Friday, 12 June 2020

NIKAH KNOWLEDGE



=====================================================================


Nikah Karne Par Aadha (50%) Deen MukammalHo Jata Hai

Mehboob-E-Rehman Sarwar-E-Zishan
صلل الله عليه وسلم Ne Farmaya:
"Bande Ne Jab Nikah Kar Liya To Aadha Deen Mukammal Ho Jata Hai
Ab Baki Aadhe Ke Liye ALLAH Ta'ala Se Daro"
(Mishkat sharif, Jild 2, Hadees no 2962, Safa 72)

=====================================================================


Nikah Meri Sunnat he

Noor-E-Mujassam, Rasool-E-Khuda, Habeeb-E-Kibriya,Nabi-E-Rehmat, Shafa-E-Mehshar, Fakhar-E-Do aalam, Fakhar-E-Bani-E-Aadam, Malik-E-Do Jahan, Khatmul Ambiya, Rehmatallil Aalamin, Taldare Madina Rahat-E-Kalbo Sina, Janabe Ahmade Mujtaba, Muhammad Mustafa Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:
"Nikah Meri Sunnat He"
(Ibne Maja, Jild 1, Hadees no 1913, Safa 518)

Allah Rabbul izzat irshad farmata he:
"Aur Nikah me lao jo aurate tumhe khush aaye"
(Tarjuma: Kanzul iman, Para 4, Surah Nisa, Aayat 3)

Hazrate Sahal bin sa'ad Radiallahu anhu se riwayat he ke Nabi-E-kareem Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:
"Nikah karo chahe (Meher dene ke liye) Ek Lohe ki Anguthi hi ho
(Bukhari sharif, Jild 3, Safa 80, Hadees no 136)

Aur irshad farmate he Pyare Madani Aaqa Sallalahu Alayhi Wasallam:
"Bande ne jub Nikah kar liya to Aadha Deen Mukammal ho jata he
Ab baki aadhe ke liye Allah Ta'ala se daro"
(Mishkat sharif, Jild 2, Hadees no 2962, Safa 72)

Hazrat Abdullah Bin Masud Radiallahu Ta'ala Anho Se Riwayat he ke Sarkar Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:
"Aye Jawano Jo tum me se Aurato ke Hukooq (Haq) ada karne ki takat rakhta he
To wo Nikah jarur kare Kyunki Nikah Nigah Ko Zukata he
Aur Sharmgah ki hifajat karta he aur Jo iski takat na rakhe to woh Roza Rakhe Kyunki ye Shahwat Ko kam karta he
(Bukhari sharif, Jild 3, Safa 52, Tirmizi sharif, Jild 1, Safa, 533)

=====================================================================

Gair Mard,Gair Aurat se Parda karo

Rab Ta'ala irshad farmata he
Aur musalman aurato ko hukm do apni nigahe kuch nichi rakhe aur Parsai ki hifazat kare aur apna banao na dikhaye magar jitna khd hi jahir he.
Aur dupatte apne girebano par dale rahe aur apna singar jahir na kare magar apne shauharo par
(Kanzul iman,Para 18,Surah Noor,Aayat 31)

Sarkare Madina Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Aurat,Aurat he yani chupane ki chiz he.
Jab wo nikalti he to use shaitan zak kar dekhta he.
Yani use dekhna shaitani kam he
(Tirmizi sharif,Jild 1,Bab 796,Hadees 1173,Safa 600)

Sarkare Madina Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Jis gair aurat ko jan buz kar dekha jaye aur jo aurat apne ko jan buz kar gair mardo ko dikhlaye us mard aur aurat par Allah ki la'anat.
(Mishkat sharif Jild 2,Hadees 2991,Safa 77)

Hazrat Maimuna Bin Sa'ad radiallahu anha se riwayat he ke Sarkare Madina Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Apne shauhar ke siwa dusro ke liye Jinat ke sath daman ghasite hue(itrakar) chalnewali Aurat Qayamat ke Andhero ki tarah he.
Jisme koi roshni na ho
(Tirmizi sharif Jild 1,Bab 791,Hadees 1166,Safa 597)

Sarkare Madina Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Jub mard gair aurat ko dekhta he ya aurat gair mard ko dekhti he to dono ki aankhe zina karti he.
(Kashaful mahjub Safa 568)

Sarkare Madina Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Jab gair mard aur gair aurat tanhai me kisi jagah sath hote he to unme tisra shaitan hota he
(Tirmizi sharif Jild 1,Bab 794,Hadees 1171,Safa 599)

Sarkare Madina Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Tanha gair aurat ke pas jane se parhez karo.
Ek sahabi ne sawal kiya
Ya Rasoolallah dewar ke bare me kya irshad he?
Aaqa ne farmaya
Dewar to Maut he.
(Bukhari sharif Jild 3,Bab 141,Hadees 216,Safa 108,Tirmizi sharif Jild 1,Bab 794,Hadees 1171 Safa 599,Mishkat sharif Jild 2,Hadees 2968,Safa 73)

=====================================================================

Biwi Ke Huqooq:

Rab ta'ala irshad farmata he
Aur unse (Aurato) se Achcha bartav karo.
(Kanzul iman Para 4,Surah Nisa,Aayat 19)

Sarkare Madina Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Nikah ki shart yani Meher ada karne ka sabse jyada khayal rakho.
(Bukhari sharif Jild 3,Safa 80)

Sarkare Madina Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Subse bura aadmi wo he jo apni biwi ko sataye.
(Tibrani sharif)

Sarkare Madina Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Tum me wo behtar he jo apni biwiyo ke sath behtar he.
Aur me apni biwiyo ke sath tum subse jyada behtar hu.
(Ibne maja Jild 1,Hadees 2047,Safa 551,Tirmizi Sharif Jild 1,Safa 595)

Hazrat Abuhuraira radiallahu anhu se riwayat he ki Sarkare Madina Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Jab kisi ke nikah me 2 biwiya ho aur wo 1 hi ki taraf mayel ho to wo Qayamat ke din jab aayega to uska aadha dhad gira hua hoga
(Tirmizi sharif Jild 1,Hadees 1137,Safa 584,Ibne Maja Jild 1,Safa 549)

Sarkare Madina Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Biwi ka gulam badbakht he
(Kaumya-E-Sa'adat Safa 263)
=====================================================================


Behtarin Biwi Ki Pehchan

● Behtarin Biwi Wo Hai Jo Apne Shohar Ki Farmabardari Aur Khidmatguzari Ko Apna Farz Samjhe

● Jo Shohar Ke Tamaam Huqooq Ada Karne Me Kotahi Na Kare

● Jo Apne Shohar Ki Khubiyo Par Nazar Rakhe Aur Uske Aib Aur Khamiyo Ko Nazarandaz Karti Rahe
Note: Khamiyo Se Murad Kamiya Hai Gunah Nahi. Agar Shaohar Gunah Karta Hai To Biwi Ko Use Rokna Farz Hai

● Jo Apne Shohar Se Uski Aamdani (Income) Se Jyada Ka Mutaalba (Mang) Na Kare Aur Jo Mil Jaye Us Par Sabr Aur ALLAH TA'ALA Ka Shukr Karne Ke Sath Zindagi Basar Kare
● Jo Khud Taklif Utha Kar Apne Shohar Ko Aaram Pohchane Ki Humesha Koshish Karti Rahe

● Jo Apne Shohar Ke Alawa Kisi Ajnabi Mard Par Nigah Na Dale Aur Na Kisi Ki Nigah Apne Upar Padne De

● Khud Parde Me Rahe Aur Apne Shohar Ke Izzat Ki Hifazat Kare

● Jo Shohar Ke Maal, Maqan Wa Samaan Aur Khud Apni Zaat Ko Shohar Ki Amaanat Samajh Kar Har Chiz Ki Hifazat Karti Rahe

● Jo Apne Shohar Ki Musibat Me Apni Jaan Wa Maal Kurbaani Ke Sath Apni Wafadari Ka Saboot De

● Jo Apne Shohar Ki Jyatdi Aur Julm Par Humesha Sabr Karti Rahe

● Jo Maika Aur Sasural Dono Gharo Me izzatwali Ho

● Jo Padosiyo Aur Milnejulnewali Aurato Ke Sath Ache Akhlaq Aur Sharafat Aur Mukhwat Ka Bartaw Kare Aur Sub Khubiyo Ki Tarif Kare

● Jo Mazhab Ki Paband Aur Deendar Aur Huquqoolla Aur Huqooqul ibaad Ko Ada Karti Ho

● Jo Sasuralwalo Ki Kadwi Kadwi Bate Bardasht Karti Ho

● Jo Sub Gharwalo Ko Khila Pika Kar Subse Aakhir Me Khud Khaye
(Insani Haq)

=====================================================================


Biwi Ke Huqooq Shohar Par Hadees Ki Roshni Me Aur Biwi Ka Haq

Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barkatuhu
Pyare Islami Bhaiyo,

ALLAH TA'ALA Ne Jis Tarah Aurato Par Shohar Ke Huqooq Farz Kiye Hai Usi Tarah Shohar Par Bhi Aurato Ke Huqooq Farz Hai.
In Huqooq Ko Ada Na Karnewala Sakht Gunaahgar Hai

ALLAH TA'ALA irshad Farmata Hai
"Aur Unse (Aurato Se) Acha Bartaw Karo".
(Tarzuma: Kanzul Imaan Para 4, Sure Nisa, Aayat 19)

Sarkaar-E-Madina Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
"Tum Me Ache Log Wah Hai
Jo Aurato Ke Sath Achi Tarah Pesh Aaye".
(Mishkat Sharif Part 2, Safa 282)

Sarkar-E-Madina Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irsad Farmaya
"Aurat Ko Kisi Bade Kasoor Ke Kabhi Hargiz Hargiz Na Mare
Jis Tarah Apne Gulaam Ko Mara Karta Hai
Fir Dusre Waqt Usse Sohbat Bhi Kare".
(Mishkat Sharif Jild 2, Safa 280)

Afsos! Aaj Ke Kuch Jahil Naujawan Apni Biwi Ko Marte Hai.
Ya ALLAH Hum Subko Apni Biwi Ki Izzat Karne Ki Taufiq Ata Farma
Aameen
Awwal Aakhir Durood

Habib-E-Khuda Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
"Koi Momin Mard Kisi Momin Aurat Se Bugz Wa Nafrat Na Rakhe
Kyunki Agar Aurat Ki Koi Aadat Buri Malum Hoti To Uski Koi Dusri Aadat Pasandida Bhi Hogi".
(Mishkat Sharif Jild 2, Safa 280)

Mehboob-E-Khuda Khatmunn Nabiyyin Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
"Tum Me Woh Behtar Hai
Jo Apni Biwi Ke Sath Behtar Hai
Aur Me Apni Biwiyo Ke Sath Tum Subse Jyada Behtar Hu".
(Ibne Maja Jild 1, Safa 551, Hadees No 2047, Tirmizi Sharif Jild 1, Safa 595)

Apni Biwi Ke Sath Acha Sulooq Karo.
Uske Sath Muhabbat Se Pesh Aao.
Biwi Ke Sath Narmi Aur Khushmijaji Se Bartaw Karo.
Apne Biwi Se Ladai Jhagda Na Karo
Pyare Aaqa Alahissalam Ki Sunnato Par Amal Karo

Madani Aaqa Sallallaho Alaihi Wasallam Ka Farmane Aalishan Hai Ki
"Sabse Bura Aadmi Wah Hai
Jo Apni Biwi Ko Sataye".
(Tabrani Sharif)

Pyare Islami Bahiyo Apni Biwi Par Julm Karna, Use Satana, Gaali Galoch Karna Bad Tarin Gunah Hai

Hazrat Abu Huraira Radiallaho Ta'ala Anhu Se Riwayat Hai Ki
Rasool-E-Akram Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
"Jab Kisi Ke Nikah Me Do Biwiya Ho
Aur Wo Ek Hi Ki Taraf Mayel Ho
To Woh Qayamat Ke Din Jab Aayega
To Uska Aadha Dhad Gira Hua Hoga".
(Tirmizi Sharif Jild 1, Safa 584, Hadees No 1137, Ibne Maaja Jild 1, Safa 549)

Habib-E-Khuda Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
"Aurato Ke Sath Neki Ka Bartaw Karo
Ki Unki Paidaish Tedhi Pasli Se Hui Hai
Wah Tere Liye Kabhi Sidhi Nahi Ho Sakti
Agar Tu Use Baratna Chahe To Har Haalat Me Barat Sakta Hai
Aur Sidha Karna Chahega To Tod Dega
Aur Todna Talaaq Dena Hai
(Muslim Sharif)

Hajjatul Wida Ke Mash'hur Khutbe Me Huzoor-E-Akram Sallallaho Alaihi Wasallam Ka Irshade Girami Hai Ki
Aye Logo!
"Aurato Ke Baare Me Neki Aur Bhalaai Karne Ki Wasiat Farmata Hu
Tum Meri Wasiat Qubool Karo
Beshaq Aurato Ka Tumhare Upar Haq Hai
Tum Unke Pehnaane Aur Khilaane Me Neki Ikhtiyar Karo
(Ibne Maja)

Madani Aaqa Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
"Nikah Ki Shart Yani Mehar Ada Karne Ka Sabse Jyada Khayal Rakho".
(Bukhari Sharif Jild 3, Safa 80)

Haq Mahar Ada Karna Shohar Par Wazib Hai Aur Ise Ada Karne Me Kotahi Karnewala Sakht Gunahgar Hai
Ya ALLAH Hum Subko Apne Biwi Ka Haq Ada Karne Ki Taufiq Ata Farma
Aur Biwi Ke Sath Muhabbat Se Zindagi Basar Karne Ki Taufiq Ata Farma
Aameen


=====================================================================


Shauhar ke Huqooq:

Allah Ta'ala irshad farmata he
Wo tumhari libas he aur Tum unke libas.
(Kanzul iman Para 2,Surah Bakar,Aayat 187)

Ummulmomenin Hazrat Aayesha siddiqa Wa Hazrat Abuhuraira radiallahu anhu se riwayat he ki Sarkare Madina Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Agar me kisi ke liye Sajde ka hukm deta to Aurato ko hukm deta ki apne shohar ko sajda kare.
(Tirmizi sharif Jild 1,Bab 788,Hadees 1158,Safa 594)

Sarkare Madina Sallalaho Alayhi Wasallam se daryaft kiya ki
Behtarin Aurat ki pehchan kya he?
Aapne farmaya
"Jo Aurat apne Shauhar ki ita'at wa farmabardari kare."
(Nisaai sharif Jild 2,Safa 364)

Hazrat Abu said radiallahu anhu se riwayat he ke Sarkare Madina Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Shauhar ki Na shukri karna ek tarah ka Kufra he aur ek kufra dusre se kam hota he.
(Bukhari sharif Jild 1,Bab 21,Hadees 28,Safa 109)

Hazrat Abdullah ibne Abbas se riwayat he ki Sarkare Madina Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Muze dozakh dikhai gayi maine waha Aurato ko jyada paya wajah ye he ki wah Kufra karti he.
Sahaba-E-Kiram ne arz kiya
Kya wo Allah ke sath Kufra karti he?
Pyare Aaqa ne farmaya
Nahi ! wo shauhar ki Na-shukri karti he.
Jo ke ek tarah ka kufra he aur Ehsan nahi manti agar tu kisi aurat se umar bhar ehsan aur neki ka sulook kare lekin 1 bat bhi khilafe tabiyat ho jaye to zat kah dengi
"Maine tuzse kabhi aaram aur sukoon nahi paya"
(Bukhari sharif Jild 1,Bab 21,Hadees 28,Safa 109)

Hazrat Umar Radiallahu anhu se riwayat he ki Sarkare Madina Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
"Tumko nahi malum Aurat ke liye Shirk ke bad subse bada gunah Shauhar ki Na-farmani he"
(Gunyatuttalebin Safa 114)

Hazrat Abuhuraira radiallahu anhu se riwayat he ki Sarkare Madina Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Shauhar apni biwi ko jis waqt bistar par bulaye aur wo aane se mana karde to us aurat par khuda ke farishte subah tak La'ant karte rehte he.
(Bukhari sharif Jild 3,Bab 115,Hadees 178,Safa 96)

Sarkare Madina Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Jab shauhar apni Hajat (Sohbat) ke liye biwi ko bulaye to biwi agar roti paka rahi ho to usko lazim he ki sub kam chod kar shauhar ke pas hazir ho jaye.
(Tirmizi sharif Jild 1,Bab 788,Hadees 1159,Safa 595)

Hazrat Aayesha radiallahu anha se marwi he Sarkare Madina Sallalaho Alayhi Wasallam ki khidmat me 1 jawan aurat hazir hui aur arz kiya
Ya Rasoolallah ! Me jawan aurat hu.
Muze nikah ke paigam aate he magar me shadi ko bura samazti hu.
Aap muze bataiye biwi par shauhar ka kya haq he!
Pyare Aaqa ne farmaya
Agar shauhar ki choti se edi tak peep ho aur woh use jaban se chate to bhi shauhar ka haq ada nahi kar payegi. 
Usne pucha:
To me shadi na karu?
Aapne farmaya
Tum shadi karo kyunki isme bhalai he.
(Mukashefatul Kuloob Bab 95,Safa 617)

=====================================================================



Behtarin Shohar Ki Pehchan

● Jo Apni Biwi Ke Sath Narmi, Khush Akhlaqi Aur Ache Bartaw Ke Sath Pesh Aaye

● Wo Apni Biwi Ke Huqooq Ada Karne Me Kisi Kism Ki Gaflat Wa Kotahi Na Kare

● Jo Apne Biwi Ka Is Kadar Ho Kar Rahe Ki Kisi Ajnabi Aurat Par Nigah Na Dale

● Jo Apne Biwi Ko Apne Aaram Me Barabar Ka Shariq Samjhe

● Jo Apni Biwi Par Julm Aur Kisi Bhi Prakar Ki Jyatdi Na Kare

● Jo Apni Biwi Ki Tund Mijaji Aur Bad Akhlaqi Par Sabr Kare

● Jo Apne Biwi Ki Khubiyo Par Nazar Rakhe Aur Uski Mamuli Galatiyo Ko Nazarandaz Kare

● Jo Apni Biwi Ki Musibato, Bimariyo, Ranj Wa Gam Me Timardari Aur Wafadari Ka Saboot De

● Jo Apne Biwi Ko Parde Me Rakh Kar izzat Wa Aabru Ki Hifazat Kare

● Jo Apni Biwi Ko Deendari Ki Taaqid Kare Aur Shariat Ki Rah Par Chalaye

● Jo Apni Biwi Aur Ahlo Ayal Ko Kamaa Kar Rizq-E-Halaal Khilaye

● Jo Apni Biwi Ke Maikawslo Aur Uski Seheliyo Ke Sath Acha Sulooq Kare

● Jo Apni Biwi Ko Zillat Wa Ruswaai Se Bachaye Rakhe

● Jo Apni Biwi Ke ikhrazat Me Bakhili Aur Kanjusi Na Kare

● Jo Apne Biwi Par Is Tarah Kabu Rakhe Ke Wah Kisi Bhi Burai Ki Taraf Rukh Na Kar Sake
(insani Haq)

=====================================================================



Shohar Ke Huqooq Biwi Par Hadees Ki Roshni Me Aur Shohar Ka Haq

Assalamu Aliakum Wa Rahmatullahi Wa Barkatuhu
Pyari Islami Beheno,

ALLAH TA'ALA ne Shohar Ko Aurat Par Haaqim Banaya Hai
Aur Bahut Badi Bujurgi Di Hai
Isliye Har Aurat Par Farz Hai Ki Wah Apne Shohar Ka Huqm Mane.
Apne Shohar Ko Raazi Rakhna Biwi Ka Farz Hai Aur Jo Aisa Na Kare Wo Aurat Sakht Gunahgar Hai.
Is Post Me Islam Me Shohar Ke Haq Ke Bare Me Hadees-E-Paak Pesh Kiye Hai.
Ye Hadees Sharif Jyada Se Jyada Logo Tak Pohochaye.
Sawab Haasil Kare.
JazakALLAHU Khair.
Apna Feedback Comments Ke Jariye Jarur Likhe.

Sarkare Madina Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
"Agar Khuda Ke Siwa Kisi Dusre Ke Liye Sajda Karne Ka Huqm Deta To,
Me Aurato Ko Huqm Deta Ki Wah Apne Shoharo Ko Sajda Karti Rahe".
(Mishkat Sharif Part 2 Safa 281 Mujtabaai)

Madine Ke Tajdaar Janabe Muhammad Mustafa Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
"Jab Shohar Apni Biwi Ko Apne Bistar Par Bulaye,
Aur Aurat Aane Se Inkar Karde,
Aur Uska Shohar Is Baat Se Naraz Ho Kar Sota Rahe, To Raat Bhar ALLAH Ke Farishte Us Aurat Par Laanat Karte Hai".
(Mishkat Sharif Part 2 Safa 280)

Sarware Qaynaat Madani Aaqa Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
"Agar Shohar Apni Aurat (Biwi) Ko Yah Huqm De Ki Pile Rang Ka Pahad Kale Rang Ka Bana De Aur Kale Rang Ke Pahad Ko Safed Bana De To Bhi Aurat Ko Apne Shohar Ka Huqm Baja Lana Chahiye".

Aur Aap Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ki
"Jis Aurat Ki Maut Aisi Haalat Me Aaye Ki Marte Waqt Uska Shohar Usse Khush Ho
To Wo Aurat Jannat Me Jayegi".
Aur Farmaya,
"Jab Koi Mard Apni Aurat Ko Kisi Kaam Ke Liye Bulaye
To Wo Aurat Agarche Chulhe Ke Pas Baithi Ho Usko Laazim Hai Ki Wah Uthkar Shohar Ke Pas Chali Jaye".
Saware Qaynat, Habeebe Khuda, Shafi-E-Mehshar, Rehmatallil Aalamin Hazrat Muhammad Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Sohbat Ke Liye Ye Dua Irshad Farmayi
"Bismillah, Allahumma jannib nash
Shaitana, wa Janni bish-Shaitana ma
razaq tana"
Tarzuma:
"ALLAH ke naam
se.
Aye ALLAH door kar hamse shaitan
mardud ko aur door kar shaitan mardud ko us Aulad se jo tu hame ata
karega"
"Jo shaks Is Dua Ko Sohbat Ke Waqt
Padhega
(Dua Wahi Jo Upar Likhi Hai)
To ALLAH Us Padhnewale Ko Agar Aulad Ata Farmaye
To Us Aulad Jo Shaitan Kabhi Bhi Nuksan Na Pahuncha
Sakega"
(Bukhari sharif Jild 3,Safa 85,
Tirmizi sharif,Jild 1,Safa 557)
Jab Aap Miya-Biwi Saath Mein Sone Ka Irada Karen To Usse Pahle Ye Dua Padh Lijiye. Yani Sohbat Karne Se Pehle Ye Dua Hamesha Padhe.
Insha ALLAH Is Dua Ki Barkat Se Aapki Aulad Shaitan Se Mehfooz Hogi.
Nikah Ke Talluk Sare Masle Aap Hamare "NIKAH" Page Par Padhe.
Aur Apne Masle Comments Ya Contact Form Ke Jariye Likh Bheje.

Is Hadees Sharif Ka Matlab Ye Hai Ki Aurat Chahe Kitne Bhi Jaruri Kam Me Mashgul Ho
Shohar Ke Bulane Par Sab Kamo Ko Chod Kar Shohar Ki Khidmat Me Haazir Ho Jaye".
(Mishkat Sharif Part 2 Safa 383 Mujtabaai)
Biwi Ko Shohar Ka Huqm Har Hal Me Manna Hai.
Aur Jis Aurat Ka Shohar Usse Razi Ho Aur Uska Intkal Ho Jaye To Uske Liye Jannat Hai.
SubhanALLAH !

Khatmun Nabiyyin Huzoor-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
"Behtarin Aurat (Biwi) Wah Hai Ki Jab Uska Shohar Kisi Baat Ka Huqm De To Wo Uski Farmabardari Kare Aur Agar Shohar Uski Taraf Dekhe
To Wah Apne Banav Singar Aur Apni Adaao Se Apne Shohar Ka Dil Khush Karde
Aur Agar Shohar Kisi Baat Ki Kasam Kha Jaye To Wah Uski Kasam Ko Pura Karde
Aur Agar Shohar Gayab Rahe (Matlab Ghar Se Bahar Ho)
To Wah Apni Zaat Shohar Ke Maal Me Hifazat Aur Khair Kwahi Ka Kirdar Karti Rahe".
(Mishkat Sharif Part 2 Safa 268 Mujtabaai)

Apne Shohar Ko Khush Rakhna Hi Biwi Ka Farz Hai.
Uska Singar Sirf Uske Shohar Ke Liye Hai.
Shohar Ki Namaujudgi Me Uske Ghar Aur Maal Wa Dolat Ki Hifazt Karna Biwi Par Laazim Hai

Ek Shaks Ne Aap Sallallaho Alaihi Wasallam Se Daryaft Kiya Ki
"Behtarin Aurat (Biwi ) Ki Pehchan Kya Hai?"
Madni Aaqa Sallallaho Alaihi Wasallam Ne irshad Farmaya
"Jo Aurat Apne Shohar Ki Ita'at Wa Farma Bardari Kare".
(Nasaai Sharif Jild 2 Safa 364)

Hazrat Abu Sai'd RadiAllahu Anhu Se Riwayat Hai
Shafi-E-Mehshar, Rehmat-E-Aalam Janabe Muhammad Mustafa Sallallaho Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ka Farmane Aalishan Hai
"Shohar Ki Na Shukri Karna Ek Tarah Ka Kufr Hai
Aur Ek Kufr Dusre Se Kam Hota Hai".
(Bukhari Sharif Jild 1, Bab No 21, Safa 109, Hadees No 28)

Aurat Hargiz Apne Shohar Ki Nafarmani Na Kare
Warna Jahannam Ki Tayyari Karle..

Ummulmomenin Hazrate Aayesha Siddiqa RadiALLAHU Ta'ala Anha Wa Hazrat Abu Huraira RadiALLAHU Ta'ala Anhu Se Riwayat Hai Ki
Rasool-E-Khuda Sallallaho Alaihi Wasllam Ne Irshad Farmaya
"Agar Me Kisi Ko Kisi Ke Liye Sajde Ka Huqm Deta
To Aurato Ko Huqm Deta Ki Apne Shohar Ko Sajda Kare".
(Tirmizi Sharif Jild 1, Bab No 788, Safa 594, Hadees No 1198)

Hazrat Abu Huraira Radiallahu Ta'ala Anhu Se Riwayat Hai Ki
Nabi-E-Kareem Sallallaho Alaihi Wasallam Ne irshad Farmaya
"Shohar Apni Biwi Ko Jis Waqt Bister Par Bulaye
Aur Wah Aane Se Mana Karde
To Us Aurat Par Khuda Ke Farishte Subah Tak Laanat Karte Rehte Hai".
(Bukhari Sharif Jild 3, Bab No 115, Safa 96, Hadees No 178)

Hazrat Aayesha Siddiqa Radiallaho Ta'ala Anha Se Marvi Hai Ki
Aap Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Khidmat Me Ek Jawan Aurat Haazir Hui Aur Arz Kiya
"Ya Rasoolallah!
Me Jawan Aurat Hu Muze Nikah Ke Paigam Aate Hai
Magar Me Shaadi Ko Bura Samajhti Hu.
Aap Muze Bataiye Biwi Par Shohar Ka Kya Haq Hai"?
Pyare Aaqa Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
"Agar Shaohar Ki Choti Se Pair Ki Ediyo Tak Peep Ho
Aur Wah Use Zaban Se Chate To Bhi Shaohar Ka Haq Ada Nahi Kar Payegi".
Us Aurat Ne Pucha
"To Main Shaadi Na Karu"?
Ispar Aap Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
"Tum Shaadi Karo Kyunki Isme Bhalaai Hai".
(Mukasheftul Kuloob Bab No 95, Safa 617)
ALLAHU AKBAR..!
Hazrate Maimuna Radiallaho Ta'ala Anhu Se Riwayat Hai Ke
Rasoolallah Sallallaho Alahi Wasallam Ne Irshad Farmaya
"Meri Ummat Me Subse Behtar Wo Aurat Hai
Jo Apne Shohar Ke Sath Acha Sulooq Karti Hai
Aisi Aurat Ko 1000 Shahido Ka Sawab Milta Hai Jo Khuda Ki Rah Main Sabr Ke Liye Shahid Hue.
Un Aurato Me Se Har Aurat Jannat Ki Hooro Par Aisi Fazilat Rakhti Hai
Jaise Muhammad Sallallaho Alaihi Wasallam Ko Tum Me Se Adna Mard Par".
(Gunyatuttalebin Safa 113)

SubhanALLAH...!
Hazrate Abdullah Ibne Abbas Radiallaho Ta'ala Anhu Se Riwayat Hai Ki
Pyare Aaqa Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
"Muze Dozakh (Jahannam) Dikhai Gayi
Maine Waha Aurato Ko Jyada Paya
Wajah Ye Hai Ki Ye Kufr Karti Hai".
Sahab-E-Kiram Ne Arz Kiya
"Kya Wo ALLAH Ke Sath Kufr Karti Hai"?
Aap Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irsad Farmaya
"Nahi! Wo Shohar Ki Nashukri Karti Hai
(Jo Ke Ek Tarah Ka Kufr Hai)
Aur Uska Ehsaan Nahi Manti.
Agar Tu Kisi Aurat Se Umar Bhar Ehsaan Aur Neki Ka Sulooq Kare
Lekin Ek Baat Bhi Khilafe Tabiyat Ho Jaye
To Jhat Keh Dengi Ki
Maine Tuzse Kabhi Aaram Aur Sukun Nahi Paya".
(Bukhari Sharif Jild 1, Bab No 21, Safa 109, Hadees No 28)

Sarkare Do Aalam Sallallaho Alaihi Wasallam Ka Farmane Aalishan Hai Ki
"Jab Shohar Apni Haazat (Sohbat) Ke Liye Biwi Ko Bulaye
To Biwi Agar Roti Paka Rahi Ho
To Usko Laazim Hai Ke Sab Kaam Chod Kar Apne Shohar Ke Pas Haazir Ho Jaye".
(Tirmizi Sharif Jild 1, Bab No 788, Safa 595, Hadees No 1159)

Hazrat Umar Radiallaho Anhu Se Riwayat Hai Ki Madani Aaqa Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
"Tumko Nahi Maalum,
Aurat Ke Liye Shirk Ke Baad Sabse Bada Gunah Shohar Ki Nafarmani Hai".
(Gunyatuttalebin Safa 114)

=====================================================================

Ladki ki Nikah ke liye Rajamandi

Hazrat Abuhuraira Wa Hazrat Abdullah bin Abbas Radiallahu Anhu Se Riwayat he ke Huzoor Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:
"Kuwari ladki ka nikah na kiya jaye jab tak uski Rajamandi na hasil kar li jaye Aur uska Chup rehna uski Rajamandi He, Aur Na Nikah kara jaye Bewah ka jab tak usse izazat na li jaye"
(Tirmizi sharif Jild 1, Safa 566)

Imaam Bukhari Radiallahu Anhu Nakal farmate he
Hazrat Aayesha Radiallaho Anha ne Arj kiya:
"Ya Rasoolallah! kuwari ladki to nikah ki izazat dene me sharmati he."
Aapne Farmaya
"Uska khamosh ho jana izazat he"
(Bukhari sharif, Jild 3,Safa 76, Hadees no 124, Bab No 71)

Hazrat Abuhuraira Radiallahu anhu se Riwayat he ki Rasoole Akram Sallalaho Alayhi Wasallam Ne irshad Farmaya:
"Balig kuwari ladki se uske Nikah ki izazat li jaye agar khamosh ho jaye to ye uski tarafse izazat he. Agar inkar kare to uspar koi Jabardasti Nahi"
(Tirmizi sharif, Hadees no 1101, Jild 1,Safa 567)

=====================================================================

Islam Me Aurato Ko Parde Ka Huqm

"Aur Musalman Aurato Ko Hukm Do Apni Nigahe Kuch Nichi Rakhe Aur Parsai Ki Hifazat Kare Aur Apna Banao Na Dikhaye Magar Jitna Khud Hi Jaahir Hai. Aur Dupatte Apne Girebano Par Dale Rahe Aur Apna Singaar Jaahir Na Kare Magar Apne Shauharo Par"
(Kanzul iman,Para 18,Surah Noor,Aayat 31)

Is Aayat Ke Tehat Aurato Ko Apne Girebano Par Dupatte Dale Rehneka Huqm Hai Aur Apne Banav Wa Singaar Ko Apne Shauhar Ke Alawa Kisi Gair Mard Ke Samne Jaahir Karne Se Mana Farmaya Hai. Afsos ! Aaj Hamari Behene Tight Fitting Ke Kapde Pehen Rahi Hai, Net Ke Kapde Pehen Rahi Hai Jisme Saaf Unke Jism Ka Banav Dikhta Hai. Aise Kapde Pehenti Hai Jinse Mard Unki Taraf Mutawajjah Ho. Behsaq ! Behayaai Ka Dardnaak Azaab Hai.

ALLAH Rabbul Aalameen Irshad Farmata Hai
"Aye Nabi Apni Biwiyo Aur Sahabzadiyo Aur Musalman Ki Aurato Se Farmado Ki Apni Chadaro Ka Ek Hissa Apne Muh Par Dale Rahe. Yah Unke Nazdik Tar Hai Ki Unki Pehchan Ho To Sataayi Na Jaye. Aur ALLAH Bakshnewala Meherbaan Hai."
(Sure Ahzab, Para 22, Aayat 59, Tarzuma: Kanzul Imaan)

In Do Aayato Me Parda Kis Tarah Karna Hai Iska Huqm Hai. Jo Islami Behene Parda Karti Hai Beshaq ! Unke Liye Duniya Wa Aakhirat Me Bhalaayi Hai. Aur Jo Parda Nahi Kar Rahi Hai Wo Behene Gauro Fikr Kare Aur Amal Kare. Beshaq ! ALLAH Ta'ala Ko Hamare Tamaam Kaamo Ki Khabar Hai. Aur Aapke Aamal Ke Mutabiq Aapka Hamsafar (Shauhar) Hoga. Paak Daman Sutre Ladkiyo Ke Liye Paak Daman Ladke Aur Gandi Ladkiyo Ke Liye Gande Ladko Ki Jodiya Banayi Gayi Hai.

ALLAH Rabbul Aalameen Irshad Farmata Hai
"Gandiya, Gando Ke Liye Aur Gande, Gandiyo Ke Liye.
Sutriya, Sutro Ke Liye Aur Sutre Sutriyo Ke Liye"
(Kanzul Imaan, Para: 18, Surah Noor, Aayat No: 26)

Is Aayat Se Hame Ye Malum Hota Hai Ke ALLAH Rabbul Aalameen Ne Apne Bande Aur Bandiyo Ke Jode Chun Rakhe Hai. Gande Badkar Mard Ke Liye Gandi Badkar Aurat Aur Gandi Badkar Aurat Ke Liye Ganda Badkar Mard. Aise Hi ALLAH Ta'ala Ne Saaf Sutre Paak Daman Ladka Aur Ladkiyo Ke Liye Sutri Paak Daman Ladki Aur Ladka Jodi Banayi Hai.

=====================================================================

Aaj Ka Fashion Aur Bepardagi

Kadwe Ghoot...
Waah Meri Behen Tera Designer Burka.......
Aaj Ki Beheno Ka Haal Bada Ajeeb Hai, Chehre Par Naqaab Ya Skarf Bandhne Ka Fashion Ban Gaya Hai.... Burka Fashion Ban Chuka Hai...
Yaad Rakho Islam Burke Ka Huqm Nahi Deta Balqi Parde Ka Huqm Deta Hai.
Mumkoin Hai Meri Fikr Se Koi Ittefakh Na Rakhe.

Lekin Ye Meri Fikr Nahi Ye Hajjatul Islam Hazrat Imaam Gazali Rehamtullah Alayhi Ki Fikar Hai. Imaam Gazali Rehamtullah Alayhi Ne Apni Sadi Me Fatwa Diya Tha Ki Jis Burke Par Design Bana Ho Aisa Burka Pehenna Haram Hai. Isliye Ki Wo Burka Mardo Ko Apni Taraf Mutawajjoh Karta Hai, Mardo Ka Dil Lubhata Hai.

To Jo Burka Mardo Ko Dawate Nazaara De Aisa Burka Aurato Ke Liye Jaiz Nahi Kyunki Aise Burke Se Parde Ka Maqsad Haasil Nahi Hota.
Pehle Burko Ka Haal Ye Tha Ko Itna Saada Hota Tha Ki Pehennewali Aurat Ka Pata Nahi Chalta Tha Ki Moti Hai Ya Dubli Ya Buddhi Hai Ya Jawan Hai. 

Lekin Aaj !!! Jism Ki Puri Banawat Ka Andaaz Ho Jaata Hai. Aise Aise Maqaam Par Nag Lage Hote Hai, Aise Aise Maqaam Par Embroydi Hoti Hai, Aise Bhadkile Colours Hai Ki Na Dekhnewala Bhi Mutawajjoh Ho Jaye.
Jaha Pehke Naqaab Huwa Karte The Waha Ab Nose Piece Aa Gaya...
Gaur Karneki Baat To Ye Hai Ke Aaj Ke Hazaaro Rupaye Ka Burka Pehen Kar Bhi Tum Izzat Ko Mehfooz Na Kar Sake...

Wo Paak Muqaddas Aurate Wo Qanizaye Fatima Johra Radiallahu Anha Jo 17-17 Pebandwali Chadar Odh Kar Nikalti Thi Magar Gairat Ka Ye Haal Tha Ki Hoore Jannat Bhi Zank Zank Kar Rashq Ki Nigaho Se Dekh Liya Karti Thi...
Unki Gairat Ka Ye Aalam Tha Ki Daman Nichod De To Farishte Wuzu Kare Unke Daman Par. Peband To The Lekin ALLAHU Akbar Gunaaho Ke Dhabbe Nahi The, Be-Pardagi Aur Ayyashiyo Ke Dhabbe Nahi The...
Chod Do Is Farzi Parde Ko Wo Parda Karo Jiska Huqm Islam Ne Diya Hai.
Aajse Ye Ahed Karlo Aisa Burka Na Kharidoge Na Pehnoge Aur Apne Gharwalo Ko Bhi Rokoge.

Aurat Ka Parda Karna Qur'an Sharif Ki Roshni Me Yaha Bayan Kar Raha Hu. Aap Is Par Gaur Kare Aur Amal Kare. Apne Dosto, Rishtedaro Ko Bhi Bataye.

ALLAH Rabbul Aalameen Irshad Farmata Hai
"Aur Musalman Aurato Ko Hukm Do Apni Nigahe Kuch Nichi Rakhe Aur Parsai Ki Hifazat Kare Aur Apna Banao Na Dikhaye Magar Jitna Khud Hi Jaahir Hai. Aur Dupatte Apne Girebano Par Dale Rahe Aur Apna Singaar Jaahir Na Kare Magar Apne Shauharo Par"
(Kanzul iman,Para 18,Surah Noor,Aayat 31)

Is Aayat Ke Tehat Aurato Ko Apne Girebano Par Dupatte Dale Rehneka Huqm Hai Aur Apne Banav Wa Singaar Ko Apne Shauhar Ke Alawa Kisi Gair Mard Ke Samne Jaahir Karne Se Mana Farmaya Hai. Afsos ! Aaj Hamari Behene Tight Fitting Ke Kapde Pehen Rahi Hai, Net Ke Kapde Pehen Rahi Hai Jisme Saaf Unke Jism Ka Banav Dikhta Hai. Aise Kapde Pehenti Hai Jinse Mard Unki Taraf Mutawajjah Ho. Behsaq ! Behayaai Ka Dardnaak Azaab Hai.

ALLAH Rabbul Aalameen Irshad Farmata Hai
"Aye Nabi Apni Biwiyo Aur Sahabzadiyo Aur Musalman Ki Aurato Se Farmado Ki Apni Chadaro Ka Ek Hissa Apne Muh Par Dale Rahe. Yah Unke Nazdik Tar Hai Ki Unki Pehchan Ho To Sataayi Na Jaye. Aur ALLAH Bakshnewala Meherbaan Hai."
(Sure Ahzab, Para 22, Aayat 59, Tarzuma: Kanzul Imaan)

In Do Aayato Me Parda Kis Tarah Karna Hai Iska Huqm Hai. Jo Islami Behene Parda Karti Hai Beshaq ! Unke Liye Duniya Wa Aakhirat Me Bhalaayi Hai. Aur Jo Parda Nahi Kar Rahi Hai Wo Behene Gauro Fikr Kare Aur Amal Kare. Beshaq ! ALLAH Ta'ala Ko Hamare Tamaam Kaamo Ki Khabar Hai. Aur Aapke Aamal Ke Mutabiq Aapka Hamsafar (Shauhar) Hoga. Paak Daman Sutre Ladkiyo Ke Liye Paak Daman Ladke Aur Gandi Ladkiyo Ke Liye Gande Ladko Ki Jodiya Banayi Gayi Hai.

ALLAH Ta'ala Quran Shareef Me Irshad Farmata Hai
"Gandiya, Gando Ke Liye Aur Gande, Gandiyo Ke Liye.
Sutriya, Sutro Ke Liye Aur Sutre Sutriyo Ke Liye"
(Kanzul Imaan, Para: 18, Surah Noor, Aayat No: 26)

Is Aayat Se Hame Ye Malum Hota Hai Ke ALLAH Rabbul Aalameen Ne Apne Bande Aur Bandiyo Ke Jode Chun Rakhe Hai. Gande Badkar Mard Ke Liye Gandi Badkar Aurat Aur Gandi Badkar Aurat Ke Liye Ganda Badkar Mard. Aise Hi ALLAH Ta'ala Ne Saaf Sutre Paak Daman Ladka Aur Ladkiyo Ke Liye Sutri Paak Daman Ladki Aur Ladka Jodi Banayi Hai.

=====================================================================

Nikah ke Talluk Kuch Hadees

Hazrat Ibne Abbas Radiallaho anhu se Riwayat He ke Huzoor Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad Farmaya
"Gawaho ke bagair Nikah karnewali Aurate Jaaniya (Zina Karnewali) He
(Tirmizi sharif,Jild 1, Safa 563, Hadees no 1095, Bab no 751)

Huzoor Sayyadna Gause Aazam Shaikh Abdul Qadir Jilani Radiallahu anhu farmate he:
"Nikah Jumerat Ya Jumma Ko Karna Must'hab he aur Subah ki Bajaye sham ke waqt Nikah Behtar karna He"
(Gunyatuttalebin, Bab no 5, Safa 115)

"Jis kisine Sohbat ki bate logo me bayan ki uski misal aisi he jaise shaitan Aurat shaitan Mard se Mile aur Logo Ke samne hi khule aam sohbat karne lage"
(Abu Dawood, Jild 2, Hadees no 407, Safa 155,Bab No 127)

Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
"Allah ki laanat Bad Nigahi karnewale par aur Jiski taraf Bad Nigahi ki jaye"
(Bayhaqi Sharif,Mishkat sharif Jild 2,Safa 77)

=====================================================================

Nikah Kaha Karna Chahiye

Ummulmomenin Hazrat Aayesha siddiqa Radiallahu Anha, Hazrat Anas Bin Malik, Hazrat Abdullah ibne umar radiallahu anhu se Riwayat he ke Huzoor Akram Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
"Apne Nutfe (Shadi ke liye) Achchi jagah talash karo.
apni Biradri me Byah ho, aur Biradri se byah kar lao ki Aurate Apne hi Kunbe ke Mushaba (Milte hue Bachche) Janti he"
(Ibne Maja Jild 1, Hadees no 2038, Safa 549, Bayhaqi Sharif wa Haaqim)

Hazrat imam Bukhari Radiallahu Anhu Riwayat karte he ki
"Aur Must'hab (Behtar) He ke apni Nasl ke liye Behtar Aurat chune Lekin ye Wajib nahi"
(Bukhari sharif Jild 3, Bab no 41, Safa 56)

Hazrat Abuhuraira wa Hazrat Jaabir Radiallaho Anhu se Riwayat He Ke Nabi E Rehmat Sallalaho Alayhi Wasallam Ne irshad farmaya:
"Aurat se 4 chizo ki wajahse nikah kiya jata he
1. Uska Maal
2. Husn wa Jamal
3. Uska Khandan
4. Uske Deendar hone ki wajahse.
Lekin tu Deendar Aurat Ko Hasil Kar"
(Bukhari sharif Jild 3, Safa 59, Tirmizi sharif, Jild 1, Safa 555)

Pyare Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
"Aurato se unke Husn ke sabab shadi na karo ho sakta he uska Husn tumhe Tabah kar de, na uske Maal ki wajahse shadi karo ho sakta he ke unka Maal tumhe gunaho me Mubtela kar de,Balki Deen ki wajahse nikah kiya karo,
Kali,Chapti,Badsurat Londi agar Deendar ho to Behtar he"
(Ibne maja, Jild 1, Hadees no 1926, Safa 522)

=====================================================================

Kin Logo se Nikah karna Jaiz Nahi

Hazrat Amra bint Aburrahman wa Hazrat Maula Ali Radiallahu anhu se Riwayat he Ke Sarkare Madina Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:
"Raja'at yani dudh ke rishte se bhi wahi rishte haram ho jate he, Jo wiladat se haram ho jate he"
(Bukhari Sharif, Jild 3, Safa 62, Tirmizi sharif, Jild 1, Safa 587)
Yani jisne bachpan me kisi aurat ka dudh piya to usse Maa ka rishta ho jata he. Ab uski beti Behen he usse Nikah Haram he.

Allah Ta'ala Quran Pak me irshad farmata he
"Haraam hui tum par tumhari Maa, Betiya, Behne Aur Fufiya, Khalaye, Bhatijiya, Bhanjiya, Aur Tumhari Ma jinhone Dudh pilaya Aur Dudh ki behne, Aurato ki Maaye."
(Kanzul iman, Para 4, Surah Nisa, Aayat 23)

Hazrat Abdullah ibne Abbas radiallaho anhu se imaam bukhari radiallahu anhu se Riwayat kiya
"Char se jyada Biwiya isi tarah Haraam he jaise Aadmi ki Beti Aur Behen"
(Bukhari Sharif, Jild 3, Bab no 54, Safa 64)

Allah irshad farmata he
"Aur Mushriko ke nikah me Na do Jab tak wo Imaan Na laye."
(Tarjuma: Kanzul Iman, Para 2, Surah Bakar, Aayat 221)

Allah irshad farmata he
"Aur Shirk wali Aurato se Nikah na karo Jab tak Musalman Na ho Jaye"
(Tarjuma: Kanzul imaan, Para 2, Surah Bakar, Aayat 221)

=====================================================================

Naik Mardo Ke Liye Naik Aurat Aur Naik Aurat Ke Liye Naik Mard

ALLAH Rabbul Aalameen Irshad Farmata Hai
"Gandiya, Gando Ke Liye Aur Gande, Gandiyo Ke Liye.
Sutriya, Sutro Ke Liye Aur Sutre Sutriyo Ke Liye"
(Kanzul Imaan, Para: 18, Surah Noor, Aayat No: 26)

Is Aayat Se Hame Ye Malum Hota Hai Ke ALLAH Rabbul Aalameen Ne Apne Bande Aur Bandiyo Ke Jode Chun Rakhe Hai. Gande Badkar Mard Ke Liye Gandi Badkar Aurat Aur Gandi Badkar Aurat Ke Liye Ganda Badkar Mard. Aise Hi ALLAH Ta'ala Ne Saaf Sutre Paak Daman Ladka Aur Ladkiyo Ke Liye Sutri Paak Daman Ladki Aur Ladka Jodi Banayi Hai.
Beshaq ALLAH Apne Wade Ke Khilaf Nahi Farmata.

Ek Dafa Ek Ladki ne Ek Buzurg Se Pucha
ke Mera NIKAH Ek Achhe Aur Naik Ladke Se Kaise Ho Sakta Hai
Buzurg Ne Jawab Diya.
Apne Liye Naik Aur Parsa Mard Ki Fikar Chod Kar
Khud Apne Apko Naik Aur Parsa Banane Ki Koshish Karo
Kyun Ke
ALLAH Subhan Wata Aala QURAN-E-PAAK me Farmate Hai Jiska Mafhoom Hai Ke
"Naik Mardon Ke Liye Naik Aurtein Aur Naik Aurton ke liye Naik Mard"!!!

=====================================================================

Hadees Of Walima

Hazrat Abdurrahman Bin Aauf radiallaho anhu ka bayan he ki muzse Nabi-E-Kareem Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
"Walima karo chahe 1 hi Bakari Ho"
(Bukhari sharif, Jild 3, Safa 85)

Hazrat Safiya Binte Shaiba Radiallahu Anha farmati he ki
"Nabi Sallalaho Alayhi Wasallam ne Apni baz Ajwaje Muthrat (Biwiya) ka walima 2 Ser Jav ke sath kiya tha"
(Bukhari sharif,Jild 3, Safa 87)

Hazrat Abdullah Bin Umar Radiallahu anhu se Riwayat he ki Rasoolallah Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
"Jab tum me se kisi ko walima khane ke liye bulaya jaye to wo Hazir ho jaye"
(Bukhari sharif, Jild 3, Safa 87)

Hazrat Abuhuraira Radiallaho anhu se riwayat he ke Huzoor Akram Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
"Jo dawat Qubool na kare usne Allah ta'ala wa Rasool ki Nafarmani ki"
(Bukhari sharif,Jild 3,Safa 88,Hadees no 163,Bab no 102)

Sarkare Madina Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
"Dawat Me Jao Jab Ke Bulaye Jao"
Aur Farmaya
"Jo bagair bulaye dawat me gaya wo chor ho kar ghusa aur gaaratgiri karke lutere ki soorat me bahar nikala"
(Abu dawood, Jild 3, Bab no 127, Hadees no 342, Safa 130)

Hazrat Abuhuraira Radiallaho anhu se Riwayat he ke Rasool-E-Khuda Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
"Subse bura walima ka wo khana he jisme Amiro ko bulaya jaye Aur Garibo ko nazar andaz kar diya Jaye"
(Bukhari sharif,Jild 3,Safa 88)

=====================================================================

Allah Haq Farmane Me Nahi Sharmata

Allah Ta'ala irshad farmata he
"Aur Allah haq farmane me nahi sharmata"
(Tarjuma: Kanzul iman Para 22, Surah Ahjab, Aayat 53)

Ummulmomenin Hazrat Aayesha Siddiqa Radiallahu Anha irshad farmati he:
"Ansari (Madina Munawwarah me rehnewali) Aurate kya khub he ke unhe Deen samazne me Haya (Sharm) Nahi Rokati"
Yani woh deeni bate malum karne me nahi sharmati.
(Bukhari Sharif,Jild:1,Safa:150, Ibne Maja, Jild: 1, Safa: 202)

Noor-E-Mujassam, Rasool-E-Khuda, Habeeb-E-Kibriya,Nabi-E-Rehmat, Shafa-E-Mehshar, Fakhar-E-Do aalam, Fakhar-E-Bani-E-Aadam, Malik-E-Do Jahan, Khatmul Ambiya, Rehmatallil Aalamin, Tajdare Madina Rahat-E-Kalbo Sina, Janabe Ahmade Mujtaba, Muhammad Mustafa Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:
"Nikah meri sunnat he"
(Ibne Maja, Jild 1, Hadees no 1913, Safa 518)

=====================================================================

Shaadi Ke Baad Pehli Raat Ka Islamic Tarika

Shadi Karna Sunnat Hai Aur Deen-E-islam Ka Ek Hissa Hai. Isliye Har Insan Ko Shaadi Karna Chahiye. Bager Kisi Jaiz Wajah Ke Agar Koi Shaadi Nahi Kar Raha Ya Derse Kar Raha Hai To Ye islam Ke Khilaf Hai.
Jin Logo Ki Shaadi Honewali Hoti Hai,
Unme Se Bahut Se Logo Ke Dimaag Mein Kuch Sawal Hote Hain Ki Islam Ke Hisab Se Shaadi Ke Baad Ki Pehli Raat Ko Kya Karna Chahiye, Ya iska Sahi Tarika Kya Hai.
Hum Yaha Pehli Raat Ki Kuch Baat Karenge,
Lekin Ye Baat Sirf islamic Tarika Sikhne
Ki Niyat Se Padhiye,
Dil Mein Kuch Gandagi Na Rakhiye Aur Na Koi Galat Comment kare.
Hamara Maqsad Sirf Un Logo Ko islamic Tarika Batana Hai Jinko Is Baare Mein Maalumaat Kam Hai.

Shaadi Ke Baad Jab Ladka Room Mein Jaye
To Sabse Pehle Salam Kare, Kheriyat Maalum Kare Aur Thodi Baat Karne Ke Baad Ladki Ke Peshani (forehead) Ke Baal Sidhe Haath Aahista Se Pakadiye Aur Ye Dua Padhe.
Hazrat Muhammad Sallallaho Alaihi Wasallam Ne irshad Farmaya:
"Jab Koi Shaks Nikah Kare
Aur Pehli Raat Ko Apni Dulhan
Ke Paas Jaye To Narmi Ke Sath Uski Peshani Ke Thode Se Baal Apne Sidhe
Hath He Le Kar Yah Dua Padhe
"Allahumma in'ni as'a'luka min
khai'riha wakhai'ri ma fiha wakhairi
ma jabalta'ha alai wa a'udhu bika min
shar'riha washar'ri ma fiha wa sharri
ma jabalta'ha alai"
Tarzuma:
Aye ALLAH me tujse iski (apni biwi ki) bhalai aur khairo barkat mangta hu aur uski fitari aadato ki bhalai aur teri panah chahta hu iski burai aur fitari aadato ki burai se.
(Abu Dawood : jild-2,page-150, Hasne
Hasin : page-164)
(Bukhari shareef, Jild 3, Safa 473)

Peshani ke baal pakad kar dua karne
se pahle apni biwi ko ye bata sakte hain ki ye hamare Aaqa Hazrat Muhammad Sallallahu Alyhi Wasallam Ka Hukm Hai,
Warna Jis Ladki Ko Nahi Maalum Ho Wo Kuch Galat Na Sochne Lage. Iske Baad Agar Wuzu Na Kiya Ho To Wuzu Kar Lijiye 
Aur 2 Rakat Nafal ALLAH Ka Shukr Ada Karne Aur Usse Dua Karne Ke Liye Padhiye, Namaz Is Tarah Padhiye (Jamat Bana Kar)
Ki Ladka Aage Imaam Ban Kar Khada Ho Aur Ladki Uske Piche Khade Ho Jaaye.
Dono Saath Namaz Padhe.

Namaz Ki Niyat :
Niyat Ki Maine 2 Rakat Namaz Nafil Shukrane Ki Waste ALLAH TA'ALA Ke Rukh
Mera Kaaba Sharif Ke Taraf Allaho
Akbar.

Fir Humesha Jaise Namaz Padhte Ho
Waise Hi Namaz Padhe Aur Namaz Ke Baad Shaadi Saath Kheriyat Se Hone Ke Liye ALLAH Ka Shukr Ada Kijiye Aur Ye Dua Kariye Ki ALLAH Is Shaadi Ko Kaamyab Banaye, Aage Bhi Hansi-Khushi Rakhe,
Bacche Nek De, Aur Is Tarah Bhi Dua Kar Sakte Hain
"Aye ALLAH Tera Shukra Aur Ehsan Hai Ki Tune Hume Ye Din Dikhaya
Aur Hume Is Khushi Wa Ne'amat Se Nawaza. Aur Hume Apne Habeeb Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Sunnat Par Amal Karne Ki Taufiq Ata Farmayi.
Aye ALLAH Humari Is Khushi Ko Humesha Isi Tarah Kayam Rakh.  Hume Mel-Milap Pyar Muhabbat Ke Sath Zindagi Gujarne Ki Taufiq Ata Farma. Ya Rabbul Aalameen Hume Nek Farmabardar Aulad Ata Farma.
Aameen
(Awwal Aakhir Durood)

Aur Iske Alawa Jo Bhi Aap Shaadi Ki
Kaamyabi Ke Liye Dua Karna Chahe Kar
Sakte Hain. Dua Ke Pahle Aur Aakhir Mein Durood Sharif Padh Lijiye.
Namaz Ke Baad Kisi Bhi Kaam Mein Jald-Baazi Na Kare Balki Ladki Se Is Tarah Baat Kariye Ki Uski Thodi Jhijhak Door Ho Jaaye.
Thoda Apne Baare Mein Baat Kariye Thoda Uski Suniye. Jab Ladki Ki Thodi Jhijhak Door Ho Jaye To Aur Aap Saath Mein Sone Ka Irada Karen To Usse Pahle Ye Dua Padh Lijiye.

"Bismillah, Allahumma jannib nash
Shaitana, wa Janni bish-Shaitana ma
razaq tana.'
Tarzuma:
"ALLAH ke naam se. Aye ALLAH door kar hamse shaitan mardud ko aur door kar shaitan mardud ko us Aulad se jo tu hame ata karega"
"Jo shaks Is Dua Ko Sohbat Ke Waqt Padhega
(Dua Wahi Jo Upar Likhi Hai)
To ALLAH Us Padhnewale Ko Agar Aulad Ata Farmaye To Us Aulad Jo Shaitan Kabhi Bhi Nuksan Na Pahuncha Sakega"
(Bukhari sharif Jild 3,Safa 85,
Tirmizi sharif,Jild 1,Safa 557)

Note :
Ye Yaad Rakhiye Ki Jo Peshani Ke Baal Pakad Kar Dua Karna Hai Wo Sirf Pehli Raat Mein Hi Padhna Hai Aur Ek Hi Baar Padhna Hai, Lekin Ye Waali Dua
("Bismillah, Allahumma jannib
nash Shaitana, wa Janni bish-Shaitana ma razaq tana")
Aapko Hamesha Padhni Hai,
Jab Bhi Biwi Ke Saath Sone Ka Irada Ho
Usse Pahle Is Dua Ko Padhle

====================================================================


Sohbat/Hambistari Ki Dua

Saware Qaynat, Habeebe Khuda, Shafi-E-Mehshar, Rehmatallil Aalamin Hazrat Muhammad Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Sohbat Ke Liye Ye Dua Irshad Farmayi
"Bismillah, Allahumma jannib nash
Shaitana, wa Janni bish-Shaitana ma
razaq tana"

Tarzuma:
"ALLAH ke naam se. Aye ALLAH door kar hamse shaitan mardud ko aur door kar shaitan mardud ko us Aulad se jo tu hame ata karega"

"Jo shaks Is Dua Ko Sohbat Ke Waqt
Padhega (Dua Wahi Jo Upar Likhi Hai)
To ALLAH Us Padhnewale Ko Agar Aulad Ata Farmaye To Us Aulad Jo Shaitan Kabhi Bhi Nuksan Na Pahuncha
Sakega"
(Bukhari sharif Jild 3,Safa 85,
Tirmizi sharif,Jild 1,Safa 557)

Jab Aap Miya-Biwi Saath Mein Sone Ka Irada Karen To Usse Pahle Ye Dua Padh Lijiye. Yani Sohbat Karne Se Pehle Ye Dua Hamesha Padhe.
Insha ALLAH Is Dua Ki Barkat Se Aapki Aulad Shaitan Se Mehfooz Hogi.

====================================================================


Humbistari/Sohbat Karne Ka Islamic Tariqa

Huzoor Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
"Tum me se jo koi apni Biwi ke pas jaye to Parda kar le aur Gadhe ki tarah na shuru ho jaye"
(Ibne Maja,Jild 1,Safa 538, Hadees no 1990,Bab no 616)

Ummulmomenin Hazrat Aayesha Siddiqa Radiallaho Anha se Riwayat he ki Huzoor Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
"Jo Mard apni biwi ka hath usko behlane ke liye pakadta he,
Allah ta'ala uske liye 1 neki likh deta he,
Jab mard pyar se Aurat ke gale me hath dalta he uske haq me 10 nekiya likhi jati he,
Aur jab Aurat se Sohbat karta he to Duniya aur jo kuch usme he un subse behtar ho jata he"
(Gunyatuttalebin Safa 113)

Sohbat se pehle khud bechain na ho jaye apne aap par pura itminan rakhe jaldbaji na kare pehle biwi se Pyar Muhabbat ki batchit kare fir bos wa kinar (Kiss) wagaira se usko razi kare aur isi duran dil hi dil me ye dua padhe:
"Bismillahil Aliyul Azime Allaho Akbar Allaho Akbar"
Tarjuma: "Allah ke nam se Jo bujurg wa Bartar ajmatwala he. Allah bahut bada he. Allah bahut bada he.

iske bad jab mard,Aurat, Sohbat ka irada kar le to kapade jism se alag karne se pehle ek martaba "Surah ikhlas" Padhe
"Kul huwallaho Ahad. Allahussamad. Lam-ya-lid. Walam yoolad walam ya kullahu kufuwan ahad."
Surah ikhlas padhne ke bad ye dua padhe
"Bismillahi Allahumma jannib nash shaitana wa janne bish shaitana ma rajak tana."
Tarjuma: "Allah ke nam se. Ae Allah door kar humse shaitan mardud ko aur door kar shaitan mardud ko us Aulad se jo tu hume ata karega"
(Bukhari sharif, Jild 3, Safa 473)

Hazrat ibne Abbas Radiallaho Anhu se Riwayat he ke Huzoor Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
"Jo shaks is dua ko Sohbat ke waqt padhega (Dua wahi jo upar likhi he) to Allah us padhnewale ko agar Aulad ata farmaye to us Aulad ko Shaitan kabhi bhi nuksan na pahuncha sakega"
(Bukhari sharif Jild 3,Safa 85, Tirmizi sharif,Jild 1,Safa 557)

Huzoor Gause Aazam Shaikh Abdul Qadir Jilani wa Hazrat Muhkkike islam shaikh Abdul haq mohoddas dahalwi aur Aala hazrat imam Ahmad Raza Khan irshad farmate he
"Agar koi shaks sohbat ke waqt dua na padhe to us shaks ki sharmgah se shaitan lipat jata he aur us mard ke sath shaitan bhi us Aurat se sohbat karne lagta he. Aur jo aulad paida hoti he woh na farman,buri aadatwali,Begairat,Bad-deen hoti he. Shaitan ki is dakhl andaji ki wajahse Aulad me Tabahkari aa jati he"
(Gunyatuttalebin Safa 116, Fatwa-E-Razviya, Jild 9,Safa 48)

Inzal (Mani nikalte waqt) ki Dua:
Jis waqt inzal ho yani mard ki Mani uske Uzoo-E-Tanasul se nikal kar Aurat ki Sharmgah me dakhil hone lage us waqt dil hi dilme ye dua padhe:
"Allahumma-La-Taja'al Lish Shaitane Fi-M-Razkatni Nasi-ba"
Tarjuma: "Aye Allah shaitan ke liye hissa na bana usme Jo(Aulad) tu hume ata kare"
(Hisne Hasin Safa 165, Fatwa-E-Razviya Jild 9,Safa 161)
====================================================================

Suhag Rat Ke Aadab:

Jub dulha,dulhan kamare me jaye aur tanhai ho to behtar ye he ki, subse pehle dulha, dulhan wuzoo karle aur fir 2 rakat nafil namaz Shukrana (Ba Jamat) padhe. Dulhan agar Haiz (Mahvari) ki halat me ho to namaz na padhe.
Dulha Imaamat kare aur Dulhan uske piche namaz padhe.

Namaz ki niyat:
Niyat ki maine 2 Rakat Namaz nafil Shukrane ki waste Allah Ta'ala ke rukh mera Kaaba sharif ke taraf, Allaho Akbar.

fir humesha jaise namaz padhte he waise hi namaz padhe aur is tarah dua kare
"Aye ALLAH tera shukra aur Ehsan he ki tune hume ye din dikhaya aur hume is khushi wa ne'amat se nawaza aur hume apne Habeeb Sallalaho Alayhi Wasallam ki sunnat par amal karne ki taufiq ata farmayi
Ae Allah humari is khushi ko humesha isi tarah kayam rakh, hume mel milap pyar muhabbat ke sathe zindagi gujarne ki taufiq ata farma.
Ae Rabbe kadir hume nek farmabardar aulad ata farma.
Aameen
(Gunyatuttalebin Jild: 5, Safa: 115)

Hazrat Abdullah ibne masud Radiallahu ta'ala anho farmate he:
"Ek shaks ne bayan kiya ki maine ek jawan ladki se nikah kar liya he aur muze dar he ki wo muze pasand nahi karegi.
Hazrat Abdullah bin Masud ne farmaya:
Muhabbat Allah ki taraf se hoti he aur nafrat shaitan ke taraf se.
jub tum biwi ke pas jao to subse pehle use kaho ki woh tumhare piche 2 rakat namaz padhe
(Gunyatuttalebin Jild: 5, Safa: 115)

Namaz aur fir uske bad dua padh lene ke bad dulha,dulhan palang par sukun se baith jaye fir uske bad dulha apni dulhan ki peshani ke thode bal apne sidhe hath me narmi ke sath muhabbat bhare andaz me pakade aur ye Dua padhe:

Hazrat Amra bin Aas Radiallahu Anho se riwayat he ke Sarkare Madina Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:
"Jab koi shaks nikah kare aur pehli rat (Suhag rat) ko apni dulhan ke pas jaye to narmi ke sath uski peshani ke thode se bal apne sidhe hath me le kar yah dua padhe:

"Allahumma inni as aluka min khaire-h-wa-khaire-m jabal-t-h-alayhe wa auzoo be-ka-min sharre-h-wa sharre-m-jabal-t-h-Alaih"
Tarjuma:
Aye Allah mai tuzse iski (Biwi ki) bhalai aur khairo barkat mangta hu aur uski fitari aadato ki bhalai, aur teri panah chahta hu isko burai aur fitari aadato ki burai se.
(Abu Dawood Jild: 2, Safa: 150, Hasne hasin Safa: 164)

Ek Badi Galatfehmi:
Kuch logo ka khayal he ki jub Aurat se pehli bar sohbat ki jaye to uski sharmgah se khoon kharij hona jaruri he
Ye khoon ka aana uske ba ajmat pak daman hone ka suboot samza jata he
Agar khoon nahi aaya to aurat badchalan aawara samzi jati he aur aurat ki sharafat aur ba ajmat hone me shak kiya jata he. Aaiye is masle ke bare me hum jante he

Kuwari ladkiyo ki sharmgah me thoda andar ek patali zilli hoti he.
Jise Parda-E-Ajmat Ya Parda-E-Bakarat (Hymen) kehte he.
Is zilli me chota sa surakh hota he jiske jariye ladaki ke balig hone par Haiz (Mahwari) ka khoon apne waqt par khariz hota rehta he.
Shadi ke bad jab mard pehli bar sohbat karta he to mard ke Uzoo-E-Tanasul ke uske takarane ki wajahse wo zilli fat jati he.
Is mauke par aurat ko thodi taklif hoti he aur thodasa khoon kharij hota he.
Fir yah zilli humesha ke liye khatam ho jati he.
lekin ye zilli patali aur najuk hoti he to kai martaba kisi ladaki ko ye kisi mamuli chot ya kisi hadse ki wajahse ya kabhi khud ba khud fat jati he. Lihaza agar aurat se sohbat ke dauran khoon na nikale to use aawara samazna munasib na hoga jub tak ki mukammal sharai suboot na ho

"Jiska Parda-E-Ajmat kudne,haiz aane ya jakhm ya umar jyada hone ki wajahse fat jaye wo aurat hakikat me Bakirah (Kuwari, Pak daman) hai.
(Tanwirul Absar, Fatwa-E-Razviya Jild: 12, Safa: 36)

====================================================================

Biwi Se Sohbat/Humbistari Ke Adaab

Biwi se Sohbat Ke Adaab
Humbistari Ke Adaab

Mas'ala:
Shari'at Me Aurat Se Sohbat ki koi Had Muqarrar Nahi
Magar Itna Ho ki Aurat ki Nazar Auron ki Taraf Na Uthe.
(Qanoon-E-Shariat)

Hakimo Ne kaha he
Sohbat ke Faoran Baad Pani Na Piye
Isse Dama (saa'ns) ki Bimari hone ka Khatra He

Tum me koi apni biwi ke paas jakar dhubara jana chahe tho wuzu karle.
Raawi:
Hazrat Abu'sayid khudri Raziallahuanhu

Mubashirat ke waqt Mard Apni Bibi ke Siwa kisi 2sri Aurat ka Khayal Laye Toh Shakht Gunah He
Aur Ek Tarah ka Chhoti kism ka ZINA He
(GAOS-E-AAZAM)

Mas'ala:
Mubashirat (sohbat) ke Daoran Baat karna Maq'ruh He
Balki Bacche ke 'GUNGE' Ya Totle Hone ka khatra He. 

(Fatwa Razviya)

Mas'ala:
Mard Ne Aurat ki Chhati Chusi Aur DUDH Halak Me Utar Gaya Tab Bhi Nikah Na Tuta Lekin
Jaan-Bujh ke Halak Me Lena Jaa'iz Nahi.
(DURRE MUKHTAR)

Mas'ala:
Sohbat ke waqt Mard Apni Aurat ke Pistan (chhati) Muh Me Le Sakta He.
Ha Agar Aurat DUDH Wali Ho Toh Chusna Nahi Chahiye

Tum me se koi Apni Bivi Se Sohbat kare toh Uski Farz (sharmgah) ko Na Dekhe, Isse Aankho ki Roshni Khatm Ho Jaati He.
[MIMAMAZAM]

DAORANE Shohbat Aurat ki Sarmgaah Dekhne Se (nisyan) Bhulne ki Bimari Paida Hoti He.
(QANOON-E-SHARI'AT)
====================================================================

Hadees of Sohbat:

Hazrat Abu Musa Asha'ari Radiallahu anhu se riwayat he ki Huzoor Akdas Sallalaho Alayhi Wasallam ne farmaya:
Jab koi Aurat Khushboo laga kar logo me nikalti he to woh Aurat Jaaniya(Balatkar karnewali Peshawar) He.
(Abu Dawood Jild 3 Safa 264)

Imame Ahle Sunnat Azimul Barkat Aalahazrat radiallaho anhu ne farmaya
"Sohbat ke waqt apni biwi ke pistan (Stan) muh me lena jaiz he balki nek niyat se ho to sawab ki ummid he.
Agar Aurat dudhwali ho to chusna na chahiye jisse dudh halak me chala jaye aur agar muh me aa jaye aur halak me na jane de to harj nahi ki aurat ka dudh haram he,Najis nahi"
(Fatwa-E-Razviya Jild 9 Safa 72)

Allah Rabbul izzat irshad farmata he:
Rozo ki rato me apni aurat ke pas jana tumhare liye halal hua.
(Kanzul Iman Para 2,Surah Bakar,Aayat 187)

Hazrat Abijar Radiallahu anhu se riwayat he ki Rasoolallah Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:
Pakhane ke mukam me Aurat se Sohbat karna haram he
(Munsade imame aazam Safa 223)

Hazrat Abu Huraira radiallahu anhu se riwayat he
Jisne Aurat ya Mard se uske piche ke mukam se sohbat ki usne yakinan kufra kiya
(Abu Dawood)

Rasoolallah Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:
Allah tala Qayamat ke din aise shaks ki taraf nazre rehmat nahi farmayega.
Jisne apni Aurat ke piche ke mukam se sohbat ki
(Bukhari sharif,Tirmizi,Ibne maja)

Tumhari Aurate tumhare liye khetiya he.
To aao apni khetiyo me jis tarah chaho.
Aur apne bhale ka kam pehle karo.
(Kanzul iman Para 2,Surah Bakar,Aayat 223)

====================================================================

Agar Hamal hona kismat me ho to wo ho kar rahega. Chahe aap azal kyu na kare.

Pyare Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Azal kar ek choti kism ke bache ko jinda zamin me gad dena he
(Ibne maja,Jild 1,Bab 649,Hadees 2082,Safa 560,Mishkat sharif,Jild 2,Hadees 3051,Safa 89)

Ek shaks Bargahe Risalat me hajir hua arz ki
Ya Rasoolallah! Meri ek Khadema he jisse me azal karta hu me nahi chahta ki wo hamela rahe.
Aap ne farmaya
Tu chahe to azal karle agar takdir me he to khud ba khud bachcha paida hoga
Fir wo shaks kuch arse bad hazir hua aur arz ki
Ya Rasoolallah !
Use to bacha paida ho gaya
Aapne farmaya
Maine to keh diya tha ki jo kuch uske mukaddar me he woh usko jarur milega.
(Abu dawood,Jild 2,Bab 126,Hadees 406,Safa 154)

Hazrat Anas radiallahu anhu se riwayat he ki
Madani Aaqa Alayhissalam ne irshad farmaya
Agar tu us pani ko jisse bachcha paida hota he(Mani) kisi chattan par dal de to Allah ta'ala chahe to usse bhi bachcha paida kar dega.
(imaam Ahmed)

Rab Ta'ala irshad farmata he
Musalman mardo ko hukm do apni nigahe kuch nichi rakhe,
aur apni sharmgaho ki hifazat kare.
Ye unke liye bahut suthra he.
Beshak Allah hi ko unke kamo ki khabar he.
(Kanzul iman Para 18,Surah Noor,Aayat 31)
imam gazali is aayat ki tfasir me farmate he:
is aayat me bade se murad Zina karna aur chote se murad Bosa(Kiss) lena,Wa buri nazar se dekhna aur chuna he.
(Mukashefatul Kuloob,Bab 22,Safa 167)

Tamam Hadees ke mutabik Shariat me Condum,Mala D,Copertee inka istemal ya azal karna koi gunah nahi he.
Kyunki azal aur in sub chizo ka maqsad ek hi he. Agar kismat me bachcha likha he to wo ho kar rahega.

====================================================================

Azal kiya karo.

Azal: Aurat se sohbat karte waqt jab inzal (Mani nikalna) karib ho to mard apna Uzoo-E-Tanasul Aurat ki sharmgah se nikal kar mani bahar girade.
Is tarah jab mard ki mani aurat ki sharmgah me nahi girti to hamal nahi theherta.

Hazrat Jaabir radiallahu anhu se riwayat he ki
Azal ke mutallik Madani Sarkar Sallalaho Alayhi Wasallam ko khabar pahunchi lekin aap ne hume mana nahi farmaya.
(Mishkat sharif Jild 2,Hadees 3046,Safa 87)

Hazrat Hamid Bin Kais Makki radiallahu anhu ka bayan he ki
Hazrat ibne Abbas radiallahu anhu se Azal ke bare me pucha gaya to unhone kaha
Me azal karta hu.
(Mota sharif Jild 2,Bab 34,Hadees 9697100,Safa 425)

Imam Abdul rawak,Hazrat ibne abbas,Imam tirmizi,Hazrat Maalik bin anas radiallahu anu se riwayat he ki
Azad Aurat yani Biwi se bagair uski izazat azal mana he.
(Bayhaqi sharif,Tirmizi sharif Jild 1,Bab 773,Hadees 1134,Safa 583)

Hazrat Jaabir radiallahu anhu farmate he
Madani Sarkar Sallalaho Alayhi Wasallam ke mubarak zamane me Azal kiya karte the.
Halaki Qurane kareem nazil ho raha tha
(Bukhari sharif Jild 3,Bab 126,Hadees 193,Safa 101
Tirmizi sharif Jild 1,Bab 773,Hadees 1134,Safa 583,Ibne maja Jild 1,Bab 618,Hadees 1996,Safa 539,Mishkat sharif Jild 2,Hadees 3046)

Hazrat umar radiallahu anhu se riwayat he
Madani Sarkar Sallalaho Alayhi Wasallam ne Azad Aurat yani Biwi se bagair uski izazat azal karne se mana farmaya.
(Ibne maja sharif Jild 1,Bab 618,Hadees 1997,Safa 539)

Tip For You:
Aurat ki Haiz ke shuru hone se 1 hafte pehle aur haiz se aurat jis din pak ho jaye uske bad 1 hafte tak sohbat karne se hamal nahi theherta.
Kyunki in dino aurat ke jism me bachcha paida karnewale ande (Ova) nahi hote.

====================================================================

Ladki Ki Pyar Wa Muhabbat Se Parwarish Jannat Me Le Jayegi.

Aaj kal science ne bohot tarakki kar li he. Isika galat istemal kuch log x-rays,sonography ke jariye aurat ke pet me jo bacha ladka he ya ladki jan lete he.
Agar ladki ho to bachcha mar diya jata he.
Ya Allah ! Bohot afsos ki bat he.
Aye imanwalo Allah se daro use humare har kam ki khabar he.
Aise log aulad ke katil aur gunahgar he unhe Roze mehshar saza milegi aur Jannat se mehrum honge.
Ladkiyo ki pyar wa muhabbat se parwarish Maa-Baap ke liye Jannat ka sabab he.
Lihaza Beta aur Beti me koi fark na kare.
Allah hu subko amal ki taufiq ata farmaye
Aameen
(Awwal aakhir durood)


Hazrat Abdullah ibne Abbas radiallaho anhu se riwayat he ki Madani Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Jise ladaki ho fir wo use zinda dafan Na kare,Na usko zalil samze aur Na ladke ko us par ahmiyat de to Allah Ta'ala usko Jannat me dakhil karega.
(Abu Dawood,Jild 3,Bab 548,Hadees 1705,Safa 616)

Madani Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Jisne apni 1 bhi ladaki ya behen ki parwarish ki aur use sharai aadab sikhaya,unse pyar wa muhabbat se pesh aaya aur unki shadi kardi to Allah Ta'ala use jarur Jannat me dakhil karega.
(Abu Dawood,Jild 3,Bab 578,Hadees 1706,Safa 617)

Madani Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Jo log apni bachchiyo ko Pyar wa Muhabbat se parwarish karenge to woh bachchiya unke liye Jahannam se aad ban jayengi.
(Tirmizi sharif,Jild 1,Bab 1279,Hadees 1980,Safa 901)

Madani Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Jisne 2 ladkiyo ki parwarish kiya yaha tak ke wo balig ho gayi to me aur wo Qayamat ke din is tarah karib honge.
Fir Aapne apne 2 ungliyo ko mila kar bataya.
(Muslim sharif)

Madani Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Subse bada gunah ye he ki Allah ka kisi ko sharik thehraye.
Fir uske bad ka gunah ye he ki Apni Aulad ko khane,Pine ke khuf se Katla kiya jaye.
(Bukhari sharif,Jild 3,Bab 576,Hadees 939,Safa 345)

====================================================================

Ladki/Beti Paida Hone Ki Fazilat Hadees Ki Roshni Me

Hazrat Abdullah ibne Abbas Radiallaho Anhu Se Riwayat He Ki
Madani Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam Ne irshad Farmaya
"Jise Ladaki Ho Fir Wo Use Zinda Dafan Na Kare,
Na Usko Zalil Samze Aur Na Ladke Ko Us Par Ahmiyat De To ALLAH Ta'ala Usko Jannat Me Dakhil Karega."
(Abu Dawood, Jild 3, Bab 548, Hadees 1705, Safa 616)
Madani Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam Ne irshad Farmaya
Jisne Apni 1 Bhi Ladaki Ya Behen Ki Parwarish Ki Aur Use Sharai Aadab Sikhaya,
Unse Pyar Wa Muhabbat Se Pesh Aaya Aur Unki Shadi Kardi To ALLAH Ta'ala Use Jarur Jannat Me Dakhil Karega.
(Abu Dawood, Jild 3, Bab 578, Hadees 1706, Safa 617)
Madine Ke Tajdar Sallalaho Alayhi Wasallam Ne irshad Farmaya
"Jo Log Apni Bachchiyo Ko Pyar Wa Muhabbat Se Parwarish Karenge To Woh Bachchiya Unke Liye Jahannam Se Aad Ban Jayengi.
(Tirmizi sharif, Jild 1, Bab 1279, Hadees 1980, Safa 901)
Rehmate Aalam, Shafi-E-Mehshar Hamare Pyare Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam Ne irshad Farmaya
"Jisne 2 Ladkiyo Ki Parwarish Kiya Yaha Tak Ke Wo Balig Ho Gayi To
Me Aur Wo Qayamat Ke Din is Tarah Karib Honge.
Fir Aapne Apne 2 Ungliyo Ko Mila Kar Bataya.
(Muslim sharif)
Khatamun Nabiyyin Sayyadil Ambiyaiyl Mursalin Sallalaho Alayhi Wasallam Ne irshad Farmaya
"Subse Bada Gunah Ye He Ki ALLAH Ka Kisi Ko Sharik Thehraye.
Fir Uske Bad Ka Gunah Ye He Ki Apni Aulad Ko Khane,Pine Ke Khauf Se Katla Kiya Jaye.
(Bukhari sharif, Jild 3, Bab 576, Hadees 939, Safa 345)
SubhanALLAH..
Kya Fazilate Aayi Hai Hadees-E-Paak Me Betiyo Ke Talluq Se.
Magar Afsos! Aaj Ke Zamane Me Log Ladki Ki Paidaish Par Gamzada Ho Jate Hai.
Ladkiyo Ko Ladko Jaisa Darja, Izzat Aur Haq Nahi Dete.
Log Ladko Ko Nasl Ka Chirag Jante Hai Magar Betiya To Na Sirf Duniya Me Unki Khidmat Karti Hai Waldain Ke Wisal Ke Baad Bhi Unke Jannat Ka Sabab Banti Hai.
"Jab Wo BETI Hoti Hai, Apne Walid Ke Liye Jannat Ke Darwaje Khol Deti Hai
Jab Wo BIWI Banti Hai, Shohar Ka Aadha(Half) Deen Muqammal Kar Deti Hai
Jab Wo Maa Banti Hai, Jannat Uske Qadmo Me Hoti Hai."

"Betiya Sabke Muqaddar Me Kaha Hoti Hai

====================================================================

Betiya ALLAH Ki Rehmat/Status Of Girl In Islam-Girls Are ALLAH'S Blessing

"Jab Wo BETI Hoti Hai, Apne Walid Ke Liye Jannat Ke Darwaje Khol Deti Hai
Jab Wo BIWI Banti Hai, Shohar Ka Aadha(Half) Deen Muqammal Kar Deti Hai
Jab Wo Maa Banti Hai, Jannat Uske Qadmo Me Hoti Hai."

SubhanALLAH
Ye Martaba Hai Ek Ladki Ka Deen-E-Islam Me. Ladkiya Kismatwalo Ke Ghar Paida Hoti Hai.
Aaj Kai Log Aise Hai Jo Ladke Ko Behtar Aulad Mante Hai Use Nasl Ka Chirag Jante Hai. Aur Uski Parwarish Bade Shauk Se Karte Hai. Aur Ladki Paida Hone Par Matam Jaisa Mahol Ho Jata Hai. Ladki Ka Istaqbal Aur Parwarish Khushi Se Nahi Kiya Jati.
Is Post Me Hamne Ladkiyo Paida Hone Par Honewali Barkato Aur Rehmato Ka Bayan Kiya Hai. Taki Log Ladkiyo Ki Ahmiyat Ko Jane.
ALLAH Hame Ladkiyo Ki Qadr Karne Ki Taufeeq De.
Aameen.

Nabi-E-Kareem Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Irshad Farmaya
“Jisne Apni Ek Bhi Ladki Ya Behen Ki Parwarish Ki
Aur Usey Sharai Aadab Sikhaya,
Unse Pyar Wa Muhabbat Se Pesh Aaya Aur Unki Shadi (Nikah) Karadi
To Allah Ta’ala Usey Jarur Jannat Me Dakhil Karega.”
(Abu Dawood, Jild-3, Baab-578, Hadees-1706, Safa-617)

Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
Jo Log Apni Bachchiyo Ko Pyar Wa Muhabbat Se Parwarish Karenge
Tou Woh Bachchiya Unke Liye
Jahannam Se Aad (Deewar) Ban Jayengi.
(Tirmizi Sharif, Jild-1, Baab-1279, Hadees-1980, Safa-901)

Hazrat Abdullah ibne Abbas Radiallaho Anhu Se Riwayat He Ki 
Madani Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam Ne irshad Farmaya
"Jise Ladaki Ho Fir Wo Use Zinda Dafan Na Kare,
Na Usko Zalil Samze Aur Na Ladke Ko Us Par Ahmiyat De To ALLAH Ta'ala Usko Jannat Me Dakhil Karega."
(Abu Dawood, Jild 3, Bab 548, Hadees 1705, Safa 616)

Madani Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam Ne irshad Farmaya
Jisne Apni 1 Bhi Ladaki Ya Behen Ki Parwarish Ki Aur Use Sharai Aadab Sikhaya,
Unse Pyar Wa Muhabbat Se Pesh Aaya Aur Unki Shadi Kardi To ALLAH Ta'ala Use Jarur Jannat Me Dakhil Karega.
(Abu Dawood, Jild 3, Bab 578, Hadees 1706, Safa 617)

Madine Ke Tajdar Sallalaho Alayhi Wasallam Ne irshad Farmaya
"Jo Log Apni Bachchiyo Ko Pyar Wa Muhabbat Se Parwarish Karenge To Woh Bachchiya Unke Liye Jahannam Se Aad Ban Jayengi.
(Tirmizi sharif, Jild 1, Bab 1279, Hadees 1980, Safa 901)

Rehmate Aalam, Shafi-E-Mehshar Hamare Pyare Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam Ne irshad Farmaya
"Jisne 2 Ladkiyo Ki Parwarish Kiya Yaha Tak Ke Wo Balig Ho Gayi To
Me Aur Wo Qayamat Ke Din is Tarah Karib Honge.
Fir Aapne Apne 2 Ungliyo Ko Mila Kar Bataya.
(Muslim sharif)

Khatamun Nabiyyin Sayyadil Ambiyaiyl Mursalin Sallalaho Alayhi Wasallam Ne irshad Farmaya
"Subse Bada Gunah Ye He Ki ALLAH Ka Kisi Ko Sharik Thehraye.
Fir Uske Bad Ka Gunah Ye He Ki Apni Aulad Ko Khane,Pine Ke Khauf Se Katla Kiya Jaye.
(Bukhari sharif, Jild 3, Bab 576, Hadees 939, Safa 345)

Kisi Shayar Ne Kya Khoob Kaha Hai
"Betiya Sabke Muqaddar Me Kaha Hoti Hai
Ghar Khuda Ko Jo Pasand Aaye Waha Hoti Hai."

Ghar Aane Par Daud Kar Jo Paas Aaye, Use Kehte Hai "Bitiya"।।
Thak Jane Par Jo Pyar Se Sar Sehlaye, Use Kehte Hai "Bitiya"।।
"Kal Dila Denge" Kehne Par Jo Maan Jaye, Use Kehte Hai "Bitiya"।।
Har Roz Waqt Par Dawa Ki Jo Yaad Dilaye, Use Kehte Hai "Bitiya"।।
Ghar Ko Man Se Phoolsa Jo Sajaye, Use Kehte Hai "Bitiya"।।
Sehte Hue Bhi Apne Dukh Jo Chupaye, Use Kehte Hai "Bitiya"।।
Door Jane Par Jo Bahut Rulaye, Use Kehte Hai "Bitiya"।।
Shohar Ki Ho Kar Bhi Jo Maa-Baap Ko Na Bhulaye, Use Kehte Hai "Bitiya"।।
Milo Door Ho Kar Bhi Jo Paas Hone Ka Ehsas Dilaye, Use Kehte Hai "Bitiya"।।
"Anmol Heera" Jo Kehlaye, Use Kehte Hai "Bitiya"।।

====================================================================

Mard par Gusl kub farz hota he

Mazi:
Shahwat ke waqt shuru me jo chiz sharmgah se safed rang ki nikalti he aur uske nikalne se josh kam nahi hota balki khwahish aur badh jati he use Mazi kehte he.
(Sunni bahishti zewar Safa 34)

Mani:
Shahwat ke bad jab khub lajjat aati he to gadha padarth (virya-sperm) sharmgah se nikalta he use Mani kehte he.
(Sunni bahishti zewar Safa 34)

Note: Mazi se Gusl farz nahi hota.
Mani ke nikalne par gusl farz hota he.
(Sunni bahishti zewar Safa 34)

1. Mani ka apni jagah se shahwat ke sath juda hokar ujwa se nikalna.

2. Ahtelam yani sote me Mani ka nikal jana

3. Sharmgah me Hashfa tak chala jana khwah shahwat se ho ya bila shahwat inzal ho ya na ho dono par gusl farz hota he

4. Agar mani na hone ka yakin he aur Mazi ka shak he to agar khwab me ahtelam hona yad nahi to gusl nahi aur yad he to gusl farz he
(Raddulmuhtar,Sunni bahishti zewar Safa 34)

====================================================================

Haiz-O-Nifaas Aur M.C. Periods Ka Bayan

Balig Aurat ke aage ke makam se jo khoon aadi taur par nikalta he aur wo bimari ya bachcha paida hone ki wajahse na ho use Haiz kehte he.
Bachcha hone ke bad ho to Nifas kehte he
(Qanoon-E-Shariat Hissa 1 Safa 61)

Nifas yani wah khoon jo bachcha janne ke bad aata he.
Iski kami ki janib koi muddat mukarrar nahi.
Aadhe se jyada bachcha nikalne ke bad 1 aan bhi khun aaya to wah nifas he aur jyada se jyada nifas ka zamana 40 din-rat he.
(Qanoon-E-Shariat Hissa 1 Safa 63)

Haiz wa Nifas ki halat me Namaz padhna Roza rakhna Haram he.
In dino me Namaze maf he inki kaza bhi nahi.
Rozo ki kaza rakhna farz he
(Qanoon-E-Shariat Hissa 1 Safa 64)

Istehaza:
Wah khoon jo Aurat ke aage ke makam se nikale aur Haiz wa Nifas ka na ho to ye istihaza he.
(Qanoon-E-Shariat Hissa 1 Safa 65)

istehaza me na Namaz maf he Na roza maf he.
Aisi aurat se Sohbat Haram he
(Qanoon-E-Shariat Hissa 1 Safa 65)

"To Aurato se alag raho Haiz ke dino, aur unse najdiki na karo jab tak wo pak na hole.
Fir jub pak ho jaye to unke pas jao."
(Kanzul iman Para 2,Surah Bakar,Aayat 222)

Haiz ki muddat kam se kam 3 din aur 3 rate he.
Yani 72 ghante he aur Jyada se jyada 10 din aur rate he.
(Bahare shariat Jild 1 Safa 42)

Haiz ki Halat me Aurat Se Sohbat Karna Haram Hai
(Tirmizi Jild 1 Safa 136,Bahare shariat)

10 din se kam me khoon aana band ho gaya to jub tak gusl na kare sohbat jaiz nahi
(Bahare shariat Jild 1,Safa 74)

Aurat ko jab haiz ka khoon aana band ho jaye to use Gusl karna farz he
(Kanoon-E-Shariat Jild 1,Safa 38)

Haiz Se Pak Hone Ka Taariqa:
Ummulmomenin Hazrat Aayesha siddiqa radiallahu anha se riwayat he ki
Ek Aurat Rasoolallah Sallalaho Alayhi Wasallam se Haiz ke Gusl ke bare me pucha.
Aapne use bataya:
Yu gusl kare.
aur fir farmaya
Mushk (Kasturi) se basa hua rui ka faya le aur usse taharat hasil kar
Wo samaz na saki aur kaha
Kis tarah Taharat karu?
Huzoor ne farmaya
Subhanallah usse taharat karo
Hazrat Aayesha farmati he
Mene us Aurat ko apni taraf khich liya aur use bataya ki use khoon ke mukam par fere.
(Bukhari sharif Jild 1 Bab 215 Hadees 305 Safa 201)

Note:
is zamane me Mushk milna mushkil he isliye uski jagah Gulab pani ya itra ka faya le. Fir gusl kare.

====================================================================

Haiz wa Nifas, MC, Periods aur Roza ka bayan

Haiz:
Balig Aurat ke peshab ke raste se jo khoon aadat ke taur par nikalta he aur bimari ya bachcha paida hone ke wajahse na ho to use Haiz kehte he.
Istehaza:
Agar yah khoon bimari se ho to istehaza he.
Nifas:
Aur Bachcha paida hone ke bad ho to Nifas kehte he. Nifas ka jyada se jyada waqt 40 din-rat he.
Aurat ka Haiz wa Nifas se khali hona Roze ke liye shart he.
>Sunni Bahishti Zewar, Safa 188
Haiz wa Nifas ki halat me Roza rakhna, Namaz Padhna Haram he. Balki Jo namaze maf he unki kaza bhi lazim nahi.
Ha rozo ki kaza aur dino me rakhna Farz he.
>Durre Mukhtar, Aalamgiri, Sunni Bahishti Zewar
Roze ki halat me Haiz ya Nifas shuru ho gaya to wah roza jata raha. Uski kaza rakhe Farz tha to kaza Farz he.
Aur Nafil tha to kaza Wazib.
>Aalamgiri
Aurat ko khas tarikh par Haiz aata tha aur Aaj Haiz aane ka din tha aur usne yah soch kar ki aaj Haiz aayega chah kar roza tod diya aur Haiz na aaya to kaffara maf ho gaya.
>Durre Mukhtar
Haiz wa Nifas wali Aurat Subah sadiq ke bad pak ho gayi agarche Jahvae Kubra (Dopahar se) pehle pehle hui aur Roza ki niyat kar li to yah roza na hua.
>Durre Mukhtar
Aurat ko Mard ne Humbistari par mazboor kiya fir Hambistari ke bich me apni khushi se mashgul rahi to kaffara lazim nahi ki Roza to pehle hi toot chuka he.
>Sunni Bahishti Zewar,Safa 188, Jauhra
Haiz wa Nifas wali Aurat Pak ho gayi to jo kuch din baki reh gaya he use Roze ki tarah guzarna Wazib he aur uski kaza farz he.
>Durre Mukhtar,Sunni Bahishti Zewar
Aurat Haiz se pure 10 din 10 rat me farig hui to baharhal agle din ka roza rakhe. Aur kam me pak hui to agar subah hone ko itna waqt he ki naha kar thoda sa waqt bachega to bhi Roza rakhe. Agar Gusla na kiya ho aur agar naha kar farig hone ke waqt subah chamki to Roza nahi.
>Aalamgiri
Haiz wa Nifas wali aurat ko ikhteyar he ki chup kar khaye ya jahir me Rozdar ki tarah rehna us par jaruri nahi magar chup kar khana behtar he. Khaskar Haiz wali aurat ke liye.
>Bahare Shariat,Sunni Bahishti Zewar, Safa 194
Aurat ko yah jaiz nahi ke apne Haiz Shohar se chupaye aur kahi wah anjane me sohbat na kare. Jaisa ki yah jaiz nahi ki wah khudko haiz wali jahir kare halaqi wah haiz wali nahi.
>Marakilfalaah,Sunni Bahishti Zewar

====================================================================

Apne Bachcho Kee Achche Nam Rakho

Madani Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Allah ta'ala ne muzse farmaya
Muze apne izzat wa Jalaal ki kasam jiska nam tumhare nam par hoga use dojakh ka azab na dunga.
(Ahkame Shariat Jild 1,Safa 81)

Madani Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Jiske 3 Bete paida ho aur wo unme se kisika nam Mohommad na rakhe to jarur Jahil he
(Tibrani sharif,Ahkame shariat,Jild 1,Safa 83)

Madani Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Beshaq ! Tum roze Qayamat apne namo aur apne Bapo ke Namo se pukare jaoge to apne nam ache rakha karo.
(imam Ahmed,Abu Dawood,Jild 3,Bab 485,Hadees 1513,Safa 550)

Madani Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam ki Aadate kareema thi ki aap bure nam badal diya karte the.
(Tirmizi sharif Jild 2,Bab 335,Hadees 746,Safa 301,Abu Dawood,Jild 3,Bab 486,Hadees 1517,Safa 551)

Hazrat Abdullah ibne umar radiallaho anho se riwayat he ki Madani Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Allah ta'ala ko tamam namo me se Abdullah aur Abdurrahman subse jyada pasand he
(Abu Dawood,Jild 3,Bab 485,Hadees 1513,Safa 550)

====================================================================

No Couple Before Nikah In Islam

Nikah Hone Se Pehle Ye Baat Likh Dena, Tum Apne Meher Me Meri Hayat Likh Dena.

Dosto Ye Post Un Ladka Ladkiyo Ke Liye Hai Jo College Aur Shaadi Ke Pehlewali Life Me Bahut Sari Girlfrnds Aur Boyfriends Banate Hai Aur Apne Aapko Smart Samajhte Hai Ke Meri Itni Sari Girlfrnds Hai & Mere Itne Sare Boyfriends Hai,
Ajeeb Daur Hai Log Gunah Par Bhi fakhar Karne Lage Hai.
Aur Shaadi Ke Liye Ladki Ya Ladka Dekhenge To
• KHUBSURAT
• NEK
• PADHI LIKHI
• KHANDANI
• UNCHE STATUS WALI
• SHAREEF

Aur Kuch Ka Ye Haal Hai Ke Shaadi Ke Baad Bhi Bahar Afairs Karte Hai.
Astagfirullah

Dosto Zara Sochiye Ek Ladki Apna Pura Khandan Apni Family
Chor Kar Aapke Bharose Par Puri Zindagi Bitane Ke Liye Aapse NIKAH Kar Ke Aapke Ghar Aayi Hai Aur Aap Hi Uske Sath Aisa Karonge To Aap Uska Huq Maar Rahe Ho.

Aur Ladkiya Bhi Aaj Ke Daur Me Shaadi Se Pehle Afairs Karti Hai Aur Boyfrnds Banati Hai Ye Sochti Hai Ke Unhe Koi Achche Ladke Ke Rishte Kyu Nahi Aa Rahe Hai.
Familywale Bhi Pareshaan Ke Koi Achcha Rishta Aaye To Hum Beti Ki
Shadi Krade Par Beti Jo Bahar Gunah Kar Rahi Hai Iski Fikar Maa Baap
Ko Nahi Hoti.  Us Gunah Ki Nausat Ki Wajha Se Usse Kaise Achche
Rishte Aa Sakte Hai?

Aaj Ke Daur Me Ladka Ladki Shaadi Se Pehle Wo Sab Kar Baithte Hai Jo Shadi Ke Baad Karna Chahiye Jise Shariate Islaam Me Sakht Gunah Bataya Gaya Hai. Aur Aise Zina Karnewalo Ke Liye Jahannam Ka Azaab Hai.

Zina:
Ek Mard Ek Aisi Aurat Se Humbistari/MubashratKare Jiska Uske Sath Nikah Na Hua Ho. Parayi Aurat Ko Chuna, Uska Bosa Lena Aur Use Dekhna Bhi Jina Ka Hissa Hai

Zina Ko Islam Mein Ek Bahut Bada Gunah Maana Gaya Hai, Aur Islam Ne Aisa Karnewalo Ke Liye Duniya Mein Bhi Saza Takhi Hai Aur Marne Ke Baad ALLAH TA'ALA Iski Sakht Saza Dega. Zina Ke Bare Mein Kuch Hadees Aur Quran Ki Aayat Dekhiye

Hazrat Abu Huraira Wa Ibne Abbas Radiallahu Anu Se Rivayat
He Sakar-E-do Aalam Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya
"Momin Hote Hue To Koi Zina Kar Hi Nahi Sakta"
(Bukhari Sharif, Jild:3, Safa:614, Hadees: 1714)

Sarware Qaynaat Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Irshad Farmaya:
"Shirk Ke Baad ALLAH TA'ALA Ke Nazdik Is Gunah Se Bada Koi Gunah
Nahi Ke Ek Shaks Kisi Aurat Se Sohbat Kare Jo Uski Biwi Nahi
Aur
Jab Koi Mard Aur Aurat Zina Karta He To Imaan Unke Sine Se Nikal Kar Sar Par Saye Ki Tarah Thahar Jata He
(Mukasheftul Kuloob Safa: 168)

Hazrat Ikrema Ne Hazrat Abdullah ibne Abbas Radiallahu Anu Se Pucha
Imaan Kis Tarah Nikal Jata Hai?
Hazrat Abdullah Ibne Abbas Ne Farmaya
Is Tarah ! Aur Apne Hath Ki Ungliya Dusre Hath Ki Ungliyo Me Dali Fir Nikal Li Aur Farmaya
"Dekho Is Tarah"
(Bukhari Sharif Jild:3, Safa: 614, Hadees: 1713)

Zina Karnewale Shadi Shuda Ho To Khule Maidan Me Pattharo Se Mar Dala Jaye Aur Gair Shadi Shuda (Kuwara) Ho To 100 Kode Mare Jaye.
(Bukhari Sharif Jild 3, Baab: 968/980, Hadees: 1715, Safa: 615/625)

ALLAH TA'ALA Qur'an-E-Kareem Me Irshad Farmata Hai
"Aur Wah Jo ALLAH Ke Sath Kisi Dusre Mabood Ko Nahi Pujte. Aur Us Jaan Ko Jiski ALLAH Ne Hurmat Rakhi. Nahaq Nahi Marte Badkari Nahi Karte Aur Jo Yah Kaam Kare Wah Saza Payega. Badhaya Jayega Us Par Azab Qyamat Ke Din. Aur Humesha Usme Zillat Se Rahega. Magar Jo Tauba Kare Aur Imaan Laye Aur Achcha Kaam Kare, To Aiso Ki Buraiyo Ko ALLAH Bhalaiyo Se Badal Dega. Aur ALLAH Bakshnewala Meherbaan Hai."
(Sure Furkan, Para 19, Aayat 68-70, Tarzuma Kanzul Imaan)

Zina Karnewalo Ko Asaam Me Dala Jayega.
Asaam Ke Bare Me Ulma-E-Kiram Ne Kaha Hai Ki Wah Jahannam Ka Ek Gaar Hai. Jab Uska Muh Khola Jayega To Uski Badboo Se Tamaam Jahannami Chinkh Uthenge.
(Mukasheftul Kuloob, Bab 22, Safa 167)

ALLAH Rabbul Aalameen Qur'an Me Faramata Hai

"Aur Aur Badkaari (Zina) Ke Paas Na Jaao, Beshak ! Wo Behayai Aur Buri Raah."
(Sure Bani Israil, Para 15, Aayat-32, Tarzuma: Kanzul Imaan)

Aaj Kal Dekhne Mein Aaya Hai Ki Is Gunah Mein Bahut Se Log Shaamil Hain, Chahe Ladka Ho Ya Ladki. Aur Phir Is Gunah Ko Karne Ke Baad Apne Dosto Ko Badi Shaan Se Sunate Hain, Balki Unko Bhi Aesa Karne Ki Raay Dete Hain. Dosto Agar Kuwara Aesa Kar Raha Hai To Jaldi Se Shaadi Kar Len Taaki Is Gunah Se Bach Jaaye.
Aur Shadi Shuda Aesa Kar Rahe Hain To Chahe Wo Ek Nikah Aur Kar Len Lekin Is Gunah Se Bachen.

Agar Koi Kuwara Ladka Ya Ladki Koi Galat Kaam Karta Hai To Iska Gunah Uske Maa-Baap Ko Bhi Milta Hai Kyonki Unhone Unki Jaldi Shaadi Nahi Ki Jiski Wajah Se Wo Galat Kaam Karne Lage.

ALLAH Rabbul Aalameen Irshad Farmata Hai
"Gandiya, Gando Ke Liye Aur Gande, Gandiyo Ke Liye.
Sutriya, Sutro Ke Liye Aur Sutre Sutriyo Ke Liye"
(Kanzul Imaan, Para: 18, Surah Noor, Aayat No: 26)

Is Aayat Se Hame Ye Malum Hota Hai Ke ALLAH Rabbul Aalameen Ne Apne Bande Aur Bandiyo Ke Jode Chun Rakhe Hai. Gande Badkar Mard Ke Liye Gandi Badkar Aurat Aur Gandi Badkar Aurat Ke Liye Ganda Badkar Mard. Aise Hi ALLAH Ta'ala Ne Saaf Sutre Paak Daman Ladka Aur Ladkiyo Ke Liye Sutri Paak Daman Ladki Aur Ladka Jodi Banayi Hai.
Beshaq ! ALLAH Apne Waade Ke Khilaf Nahi Farmata

Insan Jo Bhi Galat Kaam Karta Hai Uski Keemat Uske Baccho, Maa Ya Bahan Ko Is Duniya Mein Hi Chukana Padti Hai

Imam Shaafai Rehmatullah Alayhi Kehte Hain Ke:
"Zina Ek Qarz Hai,
Agar Tu Ye Qarz Lega To Tere Ghar Se Yaani Teri Behan, Bahu, Beti Se Wasul Kiya Jaayega"...
Allahu Akbar

Allah Hum Sabko Is Bade Gunah Se Bachaye. Aur Paaki Me Maut Nasib Farmaye.
"Aameen"

====================================================================

Ramadan Me Sohbat/Humbistari Ke Aadab

ALLAH Rabbul Aalamin Qur'an-E-Kareem Me Irshad Farmata Hai

"Rozo Ki Raato Me Apni Aurato Ke Pas Jaana Tumhare Liye Halaal Hua. Wah Tumhari Libaas Hai Aur Tum Unke Libaas, ALLAH Ne Jaana Ki Tum Apni Jaano Ko Khayanat Me Dalte The To Usne Tumhari Taubah Qabool Ki Aur Tumhe Muaf Farmaya. To Ab Unse Sohbat Karo Aur Talab Karo Jo ALLAH Ne Tumhare Nasib Me Likha Ho Aur Khaao Aur Piyo. Yaha Tak Ki Tumhare Liye Jaahir Ho Jaye Safedi Ka Dora, Siyahi Ke Dore Se Pou Fat Kar. Fir Raat Aane Tak Roze Pure Karo Aur Aurato Ko Hath Na Lagao Jab Tum Masjido Me Etikaf Se Ho. Yah ALLAH Ki Hade Hai Unke Paas Na Jaao. ALLAH Yuhi Bayan Karta Hai Logo Me Apni Aayate Ki Kahi Unhe Parhejgari Mile."
(Sure Barkarh, Para  2, Aayat 187, Tarzuma: Kanzul Imaan)

Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Ta'ala Anhu Farmate Hain Ki Nabi E Kareem Salallahu Ta'ala Alaihi Wasllam Ki Khidmat Me 1 Shakhsh Hajir Hua
Or Usne Arz Ki Ya RasoolAllah Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasllam Mai Halak Ho Gaya
To Huzoor Ne Farmaya
"Ki Tujhe Kis Shae(chiz) Ne Halak Kiya"?
To Us Ne Arz Ki Ke
"Mai Roze Ki Halat Me Tha Ki Mai Apni Biwi Se Majama'at Kar Baitha Hun To Nabi-E-Kareem Salallahu Ta'ala Alaihi Wasllam Ne Irshad Farmaya Ki
"Gulam Aazad Kar"
Us Ne Arz Ki
"Ya RasoolAllah Mai Gulam Aazad Nahi Kar Sakta"
Fir Huzoor Salallahu Ta'ala Alaihi Wasllam Ne Farmaya
"Ki 2 Mahine Musalsal
Roze Rakh"
Us Ne Arz Ki
"Ya RasoolAllah Mai
Yah Bhi Nahi Kar Sakta"
Huzoor Salallahu
Ta'ala Alaihi Wasllam Ne FIR Farmaya Ki
"60 Miskinon Ko Khana Khila De Tera Kaffara Ada Ho Jayega"
To Us Ne Arz Ki
"Ya RasoolAllah Mai To Khud Miskin Hun"
To Nabi E Kareem
Salallahu Ta'ala Alaihi Wasllam Ne Farmaya
"Baith Ja"
THODI Der Ke Baad 1 Tokra Khujooron Ka Aaya
To Aap Ne Farmaya Ki
"Sawal Karne Wala Kahan Hain?"
To Us Ne Arz Ki Ke
"Mai Hajir Hun"
Nabi E Kareem Salallahu Ta'ala Alaihi Wasllam Ne Farmaya Ki
"Yah Khujooron Ka Tokra Le Ja Or Madeena Munwwara Ke Gareebon Me Taqseem Kar De
To Tera Kaffara Ada Ho Jayega"
To Us Ne Fir Arz Kiya Ki
"Ya RasoolAllah Madeena Munwwara Me Mujhse Jyada Gareeb Or Miskin Or Kaun Ho Sakta Hain"
To Pyare Aaqa MUSKURAYEN Or Farmaya Ki
"Ja Apne Bchhon Ko Khilade Tera Kaffara Ada Ho Jayega"
(Bukhari Sharif Jild 1 Page 259
Mishkat Sharif Page 176)
Ehtlam ho jane ya Humbistari karne ke bad nahaya nahi
Aur isi halat me pura din guzar diya to wah namazo ke chod dene ke sabab sakht gunahgar hoga magar roza ho jayega.
(Fatwae Aalamgiri Jild 1, Safa 187, Anwarul Hadees)

RAMZAN SHARIF KE MAHINE ME ROZE KI HAALAT KE ILAAWA
BIWI SE HAMBISTARI KARNA JAAIZ HAI
(BAHAR-E-SHARIAT) 

Aurat rozdar so rahi thi. Sote me usse sohbat ki gayi to is surat me uspar sirf kaza lazim he. Kaffara nahi.
(Durre Mukhtar, Sunni Bahishti Zewar)

Sukhee ungli aurat ne sharmgaah me rakhi to roza na gaya. Ha agar ungli sharmgah ki adrunee ratubat (taree) se aise bheeg gayi ki ab uski gandagee chut kar dusre chiz me lage.
Uske baad ungli baahar karke aise hi gandagi ke haalat me fir ander ki, ki gandagi chut kar sharmgah ke bheetree hisse me lagee to roza jata raha.
Yuhi agar ungli pani ya tel ya dudh ya ghee ya thuk me aise bheegee thi ki us ki tari chut kar farze dakheel me lage aur aurat ne apni sharmgah me kisi bina par dakhil ki to roza fasid ho jayega.
>Raddulmuhtar
Yuhi agar aurat ne apni sharmgaah me pani ya tel tapkaya to roza jata raha.
(Aalamgiri,Sunni Bahishti Zewar)

Sukhi dawa kapde me bandh kar sharmgah me rakhi ki wah kapde se chchan kar bhitri hisse me gire. Ya dawa aisi gili ho ki kapde me se tapak kar farze dakhil me lage. Ya hilne ke sabab kapda chadha jaye ki bilkul farze dakhil ke andar gayab ho jaye to in surto me roza jata rahega.
(Durre Mukhtar,Sunni Bahishti Zewar)

Roze ki halat me (Ramzan ya gair Ramdan) kisi jarurat ke tehat koi dawa sukhi ya gili,roti ya kapda chahe koi chiz aurat ne peshab ke raste me is tarah rakhi ki sharmgah ke andruni hisse (Furuze dakhil) ke andar bilkul gayab kar di to Roza jata raha. Aur agar dawa kisi kapde me bandh kar sharmgah me is tarah rakhi ki kapde ka sira furuze dakhil se bahar raha agarche sharmgah ke bahri parde (Furuze khariz) me gayab ho jaye to Roza na jayega.
(Durre Mukhtar, Sunni Bahishti Zewar)

Janabat (Napaki) ki halat me subah ki balki agarche sare din Napak raha, Roza nahi toota magar itni der tak jan buz kar Gusla na karna ki Namaz kaza ho jaye Gunah wa Haram he.
Hadees me farmaya
"Junoob (Napak) jis ghar me hota he usme rehmat ke farishte nahi aate."
(Durre Mukhtar)

APNE HAATH SE AGAR KISI ROZADAAR NE MANI NIKAALI 
TO 
US KA ROZA TUT JAATA HAI. 
(BAHAR-E-SHARIAT JILD-1, HISSA-5,SAFA-119) 

Nind me Ehtelam Ho Gaya To Roza Na Tuta
Sare din Janabat (Be Gusla) Raha to bhi Roza na Tuta
Magar Namaze kaza hone ke sabab Gunah he
(Qanoon-E-Shariat)

JANABAT(GUSUL FARZ HONE) Ki Haalat Me Subh Ki
Balki Agarche Saare Din Junub(Be Gusul)
Raha
Roza Na Gaya.
(Durr-E-Mukhtaar Jild: 3, Safa: 372)

Mard ne Aurat Ka Bosa Liya Ya Chua Ya Mubasharat ki Ya Gale lagaya Aur injal hua to roza tut gaya
Agar Aurat ne mard ko chua aur mard ko injal Hua to Roza Na Tuta
Aurat ko kapde ke uparse chua aur kapda itna mota he Ki Badan ki garmi malum na hui to Roza Na Tuta agarche injal ho
(Qanoon-E-Shariat)

Aurat ko Mard ne Humbistari par mazboor kiya fir Hambistari ke bich me apni khushi se mashgul rahi to kaffara lazim nahi ki Roza to pehle hi toot chuka he.
(Sunni Bahishti Zewar Safa 188, Jauhra)

Roze Ki Haalat Me Mard, Aurat Ne Sohbat Ki To Roza Toot Gaya. Ya Mard Ne Aurat Ka Bosa (Kiss) Liya, Gale Lagaya Aur INZAAL (Yani Mard Ki Mani Nikli) Hua To Roza Toot Gaya Aur Kaffara Bhi Laazim Ho Gaya. Jaanbuz Kar Aurat Se Sohbat Kiya Chahe Mani Nikle Na Nikle Roza Toot Gaya Aur Kaffara Bhi Laazim Ho Gaya
(Qanoon-E-Shariat, Jild 1, Safa 135-137)



====================================================================

Ramzan Ki Rato Me Sohbat/Hambistari Karna Halaal Hua

ALLAH Rabbul Aalamin Qur'an-E-Kareem Me Irshad Farmata Hai
"Rozo Ki Raato Me Apni Aurato Ke Pas Jaana Tumhare Liye Halaal Hua. Wah Tumhari Libaas Hai Aur Tum Unke Libaas, ALLAH Ne Jaana Ki Tum Apni Jaano Ko Khayanat Me Dalte The To Usne Tumhari Taubah Qabool Ki Aur Tumhe Muaf Farmaya. To Ab Unse Sohbat Karo Aur Talab Karo Jo ALLAH Ne Tumhare Nasib Me Likha Ho Aur Khaao Aur Piyo. Yaha Tak Ki Tumhare Liye Jaahir Ho Jaye Safedi Ka Dora, Siyahi Ke Dore Se Pou Fat Kar. Fir Raat Aane Tak Roze Pure Karo Aur Aurato Ko Hath Na Lagao Jab Tum Masjido Me Etikaf Se Ho. Yah ALLAH Ki Hade Hai Unke Paas Na Jaao. ALLAH Yuhi Bayan Karta Hai Logo Me Apni Aayate Ki Kahi Unhe Parhejgari Mile."
(Sure Barkarh, Para  2, Aayat 187, Tarzuma: Kanzul Imaan)

Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Ta'ala Anhu Farmate Hain Ki
Nabi E Kareem Salallahu Ta'ala Alaihi Wasllam Ki Khidmat Me 1 Shakhsh Hajir Hua
Or Usne Arz Ki Ya RasoolAllah Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasllam Mai Halak Ho Gaya
To Huzoor Ne Farmaya "Ki Tujhe Kis Shae(chiz) Ne Halak Kiya"?
To Us Ne Arz Ki Ke
"Mai Roze Ki HalaT Me Tha Ki Mai Apni Biwi Se Majama'at Kar Baitha Hun To Nabi-E-Kareem Salallahu Ta'ala Alaihi Wasllam Ne Irshad Farmaya Ki
"Gulam Aazad Kar"
Us Ne Arz Ki
"Ya RasoolAllah Mai Gulam Aazad Nahi Kar Sakta"
Fir Huzoor Salallahu Ta'ala Alaihi Wasllam Ne Farmaya
"Ki 2 Mahine Musalsal
Roze Rakh"
Us Ne Arz Ki
"Ya RasoolAllah Mai
Yah Bhi Nahi Kar Sakta"
Huzoor Salallahu Ta'ala Alaihi Wasllam Ne FIR Farmaya Ki
"60 Miskinon Ko Khana Khila De Tera Kaffara Ada Ho Jayega"
To Us Ne Arz Ki
"Ya RasoolAllah Mai To Khud Miskin Hun"
To Nabi E Kareem
Salallahu Ta'ala Alaihi Wasllam Ne Farmaya
"Baith Ja"
THODI Der Ke Baad 1 Tokra Khujooron Ka Aaya
To Aap Ne Farmaya Ki
"Sawal Karne Wala Kahan Hain?"
To Us Ne Arz Ki Ke
"Mai Hajir Hun"
Nabi E Kareem Salallahu Ta'ala Alaihi Wasllam Ne Farmaya Ki
"Yah Khujooron Ka Tokra Le Ja Or Madeena Munwwara Ke Gareebon Me Taqseem Kar De
To Tera Kaffara Ada Ho Jayega"
To Us Ne Fir Arz Kiya Ki
"Ya RasoolAllah Madeena Munwwara Me Mujhse Jyada Gareeb Or Miskin Or Kaun Ho Sakta Hain"
To Pyare Aaqa MUSKURAYEN Or Farmaya Ki
"Ja Apne Bchhon Ko Khilade Tera Kaffara Ada Ho Jayega"
(Bukhari Sharif Jild 1 Page 259, Mishkat Sharif Page 176)

Ehtlam Ho Jane Ya Humbistari Karne Ke Bad Nahaya Nahi Aur isi Halat Me Pura Din Guzar Diya To Wah Namazo Ke Chod Dene Ke Sabab Sakht Gunahgar Hoga Magar Roza Ho Jayega.
(Fatwae Aalamgiri Jild 1, Safa 187, Anwarul Hadees)

APNE HAATH SE AGAR KISI ROZADAAR NE MANI NIKAALI
TO USKA ROZA TUT JAATA HAI.
(BAHAR-E-SHARIAT JILD-1, HISSA-5,SAFA-119)
JANABAT(GUSUL FARZ HONE) Ki Haalat Me Subh Ki Balki Agarche Saare Din Junub(Be Gusul) Raha Roza Na Gaya.
(Durr-E-Mukhtaar Jild: 3, Safa: 372)

Roze Ki Haalat Me Mard, Aurat Ne Sohbat Ki To Roza Toot Gaya. Ya Mard Ne Aurat Ka Bosa (Kiss) Liya, Gale Lagaya Aur INZAAL (Yani Mard Ki Mani Nikli) Hua To Roza Toot Gaya Aur Kaffara Bhi Laazim Ho Gaya. Jaanbuz Kar Aurat Se Sohbat Kiya Chahe Mani Nikle Na Nikle Roza Toot Gaya Aur Kaffara Bhi Laazim Ho Gaya
(Qanoon-E-Shariat, Jild 1, Safa 135-137)

====================================================================

Ghusl Ka Bayan Aur Masnoon Tariqa Wa Masle Masail

Ghusl:
Hamare Aaqa Sarkar-E-Do Aalam Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Jo Nahane Ka Tariqa Bataya Use Ghusl Kehte Hai. Is Tarah Nahane Se Insaan Ka Jism Paak Hota Hai. Jism Par Sirf Paani Baha Dena Ghusl Nahi.

● Ghusl Ki Kisme:
1. Farz Ghusl
2. Wajib Ghusl
3. Sunnat Ghusl
4. Mustahab Ghusl

1. Farz Ghusl:
Farze Ghusl 3 Hai.
Ghusl-E-Janabat, Ghusl Baade Inkita'ye Haiz Aur Ghusl Baade Inkita'ye Nifaas.

2. Wajib Ghusl:
Wajib Ghusl 2 Hai.
Zindao Par Murdo Ko Ghusl Dena Wajib Hai Aur Agar Kul Badan Najasat Aalood Ho Jaye Ya Badam Ke Kisi Hisse Par Najasat Lag Jaye Lekin Maqame Najasat Malum Na Ho To Ghusl Wajib Hai.

3. Sunnat Ghusl:
Sunnat Ghusl Fiqhe Hanafi Ke Najdik 5 Hai.
● Juma Ki Namaz Ke Liye
● Eid Ul Fitr Aur Eid Ul Azha Ke Liye
● Ehram-E-Hajj Ya Umra Ke Liye
● Araafat Me Theherne Ke Liye
● Islam Me Dakhil Hone Ke Waqt

4. Mustahab Ghusl:
Mustahab Ghusl 18 Hai.
● Deewangi, Gashi Aur Nasha Ki Sarmasti Door Hone Ke Baad
● Poochne Lagwane Ke Baad
● Shabaan Ki 15 Tarikh Ko
● 9 Zilhijja Ki Raat Ko
● Maqame Mujdalfa Me Thaherne Ke Waqt
● Zilhijja Me Kurbani Karne Ke Waqt
● Kankadiya Phekne Ke Liye Meena Me Dakhil Hote Waqt
● Tawafe Ziyarat Ke Liye Makkah Sharif Me Dakhil Hone Ke Waqt
● Shab-E-Qadr Me
● Suraj Aur Chand Ka Grahan Hone Ke Waqt
● Talab-E-Baarish Ki Namaz Ke Liye
● Kisi Khauf Ke Waqt
● Agar Sakht Aandhi Aa Jaye Ya Koi Aur Arzi Wa Samawi Aafat Ho To Usko Door Karne Ke Liye
● Madina Munawwarah Me Dakhil Hone Ke Waqt
● Naye Kapde Ya Safed Libas Pehenne Ke Waqt
● Murde Ko Ghusl Dene Ke Baad
● Safar Se Wapsi Ke Baad

● Ghusl Ki Niyat:
"Nawaitu An Agtasil Min Ghusli Lirfaa'il Hadsi"
Tarzuma:
"Niyat Ki Maine Ke Ghusl Karu Napaki Ko Door Karne Ke Liye"
Niyat Se Murad Dil Me Pakka Irada Kar Lena Hai Aur Zaban Se Kehna Afzal Hai. Aap Yu Bhi Niyat Kar Sakte Hai
"Niyat Ki Maine Ghusl Ki Napaki Ja Kar Paaki Aane Ke Liye"
Agar Kisine Ghusl Ki Niyat Na Ki Tab Bhi Ghusl Ho Jayega Magar Niyat Jarur Kare.

● Ghusl Ka Tariqa:
Ghusl Ki Dilme Niyat Kare Sath Hi Zaban Se Kahe To Afzal Hai. Ab Dono Hath Gatto(Kalaai) Tak 3 Martaba Achchi Tarah Dhoye. Fir Sharmgah Aur Uske Aas Pas Ke Hisso Ko Dhoye Chahe Waha Gandagi Lagi Ho Ya Na Ho. Fir Badan Par Jaha Najasat Lagi Ho Use Door Kare. Fir Wazoo Kare Yani 3 Bar Kulli Kare Ki Paani Halaq Ke Aakhri Hisse, Danto Ki Khindo, Masudo Me Wagairah Bah Jaye. Koi Chiz Danto Me Ataki Ho To Use Nikale. Ab 3 Martaba Naak Me Istarah Paani Dale Ke Naak Ke Aakhri Hisse(Haddi) Tak Pani Pohoch Jaye. Ab 3 Martaba Chehre Ko Istarah Dhoye Ke Peshani Se Le Kar Thuddi Tak Aur Ek Kaan Se Dusre Kaan Ki Lav Tak. Fir 3 Martaba Kohniyo Samet Hatho Par Paani Bahaye Fir Sar Ka Masah Kare. Ab Agar Aap Kisi Unchi Chiz Yani Chauki Ya Patthar Par Naha Rahe Hai To Pair Dhoye Warna Na Dhoye.
Fir Badan Par Tel Ki Tarah Paani Chupde. Fir 3 Martaba Dahine Modhe(Kandhe) Par Paani Bahaye Fir Baaye Modhe Par 3 Bar Paani Bahaye Fir Sar Aur Tamaam Badan Par 3 Martaba Paani Bahaye Aur Jism Malte Jaaye. Istarah Ki Jism Ka Koi Hissa Sukha Na Rahe. Sar Ke Balo Ki Jado Me, Bagal Me, Shargah Ke Har Hisse Me Sab Jagah Paani Pohochna Jaruri Hai. Agar Ungli Me Angoothi Ho To Ghuma Kar Paani Pohochaye. Aurate Apne Kaan Ki Bali, Naak Ki Nathni Wagaira Ko Ghuma Kar Paani Pohochaye. Aurate Sar Ke Baal Khol Le To Behtar Hai Warna Ye Ehtiyat Jaruri Hai Ki Sar Ke Baal Aur Sar Ki Jado Tak Paani Jarur Pohoche. Ab Aapne Wazoo Me Pair Na Dhoye Ho To Dhole. Ghusl Karte Waqt Koi Kalaam Ya Dua Na Padhe Aur Kibla Rukh Na Ho. Ab Aap Islami Shariat Ke Mutabiq Paak Ho Gaye. Ab Aap Saboon Wagairah Jo Bhi Jaiz Chiz Lagana Ho Laga Sakte Hai.
(Fatwa-E-Razviya Jild 2, Safa 18, Qanoon-E-Shariat Hissa 1, Safa 41)

● Faraiz-E-Ghusl:
Ghusl Me 3 Baate Farz Hai. Inme Se Koi Bhi Ek Rah Jaye To Ghusl  Na Hoga. Aur Na Nahanewale Ko Sunnate Mustafa Sallallaho Alaihi Wasallam Ke Mutabiq Paakizgi Hasil Hogi.

1. Kulli Karna:
Kulli Is Tarah Ki Jaye Ki Muh Ke Andar Har Goshe Hont Se Halaq Ki Jad Tak Har Jagah Paani Bah Jaye. Masoode, Dant Ki Khidkiya, Jaban Ki Har Karwat Me, Halak Ke Kinare Tak Paani Bahe. Roza Na Ho To Garaara Kare Taki Paani Achchi Tarah Har Jagah Pohoche. Dant Me Koi Chiz Ataki Ho To Jab Tak Jarar Wa Harz Na Ho Chudana Jaruri Hai. Be Iske Ghusl Na Hoga Aur Be Ghusl Namaz Na Hogi.

2. Naak Me Paani Dalna:
Dono Nathuno Ka Jaha Tak Narm Hissa Hai Waha Tak Dhulna Ki Paani Ko Sungh Kar Chadhaye Taki Baal Barabar Bhi Jagah Dhulne Se Na Rah Jaye Warna Ghusl Na Hoga. Agar Bulaaq, Nath Ka Surakh Band Na Ho To Usme Bhi Paani Pohchana Jaruri Hai. Naak Ke Andar Rinth, Nakti Sukh Gayi To Uska Chudana Bhi Farz Hai. Aur Naak Ke Baal Ka Dhona Bhi Farz Hai.

3. Tamaam Jahiri Badan Dhona:
Sar Ke Baalo Se Pairo Ke Talwo Tak Jism Ke Har Hisse Par Paani Bah Jana Jaruri Hai Isliye Ki Agar Ek Baal Ki Nok Bhi Dhulne Se Rah Gayi To Ghusl Na Hoga.
(Sunni Bahishti Zewar Hissa 1, Safa 31, Qanoon-E-Shariat Hissa 1, Safa 42)

● Ehtiyaat-E-Ghusl:
1. Sar Ke Baal Gundhe Na Ho. Har Baal Par Jad Se Nok Tak Paani Bahana Jaruri Hai Aur Agar Gundhe Ho To Aurat Par Jade Bhiga Lena Jaruri Hai. Kholna Jaruri Nahi. Ha Agar Choti Itni Sakht Gundhi Ho Bekhole Jade Nahi Bhigengi To Kholna Jaruri Hai.
2. Kaano Me Baali Wagairah Zewaro Ke Surakh Ka Wahi Huqm Hai Jo Naak Ke Nath Ke Surakh Ka Huqm Hai. Unme Paani Pohochana Jaroori Hai.
3. Kaan Ka Har Purza Aur Uske Surakh Ka, Kaano Ke Piche Baal Utha Kar Paani Bahaye.
4. Thuddi Aur Gale Ka Jod Ki Be Uthaye Na Dhulega
5. Dono Bagale Ki Be Hath Uthaye Na Dhulengi
6. Baaho Ka Har Pahlu Aur Peeth Ka Har Jarrah
7. Pait Ki Zuriya Utha Kar Aur Naabhi Me Ungli Daal Kar Dhoye
8. Jangh Aur Pedoo Ka Jod Aur Jangh Pindli Ka Jod
9. Dono Chutad Ke Milne Ki Jagah
10. Jangho Ki Golaai Aur Pindliyo Ki Karwate
11. Dhalki Hui Pistan(Breast) Ko Utha Kar Dhoye
12. Pistan Aur Pet Ke Jod Ki Jagah
13. Sharmgah Ka Har Tukda Har Kona  Upar, Niche Dhyan Se Dhoya Jaye. Ha Andar Ungli Daal Kar Dhona Jaruri Nahi Hai, Mustahab Hai. Yuhi Haiz Wa Nifas Se Farig Ho Kar Ghusl Karti Hai To Ek Purane Kapde Se Andar Ka Khoon Saaf Karna Mustahab Hai. Laazmi Nahi.
14. Mathe Par Afshaa Chuni Ho To Uska Chudana Jaroori Hai. Yuhi Baalo Me Itna Gond Wagairah Laga Hai Ki Uske Hote Baal Achchi Tarah Na Bhigenge, To Uska Chudana Bhi Jaroori Hai Warna Ghusl Na Hoga.
(Sunni Bahishti Zewar, Durre Mukhtar, Raddul Muhtar, Bahare Shariat)

● In Baato Se Ghusl Farz Hota Hai:
1. Mani Ka Apni Jagah Se Shahwat Ke Sath Juda Ho Kar Uzwa Se Nikalna
2. Ehtelam(Nightfall) Yani Sote Me Mani Ka Nikal Jana
3. Sharmgah Me Hashfa (Mard Ke Uzoo-E-Tanasul Ka Supari Jaisa Hissa) Tak Chala Jaana Khwah Shahwat Se Ho Ya Bila Shahwat. Inzal Ho Ya Na Ho Dono Par Ghusl Farz Karta Hai.
4. Haiz Ya Maahwari Khoon Se Faragat Paana.
5. Nifaas Yani Bachcha Janne Par Jo Khoon Aata Hai Usse Farig Hona.
(Raddul Muhtar, Qanoon-E-Shariat)

Mard Aur Aurat Par Ghusl Kin Haalato Me Farz Hota Hai Details niche Diye Links Par Jaaniye.

====================================================================

Talaq /Divorce Ka Bayan Quran Wa Hadees Se

~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
ﺃَﻋُﻮْﺫُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
اَلصَّلاَةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُولَ اللّٰهِ،
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
Nikah Ek MUQADDAS islami Rishta Hai Jisse Ek Musalman Mard Ke Liye Ajnabi Muslaman Aurat Halal Ho Jati Hai Aur Ab Shohar Ko Jayez Andaaz Me Apni Khawahishaat Ko Bhi Poora Karne Ka Zarya Mil Jata Hai.
Nikah Ke Zarye Aurat Shohar Ki Paband Hoti Hai, Is Pabandi Ko Khatm Karne Ka Naam TALAQ Hai. TALAQ Ke Kuch Alfaaz Muqar'rar Hain, TALAQ Ke Ta'alluq Se Quran O Hadees Me Jo irshadaat Aaye Hain Pehle uska Zikr Ho Phir Mukhtasaran TALAQ Ki Qisme'n Aur Surten Aur Hukm Bayan Hoga Phir Nafse Mauzu Par (3-TALAQ KI TEHQEEQ Par) BAAT Tafsili Hogi.
ALLAH Pak Apni MUQADDAS Kitab Me Farmata Hai.
ٱلطَّلَٰقُ مَرَّتَانِ ۖ فَإِمْسَاكٌۢ بِمَعْرُوفٍ أَوْ تَسْرِيحٌۢ بِإِحْساَٰنٍ ۗ
Tarjamah-
TALAQ Jo 2 Baar Tak Hai, (Yani Jisse Biwi ko Bagair Naya Nikah Kiye Rakha Ja Sakta hai) Phir Bhalai Ke Sath Rok Lena (Yani Bagair Naye Nikah Ke Hi) Ya Nikoi (Bhalai) Ke Sath Chhod Dena........
(قرآن کریم، سورہ بقرہ، آیت نمبر-229، ترجمہ کنزالایمان، از- اعلی حضرت علیہ الرحمہ)
Phir ALLAH Ta'ala Farmata Hai.
فَإِن طَلَّقَهَا فَلَا تَحِلُّ لَهُۥ مِنۢ بَعْدُ حَتَّىٰ تَنكِحَ زَوْجًا غَيْرَهُۥ ۗ فَإِن طَلَّقَهَا فَلَا جُنَاحَ عَلَيْهِمَآ أَن يَتَرَاجَعَآ إِن ظَنَّآ أَن يُقِيمَا حُدُودَ ٱللَّهِ ۗ وَتِلْكَ حُدُودُ ٱللَّهِ يُبَيِّنُهَا لِقَوْمٍ يَعْلَمُونَ
Tarjamah-
Phir Agar 3ri TALAQ Use Dee To Ab Aurat Halal Na Hogi, Jab Tak Dusre Shohar Ke Pas Na Rahe, Phir wo Dusra Agar Use TALAQ De De To in Dono Par Gunah Nahi Ki Apas Me Mil Jayen (Ab Pehla Wala Usse  Nikah Kar Sakta Hai) Agar Guman Ho Ki Allah Ki Hadon Ko Qa'im Rakhenge, Ye Allah Ki Hade'n Hai Jo Wo Bayan Farmata Hai Samajhdaron Ke Liye
(پارہ نمبر-٢، سورہ بقرہ آیت نمبر-٢٣٠}
Qari'een (Padhnewale) Gaor Kijiye Gair Muqallideen Halala Ko Ayyashi Aur Haram Kehte Hain Jab Ki Halala Quran Se Sabit Hai, Gair Muqallideen Sirf Hadees Hi Ke Dushman Nahi Balki Quran Ke Bhi Dushman Hain...
Kisi Aurat Ko Uska Shohar TALAQE MUGALLAZAH (3 TALAQ) De Ab Wahi Shakhs Us Aurat Se Nikah Karna Chahe To Uski Yahi Surat Hai Ki Aurat iddat Guzarne Ke Bad Kisi Dusre Se Nikah Kare Aur Jab Wo Use TALAQ Dega To iddat Guzarne Ke Bad Ye Pehla Usse Nikah Kar Sakta Hai, Halala isi Ko Kehte Hain Lekin Gair Muqallideen ise Haram Kehte Hain Aur Ye To Quran Hi Se Sabit Hai, Bechare Gair Muqallideen Halala Ko GALAT Keh Kar 3 TALAQ Ko Ek Maan Kar (Jab Ki 3 TALAQ Par Biwi Nikah Se Nikal Gai) Logon Se Haram Kaari Karwate Hain, isi Liye Hanafi Halalah Ke Hain To Gair Muqallideen Haramah Ke.
Jaise Nikah Mard-O-Aurat Ko Paband Karta Hai Waise Hi TALAQ Us Pabandi Ko Utha Deta Hai, TALAQ Ka Tasauwwur (Imagining) islam Ke Siwa Kisi Mazhab Ne Nahi Diya, Aaj Digar Mazahibwale Jo Talaq Se Faidah Utha Rahe Hain Wo islam Hi Ki Den Hai.
TALAQ Ek Jayez Amal Hai Lekin Us Surat Me Jab Miya Biwi Ke Rishte Me is Qadar Kad'wahat Aajaye Ki Baat Kisi Surat Se Na Banti Ho To Shari'at Ne Hum Par Ye Aasani Ki Ke TALAQ (Azadi) Ka Rasta Banaya, Jisse Ye Dono Alag Ho Sakte Hain, Phir Ye Apni Marzi Ke MUTABIQ Kisi Dusre Se Nikah Ke Mamle Me Aazad Hain, Par Aaj Kal Baat Be Baat Talaq Dene Ka Riwaj Nikla Hai Aur Zara Bhi Koshish Nahi Ki Jati Ki Baat Ban Jaye, Koi Gusse Me TALAQ De Raha Hai, Koi Nashe Me, Koi Dahej Ke Liye, To Koi Biwi Se Chhutkara Paane Ke Liye, TALAQ Agarche Eik Jayez Amal Hai Par ALLAH Paak Use Pasand Nahi Farmata, Bila Sakht Shar'ie Zarurat Ke TALAQ Nahi Dena Chahiye, TALAQ Ke Silsile Me Chand Ahadise Pak Padhiye.
HADEES-
Huzoor صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم Farmate Hain ibless Apna TAKHT Pani Par Bichhata Hai, Aur Apne Lashkar Ko Bhjeta Hai (Logon Ko Burai Ki Taraf Ma'il Karne Ke Liye) Aur Sab Se Zada Martabah Uske Nazdeek Uska Hai Jisne Bada Fitna Kiya Ho, Har Koi (Jska Chela) Aakar Apni Kaarguzari Sunata Hai Wo Kehta Hai Tune Kuch Nahi Kiya (Bada Kaam) Ek Kehta Hai Mai Ne Mard-O-Aurat Me Judai Daal Dee, To Use Apne Qareeb Kar Leta Hai Aur Kehta Hai Haan Tu Hai (Jisne Mujhe Khush Kiya)
{مسند الإمام أحمد بن حنبل، جلد-٥، صفحہ نمبر-٥٢}
HADEES:
Hazrat Mu'aaz Riwayat Karte Hain Huzoor صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم Ne Farmaya:
"Aye Mu'aaz ! Koi Cheez ALLAH Pak Ne Roye Zameen Par Gulam Azad Karne Se Ziyadah Pasand Nahi Ki, Aur Koi Cheez TALAQ Se Ziyadah Na'pasand Nahi Ki
{سنن الدار قطنی، کتاب الطلاق، جلد-٤، صفحہ نمبر-٤٠}
Har'chand Ki TALAQ Jayez-O-HALAL Amal Hai Par Jo Bila Wajah Ho Wo ALLAH Pak Ki Narazgi Aur Gazab Ka Sabab Hai, Chunanche Ek Hadees Me Aaya Hai
HADEES:
Hazrat IBNE Umar رضی اللہ تعالٰی عنہما Se Riwayat Hai Ki Huzoor صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم  Ne Farmaya,
Tamam Halal Chizon Me ALLAH Ke Nazdeek Ziyadah Na'pasand TALAQ Hai
{سنن ابی داؤد، کتاب الطلاق، باب کراهية الطلاق، جلد-٢، صفحہ نمبر-٣٨٠، الحديث- ٢١٨٧}
Musalmano Ko Chahiye Ki ALLAH Wa Rasool صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم Ke Irshadaat Ko Sune Aur Uspe Amal Kare Aur Nafs-O-Shaitan Ke Fareb Me Na Aayen.
Wo Aurat Jo Bila Wajah Apne Shohar Se TALAQ Ki Demand Karti Hai Aur Wajah Bahot Mamuli Hoti Hai, Jaise Shohar Ki Kamai Se Uske Arman Na Pure Hona, Ya Sasural Me NA CHALI, WAQT Ke Sath Mamlaat Theek Ho Jate Hain Aur Zara See Koshish Ki Jaye To Ghar Ko Amn-O-Sukoon Ka Gehwara Banaya Ja Sakta Hai Phir iske Liye TALAQ Lene Ki Kya Zarurat Hai?
Aisi Aurten Huzoor صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم Ka Ye Pak Farman Khoob Zahen Nasheen Kar Le'n.
HADEES:
Huzoor صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم Ne Farmaya Jo Aurat Ba'gair Kisi Harj Ke Shohar Se TALAQ Ka Sawal Kare uspe Jannat Ki Khushbu Haram Hai
{جامع ترمذی، جلد-٢، صفحہ نمبر-٤٠٣، حدیث نمبر-١١٩٠}
ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl farmaye !
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
جزاك الله خيرا...
 ◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
( صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم )
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
اٙشْھِدُ انْ لٙا اِلٙہ اِلْا الله وٙحْدٙہُ لٙا شٙرِیْکٙ لٙہُ وٙاٙشْھٙد اٙنْ مُحٙمْداً عٙبْدٙہُ وٙرٙسُوْلٙہُُ
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
صَلّی اللّہُ علَی النّبِی الاُمّیّ و آلِہِ
صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم
صَلوٰةً وَّ سَلَاماً عَلَیکَ یَا رَسُولَ اللّه

====================================================================

No comments:

Post a Comment