Friday, 12 June 2020

ZAKAT



Zakat Ke Bare Me Zaroori Ilm



••ZAKAAT••
Gareeb Maa Apne Bachon Ko Barre Pyar Se Yu’n Manati Hai,
Phhir Bana Lenge Naye Kapdey Ye EID To Har Saal Ati Hai.
Zakat Ka Ilm Sikhna Har Muslman Mard Aurat Par Farz Hai Me Aapko Sikha Ke Apna Farz Pura Karta Hu Aap Aage Share Kar Ke Apna Farz Pura Karen Aur Is Farz Ko Karz Hargiz Na Rehne De.
Beshak Kisi Ko Achi Baat Batana Bhi Sadka Hai
‪#‎SHARE‬ Please
ALLAH KE LIYE MAAL KA EK HISSA JO SHARIAT NE TAY KIYA USKA ZAROORAT MAND (Garib) MUSALMAN KO MAALIK BANA DENA SHARIAT ME ZAKAT KEHLATA HAI,
Zakaat Dena Farz Hai aur ye islam ke 5 Buniyaadi (Basic) Kaamo Se Ek kaam hai.
••ZAKAT FARZ HONE KI SHARTE••
1•Musalman hona
2•Baligh Hona
3•Sahibe Nisab Hona
4•Aaqil Hona
5•Aazad Hona
6•Mal Pe Ek Sal Guzar Jana
7•Qabiz Hona
(Aalamgiri.1: 160)
Zakaat Dena Apne Maal Property ko Paak Karta Hai.
Zakat Kya Hai?
Islam Ke Hisab Se Ameer Hain Unko Apni Saal Bhar Ki Extra Bacha Property Ka 2.5% Garibo Ko Dene Hai, Isi 2.5% Amount Ko Zakaat kahte hain, Zakaat Allah Ka Hukm Hai, Yaani Farz Hai, Isliye Zakaat Na Dene Wala Gunahgaar Hoga Aur Inkar Karne Wala Kaffir,
★AL QURAN★
“Allah Ta’ala Irshad Farmata Hai: Aur Falaah Paate Hain Woh Jo Zakat Ada Karte Hai
(Sure Mominun, Ayat:4)
Jinhen Allah Taalaa Ne Apney Fazal Se Kuch De Rakha Hai Woh Iss Me Apni Kanjoosi Ko Apney Liye Behtar Khayal Na Kere Bulkay Woh Inn Ke Liye
Nihayat Bad’Tar Hai Un-Qarib
Qayamat Walay Din Yeh Apni
Kanjoosi Ki Cheez Ke To Daalay Jayenge Aasmanon Aur Zamin Ki Meeras Allah Ta’ala Hi Ke Liye Aur Jo Kuch Tum Ker Rahey Ho Uss Se Allah Ta’ala Aagah Hai.
– (Surah Aal-e-Imran Ayat : 180)
“Allah Ta’ala Ki Masjidein
Wohi Aabad Karte Hai Jo Allah Ta’ala Par Aur Aakhirat Par Imaan Latey Hain Aur Namaz Parhtey Aur ‪#‎ZAKAT‬ Detey Hain Aur Allah Ta’ala Ke Siwa Kisi Se Nahi Dartey, So Wo Log Ummedwar Hain Ki Hidayat Walon Me Se Ho”.
-: (Al Quran, Surah At- Tauba (9) Ayat 18)
Tum Farmao Beshak Mera Rab Rizq Wasi’a Farmata Hai
Apne Bando Me Jiske Liye. Chahe Aur Tangi Farmata
Hai Jiske Liye Chahe Aur Jo
Chiz Tum Allah Ki Raah Me
Kharch Karo Uske Badle Aur Dega Aur Woh Sabse Behtar Rizq Dene Wala hai.
– (Sureh-Saba-34, Ayat 39 – Tarjama: Kanzool Imaan)
Unki Kahawat Jo Apne Maal
Allah Ki Raah Me Kharch Karte Hai Us Dane Ki Tarah
Hai Jisne Ugaye Saat Balein Har Baal Me So Dane Aur Allah Us Se Bhi Zyada Barhaye Jiske Liye Chahe Aur Allah Wus’at Wala Ilm Wala Hai.
– (Sureh-Bakrah-02, Ayat 261 – Tarjama: Kanzool Imaan)
Jo Sona Chandi Jama karte Hain Aur Use Allah Ki Raah Me Kharch Nahi Krte, Unhe Dardnaak Azaab Ki Khush k
Khabri Suna Do,
(SURE TAUBA AYAT-34)
••HADEES••
Rasool Allah Sallallhu Alaihi Wasallam Ne Farmaya, “Khairaat Ko Mat Roko Warna Tumhara Rizq Bhi Rok Diya Jaye Ga”.
– (Sahi Bukhari, Kitab- Uz-Zakat, Hadees:1433)
Abu Hurairah Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ki Jisey Allah Ne Maal Diya Aur Usney Uski Zakaat Ada Nahi Ki To Qayamat Ke Din Uska Maal 
Nihayat Zahreele Ganje Saanp Ki Shakal Khtriyar Karlega Uski Annkhon Ke Pass Do Siyah (black) Nuqtey Honge Jaise Saanp Ke Hote Hain Phir Wo
Saanpuske Dono Jabdo Se Usey Pakad Lega Aur Kahega Ki Main Tera Maal Aur Khazana Hun.
[Sahih Bukhari Vol 2: Hadith1403]
ZAKAT FARZ HAI ISKA INKAR
KARNE WALA KAFIR AUR NA DENE WALA FASIQ JHANNAMMI AUR ADA KARNE ME DER KRNE WALA GUNAHGAR HAI,
{Fatawa E Aalamgiri Jild. 1.Page, 140}
Zameen Aur Samandar Me Jho Maal Barbad Hota Hai Wo Zakat Na Dene Se Hota Hai
(ATTARGEEB HADEES NO:16)
••ZAKAT KIN LOGON KO DENA CHAHYE••
Zakat Ke Masarif 7 Hai
1•FAQIR
2•MISKIN
3•AAMIL
4•RIQAAB
5•ARIM
6•FI SABILILLAH
7•IBNE’SABEEL
1•FAQIR
Wo Hai Jiske Pass Kuch Ho Magar Itna Ke Nisaab Se kam Ho Agar Kuch Ho Bhi To Hajate Aslia Se  Ho
JAISE:
Rehne Ka Ghar Aur Zindagi Basar Karne Ki Dusri Chizen Jyada Hon Tab Thi use Zakat De Sakte Hain
MAS’ALA
Agar Uske Pas Kapde Aur Khane Ko Hoto Bagere Zarurat Aur Majburi Faqir Ko Sawal Karna Haram Hai
(Alamgiri)
2•MISKIN√
Wo Hai Jiske Pass Kuch Na Ho Yahan Tak Ke Badan Chhupane Tak Ke Liye Bhi Kuch Na Ho Khane Ke Liye Kuch Na Ho Usko Zakat Dena Jaiz Hai
3•AAMIL√
Wo Log Hai Jinko Imaamul Muslemeen Ne Sadqe Karne Par Muqarrar Kiya Ho Imaam Usko Itna De Ke Usko Aur Uske Madadgaro Ko Kaafi Ho Magar Itna Na dia jaye ke jho wasool karlia hai uske aadhe se zyada ho jaye Agar amil maldaar ho to bhi usko lena jaiz hai
(Alamgiri)
4•RIQAB√
Se Murad Mukatab Ghulam Ko Dena Ke Apne Malik Ko Maale Zakat Dekar Apni Jaan Chhudaye,
5•ARIM√
Se Murad Madyoon Hai Yani Uspar Itna Karza Ho Ke Usy Nikalne Ke Baad Nisab Baqi Na Rahe Agar Chahe Uska Auron Par Baaqi Ho Magar Unse Lene Par Qadir Na Ho Magar Shart Ye Hai Ke Hashmi Na Ho Usko Zakat De Sakte Hain
(Durre Mukhtar)
6•FI’SABILILLAH√
Yani Allah Ki Raah Me Kharch Karna Uski Kayi Suratein Hai Jaise Koi Jihaad Me Jana Chahta Hai Aur Saman Uske Pass Nahi To Zakat Ka Maal De Sakte Hai Ya Koi Hajj Karna Chahta Hai Aur Uske Pass Paisa Nahi Magar Usko Mangna Jaiz Nahi, Ya Talib E ilm Jo ilme Deen Sikhta Hai Usey Bhi Zakat Di Ja Sakti Hai Aise Hi Har Nek Kaam Me Zakat Kharch Karna Fi’sabilillah Hai Jab Ke Batore tamlik (malik bana dena) Ho Bager Malik Banaye Zakat Adaa Nahi Ho Sakti
(Durre Mukhtar)
MAS’ALA
Kuch Log Zakat Ka Maal Islami Madarso Me Bhej Dete Hai Unko Chahiye Ke Bata Dia Kare Ke Ye Zakat Hai Taki Wo Usko Alag Rakh De Kisi Aur Maal Me Na Rakh De Kisi Kaam Ki Ujrat Me Na De Warna Zakat Adaa Na Hogi,
(Durre Mukhtar)
7•IBNE’SABEEL√
Yani Wo Musafir Jiske Pass
Maal Na Raha Ke Wo Apne Ghar Na Ja Sakta Ho Chahe Wo Maaldar Hi Kyu Na Ho Lekin Uske Pass Us Waqt Nahi Hai To Wo Zakaat Le Sakta Hai Magar Utne Jitni Uski Zarurat Ho Zyada Lena Uske Liye Jaiz Nahi
ZAKAAT PAHLE INKO DEN AGAR ISKE HAQDAR HAIN YANI MALIKE NISAB SE KAM PAISA HAI TAB DENA JAIZ WARNA NAHI,
MAS’ALA
Zakat Pehle Apne Bhai,Behno
Phir Chacha Aur Phuphiyon Ko Phir Mamu Aur Khala Phir Unki Aulad Ko Phir Apne Gaon Walo Ko De
(QANOON E SHARIAT)
••ZAKAT KINHE NAHI DI JHA SAKTI••
Baap,Dada,Dadi Nana,Nani
Aur Apne Beta,Beti Pota,Poti Nawasa,Nawasi Ko Nahi di jha sakti
(QANUN -E-SHARIAT Page No-230)
Yani Jinki Hum Auld Hai Aur Jho Humari Aulad Hai (Han Agar Zaroorat Mand Hai Tou ‪#‎KHUSHI‬ Se De Sakte Hain Zakat Ke Niyyat Se Nahi)
••NOTE••
YE SARE HAWALE
BHAR E SHARIYAT√
QANOON E SHARIYAT√
DURR E MUKHTAR√
ALAMGIRI√
SHAHI BUKHARI√
AUR QURAN SE LIYE GAYE HAI FIR BHE KOI GALTI REH GAI HO TOU ZAROOR INFO KAREN
••AHMAD RAZA••
••DUA••
Aye Allah Hume Zarurat Mand Ke Kaam Aane Wala Bana Sakhi Aur Sakhwat Wala Bana.

No comments:

Post a Comment