Friday, 12 June 2020

YAZEED LAANATI KYO ?

YAZEED LAANATI KYO ?



آئیے آج دیکھتے ہیں کہ یزید جنتی ہے یا جہنمی ہے اور کیا اسکو رحیم اللہ کہنا جائز ہے یا نہیں۔ آج احادیث اور تاریخ کی روشنی میں دیکھتے ہیں
AAEYE AAJ DEKHTE HAIN YAZEED JANNATI HAI YA JAHANMI HAI? AUR DEKHTE HAIN KE YAZEED KO RAHEEMULLAH KEHNA JAIZ HAI YA NA'JAIZ HAI?

SAB SE PEHLE WO HADEES DEKHTE HAIN JIS MEINLASHKAR KA ZIKAR AYA HAI. YE NICHAY HADEES HAI. SAB PARHAIN TA KE PATA CHALE KE ZAKIR NAIK KAISE HADEES KO GHALAT TAREEKAY SE BAYAN KER RAHA HAI.
سب سے پہلے وہ حدیث دیکھتے ہیں جس میں سب سے پہلے لشکر کا ذکر آیا ہے۔ نیچے حدیث کی ہے پڑھیں تاکہ آپکو پتہ چلے کے زاکر نائیک  کیسے اللہ کے نبی پر جھوٹ باندھ رہا ہے۔


"Meri Umat Ka Phela Laskr Jo Qaiser Ke Shaher Mein Jung Kare Ga Un Ke Liye Magfirat Hai"

Hadees.

              Ham se is'haaq bin yazeed damishqi ne bayan kiya, kaha ham se yahya bin  hamza ne bayan kiya, kaha ke mujh se "THAUR BIN YAZEED" ne bayan kiya, un se Khalid bin mah'dan ne  aur un se umair bin aswad ansi ne bayan kiya ke wo ebada bin saamet radi Allah anho ki khidmat mein hazir hoey. Aap ka qayam sahil hams per apne he aik makan per tha. Aur aap ke sath(aap ki biwi) ummay haraam radi Allah anha bhi thien. Umair ne bayan kiya ke ham se ummay haraam radi Allah anha ne bayan kiya ke mein ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihe Wasallam se suna hai,
Aap Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya tha ke:
"Meri Ummat ka sab se Pehla lashkar jo daryai safar ker ke jahaad ke liye jaeyga, us ne (apne liye Allah ki rahmat o maghfirat) wajib  ker li. Ummay haraam radi Allah anha ne bayan kiya ke mein ne kaha tha Ya Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam!
Kiya mein bhi un ke sath hoongi?
                      Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya ke haan tum bhi un ke sath hogi. Phir Nabi kareem Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya  "sab se pehla lashkar meri ummat ka jo qaisar ke sheher per hamla krayga unki maghfirat hogi.
                 Mein ne kaha mein bhi un ke sath hoongi Ya Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam!
                     Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya ke Nahe.

Sahih Bukhari, vol 4. page 345, Hadees 2924.



حدیث کے صحیح ہونے پر اعتراضات
Some objection on  correctness of hadees
This objection made by Maulana is'haq
1: Is hadees ki ravi sirf ummay haram binte melhaan hain, kisi            doosry sahabi ne issay rawayat nhe kiya?
2: Is hadees ko bayan kerne wale saray shaami hain baqi makkah,      madina aur iraq ka koi bhi ravi nhe hai is hadees mein.
3: Thaur bin yazeed al karahi jab madina mein aya to imam malik      ne kaha koi is k pass na baithay aur na is se rawayat likhhay.
4: Asool e hadees hai ke  koi admi koi aisi hadees rawayat kray aur       us admi ka talluk kisi khas groh se ho aur uske ilawa koi aur na      bayan kray  to us ki rawayat sahih nhe mani jaeygi kion ke              shuba hai ke us ne apne maslak ya aqeeday ki hamaiyat ki ho.
5:   Is hadees mein sabi naasbi hain.
ثور بن یزید کے(باپ/دادا) جنگ صفین میں حضرت امیر معاویہ رضی اللہ تعالی عنہ کہ ساتھ تھے اور حضرت علی رضی اللہ تعالی عنہ کے لشکر کے ہاتھوں قتل ہوئے
۔Thaur bin yazeed ke (baap/dada) jung e safeen mein hazrat ameer Muawiya radi Allah anho ke sath thy aur Hazrat Ali radi Allah anho ke lashkar ke hathoon qatal hoey
ثور بن یزید حضرت علی رضي اللہ عنہ کے بارے میں نام لیکر کہاکہ:
"میں ایسے شخص سے محبت نہیں کرتا جس نے میرے (باپ/دادا) کو قتل کیا۔
(طبقات سعد،ج 7، اور ابن حجر، تقریب التدھیب، راوی نمبر1057،ج 2)
thaur bin yazeed Hazrat Ali radi Allah anho ke baray mein naam le ker kaha ke "mein aise shakhs se mohabbat nhe kerta jis ne mere (baap/dada) ko qatal kiya.
(tabqaat ibn sa'ad vol 7,,, ibn e hajar, taqrib al,tahdheeb,
Rawi no 1057, vol 2.) Hazrat Ali aur Hazrat Ameer Muawiya radi Allah anhum ki aik dosry se jungain hoi aur thaur bin yazeed Hazrat Ameer Muawiya ki army mein thy. To phir jab dushmani ho to Insan kisi ki barrai bhi ker sakta hai dushman ko giranay k liye..WALLAHU AALAM

حضور صلّی اللّہ علیہ وآلہ وسلّم نے فرمایاکہ "کوئی منافق علی رضی اللہ تعالی عنہ سے محبت نہیں کرسکتا اور کوئی مؤمن علی رضي اللہ عنہ سے بغض نہیں رکھ سکتا۔ (جامع ترمذی، 213/4)
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ka irshaad e Mubarak hai ke:
            "Koi munafiq Ali Radi Allah Anho se mohabbat nhe ker sakta aur koi mo'min ali radi Allah anho se bughaz nhe rakh sakta.
(jamiya trimzi 213/4)
جس نے علی سے بغض رکھا اس نے مجھ (محمد صلّی اللہ علیہ وسلّم ) سے بغض رکھا اور جس نے مجھ سے بغض رکھا اس نے اللہ سے بغض رکھا۔
یہ حدیث کا آخری حصہ تھا۔ مجمع الزوائد، 109/9
Jis ne Ali se bughaz rakha us ne mujh(Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam) se bughaz rakhha aur jis ne mujh se bughaz rakha us ne Allah se bughaz rakhha.
Ye hadees ka akhri hissa tha… majmuaz'zawaiyd. 109/9


       Aisi he hadees ibn majah, nisai shareef, sahih muslim, abu dawood mein bayan hoi hai lakin kisi bhi hadees mein pehle lashkar ya us lashkar ki maghfirat ki basharat nhe sunai gai jo qaiser ke sheher per hamla kray ga.

Jab ke aisi he ahadees dosray raviyoun se sahih bukhari mein bayan ki gai hai us mein bhi kisi basharat ka zikar nhe aya hai

Sahih Bukhari, Vol 4, Page 327, Hadees 2894, 2895

In books mein bhi basharat ka koi zikar nhe aya hai

Reference available is here:

1: Sunnan Abu Dawood, Vol 2, Page 295,496,497
    Hadees 718.719,720.

2: Sunnann Nisa'I, Vol 2, Page 967,969,
    Hadees 1083,1084

3: Sahih Muslim, Vol 3, Page 340,342,343,344
    Hadees 437,438,439,440

4: Sunnan Ibn Majah Vol 2, Page 728,
    Hadees 933




Sab se pehle lashkar mein kaun tha aaeye Tareekh parhte hain

YAZEED SAB SE PEHLE LASHKAR MEIN TO NHE THA

Qaisar ka sheher koi bhi ho sakta hai. Missal ke tor per qabras, rome qustuntuniya ye sab qaisar ki badshahi mein ate thy. Is mein kisi khaas sheher ki taraf ishara nhe kiya gia balke qaisar ke sheher per hamla kerne ka farmaya gia. Jaise 27 hijri mein ameer muawiya radi Allah anho ne qaisar ke sheher qabras per behri hamla kiya. Ab aaeen dekhte hain qaisar ke sheher per hamlay hone ki Tareekh
اب آئيے دیکھتے ہیں کہ قیصر کے شہر پر حملے کس کس نے اور کس کس سن ہجری میں کئے۔ سب سے پہلا حملہ امیر معاویہ رضی اللہ تعالی عنہ نے 27 ہجری میں کیا، اور دوسرا حملہ جس میں لشکر قسطنطنیہ تک پہنچ گیا وہ 42 ہجری میں تھا۔
پلیز غور سے پڑھیےگا سن ہجری اور اس میں شرکت کرنے والے لوگ:

Ad mein bilad e rome per kis ne hamla kiya42
اس سال مسلمانوں نے لان اور روم سے جہاد کیا
Is saal musalmanoon ne laan aur rome se jehad kiya aur unko shikast fash di. Aur batreekoon ki aik jamat ko qatal kiya gia.
Tareekh tabri vol 4 page 32.

اس سال مسلمانوں نے لائنوں اور رومیوں سے جہاد کیا
Is saal musalmanoon ne lynoon aur romeon se jung ki aur un ke amra aur generals mein se bahut se admiyoun ko qatal ker diya gia.
Al.bidaya wan.nahaya, vol 8 page 37


43 ad mein bilad e rome pr kis ne hamla kiya.
اس سال میں بسر بن ارطاط نے بلاد روم سے جنگ کی حتی کہ قسطنطنیہ کے شہر تک پہنچ گیا
Is saal mein busar bin artaat ne bilad e rome se jung ki hatta ke qustuntunia ke sheher tak pohanch gia. Aur waqdi ke khyal mein mausam e sarma un ke mulk mein guzara.
Tareekh ibn kathir, al.bidaya wan.nahaya, vol 8, page 37.

43 ad mein bilad e rome pr kis ne hamla kiya.

واقدی کے زعم میں ہے کہ بسر بن ارطاط نے اس سال روم سے جنگ کی اور اسی سال سرزمین پرجھاڑوں کی فصل گذاردی اور قسطنطنیہ تک پہنچ گیا۔
Waqdi ka zaham hai ke busar bin artaat ne is saal  rome se jung ki aur issi sar'zameen per jharroon ki fasal guzar di aur Qustuntunia tak ponch gia.
Tareekh Tabri, Vol 4, Page 39.


دوستو! پتہ چلاکہ پہلا لشکر امیر معاویہ کے بعد جو رومیوں مطلب قیصرکے شہر والوں سے لڑنے گیا وہ 42 ہجری میں تھا۔ اور اگر قیصر کا شہرقسطنطنیہ ہی لینا مراد ہے تو تاریخ طبری اور تاریخ ابن کثیر البدایہ ولنہایہ کے مطابق بسر بن ارطاط 43 ہجری میں قیصر کے شہر قسطنطنیہ میں پہنچ گۓ تھے۔ تو اس کا مطلب ہوا کہ بسر بن ارطاط والا لشکر جنّتی ہے۔
Dosto! Pata chala ke pehla lashkar ameer muawiya radi Allah anho ke ba'd jo romeon matlab qaisar ke sheher waloon se larrne gia wo 42 hijri mein tha. Aur ager qaisar ka sheher qustuntunia he murad lena hai to Tareekh tabri aur Tareekh ibn katheer ke mutabik basar bin artaat 43 hjiri mein qaisar ke sheher qustuntuniya mein pohanch gaey the. To is ka matlab hua ke busar bin artaat wala lashkar jannati hai.

44 ad mein bilad e rome per kis ne hamla kiya?

Is saal mein abdur rahman bin Khalid bin walid radi Allah anho ne bilad e rome ke sath jung ki aur musalman bhi aap ke sath the. Aur unhoon ne mausam e sarma wohi guzara. Aur issi mein busar bin abi artaat ne samunder mein jung ki
Tareekh ibn kathir, al.bidaya wan,nahaya vol 8, page 42

Is saal abdur rahman bin waleed ke sath musalman bilaad e rome mein dakhil hoey aur sardiyoun ka mausam wohi guzara aur basar bin artaat ne darya mein jung ki.
Tareekh Tabri Volume 4, Page 62

45 ad mein kahan hamla hua.
Is saal ziyaad ke khurasani naib al.hukam bin umroo ne ziyad ke hukam se jabal-al-asal se jung ki aur un mein se bahut se logoon ko qatal kiya aur bahut se amwaal maal e ghanimat mein hasil kiye.
Al.bidaya wa.nahay vol 8, page 45.

is saal abdur rahman bin Khalid radi Allah anho rome mein sardiyaan guzari.
Tareekh Tabri, Vol 4, Page 70

46 ad mein bilad e rome per kis ne hamla kiya?
Is saal musalmanoon ne apne ameer Hazrat abdur rahman bin Khalid bin walid radi Allah anho ke sath bilad e rome mein guzara. Aur baz ka qol hai ke unka ameer koi aur shakhs tha.
Al.badaya wan.nahaya vol 8, page 46

Is saal maalik bin ubaidallah ne sar'zameen rome mein sardiyaan guzari. Abdur rahman bin Khalid radi Allah anho wa maalik bin habeera sakooni ka naam bhi liya gia hai. Is saal abdur rahman  bin Khalid radi Allah anho rome mein hams ki taraf aaey.
Tareekh Tabri Vol 4, Page 70

47 ad mein musalmanoon ne kia kiya?
Is saal musalmanoon ne mausam e sarma bilad e rome mein guzara. Aur is mein Hazrat Muawiya radi Allah anho ne hazrat Abdullah bin umroo bin il-aas radi Allah anho ko diyar e misar se mazool kr ke hazrat muawiya bin khadij ko wahan ka hakim muqarar kiya.
Al.bidaya Wan.Nahaya, Vo 8, Page 48.

Is saal maalik bin habeera na sar'zameen e rome mein aur abu abdur rahman qaini ne intakia mein sardiyaan guzari.
Tareek Tabri vol 4, page 71.

48 ad mein bilad e rome per kis ne hamla kiya?
Is saal abdur rahman al.qutni ne musalmanoon ke sath bilad e intakia mein mausam e sarma guzara aur issi mein uqba bin aamir ne ahle misar se samunder mein jung ki.
Al.bidaya Wan.Nayaha, Vol 8, Page 49.

Is saal maalik bin habeera sakooni ne darya mein jung ki.
abdur rahman bin qaini ne intakia mein sardiyaan guzari aur Abdullah bin qais fazari ne garmiyoun ka jehaad kiya.
Tareekh Tabri Vol 4 , Page 72.

49 ad mein bilad e rome per kis ne hamla kiya?
1:Is saal maalik bin habeera ne zameen e rome mein sard mausam guzara.
2:      Fazala bin ubaid ne jarya mein jung ki, fatah hasil hoi aur bahut se qaidi haath aey.
3:           Abdullah bin koza bijli ne garmiyoun mein hamla kiya.    Uqba bin nafeh ne darya mein jung ki aur ahle miser ke sath sardiyaan guzari.
4: yazeed ne jung ki yahan tak ke qustuntuniya tak pohanch gia.
Ibn abbas, ibn umer, ibn zubair aur abu ayyub ansari radi Allah anhum us ke sath the.
Tareekh Tabri Vol 4, Page 72

1: Is saal yazeed bin muawiya ne bilad e rome ke sath jung ki.               Hatta k sadat e sahaba radi Allah anhum ki aik jamat ke sath           jis mein Hazrat ibn umer, hazrat ibn abbas, hazrat ibn zubair aur hazrat abu ayyub ansari radi Allah anhum shamil the qustuntunia pohanch gia.
2: Aur issi saal maalik bin habeera fazari ne roomiyoun ke ilaqay       mein mausam e sarma guzara. Aur issi saal mein fazala bin            ubaid ka ghazwa hua.aur wohi mausam e sarma guzara aur sheher ko fatah ker ke bahut si ghaneemat hasil ki.
3:  Aur issi saal Abdullah bin karz ki garmai jung hoi aur issi mein ta'oon ki waba koofa mein parri.
Al.bidaya Wan.nahaya, vol 8, page 49.

Yazeed pehla shakhs hai jis ne yaqoob bin sufiyan ke qol ke mutabiq 49 ad mein qustuntuniya sheher se jung ki aur khalifa bin khayat ne 50 ad bayan kiya hai.
Al.bidaya Wan'nahaya Vol 8 Page 290

Allama Ibne Aseer Likhte Hain:
"Hazrat E Mawiyah Ne Ek Laskar Tayyar Kiya 50 Hijri Mein,UsKe Ameer Hazrat Sufiyan Bin Aaouf Ko Banaya Aur Yazeed Ko Bhi Ghazwah Mein Shamil Hone Ke Liye Kaha Mager Us Ke Heele Bahane Se Woh Ruk Gaya,Jub Phele Lashkar Room Phoncha To Wahan Aise Mouliq Bemari Ho gayi,Ye Baat Hazrat E Mawiyah Ko Pata Chali,Yazeed Ne Khush Hokar Kuch Ash'ar Parhe"
Ash'ar Ye The:
"Mujhe Parwah Nahi Ke In Lashkaroun Per Bukhar Aur Tangi O Takleef Ke Balain Aa parain,Jub Ke Mein Der Meran Ounchi Masnad Per Takiya Laga Kar Betha Hu Umaiye Kulsoom Ko Apne Pass Liye Betha Hun"
Ye Ash'ar Ameer E Mawiyah Tak Phounche To Unho Ne Qasam Khai Ke Ye Taqleef Is Ko Bhi Honi Chahiye.
umaiye Kulsom bint E Abdullah Ibne Amir Yazeed Ki Biwi Thi
.
{Ibne Aseer:3/189}

Allama Badruddin Aini Apni Sharha Mein Youn Likhte Hain:
"
Hazrat Mawiya Ne Ek Laskar Jis Ke Ameer,Sufiyan Bin Aouf,Ibne Abbas,Ibne Omar,Ibne Zubair Aur Ayub Ansari The Aur Ye Lashkar Shaher Ko Fateh Karte Huwe Wahan Shaheed Ho gaye,Yazeed Ke Sarparasti Mein Itne Jalil Ul Qadar Sahabi Un Ke Matehat Kaise Hote,Aur Yazeed Ameer Ka Ahal Na Tha"
{Umdatul Qari Shahrah Sahi Bukhari:6/649}

Pahela Lashkar Jo Jihad Ke Liye Nikla Us Ke Ameer O Qaaid Sufiyan Bin Aouf The.
Yazeed Ko Raah E Khuda Mein Jihad Karne Ka Koi Shoq Na Tha Balkey AmeerMawiya Ke Hukum Per Jihad Kiya.
Ameer Mawiya Ne Bator Saza Us Ko Bheja Tha Woh To Shair,Ayashi,Aur Umme Kulsom Ke Sath tha




50 ad mein bilad e rome per kis ne hamla kiya.?
Aur isi saal busar bin artaat aur sufiyan bin oaf ne sarzameen rome se jung ki aur isi mein fazala bin ubaid ne behri jung ki.
Al.bidya Wan.nahaya. vol 8, page 66.

بسربن ارطاط اور سفیان بن ازدی
Is saal basar bin artaat aur sufiyan bin azdi ne sar'zameen rome se jung ki aur ye bhi kaha jata hai ke fazala bin ubaid ansari ne darya mein jung ki
Tareekh Tabri Vol 8 Page 73.

Allama Ibne Aseer Likhte Hain:
"Hazrat E Mawiyah Ne Ek Laskar Tayyar Kiya 50 Hijri Mein,UsKe Ameer Hazrat Sufiyan Bin Aaouf Ko Banaya Aur Yazeed Ko Bhi Ghazwah Mein Shamil Hone Ke Liye Kaha Mager Us Ke Heele Bahane Se Woh Ruk Gaya,Jub Phele Lashkar Room Phoncha To Wahan Aise Mouliq(jaan laiwa) Bemari Ho gayi,Ye Baat Hazrat E Mawiyah Ko Pata Chali,Yazeed Ne Khush Hokar Kuch Ash'ar Parhe"
Ash'ar Ye The:
"Mujhe Parwah Nahi Ke In Lashkaroun Per Bukhar Aur Tangi O Takleef Ke Balain Aa parain,Jub Ke Mein Der Meran Ounchi Masnad Per Takiya Laga Kar Betha Hu Umaiye Kulsoom Ko
Apne Pass Liye Betha Hun"
Ye Ash'ar Ameer E Mawiyah Tak Phounche To Unho Ne Qasam Khai Ke Ye Taqleef Is Ko Bhi Honi Chahiye.
umaiye Kulsom bint E Abdullah Ibne Amir Yazeed Ki Biwi Thi
{Ibne Aseer:3/189}

Yazeed Ko Raah E Khuda Mein Jihad Karne Ka Koi Shoq Na Tha Balkey AmeerMawiya Ke Hukum Per Jihad Kiya

@Ameer Mawiya Ne Bator Saza Us Ko Bheja Tha Woh To Shair,Ayashi,Aur Umme Kulsom Ke Sath tha.


اب آئيے دیکھتے ہیں کہ یزید لعنتی کیسے ہوا؟
Yazeed lanti kaise hua?
حضرت امام حسین رضی اللہ تعالی عنہ کا مقام اور شہادت  کی خبر پر مشتمل چند احادیث پیش ہیں اسکے بعد تاریخ   کا مطالعہ کریں  گے۔ اس آرٹیکل  میں واقعہ کربلا، شہادت امام حسین رضی اللہ تعالی عنہ کے بارے میں تفصیلی بات نہیں کی گئ  اور کیونکہ اس  آرٹیکل کا مقصد یہ ہے کہ  یزید پر لعنت کرنا جائز ہے یا نہیں۔ اور کیا یزيد کو رحمت اللہ یا رحیم اللہ کہنا جائز ہے یا نہیں۔ اس لئے آج   احادیث اور تاریخ سے اس حقیقت کا پردہ اٹھائینگے۔انشاء اللہ۔ ذاکر نائیک اور دیگر لوگ   یزید کو صرف امام حسین علیہ السّلام کے حوالے سے بیان کرتےہیں اور اس کو جنّتی ثابت کرنے کی کوشش کرکے خود کو يزیدی ثابت کررہےہیں۔اب تاریخ اور احادیث پڑھیں۔

HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAH ANHO KA MUQAM AUR SHAHADAT KI KHABAR PER MUSHTAMIL CHAND AHADEES PAISH HAIN IS K BA'D TAREEKH KI STUDY KRTE HAIN

یا اللہ تو بھی حسین سے محبت کر
Ya Allah tu bhi Hussain se mohabbat ker
HADEES
Hazrat abu hurayra radi Allah anho se rawayat hai ke mein ne Rasoolallah Sallallahu alaihe Wasallam ko dekha. Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ne hazrat hussain alaihessalam ko uthhaya hua tha aur ye farma rahe thy:
"aey Allah mein is (hussain) se Mohabbat kerta hoon tub hi is se mohabbat ker.  Al'mustadrak al'haakum,177/3

HADEES
Rasoolallah Sallallahu alaihe Wasallam ne Farmaya:
"Hussain mujh se hai aur mein hussain se hoon, Allah us shakhs se mohabbat kerta hai jo hussain se mohabbat kerta hai.
Jamiya trimdhi 219/2.
HADEES
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne hussain bin ali radi Allah anhuma ke baray mein farmaya:
"jis ne is se mohabbat ki us ne mujh se mohabbat ki"
Al'majum al'kabeer, 3, hadees no 2643.

 HADEES
Hazrat Ayesha radi Allah anha se rawayat hai ke:
Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya:
"jibrail e ameen ne mujhe khabar di ke ye mera beta hussain mere ba'd muqam e ta'f mein qatal ker diya jaey ga.
Al'majum al'kabeer,107/3, hadees 2814

HADEES
Aap ki ummat Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ke is betay hussain ko us sar'zameen per qatal ker de gi jis ko karbala kaha jata hai.
Al'majum al'kabeer, 109/3, hadees 2819.

 HADEES
Ummul mo'maneen hazrat ummay salma radi Allah anha se marwi hai ke:
Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya:
"Hussain bin Ali ko 60 ad ke akhir mein shaheed ker diya jaey ga.
Tabrani fil awsat, 190/9

HADEES
Hazrat abu hurayra radi Allah anho aksar  dua farmaya kerte the:
"aey Allah mein 60 ad ki ibtada aur (ganwwar) larkoon ki hakoomat se teri panah chahta hoon
Al'sawaiq al'harqa,221.

HADEES
Aal e Muhammad Sallallahu alaihe Wasallam ka aik groh is maidan (karbala) mein shaheed hoga jis per zameen o aasman roeengay.
Al'khasais al'kubra, 126/2, sar ash'shahadateen, 13

HADEES
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya:
"jis ne in (Hassan aur hussain) donoon se mohabbat ki us ne mujh se mohabbat ki aur jis ne in donoon se bughaz rakhha us ne mujh se bughaz rakhha.
Al.bidaya wan'nahaya, vol 8, page 262.

HADEES
                                                                                                          
Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya:
"Hassan aur Hussain Radi Allah Anhuma no'jawanane jannat ke sardar hain.
Al.bidaya wan'nahaya vol 8, page 263.




 مختصر قصّہ کربلا
SHORT DESCRIPTION OF KARBALA



HADEESAIN
Quraish ke hathoon halaqat
Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ko farmatay suna ke mera beta yanni Hazrat Hussain arz e karbala mein qatal hoga aur tum mein jo shakhs us moqa per mojood ho wo us ki madad kray.
Al.bidaya Wan'nahaya Vol 8, Page255

Hazrat abu hurayra radi Allah anho se rawayat hai ke Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya ke "meri ummat ki halakat Quraish ke larkon ke hathoon hai.
Mishkaat musabeh, vol 3, page 8, 5153,ba'hawala sahih bukhari

Quraish aur bani ummiya
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya: "Ye amer hamesha insaaf o ehtadaal ke sath qaiym rahega, Hatta ke banu ummayya ka aik shakhs issay torr de ga.

SUNNAT BADALNE WALA
Hadees
Aur baihaqi ne awful ahrabi ke tareeq se an abi khalda, an abil aalia, an abi zar rawayat ki hai, woh bayan kerte hain ke mein ne Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallamko farmaty suna ke bila'shuba meri sunnat ko badalne wala pehla shakhs bani umya se hoga.

Ye hadees abul aaliya aur abu zar ke darmiyan munqatah hai. Aur baihaqi ne abu ubaida ki mutaqadim  hadees se issay tarjeeh di hai, woh  bayan kerte hain ke shak parta hai ke ye shakhs Yazeed bin Muawiya bin abi sufiyan hai. Wallahu Aalamu
Al.bidayah wan'nahaya Vol 6, Page 310

Hadees
Ro'yai ne apni musnad mein abu darda se rawayat kiya hai ke mein ne Nabi Pak Sallallahu Alaihe Wasallam se suna ke sab se pehle bani umayya ka aik shakhs yazeed naami meri sunnat ko badlay ga.
Tareekh-ul-Khulafa Page 300
HADEES
Ubaid Bin Jarrah Farmate Hain:
"Rasool Allah Ne Farmaiya:"Meri Ummat Ka Mamla Adal O Insaf Per Qaim Hoga.Yahan Tk Ke Rakhna Andazi Karne Wala Shaks Bani Ummaiyah Se Hoga Aur Naam Us Ka Yazeed Hoga
"
{Majma Alzawaid:5/241,Tareekh Ul Khulafa Arabi Syouti:142}

RAB E KA'ABA KI QASAM
Hazrat Umer Radi Allah anho ko farmatay suna ke: Rab e Ka'aba ki qasam! Mujhe maloom hai ke arab kab halaak hoon gay. Jab unka muntazim(administrator) wo shakhs hoga jis ne jahiliyat ka zamana paya hoga na ussay islam mein tuqaddam hasil hoga.
Al.bidaya Wan.nahaya Vol 8 Page 294


حضرت معاویہ رضی اللہ تعالی عنہ کی زندگی میں یزید کی بیعت کرنے سے انکار
Hazrat muawiya ki zindagi mein yazeed ki bait se inkar

Jab hazrat muawiya radi Allah anho ki zindagi mein yazeed k liye bait li gai to hazrat hussain, hazrat Abdullah bin zubair, hazrat abdur rahman bin abu bakr, hazrat ibn umer aur hazrat ibn abbas radi Allah anhum un logoon mein shamil the jinhoon ne uski bait se inkar ker diya tha.
Al.bidaya wan.nahaya, vol 8, page 196.


Yazeed ki taraf se ameer e Madina waleed bin utba bin abi sufiyan ki taraf khat
Yazeed ne Waleed bin utba ko likha: "amma ba'd! Hazrat Hussain, Hazrat Abdullah bin Umer aur Hazrat Abdullah bin zubair radi Allah anhuk ko sakhti se bait ke liye pakarr lo aur is mein kisi qisam ki narmi nhe hatta k woh bait ker lain
      Wassalam     
Al.bidaya wan.nahay, vol 8. page 191.




حضرت حسین رضی اللہ تعالی عنہ کومدینہ میں یزيد کا خط ملا کربلا سے پہلے
Hazrat Hussain radi Allah Anho ko Madina Mein
 Yazeed ka khat mila

Waleed bin utba ne aap ko khat (letter) diya aur hazrat muawiya radi Allah anho ki maut ki khabar di. Aap neInna Lillahe Wa Inna Ilaihe Raji'oon parha aur farmaya Allah ta'ala ameer muawiya per reham farmaey aur tujhe barra ajer de.
Pas ameer ne apko bait ki dawat di to Hazrat Hussain radi Allah anho ne ussay kaha mere jaisa shakhs posheeda bait nhe krta. Aur aap mujh se is ka taqaza na karain. Lakin jab log ikathay hongy to un ke sath hamain bhi bula lijiyega aur aik he baat hogi. Walid ne aap se kaha aur wo h aafiyat pasand tha Allah ka naam le ker  wapis chalay jaeye aur jamat ke sath wapis aaeye.
Marwan ne walid se kaha, Khuda ki qasam ager ye tujh se juda ho gaey aur is waqt bait na ki to tumaray darmiyan aur unke darmiyan qatlaam hoga. Unhain rokiye aur bait kiye baghair jane na dijiye. Basoorat e digar unhain qatal ker dijiye.
                  Hazrat hussain radi Allah anho ne kaha aey ibn zarqa tu mujhe qatal krayga? Khuda ki qasam tu ne jhoot bola hai aur gunah kia hai phir aap apne ghar wapis aa gaey. To marwan ne walid se kaha Khuda ki qasam is ke ba'd tu unhain kabhi nhe dekhay ga.
Walid ne kaha aey marwan qasam bakhuda mein nhe chahta ke duniya mafiha mere liye ho aur mein Hazrat hussain radi Allah anho ko qatal kron. SubhaanAllah, mein hazrat hussain ko is qol per ke mein bait nhe krta qatal ker doon. Aur qasam bakhuda mera yakeen hai ke jo shakhs hazrat hussain radi Allah Anho ko qatal krayga qayyamat ke roz uska tarazoo halka hoga.

(SubhaanAllah aik walid ka ye imaan ke Hazrat imam ko qatal krne wale ka qayamat ke roz imaan ka tarazoo halka hoga aur aik yazeed jis ne unko qatal kradiya)
Yazeed bin muawiya ne walid bin utba ko is kotahi ki wajah se madina ki amarat se mazool ker diya.
البدایہ والنہایہ، ج 8، ص 192
Al.bidaya wan.nahaya, vol 8, page 192.








ابن زیاد کا حکم امام حسین کے لیۓ کذاب بن کذاب کو گالیاں دو۔
Ibn ziyad ka hukam kazab bin kazzab ko galiyan do

Qais bin musaer sidawi hazrat hussain radi Allah anho ka khat le kr koofa aaya jab woh qaadsiya poncha to hasain bin numair saqfi ne ussay pakar ker ibn ziyad ke pass bhejwa diya, ibn ziyad ne ussay kaha, mahal ki choti per charr ker kazzab bin kazzab bin ali bin abi talib aur usk betay hussain ko galiyaan do.
Al.bidaya wan.nahaya vol 8 page 218.



شہادت امام حسین مختصر الفاظ میں
Shahadat e Imam Hussain Mukhtasar alfaaz mein

Yazeed 60 hijri mein hukamran bana

HADEES
"60 Hijri Se Allah Ki Panah Mango Aur Bacho Ke Hukmrani Ke"
{Albadaiyah O Alnahiyah:8/31}
HADEES
Hazrat abou Saeed Khudri Farmate Hain:
"Woh Larke 60 Hijri Ke Bd Hun Ge,Jo Namazain Zaiya Karain Ge,Aur Shewat Ke Pariwi Karain Ge,Tu Woh Ankareeb Gayi (Jahanum Ke Sakt Wadi) Mein Dalain Jain Ge"
{Al Bidaya Wann Nihaya:8/230}
"Is Hadees Mein Ishara Hai Ke Un Larkoun Mein Sub Se Phele Larka 60 Hijri Mein Hoga.Woh Hi Howa,Kyoun Ke Yazeed Bin Maawiya 60 Mein Khalifa Bana Aur 64 Tak Baqi Raha Phir Mar Gaya"
{Fatha Ul Bari:13/8}

Allama Badruddin Aaini Apni Shara Mein Likhte Hain:
"Aur In Larkoun Mein Se Sub Se Pahele Yazeed Hai,
Woh Aksar Aahwal Mein Buzurgoun Ko Bare Bare Shahroun Mein Se Hatha Kar Unki Jaga Apne Aziz O Akarib Mein Nav umar Larkoun Ko Muqarar Karta Tha"
{Umdat Ul Qari Sharah Sahe Bukhari:pg180 Hassiya Bukhari}

HADEES
Hazrat Imran Bin Hassain Farmate Hain; "Aqa Ne Is Haal Mein Wafat Paai Ke App Teen Qabiloun Ko Na Pasand Farmate The:
1: QabilaSaqeef
2: bani Hanifa
3: Bani Ummaiya
"Shah Muhadis Hadees Ke Sharah Mein Likhte Hain;
"Qabila Saqeef Mein Zalim Baadshah Hajaj Bin Yousuf Howa Jisne Ne Kam o besh 124000 Muslamoun Ko Qatal KIya,
Aur Bani Hanifa Mein Kazab Howa Jis Ne Nabowat Ka Jhota Dawwa Kiya,
Aur Bani Ummaiyah Se YAZEED Aur Ibne Ziyad Jaise Paida Howe Jis Ne ALE RASOOL Ko Qatal Kiya

60 saal ke baad
HADEES
Hazrat saeed khadri radi Allah anho bayan kerte hain ke : Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya ke 60 saal ke ba'd bekhaber admi hongay, jo namaz ko zaiya krain gay aur khawaishaat ki parivi krain gay aur anqareeb halakat se do'chaar hongay. Jo Quran parhain gay aur wo un ke galoon se agay nhe jaey ga aur 3 admi  Qur'an parhain gay mo'min, fasiq aur  faajir. Mein ne waleed se pocha ye teen admi kaun hoon gay?  Us ne kaha munafiq is ka inkari hoga aur faajir is ke zariye khanna harrap kray ga aur mo'min is per imaan laey ga.
Al.bidaya wan'nahaya vol 8, page 292

YAZEED NE IMAM HUSSAIN RA SE JUNG KA HUKAM DIYA UBAIDULLAH BIN ZIYAD KO
Imam Hussain radi Allah anho Ahle Iraq ke likhne per 10 dhul hajj ko apne ahle ka aik groh sath le ker jis mein chand mard, auratain  aur bachay thy, koofa ko rawana hoey. Idher Yazeed ne Iraq ke hakim Ubaidullah bin ziyad ko aap se jung kerne ka hukam diya to us ne Umer bin Sa'ad bin abi waqas ke zair kamaan 4000 hazar lashkar rawana kiya…… … Khuda aap ke qaatil ibn ziyad aur yazeed per lannat kray.
Tareekh-Ul-Khulafa Page 298


حضرت امام حسین رضی اللہ تعالی عنہ کی حق پر ہونے کی قسم
Hazrat imam hussain radi Allah anho ki qasam
Aap ne kaha (apne betay Ali bin hussain ko) qasam hai ussi Khuda ki jis k pass sab ko jana hai. Ham haq per hain. Ali bin Hussain radi Allah anhuma ne kaha phir hamain kuch parwa nhe. Marain gay to haq per marain gay.
Tareekh tabri jild 4.page 194



ابن زیاد کے قاصد کی آمد
Ibn ziad ke qaasad ki amad

Har ko ibn ziad ka khat dia. Us mein likha tha "mera qaasad aur khat jab tumain pohanchay to Hussain radi Allah anho ko bahut tang krna. Unko aisi jagah uterne dena jahan chatail maidan ho koi panah ki jagah na ho. Jahan pani na ho. Dekho  mein ne qaasad ko hukam de diya hai who tum per nigran rhe tumara sath na  chhorray jab tak ye mere pass khabar le kr na aey ke tum ne mera hukam poora kr diya hai.
Wassalam
Har ne khat parh kr ansar hussain radi Allah anho se kaha ke ye khat ameer obaidullah bin ziyad ka hai us ne mujhe hukam diya hai ke jis muqam per mujhe  ye khat pohanchay wohi tum logon ko bahut tang kroon aur dekho ye shakhs uska qaasad hai, isko hukam hua hai k mere pass se na hattay jab tak ye na dekh le ke mein ne ameer ki roy per amal kiya aur us k hukam ko jari kia.
Tabri jild 4 page 195.




IBN ZIYAD KA PAIGHAM JAWAIRIYA BIN BADR TAMIMI KE ZARIYAY

Hasain bin numair ne bayan kiya hai ke saeed bin ubaid ne mujh se bayan  kiya hai ke ham umer bin sa'ad ke sath pani mein naha rahay thy ke achanak is ke pass aik admi aya aur usne us se sargoshi ki aur us ne us se kaha ke ibn ziyad ne jaweriya bin badar tamimi ko bheja hai aur ussay hukam diya hai ke ager tu ne un (hussain) logoon ke sath jung na ki to wo tujhe qatal ker de.
              Al.bidaya wan.nahaya, vol 8, page 222.

 (yaad rhe k ibn ziyad ne ibn sa'ad ko qatal krne ka hukam diya aur aik khaas baat ke yahan bhi hukam lane wali bani tamim ki aurat thi…Hazrat imam hussain radi Allah anho ko aik shakhs jis ko hassain bin tamim kaha jata tha aap ke taloo mein teer maar ker chheed ker diya)


·       SHAHADAT IMAM HUSSAIN RA AUR US SE PEHLE HER BIN YAZEED HANZLA KA IMAM HUSSAIN RA KE LASHKAR MEIN SHAMIL HONA
Aap yazeed ki taraf chal parray to karbla muqam per sawar aap se mile aur aap un ko Allah aur islam ka wasta dete  hoey utter parray. Rawi bayan krta hai ke ibn ziyad ne umer bin sa'ad, shimmer bin zil joshan aur hasain bin numair ko aap ke pass bheja. Aur aap ne unko Allah aur islam ka wasta diya ke woh aap ko yazeed ke pass le jaeen wo apna hath yazeed ke hath mein rakh dain gy unhoon ne aap se kaha ke aisa nhe ho sakta siwaey is ke aap ibn ziyad ke faislay ko tasleem ker lain aur jo log un ke sath the un mein her bin yazeed hanzalibhi sawaroon ka sardar tha. Jab us ne imam hussain ki baat suni to us ne un (yazeedion ) se kaha ke kiya tum Allah se nhe darte? Kiya tum in logon ki in baton ko qabool nhe krogy jo tumaray samne ye paish ker rahe hain.
                 Khuda ki qasam! Ager turk aur delam tum se ye mutalba kerte to un ko wapis krna tumaray liye jaiz na hota magar unhoon ne ibn ziyad ke faislay ke siwa kisi aur faislay ko manne se inkar ker diya. Pas us (her) ne apne gorray ko chabak mari aur hazrat hussain k pass aa gia. Aur unhoon ne khayal kiya ke wo in ke sath jung krne aya hai.aur jab wo un ke nazdeek aya to us ne apni dhal ko palat diya aur unhain salam kaha phir us ne ibn ziyad ke as'haab per hamla ker diya aur un mein se 2 aadmion ko qatal kiya phir khud qatal hogia.
Al.bidaya wan.nahaya, vol 8, page 221.


SHAHADAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAH ANHO
 Rawi bayan kerte hai k wo uthh ker apne gorray k pass gia aur us per sawar hogia phir us ne apne hathiyar mangwa ker pehnay aur wo apne gorray per sawar tha aur wo logoon ke sath unki taraf gia aur inhooon ne(yazeedion) ne un ke sath jung ki aur Hazrat Hussain Radi Allah Anho ka sar ibn ziyad ke pass la ker us ke samne paish rakha gia wo apni chharri ko apki naak per rakhh ker kehne laga bila'shuba abu Abdullah siyah safaid balloon waly hain.
Al.bidaya wan.nahaya, vol 8, page 222.

QATLEEN HUSSAIN KE NAAM
Jab hazrat Imam Hussain radi Allah anho peene ke qabil pani ki tarf gaey to aik shakhs ne jissay hassain bin tamim kaha jata tha, us ne aap ke taloo per teer maar ker chheed ker diya
Al.bidaya wan'nahaya, Vol 8. Page 240

Pass jawanoon ne her taraf se Hazrat Hussain radi Allah anho per hamla ker diya. Aur zarhat bin shareek tamimi ne aap ke baeen (left shoulder) kandhay per talwar maari  aur daeen kandhay(right shoulder) per bhi talwar maari phir wo apko chhorr ker wapis chale gay.
Al.bidaya wan'nahaya Vol 8, Page 241

Bani tamim ke aik shakhs jissay umroo al'tehri kaha jata tha us ne Hazrat imam ke donon kandhoon ke darmiyaan  teer mara aur mein us teer ko aap ke kandhon ke darmiyan aap ke jubbay ke sath latka hoey dekh raha hoon
Al.bidaya wan'nahaya Vol 8, Page 223

Hazrat Hussain radi Allah anho ke qaatil kaun?
1: sanan bin abi Umroo bin anas nakha'i
2: Shimmer bin zil joshan
3:Umer bin sa'ad bin abi waqas
Ye mukhtalif rawiyoun ke qol hai qatleen Hussain ke bary mein
Al.bidaya Wan'nahay, Vol 8, Page 241


NOTE
ضروری نوٹ
( kuch log kehte hain ke yazeed ki fauj ne hazrat imam alaihessalam ko shaheed nhe kiya. Lakin yahan ye baat clear ho jati hai ke ye as'haab yazeed ki army ke the aur in ko ibn ziyad ne  Yazeed ke hukam ko poora kerne k liye he bheja tha. Aur yazeedi army ke he her hanzla ne tauba ker ke imam hussain alaihessalam ki taraf se yazeedi army per hamla kiya tha.)


Yazeed Ke Darbar mein Imam Hussain RA Ka sar e Mubarak Paish hona aur Us ki Gustakhi Kerna
یزید کے دربار میں حضرت حسین رضی اللہ تعالی عنہ کا سر مبارک پیش ہونا اور اس کی گستاخی کرنا
 Yazeed ne logoon ko darbar mein aane ka hukam diya. Log dakhil hoey kia dekha ke aap ka sar yazeed ke saamne rakha hua hai, yazeed k hath mein chharri hai woh aap k dantoon ko chharri se chair rha hai aur ye keh rha hai ke in ki aur meri wo h misaal hai jo hasain bin hamam mari ne kahi hai
Hamari talwarain apne he peyaroon ke sar urra deti hain. Who b to barray nafarman aur barray zaalim the.
As'haab e Rasool sallallahu alaihe wasallam mein se abu barza aslami radi Allah anho ne ye dekh kr kaha    ….. aey yazeed teri chharri  aur hussain radi Allah anho ke dant!  Array teri chharri kis muqam per hai. Mein ne isi jagah ko dekha ke Rasoolallah sallallahu alaihe wasallam choomte the. Sun rakh qayyamat ke din tera hasher ibn ziyad k sath hoga aur hussain radi Allah ta'ala anho Muhammad sallallahu alaihe wasallam ke sath hoongay. Ye keh kr wo h darbar se uthh kr chale gaey.
Tareekh tabri volume 4, page 240,

Pas yazeed ne hazrat imam radi Allah anho ke sar ko apnea gay rakha aur us k pass hazrat abu barza aslami bhi the aur yazeed chharri se aap ke chehray per thhokain dene laga aur kehne laga:
" wo talwarain in murdoon ki khhoprion ko phharr deti hain jo ham per garaan hote hain aur wo barray na'farman aur zaalim thy. Abu barza ne ussay kaha apni  chharri uttha lo' qasam Khuda ki mein ne basa'oqat Rasoolallah sallallahu alaihe wasallam ko apne mu ko in ke mu per rakh ker choomte dekha hai.
Al.bidaya wan'nahaya vol 8 page 253
Qoul E Abou Barzha:
"Jub Imam Ka Sar Mubarak Yazeed Ke Samne Rakha Tu Us Ne Apni Chharri se imam Ke Laboun Per Marta Hai,Teri Churi Imam Ke Us Maqam Per Maar Raha Hai Jis Jaga Aqa Un Ko Chooma Karte The,Aaye Yazeed Baroz e Qayamet Jub Tu bargahe Khuda Wandi Mein Hazir Hoga Tera Haami Sirf Ibne Ziyad He Hoga,Aur Jub Imam Ayeein Ge Un Ke Haami Aqa Hun Ge
"
{Seerat Halbiya:1/3}

Jub Ibne Ziyad Ne Imam Ko Aur Un Ke Rufuka Ko Qatal Kardiya Aur Un Ke Saar Mubarak Ko Yazeed Ke Pass Bheja To Yazeed Imam Ke Qatal Se Awwalan Khush Howa,Uske Wajah Se Ibne Ziyad Ke Qadar O Manzeelat Us Ke Nazdeek Ziyada Hoge,Mager Woh Us Khushi Per Ziyada Deer Tk Qaim Na Raha tha Ke Phir Nadim Howa"
{Albadaya Wann Nihaya:8/232}:
Allama Ibne Kaseer Farmate Hain:
"Beshak Yazeed Ne Ibne Ziyad Per Is Ke Fail Ke Wajah Se Laanat Tu Ke Aur Us Ko Bura Bhalla Bhe Kaha,Us Wajah Se Ainda Jub Haqeeqat Zahir Ho gai,Baat Khule Ge Tu Phir Kiya Hoga.Lekin Na Tu Usne Ibne Ziyad Ko Mazool Aur Na Bad Mein Us Ko Kuch Kaha,Aur Na He Us Ke Is Sharam Nak Aib Ke Alamat Ke"
{Albadaiyah Wann Nahaiyaha:8/203}
yazeed ne hussain bin hamam al'marari al'shahr ka ye shair parha
Wo talwarain in jawanoon ke saroon ko phorr deti hain jo ham per garaan hote hain aur wo barray na'farman aur zaalim thy
Al.bidaya Wan'nahaya Vol 8, Page 246

Jab hazrat hussain radi Allah anho ka sar laya gia to yazeed chharri se thhoker dene laga, sufiyan ne bayan kia hai ke mujhe bataya gia hai ke hassain is k ba'd ye shair parhta tha:
Samiya ki nasal ki ta'adad sangraizoon ki manind ho gai hai aur Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ki beti ki koi nasal nhe hai.
Al.bidaya Wan'nahaya Vol 8 Page 247

یزید کا علی بن حسین کو سانپ کا بیٹا کہنا
Yazeed ka Ali bin Hussain ko saanp ka beta kehna

Saanp saanp ko he jannam deta hai
Aik din yazeed ne Umer Bin Hussain (imam) se kaha wo bahut chhotay thy. Kiya tu is ke sath jung kray ga. Yanni is ke betay Khalid bin yazeed ke sath, us ka maqsad aap se mazah aur tafreeh kerna tha. Umer bin Hussain ne kaha mujhe aur ussay aik aik chharri de do ta ke ba'ham jung krain to yazeed ne aapko pakor ker apne sath laga liya aur kehne laga, mein saanp ki tabiyat ko janta hon, saanp saanp ko he jannam deta hai.
(kiya yazeed ka ye kehna jaiz tha ke Nawasa e Rasool ko saanp ko kehna? Allah uski akhirat kharab kray aameen)
Al.bidaya wan'nahaya Vol 8, Page 250


ابن زیاد کا شام کیطرف جاتے ہوئے قتل حسین پر شرمندہ ہونا
Ibn ziyad ka shaam ki taraf jate hoey qatl e hussain per shrminda hona
Yazeed Ke Mout Ke Bd Ibne Ziyad Shaam Ko Rawana Howa,Sawari Per Kisi Ghari Soch Per Tha,Rafiq E Saffar Ne Kaha:"App Ko Nind Nahe Arahe Hai?
Ibne Ziyad Ne Kaha:"Kuch Soch Raha Hun?"
Rafiq:"Yea Ke Ager Meine Imam Ko Qatal Na Kiya Hota?
Ziyad:"Jahan Tk Imam Hussain Ko Qatal Karne Ka Taluq Hai,Yazeed Ne Mujhe Hukum Diya Tha Warna Woh Mujhe Qatal Kardeta
,               

{Ibne Aseer:4/55}

ام لقمان بنت عقیل رضی اللہ تعالی عنہا کا نوحہ
Umme luqman binte aqeel radi Allah anha ka nooha
Jab ahle madina ko qatle hussain radi Allah anho ki  khabar pohanchi to binte aqeel radi Allah anho ibn abi talib apne khandan ki auratoon ko sath liye hoey niklein. Sar unka khhulla hua tha chadar ko sanbalti jati thi. Aur ye keh rahe thi

"logo ! kiya jawab do gay paighamber ko. Jab woh tum se pochhain gay ke tum ne paighamber akhiruz zaman ki ummat ho ke  meri izat aur mere ahle bait ke sath  mere ba'd kiya salook kiya, un mein se kuch aseer (qaid) hain aur kuch aloooda khaak  o khoon.
Tareekh tabri, volume 4, page, 241.

Jinoon Ka Nooha Kerna.
جنوں کا نوحہ کرنا

Abu Na'eem dalail mein hazrat Ummay Salma radi Allah anha se rawayat kerte hain. Wo kehti hain mein ne jinnoon ko Hazrat Imam Hussain radi Allah anho ki shahadat per rotay aur nooha kerte suna hai.
Tha'lub apne amali mein abu janab kalbi se rawayat kerte hain. Mein karbala mein ayaa to ashraaf e arab se aik shakhs se mein ne poochha, mein ne suna hai ke jinnaat ka nooha sunte rahe ho? Us ne kaha ye baat to yahan tumain her shakhs jo milay ga, bata dega. Mein ne kaha tum ne jo suna hai wo mujhe bata do. Us ne kaha mein ne to ye shair sunay hain.
Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne un ke chehra e Mubarak per hath phaira.
Isi waja se un ke rukhsaar chamak rahay hain.
Un ke waldain Quraish ke aala khandan se hain aur un ke Nana behtareen khalqat hain.
Tareekh-ul-Khulfa, Page 300

Bani matlab ki aik aurat apne baal kholay aur apni aasteen apne sir per rakhy bahir a ker un se mili aur wo ro ro keh rahe thi
"Ager Nabi Sallallahu Alaihe Wasallam tum se kahain ke akhri ummat hoty hoey tum ne mere fout hone ke ba'd mere ahle aur meri olad se kiya salook kiya to tum kiya jawab do gay. Un mein kuch to qaidi hain aur kuch khoon se lathhray parry hain. Jab mein ne tumari khair khawahi ki hai to ye mera badla nhe ho sakta ke tum mere rishta'daroon mein burai se jan'nasheeni kro.
Al.bidaya Wan'nahaya Vol 8 Page 253



AIK GHAIBI PUKAR JIS NE QAATLEEN HUSSAIN K JAHANMI HONE KI KHABAR MADINA MEIN DI
ایک غیبی پکار جس نے قاتلین حسین رضی اللہ تعالی عنہ کے جہنمی ہونے کی خبر دی مدینہ میں
Madaini bayan kerte hain ke jab ahle harah qatal hoey to Makkah mein Is shab ki shaam ko abu qabees per aik haataf ne awaz di aur Hazrat ibn zubair radi Allah anhuma baithay sun rahe the.
            "Rozadar, farmanbardar,ebadat guzar, naik hidayat'yafta, husn e salook kerne wale aur kamiyaabi ki taraf sabqat kerne wale, waqam aur  baqeeh(jannat baqeeh 2 graveyard) mein kaise kaise azeem aur khubsurat sardar aur yasrab(madina) ke ilaqay mein kaisi kaisi rone aur chillane waliyan hain' us ne naik ashkhaas aur naikoon ke bettoon ko qatal ker diya hai jo ba'ruhb aur sakhi thy.
Al.bidaya wan'nayaha vol 8 page 283.

Jis roz hussain radi Allah anho qatal hoey  ussi din subah ko madina mein ye awaz ei ke hussain radi Allah anho k qatlo! Tum ko azab o ruswai Mubarak ho.
Tamam ahle aasman, malaik aur ambiya tum per duaey bad kr rhe hain. Aur tum per dawood,Moosa wa Issa alaihessalam ne lannat bheji hai. Umro bin akrama kehta hai mein ne ye awaz sunni aur umroo bin khair dam kalbi kehta hai ke mere baap ne bhi ye awaz sunni thi.
Tareekh tabri volume 4 page 242/

Aur hishaam bin kalbi ne bayan kiya hai ke hamaray baz as'haab ne ba'hawala umroo bin al'muqaddam mujh se bayan kiya wo bayan kerta hai umroo bin akrama ne mujh se bayan kiya hai kiya ke:
Jis roz hazrat imam hussain radi Allah anho qatal hoey ham ne madinah mein uski subah ki to kiya dekhte hain ke hamari aik londi ham se bayan ker rahi hai ke mein ne guzishta raat se pehli raat ko aik pukarne wale ko pukarte suna, wo keh raha tha:
" aey hazrat hussain radi Allah anho ko az'rahe zulm qatal krne walo! Tumain azab o saza ki basharat ho, tamam ahle aasman, Nabi, Maalik aur log tumaray khilaaf bad'dua ker rahe hain, tum per hazrat dawood, hazrat Moosa aur sahib e anjeel hazrat issa alaihemussalam ki taraf se lannat ki gai hai"
Al.bidaya wan.nahaya, vol 8, page 254.

Hazrat ummay Salma radi Allah anha farmati hain ke mein ne jinnaat ko  Hazrat Hussain Radi Allah anho per Nooha kerte suna wo keh rahe the:
"aey hussain ko jahalat se qatal kerne walo!
Tumain azaab o saza ki basharat ho, tamam ahle aasman , Nabi, Musil aur log tumaray khilaaf bad'dua ker rahe hain, tum hazrat daood, hazrat Moosa aur sahib e anjeel alaihemussalam ki zuban se lannat ki gai hai.
Al.bidaya wan.nahaya, vol 8, page 257.








YAZEED KA KIRDAR:
یزید کا کردار مختصر الفاظ میں

In logoon ne madina aa ker ahle madina ke samne yazeed ko sab o shitam krna shuru kiya. Kaha ke ham aik aise shakhs k pass se ho kr aaeye hain  jo koi deen he nhe rakhta hai. Sharab peeta hai. Tanboora bajata hai. Us ki sohbat mein gana gane waliyan gana gaya bajaya krti hain. Kuttoon se khailta hai. Lachon aur londion se sohbat rakhta hai. Tum sab log gawa rho. Ham ne ussay khilafat se mazool kiya. Ye sun kr aur sab logoon ne bhi un ki ittabah ki.
 (is wafd mein Abdullah bin hanzla ansari ghusail malaika radi Allah anho aur Abdullah bin umroo makhzoomi aur munzar bin zubair aur bahut se log ishraf madina mein se un k sath the.in sab ko inhaam diya gia aur munzar bin zubair ko aik lakh dirham  inham diya gia.) Tareekh tabri jild 4 page 252

Munzar kaha krta tha Wallah yazeed ne aik lakh dirham mujhe diye hain. Us ka ye salook mujhe is baat se nhe rok sakta ke us ka haal tum se na kahoon aur sach sach na bayan kron. Wallah who sharab peeta hai. Aisa mast ho jata hai ke namaz ka bhi hosh nhe rehta
Tareekh Tabri Jild 4 page 253

Rawayat hai ke yazeed ganay bajane ke aalaat, sharab noshi kerne, raag alapne, shikar krne, ghulam aur londiyaan banana, kuttay palne, maindhon aur reechhoon aur bandroon ke larrane mein mash'hoor tha, her subah ko wo makhmoor hota aur wo zaindar gorray per bander ko zain se bandhta aur wo ussay chalata aur Bandar ko sone ki topi pehnata aur yehi haal ghulamoon ka tha.
Aur wo gorr dorr krata aur jab koi Bandar mer jata to us per gham kerta.
Al.bidaya wan'nahaya Vol 8, Page 298

Yazeed ganay bajane aur kuttoon bandron aur cheetoon ka dildada aur sharabnosh tha aik roz wo shughal may'noshi ke liye baitha to us ke baeen (left) janib ibn ziyad baitha tha, aur ye hazrat Hussain ke qatal ke ba'd ka waqia hai, wo apne saqi k pass a ker kehne laga
"mujhe wo sharab pila jo meri narm narm hadiyoun ko bhi sairab ker de, phir ibn ziyad ko bhi aisa he jam bher de jo mere nazdeek mera hamraz aur amen hai……………..
Phir us ne singers ko hukam diya ke wo un ash'aar ko gaeen, pas unhoon ne gana shuru ker diya, yazeed ke as'haab yazeed ki tarah bad'kirdar thy aur us ke zamanay mein Makkah aur Madina mein ganay ka dor dora tha.khail kood ke aalat istamal hone lagy aur logoon ne khullay bandoon sharaab noshi shuru ker di, us ke pass aik Bandar tha wo bhi mehfil may'noshi mein mojood hota aur ussay takiya laga ker deta aur wo barra khabees Bandar tha. 
Tareekh E Masodi ,Vol 4, Page 98"


اہل مدینہ نے یزید کی بیعت کیوں توڑی؟
AHLE MADINA KA BAIT TORRNE KA SABAB

AHLE MADINA KE BAIT MANSOOKH KERNE KA YE SABAB HUA KE YAZEED NE GUNAHOON MEIN BAHUT HE ZIYADATI SHURU KER DI THI, CHUNANCHAY WAQDI BA'SANAD ABDULLAH BIN HANZLA BIN GHUSEEL RADI ALLAH ANHO RAWAYAT KERTE HAIN KE HAM NE US WAQT TAK YAZEED KI BAIT FASAKH NHE KI YAHAN TAK KE HAMAIN YAKEEN NA HOGIA KE AASMAN SE PATHHAR BARSAIN GAY . YAHAN TAK NOBAT POHANCH CHUKI THI KE LOG MAOON (MOTHERS), BETIYOUN AUR BEHNOON SE NIKAH KERTE THY AUR SHARAB PEETAY THY AUR NAMAZ WAGHAIRA CHHORR BAITHY THY.
TAREEKH-UL-KHULAFA PAGE 301





اہل مدینہ کا مروان کے گھر کا محاصرہ
Marwan ke ghar ka muhasira (mukhtasar qissa)
Yazeed ko khalafat se mazool kr ke ahle madina ne Abdullah bin ghaseel malaika se jab bait kr li to usman bin Muhammad bin abi sufian aur is k sath he tamam bani umiya aur un k mawali aur ham khayal quraish mein se jitney madina mein mojood the sab per (ahle madina ne) hamla kr diya. Ye sab hazar admi hongy wahan se nikal kr marwan k ghar ki taraf aeye. Logoon ne us ka muhasra kr liya. Aur ye muhasra bahut kamzor tha. Bani ummiya mein se marwan aur umer bin usman bin afaan radi Allah anho ne habeeb bin karah ko bula bheja. Us waqt marwan he woh shakhs tha jo in sab ka sarkarda tha. Umer bin usman to aik kamsin larka tha uski   roy na thi. Yazeed ko khat mila. Yazeed ne umroo bin saeed ko logoon ko le kr us tarf jane ka hukam diya. Us ne inkar jaisa jwab diya.
Tareekh Tabri jild 1 page 254


یزید نے مسلم بن عقبہ کو مدینہ پر حملہ کرنے کا حکم دیا
Yazeed ne muslim ko Madina per hamla ka hukam diya

Yazeed Ne Abdullah Ibne Ziyad Ko Madine Per Charhai Karne Aur Makkah Mein Abdullah Bin Zubair Ka Mahasra Karne Ka Paigam Bheja Tu Us Ne Kaha Ke:"Khuda Ki Qasam!! Mein Is Fasiq (Yazeed) Ke Liye Ibne Rasool Ko Qatal (Jo Phele Kar chuka Hun) Aur Ka'be Mein Larai Dono Ko Apne Liye Jama Nahi KarunGa"
To Us Ne Mazrat Kardi
.
{Ibne Aseer:4/45}

Yazeed ne muslim bin uqba se kaha ke tumara bhala ho un logoon ke ba'd (jo madina mein qaid hain) zindagi ka kiya maza!  Uttho aur logoon ko le kr rawana ho aur apni khabar mujhe dete rehna. Gharz ye elaan hua ke logo Hijaz (makkah aur madina ke area ko hijaz kehte hain)  ki taraf rawana ho. Aao apna apna wazeefa pora pora le lo isk alawa so so dinar her shakhs k hath mein ba'tor e ehanat diye jaeengy. Gharz bara 12 hazar admi hijaz mein jane k liye uthh kharry hoey. Aur ibn ziyad ko yazeed ne likha tha ke tu ibn Zubair radi Allah anho se larrne ko rawana ho, us (ibn ziyad) ne kaha k is faasaq ke liye mein ye do do 2  2 gunah apne sar na loonga. Aik to Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ke Nawasay ko qatal kron dosra khana ka'ba per hamla kron.

Phir ye lashkar Muslim bin uqba ki sarkardagi mein yazeed ki taraf se rawana hua.            
Tareekh Tabri vol 4 page 255


Yazeed ne muslim bin uqba ki nigrani mein shaami fauj ko Madina ki taraf bheja, Muslim ne ahle Madina ko khaufzada kiya loota aur qatal kiya aur wahan ke logoon ne is baat per bait ki ke wo Yazeed ke ghulaam hain aur us ne Madina ka naam (natna) "badbu'dar" rakhha halanke Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne is ka naam taiyyeba (Pak saaf) rakhha.
Tareekhe Masodi Vol 3, Page 99.









یزید کی مسلم بن عقبہ کو مدینہ پر حملہ کرنے کی ہدایات اور مدینہ کو تین دن تک مباح قرار دیا
YAZEED KI MUSLIM BIN UQBA KO INSTRUCTION:


Yazeed ne muslim bin uqba ko hukam diya ke tum per kuch ban jaey to lashkar ka raees hasain bin numair ko bana. Aur logoon ko 3 din tak mohlat dena. Maan jaeen to maan jaeen warna un se qataal krna. Jab tum ko ghalba ho jaey to 3 din tak madina ko lootna. Wahan ka rupaiya aur hathiyar aur ghala sab lashkar waloon ka hai. 3 din k ba'd lootna band krna aur Ali Bin Hussain radi Allah anho se rahayat (concession) krna. Un ke sath naiki krna. Unko apne pass baithana. Logoon ne jo mujh se mukhalifat ki woh us mein shareek na the. Mere pass unka khat aya tha.
Tareekh Tabri vol 4 page 256

Yazeed ne Muslim bin uqba se kaha ke (ahle madina) ke logoon ko 3 bar dawat dena, ager wo rajooh karain to un ki baat qabool kerna aur un se baz rehna, basoorat e digger Allah se madad talab kerna aur un se jung kerna aur jab tu un per ghalib aa jaey to 3 roz tak madina ko mubah ker dena phir logoon se baz rehna.

Al.bidaya wan'nahaya vol 8, page 279.






اہل مدینہ اور مسلم بن عقبہ یزیدی کی جنگ
Ahle madina aur uqba ki jung
حرا کی جنگ
Hirah ya hurrah ki jung

Muslim bin uqba ne apne sab logoon ko sath le kr zameen sarah ki taraf harkat ki aur koofa ki rah per pohanch kr apna sara parda nasab kiya. Phir sawaron ka rasal bhej kr ibn ghaseel (ahle madina) ke muqable mein bheja. Ibn ghaseel ne apne as'haab ko sath le kr sawaroon per hamla kiya.
                                   Phir ahle shaam (yazeedi fauj) ne ahle madina per hamla kia. Aisi gumsaan ki jung hoi k us zamane mein aisi kam he hoi hogi. Teeroon ka meena ahle madina per barasna laga.(kitne sahaba e karam yazeedion ke hathoon shaheed hoey)
Tareekh Tabri vol 4 page 260

Muslim bin uqba (aur uski army) madina ke mashriq harah mein utter gia aur 3 roz tak us ne wahan ke bashindoon ko dawat di. Lakin sab ne jung ke siwa kisi baat ko tasleem kerne se inkar ker diya.(3 din k ba'd sulah kalam hoi lakin baat na bani). Yazeediyoun aur ahle madina ke darmiyan shadeed jung hoi. Phir ahle madina ne shikast khai. Donoon taraf se bahut se sadat wahiyan qatal hoey. Jin mein Hazrat Abdullah bin mateeh aur un k 7 betay unki ankhoon ke samne qatal hoey. Aur Hazrat Abdullah bin hanzilatul naseel aur un ke maa jaey bhai Muhammad bin sabit bin shimaas aur Muhammad bin umroo bin hazam qatal ho gaey. Jab wo bichhray parray thy to marwan aap ke pass se guzra aur kehne laga Allah aap per reham kray, kitne he satoon hain jin ke pass mein ne aap ko taweel  qayyam o sajood kerte dekha hai.
Al.bidaya wan'nahaya vol 8, page 280.

Yazeedi fauj ke leader Abdullah bin mateeh al'adadi aur Abdullah bin hanzla al'nasil ansari thy. Is azeem jung mein bani hashim aur deeger Quraish, ansaar aur doosry logoon mein se beshumaar qatal hoey.
Aale abi talib mein se jo log maray gay un mein Abdullah bin abi jaffar bin abi talib aur jaffar bin Muhammad bin ali bin abi talib thy. Aur aale abi talib ke alawa bani hashim se fazal bin abbas bin rabia bin haris bin abdul matlib, aur hamza bin Abdullah bin nofal bin haris bin abdul matlib aur abbas bin utba bin abi lahab bin abdul matlab maray gaey. Aur digger Quraish se 90 se ziyada admi aur itne he ansaar ke admi maray gaey aur jo log shumaar mein nhe aa sake un ko chhorr ker digger logoon mein se 4000 admi maray gaey. Aur logoon ne is per bait ki ke wo yazeed ke ghulam hain aur jis ne is baat ko man'ne se inkaar kiya us ne Ali bin hussain Bin Ali aur Ali bin Abdullah bin Abbas ke siwa talwar ki dhar per rakh lia.
Aur jung hura ya hira ke baray mein Muhammad bin aslam kehta hai:
Ager tum ne hira ke roz hamain qatal kiya to ham islam ki khatir qatal hone wale pehle log hain ham ne tumain badr ke roz zaleel ker chhorra tha aur ham apni talwaroon ko is haal mein le ker lotay thy ke wo tumaray khoon se badbudar ho gain thien.
TAREEKH E MASODI VOL 3, PAGE 100






مدینہ میں تین دن تک لوٹ مار کرنا اور معصوم لوگوں کا قتل کرنا اور عورتوں سے زنا کرنا یزیدی آرمی کا
MADINA MEIN 3 DIN TAK LOOT MAAR
AUR AURATOON SE ZINA KERNA YAZEEDI ARMY KA

Muslim bin uqba ne 3 din tak madina ki loot shaamiyoun ke liye jaiz (mubah) ker di. Logoon ko qatal phhirte the aur un ka maal loot lete the.
Tareekh Tabri Vol 4 page 261

Muslim bin uqba ne jissay salf masraf bin uqba kehte hain Allah is buray aur jahil insane ka bhala na kray yazeed ke hukam ke mutabiq madina ko 3 din ke liye mubah ker diya. Allah yazeed ko iski naik jaza na de aur us ne bahut se amwaal ko aur qarah ko qatal ker diya aur madina ke bahut se amwaal ko loot liya. Aur jaisa ke bahut se morkheen(historian) ne bayan kiya hai ke bahut sa shar o fasad paida hogia aur jin logoon ko us ke samne bandh ker qatal kiya gia un mein hazrat ma'qal bin sanan bhi thy.

                         Almadaiyni ne bayan kiya ke muslim bin uqba ne madina ko 3 din k liye mubah ker diya aur wo jis shakhs ko pate ussay qatal ker dete aur amwaal ko loot lete. Auratoon se zana kiya. Kehte hain ke in ayaam mein khawand ke baghair aik hazar auratoon ko hamal (pregnant) hogia.

                           Almadaiyni ne ba'hawala abi qurta bayan kiya hai ke hishaam bin Hassaan ne bayan kiya hai ke mar'raka(adventure) harah ke ba'd ahle madina ki aik hazar  auratoon ne khawand ke baghair bachoon ko jannam diya. Aur sadaat sahaba radi Allah anhum ki aik barri jamaat ro'posh ho gai.
                          Ansaar aur muhajreen ke 700 sarkarda log, aur mawali ke sarkarda log aur jin azad aur ghulam waghairham ko mein nhe janta  wo 10 hazar thy.
Al.bidaya wan'nahaya vol 8, pages 280.281,282


63 ad mein yazeed ko khaber mili ke Ahle Madina ne us ki bait fasakh ker di aur us se baghi ho gaey hain . us ne forum aik lashkar jarar un se larrne ke liye rawana ker diya aur kaha un se larrne ke ba'd Makkah mein Ibn Zubari radi Allah anho se jung krain , chunanchay Madina ke baab taiyyaba per jung herah hoi aur jung bhi kaise hoi is ka zikr krte hoey aik dafa Hassan basri kehte hain koi shakhs aisa na tha jo is lashkar ke gazand se mehfooz raha ho.
Bahut se Sahaba radi Allah anhum aur digar log bhi is jung mein shaheed hoey. Madina munawra ko loota gia aur sharam o hayya ke daman chalk kiye gaey . Inna Lillahe Wa Inna Ilaihe Raji'oon. Halanke Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ka irshad hai jis ne Ahle Madina ko khauf'zada kiya , Allah usko khaufzada kray ga aur us per Allah ta'ala , us ke tamam farishtoon aur tamam logoon ki lannat hogi.
Rawah muslim
Tareekh-ul-Khulafa page 301

Madina mein 700 hifaaz aur 300 as'haab shaheed hoey
Abdullah bin wahb ba'hawala Hazrat malik rahmatullah alaihe bayan kerte hain ke hurrah ke roz 700 haafiz e Quran shaheed hoey, mera khayal hai ke  Aap ne farmaya 300 Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ke as'haab thy. Aur ye waqiyah yazeed ki khilafat mein paish aaya.
(yazeed ke hukam per muslim bin uqba ne Madina per hamla kia.

Al.bidaya wan'nahaya Vol 6, Page 316

Yazeed k lashkar ne Hazrat Abu SAEED KHUZRI nabeena the unki dadhi pakad k thappad mare masjid-e-nabwi me azan muattal kardi 
ikamat muattal kar di namaz muattal kar di 3 din MUSTAFA (saw) k mazar par Azan nhi hui aur har kitab me ALBIDAYA WANnnihaya, 
Tareekhe Tabri me Tareekhe khulafa me IBNEASEER me tareekhe GALOOM me TAREEKHE ZAHBI me har seerat ki aur TAREEKh ki kitab me darj hai





MUSLIM BIN UQBA KI MAUT.
مسلم بن عقبہ کی موت

Muslim bin uqba merte waqt ibn numair ko wasiyat krta hai k khabron ko chhupaey rakhna, kisi Quraishi ki baat kabhi na sunna. Ahle shaam ko dushman ke muqable se kabhi hatne na dena. Ibn zubair radi Allah anho faasaq se larrne mein 3 din se ziyada dair na krna. Is k ba'd kaha:
Khuda wand! Shahadat  "La Ilaha Illallah Muhammadur Rasoolallah" ke ba'd  ahle madina se qatal krne se barh ker koi aisa amal e khair aisa mein ne nhe kiya  jis per mujhe naaz ho aur jis per akhirat mein mujhe bharosa ho.

Tareek Tabri vol 4 page 264. 64ad


Yazeed ke hukam ke mutabiq Muslim bin uqba Makkah per hamla kerne ke liye nikla to wo qadeem muqam per pohancha to muslim bin uqba mer gia……………………………………

TAREEKH E MASODI VOL 3 PAGE 102

ابن نمیر کی مکہ مکرمہ پر فوج کشی کرنا
Ibn Numair ki makkah per fauj kashi

Muslim ke merne k ba'd ibn numbair lashkar ko liye hoey  ibn zubair radi Allah anho se larrne ko makkah ki taraf rawana hua. Aur yahan tamam ahle makkah aur ahle hijaz(ibn zubair) se bait kr chukay the

Ibn zubair radi Allah anho ne apne bhai munzer radi Allah anho ko kuch logoon k sath qataal krne k liye rawana kiya. Aik sa'at tak unhon ne bahut shaded jung ki. Isi asna mein aik shaami ne unhain apne muqablay ke liye bulaya. Shaami khachar per sawar tha. Munzer radi Allah anho uski taraf barhay. Aik ne dosry per hamla kiya. Donon ke waar kari par gay. Donon be'jan ho ker gir pary. Is k ba'd ahle shaam ne bahut sakht hamla kiya. Ibn zubair radi Allah anho sabit qadam rhe. Is k ba'd ahle shaam  maah muharam aur aur kul maah safar tak ibn zubair radi Allah anho se qataal krte rahe.

Tareekh Tabri Vol 4 Page 265


یزیدیوں کا خانہ کعبہ پر سنگ باری کرنا
KHANA KA'BA PER SANG BARI:
        Rabi'ul awal 64 ad  ki teesri 3 tareekh roz'shanba in logoon (yazeedion) ne khana ka'aba per manjaneeq se pathhar barsaey aur aag laga di aur ye rajarr(shair) parhte jate the "ye manjneeq aik shutter mast hai ke ham is se ka'ab per nishana laga rhe hain"

umroo bin aws sidohi yehi kehta jata tha.
 Zara ummay faroha ko dekhna ke safa wa marwah ke darmiyan  logoon ko nishana bana rahe hai.
Ummay farwah us ne manjneeq ka naam rakhha hua tha.
                     Muslim ke dafan hone k ba'd ibm numair  muharam ki taisween 23 ko makkah ki taraf rawana hua aur muharam ki chhobees 26 ko  makkah pohancha. 64 din tak Ibn Zubair radi Allah anho ka muhasra kiye rakhha azza rabi'ul akhir ko yazeed ke  merne ki khabar sun ker muhasira uthha liya.
Tareekh Tabri Vol 4 Page 265

Unhoon (yazeediyoun) ne ka'aba per manjneeq nasb ker dein aur un se aag ke golay bhi phhainkay aur hafta(Saturday) ke roz Baitullah shareef ki diwarain jal gaien. Ye qol waqdi ka hai aur wo kehte hain ke:         "is ka gophhan phhatti hoi jhaag'dar cheez ki manind hai jis se  is masjid ki diwaroon per sang'bari ki jati hai.
Aur umroo bin hotatus sadosi kehta hai:     "tu ne ummay farwa ki karwai ko kaise paya us ne inhain safa o marwa ke darmiyan pakar liya.   Ummay farwa aik manjneeq ka naam hai.
Al.bidaya wan'nahaya vol 8, page 286.


Pass manjneeqooon ke pathhar pe dar pe baitullah per barasne lagay aur pathhroon ke sath aag aur matti ka tail (oil) aur kataan ke tookray aur digar jalne wali cheezain phainki jane lagi, ka'aba gir gia aur is ki amarat jal gai aur aik bijli giri jis ne manjneeqoon ko chalane wale 11 admiyoun ko jala ker rakh diya aur baz kehte hain ziyada admiyoun ko jala diya.
Ye waqiya yazeed ki maut se 11 din pehle ko hua. Ibn zubair aur ahle Makkah ki halat bahut kharab ho gai. Aur pathhroon, aag aur talwar se musalsal aziyat di ja rahi thi. Is baray mein abu dajza madni kehte hain
Ibn numair ne bahut he bura kaam kiya us ne muqaam aur musalla ko jala diya hai.
TAREEKH E MASODI VOL 3 PAGE 102

خانہ کعبہ میں آتس زنی، آگ لگنا
KHANA KA'ABA MEIN AATISH ZANI:

Khana ka'aba ke jalne ka incident yazeed ke merne ke 29 din pehle hua. Log us ke ird gird aag sulgaya krte the. Hawa chali.
 Aik changarri  urr ker ghulaf e ka'aba per ja parri. Chobina jal gia. Roz'shanba rabi'ul awal ki teesri 3 ko ye waqia guzra.
 Urwa bin azeena ussi din apni maa ke sath makkah aeye the. Unhoon ne ka'aba ko be'libas aur rukan hateem ko jhalsa hua aur teen 3 jagah se tarka hua dekh ker logoon se pochha ke ye kiya museebat ka'aba per I hai? Unhoon ne ibn zubair radi Allah anho  as'haab mein se aik shakhs  ki taraf ashara ker ke kaha "us shakhs ke sabab" se ye hadsa hua. Us ne burchhi ki noke se aik angara ko utthaya aur hawa ussay urra le gai. Ghulaf e ka'aba mein rukne yamani wa aswad ke darmiyan aag lag gai.

Tareekh Tabri Vol 4 Page 266


Baz ka qol hai masjid ki diwarain is liye jal gaeen ke ahle masjid ka'aba ke ird gird aag jalane lagay, pas ka'aba ke aik parday ko aag lag gai jo iski lakriyoun aur chhattoon tak ponch gai.

Al.bidaya wan'nahaya vol 8, page 286.


Manjneeqoon ke pathar pe dar pe Baitullah per barasne lagay aur pathroon ke sath aag aur matti ka oil aur kattan ka tookray aur diggar jalne wali cheezain phhainki jane lagi, Ka'aba mun'hedum ho gia aur us ki amarat jal gai

Tareekh Masaudi Page 102.



Yazeed ne us ki jagah kisi aur shakhs ko ameer banaya. Akhir 64 hijri maah safar mein unhoon ne Makkah ka muhasira ker liya aur ibn zubair radi Allah anho se jung shuru ker di aur manjneeq se pathar marne lagy aur un ki aag ke sholoon se Ka'aba ke parday, chhat aur us danba ke seeng jal gaey jo Hazrat Ismail Alaihessalam ka fidya bana ker bheja giya tha. Aur jo us zamanay se Ka'aba ki chhat per latkay chale aate thy.

Tareekh-ul-Khulafa Page 302





Yazeedion aur kharjion mein koi farq nhe hai

Ibn Zubair radi Allah anho ne  ibn numair se kaha qareeb a mien tujh se kuch batain kronga. Aur ye us se batain kr rhe the k un k gorron mein se kisi gorray ne laid ki, haram ke kabooter laid per giray. Ibn numair gorray se utter kr kabootron ko bachane laga. Ibn zubair radi Allah anho ne kaha ye kiya ker rhe ho?
Kaha aisa na ho ke haram ka koi kabooter gorray ki top se kuchal jaey.. kaha wah kabooter ke qatal se to perhaiz  hai aur musalmanoon ke qatal per amada hai.

Tareekh Tabri Vol 4 Page 266


کیا وہ امت جنہوں نے حسین کو قتل کیا، کیا وہ یوم حساب کو انکے نانا کی شفاعت کی امید رکھتی ہے
KIYA WO UMMAT JINHOON NE HUSSAIN KO QATAL KIYA:

Logoon ka aik groh aik ghazwa mein bilad e room ki taraf gia to unhoon ne aik kaleesa mein likha dekha:
"kiya wo ummat jinhoon ne Hussain Radi Allah Anho ko qatal kiya hai, yaum e hisaab ko un ke Nana ki shafa'at ki umeed rakhti hai?
                       Inhoon ne un se pocha ye shair kis ne likha hai, unhoon ne kaha ye aap ke Nabi ki ba'sat se 300 saal pehle ka likhha hua hai, rawayat hai jin logoon ne aap ko qatal kiya unhoon ne wapas aa ker sharab noshi kerte hoey raat guzari aur sar un ke pass tha to aik ahni qalam  un ke samne namoodar hua aur us ne un ke liye diwar per ye shair likhha:
Kiya wo ummat jis ne Hussain Radi Allah Anho ko qatal kiya, yaum e hisaab ko un ke nana ki shafa'at ki umeed rakhhti hai?"
Al.bidaya wan.nahaya vol 8, page 256

Hazrat ibn abbas Radi Allah Anho bayan kerte hain ke mein ne do'pehar ko khawab mein Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ko para'ganda mu ghubar aalood halat mein dekha aur Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ke Pass aik sheeshi hai jis mein khoon hai, mein ne kaha Ya Rasoolallah Sallallah Sallallahu Alaihe Wasallam mere maa baap aap per qurban hoon ye kiya hai? Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya ye Hussain aur un ke as'haab ka khoon hai mein musalsal us roz se ussay jamah ker raha hoon.

Al.bidaya wan.nahaya, vol 8, page 257



قاتلین حسین کو دنیا میں بھی سزا ملی
QATLEEN E HUSSAIN DUNIYA MEIN BHI MUSIBAT MEIN PHHANSAY:


Aur aap ke qatal ke baray mein jo ahadees aur fittan bayan kiye gaey un mein se aksar sahih hain aur jin logoon ne aap ko qatal kiya hai un mein se koi kam he duniya mein aafat aur musibat se bacha hai. Aur wo us waqt tak is duniya se nhe gia yahan tak ke ussay marz la'haq hua aur un ki aksariyat ko junoon hogia.

Al.bidaya wan.nahaya vol 8, page 258.

Note:
نوٹ
            Yahan un logoon ke daway ki takzeeb ho jati hai jo kehte hain ke yazeed qatal e hussain mein mulawis nhe tha kion ke yazeed bhi dard e qolanj ki wajah se tarrap tarrap ker mara, jaise is ke aur sathi marray koi payas ki waja se mara to koi kis waja se. yazeed ke man'ne waloon ko jo bidaya wan.nahaya kehte kehte nhe thakte hain kabhi is book per ghaur to ker lete. Kiya yazeed dard e qolanj mein mubtala ho ker nhe mara? Yes offcourse wo isi dar e qolanj ki wajah se he mara.

یزید کے کفریہ اشعار
YAZEED KA GUMRAHI WALA SHAIR


Yazeed ne jo ash'haar ghazwa e uhad ke baray mein kahay, wo kehta hai:
                "kash mere shayookh badar mein naizoon ke parrne se khazraj ki gabrahat ko dekhte jab wo un ke sehan mein utartay to unhoon ne untoon(camels) ko betha diya aur abdul ash'hal mein khub khoon raizi hoi aur ham ne un(musalmanoon) ke dugnay ashraaf ko qatal ker diya ham ne badar ki kujji(dagh ko )darust ker diya aur wo darust ho gai."

Aur baz rawafaz ne in mein ye izafa bhi kiya:
             "hashim ne hakoomat ke sath khail kiya pas ussay na hakoomat mili na wahi nazil hoi"

Al.bidaya wan'nahayah vol 8,page 285


"kaash mere bazurg badr mein naizoon ki chot per khazraj ke gabrahat ko dekhte, unhoon ne awaz buland ki aur khushi se chamak utthay phir unhoon ne mujhe kaha na poch jab un ke oontoon ke sehan mein takrao hua aur abdul-assal mein khub qatlaam hua, ham ne tumaray dugnay sardaroon ko qatal kiya hai aur ham ne badr ki kajji  ko seedha ker diya hai pas tub bhi seedha ho ja.

(in shairon mein yazeed kehta hai ke mein ne tumaray badr k muslim k hathoon  hone wale kaafiron ka badla liya hai…ASTAGHFIRULLAH)

Al.bidaya wan.nahaya vol 8, page 246









IMAM IBN KATHEER KA YAZEED PER TABSARA

Yazeed ka muslim bin uqba ko ye kehna mein ke wo madina ko 3 din tak mubah ker de, fahash ghalti thi aur ye aik bahut barri qabeeh ghalti hai. Aur is ke sath bahut se sahaba aur un ke betoon ka qatal bhi shaamil hai aur pehle bayan ho chukka hai ke us (yazeed) ne Hazrat Imam Hussain aur aap ke as'haab ko ubaidullah bin ziyad ke hathoon qatal kiya aur 3 ayaam mein madina  munawra mein be'haddo be'hisaab mufaasid roo'numa hoey. Jinhain Allah ke siwa koi nhe janta  aur us ne muslim bin uqba ko bhej ker apni hakoomat aur iqtadar ko mazboot kerne aur jhagra kerne wale ke baghair apne ayaam ko dawam bakhashna chaha magar Allah ta'ala ne is ke iraday ke khilaaf  ussay saza di aur us ke iraday ke darmiyaan haiyl ho gia pas Allah ta'ala ne ussay halaak kiya jo charoon 4 (yazeed,uqba,ibn ziyad,ibn sa'ad) ko halaak kerne wala hai aur us ne ghaalib muqtadar ki tarah grift ki aur isi tarah tere Rab ne zaalim bastiyoun  per grift ki, bilashuba uski grift dardnaak aur sakht hoti hai.

Al'bidaya wan'nahay, vol 8, page 283

یزید لعنتی کیسے ہوا؟
YAZEED LANTI KAISE HUA?
HOW YAZEED CURSED?


In ahadith ko parhne aur ooper hone wale waqiyat ke ba'd koi insane yazeed ko raheemullah nhe kahega aur na us ko jannati bole ga.

AHADITH حدیثیں


HADEES: 1

MADINA HARAM HAI.

Hazrat Abdullah bin abbas radi Allah anhuma se rawayat hai ke :
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya:
"Aey Allah! Mein ne Madina ko isi tarah haram qarar diya hai jis tarah tu ne Makkah Mukarma ko haram banaya hai.

1: Ibn abi shaiba, al'musnaf, 296/7, raqm 36228
2: Abu ya'la, al'musnad, 402/4, raqm 2526

HADEES: 2

Hazrat Abdullah bin Abbas radi Allah anhuma se rawayat hai ke:
Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya:
"Her Nabi k liye koi na koi harom hai aur mera harm Madina hai.

1: Ahmad bin humble, al'musnad, 318/1
2: Tabrani, al'majum al'awsat, 356/6, raqm 6607.
3: Ibn juh'd, almusnad,492/1, 3427.
4: Delmi al'firdous, 335/3, raqm 5007.
5: Haithmi, Majmuaz'zawa'id, 301/3.

HADEES: 3

    Hazrat jaber bin Abdullah radi Allah anhuma se marwi hai ke:
                 Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam Ne Farmaya:
 "Kisi fard(human) ke liye jaiz nhe ke Madina mein larrne ke liye hathiyar utthaey".

1: Ahmad bin humble, al'musnad, 347,393/3
2: Sunnan abu dawood, 216/2, raqm 2035.
:  baihaqi, sunnan al'kubra, 201/53
4: shokani, neelal awtaar, 101/5

Hadees: 4

Hazrat Anas Radi Allah Anho farmate hain ke:
             Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya hai ke:
"Yahan se wahan tak Madina haram hai, na is ke darakhtoon ko kata jaey aur na yahan kisi jurm ka irtakab kiya jaey, lehaza jis shakhs ne yahan koi jurm kiya, us per Allah ta'ala, us ke farishtoon aur tamam Insanoon ki lannat ho.

1: Sahih Bukhair, 601/2, raqm 1768
2: Sahih Muslim, 999/2. raqm 1371
3: Sahih Muslim, 995/2, raqm 1370
4: Ahmad bin Humble, Al'musnad, 526/2, raqm 10816
5: Baihaqi Sunnan Al'kubra, 197/5, raqm 9739

Hadees: 5

Hazrat abu hurayra radi Allah anho se rawayat hai ke:
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya:
"Jo shakhs is sheher waloon (yanni ahle madina) ke sath burai kerne ka irada kray ga Allah ta'ala ussay (dozakh mein) is tarah phiglaey ga jaisa ke namak pani mein gul jata hai.

1: Sahih Muslim, 1007/2, raqm 1386
2: Sunnan Ibn Majah, 1039/2, raqm 3114
3: Ahmad Bin Humble, Al'musnad, 279/2, 309,357
4: Abdur'Razzaq, Al'musannaf, 264/9, raqm 17155, 17157
5: Sahih Ibn Habban, 54/9, raqm 3737
6: Hameedi, Al'musnad 492/2, raqm 1147

Hadees: 6

Hazrat Jaber radi Allah anho se rawayat hai ke:
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya;
"Jo ahle madina ko khauf'zada krayga (qayamat ke din) Allah ta'ala ussay khauf'zada krayga.

1: Sahih Ibn Habban, 55/9, raqm 3738
2: Ahmad bin Humble, Almusnad, 55,56/4
3: Nisa'I sunnan al'kubra
4: Abdur Razzaq, al'musnaf
5: Tabrani, majum al'kabeer

Hadees: 7

Hazrat ebada bin saamat radi Allah anho aur Hazrat saaheb bin khalad radi Allah anho se rawayat hai ke:
   Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne Allah Rabul izat ki bargah mein arz kiya:
         "Aey Allah jo bhi Ahle Madina per zulm kray ya unhain daraey to tu ussay dra. Aur us per Allah ta'ala, Malaika aur tamam logoon ki lannat ho. Us se Allah ta'ala faraiz qabool farmaey ga na nawafol.

1: Tabrani Al'mahjum Al'kabeer, 144/7, raqm 6636
2: Tabrani Al'mahjum Al'osat, 53/4, raqm 3589
3: Delmi, Al'firdous, 505/1, raqm 2067
4: Muqadasi, Al'ahadeesul Mukhtaar, 330/8, raqm 399
5: Mudhari, Al'targheeb Wal'tarheeb, 152/2, raqm 1891







YAZEED LANTI KAISE HUA. AB DEKHTE Hain

Short revision
ایک نظر پیچھے آنے والے واقعات پر


Yazeed ne muslim bin uqba se kaha ke tumara bhala ho un logoon ke ba'd (jo madina mein qaid hain) zindagi ka kiya maza!  Uttho aur logoon ko le kr rawana ho aur apni khabar mujhe dete rehna. Gharz ye elaan hua ke logo Hijaz (makkah aur madina ke area ko hijaz kehte hain)  ki taraf rawana ho. Aao apna apna wazeefa pora pora le lo isk alawa so so dinar her shakhs k hath mein ba'tor e ehanat diye jaeengy. Gharz bara 12 hazar admi hijaz mein jane k liye uthh kharry hoey. Aur ibn ziyad ko yazeed ne likha tha ke tu ibn Zubair radi Allah anho se larrne ko rawana ho

Muslim bin uqba ne 3 din tak madina ki loot shaamiyoun ke liye jaiz (mubah) ker di. Logoon ko qatal phhirte the aur un ka maal loot lete the.
Tareekh Tabri Vol 4 page 261


Muslim bin uqba ne jissay salf masraf bin uqba kehte hain Allah is buray aur jahil insane ka bhala na kray yazeed ke hukam ke mutabiq madina ko 3 din ke liye mubah ker diya. Allah yazeed ko iski naik jaza na de aur us ne bahut se amwaal ko aur qarah ko qatal ker diya aur madina ke bahut se amwaal ko loot liya. Aur jaisa ke bahut se morkheen(historian) ne bayan kiya hai ke bahut sa shar o fasad paida hogia aur jin logoon ko us ke samne bandh ker qatal kiya gia un mein hazrat ma'qal bin sanan bhi thy.
 Almadaiyni ne bayan kiya ke muslim bin uqba ne madina ko 3 din k liye mubah ker diya aur wo jis shakhs ko pate ussay qatal ker dete aur amwaal ko loot lete. Auratoon se zana kiya. Kehte hain ke in ayaam mein khawand ke baghair aik hazar auratoon ko hamal (pregnant) hogia.  Almadaiyni ne ba'hawala abi qurta bayan kiya hai kehishaam bin Hassaan ne bayan kiya hai ke mar'raka(adventure) harah ke ba'd ahle madina ki aik hazar  auratoon ne khawand ke baghair bachoon ko jannam diya. Aur sadaat sahaba radi Allah anhum ki aik barri jamaat ro'posh ho gai.  Ansaar aur muhajreen ke 700 sarkarda log, aur mawali ke sarkarda log aur jin azad aur ghulam waghairham ko mein nhe janta  wo 10 hazar thy.
Al.bidaya wan'nahaya vol 8, pages 280.281,282
احادیث
Hazrat Abdullah bin abbas radi Allah anhuma se rawayat hai ke :
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya:
"Aey Allah! Mein ne Madina ko isi tarah haram qarar diya hai jis tarah tu ne Makkah Mukarma ko haram banaya hai.

1: Ibn abi shaiba, al'musnaf, 296/7, raqm 36228
2: Abu ya'la, al'musnad, 402/4, raqm 2526

Hazrat abu hurayra radi Allah anho se rawayat hai ke:
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya:
"Jo shakhs is sheher waloon (yanni ahle madina) ke sath burai kerne ka irada kray ga Allah ta'ala ussay (dozakh mein) is tarah phiglaey ga jaisa ke namak pani mein gul jata hai.

1: Sahih Muslim, 1007/2, raqm 1386
2: Sunnan Ibn Majah, 1039/2, raqm 3114
3: Ahmad Bin Humble, Al'musnad, 279/2, 309,357
4: Abdur'Razzaq, Al'musannaf, 264/9, raqm 17155, 17157
5: Sahih Ibn Habban, 54/9, raqm 3737
6: Hameedi, Al'musnad 492/2, raqm 1147

Hazrat Anas Radi Allah Anho farmate hain ke:
             Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya hai ke:
"Yahan se wahan tak Madina haram hai, na is ke darakhtoon ko kata jaey aur na yahan kisi jurm ka irtakab kiya jaey, lehaza jis shakhs ne yahan koi jurm kiya, us per Allah ta'ala, us ke farishtoon aur tamam Insanoon ki lannat ho.

1: Sahih Bukhair, 601/2, raqm 1768
2: Sahih Muslim, 999/2. raqm 1371
3: Sahih Muslim, 995/2, raqm 1370
4: Ahmad bin Humble, Al'musnad, 526/2, raqm 10816
5: Baihaqi Sunnan Al'kubra, 197/5, raqm 9739

Aik ghaibi awaz ko suna gia
Aey Hazrat Hussain radi Allah anho ko azrah e zulm qatal kerne walo! Tumain azaab o saza ki basharat ho, tamam ahle aasman , Nabi,Maalik aur log tumaray khilaaf bad'dua ker rahay hain, tum per Hazrat daood,Hazrat Moosa aur haamil anjeel alaihemussalam ki taraf se lannat ki gai hai.
Al.bidaya Wan'nahaya Vol 8 Page 254

Muslim bin uqba ne yazeed ke hukam ke mutabiq Madinah ko teen din ke liye mubah ker diya.
Al.bidaya Wan'nahaya Vol 8 Page 280

اب آپ سب نے اپنی آنکھوں سے پڑھ لیا کہ مدینہ میں کوئی جرم کريگا تو اس پر اللہ کی،فرشتوں کی اور تمام انسانوں کی لعنت ہوتی ہے۔ یزید نے آرمی بھیجی اور اس نے تین دن مدینہ مباح کردیا اپنی فوج کے لیۓ اور لوٹ مار کی اور عورتوں سے زنا کیا۔ تو یہ سب جان لینے کے بعد کوئی جاہل ہی ہوسکتا ہے جو کہے کہ یزید جنّتی ہے اور اسکو رحیم اللہ یا رحمت اللہ کہنا جائز ہے۔
امید ہے کہ لوگ زاکر نائیک جیسے گمراہ کن لوگوں سے بچنے کی کوشش کرینگے کیونکہ جن کی یہ پیروی کرتے ہیں وہ صحیج نہیں تو ان کا عقیدہ کیسے ٹھیک ہو سکتا ہے۔ اللہ نے ہر ایک کو عقل سلیم عطا کی ہے یہی سوچنے اور سمجھنے کے لیۓ۔ اللہ ہم سب کو نیک اور سیدھی راہ پر چلاے۔آمین۔۔۔
Ab aap sab ne apni ankhoon se parh lia ke madina mein koi jurm kray ga to us per Allah ki , farishtoon ki, aur tamam insanoon ki lannat hoti hai. Yazeed ne army bheji aur us ne 3 din madina mubah ker diya apni fauj ke liye aur loot maar ki aur auratoon se zina kiya. To ye sab kerne se kiya wo lannati nhe hoa. Waqia karbala aur Makkah mein hone wali sang bari aur aatish zani ko bhi  chhorr dain to bhi Madina mein kiye gaey jurm us per lannat kerne k liye kaafi hain.
Ye sab jaan lene ke ba'd koi jahil he ho sakta hai jo kahe ke yazeed jannati hai aur us ko raheemullah aur rahmatullah kehna jaiz hai.
Umeed hai ke log zakir naik jaise gumrah kun logoon se bachne ke koshish krain gay kion ke jin ki ye zakir naik pairvi krta hai wo lannati hain wo sahih nhe hain to in ka aqeeda kaise theak ho sakta hai. Allah ne her aik ko aqal e saleem ata ki hai yehi sochne aur samajhne k liye.
Allah ham sab ko naik aur seedhi rah per chalaey.. aameen.


Itni Ahadees jo Imam Hussain Alaihessalam ke hawalay se hain, aur 61 hijri ki ahadees hain aur Yazeed ke hawalay se ahadees hain aur bani Ummayya ke hawalay se hain aur itne tareekhi books ke hawala jaat jin mein sab kuch saaf bayan howa hai ke yazeed ne kiya kia aur us ka character kaisa tha.kiya in Ahadees ke ba'ad bhi hamain is per scholars ki commentary ki zaroorat par sakti hai?




Akhir mein Yazeed ko Raheemullah kehne waloon ke liye aik hadees paish hai jis mein Khalid bin Yazeed bin Muawiya ki pusht se niklne wala Sufiyani jo shaam ka ilaqay se Imam Mehdi k khilaaf aik lashkar bhejay ga. Aur us ka lashkar baida ke muqam per zameen ke andher dhans jaey ga. To aap Yazeed ko to pehle he raheemullah kehte hain us se mohabbat kerte hain to zahir hai sufiyani us ki olad se hoga to sufiyani se bhi aap log mohabbat krain gay.. ham to aaj bhi Hussain se Mohabbat kerte hain aur kal Mehdi Alaihessalam se mohabbat krain gay. INSHA ALLAH
HADEES NICHAY HAI


YAZEED KI PUSHT SE AIK FITNA SAAZ SUFIYANI NIKLAY GA
Hazrat Ali Radi Allah Anho se manqol hai ke:  wo Sufiyani (jo akhri zamanay mein shaam ke ilaqoon per qaabz o hukamran hoga) "Nasli tor per Khalid Bin Yazeed Bin Muawiya" ki pusht se talluk rakhta hoga, wo barray sar aur aur chichak zada chehray wala hoga. Us ki ankh mein aik safaid dhaba hoga, damishq ki taraf us ka zahoor hoga. Us ke tabedaroon ki ziyada'ter qabila kalb se talluk rakhne wale logoon per mushtamil hogi,
Logoon ka khoon bahana us ki khas adat hogi, yahan tak ke wo haamla auratoon ke pait chalk ker ke bachoon ko halaak ker diya kray ga.woh jab Hazrat Imam Mehdi Alaihessalam ke zahoor ki khabar sunay ga to un se jung kerne k liye aik lashkar bhejay ga to un se jung kerne k liye aik lashkar bhejay ga jo shikast kha jaey ga, us ke ba'd wo sufiyani ba'zat e khud aik lashkar le ker Hazrat Imam Mehdi Alaihessalam ke muqablay ke liye chala jaey ga lakin wo muqaam e baida per pohanch ker apne tamam lashkar waloon ke sath zameen mein dhans jaey ga aur koi shakhs bhi zinda nhe bachay ga siwaey aik shakhs ke jo Hazrat Imam Mehdi Alaihessalam ko Sufiyani aur us ke lashkar ki ibratnaak hasher ki khabar sunaey ga.
Alamat e Qayyamat Se Mutallik Rasool e Akram Sallallahu Alaihe Wasallam Ki Paish'goiyaan
Writer Muhammad Haroon Muawiya
Page 47
Ab is hadees se bhi sabit hogia hai ke yazeed aur us ke  pairokaroon ne Hazrat Imam Hussain Alaihessalam ko Shaheed kiya tha. Aur anqareeb e qayyamat Aale Ali ya Aale Hussain se Imam Mehdi Alaihessalam ko shaheed krne ke liye Yazeed ke betay Khalid ki pusht se Sufiyani bhi Hazrat Mehdi Alaihessalam ko shaheed kerne ke liye jaey ga lakin is baar mamla aur result mukhtalif hoga aur is baar Allah ki ghaibi imdad Aale Ali ke sath hogi aur Yazeedi pairokar maray jaeen gay.Yazeed bhi Shaam ka hukamran tha Aur Sufiyan bhi shaam ka hukamran hoga.Imam Hussain bhi Madina se thy aur Imam Mehdi Alaihessalam bhi Madina ke hoon gay..Phir pata chale ga ke jo log ab Yazeed ko jannati aur Raheemullah kehte hain tab kis ka sath dain gay. Offcourse apne mehboob yazeed ki aal olad ka sath dain gay.



Kuch Scholars ki Commentary Yazeed ke Hawalay se

English commentary mere friends ki sharing hai jo izafi tor per shamil ki hai

. Shaykh ul Islam Ibn Hajr al-Asqalani (rahmatullah alaih)
Imam Ibn Hajr (rahmatullah alaih) made the whole title in his book al-Imta bil al-Arb'ain as "SENDING LANAH ON YAZID (Lanati)"
Loving and glorifying him (Yazid) is not done “EXCEPT BY A HERETIC” who has void belief because he (Yazid) had such characteristics that his lover deserves to be faithless, because to love and hate just for the sake of God is a sign of faith.
[Publisher's name: Dar ul Kutb al iLmiyyah, Beirut, Lebanon, Book name: al-Imta bil al-Arba'in al-Matbainatus Samah
(الإمتاع بالأربعين المتباينة السماع), Author: Imam Ibn Hajr al Asqalani (rah), Publication date: 1997, Page No. 96]

. In Tafseer Ruh al Maani Declairing Yazeed a kafir

"Allamah Alusi stated, Yazeed the impure denied the Prophethood of Rasulullah (salallaho alaihi wasalam). The treatment that he meted out to the people of Makka, Medina and the family of the Prophet proves that he was a kaafir"

Once in the gathering of Amir Ul Mominein Hazrat Ummar Bin Abdul Aziz .people talked about yazeed, someone among the people said ( Amir Ul Mominein to Yazeed ) Hazrat Ummar Bin Abdul Aziz replied in anger,'' you call Yazeed ( Bad Character Person  as Amir Ul Mominein?. Than Hazrat Ummar Bin Abdul Aziz gave order of 20 lashes to the person who called Yazeed Amir Ul Mominein
 [ Tahdheeb Al'Tahdheeb Vol 1 Page 361]


The Proof of Sending Curses(Lanat) on Yazid!

Translation:The Proof of sending Lanah upon Yazid is derived from this (ayah), as was mentioned by Al-Barzanji (rahmatullah alaih) in his Al-Ashaat and Imam Haythami (r rahmatullah alaih) in As-Sawaiq from Imam Ahmed (rahmatullah alaih) that his son Abdullah asked him about sending Lanah on Yazid, and how sending Lanah upon him is mentioned in the book of Allah (i.e. Quran). Imam Ahmed (rahmatullah alaih) in proof of (sending Lanah upon Yazid) mentioned these verses:Would ye then, if ye were given the command, work corruption in the land and sever your ties of kinship? Such are the men whom Allah has cursed…(47:22-23), So could there be a greater fitnah than the actions committed by Yazid?
 [Ruh ul Ma’ani by Imam Al-Alusi, Volume 9 Under Surah Muhammad 22-23]

Yazeed k bete Mawiya Ne Kaha k Mere Bap Yazeed Ne Jub Hukumat Sanbhali Tu Woh Is Ka Ahl Hi Na Tha. Us Ne Rasool ke Nawase Se naza' ki. Aakhir Uski umr Ght Gaee Or Nasal Khatam Ho Gaee.... Hamain Malum hai k Usne Rasool ke Qurabat Daron Ko Qatl Kia Or sharab Ko Halaal Kia Or Baitullah Ko Weeran.
{As Sawaiq ul muhriqa by Imam ibn e hajar makki Page:134}

20 korray
بیس کوڑے
Nofal bin abu al'dharat kehte hain ke mein Umer bin abdul aziz ke pass baithha tha. Aik shakhs ne yazeed ka zikr kiya. Ameer ul'momaneen yazeed bin muawiya ne youn kaha, Umer Bin Abdul Aziz  ne kaha tu ne ussay ameer ul-momaneen kaha hai. Phir ussay bees 20 korray lagane ka hukam kiya.
Tareekh-ul-Khulafa Page 301


Abu al'farj ibn jozi ne yazeed per lannat ko jaiz qarar diya hai
Al.bidaya Wan'nahaya Vol 8 Page 284


Ibn Jauzi's comments on Yazeed
Ibn Jauzi in Wafa al-Wafa:
"Yazeed appointed his cousin Uthman bin Muhammad bin Abu Sufyan as Governor of Madina. He sent a delegation to visit Yazeed who bore gifts so that they might take the oath of allegiance to him. Upon their return they said 'We have returned having visited a man who has no religion, he drinks, plays instruments, keeps the company of singers and dogs [civil word for bestiality], we declare that we have broken our allegiance to him. Abdullah bin Abi Umro bin Hafs Mukhzumee commented 'Yazeed gave me gifts. But the reality is this man is an enemy of Allah (swt) and a drunkard. I shall separate myself from him in the same way that I remove my turban [from my head]…
Ibn Hajr's comments on Yazeed
In Sawaiqh al Muhriqa:
"One group have deemed Yazeed to be a kaafir, another has stated he was a Muslim but a fasiq (transgressor), a fajir (one that commits debauchery) and a drunkard. There is consensus over his fisq (transgression). One party of Ulema have stated that you can curse him by name, this includes individuals such as Ibn Jauzi and Ahmad. One group made up of individuals such as Ibn Jauzi deem Yazeed a kaafir, others say he was not a kaafir but rather this is a matter that has caused a difference of opinion.
The majority of Ahl'ul Sunnah all agree that he was a fasiq (transgressor), a fajir (one that commits debauchery) and a drunkard. Waqidi had recorded a narration 'Verily we opposed Yazeed fearing Allah (swt) would reign stones down on us, Yazeed considered nikah (marriage) with mothers and sisters to be permissible and drank alcohol".
"Dhahabi narrates that when Abdullah bin Kuzai returned from Damascus he stated that Yazeed performs zina with his mother, sister and daughters. We had better start a movement to oppose Yazeed otherwise stones may reign down on us"
This is one reason why Ibn Hajar al Makki calls Yazeed one of the most debased men in history.

Ibn Taymiya's condemnation of unjust Yazeed
Ibn Taymiya in Minhajj:
"Yazeed had the sword and hence he had the power to deal with anyone that opposed him. He had the power to reward his subjects with the contents of the treasury, and could also withhold their rights. He had the power to punish criminals; it is in this context that we can understand that he was the khalifah and king. Issues such as Yazeed's piety or lack of it, or his honesty or lack of it, is another matter. In all of his actions Yazeed was not just, there is no dispute amongst the people of Islam on this matter".

 Shariat Mukhammad Majid 'Ali Shakir stated in Badh Shariat:
"Some say 'Why should we discuss such a thing since he [Yazeed] was a King and he [Husayn] was also a King' - one who makes such comments {refusing to hold opinion on Yazeed and Husayn (as)] is accursed, a Kharijee, Nasibi and hell bound. The dispute is over whether he [Yazeed] was a kaafir. The madhab of Abu Hanifa stipulates that he was a fasiq and fajir, nor was he a kaafir nor a Muslim".

Yazeed used to copulate with his mother and sisters We read in Tabaqath:
"Abdullah bin Hanzala the Sahaba stated 'By Allah we opposed Yazeed at the point when we feared that stones would reign down on us from the skies. He was a fasiq who copulated with his mother, sister and daughters, who drank alcohol and did not offer Salat"
Other sources:
1. Tabaqath al Kabeera Volume 5 page 66 Dhikr Abdullah bin Hanzala and Volume 4 page 283
2. Tareekh ul Khulafa page 209 Dhikr Yazeed
3. Sawqih al Muhriqa page 132 Dhikr Yazeed
4. Mustadrak al Hakim Volume page 522
5. Al Isaba Volume 3 page 469
6. Ya Nabi al Mawaddath page 326
7. Tareekh Ibn Asakir Volume 7 page 275
8. Fatawi Abdul Hai page 79
9. Tareekh al Islam Volume 2 page 356
10. Al Masalaik Sharh Muwatta Imam Malik page 435
The Fatwa of Allamah Baghdadi - Yazeed denied the Prophethood, to curse him is an act of Ibadath
We read in Tafseer Ruh al Ma'ani page 72 commentary of Surah Muhammad:
"The wicked Yazeed failed to testify to the Prophethood of Hadhrath Muhammad (sawa). He also perpetrated acts against the residents of Makka, Medina and the family of the Prophet (sawa). He indulged in these acts against them during their lives and after their deaths. These acts are so conclusively proven that had he placed the Qur'an in his hands it would have testified to his kuffar. His being a fasiq and fajir did not go unnoticed by the Ulema of Islam, but the Salaf had no choice but to remain silent as they were living under threat."

The Fatwas of Qadhi Abu Ya'ala and Abu Husayn deeming it permissible to curse Yazeed
Ibn Katheer in al Bidaya stated:
"Whoever frightens Medina incurs the wrath of Allah, His Angels and all the people - and some Ulema have deemed it permissible to curse Yazeed. This includes individuals such as Ahmad ibn Hanbal, Allamah Hilalee, Abu Bakr Abdul Aziz, Qadhi Abu Ya'ala and his son Qadhi Abu Husayn. Ibn Jauzi wrote a book deeming it permissible to curse Yazeed".

Al Suyuti personally cursed Yazeed
In Tareekh ul Khulafa page 207, Dhikr Shahadath Husayn we read as follows:
"May Allah's curse be upon the killers of Husayn and Ibn Ziyad".

Qadhi Thanaullah Panipati deemed it permissible to curse the kaafir Yazeed
We read in Tafseer Mazhari Volume 5 page 21, under the commentary of Surah Ibrahim verse 28 as follows:
"The Banu Umayya were initially kaafir, then some of them presented themselves as Muslim. Yazeed then became a kaafir. The Banu Umayya maintained their enmity towards the family of the Prophet (sawas), and killed Husayn in a cruel manner. The kaafir Yazeed committed kufr in relation to the Deen of Muhammad (sawas) proven by the fact that at the time of the killing of Husayn he made a pointed reference to avenging the deaths of his kaafir ancestors slain in Badr. He acted against the family of Muhammad (sawas), Banu Hashim and in his drunken state he praised the Banu Umayya and cursed the Banu Hashim from the pulpi




Jin scholars ne yazeed per lannat na bhejne ka kaha hai ta ke wo lannat us ke baap ya kisi sahabi ki lannat ka zariya na ban jaey.

No comments:

Post a Comment