Friday, 13 August 2021

TAUHEED SHIRK

 

Tauheed
Tauheed


Tauheed ke Meaning:


ALLAH TA’ALA ki Zaat-e-paak ko uski zaat o siffaat main shareek se
Paak maanna, Yaani jesa ALLAH TA’ALA hai, wesa hum kisi ko ALLAH
TA’ALA na maanen, agar koiALLAH TA’ALA k hote huwe, kisi dusre ko
ALLAH TA’ALA Tassawwur karta hai, to woh Zaat-e-Bari TA’ALA main Shirk
karta hai..



SHIRK kise kehte hain:


ALLAMA Taftaazaani (Rehmatullah) apni kitaab Sharah Aqaid-e-Nasfiyah
main Shirk ki Taareef is tarah farmate hain,
” Kisi ko Shareek therane se murad yehhai k, Majoosiyon ki tarah kisi
ko Khuda aur Waajib ul Wajood samjha jae, ya But Paraston ki tarah
kisi ko ALLAH k siwa Ibadat k laek samjha hae”
SHIRK ki taareef se maaloom huwa k 2 Khudaon k Maanne waale jese,
Majoosi(AAG PARAST), mushrik hain, isi tarah ALLAH k siwae Ibadat k
laek samajhne waala Mushrik hoga..
E.g Jese But Parast jo Buton ko mustahik-E-ibadat samajhte hain..



SHIRK ki QISMEN (types or Kinds):

Shirk ki 3 qismen (types or kinds) hain,

1) Shirk-FiL-IBADAT

2) Shirk-Fiz-ZAAT

3) Shirk-Fis-SIFFAAT




1) Shirk-FiL-IBADAT :

Is se murad hai, k ALLAH TA’ALA k ilawa kisi aur zaat ko Ibadat k
Laeksamjha jae..

2) Shirk-Fiz-ZAAT:
Is se murad hai k kisi zaat ko ALLAHTA’ALA jesa maanna, jesa k Majoosi
2 khuda ko maante the..


3) Shirk-Fis-SIFFAAT:
Kisi Zaat o shakhsiyat wagera mainALLAH TA’ALA jesi Siffaat maanna
(ALLAH TA’ALA ki Ata k bager), SHIRK-FIS-SIFFAAT kehlata hai..
SHETAAN SHIRK-FIS-SIFFAT ki haqeeqt ko samajhne se rokta hai, aur
yahaan Ummat main wiswisay peda karta hai.. ab main aap ko QURA’AN ki
Aayat k zariye SHIRK-FIS-SIFFAAT samjhata hun.. Gor se parhiya ga


1) * ALLAH TA’ALA RAOUF AUR RAHEEM HAI:
Tarjuma: “Beshak ALLAH TA’ALA Logon par RAOUF AUR RAHEEM hai”.
(Surah Bakara, Aayat 143)
* SARKAR (ALEH SALAAM) Bhi RAOUF AurRAHEEM hain:
Tarjuma: “Beshak tumhare pas tashreef lae, tum main se woh Rasool jin
par tumhara Mushkat parna, Giraan(bhari) hai, tumhari Bhalai k nihayat
chahne waale, Mominon par RAOUF AUR RAHEEM hain”.
(Surah Toba, Ayat 128, Para 10)



NOTE: Pehli Aayat par Gor karen to sawaal peda hota hai k RAOUUF aur
RAHEEM,ALLAH TA’ALA ki Siffat hain, phir Dusri Aayat main Huzoor (Aleh
Salaam) ko RAOUFaur RAHEEM farmaya gaya , to kiya yeh SHIRK hogaya????
Is main Tatbee yun Qaem hogi, k ALLAH TA’ALA haqeeqi tor par RAOUF aur
RAHEEMhai, jab k Huzoor (Aleh Salaam), ALLAH TA’ALA ki Ata se RAOUF
aur RAHEEM hain, Lihaza jahaan Zaati aur Ataai ka Faraq waazeh hojae,
wahaan SHIRK ka Hukum nahin lagta.


2) * ILM-E-GAIB, ALLAH TA’ALA K SIWA KISI K PASS NAHIN:
Tarjuma: “Tum farmao ALLAH k siwa Gaib nahin jante, jo koi Aasmanon
aur zameenon main hai”.
(Surah Namal, Aayat 65, Parah 20)


* RASOOLON KO BHI ILM-E-GAIB ATA KIYA GAYA :
Tarjuma: “Gaib ka jaanne wala, apne Gaib par sirf apne Pasandeeda
RASOOLON hi ko Aagah farmata hai, har kisi ko Yeh ILM nahin deta”.
(Surah JIN, Aayat 26/27, Parah 29)


NOTE: Pehli Aayat se saabit huwa k ILM-E-GAIB ALLAH TA’ALA ki Siffat
hai, magar Dusri Aayat se maaloom huwa k ILM-E-GAIB, ALLAH TA’ALA ne
apne pasandeedaRASOOLON ko bhi Ata kiya hai, to kiya yeh SHIRK
hogaya??
Is ki Tatbee yun Qaem hogi k ALLAH TA’ALA ZAATI tor par AALIM-E-GAIB
hai, jab kALLAH TA’ALA k tamaam RASOOLON ko ALLAH TA’ALA ki Ata se
ILM-E-GAIB par Aagahi haasil hai, Lihaza jahaan ZAATI aur ATAAI ka
faraqwaazeh hojae, wahaanSHIRK ka hukum nahin lagta.


3) * MADADGAAR SIRF ALLAH TA’ALA HAI:
Tarjuma: “Yeh is liya k Musalmaanon ka madadgaar ALLAH hai”
(Surah Muhammad, Aayat 11, Parah 26)
* JIBRAEL (ALEH SALAAM) AUR OLIYA-E-KARAM BHI MADADGAAR HAIN:
Tarjuma: “Beshak ALLAH un ka madadgaar hai, aur Jibrael, aur Naik
Momineen madadgaar hain”.
(Surah Tehreem, Aayat 4, Parah 28)
NOTE: Pehli Aayat par Gor karen to yehSawaal peda hoga, k Madad karna
ALLAH TA’ALA ki siffat hai, phir dusri Aayat main Hazrat Jibrael (Aleh
Salaam) aur Oliya-E-Karam ko madadgaar farmaya, to kiya yeh SHIRK
huwa???
Is main Tatbee yun Qaem hogi, k ALLAH Haqeeqi madadgaar hai, Aur
Jibrael (Aleh Salaam), aur Oliya-E-Karam, ALLAH TA’ALA ki Ata se
madadgaar hain, jo Zaat-E-Baari TA’ALA Ata farma rahi hai, us main aur
jis ko Ata kiya ja raha hai, un Hazraat main barabri ka Tassawwur bhi
nahin kiya jasakta, aur jab barabri nahin to SHIRK kahaan se hoga?? 4)
* Bager ALLAH TA’ALA ki Ijazat k kon hai jo SHAFA’AT Kare:
Tarjuma: “Kon hai jo Shafa’at kare bager Izn-E-KUDAWANDI k”. (Suarh
Bakarah, AaytalKursi, Parah 3)


* HAZRAT EESAA (Aleh Salaam) ka ALLAH TA’ALA k hukum se Shifa dena:
Tarjuma: “Aur main Acha karta hun Andhay aur Korhi ko, aur Murday
zinda karta hun, ALLAH k hukum se”.
(Surah Al-Imran, Aayat 49, Para 3)


NOTE: Pehli Aayat se maaloom huwa kBager ALLAH TA’ALA ki Ata k kisi k
liye Shafa’at ka Aqeedah rakhna SHIRK hai magar ALLAH TA’ALA ki Ata se
Shifa’at ka Aqeedah rakhna “TAUHEED” hai, isi tarah dusri Aayat se
maaloom huwa, kmurdon ko chalana, shifa dena, yeh ALLAH TA’ALA ki
Siffaat hain, magar ALLAH TA’ALA kisi ko ata karden, to ALLAH k
khazane main koi kami nahin, Lihaza Ahle-ALLAH k muta’alliq yeh
Aqeedah rakhna k woh ALLAH TA’ALA ki Ata se murdon ko chala sakte
hain, yeh SHIRK nahin hai, Q k ZAATI aur Ataai kaam baraabar nahin
hosakte, aur jab Baraabari nahin to SHIRK b na huwa.
Aur ALHAMDULILLAH, AHL-E-SUNNAT (BARELVI, AHL-E-HAQ) ka bhi yahi
Aqeedah hai. 


5) * ALLAH TA’ALA jise Chahe Aulaad de:
Tarjuma: ” ALLAH jise chahay Betiyan Ata farmae, aur Jise chahay Betay de”.
(Surah Shooraa, Aayat 49, Parah 25)
* HAZRAT JIBRAEL (Aleh Salaam) ne kaha main tujhe Beta dun:
Tarjuma: “(Hazrat Jibrael (Aleh Salaam) ne BIBI MARYUM se kaha)
Kahamain tere RAB ka Bheja huwa hun, Taa k main tjhe ek Suthra Beta
dun”
(Surah Mariyum, Aayat 19, Parah 16)


NOTE: Pehli Aayat main hai, k Aulaad sirf ALLAH TA’ALA Ata farmata
hai, magar is k Bar’aqs HAZRAT JIBRAEL (Aleh SALAAM), Hazrat Mariyum
se farmate hain, k main tujhe ek suthra beta dun, to kiya yeh SHIRK
hogaya???
Is main Tatbee yun Qaem hogi, K ALLAH TA’ALA khud Aulaad Ata
farmatahai, aur JIBRAEL (Aleh Salaam), ALLAH TA’ALA ki Ata se BIBI
MARIYUM ko Beta de Rahe hain, Lihaza in Aayat main Barabri ka koi
Pehlu nahin, Q k ZAATI aur ATAAI barabar nahin hosakte, Jab barabri
nahin paai gai, to SHIRK b na huwa. 


6) * ALLAH TA’ALA Mout deta hai:
Tarjuma: ” ALLAH jaanon ko Mout deta hai”.
(Surah Zamr, Aayat 42, Parah 24)
* Tumhen MOUT deta hai, MOUT ka farishta:
Tarjuma: “Tum farmao, tumhen WAFAAT deta hai MOUT ka FARISHTA, jotum
par Muqarrar hai”.
(Surah Sajda, Aayat 11, Parah 21)


NOTE: Pehli Aayat main hai k, ALAH TA’ALA, MOUT deta hai, magar is k
Bar’Aqs, Dusri Aayat main hai k, Tumhen MOUT ka Farishta MOUT deta
hai, to Kiya yeh SHIRK hogaya????
Is main Tatbee yun Qaem hogi k ALLAHTA’ALA, MOUT dene main kisi ka
Mohtaaj nahin, magar Malakul MOUT (Farishtay) ROOH Qabz karne main
ALLAH k hukum k mohtaaj hain, Lihaza Is main Bhi Barabari nahin Paai
gai, to jab Barabari nahin, Is liye SHIRK b na huwa.



7) * ALLAH TA’ALA Zinda hai:
Tarjuma: “ALLAH hai jis k siwa kisi ki Puja nahin ki jaati, Aap
Zindah, Auronka Qaem rakhne Waale”
(Aaytal Kursi)
* Banday bhi Zinda hain:
ALLAH TA’ALA ki Hayaat (zinda hone par) par to hum sab ka Eemaan hai,
aur jin logon ko ALLAH TA’ALA ne Siffat-e-Hayaat di hai, woh sab is
Siffat k Haamil hain, Pas hum ne apne liye bhi Hayaat ki Sifat ko
Jaana, aur ALLAH TA’ALA k Liye bhi Sifat-e-Hayaat ko maana, is ki
wajah yeh hai k jo Hayaat hum ALLAH TA’ALA k Liye maante hain, woh
Hayaat na hum apne liye maante hain, aur na kisi aur k liye, Q k ALLAH
TA’ALA humen Zindagi dene waala hai, ALLAH TA’ALA ko koi Hayaat dene
waala nahin, Hamari Hayaat (Zindagi) Aarzi hai aur ALLAH TA’ALA ki Ata
karda hai aur Mehdood aur Faani (Khatam hone waali) hai, Jab k ALLAH
TA’ALA ki Hayaat (Zindagi) Aarzi nahin, Ataai nahin, aur Mehdood bhi
nahin, ALLAH TA’ALA to Lazawaal, Baaqi aur Hamesha rehne waala hai,
jab k Hum Faani hain. Lihaza hamari Hayaat aur ALLAH TA’ALA ki Hayaat
barabar nahin,Jab barabri Nahin huwi, to Shirk bhi na huwa..




8) * ALLAH TA’ALA sunta, dekhta hai:
Tarjuma: “Aur is liye k ALLAH sunta dekhta hai”.
(Surah Haj, Aayat 61, Parah 17)
* Banday bhi Suntay aur Dekhte hain:
ALLAH TA’ALA sunne aur dekhne waala yaani Sami o Baseer hai, aur
farmata hai, k hum ne Insaan ko bhi Sami O Baseer banaya, Haalaankay
Sami O Baseer hona to ALLAH TA’ALA ki Sifat hai, ALLAH TA’ALA bhi Sami
O Baseer, aur Insaan bhi Sami O Baseer, To kiya yeh SHIRK huwa??
ALLAH TA’ALA ki Siffat Sami O Baseer us ki zaati sifat hai, aur hamara
sunna aur dekhna, ALLAH TA’ALA ki Ata se hai,Lihaza jahaan ZAATI aur
ATAAI ka Faraq waazih hojae, wahaan SHIRK nahin hosakta..
Mene aap ko 8 alag alag tarah ki misalon, (EXAMPLES) se samjhaya k JIS
BAAT main ZAATI aur ATAAI ki baat aajae, wahaan SHIRK nahin hota. aesi
Be hisaab misalen (EXAMPLES) aur b hain, par woh baad k topicx main
clearhongi.. JAZAK ALLAH
ab kuch aur baaten b sunlen, jin ko BADAQEEDAH, SHIRK kehte hain, par
woh SHIRK nahin hain. 



1) ALLAH TA’ALA ka ILM-E-GAIB, ZAATI hai
PAR
HUZOOR (ALEH SALAAM) ka ILM-E-GAIB, ATAAI..


2) ALLAH TA’ALA ka NOOR, ZAATI hai
PAR
HUZOOR (ALEH SALAAM) ki NOORANIYAT, AATAI hai.


3) ALLAH TA’ALA, HAQEEQI MADADGAAR hai
PAR
AMBIYA KARAM, aur OLIYA KARAM, ALLAH TA’ALA ki Ata se MADADGAAR hain.


4) ALLAH TA’ALA, HAQEEQI RAOUF O RAHEEM hai
PAR
HUZOOR (ALEH SALAAM), ALLAH TA’ALA ki Ata se RAOUF O RAHEEM hain.


5) ALLAH TA’ALA, HAQEEQI MUKHTAR E KUL hai
PAR
HUZOOR (ALEH SALAAM), ALLAH TA’ALA ki Ata se MUKHTAR E KUL hain.


6) ALLAH TA’ALA, ZAATI tor par ZINDAH hain.
PAR
HUZOOR (Sallalaho Alehe Wasallam), AMBIYA (Aleh Salaam) aur OLIYA
KARAM, ALLAH ki Ata se Baad Az WisaalZINDAH hain.


7) ALLAH TA’ALA, Bazzat-e-khud, Murdon ko ZINDAH Karta hai.
PAR
AMBIYA KARAAM, OLIYA KARAAM, ALLAHTA’ALA ki Ata se Murdon ko ZINDAH karte hain..


8) MUSHRIKEEN BUTON ko ALLAH TA’ALAki Ata k bager Sahib-E-EKHTIYAR maante the.
PAR
Hum AMBIYA KARAAM, aur OLIYA KARAAM ko ALLAH TA’ALA ki Ata se
Sahib-E-Ekhtiyar maante hain.


9) MUSRIKEEN, Buton ko Apna MA’ABOOD, maante The.
PAR
Hum ALLAH TA’ALA hi ko MA’ABOOD maante hain, aur ALLAH k Naik
Bandonko, ALLAH TA’ALA k KHAS banday maante hain.


NATEEJAH (RESULT):
Puray Kalaam ka Nateejah yeh Nikla k ISLAMI Aqaid aur MUSHRIKEEN k
Aqaid main Kahin B Barabri nahin, To Phir SHIRK bhi na Huwa, LIHAZA
MUSALMAANON k AQAID ko MUSHRIKEEN k AQAID se milana ZULM hai..
BAHAWALA: Sahi Muslim, Kitaab-Ul-Fazail,Hadees 30, Matbuwa Istambol Turkey
UMMAT E MUHAMMADIYA SHIRK NAHI KAR SAKTI
TARJUMA:
Hazrat Uqba bin Aamir (REHMATULLAH ALEH) se Riwayat hai k,
SARKAR-E-AAZAM (ALEH SALAAM) ne Shohda-e-Uhad k Pass tashreef le kar
NAMAZ-E-JANAZA parhi, phir Mimbar par tashreef farma huwe, aur
farmaya,
“MAIN tumhara SAHARA aur tum par GAWAH hun. ALLAH TA’ALA ki Kasam
main apne Hoz-E-Qausar ko is waqt bhidekh raha hun, aur beshak mujhe
Zameen k khazanon ki Kunjiyyaan ata ki gai hain, aur Beshak mujhe yeh
khatra nahin k tum mere baad SHIRK karne Lago ge, mujhe is baat ka dar
hai k tum Dunya k JAAL main Phans jaoge”.
NATEEJAH (RESULT):
SARKAR-E-AZAM (ALEH SALAAM) ne apniZaat par ALLAH TA’ALA k diye huwe
INAAMAAT aur INAAYAAT ka Zikar karte huwe, ALLAH TA’ALA ki Ata kardah
ILM k Zariye sadiyon ka NAQAAB ulat diya, k MAIN dekh raha hun k tum
SHIRK se mehfooz raho ge.
Jab SARKAAR (ALEH SALAAM) mutmaeen hain, K UMMAT, SHIRK se mehfooz
rahe gi, magar MUSALMAANON par SHIRK k fatway lagane waale BECHAIN
hain,
In ZAALIMON ko har dusra MUSALMAAN MUSHRIK nazar ata hai,
ALLAH TA’ALA aese logon ko Hidayat naseeb kare.. Aameen
DOOSRE KO MUSHRIK KAHNE WALA KHUD HI MUSHRIK KA HAQDAAR
Bad Qismati se Is UMMAT main, aese Log bhi Pae Jate hain, Jin ka kaam
apne Siwa sab MUSALMAANON ko MUSHRIK AUR BIDDATI kehna aur samjhna
hai.
Zulum yeh hai, k Yeh Aawaaz Masaajid aur Madaris, donon se Suni jaati
hai, Yeh Log yeh samajhte hain k Hum Dusrun ko MUSHRIK aur BIDDATI keh
kar, TAUHEED ki Khidmat kar rahe hain.
Haalankay yeh woh log hain, Jo UMMAT-E-MUSLIMA main, Fitnah O Fasaad
ka Beej Bo Rahe hain,
Inhon ne JAAN BOOJH kar SHIRK ki Itni IQSAAM (TYPES) bana lin hain, k
In k Siwa koi Bhi Aadmi MUSALMAAN na Kehelwa sake.
Khair Jo Dusron ko MUSHRIK kehte hain, In k Baaray main HUZOOR (ALEH
SALAAM) ki Hadees Mulaahiza ho:
ALHADEES: Bahawala: Rawah Abu Ya’ala Ao Jaz At’Tafaseer Man Tafseer,
Ibn-e-Kaseer, Page:183, Tafseer Ibn-E-Kaseer, JILD:6, PAGE:265)
TARJUMA: “HAZRAT HUZEFA BIN YAMAN 
(REHMATULLAH) bayaan karte hain k,


HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya k ,
“Woh UMOOR jin k baaray main tum par Andesha rakhta hun, Khof Zada
hun, aur un main se ek yeh hai k, Ek SHAKHS QURA’AN parhe ga, Hat’ta k
jabuski RONAQ us par RONUMA hogi, aur us par ISLAM ki Chadar Lipti
hogi, to ALLAH TA’ALA us ko Jidhar chahe ga, Le jae ga, aur WOH us ko
PAS-E-PUSHT phenk de ga, aur Apne PAROSI par TALWAAR k Saath Hamlay
karega, aur Apne PAROSI ko MUSHRIK kahe ga”.
HAZRAT HUZEFA (REHMATULLAH) kehte hain k main ne Arz kiya k, “Undonon


main MUSHRIK kon hoga??”



1) WOH jo dusre ko MUSHRIK kehne waala hai??
YA

2) WOH jise MUSHRIK kaha gaya ??

AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya..
” Dusre ko MUSHRIK kehne waala khud hi MUSHRIK hone ka HAQDAAR hoga”
NATEEJAH (RESULT):
Is HADEES ko PARH kar un logon ko Hosh main aana chahiye, jo
MUSALMAANON Par SHIRK O BIDDAT k fatway lagate hain, Q K Aese log khud
hi MUSHRIK hain, AUR IN k LIYE AZAAB TAYYAR hai..

No comments:

Post a Comment