7 TARAH KE LOG HAIN JINKO ALLAH QAYAMAT KE DIN APNE ARSH KE SAAYE ME JAGAH DEGA
HADEES
📮7 TARAH KE LOG HAIN JINKO ALLAH QAYAMAT KE DIN APNE ARSH KE SAAYE ME JAGAH DEGA
🍂Bismillahhirrahmanirrahim 🍂
✔Abu Hurirah Radiallahu anhu se Rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya aisey 7 tarah ke log hain jinhey Allah subhanahu Qayamat ke din apney arsh ke saaye mein jagah dega jabki uskey Arsh ke saaaye ke siwa aur koi saaya nahi hoga ,
🔺1. Insaaf karne wala baadshah,
🔹2. Wo Nojawan jo apne Rab ki ibadat mein jawani mein bhi masruf raha,
🔺3.Wo shaksh jisne tanhaii mein Allah ko yaad kiya aur aankhon se aansoo jaari ho gaye.
🔹4.Wo shaksh jiska dil hamesha masjid mein laga rahta hai.
🔺5. Do aise shaksh Allah ke liye aapas me mohabbat rakhte hain.
🔹6. Wo shaksh jisey kisi buland martaba aur khubsurat aurat ne (bure irade se) apni taraf bulaya aur usne jawab diya ki main Allah se darta hun.
🔺7.Aisa shaksh jisne aisa chupa ke sadqa diya ki bahine haath ko bhi khabar nahi huyee ki dahine haath ne kitna aur kya sadqa kiya hai .
📚 Sahih Bukhari Volume ( 8) Hadees No. – 6806
No comments:
Post a Comment