Friday, 12 June 2020

MILAD SMS



~@ Eid-e-Milad Post 1@~
Pehly yeh jaan lain k Ahle-sunnat ke nazdeek Eid milaad un Nabi صلی اللہ علیہ وسلم manana koi farz ya wajib nahi, yeh ek MUSTAHAB amal hai, jo kary usko sawab milega aur jo nahi kare us per koi gunaah nahi.
Ab baat yeh aati hai k kya ISLAM humain ijazat deita hai Eid milaad-un-nabi manany ki ya nahi ? eska jawab yeh hai ke Quran-o-hadees ki roshni main Eid-Milaad Un nabi صلی اللہ علیہ و سلَّم manana bilkul jaiz hai. koi bhi dosry maslak ka aalim aaj tak sharai daleel milaad k HARAM ya najaiz hony ki معاذ الله na aaj tak laa saka hai na la saky ga. Aage aane wale posts me hum janenge ki kis tarha Eid-e-Milad manana jaiz hai Quran-o- Hadees ki Roshni me !
12vi Sharif ki Nisbat se ان شاءالله عزوجل ye 12 Topics jo neeche diye gaye hai aur mazeed kuch points bhi cover karne ki koshish ki jayengi. 1)Aaqa-e-Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki wiladat kab hui ?
2)Quran kya farmata hai ?
3)Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne kya aapna Milaad manaya ? Aur Aapne صلی اللہ علیہ وسلم aapne milaad ke mutallik kya farmaya ?
4)Kya kissi Sahabi ne Eid-Milaad Manayi hai ?
5)Abu Lahab ne bhi Milaad manaya
6)Juloos Nikalna kiski Sunnat ?
7)Jhande Lehrana kiski Sunnat ?
8)Naat Sharif Padhna kiski Sunnat ?
9)Milaad par kharch karna Kaisa ?
10)Shaitan ki Ruswai
11)Shab-e-Qadr se bhi Afzal raat
12)- Kis-kis AIMAH WA MUHADISEEN "MEELAD-UN-NABI صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ " ko jaiz kaha hai ?
Aur kuch jahilana aitraaz Ke jawaabat etc bhi dene ki koshish ki jayegi...
Dua farmayein ki Jis kaam ki niyaat ki gayi hai woh mukammal ho sake !
============================================================================

~@ Eid-e-Milaad Post 2 @~
Topic-> Aaqa-e-Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki wiladat kab hui ?
12 Rabi Ul Awwal Par Tamam Ulama E Islam Ka Ijma Hai K Is Din Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم Sare Alam K liye Rehmat Bankar Duniya Me Tashreef Laye Aur Isi Din Sari Duniya Me Musalman Apne Nabi صلی اللہ علیہ وسلم Ki Wiladat Ka Jashan Karte Hai !
Reference: 1. Ibn-e-Ishaq ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه (85-151 Hijri): [Ibn Jawzi in al-Wafa, Page 87]
2. Allama Ibn Hisham ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه (213 Hijri): [Ibn Hisham in As-Sirat-un-Nabawiya, Vol. 1,Page 158]
3. Imam Ibn Jarir Tabari ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه (224-310 Hijri): [Tarikh al-Umam wa al-Muluk, Vol. 2,Page 125]
4. Allama Abu al-Hasan Ali bin Muhammad Al-Mawardi ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه (370-480 Hijri): [Ailam-un-Nabuwwa, Page 192]
5. Imam Al-Hafiz Abu-ul-Fatah Al-Undalasi ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه (671-734 Hijri): [Aayun al-Asr,Vol. 1, Page 33]
6. Allama Ibn Khaldun ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه (732-808 Hijri): [Ibn Khaldun in At-Tarikh Vol. 2, Page 394]
7. Muhammad As-Sadiq Ibrahim Arjoon ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه : [Muhammad Rasoolullah, Vol. 1, Page102]
8. Shaykh Abdul-Haq Muhadath Dehlvi ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه (950-1052 Hijri): [Madarij-un-Nabuwwah,Vol. 2, Page 14]
9. Imam Qustallani ( ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه ) [AlMuwahib al Laduniya, Vol. 1, Page 88]
Isse prove hua ki Aaqa-e-Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki wiladat 12 Rabi Ul Awwal ko hi hui.
=======================================================================

~@ Eid-e-Milad Post 3 @~
Topic-> Quran kya Farmata hai ?
Al-Quran-> (1)“Tum Farmao ALLAH Hi Ke Fazal Aur Usi Ki Rehmat Aur Ushi Par Chahiye Ke Khushiya Kare..." (Surah Yunus Ayat 58)
Is Ayat Me Allah Ne Apne Fazal Aur Apni Rehmat Par Khushiya Manane Ka Hukm Diya hai !
"Aur Humne Tumhe Na Bheja Magar Rehmat Sare Jahan Ke Liye" (Surah Ambiya Ayat 107)
Is Ayat Me Allah Apne Pyare Nabi صلی اللہ علیہ وسلم Se Farma Raha Hai K Humne Tumhe Sirf 1 Ya 2 Aalam K Liye Nahi Balki Sare Aalam K Liye Rehmat Bana Kar Bheja Yaha Gour Kare Allah Ne Nabi صلی اللہ علیہ وسلم Ko Rehmat Kaha hai Aur Jo Paheli Ayat Pesh Ki Gai Hai Usme Allah Ne Apni Rehmat Par Khushi karne Ka Hukum Diya Hai.
Jo In Ayaton Ka Munkir Honga Jo Nabi صلی اللہ علیہ وسلم Ko Apne Liye Allah Ki Rehmat Aur Nemat Nahi Samajta Wo Nabi E Pak صلی اللہ علیہ وسلم Ki Wiladat Ki Khushi Se Aitaraz Karega Yani Wo Ghum Manaega Nabi صلی اللہ علیہ وسلم Ki Wiladat par magar hum toh khushiyan hi manaenge ! ==========================================================================
~@ Eid-e-Milad Post 4 @~
Topic-> Quran kya Farmata hai ?
3)-“Apne Rab Ki Nemato Ka Khoob Khoob Charcha Karo” (Surah Duha Ayat 11)
Is Ayat Me Allah Ta'ala Ne Humein Apni Nemato Ka Charcha karne Ka Hukm Diya. Har Momin Ye Janta Hai Ki Allah Ki Sabse Badi Aur Azeem Nemat Hamare Liye Uske Rasool صلی اللہ علیہ وسلم Hai !
Is Baat Ko Samjhane K Liye Quran Ki Ek Ayat Pesh e khidmat hai......
4)-“Beshak Allah ka bada ehsan hua musalmano par ki unme unhi me se ek Rasool صلی اللہ علیہ وسلم bheja jo unpar uski aayatein padhta hai aur unhe paak karta hai.....” (Sureh Al-Imran,Ayat 164)
Mere Pyare Islami Bhaiyo Aap Sara Quran Pad Lijiye Kisi Bhi Jagah Allah Ne Ye Nahi Kaha K Humne Tumhe Ye Nemat Dekar Tumpar Ehsan Kiya hai Siwae Apne Mehboob Nabiصلی اللہ علیہ وسلم ke. Isse Malum Hua K Allah Ki Sabse Badi Nemat Hamare Liye Uske Nabi صلی اللہ علیہ وسلم Hai…
Toh kya pehli Ayat me Allah ne jo hukm diya us par amal karte hue hum hamare Pyaare Pyaare Aaqa صلی اللہ علیہ وسلم Ki wiladat na manayein ? =====================================================================
~@ Eid-e-Milad Post 5 @~
Topic-> Quran kya Farmata hai ?
5)"Beshak Tumhare Paas Tashrif Laye Tum Men Se Wo RASOOL صلی اللہ علیہ وسلم Jin Par Tumhara Mushakkat Mein Padhna Giraan (Gawara nahi) hai, Tumhari Bhalai ke Nihayat Chahne Wale Musalmano Par Kamale Meharban Meharban" (Surah Tauba Ayat no.128)
Is ayat me Allah tabarak wa ta'ala khud gawahi de raha hai Aapne Rasool صلی اللہ علیہ وسلم ki hum gunahgaron se be-inteha Muhabbat aur hum par meharban hone ki...
"Aayiye aapke saamne ek hadees pesh karta hun Aapne Pyaare Aaqa صلی اللہ علیہ وسلم ke Meharban hone ki,
Chunanche Aaqa-e-Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ka farman magfirat Nishan hai, "Jisne Mujh par 100 martaba Durood-e-Paak padha Allah uski dono aankho ke darmiyaan likh deta hai ki Ye Nifaaq aur Jahannam ki aag se Aazaad hai aur use Ba Roze Qiyamat Shohdaa ke saath rakhega." {Majmuazzawayad; Vol 10; Pg 253; Hadees 17298}
Ab 100 baar durood sharif padhna kaunsi badi baat hai ? Magar phir bhi Jahannam se nijaat ki basharat de di gayi ab yeh meharbani nahi toh kya hai ?
Ab Aur kya-kya Reason chahiye tumhe aapne Pyaare Nabi صلی اللہ علیہ وسلم se Muhabbat karne ke liye aur unki ki Wiladat ki khushi Manane ke liye ?
{Note:-Bara-e-Meharbani Rozana kam az kam 100 baar durood sharif padhna aap bhi apna mamul banalein ! } ====================================================================
~@ Eid-e-Milad Post 6 @~
Topic-> Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne kya aapna Milaad manaya ? Aur Aapne صلی اللہ علیہ وسلم apne milaad ke mutallik kya farmaya ?
Hadees no.1 Hazrat Abu Qatada رضی الله عنہ Se Riwayat Hai, Rasool-E-Karim صلی اللہ علیہ وسلم Se Peer Ka Roza Rakhne Ke Bare Me Sawal Kiya Gaya To Aap صلی اللہ علیہ وسلم Ne Farmaya ki, "Isi Din Meri Wiladat Hui Aur Isi Din Mujh par Quran Nazil Hua"
(Sahih muslim Jild 2.hadith no 819 .page1162) (nasai al sunane kubra Jild 2 hadith 146,page 2777)
Hadees no.2 "Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم Ke Zamane Me Masjid-E-Nabwi Me Milaad Huyi Isme Khud Aaqa-e-Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne Apni Wiladat Ke Fazail Bayan kiye." (Tirmizi Sharif, Jild 2 Safa 201)
Hadees no.3 "Khud Nabi-e-Kareem صلی اللہ علیہ وسلم Ne Apne Milaad Par ALLAH عزوجل Ka Shukra Bajaa Lane Ki talkin Farmayi Aur Targib Di"
Hadees taweel (badi) hai Poori Tafseel Neeche diye gayi hadeeson ki kitabon main check ki jaa sakti hai [ Muslim Sharif, Jild - 2, Safa - 819 ] [ Nisaai Sharif, Jild - 2, Safa - 147 ] [ Baihaqi Sharif, Jild - 4, Safa - 286 ] ====================================================================
~@ Eid-e-Milad Post 7 @~
Topic-> Kya kisi Sahabi ne Milaad-e-Mustafa (صلی اللہ علیہ وسلم) Manayi hai ?
Reference no.1-> » Hazrat Abu Saeed Khudri (رضی الله تعالی عنہ) se riwayat hai ki Muawiya (رضی الله تعالی عنہ) se riwayat hai ki AAQA kareem (صلی اللہ علیہ وسلم) bahir nikle sahaba ke halqey per, Aap (صلی اللہ علیہ وسلم) ney fermaya, "Tum yahan kis waja sey beithy ho, unhon ney kaha hum ALLAH sey dua ker rahy hain aur uska shuker adda ker rahy hain ki es ney apna deen hum ko batlaya aur hum per ehsan kiya aap ko bhej ker." (Sanan Nisai, Hadees: 5432)
Reference no.2-> »"Sahaba Aur Tabain Aur Digar Ahle Islam Ne Peer Ke Din Ka Roza Rakh Kar Bhi Milaad Manaya" (Abu Daawud Jild-1, Safa-331)
Reference no.3-> »"Makka sharif Ke Log NABI-E-PAK Ki Paidaish Ki Jagah Ko MILADUN NABI Ke Din Har Saal Ziyarat Karte Aur Mehfile Munaqid Karte" (JAWAHIR AL BIHAR SAFA-1222)
(Note:Aap se bhi Request hai ki Eid-e-Milad ke din Roza rakhkar Sahaba Ikram ki Sunnat par Amal karein !) =======================================================================
~@ Eid-e-Milad Post 9 @~
Topic->(Continued) Aap صلی اللہ علیہ وسلم ki wiladat ko Eid kehna kaisa ?
Aaqa-e-Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya,
"Juma’a ka din sab dino ka sardar hai, ALLAH ke nazdik sabse bada hai aur wo ALLAH ke nazdik "Eid-ul Azha" aur "Eid-ul Fitr" se bada hai. ALLAH ne isme Hazrate ADAM (عليه السلام) ko paida kiya, Isme Zameen par unhe utara Aur Isme Unhe wafat di." [Sunan Ibne Majah, Jild 2, Page No. 8,Hadith No. 1084]
Is Hadees me Teen khaslate Hazrate Adam (عليه السلام) ke liye bayan ki gayi jisme aap ki wafat-e-Zahiri ka bhi zikr hai,
to pata chala ki ek nabi ki paidaish unka zameen par utarna aur unki wafat ke din ke bawajud bhi Mo’mino ke liye ALLAH ne use Eid bana diya.... Aur toh aur woh din Eid-ul-Azha aur Eid ul fitr se bhi afzal kar diya.
"Mairaj ki raat AAQA-e-kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne tamam Anbiya ki imamat ki thi" {sanan nisai, V:1, Page:221}
Jaisa ki hadees se pata chalta hai ki hamare Sarkar صلی اللہ علیہ وسلم tamam ambiya ke sardar aur Imaam hain....
unki tashrif aavari par hum us din ko kyun Eid na kahe,
balke hum tou use Eidon ki Eid kahenge ki unki tashrif aavri ki wajah se hi tou hume baki Eid mili aur har hafte me ek eid karke pure saal me 52 Eidon (juma) ka tohfa mila woh isi "Rehmatallil Aalamin" ki tashrif aavari se mila hai tou hum kyun us din khushi na kare ? ===================================================================
~@ Eid-e-Milad Post 10 @~
Topic-> Abu Lahab ne bhi Milaad-e-Mustafa صلی اللہ علیہ وسلم manaya ?
Jab Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم Ki Wiladat Hui tab Abu lahab Ki Laundi (Ghulam Aurat/Lady Slave) Sobiya Ne Abu Lahab Se Kaha Ki Tujhe Bhatija Hua hai Is Khushi Me Abu Lahab Ne Apni Us Laundi Ko Ungli K Ishare Se Azad Kiya Tha.
"Pas Jab Abu-Lahab Mar Gaya To Uske Baad Ahl-e-Khana Ne Use Khuwab Mein Buri Halat Mein Dekha To Usse Puchha "Tera Kya Haal Hai"
To Abu- Lahab Ne Kaha "Maine Tumhare Baad Koi Bhalaa'ee Nahi Payi Lekin Mujhe Us Ungli Se Paani Diya Jata Hai Is Se Maine Hazrat Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم Ki Wiladat Ki Khushi Mein Sobiya Ko Aazad Kiya Tha" (Sahih Bukhari, Vol. 1, Page 153, Hadith No 5101, Kitaabun Nikaah)

========================================================================

~@ Eid-e-Milad Post 11 @~
Topic->(Continued) Abu Lahab ne bhi Milaad-e-Mustafa صلی اللہ علیہ وسلم manaya ?
Hazrat Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehlviﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه ne "MA SABTA MINAS SUNNA" mein, "Jo hadees post no.10 me mention ki gayi" Us Hadith ko naqal farmaya hai,
Abu Lahab ki londi thi jiska naam Sobiya tha, usne Sarwar-e-Do Alam صلی اللہ علیہ وسلم ki peda'ish par Abu lahab ko khabar di thi to Aap صلی اللہ علیہ وسلم ki peda'ish ki khabar sunne par Abu Lahab ne Sobiya ko azaad kardiya tha.
Tou Abu Lahab k marne k baad kisine usse khuwaab main dekha, poocha ke "kaho kya haal hai" to woh bola, "AAG main hoon albatta itna karam hay k har Peer ki raat mujh par takhfeef kardi jaati hay aur isharay say bataya ke APNI DO UNGLIYUN Se PANI CHOOS LAYTA HOON, aur yeh inayat mujh par is wajah se hai ki mujhe Sobiya ne bhatijay ki peda'ish ki khabar di thi to is basharat ki khushi main, maine usse do ungliyun k isharay say azaad kardiya tha aur phir usne usse doodh pilaya tha".
Imam Jizri ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ علي is Hadees ke Tehat Farmate hain Jub ek Kafir ka ye haal hai To. Vo Ummati Jo Apne Rasool Ki Muhabbat mai Milaad pe Maal Kharach karta Hai Uska Kiya Sila HOga ? (Muwahib Ad Dunnya Jild 1 page27)
Pyare Islami Bhaiyo Zara Gour kare Jab Abu Lahab Ko Apne Bhatije Yani Muhammadصلی اللہ علیہ وسلم Ki Wiladat Par Unhe Nabi Maan Kar Nahi Balki Apna Bhatija Maan kar Khushiya Manaya Tha To Use Ye faida Hua k Usi Ungli Se Use Pani Pilaya jata hai Jisse Usne Apne Bhatije Ki Wiladat Ki Khushi Me Apni Laundi Sobiya Ko Azad Kiya Tha....
Toh woh Musalman jo Aapko Allah ka Nabi صلی اللہ علیہ وسلم Maan Kar Wliadat Ki Khushi Manate Hai To Socho ki unhe Allah Ki Bargah Se Kya Inaam Milege ?

============================================================================

~@ Eid-e-Milad Post 12 @~
(Extra) Topic-> Special Event occurred during Milaad-e-Mustafa صلی اللہ علیہ وسلم
Riwayat no.1 ---> HAZRAT-E-FATIMA BINTE ABDULLAH رضى الله تعالى عنه farmati hain, "Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم Ki Wiladat Ke Waqt Maine Sitaaro Ko Dekha Ke Aasman Se Niche Utar Aaye Hai" (MAWAHIBUL LADDUNIYA Jild 1,Safa 22)
Riwayat no.2 ---> HAZRAT-E-FAATIMA BINTE ABDULLAH رضى الله تعالى عنه Farmati hain, "Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم ki wiladat ke waqt maine dekha ke saara ghar noor se pur tha" (HUJJATULLAHI ALAL AALAMIN SAFA-227)
Riwayat no.3 ---> "Aaqa صلی اللہ علیہ وسلم ki wiladat ke waqt aap ki walida ke pass aasman se 4 Auratein aayi, 1)Hazrat HAWWA 2)Hazrat SAARA 3)Hazrat HAAJRA 4)Hazrat AASIYA" (TAFSIR-E-ALAM NASHRAH S.95)
Riwayat no.4 ---> Aap صلی اللہ علیہ وسلم ki wiladat ki khushi main Allah Kareem nay us din/raat Tamam Maaon ko betay ki khushi say nawaza.
Books References: 1) KHASAIS UL KUBRA, Jild 1, Page 117 2) ANWAR E MUHAMMADIYA, Page 22 3) SEERAT UL HALBIA, Jild 1, Page 78 3) MAWAHIB UL LADDUNYA, Jild 1, Page 111

=========================================================================

~@ Eid-e-Milad Post 8 @~
Topic-> Aap صلی اللہ علیہ وسلم ki wiladat ko Eid kehna kaisa ?
Aaiye Pahele Hum Eid Ka Matlab Samaj Lete Hai Eid Ka Lugvi Maina (Meaning) Hai Khushi Agar Koi Arabi Khushi Ka Lafz Arabi Me Kahega To Wo Yahi Kahega "Eid"
Ise Samjhane K Liye Quran Ki Ek Ayat Pesh e khidmat hai,
Al-Quran-> "Essa ibn-e-Mariyam ne Arz ki Aye ALLAH ! Aye Rab Hamare ! Hum Par Aasman Se Ek Kuwan Utar Ke Woh (Kuwan Utarne Ka Din) Hamare Liye Eid Ho,Hamare Aglon Aur Pichlo Ki" (Surah Maida Ayat 114) ( عزوجل و عليه السلام)
Is Ayat Se Maloom Hua Ke Jis Din Allah Ki Khass Rehmat Nazil Ho Us Din Ko Eid Manana Aur Khushi Manana Allah Ka Shukar Ada Karna Ambiya Ka Tarika Hai Tabhi To Hazrat Essa عليه السلام Ne Dua Mangi....
Aap Khud Faisla Kare Ke Jis Din Hazrat Essa عليه السلام Par Kuwan jaisi Nemat Utry To Wo Un K Agly Aur Pichlon K Liye Eid Ho To Jis Din Sare Alam K Liye-o-Jahan Ke Liye Jo Zaat Rehmat Hai Un Ki Wiladat Ho To Us Din Musalmano K Liye Eid Yani Khushi Kaise Na Ho ?

===========================================================================

~@ Eid-e-Milad Post 13 @~
Topic-> Jhande Lehrana kiski Sunnat ?
Reference no.1-> Hazrate Amina رضى الله تعالى عنه farmati hain ki, "Jab Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم Ki Wiladat Hui Us waqt Hazrat Jibrail علیہ السلام Ne 3 Jhande Nasab Kiye Ek Magrib Me Ek Mashrik Me Aur Ek Kaabe Ki Chat par"
Is Riwayat Ko Shah Abdul Haq Muhaddith Dahelvi ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه Ne Apni Kitab "Madarijun nabuwa" Jild 2 Me Naqal Kiya Hai.
Reference no.2-> Hadees Shareef main aata hai k jub SARKAR صلی اللہ علیہ وسلم Madina shareef main dakhil huay tou Aap ke haath main sabz jhanda tha. (Wafa al wafa, Vol:1, Pg:243).
Reference no.3-> Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم ki peydaish per Hazrat Jibraeel علیہ السلام ney jhandy garhey. (Khasais Al qubra, Vol:1, Page:82)
========================================================================
~@ Eid-e-Milad Post 14 @~
Topic-> Naat-e-Mustafa صلی اللہ علیہ وسلم Padhna kiski Sunnat ?
Reference no.1-> Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم Hazrat Hassan رضی الله عنہ ke liye Masjid-e-Nabawi shareef me Mimbar rakhte or Hazrat Hassan رضی الله عنہ us par khade ho kar Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم ki shaan-e-aqdas me naatia ashaar padhte the or Huzoorصلی اللہ علیہ وسلم farmate:
'jab tak Hassan mere baare me naatia or fakharia ashaar padhta rahe ga to beshak Allah taala roohul uqdas {Hazrat Jibrail (عليه السلام)} ke zarye Hassan ki madad farmata hai'!"
(Sunan abu Dawood,Kitab ul adab, baab ma jau fi'shaar, Jild 5 Page 176 Hadith No.5015) (Sunan Tirmizi,kitab ul-adab,baab ma jau fi inshad'shaar, Jild 3 Page562,561 Hadith No 2846)
Reference no.2-> Hadees main hai ki ek SAHABI رضی الله عنہ ney arz ki ke mujhe Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم ki wo waali naat sunao jo turait main hai". (Mishkaat shareef, babul fazail, syed-ul-mursaleen, Pg:512)
Kya ab bhi Naat na padhoge ? Sahaba Ikraam ki Sunnat par Amal naa karoge ?
===========================================================================

~@ Eid-e-Milad Post 15 @~
Topic-> Juloos Nikalna kiski Sunnat ?
Aaye Dekhte Hai Milad Un Nabi صلی اللہ علیہ وسلم Ke Mauke nikale Jane Wale Juloos ke Mustahab Amal Hadith Ki Roshni Me.
Pehle hum kuch point note karlete hain ki juloos me hota kya hain.
1)-Naat padhi jaati hai jis me Aaqa-e-Karim صلی اللہ علیہ وسلم ki Shaan aur Azmat ka bayan kiya jaata hai.
2)-Khushi mein Jhandey lehraye jaate hain.
3)-Log ikhate jama hote hain aur Naare lagaye jaate hain.
Yeh sab points ko ab hum Hadees ki Roshni me dekhte hai.
Point 1-> Iska jawab aapko Eid-e-Milad Post 14 me mil jayega "Naat Sharif Padhna kiski Sunnat ?" (Nahi hai toh maanglein mujhse)
Point 2-> Iska jawab aapko Eid-e-Milad Post 13 me miljayega "Jhande Lehrana kiski Sunnat ?" (Nahi hai toh maanglein mujhse)
Point 3->Juloos nikalna logon ka jama hona...
Reference no.1-> "Hum (Sahaba Ikram) Sab Apne Bachcho Samet Huzoor Ke Istiqbal Ke Liye Wida Ki Ghatiyo Tak Gaye" (Bukhari Jild 1, Safa 543)
Reference no.2-> Jab Aaqa صلی اللہ علیہ وسلم Hijrat Kar ke MADINA Sharif Aaye To Logon Ney Khoob Jashan Manaya Nau-jawan Ladke Apni Chatton Par Chadh Kar Aur Ghulam, Khuddam Raasto Me Phirte the Aur Nara'Aey Risalat Lagate Aur Kehte "Ya RasoolAllah" صلی اللہ علیہ وسلم (Sahih Muslim Jild 2 Page 419)
<><> Magar yeh sab karne se hota kya hai ? <><>
Aaqa-e-Kareem ki Sifaat aur Azmat ka bayan Sunana aur sunna khud Allah عزوجل aur uske Ambiya (عليه السلام) ki Sunnat hai.
Chunanche Allah عزوجل Quran main woh waqaya bayan fermata jub Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم ka zikr kia gaya toh tamaam Ambiya (عليه السلام) ko ikatha kia gaya aur Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم ki sifaat Allahعزوجل ne Ambiya (عليه السلام) ko ikatha ker ke Khud bayan fermayi... (Sura Al-Imran:81).
Lehaza yeh sabit hua ki logon ko ikatha kar ke Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم ki sifaat bayan kerna quran sey sabit hai.
========================================================================

~@ Eid-e-Milad Post 16 @~
Topic-> Milaad par kharch karna Kaisa ?
Is topic ke liye maine yeh riwayat pesh karni thi jo neeche di gayi hain magar aap msg ko poora padhein...
1)-Hazrat Usman رضی الله عنه ney fermaya, "Jo milaad per aik derhum kharch kary ga usko badr ka shohada jitna sawab milega."
2)-Hazrat Umer رضی الله عنه ney fermaya, "Jiss ney milaad ki tazeem ki us ney deen ko zinda ker dia."
3)-Hazrat Abu bakr رضی الله عنه ney fermaya, "Wo shaks jannat main mery sath hoga jis ney milaad per aik derhum bhi kharch kia."
4)-Hazrat Ali رضی الله عنه ney fermaya, "Milaad manany wala dunia sey eman ki neimat ley ker jai ga, aur billa hisab janat main dakhil hoga"References of Sahaba." (Ibn-e-Kaseer, Maulid-ul-MUSTAFA, Page:29-30) (Al-Mustadrak, Pg:327, vol:3) (Khasais Ul Qubra, Page:97, vol:1) (Anwar-ul-Muhammadiya, Pg:62) (Ibn-e-Kaseer, vol:4, Pg:321) (Al-Mustadrak, Vol:2, Hadees:4174)
Ji toh yeh Riwayatein jab Alim-e-deen se tasdiq ki toh unhone kaha ki In riwayaton ki Sanad me ikhtelaf hai is liye filhaal isse use naa karein !
Bara-e-Karam koi bhi bhai yeh upar di gayi riwayatein post na karein na hi forward kare...
Haan magar is topic "Milaad par kharch karna Kaisa ?" ke mutallik ek riwayat pesh-e-Khidmat hai.....
"Ek sahib ne poocha Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم se ki hum aap ke milad per khushiyaan manaty hain kya aap ko acha lagta hai ? Aaqa-e-Karim صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya, 'jo hum se khush hota hai hum us sey khush hoty hain'." (Tazkiratul Waezeen, Page:600)
Ab mujhe toh koi aur dalil ki zarurat nahi milaad manane aur uspar paisa kharch karne ko... Aur aapko ? ====================================================================
~@ Eid-e-Milad Post 17 @~ <<<<<Most Important>>>>>
Topic-> Munqirin ne Eid-e-Milaad-e-Mustafa صلی اللہ علیہ وسلم ke jahilana post ke jawabat.
1)-Question-> Aala Hazrat رحمت الله عليه ne Aaqa-e-Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki wiladat ka Din 8 Rabi-ul-Awwal likha hai ?
Answer-> Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan رحمت الله عليه ne Yaum-e-Wiladat-e-Mustafa صلی اللہ علیہ وسلم ke baare me 7 Aqwal (2,8,10,12,17,18,22) tehrir karne ke baad farmate hai ki Jamhur Ulma wa Muhaqiqin ke nazdiq 12 Rabi-ul-Awwal hi wiladat ka din hai Balad Islamiya me 12 Rabi-ul-Awwal ko hi Milaad Sharif manaya jata hai.
{Fatawa-e-Razaviya,Jild-14,Page-365}
2)-Question-> Milaad manana Biddat hai... Kya Sahaba ne Kabhi milad manaya hai jaise aap log manate ho ?
Answer-> Watch/download this Video from Youtube
"Allama Kokab Noorani Okarwi 12th Rabi ul awal" http://m.youtube.com/watch?v=wpzh8YmC2tM
Is Video me kuch points jo Allama Sahab farmate jiski mafum hai,
"*Biddat ki definition hi nahi pata munqirin ko...
*Aise lakhon kaam hai jo Sahaba ne nahi kiya tum karte ho...
*Agar aisi chiz biddat hai jo Aaqa-e-Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke zamane me nahi thi aur ab hai toh kya Tum the us zamane ??? (Yaani tum to khud Chalti phirti biddat ho)".

===================================================================

~@ Eid-e-Milad Post 18 @~ <<<<<Most Important>>>>>
Topic-> Munqirin ne Eid-e-Milaad-e-Mustafa صلی اللہ علیہ وسلم ke jahilana post ke jawabat. Continued...
3)-Question-> 12 Rabi-ul-Awal mein Khana e Kaaba OR Madina Munawara kyun Nahi sajaya jata jab Islam shuru hi wahan se hua hai ?
Answer->
Pehle baat toh yeh zehan me rakhlein humein kisi chiz ko manne ke Liye Saudi ki dalil ki hajat nahi hai Quran aur Hadees Sharif hai hamare pass jo kaafi hai...
Agar aisa kisi ka manna hai ki Saudi me sirf woh kaam hota hai jo Quran e Hadees se saabit hai toh mujhe batayein 23rd September ko jo National day yaani "Saudi Day" Manaya jata hai Yeh kahan se Saabit hai kis Sahabi ne kiya tha aisa ??? Kahan hai Quran ya Hadees me iska zikr ??? Arre shayad carodon rupaiya isme barbad karte hain yeh log kisi me himmat nahi ki jakar inse is amal ke baare me puche magar hum agar kuch paisa Milaad Sharif ke Liye kharch kardein phir kuch logon ko taqlif hai...
Khair jo Sawaal likha hai uske jawaab ke liye humain thoda sa Tareekh (History) per nazar dalna padegi aaj say kam o besh 100 (1924 se Pahele) Saal pehlay Khana-e-kaaba aur Madeena-e-Munawwara me bahut shandar tareeqay se Rabi ul awal ka Jashan-e-wiladat-e-Mustafa صلی اللہ علیہ وسلم manaya jata tha saari dunya se badh kar chiragha kiya jata tha.
Lekin 1924 me Ibne Abdul Wahab Najdi Ne Jaziratul-Arab Par Hamla kiya aur Musalmanon ka Qatl e Aam kiya, Waha ki Khilafat e Umaniya Ko Hataa kar apni Na-jaiz Hukumat Qaim ki aur Naam saudi Arabiya Rakh diya.
Aaj bhi us Zalil ke manne wale bad-Aqeedah log jashan-e-wiladat nahi manate.
Kuch log jo deobandi kehlate hain woh bhi Jashn-e-Wiladat ko manane se inkaar karte hain
Haan lekin apne darul uloom deoband ka jashan bohat zoq o shoq se manate hain aur us me mushrika Indra gandhi ko bhi mimber per betha dete hain.
Is waqiye ko mazeed Tafsil se janne ke liye link par click karein...
"http://www.islamimehfil.com/topic/15522-did-deobandes-invite-indra-gandhi-in-saad-sala-jashna-e-deoband-or-not/" Isme tafsili malumat hai us sharmnak waqiye ki jisme ek kafir Aurat ko bulakar usko badi Izzat di gayi...
Ek baat samjhlein ki Jo Nabi صلی اللہ علیہ وسلم Ka Gustakh hai Usko Zaleel Karna Quran aur Sahaba Ki Taalim hai. Quran me Surah Lahab, Surah Qalam dekhlein.
Sahabi HAZRAT ABU UBAIDA IBNE JARAA رضی الله عنہ Ne Apne Baap Ka Qatl Kar diya tha Jab Usne Huzur صلی اللہ علیہ وسلم ki Gustakhi ki thi.
Ab aap batayein Inke nazdik Tarana-e-Deoband padhna jaiz hai magar Naat-e-Mustafa صلی اللہ علیہ وسلم padhne me inhe taklif hoti hai...
Toh kya yeh gustakhi nahi ???
Ab yeh kehte hain hamare peeche namaz kyun nahi padhte ?
Humein Salaam kyun nahi karte ?
Arre Sharm aani chahiye kalma padhte ho uska bhi haq ada nahi kar sakte ???
Tum Apni Aulad Ki paidaish Par Khush hote ho,Dawat dete ho, Woh exam me pass hua toh khoob mithaiyan taqsim karte ho, Uski shaadi hui toh khoob ghar ko sajaya lazeez pakwan ban waye acche acche keemti aur naye kapde pehne...
Kya yeh sab karne se pehle manga tha saboot Quran ya Sahih-hadees se kya pucha tha tumne kisi se ki main khush ho raha hun kya Arab me bhi aise khush hote hain ???
Sharm nahi aati tumhe ab bhi aapne aapko Musalman kehte ???
Tumne har khushi bina-dalil ke manayi kya Mere Aaqa صلی اللہ علیہ وسلم ki wiladat ki khushi manane ka waqt aaya toh tumhe sab Dalil ki hajat pesh aagayi aur tumne isse biddat keh diya ???
Sach kehta hun Aapne Imaan ka muhasba karo socho is baare me in sawaalon ka jawaab tum yahan Duniya me nahi de sakte Aakhirat me kahan se doge ???
Khudara khudara Aapne aap par reham khayein Musalman banna hai toh sacche Musalman banein warna yahan toh logon yeh hi samjhenge ki tum Musalman the magar aakhirat me kahin tumhe sabke samne ruswa na hona pade...
============================================================================
~@ Eid-e-Milad Post 19 @~ <<<<<Most Important>>>>>
Topic-> Munqirin ne Eid-e-Milaad-e-Mustafa ( ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم) ke jahilana post ke jawabat. Continued...
4)-Question-> Jahilana Sawaal:- eid e milaad manaate ho?????? :-Uss din eid e milaad manata hai jis din Fatima(RA) ne kaha tha aaj muhammed( saw) ki beti par gham ka wo pahad tuta hai agar suraj par toot jataa toh suraj apni roshni ko barbaad kar baith taa!!!
:-ooh aashiq-e-rasool uss din eid milad manata hai jis din Umar(RA) apne hosh-o-hawaas kho baithey teh :-Uss din eid milad manata hai jis din hasnain nana nana kartey hue RO RAHE teh :- Uss din eid milad manata hai jis din ke baadh Fatima(RA) ke chehre par kisi aurat ne muskurahat nahi dekhi thhi :-Uss din eid manata hai jis din Muhammed(SAW) ki wafaat ke baadh rome ke badshaho ne keh diya thha Madine ki eint se eint bajado inka sardar faut hogaya hai
:- Uss din juloos nikalta hai jis din Sahaba gham se nidhaal teh :- Uss din jalsa aur juloos nikalta hai jis din Meri Maa Ayesha(RA) ka SUHAAG lut gaya thha!!!! :- Uss din jalsa o juloos nikalta hai jis din Mere Muhammed (saw) ne Ayesha(RA) ke godh mein apni jaan ku rab ke hawale kardiya thha!!!! Allah ki khasam ye mere Nabi se mohabbat nahi dushmani hai!!!!!!!!
#������Say No To Milad # Wake Up Ya ikhwaan
Answer-> Pehli baat tou yeh hai k yeh sirf fazool ki jahalat hai jis ney likha, na es main koi daleel di na he koi context per baat ki, bus waqiyaat ko gol mol ker k peish kerta raha,
baat yeh hai k Maiyat per 3 din sey ziada SOOG (Ghum) ki shariat main ijazat nahi hai, lehaza koi bhi yeh sabit nahi ker sakta hai ke AAQA kareem ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ke parda farmane ke baad kisi ney 3 din sey ziada zahiri wafat ke baad soog kia ho,
yeh jis ney bhi jahilana post banaya hai esko Zahiri wafat k din ke waqiyaat tou yaad hain, pedaish k din k waqiyaat yaad nahi, ager SHETAN ney ankhon per patti bandh di hai tou us patti ko kholo aur dhyan se dekho...
Ab inki munafikat ....
Kya isne kabhi apne baap dada ka 3 din gham manay ((teeja kiya ))???
kya isne kabi apne baap dada ka 40 din gham manaya ((40 wa karke))???
kya isne kabi apne baap dada ka 1 sal ka gham manaya ((Barsi karke))???
Nahi naa ??? Aur chale humein gham manwane...
Humein Dushman kehta hai Rasool صلی اللہ علیہ وسلم ka kambakht tum gustakh-e-Rasool صلی اللہ علیہ وسلم kabhi nahi sudhar sakhte apne baap dada ka gham na kiya kabhi aur aaj 1400 sal bad zinda Nabi صلی اللہ علیہ وسلم ka gham mana yaad aa raha hai ?
��SHARIAT NE HAME GHAM MANA NE KI IZAZAT NAHI DI.
NAJDIYO TUM KIS KI SHARIAT PAR AMAL KARTE HO ?
Quran me aur shariat me sirf khushi mana ne ka hukm he. tum kaunsa Quran padhte ho ?
Humse kehte ho ki Kissi Sahabi ne Milaad manaya batao hum toh dalil dekh dekh kar thak gaye magar Tum sirf ek dalil batao ki
KIS SAHABI NE HAR SAL 12 RABIUL AWAAL KO GHAM AUR YAUME WAFAT MANAYI AUR HUKAM DIYA ? Quran aur hadees se sabit karo...
Kis MUHADDIS, MUFASSIR, MUFAKKIR,WALI ,IMAM NE 12 rabiul awaal ko har sal gham manaya aur yaume wafat manaya ??? Kisi ek kitab ka hawala de do..
Quran main Huzoor ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭ ﺳﻠَّﻢ ko tamaam jahano ke liay rehmat kaha gaya. (Sura Anbiya:107)
Aik aur jaga Quran main irshad hua: "ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ ki atta kerda rehmatoon ka khoob chercha karo". (Sura Younus:58)
"Jis Din Huzoor Paida Howe Vo Saal Nusrat Aur Fatah Yabi ka Saal Kehlaya Ahle Quraish Is se Qabl Maashi Badhali Aur Qehat Sali ka Shikaar They" (Serat ul Hulaibiya jild 1 pg78) (Khasais Ul Kubra Jild1 page47)
Tou Huzoor ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ sey berh ker hamary liay rehmat konsi hai ?
Allah ki Rehmat Milne par Ghum manana chahiye ya khushi karni chahiye ???
Main toh khushi ki manaunga meri samjh me yeh hi aata hai meri samjhme kya har insaan jiski pass dimaag hoga woh Khushi ki manayega Kyun ki Aaqa-e-Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke badi Naimat nahi koi...
Ab jisne yeh Sawaal kiya hai uske baare me samjh me toh yeh hi aata hai ki woh Aala darje ka Jahil hai na usse deen ka ilm hai aur na hi duniya ki samjh...
Allah aison ko hidayat ata farmaye !
=============================================================================

~@ Eid-e-Milad Post 20 @~ <<<<<Most Important>>>>>
Topic-> Munqirin ne Eid-e-Milaad-e-Mustafa صلی اللہ علیہ وسلم ke jahilana post ke jawabat. Continued...
5)-Question-> (A)-Some questions raised concerning the Milaad. Although the Prophet was born on the 12th of Rabee’ul-awwal he also died on the same date. How then can the 12th of Rabee’ul-awwal be a happy day ?
(B)-How can there be an Eid Milaad-un-nabi صلی اللہ علیہ وسلم when there are only two Eids (Al-Fitr and Al-AdhHaa)?
Answer (A)-> Mourning for someone’s death should not be more than three days, except for a woman, who has lost her husband. The Prophet’s صلی اللہ علیہ وسلم death was over 1400 years ago, so the period of mourning has passed. But, after someone dies, his death is remembered by reciting the Qur’an, remembering his merits, giving alms, and making du’a for him. Even if the period of mourning for the Prophet’s صلی اللہ علیہ وسلم death exists, all the actions mentioned above are included when people gather for Milaad-un-Nabi صلی اللہ علیہ وسلم . For this reason, there is not need to separate the celebration of the Prophet’s صلی اللہ علیہ وسلم birth, and the mourning of his death.
Answer (B)-> Allah Almighty says in the Qur’an:
Prophet Isa ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺼﻼﺓ ﻭ ﺍﻟﺴﻼﻡ prayed to Allah Almighty “Oh Allah, our Lord, send down to us a tray of food from the Heavens so that it may be an occasion of Eid for us for the first and the last of us.” (Al-Maa’idah, 114)
Imam Hakim رحمت الله عليه writes that the Prophet صلی اللہ علیہ وسلم said “Friday is also an Eid day”. Once, in the Prophet’s time Eid came on Friday and the Prophet صلی اللہ علیہ وسلم said, “Allah has given you two Eids today”. (Mustadrak, “Jum’ah” by Imam Haakim and summary by Imam Dhahabi).
Imam Tirmidhee رضی الله عنہ writes
“Abdullah-bin-Abbaas was reciting verse 3 of surah maa’ida, from the Qur’an. A Jew, sitting close-by heard it and said to Abdullah “If that verse which you recited, was revealed to us, we would make that day an Eid day”. Abdullah-bin-Abbas replied “When this verse was revealed, there were two Eids on that day. One of them was the Hajj day and the other Friday”. [Tirmidhee , “Tafsir”, and also Tafsir Ibn Kathir, surah 5, verse 3]
From the references above, it is proved that the term “Eid day” does not specifically apply to the two Eid days (Al-fitr and al-adhHaa), but instead, it could be used for any Islamic holy day. This means that we can refer to “Milaad-un-Nabi” as “Eid-Milaad-un-nabi” Books on Milaad-un-Nabi صلی اللہ علیہ وسلم Imam Tirmidhi رضی الله عنہ in his book even gives the title of one of this chapters, the name “Milaad-un-Nabi”. (Tirmidhi, shamaa’il)
Imam Waaqdi رحمت الله عليه (A second century Scholar) also wrote a book entitled “Milaad-un-Nabi”. The original copy can be found in Cairo.
Allama Ibn Al-Jawzi, رحمت الله عليه wrote a book called “Milaad-un-Nabi” in which he gives very strong proofs permitting the celebration of Milaad.
======================================================================

~@ ULEMA, FUQAHA, MUFASSIREEN AUR MUHADISSEEN jinhone "MEELAD-UN-NABI صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ " ko jaiz kaha hai @~
1. Imam Jalalludin Suyuti (born in 849 Hijri) ne apni kitaab " Husnul Maqsad fi Amalil Mawlid" mein Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.
2. Mulla Ali Qari - (1014 Hijri) ne apni Kitab "Al Morid ul Ruvi fi MaulidinNabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ " mein Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.
3. Muhaddis Imam Ibne Jawzi (born in 510hijri) ne Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha - kitab - Ibne Jawzi, Al Milad un Nabi.
4. Imam Shamsuddin al Juzri (660 hijri) ne Jaiz kaha -kitab - "Husnul Maqsid fi Amalil Mawlid"
5. Imam Nawawi ke shaykh Imam Abu Shama (born in 599 hijri) ne Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha - kitab- "Al Baais Ala inkaril Bada val Hawadis" and "Sublul Huda val Rushad by Imam Salihi.
6. Imam Zahbi (673 hijri) ne Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha - kitab -"Sayer ul A'alam van nubala"
7. Imam Ibne Kaseer (701 Hijri ) ne Al Bidaya wan Nihaya main Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.
8. Imam Shamsuddin bin Naseeruddin Damashqi (777 hijri) ne apni Kitab "Mawridul Saadi fi Mawlidil Haadi" main Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.
9. Imam Ibne Hajar Asqalani (773 hijri ) - ne Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha - kitab - "Suyuti - Husnul Maqsad fi Amalil Mawlid"
10. Imam Shamsuddin al Sakhawi (831 h) ne Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha - kitab- "Sublul Huda val Rushad by Imam Salihi
11. Imam Qustulani (851 hijri) ne apni kitaab "Al Mawahib ul Laduniya" main Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.
12. Imam Qutubudin Hanafi (988) ne Apni kitab "Al a'alam be A'alam e Baitillahil Haram " main Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.
13. Imam Ibne Hajar Makki (909 hijri) ne Fatawa Haadisia mein Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.
14. Shaykh Abdul Haq Muhaddis Dehelwi (958 hijri) ne "Ma sabat minas sunnah " main Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.
15. Imam Zarqani (1055 hijri) ne "Sharah Mawahibul Laduniya " main Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.
16. Hazrat Shah Abdur Rahim Dehelwi ne Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha - kitab - "Al dur rus sameen"
17. Shah Waliyyullah Muhaddis Dehelwi (1174 h) ne "Fuyuz ul Haramain " main Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.
18. Haji Imdadullah Muhajir Makki (1233 h) ne "Shamaim e Imdadiya Aur Faisala e Haft Mas'ala " mein Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.
19. Maulana Abdul Hay Lakhnawi (1264 h) ne "Fatawa Abdul Hay" main Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manane ko jaiz kaha.
20. Aalahazrat azeemul barkat Imam Ahmed Raza (1272) ne Jashn e Eid Miladun Nabi manaane ko jaiz kaha. ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه ===========================================================================

~@ MILAD UN NABI صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ AIMAH WA MUHADISEEN KI NAZAR MEIN @~
1. IMAM JALAALUDDIN SUYUTI رحمۃ اللہ علیہ
IMAM JALAALUDDIN SUYUTI رحمۃ اللہ علیہ FARMATE HAI : "Mera maukif ye hai ki Rasul e Muazam صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ka YAWME WILADAT asl mein khushi aur musarrat ka ek aisa mauqa hai jis mein log jama ho kar baqadr e sahulat Quran khwani karte hai. Aur woh un riwayaat ka tazkira karte hai jo Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ke baare mein manqool ho aur Huzoor Nabi e Kareem صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki wiladat e Mubarak ke maujizaat aur khariq ul Aadat waqiyaat ke bayaan par mishtamil ho phir uske baad unki ziyafat unke pasandidah khano se ki jati hai. Woh is bidat e hasana mein kisi izaafa ke bagair laut jaate hai aur is ehtamaam karne wale ko Huzoor صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki taazeem ki badaulat aur Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ke Milad par farhat aur dili musarrat ka izhar karne ki bina par sawaab se nawaza jata hai." [● HUSNUL MAQSAD FI AMALIL MAWLID]
2. MULLA ALI QARI رحمۃ اللہ علیہ - (Fiqh e Hanafi main Mautabar Faqih jinhe Deobandi bhi maante hai.) Aap ne Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ke Topic par Kitaab likhi hain
"AL MORID UL RUVI FI MAULIDIN NABI صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ "
Jiss main 12 Rabbi ul Awal ko Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manane par Jamae guftugu ki hain aur Aap Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ Manane ko Jaiz aur Sawab samajhte hai. Aur Afsos Hanafi Fiqh ke iss Imam ko Deobandi Imam too maante hai magar unke Milad ke maukif ko nahi maante!
Aap ne iss kitaab main Milad manane ka Zikr kiya hain jiss main 12 wi ko Majlis qayam karna, Naat khwani karna, tarah tarah ke khaane pakana, khushi manana, gareebo ko paise dena, Awlma ko jama karna, qariyo ko jama karke Qirat ki mehfil sajana, qism qism ki Naimato ka Ahtamaam karna , qum qume lagana, khushbuye lagana,hazaaro Mishkaal Sona kharch karna, aur bohot se Aamaal joo Jaiz aur Halal hain usse karne ka Zikr farmaya hain. Deobandi Imaan ke saath Mulla Ali Qari رحمۃ اللہ علیہ ki iss kitab ko padhe aur Hidayat Hasil Kare.
3. MUHADDIS IMAM IBN JAWZI رحمۃ اللہ علیہ (Born 510h - Died 579h)
"MAKKAH MUKARRAMA, MADINA MUNAWWARA, Misr, Shaam, Yamen garz sharq se garb tak BILAADE ARAB ke bashinde Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِki mehfile munaqid karte aaye hai. Jab Rabi ul Awwal ka chaand dekhte hai to unki khushi ki inteha nahi rehti chunaanche zikr e Milad padhne aur sunne ka khususi ehtamaam karte hai aur bepanah AJR WA QAMYABI HASIL KARTE HAI."
[● IBN JAWZI - AL MILAD UN NABWI صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ : 57] ▶ WAHABI KYA FATWA LAGAYEGE IMAM IBN JAWZI PAR AUR AHLE ARAB PAR ?
4. IMAM SHAMSUDDIN AL JUZRI (660H)
"Phir maine (Suyuti) Imam ul Qurra Hafiz Shamsuddin Al Juzri ki kitab "Urfut Tareef Fi Mawlid ashshareef" mein ye ibarat dekhi. Abu Lahab ko marne ke baad khwaab mejn dekha gaya. Usse pucha gaya Ab tera kya haal hai? Kehne laga Aag mein jal raha hu. Taaham har peer ke din mere azaab mein takhfeef kar di jaati hai. Ungli se ishara karte huwe kehne laga ki (har peer ko) meri in dono ungaliyo ke darmiyaan se paani (ka chashma) nikalta hai jisse mein pi leta hu aur ye takhfeef e azaab mere liye is wajeh se hai ki maine Suaiba ko aazaad kiya tha jab usne mujhe Muhammad ki wiladat ki khushkhabri di aur us ne Aap ko doodh bhi pilaya tha. Jab Abu Lahab jaise kaafir kabyebhaal hai jis ke baare mein Quran e majeed mein mazammat nazil huwi ki baawajood iske Huzoor Nabi e Kareem ki wiladat ki khushi mein peer ki raat uske azaab mein takhfeef kar di jaati hai to phir IS MUHID (TAUHEED PARAST) UMMATI KA KYA HAAL HOGA JO AAP KI MILAD PAR KHUSHI WA MUSARRAT KA IZHAAR KARE AUR HASBE ISTEDAAD AAP KI MOHABBAT KI WAJEH SE KHARCH KARE. MUJHE APNI UMAR KI QASAM BESHAK IS KI JAZAA RAB E KAREEM ZAROOR DEGA AUR APNE FAZLO KARAM SE USSE JANNAT KI NAIMATO MEIN DAAKHIL KAREGA."
[● IMAM SUYUTI - HUSNUL MAQSID FI AMALIL MAWLID : 65,66; ● SUBLUL HUDA WAL RUSHAD - ALLAMA YUSUF SALAHI , 1:366]
5]. Hafidh Ibn Kathir wrote that:
There was once a King, Abu Sa’eed Malik Muzaffar – a man of good deeds. In his kingdom, wherever he saw a lack of water, he would build a well. He also established many Islamic study centers. Every year, he would spend half a million dinars on hosting a gathering of his people to celebrate the birthday of the Prophet [May Allah bless Him and grant Him peace] [Tareekh Ibn Kathir, see story of King Abu Sa’eed, Volume 13]
Some people have the opinion that King Abu Sa’eed introduced the celebrating of this occasion. This is not true because Hafidh Ibn Kathir states that in the 5th Century hijree, a King named Malik Shah celebrated it also with a gathering [Tareekh Ibn Katheer biography of Malik Shah]
<><><><><><><>
=====================================================================

Yeh toh itne bade munafiq (dogle) hain ki jiski pairvi karte hain uski hi baat nahi maante bas aapni aapni chalate hain....
1)- Ibn Taymiyya likhte hain : فتعظيم المولد، واتخاذه موسمًا، قد يفعله بعض الناس، ويكون له فيه أجر عظيم لحسن قصده، وتعظيمه لرسول الله صلى الله عليه وسلم
" Is din (milad un nabi ) ko Ehtemam se manana aur is ke Ta'zeem karna ,jaisa ke log karte hain, Hus ne Niyyat aur Huzoor (Sallellahu alaihi wasallam) ki Muhabbat ki Wajah se Ajr e Azeem ka Baa'as ho sakta hai " [ Ibn Taymiyya , Iqtidah as Sirat al Mustaqeem , Volume : 02 , Page : 621,622 ]
2)-Ibn Muhammad bin Abdul Wahhab Najdi, in his book, writes:
“Thuwaiba, who was the freed slave of Abu Lahab fed Rasolallah Sallalalhu ‘alaihi wa sallam milk. Abu Lahab freed Suwaiba at the time when she informed him that a son has been born at your brother’s house. After the death of Abu Lahab he was seen in a dream, in which he said ‘I am in severe punishment but this is lessened on Mondays, he showed his forefinger, and said that he would suck from it. This is so because it was with this finger that I freed Suwaiba when she informed of the birth of the Prophet, and she also fed the Prophet Sallalalhu ‘alaihi wa sallam milk”. Ibn Jawzi states: Abu Lahab is that kaafir who has been specially referred to, in the Qur’an. If such a person can be rewarded for celebrating the Milaad of the Prophet Sallalalhu ‘alaihi wa Sallam, then imagine how great the reward would be for a Muslim when he celebrates it. [Mukhtassar Sirat-ur-rasool, “Milaad-un-nabi”, by Ibn Muhammad bin Abdul wahhaab Najdi]. ===========================================================================


2 comments:

  1. MashaAllah

    Allah azzawajal un sab par apne Habeeb sallallahu alaihi wa aalihi wa sahabihi wa barik wa sallam ke sadqe me karam farmaye jisne uske deen ki hifazat ki hai

    ReplyDelete
  2. Mashallah mashallah Allah Aap ku aur Hidayat de Take koi guskate Rasool N ban Sake Ameeeeweewn

    ReplyDelete