▼
Wednesday, 24 March 2021
BADMAZHABON SE RISHTE.
Qur’an e Kareem aur Ahaadees-e-mubaaraka ki Roshni mein
Bafaiz: Shehzaada e AalaHazrat Huzoor Mufti e Aazam Mohammed Mustafa Raza Khan (RadiyAllahu Ta’ala Anhu)
BAD MAZHABON SE RISHTE
Tasneef:
Faqih-e-Millat Mufti Jalaalud-Deen Ahmed Amjadi
Baani Madrasa Amjadia Arshad-ul-Uloom
Ojha ganj, Dist. Basti (U.P.)
BADMAZHABON SE RISHTE :
Part 1
Intesaab
Un tamaam Musalmaanon ke Naam jo ALLAH wa RASOOL jalla jala-luhu wa sallallahu ta’ala alaihi wasallam aur Sahaaba-e-kiraam wa buzurgan-e-deen Ridwanullaahi ta’ala alaihim ajma’een se sachchi mohabbat rakhte hain aur in ke dushmanon, bad mazhabon aur murtaddon ke yahaan shaadi biyaah karne se parhez karte hain.
Jalaalud-Deen Ahmad Amjadi
Nigaah-e-Awwaleen
Aaj kal bahot se Gumraah wa badmazhab ahl-e-sunnat wa jama’t se mel-jol karke inke yahaan shaadi biyaah karne ki zyada se zyada koshish karte hain taake inko aasaani ke saath apna hum aqeeda bana sakein aur awaam-e-ahl-e-sunnat apni bewaqoofi se unke yahaan rishta kar lete hain. Aur is tarah thode hi dinon mein woh Gumraah ho kar ALLAH wa RASOOL aur Sahaaba wa Buzurgaan-e-deen ki baargaah ke gustaakh wa be-adab ho jaate hain.
Lihaaza Gumraahon, badmazhabon aur murtaddon ke saath uthne baithne aur unke yahaan shaadi biyaah karne ke baare mein Qur’an o Hadees ka hukm ahl-e- sunnat wa jama'at ko bataane ki garz se yeh risaala likh diya taa ke woh in se door rahein aur inke yahaan rishta karke apne Imaan ko khatre mein na daalein.
Dua hai ke Khuda-e-azz wa-jal ahl-e-sunnat wa jama'at ke liye is risaale ko mash’al-e-raah banaaye aur humko Ambiya-e-kiraam, Sahaaba-e-izaam aur Buzurgaan-e- deen ke dushmanon se har tarah door rehne ki taufeeq e rafeeq bakhshe. Aameen
Jalaalud-Deen Ahmad Amjadi
To be contd......
BAD MAZHABON SE RISHTE
Part.... 2Insaan ki do qismein hain, Musalmaan aur kaafir. Phir kaafir ki bhi do qismein hain. Kaafir e asli aur kaafir e murtad. Kaafir e asli woh kaafir hai jo shuru hi se kalma-e-Islam ko na maanta ho. Jaise daheriya, Majusi, Mushrik aur Yahood o Nasaara wagairah.
Aur Kaafir e murtad ki bhi do qismein hain. Murtad Mujaahir aur Murtad Munaafiq. Murtad Mujaahir woh kaafir hai ke jo pehle musalmaan tha phir khullam khulla Islam se phir gaya aur kalma-e La Ilaaha Illallaah ka inkaar karke daheriya, Mushrik, Majusi ya Kitaabi wagairah kuch bhi ho gaya.
Aur Murtad Munaafiq woh kaafir hai jo kalma-e La Ilaaha Illallaah ab bhi padhta hai, apne aap ko musalmaan hi kehta hai magar KHUDA wande quddoos, Huzoor SAYYED-E-AALAM sallallahu ta’ala alaihi wasallam ya kisi NABI ki tauheen karta hai ya deegar zarooriyaat-e-deen mein se kisi baat ka inkaar karta hai. Kaafiron mein sab se bura yehi Murtad Munaafiq hai ke musalmaan bankar kufr sikhaata hai aur ALLAH wa RASOOL jalla jala-luhu wa sallallahu ta’ala alaihi wasallam ko gaaliyaan deta hai.
To be contd.....
BADMAZHABON SE RISHTE
Part 3
Aur Musalmaan ki bhi do qismein. Saheeh Musalmaan aur Gumraah. Saheeh Musalmaan woh hai jo zarooriyaat-e-deen ko tasleem karne ke saath tamaam zarooriyaat-e-Ahl-e-Sunnat ko bhi maanta ho aur Gumraah musalmaan woh badmazhab hai jo zarooriyaat-e-Ahl-e-Sunnat mein se kisi baat ka inkaar karta ho magar uski bad-mazhabi hadd-e-kufr ko na pahonchi ho.
BadMazhab aur Ahaadees-e-Kareema :
Woh Musalmaan jo bad-mazhab hain unke baare mein Rehmat-e-Aalam sallallahu alaihi wasallam ka hukm jaanne ke liye mandarja zail hadeesein padhein.
1. Hazrat Anas RadiyAllahu ta’ala anhu se marwi hai ke Sarwar-e-Kaainaat sallallahu alaihi wasallam ne farmaaya:
“Jab tum kisi bad-mazhab ko dekho to uske saamne tursh-rui se pesh aao. Is liye ke Khuda-e-ta’ala har bad-mazhab ko dushman rakhta hai.” (ibn-e-asaakir).
To be contd....
BADMAZHABON SE RISHTE
Part 4
2. Hazrat Huzaifa RadiyAllahu ta’ala anhu se riwaayat hai ke RASOOL E AKRAM sallallahu ta’ala alaihi wasallam ne irshaad farmaaya:
“KHUDA-e-TA’ALA kisi bad-mazhab ka na Roza qabool karta hai, na Namaaz, na Zakaat, na Hajj, na Umrah, na Jihaad aur na koi Nafl na Farz.
Bad-mazhab Deen-e-Islam se aisa nikal jaata hai jaisa ke goondhe huwe aate se baal nikal jaata hai.” (Ibn-e-Maaja)
3. Hazrat Abu Amama RadiyAllahu ta’ala anhu se marwi hai ke SARKAAR E AQDAS sallallahu ta’ala alaihi wasallam ne farmaaya:
“Bad-Mazhab dozakh waalon ke kutte hain.” (Daar Qutni)
4. Hazrat Ibrahim bin maseera RadiyAllahu ta’ala anhu se riwaayat hai ke RASOOL E KAREEM alaihissalaat o wat-tasleem ne farmaaya.
Jis ne kisi bad-mazhab ki izzat ki to is ne Islam ke dhhaane par madad ki. (mishkaat sharif)
Bad-mazhab ki taazeem se Islam ke dhhaane par madad kaise hojaayegi?
Is sawaal ka jawaab dete huye mohaqqiq alal itlaaq Hazrat Sheikh Abdul Haq Mohaddis Dehelwi bukhaari alaihi rehmat o rizwaan tehreer farmaate hain.
Bad-mazhab ki izzat karne mein sunnat ki haqaarat aur zillat hai. aur sunnat ki haqaarat Islam ki buniyaad dhhaane tak pohoncha deti hai.
( Ash'atul lam'aat jild 1)
to be contd....
BADMAZHABON SE RISHTE
Part 5
5. Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu ta’ala anhu se riwaayat hai ke REHMAT E AALAM sallallahu ta’ala alaihi wasallam ne hukm farmaaya.
Bad-mazhab agar bimaar pade to in ki ayaadat na karo agar mar jaaye to in ke janaaze mein shareek na ho. unse mulaaqaat ho to unhe salaam na karo. unke saath na baitho, unke saath paani na piyo. Unke saath khana na khao. unke saath Shaadi biyaah na karo. unke janaaze ki Namaaz na padho aur unke saath Namaaz na padho.(Muslim shareef)
Note:- Is Hadees Shareef ko abu Dawood ne Hazrat ibn e Umar se aur ibn e maaja ne Hazrat Jaabir se aur Aqeel o ibn e Habbaan ne Hazrat Anas se riwaayat kiya. RadiyAllah ta’ala anhum.
Khulaasa e Ahaadees :
In tamaam Hadeeson ka khulaasa yeh hua ke saare Musalmaanon mein bad-mazhab sab se zyaada bure hain in se khush akhlaaqi ke saath pesh aana jaayez nahin ke KHUDA e TA'ALA in ko dushman rakhta hai aur in ki koi Ibaadat nahin qubool farmaata hai chaahe farz ho ya nafl. Wo jahannamiyon ke kutte hain. Unki izzat karna mazhab e Islam ke dhhaane par madad karna hai.
Unka har tarah se Islami boycott kiya jaayega yaani unse kisi qism ka mazhabi ta'alluq rakhna jaayez nahin. Unse salaam karna aur unke saath uthna baithna aur khaana peena jaayez nahin aur unke yahaan Shaadi biyaah karna jaayez nahin.
SARKAAR E AQDAS sallallahu ta’ala alaihi wasallam ka ye tamaam hukm in logon ke baare mein hai ke jo bad-mazhab to hain magar unki bad -mazhabi hadd e kufr ko nahin pohonchi hai. rahe woh log jo ke murtad hain to unke baare mein sharee'at e Islamiya ka hukm bohot sakht hai.
To be contd.....
BADMAZHABON SE RISHTE
Part 6
Murtad ka hukm :
Woh murtad ke jo khullam khulla Islam se phir gaya aur kalma e La ilaaha illallaah ka inkaar kar diya is ke baare mein hukm yeh hai ke haakim e Islam usey teen din qaid mein rakhe, phir agar woh tauba karke Musalmaan ho jaaye fabiha warna usey qatl karde. (Durre Mukhtaar wa Shaami, jild 3)
Aur woh log jo ke apne aap ko Musalmaan hi kehte hain aur hamaari tarah Namaaz o Roza bhi karte hain magar ALLAH ke Mehboob Pyare MUSTAFA sallallahu ta’ala alaihi wasallam ki ya kisi doosre NABI ki tauheen karke murtad ho gaye to woh chaahe Sunni barelvi kahe jaate ho ya wahaabi deobandi, badshaah e Islam unki tauba nahi qabool karega yaani unhe qatl kardega. Faqeeh e Aazam hind Murshidi Hazrat Sadarush Shariah alaihi rehmat o rizwaan tehreer farmaate hain:
“Murtad agar irtedaad se tauba karle to us ki tauba maqbool hai magar baaz murtaddeen maslan kisi NABI ki shaan mein gustaakhi karne waala ke us ki tauba maqbool nahin. Tauba qabool karne se muraad yeh hai ke tauba karne ke baad badshah e Islam usey qatl na karega.” (bahaar e sharee'at jild 9, safha 127)
Lekin NABI ke gustaakh ko qatl karna choonke badshaah e Islam ka kaam hai aur yeh hamare yahaan mumkin nahin, to ab maujooda soorat mein Musalmaanon par yeh laazim hai ke aise logon ka mazhabi boycott karein, un ka zabeeha NA khaayein, unke yahaan Shaadi biyaah NA karein, unki Namaaz e janaaza NA padhe aur NA Musalmaanon ke qabrastaan mein unhe dafan hone dein.
To be contd.....
BADMAZHABON SE RISHTE
Part 7
Khulq e Azeem :
ALLAH wa RASOOL jalla jalaaluhu wa sallallahu ta’ala alaihi wasallam ke dushmanon bad-mazhabon aur murtadon ka mazhabi boycott karna, unse door rehna, unke yahaan Shaadi biyaah na karna aur unke saath sakhti se pesh aana bad-akhlaaqi nahin hai balke khulq e azeem se hai ke KHUDAWAND Quddus aur US ke pyare MUSTAFA sallallahu ta’ala alaihi wasallam ne hum ko yahi hukm farmaaya hai aur hamare buzurgon ne hum ko yahi sabaq diya hai ke bad-mazhabon aur murtadon se door raho. Unke yahaan rishta naata karna to badi baat hai unke saath uthna baithna bhi gawaara na karo.
Irshaad e Khudawandi hai.
"Aur agar shaitaan tum ko bhulaade to yaad aane ke baad zaalim qaum ke paas na baitho." (para-7 rukoo-14)
Aur KHUDA e Ta’ala irshaad farmata hai:
"Aur zaalimon ki taraf maayel na ho ke tumhe (jahannum ki) aag chhuyegi." (para-12 rukoo-10)
Aur bad-mazhabon ke baare mein NABI E KAREEM saahib e khulq e azeem alaihit-tahiyaat o wat-tasleem ki paanch hadeese aap pehle padh chuke hain. is muqaam par Muslim shareef ki ek hadees aur padhein, SARKAAR E AQDAS sallallahu ta’ala alaihi wasallam ne farmaaya:
"Un se door raho aur unhe apne se door rakho. kahin woh tumhe Gumraah na karde. kahin woh tumhe fitna mein na daal de."
To be contd.....
BADMAZHABON SE RISHTE
Part 8
Aur Imam Rabbaani Mujaddid Alf e saani Hazrat Sheikh Ahmed Sarhindi alaihi rehmat o rizwaan tehreer farmaate hain:
ALLAH Ta’ala ne Apne HABEEB E LABEEB sallallahu ta’ala alaihi wasallam se irshaad farmaaya ke kufr waalon par sakhti karo, to RASOOL E KHUDA sallallahu ta’ala alaihi wasallam jo ke khulq e azeem se mausoof hain unko sakhti karne ke hukm farmaane se maaloom hua ke kufr waalon ke saath shiddat se pesh aana khulq e azeem mein daakhil hai.
KHUDA ke dushmanon ko kutte ki tarah door rakha jaaye. unke saath dosti wa mohabbat ALLAH wa RASOOL sallallahu ta’ala alaihi wasallam ki dushmani tak pahoncha deti hai (kalma wa Namaaz ke sabab) aadmi gumaan karta hai ke woh Musalmaan hai, ALLAH wa RASOOL par Imaan rakhta hai (is liye un se dosti aur rishta karta hai) lekin woh yeh nahin jaanta ke is tarah ki behooda harkatein uske Islam ko barbaad kar deti hain.
To be contd.....
BADMAZHABON SE RISHTE
Part 9
Aur Aala Hazrat Imam Ahmed Raza faazil e barelvi alaihi rehmat o rizwaan irshaad farmaate hain:
“Ameer ul Momineen Umar Farooq e Aazam RadiyAllahu ta’ala anhu ne masjid e aqdas e NABI sallallahu ta’ala alaihi wasallam mein magrib ke baad kisi musaafir ko bhooka paaya. Apne saath kaashaana e aqdas e khilaafat mein le aaye. uske liye khana mangaaya. jab woh khaana khaane baitha, koi baat bad mazhabi ki us se zaahir huwi. fauran hukm hua khaana utha liya jaaye aur usey baahar nikaal diya jaaye. saamne se khana uthwa liya aur usey nikalwa diya”. (almalfuz jild 1, safa 94)
Badmazhabon aur murtadon se door rehne aur in ko apne se door rakhne ka hukm is liye hai ke unse mel-jol rakhne aur unke paas uthne baithne par kufr ka qawi andesha hai.
(fatawa razwiya jild dahum nisf aakhir safha 311 mein hai.
Imam Jalaaluddin Suyooti rehmatullaah alaih Sharhus-sudoor me farmaate hain:
“Ek shakhs raafziyon ke paas baitha karta tha uske marte waqt logon ne usey kalma e taiyyaba ki talqeen ki. usne kaha nahin kaha jaata. poocha kyun? kaha yeh do shakhs khade hain. yeh kehte hain to unke paas baitha karta tha jo Abu bakr wa Umar RadiyAllah anhuma ko bura kehte the ab chaahta hai kalma padh kar uthe na padhne denge.
Jab Siddiq e Akbar wa Farooq e Aazam RadiyAllah ta’ala anhuma ke bura kehne waalon ke paas baithne waalon ki yeh haalat hai to jo log ALLAH jalla wa aala aur RASOOLALLAH sallallahu ta’ala alaihi wasallam ko bura kehte hain, inki tanqees e shaan karte hain aur inhe tarah tarah ke aib lagaate hain. unke paas baithne waalon ko kalma naseeb hona aur bhi dushwaar hai”.
Aur jab aise logon ke paas baithne waalon ko kalma naseeb hona dushwaar hai to jo log unke yahan rishtedaari karke dosti wa mohabbat ka qila qaayam karte hain unko kalma naseeb hona aur zyada dushwaar hai. KHUDA e azza wa jal aise logon ko Imaan ki mohabbat ataa farmaye. aameen
To be contd.....
11BADMAZHABON SE RISHTE
Part 11
Aur Ibn e Abi Shaiba, Ibn e Almunzar, Ibn e Abi Haatim aur Abu Ash shaikh Hazrat Abdullah bin Abbas RadiyAllahu ta’ala anhu ke shaagird e khaas Hazrat Imam Mujaahid RadiyAllah ta’ala anhu se riwaayat karte hain ke SARKAAR E AQDAS sallallahu ta’ala alaihi wasallam ne ek shakhs ki gum-shuda oontni ke baare mein farmaaya ke woh falaan jangal mein hai. is par ek shakhs ne kaha UNKO gaib ki kya khabar ? HUZOOR sallallahu ta’ala alaihi wasallam ne us shakhs ko bulaakar daryaaft farmaaya to usne kaha hum to aise hansi mazaaq kar rahe the, is par yeh aayat e mubaaraka naazil huwi.
"Aur agar tum un se poocho to beshak woh zaroor kahenge ke hum to yun hi hansi khel mein the Tum farma do kya ALLAH, Is ki aayaton aur US ke RASOOL se thatha karte the ? bahaane na banao. apne imaan ke baad tum kaafir hogaye". (para-10 rukoo-14)
Is aayat e kareema mein bhi waazah taur par farmaaya gaya
yaani kufr ka kalma zabaan se nikaalne ke sabab momin hone ke baad kaafir hogaye.
Lihaaza yeh samajhna bohat badi jahaalat hai ke Musalmaan ALLAH wa RASOOL ki tauheen kare to bhi woh Musalmaan hi rahega kaafir nahin hoga.
To be contd.....
12BADMAZHABON SE RISHTE
Part 12
Aur HUZOOR sallallahu ta’ala alaihi wasallam ke wisaal farmane par kuch logon ne kaha hum kalma wa Namaaz padhenge aur sab kuch karenge magar zakaat nahin denge yaani zakaat ki farziyat ka aeteqaad jo zarooriyat e deen mein hai iska inkaar kar diya to kalma o Namaaz padhna inhe kuch kaam na aaya aur woh murtad ho gaye jaisa ke mohaqqiq alal itlaaq Hazrat Sheikh Abdul Haq Mohaddis Dehalvi Bukhaari alaihi rehmat o rizwaan ne tehreer farmaaya.
Musailma ke saathi aur manaen e zakaat murtad huye.
(ashatul lama’at, jild 1 l,safa 83)
Aur ALLAH ke MEHBOOB sallallahu ta’ala alaihi wasallam ki azmat ka aeteqaad aham zarooriyaat e deen mein se hai. lihaaza jo log HUZOOR sallallahu alaihi wasallam ki tauheen o be-adabi karke UNKI azmat ka inkaar kar rahe hain woh ba-darja e ula murtad hain. kalma aur Namaaz unhe murtad hone se nahin bacha sakega.
Aur Hazrat Abu Saeed Khudri RadiyAllah ta’ala anhu se riwaayat hai. woh farmaate hain ke hum log HUZOOR sallallahu ta’ala alaihi wasallam ki khidmat mein haazir the aur HUZOOR maal e ganeemat taqseem farma rahe the ke zul khawesra naam ka ek shakhs jo qabeel e bani tameem ka rehne waala tha aaya aur kaha aye ALLAH ke RASOOL ! insaaf se kaam lo. HUZOOR sallallahu alaihi wasallam ne farmaaya teri jasaarat par afsos. MAIN hi insaaf nahin karunga to aur kaun insaaf karne waala hai. agar MAIN insaaf na karta to tu khaayeb o khaasir ho chuka hota. Hazrat Umar RadiyAllah ta’ala anhu ne arz kiya YA RASOOLALLAH ! mujhe ijaazat dijiye ke main is ki gardan maar dun to HUZOOR sallallahu ta’ala alaihi wasallam ne farmaaya.
Usey chhod do us ke bohot saathi hain jin ki Namaazon aur rozon ko dekh kar tum apni Namaazon aur rozon ko haqeer samjhoge. woh Qur’an padhenge magar Qur’an unke halaq se nahin utrega. (in zaahiri khoobiyon ke ba-wajood) woh Deen se aise nikle honge jaise teer shikaar se nikal jaata hai. (Bukhari shareef, jild 1, safa 509)
To be contd.....
13BADMAZHABON SE RISHTE
Part 13
Aur Hazrat Abu Saeed Khudri wa Anas bin Maalik RadiyAllah ta’ala anhuma se riwaayat hai ke RASOOL E KHUDA sallallahu ta’ala alahi wasallam ne farmaaya:
Anqareeb MERI ummat mein ikhtilaaf o iftiraaq waaqae hoga. ek giroh niklega jo achchi baatein karega lekin kirdaar gumraah-kun aur kharaab hoga. woh Qur’an padhenge magar Qur’an un ke halaq ke neeche nahin utrega. woh Deen se aise nikal jaayenge jaise teer shikaar se nikal jaata hai.
(Mishkaat shareef, safha 308)
In Ahaadees e kareema se bhi maaloom hua ke HUZOOR sallallahu ta’ala alaihi wasallam ke farmaane ke mutaabiq bohot se log aise honge jin ki Namaaz aur rozon ke saamne Musalmaan apni Namaaz aur rozon ko haqeer samjhenge. woh log Qur’an bhi padhenge magar iske ba-wajood woh Deen se nikle huwe honge. Jab woh zarooriyaat e Ahle Sunnat ya zarooriyaat e deen mein se kisi baat ka inkaar karenge to Namaaz o Roza aur Qur’an ka padhna unhe badmazhab aur murtad hone se nahi bacha sakega.
To be contd.....
14BADMAZHABON SE RISHTE
Part 14
Murtadon se rishte :
ALLAH wa RASOOL jalla jalaaluhu wa sallallahu alaihi wasallam aur Auliya e kiraam wa Buzurgaan e deen ki shaan mein gustaakhi karne waala murtad, ahl e sunnat o jamaat ke yahaan Shaadi biyaah karne ki ziyada koshish karta hai is liye ke is tarah woh apne rishtedaar ko be-deen banaane mein aasaani ke saath kamyaab ho jaata hai. aur naam nihaad sunni ALLAH wa RASOOL aur Buzurgaan e deen ki mohabbat ka jhoota daawedaar unke dushmanon ke yahaan rishta kar leta hai. haalaanke unke saath Shaadi karna zinakaari ka darwaza kholna hai is liye ke murtad ke saath nikah jaayez hi nahin hota jaisa ke fatawa e Aalamgeeri jild awwal matbooa e misr safha 263 mein hai.
Murtad ka nikah murtada, muslima aur kaafir e asliya kisi se jaayez nahin. aise hi murtada ka nikah kisi se nahin ho sakta. isi tarah Imam Mohammad alaihi rehmat o rizwaan ki kitaab e mabsoot mein hai.
Hairat hai ke Sunni apne baap dada ke dushmanon se rishta nahin karta magar ALLAH wa RASOOL jalla jalaaluhu wa sallallahu alaihi wasallam aur Buzurgaan e deen ke dushmanon ke yahaan Shaadi biyaah karne mein koi rukaawat nahin mehsoos karta. aur jab unke yahaan rishta karne se manaa kiya jaata hai to kehta hai ke ab woh zamaana nahin raha ke unke yahaan Shaadi karne se roka jaaye.
Aise log jab aur taraqqi karenge to hinduon ke yahaan rishta karne se bhi inko koi aiteraaz na hoga jaisa ke aajkal baaz naam nihaad taraqqi yaafta Musalmaan gair Muslimon ke yahaan Shaadi karne lage hain.
Aur phir aise log jab aur bhi zyada taraqqi kar jaayenge to apni behen beti ko bhi biwi banaakar rakh lene mein koi rukaawat nahin hogi. aur jab manaa kiya jaayega to yahi kahenge ke ab woh zamaana nahin raha –
jaisa ke baaz taraqqi yaafta mumaalik ke log behen aur beti ko biwi banaakar rakhne lage hain.
Wal ayaaz billaahi ta'ala.
To be contd.....
15BADMAZHABON SE RISHTE
Part 15
Baaz jaahil gawaar kehte hain ke ladki laane mein koi harj nahin albatta unko ladki dena galat hai. haalaan ke ladki ho ya ladka kisi ka rishta unse jaayez nahin jaisa ke Fatawa e Aalamgeeri ke hawale se abhi guzra.
Aur phir ladki dene mein to sirf ek fard ko murtad ke hawaale karna hai aur murtad ki ladki laane mein apne ladke aur uski aulaad ko irtidaad ke raaste par khada karna hai, is liye ke aksar yehi hota hai ke jis Sunni ladke ki biwi murtad ke yahaan se laayi gayi kuch dinon ke baad woh behki behki baatein karne lagta hai aur uski aulaad naani naana ka asar qabool kar leti hai, murtad ka murdaari zabeeha khaati hai, unhi ka taur wa tareeqa ikhtiyaar karti hai, yahaan tak ke kuch dinon baad woh waqt aa jaata hai ke poora ghar be-deen ho jaata hai.
Khulaasa yeh hai ke murtad ki ladki laana inko ladki dene se zyada khatarnaak hai ke is tarah sunniyat ko zyada nuqsaan pohonchta hai.
To be contd.....
16BADMAZHABON SE RISHTE
Part 16
Shaitaani fareb :
Jab koi naam e nihaad Sunni kisi murtad ke yahaan rishta karna chaahta hai to duniya-daar maulvi shaitaani fareb se kaam leta hai, yaani tauba karwa ke nikah padha deta hai aur paise lekar apna raasta pakadta hai aur tauba karne waala murtad badastoor e saabiq apne puraane tareeqe par rehta hai.
Isiliye shari'at e mutahhara ka yeh hukm hai ke tauba ke baad fauran uske saath nikah nahin kiya jaayega balke kuch dinon usey dekha jaayega ke apne tauba par woh qaayem hai ya nahin. jaise koi faasiq e moallin tauba karle to fauran usey Imaam nahin bana diya jaayega. Fatawa e Razwiya, jild suwwam, safha 213 mein hai ke Fatawa e Qazi khan phir Fatawa e Aalamgeeri mein hai:
Faasiq tauba karle tab bhi uski gawaahi nahin qabool ki jaayegi jab tak ke itna waqt na guzar jaaye ke us par tauba ka asar zaahir ho.
To be contd.....
17BADMAZHABON SE RISHTE
Part 17
Aur Aala Hazrat Imam e Ahl e Sunnat faazil e barelvi RadiyAllahu ta’ala anhu tehreer farmaate hain:
“Ameerul Momineen Gaizul Munaafiqeen Imaamul Aadileen Sayyedna Umar Farooq e Aazam RadiyAllahu ta’ala anhu ne jab Subeeg se jis par ba-wajah behes mutashaabihaat bad-mazhabi ka andesha tha baad e zarb e shadeed tauba li. Abu Moosa Ash’ari RadiyAllahu ta’ala anhu ko farmaan bheja ke Musalmaan iske paas na baithein, is ke saath khareed o farokht na karein, bimaar pade to iski ayaadat ko na jaayein aur mar jaaye to iske janaaze par haazir na ho.
Ba-taameel e hukm ahkam ek muddat tak yeh haal raha ke agar sau aadmi baithe hote aur woh aata sab mutafarriq (titar-bitar) ho jaate. jab Abu Moosa Ash’ari RadiyAllahu ta’ala anhu ne arzi bheji ke ab is ka haal achha ho gaya us waqt ijaazat farmaayi. (Fatawa e Razwiya, jild suwwam, safha 213)
Dekhiye! Subeeg sirf aayat e mutashaabihaat ke misl mein behes kiya karta tha, woh murtad nahin tha balke us par sirf bad-mazhabi ka andesha tha magar is ke ba-wajood Hazrat Umar Farooq e Aazam RadiyAllahu ta’ala anhu ne tauba ke baad bhi us ka sakht boycott kiya jab tak ke itmenaan nahin ho gaya.
Lihaaza murtad aur bad-mazhab ko tauba karaane ke baad badarja e ula kayi baras tak dekha jaayega. jab us ki baat-cheet aur taur o tareeqe se khoob itminaan ho jaaye ke woh Ahl e Sunnat o jamaat ka aadmi ho gaya tab us ke saath nikah kiya jaayega warna nahin – Lihaaza jo shakhs murtad ya murtadda ko tauba karaane ke baad fauran un ke saath apne ladka ladki ka aqad kare aur jo maulvi aisa nikah padhe Musalmaanon ko chaahiye ke un donon ka mazhabi boycott kare aur aise duniya daar maulvi ke peeche Namaaz na padhein.
To be contd.....
18BADMAZHABON SE RISHTE
Part 18
Badmazhab aur murtad kaun?
Hazrat Abu huraira RadiyAllahu ta’ala anhu se riwaayat hai ke Sarkaar e Aqdas sallallahu ta’ala alaihi wasallam ne farmaaya:
Aakhri zamaane mein kuch log fareb dene waale honge. woh tumhare saamne aisi baatein laayenge jin ko na tum ne kabhi suna hoga, na tumhare baap dada ne. To aise logon se bacho aur inhe apne qareeb na aane do taake woh tumhe Gumraah na kardein aur fitne mein na daalein.
Hazrat Sheikh Abdul Haq Mohaddis e dehalvi bukhari RadiyAllahu ta’ala anhu is Hadees Shareef ki sharah mein tehreer farmaate hain:
Yaani bohot log honge jo makkaari wa fareb se Ulema, Mashaaikh aur Sulaha bankar apne Musalmaanon ka khair khwaah aur maslah zaahir karenge taake apni jhooti baatein phailaayein aur logon ko apne baatil aqeedon aur faasid khayaalon ki taraf bulaayein. (Ash’atul lamaat, jild awwal, safha 133)
Is Hadees Shareef se HUZOOR sallallahu ta’ala alaihi wasallam ne aakhri zamaana mein jin dajjaalon aur kazzaabon ke paida hone ki khabar di thi, maujooda zamaana mein in ke mukhtalif giroh paaye jaate hain jo Musalmaanon ke saamne aisi baatein bayaan karte hain ke in ke baap dada ne kabhi nahin suna hai. Yahi log badmazhab aur murtad hain.
Jin mein se chand yeh hain....
To be contd.....
19BADMAZHABON SE RISHTE
Part 19
1) Chakdaalvi:-
Yeh giroh apne aap ko ahle Qur’an kehta hai. in ka aqeeda hai ke HUZOOR sallallahu ta’ala alaihi wasallam sirf elchi ( postman) hain aur bas. khullam khulla saari hadeeson ka inkaar karta hai yaani ALLAH ke MEHBOOB sallallahu ta’ala alaihi wasallam ki farmaabardaari ko nahin tasleem karta –
MA'AZALLAH.
yeh woh baatein hain jin ko hamare baap dada ne kabhi nahin suna tha balke in ko KHUDA E TA'ALA ne yeh hukm diya hai.
"Aye Imaan waalon ! ALLAH ki itaa’at karo aur RASOOL ki farmabardaari karo". (para-5 rukoo-5)
To be contd.....
20BADMAZHABON SE RISHTE
PART 20
2) QAADYAANI:-
YEH LOG MIRZA GULAM AHMED KO MEHDI, NABI AUR RASOOL MAANTE HAIN. HUZOOR SAYYED E AALAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM KE BAAD DOOSRE NABI KA PAIDA HONA JAAYEZ THEHRAATE HAIN –
MA'AZALLAH.
YEH WOH BAATEIN HAIN JIN KO HAMAARE AABA WA AJDAAD NE KABHI NAHIN SUNA THA. KHUDAWAND E QUDDUS NE IN SE YEH FARMAAYA THA:
"MUHAMMAD (SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM) TUM MARDON MEIN SE KISI KE BAAP NAHIN, AUR LEKIN ALLAH KE RASOOL AUR KHAATIMUN NABIYEEN HAIN. (PARA-22, RUKOO-2)
AUR NABI E KAREEM ALAIHISSALAATU WAT-TASLEEM NE UNHE BATAYA THA:
"MAIN KHAATIMUL AMBIYA HOON.
MERE BAAD KOYI NAYA NABI NAHIN HOGA". (MISHKAAT SHAREEF, SAFHA 465)
YAANI HUZOOR SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM PAR NABIYON KI PAIDAAISH KA SILSILA KHATM HO GAYA. AAP NE BAAB E NABUWWAT PAR MOHAR LAGA DI.
AB AAP KE BAAD KOYI NABI HARGIZ NAHIN PAIDA HOGA.
TO BE CONTD.....
21BADMAZHABON SE RISHTE
Part 21
3) Raafzi:-
Yeh woh giroh apne aap ko shia kehta hai, yeh log afzalul bashar baadal Ambiya Hazrat Abu Bakr Siddiq, Hazrat Umar Farooq e Aazam, Hazrat Usman Gani aur bohot se Sahaaba e kiraam rizwaanullaah alaihim ajmaeen ko bura bhala kehte hain aur in ko khullam khulla gaaliyaan dete hain.
MA'AZALLAH.
yeh woh baatein hain jin ko hamare baap dada ne kabhi nahin suna tha. in ko Qur’an e kareem ne yeh bataaya tha:
"KHUDA E TA'ALA ne saare Sahaaba se bhalaayi ka waada farmaaya hai yaani Jannat ka."
Aur Qur’an e kareem ne in se yeh irshaad farmaaya tha:
"ALLAH TA’ALA Sahaaba e kiraam se raazi hai aur woh ALLAH se raazi hain. KHUDA E TA’ALA ne in ke liye aise baagaat taiyyaar kar rakhe hain jin ke neeche nehre jaari hain. woh log in mein hamesha rahenge yahi bohot badi kaamyaabi hai."
Aur SARKAAR E AQDAS sallallahu ta’ala alaihi wasallam ne in ko yeh hukm diya tha:
"MERE Sahaaba ki izzat karo is liye ke woh tum sab se behtar hain." (Mishkaat Shareef, safha 554)
Aur HUZOOR sallallahu ta’ala alaihi wasallam ne in se yeh irshaad farmaaya tha:
"MERE as’haab ke baare mein ALLAH ta’ala se daro, ALLAH ta’ala se daro. MERE baad unhe nishaana e aitraaz na banaana."
Aur NABI E AKRAM sallallahu ta’ala alaihi wasallam ne unhe yeh hukm farmaaya tha:
"MERE Sahaaba ko gaali na do."
(Bukhari-Muslim-Mishkaat, safha 553)
Raafzi Sahaaba e kiraam ko gaaliyaan dene ke alaawa aur bhi bohot se kufri aqeede rakhte hain yahaan tak ke in mein ke baaz firqe Hazrat Ali karamallaahu ta’ala wajhul kareem ko KHUDA qaraar dete hain.
MA'AZALLAH.
tafseel ke liye "tohfa e asna ashriya" dekhein.
To be contd.....
22BADMAZHABON SE RISHTE
Part 22
4) Khaarji:-
Is giroh ko yazeedi bhi kaha jaata hai. yeh log Hazrat Ali RadiyAllah ta’ala anhu ko bura bhala kehte hain, nawasa e RASOOL Hazrat Imam Husain RadiyAllah ta’ala anhu ko baagi qaraar dete hain aur Un ki shaan mein tarah tarah ki gustaakhi aur be-adabi karte hain – aur yazeed paleed jis ne Kaba e Moazzima aur Roza e Munawwara ki sakht be-hurmati ki, Masjid e Nabvi mein ghode bandhwaaye jin ki leed aur peshab Mimbar e Aqdas par pade, hazaaron Sahaaba aur taba'een ko begunaah shaheed kiya. Madeena Taiyyaba ki paak daaman paarsa aurton ko teen roz apne khabees lashkar par halaal kiya aur jigar paara e Rasool farzand e batool Hazrat Imam Husain RadiyAllah ta’ala anhu ko teen din be-aab wa daana rakh kar maidaan e karbala mein pyasa zibah kiya aur phir baad e shahaadat Un ke tan e naazneen par ghode daudaaye gaye yahaan tak ke un ki haddiyaan chakna choor ho gayiñ. (Dekhiye Fatawa e Razwiya, jild 6, safha 107) magar jis ne yeh sab kuch kiya aise yazeed khabees ko yeh khaarji jannati qaraar dete hain aur usey ameerul momineen wa RadiyAllahu ta’ala anhu kehte hain.
MA'AZALLAH.
To be contd.....
23BADMAZHABON SE RISHTE
Part 23
5) Wahabi Devbandi:-
Is giroh ka aqeeda yeh hai ke jaisa ilm HUZOOR sallallahu ta’ala alaihi wasallam ko haasil hai aisa ilm to bachhon, paagalon aur jaanwaron ko bhi hai. jaisa ke devbandiyon ke peshwa maulvi ashraf ali thaanvi ne HUZOOR sallallahu ta’ala alaihi wasallam ke liye Qul ilm e gaib ka inkaar karte huwe sirf baaz ilm e gaib ko saabit kiya phir baaz ilm e gaib ke baare mein yun likha ke.
“Is mein HUZOOR sallallahu alaihi wasallam ki kya takhsees hai aisa ilm to zaid o amr balke har sabi o majnu balke jamee haiwaanaat o bahaayem ke liye bhi haasil hai.
(hifzul imaan, safha-8)”
MA'AZALLAH.
Is giroh ka ek aqeeda yeh bhi hai ke HUZOOR SAYYAD E AALAM sallallahu ta’ala alaihi wasallam khaatimul Ambiya nahin hain. aap ke baad doosra NABI ho sakta hai jaisa ke molvi qaasim naanotvi, baani daarul uloom devbandi ne likha hai ke “Awaam ke khayaal mein to RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ka khaatim hona ba'een maana hai ke AAP ka zamana e Ambiya e saabiq ke zamane ke baad aur AAP sab mein aakhri NABI hain magar ahl e faham par roshan hoga ke taqaddum ya ta'akhur zamaane mein bizzaat kuch fazeelat nahin. (tahzeer un naas, safha 3)”
Is ibaarat ka khulaasa yeh hai ke khaatimun Nabiyyeen ka yeh matlab samajhna ke AAP sab mein aakhri NABI hain yeh naa-samajh aur gawaaron ka khayaal hai. aur aage phir yun likha ke “Agar Bil farz baad e zamana e Nabvi sallallahu ta’ala alaihi wasallam koi NABI paida ho to phir bhi khaatmiyat e Muhammadi mein kuch farq na aayega.
(tehzeer un naas)”
MA'AZALLAH.
Is ibaarat ka khulaasa yeh hai ke HUZOOR sallallahu ta’ala alaihi wasallam ke baad doosra NABI paida ho sakta hai.
Al ayaaz o billaahi ta'ala.
Is giroh ka ek aqeeda yeh bhi hai ke shaitaan aur Malakul maut ke ilm se HUZOOR SAYYAD E AALAM sallallahu alaihi wasallam ka ilm kam hai. jo shakhs shaitaan o Malakul maut ke liye wasee ilm maane woh momin Musalmaan hai lekin SARWAR E KAAINAAT sallallahu ta’ala alaihi wasallam ke ilm ko wasee aur zaayed maanne waala mushrik be-Imaan hai. jaisa ke is giroh ke peshwa maulvi khalil ahmed ambethi ne likha ke “Shaitaan wa Malakul maut ko wus’at nass se saabit huwi Fakhr e Aalam ke wus’at e ilm ki kaun si nass e qatai hai jis se tamaam nusoos ko radd karke ek shirk saabit karta hai.
(baraheen qat’aa, safha 51)”
MA'AZALLAH.
Aur in logon ka ek aqeeda yeh bhi hai ke HUZOOR sallallahu ta’ala alaihi wasallam mar kar mitti mein mil gaye hain, jaisa ke taqweeyatul imaan, safha 79 par likha hai.
MA'AZALLAH.
Mazkoora baala aqeedon ke alaawa aur bhi is giroh ke bohot se kufri aqeede hain. is liye Makka Moazzima, Madeena Taiyyaba, Hindustan, Pakistan, Burma aur Bangladesh ke sekdon Ulma e kiraam o Muftiyaan e Uzzaam ne in logon ki kaafir o murtad hone ka fatwa diya hai.
tafseel ke liye Fatawa Husaamul Harmain aur As Sawaaramul hindiya ka mutaala karein.
To be contd.....
24BADMAZHABON SE RISHTE
Part 24
6) Wahaabi gair muqallid :-
Yeh giroh apne aap ko ahl e hadees kehlaata hai jo wahaabiyon devbandiyon ki ek shaakh hai. in ke tamaam kufriyaat mein shareek hai aur yeh log Hazrat Imaam e Aazam Abu Haneefa aur Hazrat Imaam Shaafa'i wagaira Aimma e deen RadiyAllah ta’ala anhum ko bura-bhala kehte hain.
Aur in logon ka ek aqeeda yeh bhi hai ke Hazrat Gaus e Aazam Sheikh Abdul Qaadir Jeelaani, Hazrat Khwaaja Moinuddin Ajmeri, Hazrat Qutbuddin Bakhtiyaar kaaki, Hazrat Fareeduddin Ganj Shakar, Hazrat Mehboob e Ilaahi Nizaamuddin Auliya, Hazrat Makhdoom Ashraf Jahangeer Samnaani kachauchwi, Hazrat Imaam Rabbaani Sheikh Ahmed Sarhindi Mujaddid alf e saani, Hazrat Sheikh Abdul Haq Mohaddis e dehalvi Bukhari aur Hazrat Makhdoom Maahimi wagaira saare buzurgaan e deen rizwaanullaahi ta’ala alaihim ajmaeen Gumraah wa badmazhab the, is liye ke yeh sab ke sab muqallid the aur kisi Imam ki taqleed inke (wahaabi gair muqallidon ke) nazdeek Gumraahi wa badmazhabi hai.
MA'AZALLAH.
To be contd.....
25BADMAZHABON SE RISHTE
Part 25
7) Tableegi jamaat:-
Is giroh ke bhi saare aqeede wohi hain jo wahaabiyon devbandiyon ke hain. magar yeh log Ahl e Sunnat o jamaat ko apna hum aqeeda banaane ke liye azraahe fareb sirf kalma o Namaaz ka naam lete hain. Aur jab koyi Sunni dhoke se inki jamaat mein shaamil ho kar in ke zaahiri aa'maal se mutaassir ho jaata hai to phir yeh log aasaani ke saath usey pakka wahaabi banaakar ALLAH wa RASOOL jalla jalaaluhu wa sallallahu alaihi wasallam ki baargaah ka gustaakh bana lete hain.
To be contd.....
26BADMAZHABON SE RISHTE
PART 26
8) MAUDOODI JAMAAT:-
YEH GIROH APNE AAP KO JAMAAT E ISLAMI KEHLAATA HAI. YEH BHI WAHAABIYON DEVBANDIYON KI EK SHAAKH HAI YAANI BUNIYAADI TAUR PAR DONO EK HAIN. IS KE ALAAWA IS JAMAAT KE BAANI ABUL-AALAA MAUDOODI NE TAMAAM AMBIYA E KIRAAM KHUSUSAN HAZRAT NOOH ALAIHIS SALAAM, HAZRAT YUSUF ALAIHIS SALAAM, HAZRAT MOOSA ALAIHIS SALAAM, HAZRAT DAWOOD ALAIHIS SALAAM AUR HAZRAT YOUNUS ALAIHIS SALAAM YAHAAN TAK KE SAYYAD UL AMBIYA HAZRAT MUHAMMAD MUSTAFA SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM KI SHAAN MEIN GUSTAAKHI WA BE-ADABI KI HAI.
AUR TAMAAM SAHAABA E KIRAAM KHAAS KAR HAZRAT ABU BAKR SIDDIQUE, HAZRAT UMAR FAROOQ, HAZRAT USMAN GANI AUR HAZRAT KHALID BIN WALEED RADIYALLAHU TA’ALA ANHUM PAR NUKTA CHEENI KARKE UNKI TAUHEEN KI HAI. AUR RAAFZIYON KO KHUSH KARNE KE LIYE SAHAABI E RASOOL KAATIB E WAHI HAZRAT AMEERE MUAWIYA RADIYALLAHU TA’ALA ANHU KI ZAAT PAR AISE ILZAAMAAT LAGAAYE HAIN KE MUSALMAAN TO MUSALMAAN KAAFIR BHI SHARMA JAAYE AUR UMMAHAATUL MOMINEEN HAZRAT AYESHA SIDDIQA WA HAZRAT HAFSA RADIYALLAHU TA’ALA ANHUMA KO ZABAAN DARAAZ QARAAR DIYA HAI.
AUR MOHADDISEEN E KIRAAM, MUJTAHIDEEN E AALAAM, FUQHA E IZAAM, MUJADDIDEEN ZAWIL-AHTERAAM AUR AIMMA E ISLAM KHUSUSAN IMAM GAZAALI, HAZRAT IMAM RABBAANI MUJADDID ALF E SAANI AUR HAZRAT SHAH WALIULLAAH MOHADDIS E DEHALVI PAR NUKTA CHEENI KARKE UNKI BE-ADABI KI HAI. YAHAAN TAK KE QUR’AN E KAREEM KE BAARE MEIN LIKHA KE WOH NAJAAT KE LIYE NAHIN BALKE HIDAAYAT KE LIYE HAI – JIS KA MATLAB YEH HUWA KE JO SHAKHS NAJAAT CHAAHE WOH KOI AUR KITAAB TALAASH KARE.
AL AYAAZ BILLAAHI TA'ALA.
NOTE:- ABUL AALA MAUDOODI KI IN SAARI GUSTAAKHIYON AUR BE-ADABIYON KI TAFSEEL KITAABON KE NAAM AUR UNKI JILD O SAFHA KE HAWAALON KE SAATH JAANNE KE LIYE KITAAB “JAMAAT E ISLAMI” TASNEEF HAZRAT ALLAMA ARSHADUL QAADRI QIBLA AUR KITAAB “DO BHAI MAUDOODI AUR KHOMAINI” KA MUTA'ALA KAREIN.
TO BE CONTD.....
27BADMAZHABON SE RISHTE
PART 27
ALLAH AUR MALAAIKA KI LAANAT :
CHAKDAALWIYAT, QAADYAANIYAT, RAAFZIYAT, WAHAABIYAT, DEVBANDIYAT AUR GAIR MUQALLADDIYAT WAGAIRAH AHL E SUNNAT O JAMAAT KE KHILAAF JITNE FIRQE HAIN MAUJOODA ZAMAANE KE ZABARDAST FITNE HAIN. HAR PADHE-LIKHE LOGON PAR UMOOMAN AUR AALIMON, PEERON PAR KHUSOOSAN LAAZIM HAI KE WOH AWAAM E AHL E SUNNAT KO IN FITNON SE AAGAAH KAREIN. AUR SARKAAR E AQDAS SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM KE IRSHAADAAT KE MUTAABIQ INKE YAHAAN UTHNE BAITHNE SE ROKEIN AUR UNKE YAHAAN SHAADI BIYAAH KARNE SE SAKHTI KE SAATH MANA KAREIN. AGAR WOH AISA NAHIN KARENGE AUR SAB LOGON KI LAANAT KE MUSTAHAQ HONGE AUR INKA KOYI FARZ O NAFL QABOOL NA HOGA JAISA KE HADEES SHAREEF MEIN REHMAT E AALAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM NE FARMAAYA:
"JAB FITNE ZAAHIR HO AUR HAR TARAF BE-DEENI PHAILNE LAGE AUR AISE MAUQE PAR AALIM E DEEN APNA ILM ZAAHIR NA KARE AUR APNI KISI MASLIHAT YA MAFAAD KI LAALACH MEIN KHAAMOSH RAHE, TO IS PAR ALLAH KI AUR TAMAAM FARISHTON KI AUR SAARE INSAANON KI LAANAT HAI. ALLAH NA IS KA FARZ QABOOL KAREGA AUR NA IS KI NAFL."
TO BE CONTD.....
28BADMAZHABON SE RISHTE
Part 28
HUZOOR sallallahu alaihi wasallam ke raaste par nahin :
Jo log ke Musalmaanon ko fitnon mein padte huwe dekh rahe hain ke woh badmazhabon aur murtaddon ke yahaan Shaadi biyaah karke Gumraah wa murtad ho rahe hain aur ALLAH wa RASOOL jalla jalaaluhu wa sallallaahu ta’ala alaihi wasallam ki baargaah ke gustaakh ban rahe hain, magar woh log qudrat ke baawajood awaam mein maqbooliyat haasil karne, zyada se zyada aamdani hone ya aur kisi mafaad ke pesh e nazar khaamosh rehte hain aur aisi zabardast Buraayi ke jis se log kufr wa irtedaad mein mubtela ho jaate hain, manaa nahin karte woh yaqeenan HUZOOR SAYYAD E AALAM sallallaahu ta’ala alaihi wasallam ke raaste par nahin hain, jaisa ke Tirmizi mein Hazrat Ibn e Abbas RadiyAllahu ta’ala anhuma se Hadees Shareef marwi hai ke khud NABI e KAREEM alaihis salaatu watasleem irshaad farmaate hain:
"Jo Musalmaan hamaare chhoton par meharbaani na kare, hamare badon ki taazeem na kare, achhi baat ka hukm na de aur buri baat se na roke woh hamare raaste par nahin." (mishkaat shareef, safha 423)
Aur aise log naayeb e RASOOL nahi sirf naam ke Aalim hain. is liye ke RASOOL logon ko Gumraahi wa badmazhabi se bachaane aur inko saheeh raaste par chalaane ki fikr mein din raat laga rehta hai. lihaaza jo Aalim inke naqsh e qadam par chale aur inka raasta ikhteyaar kare wohi naayeb e RASOOL hai warna duniya kamaane ke liye woh sirf naam ka Aalim hai.
To be contd.....
29BADMAZHABON SE RISHTE
PART 29
SAB SE KAMZOR IMAAN WAALA :
ACCHI BAAT KA HUKM DENA AUR BURI BAAT SE ROKNA MUSALMAANON PAR WAAJIB HAI JAISA KE HAZRAT SHAIKH ABDUL HAQ MOHADDIS-E-DEHLVI BUKHARI ALAIHI REHMAT O RIZWAAN TEHREER FARMAATE HAIN:
"ACHHAAYI KA HUKM DENA AUR BURAAYI SE ROKNA WAAJIB HAI. IS PAR UMMAT KA IJMAA’ HAI."
( ASH'ATUL LAMAAT, JILD 4, SAFHA 173)
LIHAAZA AGAR KOI HAATH AUR ZABAAN SE BURAAYI NA ROK SAKE AUR SIRF DIL SE BURA JAANE TO WOH SAB SE KAMZOR IMAAN WAALA HAI. JAISA KE MUSLIM SHAREEF MEIN HAZRAT ABU SAEED KHUDRI RADIYALLAHU TA’ALA ANHU SE HADEES SHAREEF MARWI HAI KE SARKAAR E AQDAS SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM NE IRSHAAD FARMAAYA:
"JO SHAKHS KOYI BAAT KHILAAF E SHAR'A DEKHE TO USEY APNE HAATH SE ROK DE. AUR AGAR APNE HAATH SE ROKNE KI QUDRAT NA HO TO ZABAAN SE MANAA KARE. AUR AGAR ZABAAN SE BHI MANAA KARNE KI QUDRAT NA HO TO DIL SE BURA JAANE AUR YEH SAB SE KAMZOR IMAAN HAI."
(MISHKAAT SHAREEF, SAFHA 436)
TO BE CONTD.....
30BADMAZHABON SE RISHTE
PART 30
BURAAYI NA ROKNE PAR AZAAB :
BOHOT SE MUSALMAAN IS GALAT FEHMI MEIN MUBTELA HAIN KE AGAR LOG BURA KAAM KAR RAHE HAIN TO WOH US KA JAWAAB DENGE. HUM SE KYA GARZ? AUR YEH SOCH KAR WOH KHAAMOSH REHTE HAIN KE KUCH NAHIN BOLTE. BALKE BAAZ LOG TO BURAAYI ROKNE WAALE KI MUKHAALIFAT KARTE HAIN AUR KEHTE HAIN AAP SE KYA MATLAB? HAALAAN KE IS BURAAYI SE ROKNA SAB LOGON PAR LAAZIM HAI. AGAR QUDRAT KE BAAWAJOOD NAHI ROKENGE TO SAB PAR AZAAB NAAZIL HOGA. JAISA KE IBN E ADI KINDI RADIYALLAHU TA’ALA ANHU SE HADEES SHAREEF RIWAAYAT HAI KE HUZOOR SAYYAD E AALAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM NE FARMAAYA:
"ALLAH TA’ALA SAB LOGON KO BAAZ LOGON KE AMAL KE SABAB AZAAB NAHI DETA MAGAR JAB KE WOH APNE DARMIYAAN BURE KAAM HOTE DEKHEIN AUR USEY ROKNE KI TAAQAT RAKHTE HUWE NA ROKEIN. AGAR UNHONE AISA KIYA TO KHUDA E TA’ALA AAM AUR KHAAS SAB KO AZAAB DEGA." (MISHKAAT SHAREEF, SAFHA 438)
YAANI AGAR KUCH LOG KOYI GUNAAH KAREIN TO IS KE SABAB KHUDA E TA’ALA DOOSRON PAR AZAAB NAHI FARMAATA LEKIN BURAAYI DEKH KAR CHUP REHNA AUR ISE NA MITAANA AISA GUNAAH HAI KE IS KE SABAB BURAAYI KARNE WAALE AUR CHUP REHNE WAALE DONON PAR AZAAB NAAZIL FARMAATA HAI. BURAAYI KARNE WAALE PAR BURAAYI KE SABAB AUR CHUP REHNE WAALON PAR CHUP REHNE KE SABAB.
AUR TIRMIZI SHAREEF MEIN HAZRAT HUZAIFA RADIYALLAHU TA’ALA ANHU SE HADEES SHAREEF MARWI HAI KE NABI E AKRAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM NE FARMAAYA:
"QASAM HAI US ZAAT KI JIS KE QABZA E QUDRAT MEIN MERI JAAN HAI, TUM ZAROOR ACHHI BAATON KA HUKM KARNA AUR BURE KAAMON SE MANAA KARTE REHNA. WARNA ANQAREEB ALLAH TA’ALA TUM PAR APNE PAAS SE AZAAB BHEJ DEGA. PHIR TUM US SE DUA KAROGE TO TUMHARI DUA QABOOL NAHI KI JAAYEGI." (MISHKAAT SHAREEF, SAFHA 436)
TO BE CONTD.....
31BADMAZHABON SE RISHTE
PART 31
HAZRAT SHEIKH ABDUL HAQ MOHADDIS E DEHALVI BUKHARI REHMATULLAH ALAIH IS HADEES SHAREEF KI SHAR'A MEIN TEHREER FARMAATE HAIN:
YAANI DOOSRE AZAAB AUR MUSEEBATEIN DUA SE DOOR HO SAKTI HAIN LEKIN ACCHHI BAAT KA HUKM DENA AUR BURI BAAT SE ROKNA CHHOD DENE KE SABAB JO AZAAB NAAZIL HOGA WOH DUA IS KE BAARE MEIN QABOOL NA HOGI.
AUR TIRMIZI WA IBN E MAAJA KI HADEES HAI. HAZRAT ABU BAKR SIDDIQUE RADIYALLAHU TA’ALA ANHU NE FARMAAYA KE MAIN NE RASOOL E AKRAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM KO FARMAATE HUWE SUNA KE;
"LOG JAB KOYI BURA KAAM DEKHEIN AUR USKO NA MITAAYEN TO ANQAREEB KHUDA E TA’ALA UN SAB KO APNE AZAAB MEIN MUBTELA KAREGA." (MISHKAAT SHAREEF, SAFHA 436)
AUR ABU DAWOOD WA IBN E MAAJA KI HADEES HAI. HAZRAT JURER BIN ABDULLAH RADIYALLAHU TA’ALA ANHU FARMAATE HAIN KE MAIN NE RASOOL E KAREEM ALAIHIS SALAATU WATASLEEM KO FARMAATE HUWE SUNA KE:
"KISI QAUM KA KOYI AADMI UNKE DARMIYAAN GUNAAH KARTA HO AUR WOH USEY ROKNE KI TAAQAT RAKHTE HON MAGAR NA ROKEIN TO KHUDA E TA’ALA UN SAB PAR AZAAB BHEJEGA IS SE PEHLE KE WOH MAREIN." (MISHKAAT SHAREEF, SAFHA 437)
HAZRAT SHEIKH ABDUL HAQ MOHADDIS E DEHALVI BUKHARI ALAIHI REHMATU WA RIZWAAN IS HADEES SHAREEF KE TAHET LIKHTE HAIN:
IS HADEES SHAREEF SE MAALOOM HUA KE ACHHI BAAT KE HUKM DENE AUR BURAAYI SE ROKNE KO CHHOD DENE KE SABAB DUNIYA MEIN BHI AZAAB HOGA AUR AAKHIRAT MEIN BHI. BAKHILAAF DOOSRE GUNAAHON KE, KE DUNIYA MEIN UN PAR AZAAB LAAZIM NAHI. (ASH’ATUL LAMAAT, JILD 4, SAFHA 177)
TO BE CONTD.....
32BADMAZHABON SE RISHTE
Part 32
Behqi shareef mein Hazrat Jaabir RadiyAllahu ta’ala anhu se riwaayat hai ke SARKAAR E AQDAS sallallahu ta’ala alaihi wasallam ne farmaaya:
"KHUDA E TA’ALA ne Jibraeel alaihissalaam ko hukm farmaaya ke fulaan shaher ko jo aisa aur aisa hai us ke baashindon samet ulat do. Jibraeel alaihissalaam ne arz kiya aye mere PARWARDIGAAR ! Un bashindon mein TERA fulaan banda bhi hai jis ne ek lamha bhi TERI naafarmaani nahin ki hai, to KHUDA E TA’ALA ne farmaaya MAIN phir hukm deta hoon ke is par aur qul baashindon par shaher ko ulat do is liye ke is ka chehra gunaahon ko dekh kar MERI khushnoodi ke liye ek lamha bhi mutagayyar nahin huwa.
Hazrat Sheikh Abdul Haq Mohaddis dehelvi bukhari RadiyAllahu ta’ala anhu is Hadees Shareef ki shar'a mein tehreer farmaate hain.
"aye gunaah e azeem sat wa lihaaza taqdeem kard alaihi raabar alaihim." yaani gunaahon ko dekh kar KHUDA E TA’ALA ki khushnoodi ke liye chehra ka rang na badalna bohot bada gunaah hai isi liye ALLAH TA’ALA ne alaihi ko alaihim par muqaddam kiya. yaani us nek bande par azaab dene ka hukm pehle farmaaya aur gunaah karne waalon par azaab dene ka hukm baad mein. (ash’atul lamaat, jild 4, safha 183)
Aur kisi ke chup rehne par jabke log yeh kehne lage ke fulaan to itne bade Aalim aur buzurg hain magar woh kisi ko nahin manaa karte. ek aap hi hain rokne aur manaa karne waale. kya woh Aalim nahin hain. agar yeh baat galat hoti to woh bhi zaroor manaa karte – is soorat mein khaamosh rehne waale aur Buraayi ko dekh kar na rokne waale Peer o Maulvi aur zyada azaab ke mustahaq honge.
To be contd.....
33BADMAZHABON SE RISHTE
Part 33
Tarah tarah ke fareb :
Aaj kal Ahl e Sunnat o jamaat ke yahaan jalse aur conferencein bohot hoti hain jin mein aksar taqreerein sirf dramaayi aur rasmi hoti hain. Imaan ke daaku jis raaste se sunniyon ke gharon mein ghus kar in ke Imaan par daaka-zani kar rahe hain aur sunniyat ko bohot zabardast nuqsaan pohoncha rahe hain is raaste ko band nahin karte. yaani badmazhabon ke saath uthne baithne se nahin rokte aur na inke yahaan Shaadi biyaah karne se manaa karte hain balke baaz Maulvi aur Peer khud hi inke yahaan rishta kar lete hain jise sunni awaam sanad banaakar badmazhabon ke yahaan Shaadi biyaah karte hain aur thode dinon mein ghar ke ghar Gumraah wa badmazhab ho jaate hain.
In haalaat mein agar kahin koyi Aalim e deen is Buraayi ke khilaaf kuch bolta ya likhta hai to naseehat qabool karne ke bajaaye us se dushmani karte hain aur tarah tarah ke fareb se us ki haq baaton ka asar zayel kar dete hain. logon ko behkaate hain. Na khud amal karte hain aur na doosron ko amal karne dete hain.
Kahin koyi us ki haq goyi ko aib-jui qaraar deta hai aur ulte usi ko gunaahgaar thehraata hai. jab ke posheeda aibon ko talaash karna aib-jui hai aur jo Buraayi ailaaniya ki jaati ho us ke khilaaf bolna haq goyi hai, aib-jui nahin.
To be contd.....
34BADMAZHABON SE RISHTE
PART 34
AUR KUCH LOG KEHTE HAIN KE YEH GEEBAT HAI, HAALAAN KE JO BURAAYI KOI KHULLAM KHULLA KARTA HAI US KA LOGON MEIN ZIKR KARNA GEEBAT NAHIN. FAQIH E AAZAM E HIND HAZRAT SADARUSH SHARI'A ALAIHI REHMATU WA RIZWAAN TEHREER FARMAATE HAIN.
“JO SHAKHS AILAANIYA BURA KAAM KARTA HO AUR US KO IS BAAT KI KOYI PARWAAH NAHIN KE LOG USEY KYA KAHENGE TO US SHAKHS KI IS BURI HARKAT KA BAYAAN KARNA GEEBAT NAHIN MAGAR US KI DOOSRI BAATEIN JO ZAAHIR NAHIN HAIN UN KO ZIKR KARNA GEEBAT HAI. HADEES SHAREEF MEIN HAI KE JIS NE HAYAA KA HIJAAB APNE CHEHRE SE HATA DIYA USKI GEEBAT NAHIN." (BAHAR E SHARI'AT, HISSA 16, BAYAAN E GEEBAT BA-HAWALA E RADDUL MUKHTAAR)”
AUR BAAZ LOG KEHTE HAIN KE WOH URS MEIN AURTON KO AANE SE KYUN NAHI ROK PAATE. YAANI JAB WOH AALIM E DEEN URS MEIN AURTON KO AANE SE ROKNE PAR KAAMYAAB HO JAAYEGA TAB WOH BADMAZHABON AUR MURTADDON SE RISHTA NAHIN KARENGE WARNA UNKE YAHAAN WOH BARAABAR SHAADI BIYAAH KARTE RAHENGE.
TO BE CONTD.....
35BADMAZHABON SE RISHTE
Part 35
Aur kuch log kehte hain ke woh Aalim bade haq goh hain to aakar aurton ko mazaar se hataayein. Aye kaash! aise log haq goyi ka maana jaante. aur agar jaante hain to jaahil na bante ke haq goyi ka maana hai haq baat keh dena is ke maana mazaar se aurat hataana nahin hai.
Aur baaz log yeh kehte huwe nazar aate hain ke jab us mein khud fulaan fulaan Buraayi paayi jaati hai to woh doosron ko Buraayi se rokne ka haq nahin rakhta – aise logon ko maaloom hona chaahiye ke us par do cheezein waajib hain. khud buraaiyon se bachna aur doosron ko bachne ki taakeed karna. to ek waajib ke chhootne se doosre waajib ka chhootna jaayez nahin. Mohaqqiq alal itlaaq Hazrat Sheikh Abdul Haq Mohaddis Dehelvi Bukhari alaihi rehmatu wa rizwaan tehreer farmaate hain:
"Amr bil ma'roof ke waajib hone mein khud aamir ka bhi aamil hona shart nahi balke bagair amal bhi amr bil ma'roof jaayez hai, is liye ke apne aap ko amr bil ma'roof karna waajib hai aur doosre ko amr bil ma'roof karna doosra waajib hai. Agar ek waajib chhoot jaaye to doosre waajib ka chhodna hargiz jaayez na hoga.
Aur woh jo Qur’an Majeed para 29 mein aaya hai. Agar usey amr bil ma'roof aur nahi anil munkar ke baare mein tasleem bhi kar liya jaaye to amal na karne par zajr o taubeekh muraad hai na kehne par.
Aur phir tehreer farmaate hain;
"Doosron ko amr o nahi karna aur khud is par amal na karna mojib e azaab hai. lekin yeh azaab amal na karne ki wajah se hai amr o nahi ki wajah se nahin hai. is liye ke agar amr o nahi bhi nahi karega to do waajib tark karne ke sabab aur zyada azaab ka mustahaq hoga. (ash’atul lama’at, jild 4, safha 175)
To be contd....
*BADMAZHAB KE SAATH NAMAZ AUR SHADI BYAH KARNA KAISA ?*
*👑AQAID E GAUS E AAZAM ?*
QADRIYO KAY SULTAN SUFIYO KAY SHAHENSHAH Peeran E Peer Sayyidna Shaykh Abdul Qadir Gilani Al Baghdadi Meera Dastageer Gaus E Aazam kya likhte hai is talluk se
*“Hazrat Anas bin Malik Se Rivayat Me Aaya Kay Huzoor ﷺ Ne Farmaya ALLAH ne mujhe Chun liya aur mere liye Mere Sahaba Ko Chun Liya aur Unko Mere Liye Ansaar Aur mera rishtedaar bana diya, Aakhir Jamane Me Ek Aisa Giroh Paida Hoga Jo SAHABA KAY MARTABE KO GHATAYGA, KHABARDAAR TUM UNKE SAATH NAA KHANA, NAA NIKAAH KA SILSILA KARNA, NAA UNKE SAATH NAMAZ PADHNA, NAA UNKI NAMAZ E JANAZA PADHNA AISE LOGO PE LANAAT KARNA JAIZ HAI”*
*📒(Syed Peer Shaykh Abdul Qadir Gilani, Al-Ghunya li-Talibi Tariq al-Haqq Pg : 114)*
Kya Aaj logo ne nah dekha aisa giroh aaya hai jo bazahir libas sunniat ka pahna hai aur Sahaba Kay makam pe ungli uthata hai ?
Jo Sahaba Kay Makam ko ghataye unke saath namaz shadi byah naa karo aise pe lanat karo
Jo Saaf Word Me Rasoolullah ﷺ Ki tauheen ki jin logo ne unko bhi Musalman Swaleh pasand maante hai inke follower.
Aiso kay saath namaz bhi jor shor se hoti hai.
Aaj Sabse badi koshish horahi hai Sufi aur Mufti ye dono category ko bilkul alag kare kaafir to yehi chahta hai aur TUQ jaise log uspe mohar lagate hai yaad rakhe Jitne hamare pahle kay buzurg rahe hai ye Sab SUFI AALIM MUFTI hote hai koi Sufi Jahil nahi hota ALLAH jahil ko apna Wali nahi banata.
_ALLAH AISE FITNO SE BACHAYE MUSALMANO KO_
_Aameen_