahle wo bhi jawab khud Farmaan e Rasool se aur Sahaba Ki Jabaan se sunle kyu hai bugz Ali Se aur Buzg e Ali Tazkeera E Ali se nafrat kin khabeeso ko hai. Nishaniya saamne hai bas padho aur dekho.

BUZG E ALI MUNAFIKAT KI NISHANI HAI
Hadees 04:
Abu Sa'eed Khudri رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Farmate Hai|
"Hum Ansaar k logo k nazdeek Hazrat E Ali Ibn Abu Talib Se Bughz Rakhna Munafikaat Ki Alamat Thi Is Se Hum Munafik Ko Pahchan Lete The”
Reference :
(Jamai Tirmizi, Vol :06, Pg : 390,  Kitab No 49, Kitabul Manakib, Hadees : 4082 ‘English No : Vol : 01,Book No :46, Hadees :3717’)

Hadees 05:

“Hazrat Zirr Bin Hubaish رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Riwayat Karte Hain Ki Hazrat Ali Karram Allahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Ne Farmaya :


Qasam Hai Us Zaat Kee Jis Ne Daana Cheera Aur Jis Ne Jaandaaron Ko Paida Kiya !

Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه و آله وسلم Ne Mujh Se Ahad Faramaya Tha Ki Mujh Se Sirf Momin Muhabbat Rakhega Aur Sirf Munafiq Hee Mujh Se Bughz Rakhega.”
References : Ye Hadees Sahi Hai
(Sahi Muslim, Vol : 01, Kitab No 01 Kitabul Imaan,Baab : Hazrat Ali Aur Ansaar Se Muhabbat Karna Imaan ki Alamat Hai unse Bugz Karna Munafikat Ki Alamat Hai,Hadees : 78 “English No Book 01, Hadees : 146 OR 141)
(Imam Abu Yaala Al Musnad Vol :01, Pg : 250, Hadees : 291)
(Imam ibn Abi Asim As Sunnah Vol : 02, Pg :598)
(Imam Bazzar Al Musnad Vol : 02, Pg : 182, Hadees : 560)

Hadees 06: 
Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه و آله وسلم Ne Mujh Se Ahad Farmaya :
(Aye Ali!) Tujh Se Momin Hee Muhabbat Rakhega Aur Tujh Se Munafiq Hee Bughz Rakhega.
References :
(Imam Nasai , As Sunan Nasai Vol : Pg : Kitab No 47 Kitabul Imaan Wa Sharya (sign), Baab : Alamatal Imaan, Hadees : 5018 & 5022 “English - Vol :06 Book 47 Hadees : 5021 & 5025)
(Imam Tirmizi Jamai Tirmizi, Vol : Pg : Kitab No 49 Kitabul Manakib, Hadees : 4101 ‘English  Hadees No: 3736)
(Sunan Ibn Majah Vol : 01, Pg : Kitab Al Mukaddamah, Hadees : 119 “English No : 114)
(Imam Abu Yaala Al Musnad Vol :01, Pg : 347, Hadees :445)

Hadees 07:
Hazrat Umme Salama RadiyAllahu Ta’ala Anha Se Riwayat Hai Ki Rasoolullah صلى الله عليه و آله وسلم Farmaya Karte They :

Koi Munafiq ,Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Se Muhabbat Nahin Karta Aur Koi Momin Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Se Bughz Nahin Rakhta.”
References :
(Jamai Tirmizi Vol : 05, Pg : 635, Kitab No 49 Kitabul Manakib, Hadees : 4083 ‘English  Hadees No: 3717)
Aage Imam Tirmizi Likhte Hai Ye Hadees Hasan Hai.

(Abu Yaala Al Musnad, Vol : 12 Pg:362, Hadees:6931)
(Imam Tabrani Al Mujam Al Kabir Hadees : 886)
In Hadees E Sahi Se Maloom Huwa k Buzg E Ali Radi Allaho Anho Jisme Ho Samajh lo wo Munafik Hai Sahaba E Kiram Radi Allaho Anhumazmain ka bhi maamoor ye tha k Munafikat pehchan Zikr E Ali Radi Allaho Anho Se Karte The.
Ab Samajhlo Aakhir In kharjio ko Buzg E Ali Kyu Hai.
Hazrat Mufti Ahmad Yaar Khan Naemi Rahimullah Taala Likhte Hai
“Muhabbat E ALIYUL Murtaza Asl E Imaan Hai, Haa Muhabbat Me Nazaiz Hadh Se Badhana Bura Hai Magar Adawat E Ali Asl Se Hi Haraam Balki Kufr Hai”
Reference :
(Miratul Manazih Shara E Mishkat Al Masabih Vol : 08,Pg : 424)

JISNE ALI KO GAALI DI USNE MUJHE GAALI DI
Hadees :
“Hazrat Abi Abdullah Jadali Kahte Hain Ki Mein Umm-ul-Momeenin Hazrat Umm-E-Salma RadiyAllahu Ta’ala Anha Kee Khidmat Me Haazir Huwa To Aap Ne Mujh Se Puchha Kya Rasool Allah   Ko Gaali Dee Jaa Sakti Hai ?
Mein Ne Kaha :
Sub’hanAllah Ya Kaha Ki Allah Us Se Panaah De To Aap Ne Farmaya Mein Ne Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم Ko Farmate Huwe Suna Hai Ki Jo Ali Ko Gaali Deta Hai Woh Mujhe Gaali Deta Hai.”
Reference :
(Imam Nasai Al Khasais E Ali Ibn Abu Talib Pg : 96, Hadees : 99)

Pata chala k Maula Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ko Takleef Dena Aapki Shan e Aqdas Me Nukta Chini karna ye Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم ko Takleef Dene Ka sabab bhi hai.

HAZRAT ALI KI SHAHADAT KI SHOHRAT AUR ILM E GAIB E NABVI صلى الله عليه و آله وسلم
Hadees :
“Hazrat Ammar bin Yaasar Farmate hai Mai Aur Hazrat Ali Ghazwa E Jil Ushairah me The K Nabi E Rehmat صلى الله عليه و آله وسلم Ne Farmaya Kya Mai Tumko Un 02 Shaks K Baare Me Khabar Naa Du Jo Logo Me Sabse Badhbakt hai ?
Humne Arz Kiya Kyu Nahi Yaa RASOOL ALLAH صلى الله عليه و آله وسلم
Nabi صلى الله عليه و آله وسلم Ne Farmaya
i) Kaum E Samood Ka Wo Shaks (yaani Kaadar Bin Salif) Jisne Allah K Nabi Hazrat Saleh AlaihiSalam ki Mukaddas Oontni Ki Mubarak Taange Kaati Thi aur ii) AYE ALI WO SHAKS JO TUMHARE SAR PAR TALWAAR MAARKE TUMHARI DAADI KHOON SE SURKH KAR DEGA”
References :
(Musnad E Ahmad Ibn Hambal Vol :06, Pg :360,Hadees :18341)
Aaj Jahil log Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم k Ilm Pe Ungli Uthate Hai k ye nahi pata wo nahi pata tha unko padh k sabak lena chahye Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم Ne Pahli hi bayan Farma diya tha k Ali ko Sarpe Waar Kar Shaheed Kiya jaayga hatta k Aap ki Dadi Mubarak bhi khoon se laal hojaygi. Ab Andaza lagaye Hizri 40 me Aapka wisal Huwa Hai aur Huzoor صلى الله عليه و آله وسلم ne pahle Hi ye Bayan kar diya ye bhi kahdete k Sirf Shaheed Honge lekin Dushman Kis Jagah Waar Karega ye Bhi Huzoor صلى الله عليه و آله وسلم Ne bayan kar Diya Nabi E Karim  صلى الله عليه و آله وسلم ki Nigaah aur ALLAH ka Ata karda Gaib ki baatein Aapne Jahir ki Dushman Talwaar to Piche se Peeth pe chala sakta hai, teer se Hamla kar sakta hai pet me khanjar maar sakta hai par Subhan ALLAH dekhe kya Farmya TALWAAR MAREGA WO BHI SAR PE bata diya kaha marega kis jagah hamla karega kis cheez se hamla karega ye bhi bata diya ab bhi na samajhta Gaib ka Ilm to kya kare inka.

In Sha Allah Taala Agar Wakt Mila To Maula Ali Radi Allaho Anho Ka Kharjio se jo jung huwi aur ye badhbakt kon tha jisne Aap par Hamla Kiya Kyu kiya

No comments:

Post a Comment